• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy AJNABEE (completed)

Swaraj

Well-Known Member
6,845
25,769
219
"well well tujhe nahi lagta ki tu aakash bhaiyya se kuch Zyada hi baatein kar rahi hai aajkal??"ragini ne disha ke kandhe par haath rakhte hue kaha

"Uh...n n n nahi to,tujhe aisa kyun lag raha hai..."disha ne jhat se jawab diya

"Ohk....yani tere aur bhaiya ke beech me kuch bhi nahi hai"Ragini ne poochha.

"Well....just friendship bas"disha boli

"Chalo acha hai,papa aur vikrant uncle bhaiyya aur simran ki shaadi ki baat karne wale hai fir se"ragini boli

"Kya???lekin engagement to toot gayi thi na, aakash ne khud toda tha engagement"disha boli

"Haan bhaiyya ne tod diya tha engagement lekin fir vikrant uncle aur papa ne fir se baat karni shuru kar di,chor na ye sab chal canteen chalte hai"ragini boli aur chal di
Disha chupchap khadi rahi

"Kya hua??chal na??"ragini peecha mudkar boli
Aur fir disha dheere dheere chali gayi

Ye sab door se dekh rahe the shlok aur aakash
"Dekh raha hai ye sab??"shlok ne aakash se poochha

Aakash chup raha

"Kisi Masoom parivar me ghus kar apna ullu seedha karne wala hai tu"shlok fir bola

Aakash abhi bhi chup raha

"Logo ko bharosa hai ki aakash wapas a gaya hai aur ab unke saath hi rahega"shlok ne kaha

Aakash jaane laga to shlok ne uske kandhe par haath rakha

Aakash ki aankhen Kaali ho gayi,to uske jawab me shlok ki aankhon me bijli ki kadkadahat dikhai diya aakash ko

"Tujhse kuch kam nahi hoon,tuj par nazrein hai meri.is parivar ko kuch bhi hua to teri khair nahi"bol shlok ne wapas apna chashma pehna aur chala gaya

Aakash wapas mudkar jaane hi laga tha ki

DHAM

ek zordar dhakka laga use aur neechr gir gaya aakash

"Chh chh chh bacche ko dhakka laga"koi college ki ladki ne kaha

Aakash ladki ki aankhon me aankhen dalkar khada ho gaya

"Rasta bohut kathin hai,bach ke rehna ....bachhe"bol ladki muskurate hue chali gayi
Isi ke saath kal raat ko ladai hui thi
Damn it


Kitne??aur kitne peeche ayenge mere??
Yahi sochta raha aakash
-------------------------------------------------------------------------------
Varun jab school pohuncha to kuch alag hi dikh raha tha

"Varun ???"alicia ki awaz aayi peeche se
Varun ne dekha ki ek hot si ladki a rahi hai saamne

"Kahan tha itne din??alica ne poochha

"Bas thoda free ho raha tha"varun bola

"Tumhare absence me aakash ne tumhare behen se badtameezi ki"alica varun ke kareeb jaane lagi
Lekin varun ki nazrein disha ki taraf thi
Ek kutil muskurahat honto par tair gayi varun ke

------------------------------------------------------------------------------
School me disha bas khoyi hui thi aakash ke baare me
Ab tak ache se aakash ke baare me jaanti nahi thi

Wapas ghae jaate waqt aakash dikhai nahi diya disha ko
Man bujh sa gaya disha ka
Mood bhi off ho gaya

"Mangni jald hone wali hai hamari"ek awaz ne Disha ko chaunka diya aur dara bhi diya
Peecha mudi to varun muskurate hue dikhai diya

"Hi, disturb to nahi kiya??"muskurate hue varun ne poochha

Disha chupchap khadi rahi
Varun ne paas aakar uske gaalon se apni ungli ko ferte hue bola
"Bohut khoobsoorat..... Hamari jodi khub jamegi"

"Mujhe nahi lagata"door khade aakash ko dekhkar varun ruk gaya aur apna haath hata liya disha ke gaalon se

Disha daudkar aakash ki taraf gayi
Varun hasne laga

"4 baar lade hai hum,aur 3 baar tujhe buri tarah se hara diya tha"varun bola

Aakash ne kuch nahi bola,sirf disha ka haath thame raha
Disha ne bhi aakash ka haath kaskar pakad rakha

"Disha meri banegi aur tu.....tu bas dekh kya hota hai tera"bol apni muthhi bheech liya varun ne
Laga jaise mitti bijli ho haatho se

"A aa... aakash m mujhe dar lag raha hai"bol disha ne apni bheegi aankhon se aakash ki aur dekha

"Mai hoon na"muskurate hue aakash ne jawab diya aur disha ke haatho par apna haath rakh diya
 
Last edited:

Mbindas

Active Member
1,957
4,154
158
Update ki starting slowly slowly hui or end dhua dhaar raha.
Ye story hi dhuaa dhuaa hai.
 
  • Like
Reactions: RAAZ and Swaraj
Top