"tumne us ladke par hamla kyun kiya pavitra??"guruji ne ladki se poochha
"Kyunki use abhi ke abhi nahi kuchla to mere maalik ko apna badla poora karne ka mauka nahi milega,uski jaan nahi loongi lekin adhmare karungi"pavitra naam ki ladki boli
"Uske saamne baar baar aana kya sahi hai??"guruji ne poochha
"Us raat ko itna shaktiheen hone ke bawjood wo mujhe hara hi deta,lekin mai bach gayi .us ladki ke birthday party me hi use harana chahti thi"pavitra fir boli
"Fir kal usse takrayi kyun wapas??"guruji ne poochha
"Yaad dilane ki ladai khatam nahi hui hai"pavitra boli aur chali gayi
Ye ladki mere kiye karaye par paani fer degi.kuch to karna hi hoga guruji sochne lage
-------------------------------------------------------------------------------
"Are tumhara naam hi nahi poochha tha kal,kya naam hai??"anju ne poochha
"Shyam bula sakti hai mujhe"raat ko bhook mitane ke baad anju ne us aadmi ko apne paas rakh liya tha staff ke roop me
"Waise shyam khana kaafi acha bana lete ho"anju kheer khate hue boli
"Waise aap bohut achi hai,warna bina jaane pehchane kisi ko yun rakh lena..."shyam bola
"Mera luck bhi kuch zyada acha nahi hai shyam,papa ke jaane ke baad maa.bhi chal basi.papa ka ye dhaba mai hi chala rahi hoon.aaye din gunde yahan se hafta le jaate hai aur baju wale dhaba ke maalik zabardasti yahan se customer le jaate hai,soch rahi hoon band kar doon,lekin papa ka ye dhaba unki jaan se bhi zyada pyari thi...isliye....."Bolte Bolte aankhen nam ho gayi anju ki
Shyam chup chap apna kaam karne laga
"Oye apni maalkin se bol paise nikale"bahar chillane ki awaz aayi
Anju daudkar gayi aur dekha ki uske staff ko gunde berahmi se pit rahe hai
"Are are kal hi to paise lekar gaye the ,fir aaj??"anju boli
"Arey birju??anju ji ko bol de wo kal tha,aur aaj naya din hai,hafta to dena hi padega"ek gunda bola
"Lekin mere paas paise nahi hai"anju boli
"Hmm"bol achanak birju ne anju ke baal pakad liye aur kare me le gaya.baaki gunde bhi wahi gaye
"Aaj sirf hamari pyaas bujha de bas.....baaki sab hafta maaf tera"birju bola aur anju ke kapdo ko nochne laga
Shyam sab dekh raha tha lekin kuch kar nahi raha tha
Ye uska kaam nahi hai
Iske liye wo aaya nahi tha
Lekin.....
Us ladki ne bina soche samjhe vishwas kiya tha us par
Aur aaj
Jab wo musibat me hai tab ...
Shyam ne apna apron utar fenka aur ek laat se darwaza khola
"Tu koun hai be??bhag yahan se"birju bola aur anju ko waise hi thame raha
"Chor do ise"shyam ka sakht chehra pehli Baar anju ne dekha
"Teri to aise nahi maane Ga"bol ek gunde ne haath lehraya hawa me
Shyam hat gaya aur ek mukka maara us gunde ke pet me
DHAMMMMMM
"Akkk"gunde ki aankhen badi ho gayi.muh se paani nikalne laga
Aur wahi neeche gir gaya
Shyam ne apna gardan ghumaya aur aas paas dekha
Ek saath 6 gunde toot pade us par
DHAAMMM THADD. TAAD
saare gunde chitt the
"Anju ji abhi tak in logo ne kitna hafta liya tha???"shyam ne bhauchakki si dekh rahi anju se.poocha
Anju abhi bhi hairani se dekh rahi thi
"Anju ji"shyam.ne fir poochha
"D d dedh lakh"anju boli
"Sun,dedh aur baaki saman todne aur staff ko maarna ka ek lakh aur total dhai lakh nikal warna yahi marenge sab"shyam bola
"D d de de birju"main gunda bola
Aur fir sab paise lekar shyam bola
"10 hazar kam hai,ja jakar apne aaka ko bol de kaise pita yahan,agar wo yahan aaya to usse baaki ke paise le lunga,ja bhag"bol shyam ne bhaga diya sab ko
Anju dheere dheere baitha gayi zameen par
Aaj uske izzat par haath daala gaya tha
Apne aankhon ke aansu rok na paayi wo,bas behti hi ja rahi thi
Shyam paas aaya,use pata nahi tha ki aise me kya karna chahiye,seekha nahi tha usne
Achanak shyam.ke seene me apna chehra chupa kar rone lagi anju,bohut aansu baaki the uske
-------------------------------------------------------------------------------
Disha aaj POORE saj kar ja rahi thi
Aaj party me aakash bhi aayega
"Apne aap ko pehchano "ek awaz se ruk gayi disha
Saamne ek vriddh a rahe the saamne se
"A aap ne kuch kaha mujhse??"disha ne poochha
"Yahi ki apne aap ko pehchano"vriddh fir bole
"Aap koun??mai aapko jaanti hoon??"disha ne poochha
Vriddh muskuraye,disha ko cheenk a gayi
A A ATISHOOOOO
disha ne cheenkne ke baad saamne dekha ,koi nahi tha,yahan wahan dekha,koi nahi tha
Ye uska bhram tha ya....
Khair party time