• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Vengeance ~ Revenge is sweet [ᏚᎩᏚᎢᎬᎷ]

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Who are your two favorite male characters in this story?

  • Total voters
    317

Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,928
21,292
144
UPDATE 83 ~
(Raksha Bandhan)

Sardar Ji Sweets
Manali ~ 3:47 PM

“Aarav putar kithe aa?”

Aarav: Haan Ji Sardar Ji? Kuch kaam tha kya?

Aarav neeche baith ker counter ke andar mithai rakh raha tha, Sardar Ji ki awaaz ko sunte he Aarav khada ho gaya, Sardar Ji dukan ke maalik the aur Avinash ke yanha per ek mitr bhi the.

Sardar Ji: Kithe c? Khana khane nahi gaya kya?

Aarav: Sardar Ji customer bohat zyada aa rahe the! Abhi main theek hu baad me kha lu ga.

Sardar Ji(Glare): Ek number ka gadha he rahe ga na tu? Udhar daikh tujhe dhundhte huwe kon yanha aa gaya hai.

Sardar Ji ki baat sun ker Aarav ne darwaze ki taraf daikha to usko Urvi khari huwi dikh gayi, Urvi ko wanha daikh ker Aarav bhi thoda chaunk gaya, Ye pehli baar nahi huwa tha ke Aarav khane ke liye ghar na gaya ho.

Sardar Ji: Aj ke liye tera sab kaam pura ho gaya hai! Behno ko aise intezar me khade nahi rakhte, Ye bhi pakad le, Usko kuch le ker de dena.

Sardar Ji ne kuch paise nikal ker Aarav ko pakada diye, Aarav unko hairat se daikhne laga, Abhi sirf month ka mid he tha aur usne salary ko already advance me bhi liya huwa tha.

Aarav: Sardar Ji! Ye kya hai? Abhi to-

Sardar Ji: Customer zyada aa rahe ye to dikh raha hai! Kyu aa rahe yaad bhi hai kya tujhe? Kya din hai aj?

Sardar Ji ki baat sun ker Aarav mobile ko nikal ker daikhne laga, Usko sach me kuch bhi yaad nahi tha.

Aarav: Raksha Bandhan? Ye kaise bhool gaya? Urvi 4 din se keh bhi rahi thi aur main bina bataye kaam per aa gaya.

Din ka pata lagte he Aarav ke chehre ke rang ud gye, Usko aise daikh ker Sardar Ji ko gussa bhi aa raha tha.

Sardar Ji: Ab khade mobile he daikhta rahe ga kya? Bachi kab se udhar khadi huwi hai, Dukan to Parth bhi daikh le ga.

Aarav ne Parth ko daikha to kirti ne uske haath per rakhi baandh di huwi thi, Aarav usko ghurne laga ke usne yaad kyu nahi karwaya, Uski halat daikh ker Parth ko bhi hansi aa rahi thi.

Aarav: Tujhe to main daikh lu ga! Ye yaad rahe ga.

Aarav Parth ko sunate huwe baahir nikal aya, Urvi muh fulaye huwe usko he daikh rahi thi, Usne haath me thali pakadi huwi thi.

Urvi: Bhool gye the na?

Aarav: Nahi! Kisne kaha? Mujhe to bohat dinon se yaad tha, Ye to bus huwa he kuch ais......*Sigh*.....Haan, bhool gaya tha.

Aarav bahane banane laga tha, Lekin usko bhi pata tha ke Urvi ko pata hai ke wo kab sach bolta hai aur kab jhoot bol raha hota hai, Aarav ne apne kaan pakad liye.

Aarav: Sorry!

Urvi(Sigh): Huh, Ab to kya he ker sakti hu? Kismat me ek bhulakar bhai he likha huwa tha, Shubh muhurat ka samay nikal raha hai, Yanha baithiye.

Urvi ne Aarav ko Dukan me side per rakhi huwi chair per baitha diya, Aarav seedha ho ker baith gaya, Urvi ne thali uthayi aur Aarav ne uska sar kapade se dhak liya.

Aarav ne Urvi ko daikha to uski hansi nikal gayi, Abhi gusse se bhari huwi Urvi ek pal me badal ker serious ho gayi thi, Urvi ne ek baar usko ghur ker daikha to uski battisi band ho gayi

Urvi ne kumkum aur chawal se Aarav ke tilak laga diya, Uske baad Aarav ne haath aage kiya to Urvi usko rakhi bandhane lagi, Ye Rakhi Urvi ne khud banayi thi to usko aur bhi khushi ho rahi thi.

Uske baad Urvi he sab kuch karti rahi aur Aarav baitha usko daikhta raha, Unke pita ke guzarne ke baad unko aise kuch lamhe he milte the, Aarav ko bhi pata tha ke Urvi uska saath dene ke liye kya kuch ker rahi hai.

Urvi: Ab gift?

Urvi ne haath aage karte huwe kaha, Aarav ne uske haath me paise rakh diye aur uska haath pakad ker usko apne paas baitha liya.

Aarav: Urvi, Papa ne kabhi bhi dikhaya nahi tha! Lekin unhone hamesha hamari raksha ki hai, Ab tak main kuch khaas ker to nahi saka hu, Lekin main vachan leta hu ke ane wali har mushkil me teri raksha karu ga.

Aarav ne Urvi ki aankhon me aankhen daal ker kaha, Aarav ki baat sun ker Urvi ki bhi aankhon me aansu aa gye, Lekin uske chehre per khushi se muskurahat thi.

Urvi(Smile): Mujhe ap ke kahe gye har ek shabd per vishwas hai! Lekin........Ap ko meri raksha se pehle khud ko bachane ke baare me sochna chahiye hai.

Urvi ne kehte huwe thali se mithai utha ker Aarav ke muh me thuns di, Aarav uske liye taiyar he nahi tha aur Urvi usko daikh ker hansne lagi.

Urvi(Giggle): Hahahaha! Kaisi lagi?

Aarav(Annoyed): Urviiiii!

****
Sayani Mansion
Vansh's Room ~ 8:15 PM

*Groan*

“Huh?”

Aarav kursi per baitha baitha kab khayalon me kho gaya usko pata he nahi laga, Aarav ne saamne daikha to Vansh uske bistar per laita huwa karah raha tha.

Aarav ne usko 24 ghanton tak uski kutton wali halat bana ker rakh di thi, Essence of healing monarch ke khatam hote he Vansh unconscious ho gaya tha, Aarav usko utha ker uske kamre me le aya tha.

Vansh(Groaning): Unghhhh! Sonia?

“Hi”

Aarav Vansh ko bulate huwe uth ker khada ho gaya, Aarav ki presence ka ehsaas hote he Vansh ke saamne 24 ghante ki film ki tarha chalne lage, Aarav ko daikhte he uski bolti band ho gayi.

Vansh ka shareer abhi bardasht se bohat zyada dard ker raha tha, Lekin Aarav ko daikhte he dard ki jagha dar ne le li.

Aarav ne kursi ko utha ker Vansh ke paas rakh diya, Vansh uski taraf daikh ker he khauf aa raha tha, Aarav baitha sirf usko daikh raha tha.

Vansh: A-A......A-Ab k-kya chahate ho? Sab k-kuch to le liya hai, Ab maar kyu n-nahi dete? Y- Ye mujhe kya huwa hai?

Vansh ne uthne ki koshish ki per uski body paralyzed thi, Vansh ki baat ko sun ker bhi Aarav sirf uski taraf daikhta he raha, Uski khamoshi ab Vansh ke aur bhi raungte khade ker rahi thi.

Aarav: *Sigh*

Aarav ne uski taraf daikhte huwe inventory se kuch nikal ker Vansh ke saamne rakh diya, Vansh ne usko daikha to ek seeshe ki Jar ke andar ek worm rakha huwa tha.

[Item: Yin and Yang Twin Worms]

[Rank: S]

[Description: The Ying and Yang Twin Worms are a pair of symbiotic creatures bound by an unbreakable connection. Their souls are intertwined, sharing senses, emotions, and experiences. This means that if one worm feels pain, the other will feel it too, and any injury inflicted upon one will be mirrored in the other]

[Shared Senses and Emotions: The worms experience the world through each other, granting them a unique perspective and heightened awareness. They share not only physical sensations but also emotions, making them deeply connected]

[Symbiotic Existence: The worms are dependent on each other for survival. If one worm dies, the other will immediately begin to devour itself, a process that takes decades to complete. The surviving worm will remain trapped within its own memories, unable to escape the torment until its body is fully consumed]

[Possession: The Ying and Yang worms can possess a person's body by entering their mind. The host will experience the world through the worms' shared senses and emotions, feeling everything they feel. This means that if one worm is injured, the host will feel the pain as well. If one worm dies while the other is possessing a person, the surviving worm will begin to devour the host's body. The host will be trapped within their own memories, unable to escape until their body is fully consumed]

Item: Yin and Yang Twin Worms

Rank: S

Description:

Yin aur yang twin worm 2 symbiotic creature ka joda hai unke beech ka connection unbreakable hai! Unki soul, Sabhi senses, emotions aur experience ek dusre se connect hai, Uska matlab ke agar ek worm ko dard hota hai to wo dusre ko bhi ho ga.

Shared Senses and Emotions: Worms ek dusre ke zariye sab kuch experience karte hai, Ye unko heightened awareness feta hai, Unki sirf physical sensation nahi emotions bho ek dusre se gherayi me connect hai.

Symbiotic Existence: Worms ek dusre per nirbhar hai, Agar ek worm marta hai to dusra bhi turant khud ko devour karna shuru ker deta hai, Lekin ye process sadiyan leta hai aur tab tak worm uski yaadon ke samundar me kaidi rehta hai, Jab tak uska pura shareer devour na ho jaye.

Possession: Yin and yang worm dusro ke shareer ko possess ker sakte hai unke mind me ghus ker, Shareer ke maalik bhi worms ke zariye duniya ko experience kare gye, Unke senses, emotions aur feeling sab kuch, matlab ke agar ek worm ghayal hai to shareer ka maalik bhi dard mehsoos kare ga, Agar possession ke duran ek worm mar gaya to bacha huwa worm shareer ke maalik ka Shareer devour karna shuru ker de ga, Shareer ka maalik uske yaadon ke samundar me kaid ho jaye ga jab tak worm uska shareer devour na ker le.

Aarav: Yin and Yang Twin Worms hai! Ye dono he bohat khaas species hai, S rank monster hone ke baad bhi kisi ko bhi pata nahi hai ke ye kya hai, Sab ko lagta he ke ye 2 bekar monster hai, Kyu ke ye dono he bohat fragile monster hote hai, Dono itne fragile hai ke ek phoonk bhi dono ko maar sakti hai.

Vansh: *Shivering*

Aarav: Lekin dono phir bhi S rank monster hai! Kyu ki dono ka aur bhi khatarnak Use hai, Ye khud se to harmful nahi hai, Lekin dono ka sahi Use kisi ke liye bhi narkh ban sakte hai, Kabhi daikhe hai kya?.......Yaad aya, Ye to tum ne he baiche the na?

Vansh phati aankhon ke saath Aarav ko daikh raha tha, Aarav ko ye worms peter ne diye the, Lekin ye underground auction per Vansh ne he diye the, Usko material ke liye paise chahiye the to usne unko bekar samajh ker de diya tha.

Vansh(Shivering): D-Dusra kanha hai?

Unke naam ki tarha he wo 2 twins worms the, Lekin Vansh ko Jar ke andar ab tak sirf ek he worm dikhayi diya tha, Vansh ka saval sunte he Aarav ke chehre per gehri muskurahat aa gayi.

*Ting*

Aarav ne Jar ke baahir halka hit kiya to ek sharp noise hone lagi, Worm buri tarha se tadapne laga, Lekin udhar Vansh bhi utni awaaz se he tadapne laga, Uska sar bhari hone laga tha.

Aarav: Yanha!

Aarav ne Vansh ke sar ki taraf point karte huwe kaha, Vansh ki halat aur bhi bigadne lagi thi, Aarav ne Vansh ko dusre worm ka host bana diya tha, Ab Vansh bhi worms se connect ho gaya tha.

[Inventory]

Aarav ne inventory ke andar se ek heater, needle aur icecubes nikal liye, Sab kuch daikh ker Vansh ko bhi pata lag gaya ke Aarav kya karne wala hai.

Vansh(Sweating): Kyu ker rahe ho ye sab kuch? Maar kyu nahi dete? Aakhir chahate kya ho?

Vansh ki strong mentality ab khatam ho gayi thi, Lekin ab worms se connect hone ke kaaran Vansh bilkul bhi unconscious nahi ho sakta tha, Usko sab kuch khud se bardasht karna tha, Sirf soch ker he uski ruh kaanp rahi thi.

Aarav: Sirf ek sach! Ek sach sunana hai.

Vansh: K-Kaisa sach?

Aarav: Huh....... Archana Ji ki Suicide ke peeche ka raaz kya hai?

Vansh: K-Kaisa raaz? U-Unko mental issue h-h-ho gye the.....D-Doctors ne bhi ye h-he bataya th....tha.

Vansh ki baat sun ker bhi Aarav uski taraf daikhta raha, Vansh ab Aarav se nazre churane laga tha.

Aarav: You're lying, Vansh! I'm not going to waste my time with your lies.

Vansh: L-l-lying? Ye s-sach tha.

Aarav ne uski baat ko ansuna ker diya aur Jar ko utha liya, Usko aise Jar uthate daikh ker Vansh ki shakal runasi ho gayi, Aarav ne Jar ko utha ker Icecube ke upar rakh diya.

Vansh(Shivering): Brrr! A-Aarav, S-sach to ba-bataya hai.

Vansh ko aisa laga ke kisi ne usko nanga ker ke baraf ki silli ke upar ulta laita diya ho, Lekin ye sab sirf usko feel he ho raha tha, Uski body ko bilkul bhi damage nahi ho raha tha.

Vansh Aarav ko bulata raha, Lekin Aarav uski kisi baat per bhi dhayan nahi de raha tha, Ice cube ke puri tarha se pighalne tak Aarav Vansh ko tadapte huwe daikhta raha.

Vansh(Freezing): K-Kyu?

Aarav: Kya? Kya keh rahe ho? Lagta hai ke thand ke kaaran se bolna mushkil ho raha hai? Huh, Help karta hu.

Aarav ne heater utha ker Jar ke paas rakh ker chalu ker diya, Vansh ko shuru me to kuch sakoon milne laga, Lekin kuch pal ke baad he usko aisa lagne laga ke usko kisi ne garam bhatti ke andar daal diya ho.

Vansh: Aghhhhhhh! Aaravvvvvv!! Batata hu, Sab kuch ba....batata hu.

Vansh se ab aur bilkul bhi bardasht nahi ho raha tha, Lekin uske kehne per ke baad bhi Aarav ne heater ko band nahi kiya aur usko aise he tadapne diya.

Vansh(Scream): Aarav! Pleaseeeeeee!!! Ab aur nahi bardasht ho raha.

Vansh ki aankhon se aansu nikalne shuru ho gye the, Ek player ho ker bhi uske liye ye bohat mushkil tha, Vansh Aarav ke aage girgirane ke liye bhi taiyar tha.

Aarav(Sigh): Huh, Ek chance! Ek chance he de raha hu, Ab ki baar sach hona chahiye hai.

Aarav ne heater ko band ker diya, Vansh khud ko sambhalne laga, Uski halat bohat bigad gayi thi, Uske liye kuch seedhi tarha se sochna bhi mushkil ho raha tha.

Vansh: Maa.........Maa ka dimagi santulan bilkul theek tha! Sayani parivar khatam ho gaya tha, Ab main sab kuch apna banana chahata tha, Lekin......Lekin Maa beech me aa rahi thi, Main ne doctor ko paise de ker Maa ko mental patient bata ker asylum bhej diya, Unko....Unko shock therapies bhi di gayi, Lekin mujhe nahi pata tha ke Maa suicide ker le gi, Usme meri galti bilkul bhi nahi thi.

Aarav ko uski baat sun ker ab gussa bhi nahi aa raha tha, Usko ache se pata tha ke Vansh kitna ghatiya insan tha.

*Ba-dump*

Lekin uske dil me ek ajeeb tarha ka dard hone laga tha, Uske saamne Archana ke dardnak lamhe dikhayi dene lage, Aarav ek baar dobara khud ko bebas mehsoos ker raha tha.

Aarav(Sigh): Huh......Vanshika? Uske saath kya kiya?

Vansh: Vanshika? Haan......Vanshika bohat samay tak chupi huwi thi.......Lekin din wo waapis aa gayi, Maa ko lene ke liye, Lekin M-main ne usko bhi pakad liya.....Maa ka naam le ker usko blackmail kiya, Sonia se shaadi karne ke liye main ne uski shaadi Neel se karwa di thi......Lekin Maa ke baad uske paas rukne ka kaaran nahi tha, Neel ke marte he wo bhi bhaag gayi thi.

Vansh Aarav ki soch se bhi zyada gatiya tha, Uski baate sun ker Aarav ke andar sirf uske liye nafrat badh rahi thi.

Vansh: Ab to sab bata diya hai na? Now, Kill me please!

Aarav: Sure!

Aarav ne kehte huwe ek baar dobara Jar ko utha liya aur usko kholne laga, Ye daikh ker Vansh hairan ho gaya.

Vansh: Y-Ye kya ker rahe ho?

Aarav: Vansh, you're the absolute lowest scum I've ever known! You don't even deserve the luxury of dying.

Aarav ne worm ko Jar se baahir nikal ker side table per rakh diya, Vansh khauf se usko daikhne laga, Aarav ne needle ko utha liya.

*Thud*

Aarav ne needle ko worm ke andar ghusa diya, Worm udhar he tadapne laga, Uske saath he Vansh bhi tadapne laga, Aarav ne uske sar per haath rakh diya.

[Ability (Mnemosyne's Gaze) Activated]

[You're editing target's memories]

Aarav ne Vansh ki kuch memories ko edit ker diya, Baahir gira huwa worm aakhir me dum tod he gaya.

[One of the yin and yang Worm has died]

[Surviving worm is starting to devour it's host! You are now trapped in your own memories until the worm completely devoured your body]

[Estimated time: 167 Years]

Vansh ka vision dhundhla hone laga, Usko Aarav bhi saaf dikhayi nahi de raha tha aur dheeme dheeme uski aankhon ka aage andhera chhane laga aur Vansh ki aankhe band ho gayi.

“Vansh”

“Vansh!......10 baj rahe hai”

“Vansh”

Vansh aankhe kholne laga, Uske saamne Sonia jhuki huwi usko utha rahi thi, Uske baalo se paani ki bunden tapak rahi thi aur shareer se khushbu aa rahi thi.

Vansh: Sonia?

Sonia: Shukar hai ke ap bhi uth gye! Sabhi neeche ap ka wait ker rahe hai, Ab uth gye hai to taiyar hone chalo.

Sonia kehne kee baad peeche ho gayi aur jaane lagi, Lekin Vansh ne uske haath ko pakad liya, Sonia uski taraf daikhne lagi.

Sonia(Blush): Vansh? Ab aur nahi! Ye sab kuch din me acha nahi lagta....Ab utho!

Sonia ne Vansh ko khinchate huwe utha diya aur bathroom tak le gayi, Vansh usko hairat se daikhta raha, Usko bathroom ke andar dhaka de diya aur darwaza band ker diya.

Vansh heraan tha, Lekin usne shower liya aur uske liye rakhe huwe kapdon ko pehan liya, Vansh baahir aya to Sonia bhi taiyar ho gayi thi.

Sonia: Chale?

Vansh: Huh? *Nod* Haan!

Sonia ne Vansh ke haath ko pakad liya aur uske saath baahir aa gayi, Baahir servant kaam ker rahe the, Vansh ko le ker Sonia Adarsh ke study room ki taraf ja rahi thi

Vansh: Sonia! Hum papa ke stud-

*Click*

Dono abhi study room ke paas he aye the ke darwaza khul gaya, Vansh ki aankhe aur bho hairat se khulne lagi, Darwaza kholne wali Archana thi.

Archana: Arey, aa gye tum dono? Ab kitna time lagane lage ho? Newly wed ho bhi to thoda dhayan diya karo.

Archana ne muskurate huwe kaha to Sonia sharma gayi, Vansh dono ko sirf daikh he raha tha, Sonia usko le ker study ke andar aa gayi.

Vansh: Huh?

Study ke andar usko Adarsh uski kursi per baitha huwa dikhayi diya, Uske paas he Aakash aur Saanvi baithe the, Dusri taraf Vanshika aur Neel baithe huwe the, Aarti bhi Adarsh ke paas khari huwi ek file khole Adarsh se baat ker rahi thi.

Archana: Adarsh? Family ke time per to ye sab kaam ki baate rehne diya karo.

Adarsh(Smile): Madam Ji ne kaha hai to ab se aisa he ho ga! Vansh khade kyu ho? Biwi ko bhi khade kiya huwa hai, Uska bhai kya kahe ga ke usne to hamari beti ko khush rakha hai aur hum uski behan ko baithne bhi nahi dete?

Adarsh ki baat ko sun ker sabhi hansne lage, Sonia ne Vansh ko khincha aur saath le ker baith gayi, Archana ne un dono ko chai pakada di.

*Tip*

Vansh ki aankhe bheeg gayi, Usne saamne daikha to sabhi khush ho ker baate ker rahe the, Uske saath Sonia uske haath ko pakade huwe baithi huwi thi.

Vansh(Smile): Sab kuch sirf ek bura sapna tha! Ye sachayi hai......Ye sab kuch sach hai, *Happy* Da- Huh?

Adarsh se baat karne ke liye Vansh uski taraf huwa, Lekin saamne ka drishya daikh ker Vansh ke haath se chai ka cup neeche gir gaya.

Adarsh uski kursi per he baitha huwa tha, Lekin uska sar desk per gira huwa tha aur khoon se latpat tha, Uske paas he ek kaale kapdon me vyakti khada huwa tha.

Vansh: Soni-

Vansh ne Sonia bulane laga, Lekin kamre me Adarsh uske aur kaale kapdon wale ke sivaye aur koi bhi nahi tha, Vansh bhaagte huwe Adarsh ke paas chala gaya.

Vansh: Dad! Dad! Ye kaise? *Weep* Kon ho tum?

Vansh ne usko pakadna ke liye aage badh gaya, Lekin vyakti udhar se baahir ki taraf bhaag gaya, Vansh bhi uske peeche bhaag gaya.

*Click*

Vyakti kamre se baahir nikal gaya, Vansh bhi baahir aa gaya, Lekin baahir ate he uske kadam dobara ruk gye, Uske kadam ladkhadane lage.

Vansh(Shivering): Maa?

Vansh ke saamne Archana ki laash latak rahi thi, Uske gale me fanda tha aur usko dusri taraf se vyakti ne pakda huwa tha.

Vansh(Furious): Stop!

Vansh gusse ke saath dobara uski taraf bhaagne laga, Vyakti upar Vansh ke kamre ke andar chala gaya, Vansh bhi bhaagte huwe andar chala gaya.

“Vansh?”

Vansh ke kamre me ghuste he usko Sonia ki awaaz sunayi di, Vansh ne udhar daikha to uski saanse bhaari hone lagi, Sonia bed per nangi laiti huwi thi, Usne tangen failai huwi thi.

“Vansh?”

Sonia ki tangon ko pakade huwe ek aadmi baith huwa tha, Vansh ne uski taraf daikha to uska gussa badhne laga.

Vansh(Furious): Aaravvvvvvv!

Vansh Aarav ki taraf bhaagne laga, Usne Aarav ko pakad ker bed se utaar diya aur uska gala pakad liya.

*Stab*

Vansh ne Aarav ko pakada he tha ke uski chhati se ek talwar nikal ayi, Vansh peeche ho gaya, talwar ko Sonia ne pakade huwa tha.

*Thud*

Vansh neeche gir gaya, Sonia kaanp rahi thi, Aarav ne aage badh ker usko gale se laga liya usko thapthapane laga, Vansh ki aankhe gusse se laal ho rahi thi.

*Tuck*

*Tuck*

Vansh ko uske paas kisi aur ka bhi ehsaas huwa, Usne udhar daikha to kaale kapdon wala vyakti usko daikh raha tha.

Vansh(Groan): K-Kon h.....ho tum?

Vansh ki baat sun ker vyakti ne uska hood utaar diya, Uska chehra daikh ker Vansh ki halat aur bhi badtar hone lagi, Hood ke peeche ka chehra uska apna he tha.

Vansh khud ko he daikh raha tha, Uski aankho ke aage andhera chhane laga aur uski aankhe band hone lagi.

Sonia peeche hone lagi to Vansh ne usko pakad liya, Sonia usko herani se daikhne lagi.

Vansh: Nahi! Nahi! Sab kuch kharab ho jaye ga, Sonia, Hum neeche nahi jaye gye.

Sonia: Vansh! Kya ho gaya hai? Agar kuch tabiyat theek nahi hai to ap rest ker sakte ho.

Sonia Vansh se alag ho gayi aur Vansh ko herani se daikhne lagi, Vansh buri tarha se kaano raha tha.

Sonia: Ap ruko! Abhi ap ke liye medicine le ker ati hu....Ap tab tak Vanshika ka dhayan rakh sakte ho na?

Vansh: Vanshika?

*Clang-Clang*

Vansh ko paas se he kuch Kharakne ki awaaz sunayi di, Vansh ne saath daikha to Vanshika chains me bandhi huwi neeche giri huwi thi, Vanshika gusse Vansh ko he ghur rahi thi.

Vansh: Vanshika?

Vanshika ke upar kisi ne laat rakhi huwi thi, Vansh ne upar daikha to uske saamne ek baar dobara kaale kapdon me wo khud khada huwa tha, Uske haath me Vanshika ki chains thi.

“No matter what route you took, Vansh! it will always lead to the same end, Your destruction”

Kaale kapdon wale Vansh ne muskurate huwe kaha aur usne Vanshika ki chain ko chhod diya, Vanshika bhaagte huwe Vansh per kud gayi aur daanto se aur nakhunon se usko cheedne faadne lagi.

Vansh(Scream): Aghhhhhhhh!

*Blackout*

“Vansh”

“Vansh!......10 baj rahe hai”

“Vansh”

****
Sayani Mansion
New-York ~ 6:57 AM

*Tuck*

*Tuck*

*Tuck*

Aarav Sayani mansion ke andar se baahir aa gaya, Usne haath me ek bag pakada huwa tha, Mansion ke baahir ek barrie bana huwa tha.

“Master”

Ek taraf se Tinkerbell tezi se udte huwe ayi aur uske kandhe per baith gayi, Aarav ne upar daikha to barrier khatam hone laga.

Aarav: Kuch zyada hard kaam de diya tha kya?

Tinkerbell: Aur nahi to kya? 43 Hours tak barrier bana ker rakha hai! Sonia aur slave ko he andar ane diya tha, Unke sivaye aur koi bhi andar jhank bhi nahi saka.

Aarav(Smile): Thank You! Huh?

Aarav ne saamne daikha to udhar Barbie car ke saath khada huwa tha, Usko daikhte he Barbie aage aa gaya aur uske haath se bag le liya.

Barbie: Good Morning! Young master.

Aarav ne bhi usko bag de diya aur Barbie ne uske liye darwaza khol diya, Aarav car me peeche baith gaya, Bag ko rakhne ke baad Barbie driving seat per baith gaya.

Aarav: Kya situation hai?

Barbie: Ap ki party bilkul theek hai! Kunle ko minor injuries thi, Lekin wo bhi khatre se baahir hai, Abhi ap ki party puri battle ki detail report association ko de rahi hai, ap ke liye Yoo-Jung ki taraf se message tha ke association ke saath sab kuch khatam hone ke baad wo ap se milne aye gi.

Aarav(Breath): Thank You! Ab batao gye ke tum help kyu ker rahe ho?

Barbie: Ye main ap ko yanha per nahi bata sakta! Hamare liye abhi bhi ek private jet ready hai, Lekin agar ap ka kuch bhi kaam baaki hai to hum pehle wo bhi ker sakte hai.

Aarav: Kaam?.....Ek jagha per jaana baaki hai, Uske baad hum kanhi bhi ja sakte hai.

Aarav ne aage ho ker Barbie ko location bata di, Barbie location set karne ke baad car chalane laga, Aarav comfortable ho ker baith gaya.

Tinkerbell: [Master ap agar ye wala slave banao to main bohat khush ho jaungi! Ye ache se slavery bhi ker sake ga]

Aarav(Smile): [Barbie slave nahi hai! Kam se kam hamara slave nahi hai, Lekin tumhe bhi to ek diya hai na? Kya naam diya tha usko?]

Tinkerbell(Sigh): [Aayush? Usko naam dene per kitna socha tha main ne! Lekin wo kisi bhi kaam ka nahi hai, Upar se uska ego to, Ughhhh!]

****
Unique Hospital
Surat ~ 5:26 PM

“Haath kaise lagaya be? Haath ukhad ker gaand me daal du ga be, Madarchod”

Aayush hospital ke andar tha, Uska collar pakade huwe ek ladka usko beech me le ker khada tha, Uske saath he ek ladki khadi huwi thi.

“Kya huwa beta?”

“Kuch huwa hai kya?”

“Kya kiya isne?”

Unke paas bheed hone lagi, Ye daikh ker Ladka aur bhi confident ho gaya.

Ladka: Bhai sahab Ladies washroom me ghuse huwe the! Ye lady andar gayi to usko ghurne lage aur to, che che, Kya he batau ap ko, Aur kehte hai ke galat kya kiya hai?

“Kya zamana aa gaya hai”

“Logo ko to sharam he nahi hai”

“Police ke havale ker dete hai! 4 din thane rahe ga to pata lage ga ke galat kya kiya hai”

Aayush(Mumble): Kisi ko bhi maarna nahi hai! Farmhouse ke baahir kisi ko bhi maarna nahi hai..... Kisi ko bhi*Annoyed* Kisi ko bhi maarna nahi hai, Agar kisi ko bhi maara to chamakne wale keere ki baate sunani ho gi *Annoyed*

“Sorry! Sorry! Aayush se galti huwi hai, Inko thoda nazar kam ata hai to galti ho gayi ho gi”

Bheed ko cheerte huwe ek Ladki aage aa gayi, Aayush ne sar utha ker daikha to uske saamne Nandini khadi huwi thi, Usne haath jode huwe the.

Ladka: Tum kya lagti ho iski?

Ladke ki baat sun ker Nandini Aayush ke paas aa gayi.

Nandini: Ye Mere boyfriend hai! Please, Ye ek galti thi to maaf ker de.

Ladki: Agar aisa tha to theek hai! Lekin aage se dhayan rakhna.

Ladke ke paas khadi huwi Ladki ne Aayush ko maaf ker diya, Lekin Aayush kisi se bhi maafi nahi chahta tha, Uska gussa badh raha tha.

Bheed kam hone lagi, Nandini ne Aayush ka haath pakada aur usko le ker baahir aa gayi.

Nandini: Kya ho tum? Washroom bhi khud se nahi ja sakte kya? Kis pathar ke neeche zindgi guzar rahe the?

Aayush: Ye main nahi bata sakta! Ab uski kya halat hai? Kya naam tha uska?

Nandini(Sigh): Ishika! Abhi bhi hosh nahi aya....Tum sure ho na ke hamay uske ghar batane ki zaroorat nahi hai?

Nandini ki baat sun ker Aayush ki halat bhi kharab ho gayi, Usko aura se Ishika ko dur rakhne ke liye kaha tha, Lekin uska Aura usko bhi thoda hit ker gaya tha.

Ye he kaaran tha ke Ishika abhi hosh me nahi ayi thi, Lekin usko kuch bhi khatra nahi tha to Aayush uske hosh me ane ka wait ker raha tha.

Aayush: Usko rest chahiye hai! Main ne bhi daikh liya hai, Usko kuch bhi khatra nahi hai, Lekin kisi ko bhi batana nahi hai.

Nandini: Fine! Lekin tum bhi stupidity thodi kam ker do.

Aayush(Nod): Thank You!

****
The "Forgotten Souls" graveyard
New-York ~ 8:09 AM

*Tuck*

*Tuck*

*Tuck*

Aarav graveyard ke raaste per chalte huwe aage badh raha tha, Usne haath me Roses pakade huwe the, Aarav ek kabar ke aage aa ker ruk gaya.

Veronica Carmichael
November 2, 1987 - March 13, 2013
Her spirit soared, a flame that burned bright.
A love that lives on, forever in the light.

Veronica: Kitna time lagate ho baate karne me tum sabhi! Pata hai kab se baahir khari huwi thi main? Main pehle aa sakti thi lekin Awkward ho jata sab kuch, Wo sab choro, Tum batao itni jaldi accident karwa ker Coma me chale gye tum *Chuckle* Virginity tootne ki itni khushi ho gayi thi kia?

Veronica(Emotional): Kia huwa hai Idiot? Aise darao mat mujhe, Pehle he mujhe samajh nahi aa rahi kiu mujhe tumhari itni parwah ho rahi hai, Mujhe aur mat uljhao.

Veronica: Then don't use me as a tool for your sadness! Use me as a tool for your happiness, Let me be there for you, not out of obligation, but because being with you brings me joy too.

Aarav usko daikh ker ek pal ke liye tham sa gaya, Usko daikhte he Aarav ko uska chehra yaad ane laga, Uske sab se down moment per uska saath dene wali tab Veronica he thi.

“Young Master”

Barbie bhi Aarav ke paas aa gaya, Aarav ne Roses ko uski grave per rakh diya aur dono aise he khade ho gye.

Barbie: Young Master! Kya main kuch keh sakta hu?

Aarav: Sure!

Barbie: Thank You! Hannah ne ek badi galti ki thi, Lekin ap ke maaf karne per mujhe bohat khushi huwi hai, Thank You.

Aarav(Scoff): Huh, Thank You! Tum ne bhi meri bohat help ki hai, Kaaran kuch bhi ho farak nahi padta, Lekin tum ne help ki uske liye main thankful hu.......*Sigh*

Barbie: Kuch aur bhi puch sakta hu kya?

Aarav: *Nod*

Barbie: Are you regretting it now, Young master? Now you've fulfilled your vengeance, are you regretting it now?

Aarav(Scoff): Regret? Lekin kyu? You know what? Whoever said “'The best revenge is to be unlike him who performed the injury” “Living well is the best revenge”... they're all nothing but liars! They're the people who never even experienced it in the first place, All of them are just spouting whatever they want to say.

Barbie: So how would you explain revenge?

Aarav(Look): Main? Revenge? Hmm,
Revenge is..... Sweet!

****
Singh's Farmhouse
Nagpur ~ 2:31 PM

“Ab tilak laga”

Singh parivar baahir baitha huwa tha, Unke saamne Tanu aur Kunal khade huwe the aur Priya unke paas khadi thi, Tanu kunal ke rakhi baandh rahi thi aur Priya usko sab kuch bata rahi thi.

Priya: Ab rakhi kunal ki kalayen per bandh do! Uske baad mitha khilana hai.

Tanu ne thali se rakhi uthayi aur Kunal ko bandhne lagi, Lekin uske chehre per ek udaasi thi, Rakhi bandh ker Tanu ne usko mithai khila di.

Kunal: Tanu! Ye waali rakhi kyu nahi bandhi mujhe?

Kunal ne Tanu ke haath me pakadi huwi rakhi ki taraf ishara karte huwe kaha, Uska ishara daikhte he Tanu ne rakhi chupa di.

Tanu: Ye ap ki nahi hai! Ab ap gift do aur chalte bano.

Priya(Smile): Ye Tanu ne special khud se Aar-

Tanu: Chachi! Ap ne bhi to Papa ko rakhi bandhani thi na?

Priya(Smile): Haan, Ab tum logo ke baad hamari he baari hai! Lekin dukh huwa ke Ishika aur Aarav dono he yanha nahi hai.

Priya ki baat sun ker Tanu ke chehre per bhi udaasi aa gayi, Priya ko bhi ehsaas ho gaya ke usne galti ker di hai.

Kunal: Ahem! Ab hum se pasandida bhayia bhi aa gye hai kya?

Tanu: Aisa kuch nahi hai! Y-Ye unko main ne welcome gift nahi diya to uske liye cover ker rahi hu.

Kunal: Aisa kya? Waise meri to ek pasandida behan hai.....Lekin wo abhi yanha nahi hai....Haye meri pasandida behan kanha hai?

Tanu(Angry): Bhayia! Aisa hai to theek hai, Waise mere liye wo pasandida ho ya na ho, Lekin Aarav ke liye unki sab se pasandida behan main he hu.....Meri jagha koi bhi nahi le sakta, beeee!

****
Charles de Gaulle Airport
France ~ 7:56 PM

Aarav: Paris? Yanha kya hai?

Barbie: You'll find out soon!

Aarav ka sab paperwork already ho gaya tha to usko kuch bhi issue nahi huwa ane ke liye, Aarav aur Barbie terminal 1 se baahir aa gye.

Aarav(Stunned): What the fuck?

Aarav ne saamne daikha to uske naam ka ek board uske saamne tha, Lekin usko aise hairan karne wala board nahi tha usko pakadne wala insaan tha.

Aarav: Aakash? Lekin aakash to coma me tha n- Damn it, why the fuck am I still getting surprised by anything anymore?

Aakash Aarav ke naam ka board pakad ker khada huwa tha, Aarav ko pata tha ke wo kya ker raha hai, Aakash aise he Aarav ke pehli baar newyork ane per usko lene aya tha.

Aakash: Aarav!

Aarav ko daikhte he Aakash bhi aage aa gaya aur usne seedhe Aarav ko gale se laga liya, Aarav usko daikhne laga, Lekin ye real Aakash he tha.

Barbie: Master, Young Master! Ap car me bhi baate ker sakte hai.

Barbie ki baat sunte he dono aage badh gye, Aarav ko ab samajh aa rahi thi ke Barbie kiske orders per uski madad karne ke liye aya tha, Archana ke message se usko ye bhi pata lag gaya tha ke Aakash aur Vansh ke beech uske kaaran ladai bhi huwi thi.

Lekin usko ab ye baat kab se khatak rahi thi ke Aakash uske sage bhai per Aarav ko kyu chhune ga? Aakash uski car khud le ker aya tha to Barbie key's le ker driving karne laga.

Aakash: Kuch puchna hai to puch sakte ho? Abhi sab kuch nahi bata sakta, Lekin kuch baate bata sakta hu.

Aarav: Kya tum sach me coma me the?

Aakash: Coma me? Nahi! Lekin kuch similar condition me tha, Uss raat ladne ke liye main ne apna pura Qi core exhaust ker diya tha, Uske baad Qi depletion ke kaaran se mujhe 4 saal core recover karne ke liye lag gye the, Lekin core recover hone ke baad bhi main abhi zyada move nahi ker sakta.

Aarav(Stare): Qi core?

Aakash(Nod): Haan! Lekin ab konsa aur kya ye main abhi nahi bata sakta.

Aarav: Fine! Lekin kya puch sakta hu ke tum ne Vansh per mujhe kyu chunna? Vansh tumhara saga bhai th-

Aakash(Stare): Vansh mera saga bhai nahi tha! Tum mere sage bhai ho.

Aakash ne straight face ke saath kaha to ek pal ke liye Aarav bhi chaunk gaya, Utne saal ke baad bhi Aarav Aakash ki presence ke saamne kuch bhi bolne se pehle soch raha tha.

Lekin Vansh ke baare me sun ker Aarav ab chup nahi reh sakta tha, Uske mann me bhi bohat se saval the, Un sab ka javab Aakash ke paas tha.

Aarav: Vansh saga bhai nahi hai? Lekin kais-

Barbie: We've arrived! Master, Young master.

Barbie ki awaaz sun ker Aarav bhi chup ker gaya, Abhi Aarav ke paas kaafi samay baki tha, Aarav aaram se sab kuch samajhna chahta tha.

*Click*

“Sayani Mansion?”

Aarav car se baahir nikla aur saamne he Sayani mansion ki name plate daikh ker chaunk gaya, Sayani Mansion ki tarha ye bada to nahi tha, Lekin ye ghar bhi kaafi bada tha.

Aakash(Nod): Ye hamara ghar hai! Ab se hum yanhi rahe gye.

Aarav: Hum?

Aakash ne uske puchne per bhi kuch nahi kaha, Barbie ne Aarav ka bag nikaal liya aur teeno andar chal diye, Sayani mansion ki tarha he ye bhi servants se bhada huwa tha, Lekin sabhi servant baahir khade huwe the.

Aakash: Aarav!

Aarav: Kya?

Aakash: Aarav, Andar kuch guest baithe huwe hai! Karne ko to tum kuch bhi ker sakte ho, Lekin ek baar baat ko sun lena.

Aakash kuch bhi aisa kehne walo me se nahi tha, Lekin agar wo aise keh raha tha to Aarav ko bhi ehsaas ho gaya ke ye guest kuch khaas hai.

*Click*

Aakash ne darwaza khola aur sab andar aa gye, Aakash peeche reh ker Aarav ko aage chalne de raha tha, Ab Aarav ko bhi chinta hone lagi thi.

Tinkerbell: [Master! Kuch gadbad hai]

Aarav: [Hmm! Lekin kuch bhi khatra nahi hai]

Aarav ki baat sun ker Tinkerbell bhi chup ker gayi, Aarav ke saath baat ker wo abhi uska dhayan nahi bhatkana chahati thi.

“Aarav”

*Ba-dump*

*Ba-dump*

*Ba-dump-Ba-dump*

*Gasping*

Ek awaaz, Sirf ek awaaz ne Aarav ki dil ki dhadkane badha di, Uske liye saans lena bhi mushkil hone lagi, Uski aankhe laal hone lagi.

[Player is overflowing with hatred! Player's emotions are now unstable]

[Warning!]

[Player is losing his emotions! Player is letting his negative personality take over him]

[Flash Steps]

*Woooosh*

*Grasped*

Aarav ek pal me he hall ki ek side se dusri side per pohanch gaya tha, Uske haath me kisi aurat ka gala pakada huwa tha, Aurat ki saanse ghut rahi thi.

“Oy-”

[Alpha Presence Activated]

Ek pal me Aarav ki taraf badhte kadam ruk gye, Unke liye khada rehna bhi mushkil ho raha tha, Lekin Aarav ki nazare uske haath me pakadi aurat per thi.

Aarav: Yanha kya ker rahi hai ap? Maa?

[
Check]

[Name: Varsha Arya

Level: The Ascendant Level Qi User

Relationship: Mother]

Aarav ke haatho me uski sagi Maa Varsha thi, Lekin Aarav ka ye roop daikh ker bhi Varsha dar nahi rahi thi, Uska haath Aarav ke chehre per aa gaya.

Varsha(Sad): Aarav! you look just like him.

[Alpha Presence is shaking]

Aakash: Aarav! Let her go! I know you're not ready to kill her... yet!

*Thud*

Aarav ne Varsha ko chhod diya, Lekin uski nazar abhi bhi Varsha per thi, Varsha uski blood intent ko ache se mehsoos ker sakti thi, Lekin uske chehre ki udaasi ko daikh ker Aarav zyada samay ke liye uski taraf daikh nahi saka.

*Knock-Knock*

Darwaze per dastak huwi to Barbie Aakash ki taraf daikhne laga, Aakash ne nod karte huwe usko jaane ke liye keh diya.

Aakash(Smile): Aarav! Surprises aren't over yet.

Aarav: Huh?

“Mr. Barbie! Ap ka patient coma se kya baahir aa gye ap to gayab he ho gye, Ap ko pata hai interns ap ko kitna miss ker rahe hai”

Ek Ladki Barbie se baate karte huwe andar aa gayi, Usne haath me kuch gift pakade huwe the aur ache se taiyar ho ker ayi thi.

Ladki: Mom? Suhani? Ap dono kab se aa gayi hau? Mujhe laga tha ke hum hospital se saath he nikle gy-

*Hug*

Ladki baat karte huwe he beech me he ruk gayi, Uski aankhe hairat se khul gayi thi, Uski nazar kabhi Barbie ki taraf thi to kabhi Varsha ki taraf thi aur kabhi uske gale lage huwe Aarav ki taraf thi.

a71b55bfc8a9b09087a3e64f47bbb791.jpg

Aarav(Crying): Urvi!

*END OF VENDETTA ARC*
 
Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,928
21,292
144
Alright, folks, that's the end of the Vendetta Arc! It was a wild ride for me, too! We just took down one of the main villain in the story, and it's been a crazy journey so far :approve:

When I first started, I thought the whole story would be about 80 updates and 300-400 pages! But here we are, with over 550 pages, almost a million views, and 11,000 reactions! You can see why my schedule estimates are always off :shy:

So, the Vendetta Arc is done, and you got a little peek at what's coming in the Forged Bond Arc! It won't be as action-packed as this one, but I have a good feeling it's going to be awesome :pray:

Now, guess what time it is? It's vacation time! Like I said, I'm going to take a break after each arc to keep from going bonkers. So, I'll be chilling until September 15th :hippi:

Of course, I gotta throw in a little bait, right? :laugh: If update 83 gets 150 reactions, I'll cut my vacation short and be back on September 5th instead of the 15th :shhhh:

Take care, my friends, and I'll see you when I get back! :flybye:

*New Poster*

20240820-043159-0000.png
 
Salty~Otaku

ᴺᵒ ᴹᵃᵗᵗᵉʳ ᵂʰᵃᵗ ᴵ’ᵐ ᶜˡᵒᶜᵏⁱⁿᵍ ᴼᵘᵗ ᴮʸ ˢⁱˣ
Prime
1,928
21,292
144
Amazing update

Msst bhai
Mzza aw gya
Next uodate me I guess Sara past open hoga
And hopefully sex bhi higa
So waiting for that

Ys bro
Me to wait hi kr rha tha update ki

Zabardast update

सबसे ज्यादा अच्छा बदला।
मजा आ गया।

awesome evils mind update bro 👹👹👹😈

Bro shandar fantastic updated bro ladai majadar thi bro

Bhai Kia hi kahu...kahne ke liya words Kam par jayenge...Kia khub dia hai update...maza aa gaya...next update ka besabri se intejar rahega bhai....

Salty~Otaku bhai bohat hi zabardast update. I must say ki yah ab tak ka sab se best update thaa story ka wow it's called the perfect revenge. Ya yun kahay ki maut se zada maut ka dar hota hai jo ki ab Arav ne Vansh ke dil me betha diya hai regeneration se mar nahi sakta aur Arav uske jeene nahi dega but Vansh ki death se Arav ka revenge complete ho jayega to story ka title to yahi pura ho jayega ya phir koi naya Salty twist aaney wala hai phir se jaisa aapka abhi tak ka record raha hai jaisa soch ke rakho to aakhir me ek dum change.
Abhi to Urvi ko wapas aana hai coz koi to le gaya thaa usko aur jo koi bhi lekar gaya hai woh abhi tak bilkul silent hai to woh kuch na kuch to karega hi. Arav bhi energy full absorb kar chuka thaa aur uski wajah se khud hurt hone wala thaa plus blast bhi honey wala thaa. Jaisa usne Tinkerbell ko bola ki jao yaha se phir kabhi wapas nahi aana kyu usko apne se alag kia hai aur Tinkerbell bhi mehsus ho gaya thaa ki Arav blast ho sakta hai yah ghussey ka blast thaa ya puri body blast. Coz 1 million stones ka mana absorb kia hai.
Aakhir yojung ki mulaqat Arav se ho gayi hai aur Daisuke bhi aanker mil liya apne jigri se ek tarah se purey group ki re union ho gayi hai. Magar ab yah reunion kitni der ki hai coz Arav ka kiya banega is vansh se ladai ke baad. Sab ke sath aapki next update ke intezar hoga and again bro. Yah aapka ab tak ka best hai lekin hopefully abhi better than the best aana baqi hoga.

Bhai update bhut badiya
Lakin pata nhi emotion feel hi nahi huwa
Bhai galt way mein mat lena lakin pata nahi q emotion feel hi nahi huwa
Aisa feel huwa ki ek normal fight thi ya fir muje hi kuch zada hi umeed thi
Par bhai update badiya tha

Is schedule ke hisab se next update to shayad 2 din me aana chahiye :hyper:but abhi itni zabardast update ka hangover khatam nahi hua hai. Koi nahi 4 din diye humne aap apne ko acche se tayyar kar ke isk Arc ko khatam kijiyega. We all are with you and your story.

Dhamakedar update

Jabardast update 🔥 👍🏻
Vansh ki abhi aur kutai Kari ,itna asaani se nahi chhorna usko

Mind blowing isse kehte hai Zabardast update

Awesome update

Beutiful update Bhai.

Nice update

mast behtreen update

Awesome update bro

Super update hai Bhai

Superb update

Sach Fantastic Update

Kya hi kahu Bhai is update ka teacher student ka emotional scene, dosto reunion hona, or subse barhi bat ek bete ko uske baap ki jagah dena what scene man

Hannah Araav se larh rhi thi jab k usko pata hai k wo usse nhn Jeet sakti but wo fir bhi samna karna chah rhi thi but ek hi war me wo knock out ho gai , arav ne usko nhn mara kyn k Barbie k uspe bht Ahsan thy is liye usko zinda chor diya warna arav ne toh kasam Khai thi k Jo bhi mere revenge k beech aega wo mare ga. Jaise machiel Aya tha wo arav ko samjha rha tha l, but Arav ne usko hi path parha diya mia ke through

HAnnah apne Bhai k liye vansh ka sath de rhi thi jaise wo usko Azad Kara sake but barbie to khud ki Marzi se Akash k sath hai kyn k wo Akash k sath loyal hai,

but ek bat abhi bhi sar k uper gai kyn k pehle kabhi uska zikar nhn hua tha, Ellis Kon hai wo Inka Bhai hai Yan Hannah ka lover bux ye cheeze samjh nhn ai

Ab aty hai humare one and only Arav k taraf, vansh ne usko bht Barhkane ki koshish ki but arav ka wo last dialogue Jo dimensions me Jane se pehle tha wo yad karwaya or usko regeneration potion de Kar betahasha Dard diya vansh ko jaise wo mar na saky or usko Dard bhi milta rhe

Or toh or usne vansh se uski Wife ko cheen k jitna Dard diya wo toh usse bardasht nhn hoga or last me Maarne ki bat Kar rha tha k kill me

Such a nice story
Keep posting & waiting for next update

Please give update as soon as possible

Fantabulous update dear bro. Congrats. Waiting for Vanish Sayani's ultimate fate in your upcoming update dear bro. Wordless to describe this update, beyond my vocabulary

Nice update

Awesome, amazing, beautiful, Shandaar, nice update and excellent story

Great update. Akhir purane team members mil hi gaye aur unko milane ka tareeka interesting tha, Aarav ka intense aura aur Daisuke ke contacts. Michael jahan tak abhi soch me tha ki usko Aarav ka saath dena chahiye ya nahi, is baar koi hichak nahi. Weh Demonic Cult aur rogue players se seedhe mukabla nahi karna chahta tha, lekin Aarav ki team ke saath aane se uske doubts clear ho gaye.

Yoo-Jung ki intelligence, uska Aarav se kehna ki weh ja kar Vansh se badla le, usko Black Pegasus dena, Tinkerbell bhi impress ho gayi. Sabse badi baat, Andrew ke ladke Kunle ko bhi apni team me le lena, ek tarah se Andrew ko honour karna tha, ab Kunle ki progress bhi exponential hogi.

Michael ne jis tarah se ranking samjhayi, 'S' rank, Star Rank, isase pata laga ki Aarav ki team kitni powerful hai. Aur honi bhi chahiye thi, agar Aarav Infinite Prison me nahi banish hota, shayad itne players banane ki jarurat hi nahi padti. Sabse badi baat thi ki Aarav apni team members ko bhi jaldi grow karta tha, jaise Malia, Akansha aur Tarun. Weh ab tak 'A' level tak to pahunch hi chuke honge. He is truly a Star Maker.

Chalo ek guess to theek nikla, Vansh ke pass weh aurat Hannah hi thi, usko bhi Vansh ne apni chalaki se blackmail kar liya tha.

Rune Graving ka idea bhi kamal ka tha, Aarav shuru se hi Deepak aur Vansh ke saath khel raha tha. Itne Mana Stones ki energy lene ke baad mujhe laga tha ki shayad Evil God ka Heart pura bhar gaya hoga, lekin keval 10%. Nainsafi hai. Waise Aarav ke pass Limitless Growth ki unique Ability hai, shayad abhi hidden hai, kya weh Infinite Mana Energy store nahi kar sakta...

Yeh [Essence of Healing Monarch] padh kar hi bahut khatarnak lag rahi thi, mujhe lag raha tha ki agar Aarav isko kabhi lega to iske negative effects kitne harmful honge. Isko to dushman par hi use karna chahiye. Padh kar maza aa gaya, Vansh toot kar judta rahega aur dard me bilakhta rahega. Sonia bhi ab usase alg ho gayi hai. Ab dekhna hai ki kya weh Aarav ko maaf kar pati hai ki nahi kyonki Aarav ne usko bata diya ki usne bhi usko Vansh ke nazdeek aane ke liye use kiya hai.

Ek chinta ho rahi hai, Akash bilkul akela rah gaya hai.

Next update me shayad Aarav ke team members apas me milenge aur Derek ke baare me details pata lagega. Waise yeh Ellis kaun hai, lag to raha hai ki Barbie aur Hannah ka bhai hai. Demonic Cult aur Stone Monarch se dushmani le kar next ladai ki neev to rakh di hai lekin abhi to next arc 'Forged Bonds' hai, isme naam se to lagta hai ki Aarav ke team ki aur family members ki bonding strong hogi. Let's see what points and Abilities Aarav gets on completion of his quest of taking revenge from Vansh.

Update late aaya lekin isme sab kuch

Update der se aaya lekin isme sab kuch tha

Pyar
Nafrat
Dard

&
Lots of emotions

Vansh ka chapter close ho gaya Aarav & Party k re union hone ka time hai ab

Nice update bhai super

Shandar jabardast awesome update Bhai

Bhai mein hamesha hi wait krunga jab tak story complete na hojay
Muje kuch galt way mein nahi bol Raha hu bas jaisa laga muje

Romanchak update.. Steven aur Emily ko maarkar sahi kaam kiya aur Emily ko mauka nahi diya maafi maangkar bhi ..

vansh to Puri taiyari karke baitha tha potion pee peekar ,par aarav ka saamna nahi kar paya ek second bhi .
aarav sahi se badla le raha hai vansh ko maut dekar ,generate karo phir dobara maaro .

michael ka dimaag jabardast hai jo aarav ko apne side rakhne ki planning kar raha hai ,jo star ranking ki baat kahi usse lagta hai ki aarav ki koi limit hi nahi hai filhal .

sonia ko bhi alag kar hi diya vansh se ,potion ki wajah se strong mind tha vansh ka aur chehre pe darr bhi nahi maut ka par jo pain hai body ka uska kya karega .

Bahut badhiya or mast update

1. Idhar arav ki party ka reunion ho gaya ha jahan tsubame arav ko dekhkar bilkul emotional ho gayi akhir arav uska pasandida student tha ir 11 sal bahut bad intezar hota ha wo uske liye uski family member jaisa ho gaya tha or uper se sab use bhul gaye the to tsubame or dukhi rahti thi but ab dono mil gaye han or waise bhi arav ko jitna kisi ne nahi kuta usse jyada tsubame ne use dhoya ha :winknudge::winknudge::winknudge::winknudge:
Ye khatti mithi yaden ha jo badlengi nahi

2. Idhar you jung hamesha ki tarah serius hi thi arav ke milne per bhi wo apna emotional side kisi ko nahi dikhati wo bad me akele me imtiyan se arav se mil legi kyonki abhi arav ko abhi bahut se sawalon ke jawab dena ha sabko

3. Idhar micheal in sabko bata raha ha ki you jung in sabse jyada shakti shali ha or arav usse bhi jyada shakti shali lekin inhe nahi pata you jung ke pas ye power arav ke dwara hi to ayi ha jab wo luna bani thi to jo banda power de sakta ha uski power ki limit detect karna in sabke bas ki bat nahi ha kyonki rank se power ka asli andaza nahi lagaya ja sakta or arav ki guild ke member bhi inhe surpass kar denge kyonki training dene wala khud arav ha or wo sab arav se ek bind dwara connected ha to powerful to honge hi na isliye michael mia ko arav ki guild me dalna chhahta ha or ab ye arav ke raste me bhi nahi ayega

4. Idhar hanah bhi pagal ha jo is vansh ka sath dene ke liye aa gayi are isko kisne keh diya ki barbie ki vansh ajad kar dega jabki barbie ka bas na chale to eo khud vansh ko mar de wo to arav ke karan ruka hua tha kher barbie ki wajah se hanah ko chhod diya arav ne nahi to nipta deta use bhi idhar barbie ne samjha diya hanah ko ki wo akash ko kisi kimat per nahi chhodega chhahe akash hi mana kar de bhai loyalty ho to aisi

5. Idhar soniya ko bhi pata pad gaya vansh ki sachhai chalo achha ha nahi to arav vansh ko nipta deta or soniya ko sach pata nahi padta to wo arav ko hi dosh deti rahti kher jo hua badhiya hi hua

6. Idhar last me kya revenge le raha ha arav tinkerbell ko bhi bahar nikal diya bechari tinkerbell bhi arav se dar gayi kyonki arav ka shikar ab samne ha or jo sara gussa ha ab nikal raha ha arav ka or kya kuta raha ha mar raha ha wo potion pilane ke bad na jinda rah e de raha ha na marne de raha ha arav to apne words ko pura karne pe tula ha baki koi bahi aya kya andar itni der se arav andar laga hua ha bella tsubame daisuke yoo jung kya koi andar nahi aya ya fir shayd tinkerbell ne rok rakha ha

Shandar bhai....

So it's time to complete the Bazar quest"True to my words".
lekin system Ne is quest ko complete karne ke liye Kuchh points Rakhe the...
1..Take away Vansh's power, reputation and his pride.....
joki Arya Ne bakhubi pura Kiya Apne sister ke Murder Ka video ko leak Karke .

2..Make Sonia Sayani yours and use her as a pawn to suffer Vansh... system ke dwara diye Gaye is point ko bhi Arya Ne bakhubi pura Kiya..Soniya ko apne niche sula kar.

3..Make his every loved one against him and make him alone....... present time me Vansh ko jo sabse Jyada Pyara tha vah Thi uski Patni Sonia Jisko Arya ne yah Sach Bata diya tha ki Uske bhai aur Pita ka Katil Vansh hai aur Sonia Ne Bhi Ek clear kar liya video dikha kar Vansh ko..

4..Make Vansh remember what he did to you and torture him to point where he doesn't wanna live anymore and regret doing wrong to you.... so yes Arya Ne bakhubi Yad dilaya Vansh ko ki usne uske sath kya kiya tha... lekin Vansh bhi Jabardast hramkhor Banda hai use Arya se dar Na Lage iske liye usne Kai Sare potion ko ek sath pi liya tha... jisse uski mentality Jabardast unchaiyon per thi.... Jab Arya Ne uska dusra Hath bhi uthakar fenk diya tab bhi vah Dara nahin tha yah use potion ka hi Kamal tha......

lekin Arya ne bhi usko Dard dene ke liye Kai Salon Ka Intezar kiya tha to vah usko Aise Hi To Nahin Maar sakta tha..

Ek aisa dava jo 24 ghante k liye regenrative ability rakhta ho ...usko Arya ne kewal vansh ko torcher karne k kiye use kiya...... isase saaf Pata Chalta Hai Arya ke Nafrat gussa ka level Vansh ke Prati kitna hai..

Lag to yahi raha hai ki Arya usko 24 ghante tak pelena ka vichar banaya hua hai.... Kyunki Vansh ka jo Himmat hai vah apne antim chhor per a gaya tha aur chik chik kar Kah Raha Hai "Please kill Me".
5..Killing Vansh Sayani before him remembering you will result in failure to quest..
Ye to Arya kudh nahi chata tha ki vansh use yad kiye bina hi mar jaye..na ..na ..na..

6..Reward:- 30% Stats Unsealed].... to rewards bhi Jabardast hai... Jahan Tak Mujhe Yad hai Aarav ka current seald stats 60% ya 65% hai..
lekin Yahan per Keval stats ko hi unsil karne ki baat ki gai hai system ki ability Ko Nahin ...Kya Main Sahi hun writer Sahab??????

Shandar Jabardast action revenge se Bhara update raha hai..

Amazing update hai bhai

Nice update bro

Zabardast 💯🔥🔥🔥

Waiting for next one

Bahut mast update hai bhai

Aj update aaye ga

Aj update aega Kya Salty~Otaku

Same question?

Aaj update aayega ki nhi 🧐

Okay Bhai

Intezar rahega bhai

Okk bhai... waiting

Awesome update and nice story

Time to Bata dete bhai

Okk...bhai

Bro Abhi tak pora nhi howa

Bhai main abhi tak wait kar raha hon kaho to so jao
Update 83 has been posted Guys!!! :catwoah:
 
Raj kalita

Member
301
294
63
UPDATE 83 ~
(Raksha Bandhan)

Sardar Ji Sweets
Manali ~ 3:47 PM

“Aarav putar kithe aa?”

Aarav: Haan Ji Sardar Ji? Kuch kaam tha kya?

Aarav neeche baith ker counter ke andar mithai rakh raha tha, Sardar Ji ki awaaz ko sunte he Aarav khada ho gaya, Sardar Ji dukan ke maalik the aur Avinash ke yanha per ek mitr bhi the.

Sardar Ji: Kithe c? Khana khane nahi gaya kya?

Aarav: Sardar Ji customer bohat zyada aa rahe the! Abhi main theek hu baad me kha lu ga.

Sardar Ji(Glare): Ek number ka gadha he rahe ga na tu? Udhar daikh tujhe dhundhte huwe kon yanha aa gaya hai.

Sardar Ji ki baat sun ker Aarav ne darwaze ki taraf daikha to usko Urvi khari huwi dikh gayi, Urvi ko wanha daikh ker Aarav bhi thoda chaunk gaya, Ye pehli baar nahi huwa tha ke Aarav khane ke liye ghar na gaya ho.

Sardar Ji: Aj ke liye tera sab kaam pura ho gaya hai! Behno ko aise intezar me khade nahi rakhte, Ye bhi pakad le, Usko kuch le ker de dena.

Sardar Ji ne kuch paise nikal ker Aarav ko pakada diye, Aarav unko hairat se daikhne laga, Abhi sirf month ka mid he tha aur usne salary ko already advance me bhi liya huwa tha.

Aarav: Sardar Ji! Ye kya hai? Abhi to-

Sardar Ji: Customer zyada aa rahe ye to dikh raha hai! Kyu aa rahe yaad bhi hai kya tujhe? Kya din hai aj?

Sardar Ji ki baat sun ker Aarav mobile ko nikal ker daikhne laga, Usko sach me kuch bhi yaad nahi tha.

Aarav: Raksha Bandhan? Ye kaise bhool gaya? Urvi 4 din se keh bhi rahi thi aur main bina bataye kaam per aa gaya.

Din ka pata lagte he Aarav ke chehre ke rang ud gye, Usko aise daikh ker Sardar Ji ko gussa bhi aa raha tha.

Sardar Ji: Ab khade mobile he daikhta rahe ga kya? Bachi kab se udhar khadi huwi hai, Dukan to Parth bhi daikh le ga.

Aarav ne Parth ko daikha to kirti ne uske haath per rakhi baandh di huwi thi, Aarav usko ghurne laga ke usne yaad kyu nahi karwaya, Uski halat daikh ker Parth ko bhi hansi aa rahi thi.

Aarav: Tujhe to main daikh lu ga! Ye yaad rahe ga.

Aarav Parth ko sunate huwe baahir nikal aya, Urvi muh fulaye huwe usko he daikh rahi thi, Usne haath me thali pakadi huwi thi.

Urvi: Bhool gye the na?

Aarav: Nahi! Kisne kaha? Mujhe to bohat dinon se yaad tha, Ye to bus huwa he kuch ais......*Sigh*.....Haan, bhool gaya tha.

Aarav bahane banane laga tha, Lekin usko bhi pata tha ke Urvi ko pata hai ke wo kab sach bolta hai aur kab jhoot bol raha hota hai, Aarav ne apne kaan pakad liye.

Aarav: Sorry!

Urvi(Sigh): Huh, Ab to kya he ker sakti hu? Kismat me ek bhulakar bhai he likha huwa tha, Shubh muhurat ka samay nikal raha hai, Yanha baithiye.

Urvi ne Aarav ko Dukan me side per rakhi huwi chair per baitha diya, Aarav seedha ho ker baith gaya, Urvi ne thali uthayi aur Aarav ne uska sar kapade se dhak liya.

Aarav ne Urvi ko daikha to uski hansi nikal gayi, Abhi gusse se bhari huwi Urvi ek pal me badal ker serious ho gayi thi, Urvi ne ek baar usko ghur ker daikha to uski battisi band ho gayi

Urvi ne kumkum aur chawal se Aarav ke tilak laga diya, Uske baad Aarav ne haath aage kiya to Urvi usko rakhi bandhane lagi, Ye Rakhi Urvi ne khud banayi thi to usko aur bhi khushi ho rahi thi.

Uske baad Urvi he sab kuch karti rahi aur Aarav baitha usko daikhta raha, Unke pita ke guzarne ke baad unko aise kuch lamhe he milte the, Aarav ko bhi pata tha ke Urvi uska saath dene ke liye kya kuch ker rahi hai.

Urvi: Ab gift?

Urvi ne haath aage karte huwe kaha, Aarav ne uske haath me paise rakh diye aur uska haath pakad ker usko apne paas baitha liya.

Aarav: Urvi, Papa ne kabhi bhi dikhaya nahi tha! Lekin unhone hamesha hamari raksha ki hai, Ab tak main kuch khaas ker to nahi saka hu, Lekin main vachan leta hu ke ane wali har mushkil me teri raksha karu ga.

Aarav ne Urvi ki aankhon me aankhen daal ker kaha, Aarav ki baat sun ker Urvi ki bhi aankhon me aansu aa gye, Lekin uske chehre per khushi se muskurahat thi.

Urvi(Smile): Mujhe ap ke kahe gye har ek shabd per vishwas hai! Lekin........Ap ko meri raksha se pehle khud ko bachane ke baare me sochna chahiye hai.

Urvi ne kehte huwe thali se mithai utha ker Aarav ke muh me thuns di, Aarav uske liye taiyar he nahi tha aur Urvi usko daikh ker hansne lagi.

Urvi(Giggle): Hahahaha! Kaisi lagi?

Aarav(Annoyed): Urviiiii!

****
Sayani Mansion
Vansh's Room ~ 8:15 PM

*Groan*

“Huh?”

Aarav kursi per baitha baitha kab khayalon me kho gaya usko pata he nahi laga, Aarav ne saamne daikha to Vansh uske bistar per laita huwa karah raha tha.

Aarav ne usko 24 ghanton tak uski kutton wali halat bana ker rakh di thi, Essence of healing monarch ke khatam hote he Vansh unconscious ho gaya tha, Aarav usko utha ker uske kamre me le aya tha.

Vansh(Groaning): Unghhhh! Sonia?

“Hi”

Aarav Vansh ko bulate huwe uth ker khada ho gaya, Aarav ki presence ka ehsaas hote he Vansh ke saamne 24 ghante ki film ki tarha chalne lage, Aarav ko daikhte he uski bolti band ho gayi.

Vansh ka shareer abhi bardasht se bohat zyada dard ker raha tha, Lekin Aarav ko daikhte he dard ki jagha dar ne le li.

Aarav ne kursi ko utha ker Vansh ke paas rakh diya, Vansh uski taraf daikh ker he khauf aa raha tha, Aarav baitha sirf usko daikh raha tha.

Vansh: A-A......A-Ab k-kya chahate ho? Sab k-kuch to le liya hai, Ab maar kyu n-nahi dete? Y- Ye mujhe kya huwa hai?

Vansh ne uthne ki koshish ki per uski body paralyzed thi, Vansh ki baat ko sun ker bhi Aarav sirf uski taraf daikhta he raha, Uski khamoshi ab Vansh ke aur bhi raungte khade ker rahi thi.

Aarav: *Sigh*

Aarav ne uski taraf daikhte huwe inventory se kuch nikal ker Vansh ke saamne rakh diya, Vansh ne usko daikha to ek seeshe ki Jar ke andar ek worm rakha huwa tha.

[Item: Yin and Yang Twin Worms]

[Rank: S]

[Description: The Ying and Yang Twin Worms are a pair of symbiotic creatures bound by an unbreakable connection. Their souls are intertwined, sharing senses, emotions, and experiences. This means that if one worm feels pain, the other will feel it too, and any injury inflicted upon one will be mirrored in the other]

[Shared Senses and Emotions: The worms experience the world through each other, granting them a unique perspective and heightened awareness. They share not only physical sensations but also emotions, making them deeply connected]

[Symbiotic Existence: The worms are dependent on each other for survival. If one worm dies, the other will immediately begin to devour itself, a process that takes decades to complete. The surviving worm will remain trapped within its own memories, unable to escape the torment until its body is fully consumed]

[Possession: The Ying and Yang worms can possess a person's body by entering their mind. The host will experience the world through the worms' shared senses and emotions, feeling everything they feel. This means that if one worm is injured, the host will feel the pain as well. If one worm dies while the other is possessing a person, the surviving worm will begin to devour the host's body. The host will be trapped within their own memories, unable to escape until their body is fully consumed]

Item: Yin and Yang Twin Worms

Rank: S

Description:

Yin aur yang twin worm 2 symbiotic creature ka joda hai unke beech ka connection unbreakable hai! Unki soul, Sabhi senses, emotions aur experience ek dusre se connect hai, Uska matlab ke agar ek worm ko dard hota hai to wo dusre ko bhi ho ga.

Shared Senses and Emotions: Worms ek dusre ke zariye sab kuch experience karte hai, Ye unko heightened awareness feta hai, Unki sirf physical sensation nahi emotions bho ek dusre se gherayi me connect hai.

Symbiotic Existence: Worms ek dusre per nirbhar hai, Agar ek worm marta hai to dusra bhi turant khud ko devour karna shuru ker deta hai, Lekin ye process sadiyan leta hai aur tab tak worm uski yaadon ke samundar me kaidi rehta hai, Jab tak uska pura shareer devour na ho jaye.

Possession: Yin and yang worm dusro ke shareer ko possess ker sakte hai unke mind me ghus ker, Shareer ke maalik bhi worms ke zariye duniya ko experience kare gye, Unke senses, emotions aur feeling sab kuch, matlab ke agar ek worm ghayal hai to shareer ka maalik bhi dard mehsoos kare ga, Agar possession ke duran ek worm mar gaya to bacha huwa worm shareer ke maalik ka Shareer devour karna shuru ker de ga, Shareer ka maalik uske yaadon ke samundar me kaid ho jaye ga jab tak worm uska shareer devour na ker le.

Aarav: Yin and Yang Twin Worms hai! Ye dono he bohat khaas species hai, S rank monster hone ke baad bhi kisi ko bhi pata nahi hai ke ye kya hai, Sab ko lagta he ke ye 2 bekar monster hai, Kyu ke ye dono he bohat fragile monster hote hai, Dono itne fragile hai ke ek phoonk bhi dono ko maar sakti hai.

Vansh: *Shivering*

Aarav: Lekin dono phir bhi S rank monster hai! Kyu ki dono ka aur bhi khatarnak Use hai, Ye khud se to harmful nahi hai, Lekin dono ka sahi Use kisi ke liye bhi narkh ban sakte hai, Kabhi daikhe hai kya?.......Yaad aya, Ye to tum ne he baiche the na?

Vansh phati aankhon ke saath Aarav ko daikh raha tha, Aarav ko ye worms peter ne diye the, Lekin ye underground auction per Vansh ne he diye the, Usko material ke liye paise chahiye the to usne unko bekar samajh ker de diya tha.

Vansh(Shivering): D-Dusra kanha hai?

Unke naam ki tarha he wo 2 twins worms the, Lekin Vansh ko Jar ke andar ab tak sirf ek he worm dikhayi diya tha, Vansh ka saval sunte he Aarav ke chehre per gehri muskurahat aa gayi.

*Ting*

Aarav ne Jar ke baahir halka hit kiya to ek sharp noise hone lagi, Worm buri tarha se tadapne laga, Lekin udhar Vansh bhi utni awaaz se he tadapne laga, Uska sar bhari hone laga tha.

Aarav: Yanha!

Aarav ne Vansh ke sar ki taraf point karte huwe kaha, Vansh ki halat aur bhi bigadne lagi thi, Aarav ne Vansh ko dusre worm ka host bana diya tha, Ab Vansh bhi worms se connect ho gaya tha.

[Inventory]

Aarav ne inventory ke andar se ek heater, needle aur icecubes nikal liye, Sab kuch daikh ker Vansh ko bhi pata lag gaya ke Aarav kya karne wala hai.

Vansh(Sweating): Kyu ker rahe ho ye sab kuch? Maar kyu nahi dete? Aakhir chahate kya ho?

Vansh ki strong mentality ab khatam ho gayi thi, Lekin ab worms se connect hone ke kaaran Vansh bilkul bhi unconscious nahi ho sakta tha, Usko sab kuch khud se bardasht karna tha, Sirf soch ker he uski ruh kaanp rahi thi.

Aarav: Sirf ek sach! Ek sach sunana hai.

Vansh: K-Kaisa sach?

Aarav: Huh....... Archana Ji ki Suicide ke peeche ka raaz kya hai?

Vansh: K-Kaisa raaz? U-Unko mental issue h-h-ho gye the.....D-Doctors ne bhi ye h-he bataya th....tha.

Vansh ki baat sun ker bhi Aarav uski taraf daikhta raha, Vansh ab Aarav se nazre churane laga tha.

Aarav: You're lying, Vansh! I'm not going to waste my time with your lies.

Vansh: L-l-lying? Ye s-sach tha.

Aarav ne uski baat ko ansuna ker diya aur Jar ko utha liya, Usko aise Jar uthate daikh ker Vansh ki shakal runasi ho gayi, Aarav ne Jar ko utha ker Icecube ke upar rakh diya.

Vansh(Shivering): Brrr! A-Aarav, S-sach to ba-bataya hai.

Vansh ko aisa laga ke kisi ne usko nanga ker ke baraf ki silli ke upar ulta laita diya ho, Lekin ye sab sirf usko feel he ho raha tha, Uski body ko bilkul bhi damage nahi ho raha tha.

Vansh Aarav ko bulata raha, Lekin Aarav uski kisi baat per bhi dhayan nahi de raha tha, Ice cube ke puri tarha se pighalne tak Aarav Vansh ko tadapte huwe daikhta raha.

Vansh(Freezing): K-Kyu?

Aarav: Kya? Kya keh rahe ho? Lagta hai ke thand ke kaaran se bolna mushkil ho raha hai? Huh, Help karta hu.

Aarav ne heater utha ker Jar ke paas rakh ker chalu ker diya, Vansh ko shuru me to kuch sakoon milne laga, Lekin kuch pal ke baad he usko aisa lagne laga ke usko kisi ne garam bhatti ke andar daal diya ho.

Vansh: Aghhhhhhh! Aaravvvvvv!! Batata hu, Sab kuch ba....batata hu.

Vansh se ab aur bilkul bhi bardasht nahi ho raha tha, Lekin uske kehne per ke baad bhi Aarav ne heater ko band nahi kiya aur usko aise he tadapne diya.

Vansh(Scream): Aarav! Pleaseeeeeee!!! Ab aur nahi bardasht ho raha.

Vansh ki aankhon se aansu nikalne shuru ho gye the, Ek player ho ker bhi uske liye ye bohat mushkil tha, Vansh Aarav ke aage girgirane ke liye bhi taiyar tha.

Aarav(Sigh): Huh, Ek chance! Ek chance he de raha hu, Ab ki baar sach hona chahiye hai.

Aarav ne heater ko band ker diya, Vansh khud ko sambhalne laga, Uski halat bohat bigad gayi thi, Uske liye kuch seedhi tarha se sochna bhi mushkil ho raha tha.

Vansh: Maa.........Maa ka dimagi santulan bilkul theek tha! Sayani parivar khatam ho gaya tha, Ab main sab kuch apna banana chahata tha, Lekin......Lekin Maa beech me aa rahi thi, Main ne doctor ko paise de ker Maa ko mental patient bata ker asylum bhej diya, Unko....Unko shock therapies bhi di gayi, Lekin mujhe nahi pata tha ke Maa suicide ker le gi, Usme meri galti bilkul bhi nahi thi.

Aarav ko uski baat sun ker ab gussa bhi nahi aa raha tha, Usko ache se pata tha ke Vansh kitna ghatiya insan tha.

*Ba-dump*

Lekin uske dil me ek ajeeb tarha ka dard hone laga tha, Uske saamne Archana ke dardnak lamhe dikhayi dene lage, Aarav ek baar dobara khud ko bebas mehsoos ker raha tha.

Aarav(Sigh): Huh......Vanshika? Uske saath kya kiya?

Vansh: Vanshika? Haan......Vanshika bohat samay tak chupi huwi thi.......Lekin din wo waapis aa gayi, Maa ko lene ke liye, Lekin M-main ne usko bhi pakad liya.....Maa ka naam le ker usko blackmail kiya, Sonia se shaadi karne ke liye main ne uski shaadi Neel se karwa di thi......Lekin Maa ke baad uske paas rukne ka kaaran nahi tha, Neel ke marte he wo bhi bhaag gayi thi.

Vansh Aarav ki soch se bhi zyada gatiya tha, Uski baate sun ker Aarav ke andar sirf uske liye nafrat badh rahi thi.

Vansh: Ab to sab bata diya hai na? Now, Kill me please!

Aarav: Sure!

Aarav ne kehte huwe ek baar dobara Jar ko utha liya aur usko kholne laga, Ye daikh ker Vansh hairan ho gaya.

Vansh: Y-Ye kya ker rahe ho?

Aarav: Vansh, you're the absolute lowest scum I've ever known! You don't even deserve the luxury of dying.

Aarav ne worm ko Jar se baahir nikal ker side table per rakh diya, Vansh khauf se usko daikhne laga, Aarav ne needle ko utha liya.

*Thud*

Aarav ne needle ko worm ke andar ghusa diya, Worm udhar he tadapne laga, Uske saath he Vansh bhi tadapne laga, Aarav ne uske sar per haath rakh diya.

[Ability (Mnemosyne's Gaze) Activated]

[You're editing target's memories]

Aarav ne Vansh ki kuch memories ko edit ker diya, Baahir gira huwa worm aakhir me dum tod he gaya.

[One of the yin and yang Worm has died]

[Surviving worm is starting to devour it's host! You are now trapped in your own memories until the worm completely devoured your body]

[Estimated time: 167 Years]

Vansh ka vision dhundhla hone laga, Usko Aarav bhi saaf dikhayi nahi de raha tha aur dheeme dheeme uski aankhon ka aage andhera chhane laga aur Vansh ki aankhe band ho gayi.

“Vansh”

“Vansh!......10 baj rahe hai”

“Vansh”

Vansh aankhe kholne laga, Uske saamne Sonia jhuki huwi usko utha rahi thi, Uske baalo se paani ki bunden tapak rahi thi aur shareer se khushbu aa rahi thi.

Vansh: Sonia?

Sonia: Shukar hai ke ap bhi uth gye! Sabhi neeche ap ka wait ker rahe hai, Ab uth gye hai to taiyar hone chalo.

Sonia kehne kee baad peeche ho gayi aur jaane lagi, Lekin Vansh ne uske haath ko pakad liya, Sonia uski taraf daikhne lagi.

Sonia(Blush): Vansh? Ab aur nahi! Ye sab kuch din me acha nahi lagta....Ab utho!

Sonia ne Vansh ko khinchate huwe utha diya aur bathroom tak le gayi, Vansh usko hairat se daikhta raha, Usko bathroom ke andar dhaka de diya aur darwaza band ker diya.

Vansh heraan tha, Lekin usne shower liya aur uske liye rakhe huwe kapdon ko pehan liya, Vansh baahir aya to Sonia bhi taiyar ho gayi thi.

Sonia: Chale?

Vansh: Huh? *Nod* Haan!

Sonia ne Vansh ke haath ko pakad liya aur uske saath baahir aa gayi, Baahir servant kaam ker rahe the, Vansh ko le ker Sonia Adarsh ke study room ki taraf ja rahi thi

Vansh: Sonia! Hum papa ke stud-

*Click*

Dono abhi study room ke paas he aye the ke darwaza khul gaya, Vansh ki aankhe aur bho hairat se khulne lagi, Darwaza kholne wali Archana thi.

Archana: Arey, aa gye tum dono? Ab kitna time lagane lage ho? Newly wed ho bhi to thoda dhayan diya karo.

Archana ne muskurate huwe kaha to Sonia sharma gayi, Vansh dono ko sirf daikh he raha tha, Sonia usko le ker study ke andar aa gayi.

Vansh: Huh?

Study ke andar usko Adarsh uski kursi per baitha huwa dikhayi diya, Uske paas he Aakash aur Saanvi baithe the, Dusri taraf Vanshika aur Neel baithe huwe the, Aarti bhi Adarsh ke paas khari huwi ek file khole Adarsh se baat ker rahi thi.

Archana: Adarsh? Family ke time per to ye sab kaam ki baate rehne diya karo.

Adarsh(Smile): Madam Ji ne kaha hai to ab se aisa he ho ga! Vansh khade kyu ho? Biwi ko bhi khade kiya huwa hai, Uska bhai kya kahe ga ke usne to hamari beti ko khush rakha hai aur hum uski behan ko baithne bhi nahi dete?

Adarsh ki baat ko sun ker sabhi hansne lage, Sonia ne Vansh ko khincha aur saath le ker baith gayi, Archana ne un dono ko chai pakada di.

*Tip*

Vansh ki aankhe bheeg gayi, Usne saamne daikha to sabhi khush ho ker baate ker rahe the, Uske saath Sonia uske haath ko pakade huwe baithi huwi thi.

Vansh(Smile): Sab kuch sirf ek bura sapna tha! Ye sachayi hai......Ye sab kuch sach hai, *Happy* Da- Huh?

Adarsh se baat karne ke liye Vansh uski taraf huwa, Lekin saamne ka drishya daikh ker Vansh ke haath se chai ka cup neeche gir gaya.

Adarsh uski kursi per he baitha huwa tha, Lekin uska sar desk per gira huwa tha aur khoon se latpat tha, Uske paas he ek kaale kapdon me vyakti khada huwa tha.

Vansh: Soni-

Vansh ne Sonia bulane laga, Lekin kamre me Adarsh uske aur kaale kapdon wale ke sivaye aur koi bhi nahi tha, Vansh bhaagte huwe Adarsh ke paas chala gaya.

Vansh: Dad! Dad! Ye kaise? *Weep* Kon ho tum?

Vansh ne usko pakadna ke liye aage badh gaya, Lekin vyakti udhar se baahir ki taraf bhaag gaya, Vansh bhi uske peeche bhaag gaya.

*Click*

Vyakti kamre se baahir nikal gaya, Vansh bhi baahir aa gaya, Lekin baahir ate he uske kadam dobara ruk gye, Uske kadam ladkhadane lage.

Vansh(Shivering): Maa?

Vansh ke saamne Archana ki laash latak rahi thi, Uske gale me fanda tha aur usko dusri taraf se vyakti ne pakda huwa tha.

Vansh(Furious): Stop!

Vansh gusse ke saath dobara uski taraf bhaagne laga, Vyakti upar Vansh ke kamre ke andar chala gaya, Vansh bhi bhaagte huwe andar chala gaya.

“Vansh?”

Vansh ke kamre me ghuste he usko Sonia ki awaaz sunayi di, Vansh ne udhar daikha to uski saanse bhaari hone lagi, Sonia bed per nangi laiti huwi thi, Usne tangen failai huwi thi.

“Vansh?”

Sonia ki tangon ko pakade huwe ek aadmi baith huwa tha, Vansh ne uski taraf daikha to uska gussa badhne laga.

Vansh(Furious): Aaravvvvvvv!

Vansh Aarav ki taraf bhaagne laga, Usne Aarav ko pakad ker bed se utaar diya aur uska gala pakad liya.

*Stab*

Vansh ne Aarav ko pakada he tha ke uski chhati se ek talwar nikal ayi, Vansh peeche ho gaya, talwar ko Sonia ne pakade huwa tha.

*Thud*

Vansh neeche gir gaya, Sonia kaanp rahi thi, Aarav ne aage badh ker usko gale se laga liya usko thapthapane laga, Vansh ki aankhe gusse se laal ho rahi thi.

*Tuck*

*Tuck*

Vansh ko uske paas kisi aur ka bhi ehsaas huwa, Usne udhar daikha to kaale kapdon wala vyakti usko daikh raha tha.

Vansh(Groan): K-Kon h.....ho tum?

Vansh ki baat sun ker vyakti ne uska hood utaar diya, Uska chehra daikh ker Vansh ki halat aur bhi badtar hone lagi, Hood ke peeche ka chehra uska apna he tha.

Vansh khud ko he daikh raha tha, Uski aankho ke aage andhera chhane laga aur uski aankhe band hone lagi.

“Vansh”

“Vansh!......10 baj rahe hai”

“Vansh”

Vansh aankhe kholne laga, Uske saamne Sonia jhuki huwi usko utha rahi thi, Uske baalo se paani ki bunden tapak rahi thi aur shareer se khushbu aa rahi thi.

Vansh: Sonia?

Sonia: Shukar hai ke ap bhi uth gye! Sabhi neeche ap ka wait ker rahe hai, Ab uth gye hai to taiyar hone chalo.

Sonia peeche hone lagi to Vansh ne usko pakad liya, Sonia usko herani se daikhne lagi.

Vansh: Nahi! Nahi! Sab kuch kharab ho jaye ga, Sonia, Hum neeche nahi jaye gye.

Sonia: Vansh! Kya ho gaya hai? Agar kuch tabiyat theek nahi hai to ap rest ker sakte ho.

Sonia Vansh se alag ho gayi aur Vansh ko herani se daikhne lagi, Vansh buri tarha se kaano raha tha.

Sonia: Ap ruko! Abhi ap ke liye medicine le ker ati hu....Ap tab tak Vanshika ka dhayan rakh sakte ho na?

Vansh: Vanshika?

*Clang-Clang*

Vansh ko paas se he kuch Kharakne ki awaaz sunayi di, Vansh ne saath daikha to Vanshika chains me bandhi huwi neeche giri huwi thi, Vanshika gusse Vansh ko he ghur rahi thi.

Vansh: Vanshika?

Vanshika ke upar kisi ne laat rakhi huwi thi, Vansh ne upar daikha to uske saamne ek baar dobara kaale kapdon me wo khud khada huwa tha, Uske haath me Vanshika ki chains thi.

“No matter what route you took, Vansh! it will always lead to the same end, Your destruction”

Kaale kapdon wale Vansh ne muskurate huwe kaha aur usne Vanshika ki chain ko chhod diya, Vanshika bhaagte huwe Vansh per kud gayi aur daanto se aur nakhunon se usko cheedne faadne lagi.

Vansh(Scream): Aghhhhhhhh!

*Blackout*

“Vansh”

“Vansh!......10 baj rahe hai”

“Vansh”

****
Sayani Mansion
New-York ~ 6:57 AM

*Tuck*

*Tuck*

*Tuck*

Aarav Sayani mansion ke andar se baahir aa gaya, Usne haath me ek bag pakada huwa tha, Mansion ke baahir ek barrie bana huwa tha.

“Master”

Ek taraf se Tinkerbell tezi se udte huwe ayi aur uske kandhe per baith gayi, Aarav ne upar daikha to barrier khatam hone laga.

Aarav: Kuch zyada hard kaam de diya tha kya?

Tinkerbell: Aur nahi to kya? 43 Hours tak barrier bana ker rakha hai! Sonia aur slave ko he andar ane diya tha, Unke sivaye aur koi bhi andar jhank bhi nahi saka.

Aarav(Smile): Thank You! Huh?

Aarav ne saamne daikha to udhar Barbie car ke saath khada huwa tha, Usko daikhte he Barbie aage aa gaya aur uske haath se bag le liya.

Barbie: Good Morning! Young master.

Aarav ne bhi usko bag de diya aur Barbie ne uske liye darwaza khol diya, Aarav car me peeche baith gaya, Bag ko rakhne ke baad Barbie driving seat per baith gaya.

Aarav: Kya situation hai?

Barbie: Ap ki party bilkul theek hai! Kunle ko minor injuries thi, Lekin wo bhi khatre se baahir hai, Abhi ap ki party puri battle ki detail report association ko de rahi hai, ap ke liye Yoo-Jung ki taraf se message tha ke association ke saath sab kuch khatam hone ke baad wo ap se milne aye gi.

Aarav(Breath): Thank You! Ab batao gye ke tum help kyu ker rahe ho?

Barbie: Ye main ap ko yanha per nahi bata sakta! Hamare liye abhi bhi ek private jet ready hai, Lekin agar ap ka kuch bhi kaam baaki hai to hum pehle wo bhi ker sakte hai.

Aarav: Kaam?.....Ek jagha per jaana baaki hai, Uske baad hum kanhi bhi ja sakte hai.

Aarav ne aage ho ker Barbie ko location bata di, Barbie location set karne ke baad car chalane laga, Aarav comfortable ho ker baith gaya.

Tinkerbell: [Master ap agar ye wala slave banao to main bohat khush ho jaungi! Ye ache se slavery bhi ker sake ga]

Aarav(Smile): [Barbie slave nahi hai! Kam se kam hamara slave nahi hai, Lekin tumhe bhi to ek diya hai na? Kya naam diya tha usko?]

Tinkerbell(Sigh): [Aayush? Usko naam dene per kitna socha tha main ne! Lekin wo kisi bhi kaam ka nahi hai, Upar se uska ego to, Ughhhh!]

****
Unique Hospital
Surat ~ 5:26 PM

“Haath kaise lagaya be? Haath ukhad ker gaand me daal du ga be, Madarchod”

Aayush hospital ke andar tha, Uska collar pakade huwe ek ladka usko beech me le ker khada tha, Uske saath he ek ladki khadi huwi thi.

“Kya huwa beta?”

“Kuch huwa hai kya?”

“Kya kiya isne?”

Unke paas bheed hone lagi, Ye daikh ker Ladka aur bhi confident ho gaya.

Ladka: Bhai sahab Ladies washroom me ghuse huwe the! Ye lady andar gayi to usko ghurne lage aur to, che che, Kya he batau ap ko, Aur kehte hai ke galat kya kiya hai?

“Kya zamana aa gaya hai”

“Logo ko to sharam he nahi hai”

“Police ke havale ker dete hai! 4 din thane rahe ga to pata lage ga ke galat kya kiya hai”

Aayush(Mumble): Kisi ko bhi maarna nahi hai! Farmhouse ke baahir kisi ko bhi maarna nahi hai..... Kisi ko bhi*Annoyed* Kisi ko bhi maarna nahi hai, Agar kisi ko bhi maara to chamakne wale keere ki baate sunani ho gi *Annoyed*

“Sorry! Sorry! Aayush se galti huwi hai, Inko thoda nazar kam ata hai to galti ho gayi ho gi”

Bheed ko cheerte huwe ek Ladki aage aa gayi, Aayush ne sar utha ker daikha to uske saamne Nandini khadi huwi thi, Usne haath jode huwe the.

Ladka: Tum kya lagti ho iski?

Ladke ki baat sun ker Nandini Aayush ke paas aa gayi.

Nandini: Ye Mere boyfriend hai! Please, Ye ek galti thi to maaf ker de.

Ladki: Agar aisa tha to theek hai! Lekin aage se dhayan rakhna.

Ladke ke paas khadi huwi Ladki ne Aayush ko maaf ker diya, Lekin Aayush kisi se bhi maafi nahi chahta tha, Uska gussa badh raha tha.

Bheed kam hone lagi, Nandini ne Aayush ka haath pakada aur usko le ker baahir aa gayi.

Nandini: Kya ho tum? Washroom bhi khud se nahi ja sakte kya? Kis pathar ke neeche zindgi guzar rahe the?

Aayush: Ye main nahi bata sakta! Ab uski kya halat hai? Kya naam tha uska?

Nandini(Sigh): Ishika! Abhi bhi hosh nahi aya....Tum sure ho na ke hamay uske ghar batane ki zaroorat nahi hai?

Nandini ki baat sun ker Aayush ki halat bhi kharab ho gayi, Usko aura se Ishika ko dur rakhne ke liye kaha tha, Lekin uska Aura usko bhi thoda hit ker gaya tha.

Ye he kaaran tha ke Ishika abhi hosh me nahi ayi thi, Lekin usko kuch bhi khatra nahi tha to Aayush uske hosh me ane ka wait ker raha tha.

Aayush: Usko rest chahiye hai! Main ne bhi daikh liya hai, Usko kuch bhi khatra nahi hai, Lekin kisi ko bhi batana nahi hai.

Nandini: Fine! Lekin tum bhi stupidity thodi kam ker do.

Aayush(Nod): Thank You!

****
The "Forgotten Souls" graveyard
New-York ~ 8:09 AM

*Tuck*

*Tuck*

*Tuck*

Aarav graveyard ke raaste per chalte huwe aage badh raha tha, Usne haath me Roses pakade huwe the, Aarav ek kabar ke aage aa ker ruk gaya.

Veronica Carmichael
November 2, 1987 - March 13, 2013
Her spirit soared, a flame that burned bright.
A love that lives on, forever in the light.

Aarav usko daikh ker ek pal ke liye tham sa gaya, Usko daikhte he Aarav ko uska chehra yaad ane laga, Uske sab se down moment per uska saath dene wali tab Veronica he thi.

“Young Master”

Barbie bhi Aarav ke paas aa gaya, Aarav ne Roses ko uski grave per rakh diya aur dono aise he khade ho gye.

Barbie: Young Master! Kya main kuch keh sakta hu?

Aarav: Sure!

Barbie: Thank You! Hannah ne ek badi galti ki thi, Lekin ap ke maaf karne per mujhe bohat khushi huwi hai, Thank You.

Aarav(Scoff): Huh, Thank You! Tum ne bhi meri bohat help ki hai, Kaaran kuch bhi ho farak nahi padta, Lekin tum ne help ki uske liye main thankful hu.......*Sigh*

Barbie: Kuch aur bhi puch sakta hu kya?

Aarav: *Nod*

Barbie: Are you regretting it now, Young master? Now you've fulfilled your vengeance, are you regretting it now?

Aarav(Scoff): Regret? Lekin kyu? You know what? Whoever said “'The best revenge is to be unlike him who performed the injury” “Living well is the best revenge”... they're all nothing but liars! They're the people who never even experienced it in the first place, All of them are just spouting whatever they want to say.

Barbie: So how would you explain revenge?

Aarav(Look): Main? Revenge? Hmm,
Revenge is..... Sweet!

****
Singh's Farmhouse
Nagpur ~ 2:31 PM

“Ab tilak laga”

Singh parivar baahir baitha huwa tha, Unke saamne Tanu aur Kunal khade huwe the aur Priya unke paas khadi thi, Tanu kunal ke rakhi baandh rahi thi aur Priya usko sab kuch bata rahi thi.

Priya: Ab rakhi kunal ki kalayen per bandh do! Uske baad mitha khilana hai.

Tanu ne thali se rakhi uthayi aur Kunal ko bandhne lagi, Lekin uske chehre per ek udaasi thi, Rakhi bandh ker Tanu ne usko mithai khila di.

Kunal: Tanu! Ye waali rakhi kyu nahi bandhi mujhe?

Kunal ne Tanu ke haath me pakadi huwi rakhi ki taraf ishara karte huwe kaha, Uska ishara daikhte he Tanu ne rakhi chupa di.

Tanu: Ye ap ki nahi hai! Ab ap gift do aur chalte bano.

Priya(Smile): Ye Tanu ne special khud se Aar-

Tanu: Chachi! Ap ne bhi to Papa ko rakhi bandhani thi na?

Priya(Smile): Haan, Ab tum logo ke baad hamari he baari hai! Lekin dukh huwa ke Ishika aur Aarav dono he yanha nahi hai.

Priya ki baat sun ker Tanu ke chehre per bhi udaasi aa gayi, Priya ko bhi ehsaas ho gaya ke usne galti ker di hai.

Kunal: Ahem! Ab hum se pasandida bhayia bhi aa gye hai kya?

Tanu: Aisa kuch nahi hai! Y-Ye unko main ne welcome gift nahi diya to uske liye cover ker rahi hu.

Kunal: Aisa kya? Waise meri to ek pasandida behan hai.....Lekin wo abhi yanha nahi hai....Haye meri pasandida behan kanha hai?

Tanu(Angry): Bhayia! Aisa hai to theek hai, Waise mere liye wo pasandida ho ya na ho, Lekin Aarav ke liye unki sab se pasandida behan main he hu.....Meri jagha koi bhi nahi le sakta, beeee!

****
Charles de Gaulle Airport
France ~ 7:56 PM

Aarav: Paris? Yanha kya hai?

Barbie: You'll find out soon!

Aarav ka sab paperwork already ho gaya tha to usko kuch bhi issue nahi huwa ane ke liye, Aarav aur Barbie terminal 1 se baahir aa gye.

Aarav(Stunned): What the fuck?

Aarav ne saamne daikha to uske naam ka ek board uske saamne tha, Lekin usko aise hairan karne wala board nahi tha usko pakadne wala insaan tha.

Aarav: Aakash? Lekin aakash to coma me tha n- Damn it, why the fuck am I still getting surprised by anything anymore?

Aakash Aarav ke naam ka board pakad ker khada huwa tha, Aarav ko pata tha ke wo kya ker raha hai, Aakash aise he Aarav ke pehli baar newyork ane per usko lene aya tha.

Aakash: Aarav!

Aarav ko daikhte he Aakash bhi aage aa gaya aur usne seedhe Aarav ko gale se laga liya, Aarav usko daikhne laga, Lekin ye real Aakash he tha.

Barbie: Master, Young Master! Ap car me bhi baate ker sakte hai.

Barbie ki baat sunte he dono aage badh gye, Aarav ko ab samajh aa rahi thi ke Barbie kiske orders per uski madad karne ke liye aya tha, Archana ke message se usko ye bhi pata lag gaya tha ke Aakash aur Vansh ke beech uske kaaran ladai bhi huwi thi.

Lekin usko ab ye baat kab se khatak rahi thi ke Aakash uske sage bhai per Aarav ko kyu chhune ga? Aakash uski car khud le ker aya tha to Barbie key's le ker driving karne laga.

Aakash: Kuch puchna hai to puch sakte ho? Abhi sab kuch nahi bata sakta, Lekin kuch baate bata sakta hu.

Aarav: Kya tum sach me coma me the?

Aakash: Coma me? Nahi! Lekin kuch similar condition me tha, Uss raat ladne ke liye main ne apna pura Qi core exhaust ker diya tha, Uske baad Qi depletion ke kaaran se mujhe 4 saal core recover karne ke liye lag gye the, Lekin core recover hone ke baad bhi main abhi zyada move nahi ker sakta.

Aarav(Stare): Qi core?

Aakash(Nod): Haan! Lekin ab konsa aur kya ye main abhi nahi bata sakta.

Aarav: Fine! Lekin kya puch sakta hu ke tum ne Vansh per mujhe kyu chunna? Vansh tumhara saga bhai th-

Aakash(Stare): Vansh mera saga bhai nahi tha! Tum mere sage bhai ho.

Aakash ne straight face ke saath kaha to ek pal ke liye Aarav bhi chaunk gaya, Utne saal ke baad bhi Aarav Aakash ki presence ke saamne kuch bhi bolne se pehle soch raha tha.

Lekin Vansh ke baare me sun ker Aarav ab chup nahi reh sakta tha, Uske mann me bhi bohat se saval the, Un sab ka javab Aakash ke paas tha.

Aarav: Vansh saga bhai nahi hai? Lekin kais-

Barbie: We've arrived! Master, Young master.

Barbie ki awaaz sun ker Aarav bhi chup ker gaya, Abhi Aarav ke paas kaafi samay baki tha, Aarav aaram se sab kuch samajhna chahta tha.

*Click*

“Sayani Mansion?”

Aarav car se baahir nikla aur saamne he Sayani mansion ki name plate daikh ker chaunk gaya, Sayani Mansion ki tarha ye bada to nahi tha, Lekin ye ghar bhi kaafi bada tha.

Aakash(Nod): Ye hamara ghar hai! Ab se hum yanhi rahe gye.

Aarav: Hum?

Aakash ne uske puchne per bhi kuch nahi kaha, Barbie ne Aarav ka bag nikaal liya aur teeno andar chal diye, Sayani mansion ki tarha he ye bhi servants se bhada huwa tha, Lekin sabhi servant baahir khade huwe the.

Aakash: Aarav!

Aarav: Kya?

Aakash: Aarav, Andar kuch guest baithe huwe hai! Karne ko to tum kuch bhi ker sakte ho, Lekin ek baar baat ko sun lena.

Aakash kuch bhi aisa kehne walo me se nahi tha, Lekin agar wo aise keh raha tha to Aarav ko bhi ehsaas ho gaya ke ye guest kuch khaas hai.

*Click*

Aakash ne darwaza khola aur sab andar aa gye, Aakash peeche reh ker Aarav ko aage chalne de raha tha, Ab Aarav ko bhi chinta hone lagi thi.

Tinkerbell: [Master! Kuch gadbad hai]

Aarav: [Hmm! Lekin kuch bhi khatra nahi hai]

Aarav ki baat sun ker Tinkerbell bhi chup ker gayi, Aarav ke saath baat ker wo abhi uska dhayan nahi bhatkana chahati thi.

“Aarav”

*Ba-dump*

*Ba-dump*

*Ba-dump-Ba-dump*

*Gasping*

Ek awaaz, Sirf ek awaaz ne Aarav ki dil ki dhadkane badha di, Uske liye saans lena bhi mushkil hone lagi, Uski aankhe laal hone lagi.

[Player is overflowing with hatred! Player's emotions are now unstable]

[Warning!]

[Player is losing his emotions! Player is letting his negative personality take over him]

[Flash Steps]

*Woooosh*

*Grasped*

Aarav ek pal me he hall ki ek side se dusri side per pohanch gaya tha, Uske haath me kisi aurat ka gala pakada huwa tha, Aurat ki saanse ghut rahi thi.

“Oy-”

[Alpha Presence Activated]

Ek pal me Aarav ki taraf badhte kadam ruk gye, Unke liye khada rehna bhi mushkil ho raha tha, Lekin Aarav ki nazare uske haath me pakadi aurat per thi.

Aarav: Yanha kya ker rahi hai ap? Maa?

[
Check]

[Name: Varsha Arya

Level: The Ascendant Level Qi User

Relationship: Mother]

Aarav ke haatho me uski sagi Maa Varsha thi, Lekin Aarav ka ye roop daikh ker bhi Varsha dar nahi rahi thi, Uska haath Aarav ke chehre per aa gaya.

Varsha(Sad): Aarav! you look just like him.

[Alpha Presence is shaking]

Aakash: Aarav! Let her go! I know you're not ready to kill her... yet!

*Thud*

Aarav ne Varsha ko chhod diya, Lekin uski nazar abhi bhi Varsha per thi, Varsha uski blood intent ko ache se mehsoos ker sakti thi, Lekin uske chehre ki udaasi ko daikh ker Aarav zyada samay ke liye uski taraf daikh nahi saka.

*Knock-Knock*

Darwaze per dastak huwi to Barbie Aakash ki taraf daikhne laga, Aakash ne nod karte huwe usko jaane ke liye keh diya.

Aakash(Smile): Aarav! Surprises aren't over yet.

Aarav: Huh?

“Mr. Barbie! Ap ka patient coma se kya baahir aa gye ap to gayab he ho gye, Ap ko pata hai interns ap ko kitna miss ker rahe hai”

Ek Ladki Barbie se baate karte huwe andar aa gayi, Usne haath me kuch gift pakade huwe the aur ache se taiyar ho ker ayi thi.

Ladki: Mom? Suhani? Ap dono kab se aa gayi hau? Mujhe laga tha ke hum hospital se saath he nikle gy-

*Hug*

Ladki baat karte huwe he beech me he ruk gayi, Uski aankhe hairat se khul gayi thi, Uski nazar kabhi Barbie ki taraf thi to kabhi Varsha ki taraf thi aur kabhi uske gale lage huwe Aarav ki taraf thi.

a71b55bfc8a9b09087a3e64f47bbb791.jpg

Aarav(Crying): Urvi!

*END OF VENDETTA ARC*
Bhai..mazedar update dia hain..har bar ki tarah....
 
Ranasahib

Member
152
356
78

Beautiful ending 😍😍⭐⭐
 
The Bull

New Member
62
108
18

Super update
 
krish1152

Well-Known Member
6,110
17,087
188
nice update
 
Top