"excuse me.....please wait...."aakash ne door se Awaz lagayi
Disha ruk gayi,uff fir wahi ladka.baar baar mere saamne kyun a jaata hai,use pata nahi ki mai khud kitni majboor hoon.
"Kya hai??"rookhapan ke saath disha ne poochha
"Wo....agar .....tum ..nahi aap...haan ..nahi ...tum...aap...."aakash ko samajh nahi a raha tha ki wo khud kya keh raha tha
Disha apni hasi ko badi mushkil se control kar rahi thi.
"Hamesha se aise hi haklata hai kya??"disha ne poochha
"N nahi ...mai to...bas poochh raha tha ki agar aap free hai to mere saath lunch karengi??"aakash ne poochha
"Sorry fir kabhi"bol disha aage nikal gayi
Aakash ne bujhe man se golu ki aur dekha
"Huh,jab ladki ne last maari tab aaya na mere paas??"golu bola aur aakash ke saath lunch share karne laga
"Waise ye baat kya sahi hai aakash ki tu aaj cobra martial arts ke school me jayega??"golu ne poochha
"Hmm"casually sa jawab diya aakash ne uska saara dhyan disha ki taraf tha
"Are wo bohut khatarnaak hai aakash,wo martial arts gundagardi karti hai,aur kai galat kaam me unka haath rehta hai,mat pange le unse.waha ke saare student kaafi taqatwar hai"golu bola
Lekin aakash ke kaan me kuch gaya hi nahi.wo sirf disha ke us rawaiyye ke baare me soch raha tha
Ek waqt tha jab....lekin aaj.....
School ke baad aakash ko ko ek taraf jaate dekh Disha ne class ki ek ladki se poochha
"Kaha ja raha hai aakash??"
"Tujhe pata nahi simran aur alicia ne challenge kiya hai aakash ko.agar aakash haar gaya to uske saath bohut bura karegi simran"ladki boli
"Aur aakash bewkoof maan gaya"disha ne poochha
"Haan,lekin hume kya??bas entertainment ke liye chal rahe hai,tu bhi aaja.maza aayega"ladki boli
"Haan....ab...mujhe kya chal dekhte hai",dhadakte dil ke saath disha bhi chal di cobra martial arts school
COBRA MARTIAL ARTS SCHOOL
Aakash ko saamne varun dikha,wahi varun jisne us nihatye aur Masoom aakash par torcher kiya tha
"Swagatam"cobra martial school ke trainer se swagat kiya muskurate hue
"Mujhe bataya gaya ki tum hamare martial arts student ko challenge karna chahte ho,waise aaj tak to kisi ki himmat nahi hui,lekin mujhe badi asha thi ki aisa kab hoga,tumhare wajah se wo bhi mumkin hua"trainer bola
"Waise mujhe us ladke se ladna hai"aakash ne pin point kiya varun ki aur iske saath hi varun ki aankhen chamak gayi
Aakash ke class ke lagbhag saare students aaye hue the
Disha bhi bade Gour se dekh rahi thi aur halke se tension me thi.golu bhi haath jodkar bhagwan se duaen maang raha tha
"Aaj to tu gaya aakash malhotra, hospital me bed reserve karwa le"varun apna haath malte hue bola
Charo aur varun varun ki dhwani sunai de rahi thi,jaise varun ko dekhne ke liye sab aaye hue the
Aakash ne koi reaction nahi diya
"To fight shuru karo"trainer ne ishara kiya
Aakash muskuraya aur varun ke saamne khada ho gaya
Varun ne vaar karne ke liye apna haath lehraya aur aakash ne beech me hi rok liya
KARRDDD
"MUMMY RE...."varun chillaya.uska haath toot chuka tha
Sab jo varun ka naam chilla rahe the chup ho gaye.sannata cha gaya charo aur
"Aaj tujhe aise todunga aise todunga.ki kabhi kisi majboor ki majboori ka fayda nahi utha payega"aakash ne dheere se varun se kaha
Varun halka sa shocked hua
"Tu gaya ab aakash ke bachhe tu gaya...hiyaaaa"uchal kar maarne ke liye hawa me lahraya varun ,lekin aakash ne ek laat maara pair me
KARRDDDDDD
"HAAHHHHHHH MAR GAYA"cheekha gala faadkar varun
Simran aur alicia ko yakeen hi nahi ho raha tha
Aakash ne dekh ki disha usi ki aur dekh rahi thi.lekin jaise hi disha ne aakash ko apni aur dekhte paaya usne muh ghuma liya
"Ye meri behen ko chhedne ke liye aur pehla vaar mujhe satane ke liye"aakash bola
Varun lachari se dekh raha tha aakash ko, aakash ke saamne aate hue varun peecha hatne lag gaya
"Door raho mujhse,door raho, please... please"varun darte hue bola
Aakash muskuraya
"Itna khush hone ki zaroorat nahi hai ,tumhara agla opponent mai khud hoon"trainer saamne khada ho gaya
Aakash ke honto par ek muskurahat tair gayi