Bahut hi mast dhamakedar or emotion se bharpur update
1. Raj ne rok liya nahi to aaj munim ka the end kar deta abhay or payal se bhi abhay ko mil gaya prashad or ab abhay us khandhar ke us raj ka pata lagane oe tuka hua ha jise ganv ke log shapit samajhte han raj ne bhi abhay ko roka ha lekin abhay ko oata ha ki us khandhar me jarur kuchh ha shayad koi secret khadan ho jiski mining raman chhupakar karwa raha ho or kisi ko bhi kanokan khabar na ho sandhya ko bhi nahi
2. Ab sandhya ke liye to kya hi bole itna sab hone ke bad haweli ke logon ki sachhai janne ke bad aman ki sachhai janne ke bad bhi sandhya me akal nahi ayi or use kutata hua kya dekh liya iske andar ki mamta umad padi fir se or wahi galti fir se kar di jo karti aa rahi thi puri bat jane bager action lena agar puri bat sun leti to khud hi samjh jati ki kisne aman ko thoka ha waise lagta ha ye to shuruwat ha aman ke liye ye abhi baj nahi ayega bad me achhi tarah kutega abhay se
3. Idhar sandhya or abhay ki conversation me abhay ne apne dil ki sari bhadas nikal di sandhya per jo wo ab tak apne dil me daba kar rakha hua tha sandhya fir sunne ke siwa kuchh nahi kar saki kuchh oal ke liye abhay ko gale lagane ka moka mila lekin wo bas pal bhar ki hi khushi thi jo chhin bhi li abhay ne sandhya ke pas ab bebasi ke siwa kuchh nahi bacha ha
Police wale abhay ko leja rahe the fir bhi wo apni power ka istemal nahi kar payi uske samne se hi abhay ko le gaye or ye bas dekhti rah gayi police wale ko udhar hi rakh dena tha ek lekin udhar bhi bas chilati rah gayi idhar raman ko bhi dhamki de di sandhya ne ab dekhte han uske haweli jane ke bad kya hua ha kaisa react karti ha wo aman per or baki sab per
4. Idhar chandni ne sandhya ko hosla diya ki abhay ko kuchh nahi hoga abhay ir sandhya ki bate sunker lagta ha chandni bhi emotional ho gayi or chandni ke sath lagta ha haweli me kam karne wali ramiya hi thi jo chandni ki shayad khufiya jasus ha tabhi to sandhya use wahan dekhkar chonk gayi thi
5. Idhar police station me kamran apne ap ko tis Markham sam raha tha abhay je karname sunker bhigi billi ban gaya or dig shalini sinha ke dwara abhay ko beta kehte hi iski sitti pitti gul ho gayi idhar lagta ha shalini ji ko pehli bar lagta ha maa kaha ha abhay ne tabhi to itna khush ho gayi
6. Idhar hostel me ate hi abhay ka swagat hua chandni ke hato se prashad ke roop me chandni to full gusse me abhay ki class laga di or abhay ne SEANIOUR ke bare me bataya ki usne usse ye karwaya kher abhay ne kaha ki ab uska SEANIOUR se koi lena dena nahi ha lekin ye to waqt hi batayega
Idhar to lagta ha ye dono bhai behen shanti se so gaye lekin lagta ha ki haweli me bahuton ki nind ud chuki hogi ab dekhte han ki naya sawera or kya naye rang dikhata ha sabko
Waiting for next update bro