Story -
दहशत
writer -
Raj_sharma
Rating - 8.5/10
ek rahasyamay aur bhayanak kahani hai jo ise padhne wale ko ek aise safar par le jaati hai jaha vastavikta aur kalpana ke beech ki rekha dhundhli ho jaati hai. Kahani centre Prabhas hai, jo apne jeevan me anek ajeeb aur bhayanak ghatnao ka saamna kar raha hai. Uski bachpan ki mangetar Suhashini ki aatma, jo ek durghatna me mar chuki hai, uske jeevan mein wapas aati hai aur uske liye uljhan aur bhay ka kaaran ban jaati hai.
Kahani ki shuruaat se hi suspense aur rahasya ka mahaul bana rehta hai. Tapakta pani, gayab hoti car, aur bhayanak chehre wala auto driver jaisi ghatnaaye reader ko ant tak jode rakhti hai. Raj bhai ne isme characters ki psychological depths ko bhi achhe se darshaya hai, jahan Prabhas ka patan aur uski mansik sthiti ka varnan prabhavshali hai. Uske darr, bechaini, aur badhte huye paagalpan ko khubsurati se darshaya gaya hai, jo kahani ko aur bhi rochak banata hai.
Suhashini ka Prabhas ke prati prem aur uska use vapas paane ka junoon kahani ka ek pramukh paksh hai. Ye prem aur moh ki ek aisi kahani hai jo hadd paar kar jaati hai, aur ye darshata hai ki aatma ka prem kitna gehra aur amar ho sakta hai. Lekin kahani mein kuch kuch bate unclear bhi hai. Kuch ghatnaye aur unke peeche ka karan spasht nahi hai, jo uljhan me daal dete hai. Kya ye sab Prabhas ke dimaag ka khel hai ya sach me koi pretatma uske peeche padi hai, yeh sawal kahani ke dauran reader ke dimaag mein bana rehta hai.
Kuch ghatnaye thodi zyada dramatic lagti hai, jo kahani ke prabhav ko kam karti hai aur end thoda jaldbazi mein niptaya gaya hai aisa lagta hai, jaha Suhashini ke moksh ka varnan aur vistar se kiya ja sakta tha. Ye kahani ek aise safar ki yaad dilati hai jo bhay aur prem ke beech jhoolta rehta hai, aur reader ko sochne par majboor karta hai ki kya sach mein aatma ka prem itna shaktishaali ho sakta hai.
overall ye ek rochak aur bhayanak kahani hai jo reader ko sochne par majboor karti hai. Isme suspense rahasya aur psychological depth ka sundar mel hai. Halaki, kuch kamiyo ke bawajood, ye kahani ek yaadgar anubhav chhod jaati hai.