The_dark_mind
New Member
- 80
- 246
- 33
Click anywhere to continue browsing...
Okay BhaiUpdate 12:30 se 1:30 ke beech ready ho jaye ga! Update night me he aye ga, Exact time 12 baje bata du ga![]()
Intezar rahega bhaiUpdate 12:30 se 1:30 ke beech ready ho jaye ga! Update night me he aye ga, Exact time 12 baje bata du ga![]()
Ok bhaiUpdate 12:30 se 1:30 ke beech ready ho jaye ga! Update night me he aye ga, Exact time 12 baje bata du ga![]()
Okk bhai... waitingUpdate 12:30 se 1:30 ke beech ready ho jaye ga! Update night me he aye ga, Exact time 12 baje bata du ga![]()
WaitingUpdate 12:30 se 1:30 ke beech ready ho jaye ga! Update night me he aye ga, Exact time 12 baje bata du ga![]()
Awesome update and nice storyUPDATE 74 ~
(HUNGER HUNT)
Orange Ranked Portal
Monsters ~ Minotaur
*Clang*
*Gwahhhhh*
Akansha uski sword liye huwe khari huwi thi, Uska pura sharir pasine se bheeg gaya tha, Akansha ke saamne ek bada minotaur khara huwa tha.
Akansha(Gasping): Ye kya khaate hai? Kab se koshish ker rahi hu, Ek minotaur ko he sambhalna mushkil ho raha hai, Inke sirf attack block karne ke liye full strength lag rahi hai.
Tarun: Block ker kyu rahi ho? Boss ne sirf dodge ker ke attack karne ke liye kaha tha na?
Tarun lagatar bhaag raha tha, Uske peeche ek Minotaur bhaag raha tha, Minotaur ki raftar kaafi tez thi to Tarun ko bhi tez he bhaagna padh raha tha, Tarun ko Mana tak kheenchne ka samay nahi mil raha tha.
Akansha: Lekin agar main sirf dodge karti rahi to strong kaise banu gi? Ye method slow hai, Lekin main swordsmanship ko strong hote feel ker sakti hu.
Tarun(Running): Lekin tumhara Level Up hone me zyada time lage ga! Ab tak tum se ek Minotaur bhi sambhala nahi gaya hai.
Akansha(Smile): Ye baat tumhare muh se achi nahi lag rahi! Kab se bhaag rahe ho? Rahul ne kaha bhi hai ke uske peeche chup ker minotaur se mana kheench lena, Lekin tum bhaagte huwe mana kheenchna chahte ho.
Tarun bhi bilkul Akansha ki tarha he khud ko strong ker raha tha, Ab tak wo sirf team members ke peeche chup ker kaam ker raha tha, Lekin ab wo khud ko solo battles ke liye taiyar ker raha tha.
Ek baar dobara dono he unki practice per lag gye, Lekin ye dono he khud ko train nahi ker rahe the, Rahul bhi shield se ladna seekh raha tha, Usne ab tak 4 minotaur ko maar diya tha.
“Normal Slashes”
*Slash*
*Slash*
*Slash*
Unse kuch he dur Aarav bhi minotaur se lad raha tha, Usne ab tak 48 Minotaur ko maar diya tha, Lekin Aarav bilkul bhi ruk nahi raha tha.
[Level Up]
[Level Up]
[Level Up]
[Level Up]
[Player successfully reached Level 120]
[Congratulations, player! You have ranked up from D rank to C rank]
[Player successfully reached Rank Up, allowing her to utilize her stats more smoothly and efficiently]
[As a rank-up reward! the player is getting a new Ability/Skill]
[Unable to find any suitable low-rank abilities for the player! Would you like to use your points to acquire a high-rank ability?]
[Yes ~ No]
[Unable to find any suitable ability/skill for the player! Reward will be changed into an item. Player will be given a random item]
[Essence of the Healing Monarch]
[Rank: S]
[Description: This rare and potent elixir possesses remarkable rejuvenative properties! For the next 24 hours after drinking it, the user's body will rapidly heal any injuries they sustain, Broken bones will mend, open wounds will close, and even severed limbs will regenerate! However, the user will still acutely feel the pain of their injuries, despite the accelerated healing! Though the experience may be agonizing, the user will remain fully conscious and alert throughout.
This elixir is an invaluable tool for those facing life-threatening harm, as it can quite literally snatch them back from the brink of death! However, its use is not without consequence, as the intense pain endured may leave lasting mental and emotional scars, Tread carefully, wielder of the Essence of the Healing Monarch.]
Tinkerbell: [Finally! Hum 2 week se lagatar gates raid ker rahe hai, Finally Rank Up ho gaya hai, Master, Kya ab hum rest ker sakte hai?]
Tinkerbell bilkul girte huwe boli, Aarav aur uski party 2 week se lagatar gates clear ker rahi thi, Lekin Rank Up hone ke baad aur ek S Rank milne per bhi Aarav kuch bhi nahi keh raha tha.
Tinkerbell: [Master! Ye kab tak chale ga? 2 week pehle Sonia ke ghar se ane ke baad se ap aise he behave ker rahe hai, Kya ap ko sach me uski itni chinta thi?]
Aarav(Furious): Chinta?.....Tch! Unko saza dene ka kaam mera tha, Lekin ye adhikar mujhse cheen liya gaya hai, Ye soch ker khud per gussa aa raha hai.
****
Mental Asylum
New-York ~ 2016
Sonia: Aarav, Ap ka beta hai? Lekin Vansh ka to sirf ek he bhai hai na Aakash?
Sonia heraan ho gayi thi, Uska sab Sayani se purana rishta tha, Usko sabhi ke baare me ache se pata tha, Lekin ye khabar uske liye chaunka dene wali thi.
Archana: A-A-Aarav Vansh ka bhai nahi hai! Aarav Aakash ka bhai hai aur sirf mera beta hai.
Sonia: Mummy Ji, Ab ap confuse ker rahi hai! Aarav agar Aakash ka bhai hai to Vansh ka bhai kaise nahi ho ga?
Archana: V-Vansh ka bh-bhai nahi hai! Va VAnsh ganda hai, A-Aarav Aakash ka bhai hai, Aarav m-mera S-Sagar hai....V-Vansh ka bhai nahi hai....Vansh ka bhai nahi hai, Vansh ganda hai, M-Mere sagar ko maar raha hai, Vansh nah-
*Jab*
Archana(Sleepy): Sagar, Acha haiii.......!
Archana control se baahir hone lagi thi aur unchi unchi chilane lagi thi, Ye daikhte he uske peeche khari huwi Asylum ki nurse ne usko behoshi ka injection de diya aur usko sula diya.
Asylum Doctor: Nurse, Archana ko uske room le ker jaye! Archana ke uthne per usko medicine de dena.
Doctor ki baat sunte he nurse ne Archana ki wheelchair ko pakad liya aur usko le ker chali gayi, Doctor Sonia ke saamne baith gayi.
Asylum Doctor: See? Ye kuch dino se aisa he chal raha hai! Raat ko Archana uth ker Aarav ka naam leti rehti hai, Sab nurse ka kehna hai ke wo Aarav se kisi baat ki maafi mangti rehti hai, Pura din sirf ek potli haath me pakde sirf room me baithi rehti hai.
Sonia: Lekin ye Asylum me rehne se bhi to ho sakta hai na? Patients ke saath reh ker unhe aur bhi mental issues ho sakte hai na?
Asylum Doctor(Sigh): Huh, Asylum rehne ka nirnay Archana ka he tha! Vanshika ne koshish ki thi, Lekin Archana uske ghar waapis jaane ke liye taiyar nahi hai, it's like ke wo khud ko saza dena chah rahi hai.
****
Veer's House
Mumbai ~ 4:27 AM
*Click*
Rahul ne Aarav ke liye car ka darwaza khol diya, Aarav baahir aa gaya, Aarav ne Rahul ko as a bodyguard hire ker liya tha, Ye uski he request thi, Aisa karne se wo bina kisi se bhi chupe Sushmita ka dhayan rakh sakta tha.
Sushmita bhi darwaze per khari Aarav ka wait ker rahi thi, Rahul ke bilkul saamne hone per bhi wo Rahul ko pehchan nahi rahi thi, uske liye ab Rahul sirf Aarav ka ek Bodyguard tha.
Sushmita: Welcome Home! Ap ke kapde ready ker diye hai, Ap fresh ho ker change ker sakte hai.
Aarav: Good! Baaki khaane ke liy-
“Khaane ke liye kuch bhi nahi hai! Yanha un logo ko khana nahi diya jaye ga jo unka vada nibhane ki kshamta nahi rakhte hai”
Aarav abhi baat ker he raha tha andar se Tanu baahir aa gayi, Uske muh per gussa saaf dikhayi de raha tha, Uska mood kitna kharab hai ye Aarav ko pata lag gaya tha.
![]()
Tanu ke peeche he Ishika bhi baahir aa gayi, Aarav ko pata lag gaya tha ke ye aisa mood kyu bana huwa hai.
Tanu: Ap ko kuch ehsaas bhi hai kya? Ek nahi do nahi 3 hafton se kahaniyan suna rahe hai? Ap ne promise kiya tha ke ap mere gift me hamay baahir different food try karne le ker chale gye, Lekin ap sahib ke to kaam he khatam nahi ho rahe hai, Ap se to kisi ko kuch umeed rakhni he nahi chahiye hai.
Sab ne Tanu ke khaana banane per usko gift diya tha, Aarav kuch bhi le ker nahi aya tha to Tanu ne usko ye gift dene ke liye keh diya tha, Lekin gates ke chakkar me Aarav ke paas time he nahi tha.
Tanu: Last time puch rahi hu! Hamay le ker jaye gye ya nahi?
Aarav(Sigh): Fine, Lekin aise he jana hai kya? Change to ker lo.
Tanu: Main aise he theek hu! Ap sirf saath chalne wale bano.
Aarav: Lekin kam se kam mujhe to change karne de sakti ho na? Abhi baahir se aya hu.
Tanu: Sirf 5 minute! 5 minute se ek minute bhi upar nahi ho.
Tanu ne uski watch dikhate huwe kaha to Aarav andar chala gaya, Usko ehsaas ho gaya tha ke uske paas koi bhi aur raasta bacha nahi hai, Usko aise bhaagte daikh ker Ishika ko bhi hansi aa gayi.
Aarav ne ek quick shower liya aur taiyar ho ker baahir aa gaya, Tanu aur Ishika uska wait ker rahi thi, Rahul driving seat per baith gaya, Tanu Aarav ka haath pakad ker peeche baith gayi.
Aara: Huh?
Tanu(Blush): Ab pakad ke rakhu gi to kanhi bhi bhago gye nahi! Ab chup ker baithiye.
Aarav chup ker ke baith gaya, Aarav beech me baitha tha, Uske dusri taraf ishika baith gayi, Rahul car chalane laga.
****
Sonia's Apartment
Mumbai ~ 5:26 PM
*Click*
Divya Sonia ke Apartment ke darwaze ko khol ker andar aa gayi, Sonia ne ek key usko bhi di huwi thi, Divya andar ane ke baad Sonia ko dhundhne lagi.
Divya: Sonia! Kanha hai tu?
Divya ki awaaz sun ker Sonia uske kamre se baahir aa gayi, Sonia ko daikh ker ek pal ke liye Divya bhi chaunk gayi, Sonia abhi bhi uske nightdress me thi, Uski aankhon ke neeche dark circles ban gye the aur usko daikh ker lag nahi raha tha ke usne kuch theek se khaya bhi ho ga.
Divya: Sonia! Ye kya halat bana li hai? Ye kuch dinon ne ho kya gaya hai? Main sirf 3 week ke liye gayi thi, Yanha tu na office aa rahi hai na client meetings attend ker rahi hai, Ye sab to phir bhi kuch nahi hai, Ya halat kya banayi huwi hai?
Divya ki herani ka koi thikana nahi tha, Aj tak Sonia ne kabhi kaam me laparwahi nahi ki thi, Lekin ab wo bina kisi ko kuch bhi bataye ghar ruk rahi thi, Sonia ka aisa behaviour Divya ne pehli baar daikha tha.
Lekin Sonia Divya ki kisi baat ka javab nahi de rahi thi, Ye daikh ker Divya ne Sonia ko pakad ker sofa per baithaya aur uske liye paani le ayi.
Paani ke saath he Divya kuch khane ke liye bhi le ayi, Sonia usko rokne lagi, Lekin uski ek bhi na sunte huwe Divya usko khud apne haatho se khilane lagi.
Divya: Kya kuch huwa hai kya? Vansh se ladayi ya kisi ne kuch kaha ho? Agar koi bhi baat tujhe sata rahi hai to usko share ker na, Aise lock ho ker kyu baith gayi hai?
Divya ne Sonia ko khilate huwe sawal kiya to Sonia baithi sochne lagi, Jaise wo khud se he puch rahi ho ke usko batana bhi chahiye ke nahi.
Sonia: Divya!.........Ek galti ho gayi hai, My worst nightmare came true.
Divya: Aisa kya he ho gaya hai? Kanhi tu ne company ka diwala to nahi nikal diya hai?
Divya ne Sonia ka mood lift karne ke liye hanste huwe kaha, Lekin Sonia abhi bhi serious baithi huwi thi, Divya bhi samajh gayi ke Situation kuch zyada he serious hai.
Sonia: Divya!......Main ne.....Main ne Vansh per.....cheat ker diya hai!
Divya: Cheat? Kaisa Cheat?
Sonia: Cheat.......Like main ne kisi aur ke saath.....kuch ker liya hai!
Divya(Shocked): What the fuc-! I mean ke ye kaise ho gaya? Kiske saath?
Sonia chup ho gayi, Uski dil ki dhadkane ek baar dobara badh gayi thi, Sonia khud me he simat ker baith gayi.
Divya(Sigh): Huh, Ye shocking to tha! Lekin bilkul unexpected nahi tha.....Babes, Ye ek na ek din to hona he tha na? I mean ke tu ne Vansh ka kitna saath nibhaya hai, Lekin teri bhi kuch needs hai, 8 saal se tu bina sex life ke Vansh ke saath reh rahi hai, Ye he ek chaunka dene wali baat hai, Yanha tak ke tere psychiatrist ne bhi ye he kaha tha ke tu sexually frustrated ho gayi hai, Lekin phir bhi tu ne ab tak khud ko aise sambhal ker rakha huwa hai ye he kaafi hai.
Divya ki baat sahi thi, Ye Sonia ko bhi pata tha ke wo uski limits per kab ki pohanch gayi hai, Sonia bhi ek samy per teenage se ho ker ayi thi, Uski bhi kuch fetish thi.
Lekin Vansh ki khatir usne apni sab ki sab fantasies ko sacrifice ker diya tha, Lekin guzarte huwe samay ke saath usko sex ki craving hone lagi thi, Usko andar dabaye rakhne se Sonia kab se Sexually frustrate ho gayi thi.
Divya: Ab problem kya hai! Regret ho raha hai kya?
Sonia: Ye he to problem hai ke mujhe zara sa bhi Regret nahi ho raha! Agar kuch ho raha hai to un moments ke baare me soch ker main khush ho rahi hu....Main dobara wohi karna chah rahi hu, Aur ye he baat mujhe khud se ghin dilwa rahi hai, Divya kya main sach me slut ban rah-
Divya: Sssshhhh!
Sonia ki awaaz runasi hone lagi thi, Divya ne usko gale laga liya aur usko shaant karne lagi.
Divya: Babes, Ye ek natural feeling hai! Ye tera first time tha, Ab tak tu sirf kuch toys aur khud ki fingers se khud ko satisfy karti rahi hai, Lekin ab tu ne ek mard ko chakh liya hai, Tere liye ye bilkul he ek naya experience tha, Ye natural hai ke tu dobara wohi karna chahti hai.
Sonia: Leki-
Divya: Babes, Overthinking ki zaroorat nahi hai! Tu abhi bhi best girl hai, Yanha sirf tu khud ko blame nahi ker sakti hai, Vansh bhi equally galti per hai, Uske kaaran he to tu aisi situation me ayi thi ke ye sab huwa hai.....I know ke tu ne Vansh ke liye kitne doctor's aur baba logo se baat ki hai, tu ne apna best diya hai......Lekin ye kuch aisa tha jo ho ker he rehna tha.
Divya se baat ker ke Sonia ko ab thoda sa acha feel ho raha tha, Ab tak Sonia khud ko band kiye huwe soch rahi thi, Vansh bhi kuch dinon se ghar kam he aa raha tha.
Divya: Babes! Ye tera sex partner....Aarav hai kya?
Sonia(Frowns): Tujhe kaise?
Divya(Chuckle): Bullseye! Ye sirf guess tha, Kyu ke tum dono saath me ache lagte ho.
Divya ki baat sun ker Sonia ke chehre per laali aa gayi, Sirf Aarav ke saath khud ko imagine ker ke he wo blush karne lagi thi, Uski ye halat daikh ker Divya ko aur bhi maza ane laga aur wo usko aur tease karne lagi.
****
Food Street
Mumbai ~ 5:47 PM
Tanu: Yuck! Bhayia zehar bana rahe ho kya?
Tanu ne golgappe ko muh se thukte huwe muh bana ker kaha, Golgappe wala usko ghoor ker daikhne laga.
Tanu: Daikh kya rahe hai? Ye zehar he to banaya hai, Ye golgappe me chicken kon daalta hai? Aur ye teekha hai ya meetha hai? Kuch bhi pata nahi lag raha hai, Agar zehar dena hai to seedhe seedhe de do na.
Tanu ka pura mood bigad gaya tha, Yanha ane ka idea uska he tha, Usne youtube per recipes daikhte huwe kuch food vlogs bhi daikh liye the, Vlogs daikhne ke baad se Tanu excited thi sab foods ko try karne ke liye, Lekin uski sabhi expectations chakna chur ho gayi thi.
Golgappe Wala(Furious): Oye Ladki! Kya bol rahi hai? Subha se raat tak line lagi rehti hai thele ke aage, Ek plate lene ke liye log dui dui ghanta line me lagte hai, Ache ghar ki Ladies lag rahi thi to pehle plate de di hai, Lekin tum hamare khane ki he burai karo gi.....Aye chotu, Bhaga ye ladkiyon ko.
Tanu: Ab bakwas bana hai to bakwas he kahu gi! Ap sab bhi time waste nahi kare, Taste worth it nahi hai intezar kare ke.
Golgappe wala: Ab game pata lagi hai! Ye sab tum log opposition thele wale ke paise dene per ker rahe ho na? Hamare grahak churane aye hai ye gunda log, Chotu pakad ye gunda logo ko.
Golgappe wale ki baat sunte thele se kuch ladke Tanu ki taraf ane lage, Ye daikh ker Tanu dar gayi.
*Glare*
Ladke abhi Tanu ke paas ane he wale the ke usko peeche karte huwe Aarav aage aa gaya, Aarav ki body tagadi thi, Usko sirf daikhte he Ladkon ki halat patli ho gayi.
Aarav: Tanu, Ab chalte kya?
Aarav ne pucha to Tanu ne nod karte huwe chalne ke liye keh diya, Aarav uska haath pakad ker logo ke beech se hote huwe baahir aa gaya, Unke saath he Ishika bhi baahir aa gayi.
![]()
Tanu bhi Aarav ko aise usko protect karte huwe daikh ker khush ho rahi thi, Uska sab gussa shant hone laga.
Ishika: Tanu, Ye sab kya ker rahi ho? Abhi tak 3 thele walo se lad ker ayi ho aur 1 ke to customer bhi bhaga ayi ho.
Tanu(Giggle): Customer bhaga ker sab se zyada maza aya hai! Lekin ye unka he to fault tha, Aise experiments kon karta hai? Strawberry Maggie.....Yuck! Uske baad wo chocolate Samosa to sab se bakwas tha, Unka sirf taste yaad ker ke he ulti aa rahi hai.
Aarav: Banana tea sab se buri thi! Ab to chai peene ki chahat bhi khatam ho gayi hai.
Aarav bhi chai ko yaad ker ke khud ko rok nahi saka aur bol diya, Usko aise baato me participate karte daikh Tanu aur bhi khush ho gayi.
Tanu: Haan, Chai bhi buri thi! Lekin ye sab galti food vloggers ki hai, Unhone chai ki itni tareef ki thi ke main ne socha maze ki ho gi, Lekin sab kuch he bura chal raha hai, Ab to bhook bhi mar gayi hai, Ughhhhh!
Ishika: Guys! Ek cafe try ker sakte hai kya? Nandini ke bhai ne cafe banaya hai, Abhi kuch khaas famous to nahi hai, Lekin hum try ker sakte hai.
Aarav: Famous wale bhi kanha ke ache the? Let's try, Kanha hai?
Ishika: Walking distance per he hai! Sirf 2 minute chalna ho ga.
Aarav ne dusre haath se Ishika ke haath ko pakad liya, Aarav ko aise haath pakadte daikh ker Ishika ki heartbeat fast ho gayi.
Aarav: Log bohat zyada hai! Aise koi bhi khoye ga nahi.
Ishika(Blush+Nod): O-Okay!
Ishika unhe le ker chalne lagi, Kuch minute chalne ke baad unhe cafe dikh gaya, Aarav ne unka haath chhod diya, Lekin Tanu aur Ishika dono ne he uska haath pakde rakha.
Aarav: Ladies! Mere haath?
Aarav ki baat sunte he dono uske haath ko chhodte huwe side per ho gayi, Teeno he andar chale gye, Location aur decoration sab kuch acha tha.
*Snap*
*Snap*
*Snap*
![]()
Unke andar ate he Tanu ek taraf khari ho ker Snaps banane lagi, Usko daikh ker Aarav aur Ishika dono he hansne lage.
![]()
Tanu: Kya huwa? Ab Snaps to banani he ho gi, Kisi ko pata kaise lage ga ke hum yanha aye hai? Ye Nandini di ke bhai ke business ke liye bhi acha ho ga.
Aarav ne aage hote huwe Tanu ke haath se phone le liya, Tanu usko herani se daikhne lagi, Lekin jab Aarav ne Selfie ke liye haath badhaya to uske chehre per muskan aa gayi.
Ishika bhi Tanu ke saath khari ho gayi aur Aarav selfies lene laga, Pictures banane ke baad sabhi khaane ke liye baith gye, Ishika ko daikhte he order lene ke liye owner khud aa gaya.
Pranay(Owner): Di, Ap ane wali thi to bata deti! Main special welcome karne ke liye ata.
Ishika: Ye he soch ker nahi bataya! Sab ke saamne welcome karte to embarrassing ho jana tha.
Pranay(Smile): Ye bhi sahi hai! Ye kon hai?
Ishika: Ye Tanu hai! Veer ki sister aur ye Veer ka brother hai, Aarav! Hum food try karne aye hai, Ab kuch acha sa serve ker dena, Hamari little princess baahir ka food kha ker udaas ho gayi hai.
Pranay: Main ap ke liye khud bana ker lata hu! Ap ko sirf thoda wait karna ho ga.
Pranay kehte huwe kitchen ki taraf chala gaya, Aarav ne Tanu ki taraf daikha to wo thodi uncomfortable ho rahi thi, Aarav ne suna tha ke Tanu sirf family dinners per he baahir khane ayi hai, Usne friends bhi nahi banaye the to uska aise cafe ane ka first experience tha.
Aarav: Bhukar, Ab khaane per halka haath rakhna hai! Abhi baahir kha ker ayi ho, Aisa na ho ke khane ke baad chalna bhi mushkil ho jaye.
Tanu(Sarcasm): Ha Ha Ha! Very Funny, Ap ke joke sun ker to bhook waise he mar gayi hai, Ab to chakhna bhi mushkil hai.
Aarav usko tang karte huwe uska mood fresh karne laga, Ye Ishika ko bhi dikh raha tha, Aarav ko aise try karte daikh Ishika bhi muskurane lagi.
Unko wait karte kuch he time huwa tha ke Pranay unka khana le aya, Usne unke aage sab kuch serve ker diya.
Tanu: Wow, Dikhne me to kaafi maze ka lag raha hai! Try karte hai.
![]()
![]()
![]()
Khaana normal he tha, Lekin sab khaane ki presentation aur taste kaafi acha tha, Tanu ne pizza ki slice uthayi aur usko khaane lagi, Uski cheez pizza aur Tanu ke muh ke beech khinch rahi thi.
![]()
Tanu: Umm, Yummy! Di, Ye best hai, Yanha ana hamari best choice thi.
Tanu ne Slice khatam ki aur salad khaane lagi.
Aarav(Whisper): Khaane ke bhi uth sakti ho ya car cafe ke andar he le aye?
![]()
Tanu: Ap khud ka daikh le! Aisa na ho ke ap ke shuru bhi karne se pehle he main sab kuch khatam ker du.
Aarav: Naah! Ye chidiya ke barbar ki ladki kitna he kha le gi?
Tanu(Smirk): Challenge? Daikh le, Agar ye sab kha liya to ap ko kehna ho ga ke ap looser hai.
Aarav(Dramatic): Challenge Accepted!
Aarav ke challenge accept karte he Tanu ne sab kuch apne paas ker liya aur ek ke baad ek slice khane lagi aur baaki sab bhi khaane lagi.
Ishika: Tanu, Ye kya ker rahi ho? Tabiyat kharab ho sakti hai.
Tanu(chewing): Ye to abhi kuch bhi nahi hai! Di, Main ye sab khaane ke baad aur bhi kha sakti hu.
****
30 Minutes Later....,
Tanu(Screaming): Main marne lagi hu! Di, Bohat pain ho rahi hai, Haye main mar gayi.
Ishika: Pagal ladki! Kisne kaha tha josh me itna sab kuch khaane ke liye?
Tanu: Haye Di! Main shetaan ki baato me aa gayi thi, Shetaan ke bhadkane per ye sab kuch ker diya, Bohat dard ho raha hai.
Aarav ye sab kuch daikh ker hans raha tha, Uska challenge Tanu ne accept to ker liya tha, Lekin abhi half khana bhi khatam nahi huwa tha ke Tanu ko stomach pain shuru ho gayi.
Aarav ne Rahul ko call ker ke bula liya aur Tanu ko Car me baitha ker hospital ki taraf chal diye.
Aarav: Kya he pata ke ye khaane se huwa bhi hai ya nahi! Ye bhi to ho sakta hai ke golgappe ke andar sach me zehar ho aur ye food poisoning ho.
Tanu(Frowns): Ishika Di! Main marne wali hu kya?
Ishika: Aarav! Kyu dara rahe ho bechari ko? Usko pehle he kitna to dard ho raha hai.
Aarav: Ab nahi kahu ga! Rahul kitna time lage ga? Yanha patient serious hai.
Ishika(Glare): Aarav!
Rahul: Ye paas he ek clinic hai! Udhar ka doctor bhi acha hai.
Aarav chup ker ke baith gaya, Ishika bhi Tanu ko chup karwane lagi, Ishika ne baahir daikha to wo heraan ho gayi.
Ishika: Ye kanha ka raasta hai?
Rahul: Clinic ka raasta hai! Ye hum aa gye.
Rahul ne ek clinic ke baahir car ko rok diya, Aarav utar gaya aur usne Tanu ko goad me utha liya, Ishika bhi baahir aa gayi, Uski halat bhi kharab ho rahi thi.
Aarav: Ishika! Kuch huwa hai kya?
Ishika: Nahi! Tanu ko andar le jana zaroori hai, Main abhi baahir ruku gi.
Aarav ne aage kuch bhi nahi kaha aur tanu ko le ker andar chala gaya, Uske saath he Rahul bhi andar chala gaya, Ishika baahir khari rahi.
Unke andar jaane ke baad Ishika clinic ke baahir bane lawn me baith gayi, Uski nazar ek ghar ki taraf thi, Usko daikhte huwe ishika usme kho si gayi, Kab uski aankhe nam ho gayi usko he pata nahi laga.
“Yanha akele baith ker kya soch rahi ho?”
Aarav kab baahir aya ye bhi ishika ko pata nahi laga, Aarav uske saath baith gaya.
Ishika: Tanu kaisi hai?
Aarav: Overeating ke kaaran gas ho gayi thi! Usko digestive medicine di hai, Abhi terrace per walk ker rahi hai.
Ishika: Yanha kya ker rahe ho? Abhi Tanu ko help chahiye ho sakti hai.
Aarav: I figured ke abhi Tanu se zyada kisi aur ko help chahiye hai! Lekin shayad koi batana chah nahi raha hai.
Aarav ki baat sun ker Ishika ke chehre per muskan aa gayi, Uski aankhe abhi bhi bheegi huwi thi aur wo khud ko tootne se roke huwe thi.
*Hug*
Aarav ne Ishika ko kandhe se pakada aur usko khud ke saath laga liya, Ek pal ke liye Ishika chaunk gayi, Lekin usko ek sakoon ka ehsaas hone laga, Ishika ne khud ko relax ker liya.
Ishika: Aarav! Ek kahani suno gye?
Aarav: Sure! Kahaniyon ke liye to main har samay taiyar hu.
Ishika(Smile): Thank You!.......Ye kahani ek Ladki ki hai, Kuch khaas nahi ho gi, Lekin main sunana chahti hu.
“Ye kahani ek Ladki ki hai! Ladki bilkul he Untalented thi, Ladki padhai me achi nahi thi, Uske paas kuch bhi special talent nahi tha, Uske Papa ko ye sab kuch bura lagta tha.
Uske Papa hamesha usko he bura bhala kehte aur maarte bhi, Ladki ne uski family ki taraf daikha, Lekin kisi ka bhi dhayan ladki ki taraf nahi tha, Sabhi ko sirf family ke special Ladka dikhayi deta tha.
Ladka Ladki ka cousin brother tha, Uske kaaran Ladki ke Papa Ladki ko aur bhi torture karne lage, Ladki ko Ladke se nafrat hone lagi, Uska sab se bada dushman uska bhai he ban gaya tha.
Lekin ek din sab kuch badal gaya, Ladki ke jeevan me ek naya vyakti aa gaya, Vishnu! Vishnu Ladki shishya tha, Lekin Vishnu ne kabhi bhi Ladki ko uske Untalented hone per kuch bhi nahi kaha aur hamesha uski help karta rehta tha.
Ladki ko Vishnu ki taraf ek khinchav sa hone laga, Ye Ladki ke liye bilkul ek naya ehsaas tha, Ladki padhai ka bahana bana ker aur bhi samay Vishnu ke saath bitane lagi.
Ladki ab tak ek chahat ko dhundhte huwe ayi thi, Lekin Vishnu ke paas hone se Ladki ko uski chahat mil gayi thi, Unka ye rishta kab pyar me badal gaya unhe ehsaas he nahi huwa.
Ladki ne uska sabhi kuch Vishnu ko saup diya, Unke beech sharirik sambandh ban gye, Lekin Vishnu utne se khush nahi tha, Uski kuch alag he khawahish thi.
Vishnu ne Ladki ko uski chahte bhi batani shuru ker di, Vishnu kabhi Ladki ke saath public place per sex karta to kabhi usko rassiyon se bandh ker uske saath sab kuch karta, Lekin Ladki uske pyaar me giraftar ho chuki thi.
Ladki uske aadeshon ko kisi naukarani ki tarha pura karne lagi, Lekin sirf Ladki he ki chahat nahi badh rahi thi, Vishnu ki bhi sab chahate badhne lagi.
Ek din Vishnu ladki ko trip per le gaya aur Ladki bhi uske saath chali gayi, Lekin usko kya pata tha ke Vishnu uske liye kya taiyar ker ke baitha huwa hai.
Vishnu usko city ke outskirts per bane ek farmhouse per le gaya, Ladki uske saath andar gayi to usko andar kuch mard baithe huwe dikhayi diye.
Ladki unko daikh ker dar gayi, Usne Vishnu ki taraf daikha to Vishnu muskurate huwe usko daikh raha tha, Ladki usko daikh ker aur bhi dar gayi aur kehne lagi.
“Ye sab kuch kya hai? Please, Mujhe ghar jana hai”
Lekin Vishnu uski baat sun ker bhi ansuna ker raha tha aur uske kareeb aa gaya aur Ladki ko pyaar se pakad ker chum liya aur kehne laga.
“Ab tak tum ne meri har baat maani hai! Ab ek baat aur sahi, Ye bhi meri ek khawahish hai”
Ladki uski baat ka matlab to samajh gayi thi, Lekin usko vishwas nahi ho raha tha ke ye baat uska pyaar keh raha hai, Sirf kuch shabdon ne Ladki ki sabhi khushiyon ko barbad ker diya tha.
Ladki ko sabhi mardon ki ghinauni nazre uske sharir per mehsoos ho rahi thi, Uski aankhon me aansu aa gye, Usne Vishnu ko mana ker diya, Lekin uska inkar sun ker Vishnu gussa ho gaya.
Vishnu ne Ladki ko thapar maar diya, Ladki gir gayi aur uska hont phat gaya aur khoon behne laga, Ladki Vishnu ke kadmon me gir ker bhikh mangne lagi, Lekin Vishnu per uski havas ne kabu ker liya tha.
Vishnu ne Ladki ko uthaya aur baaki sabhi mardon ke beech phenk diya, Ladki khud ko peeche karne lagi, Uska pura chehra aansuon se bheeg gaya, Usko bilkul bhi vishwas nahi ho raha tha ke uske saath ye sab kuch ho raha hai.
Lekin usko aur bhi zyada dard ye soch ker ho raha tha ke ye sab karne wala uska he pyaar tha, Vishnu usko mardon ke beech rengate huwe daikh ker khush ho raha tha.
Sabhi Mard uske upar bhooke bhediyon ki tarha kud gye, Uske pure sharir per un bhediyon ke haath chal rahe the, Ladki khud ko bachane ki koshis *Sniff*”
Ishika kehte huwe he ruk gayi, Uski aankhe ek baar dobara aansuon se bheeg chuki thi, Lekin agle he lamhe Ishika chaunk gayi, Uska sar Aarav ki chhati pet tha aur usko Aarav ki tez dhadkane sunayi de rahi thi.
Usne Aarav ki kalai ki taraf daikha to Aarav ki Veins dikhayi de rahi thi, Aisa lag raha tha ke abhi phatne wali hai, Aarav ki Aankhe laal hone lagi thi, Lekin ishika ko uski aankhe dikhai nahi de rahi thi.
Aarav(Furious): Ye Vishnu kanha ho ga?
Ishika uska saval sun ker aur bhi chaunk gayi, Aarav uske liye gussa ho raha tha, Ab Aarav bacha nahi tha ke usko pata nahi lage ke ye kahani kis ki hai.
Ishika: Aarav! Ab chinta ki zaroorat nahi hai, Kyu ke Vishnu ab meri life me nahi hai.
Aarav: Lekin usn-
Ishika: Kya hum kahani puri ker le? Uske baad hum ye baat kare gye.
Aarav(Nod): Continue!
“Ladki bilkul uski umeed haar gayi thi! Abhi uske andar un sabhi bhediyon se ladne ki himmat aur hosla dono he nahi bacha tha.
Ladki Vishnu ki taraf daikh rahi thi, Lekin usko Vishnu se ab bilkul bhi umeed nahi thi, Ladki ne haar maan li aur soch liya ke yanha se nikalne ke baad khud ko khatam ker di gi.
Lekin tabhi Ladki ki Umeed se bilkul alag he kuch ho gaya, Vishnu neeche gir gaya tha, Uske sar se khoon beh raha tha, Ladki ke sharir ko tatolne wale haath dar se kaanp rahe the.
Ladki ko uski aankhon per vishwas nahi ho raha tha, Uske saamne abhi wohi vyakti khara tha jisko Ladki ne hamesha nafrat ki nazron se daikha tha,
Veer!
Veer ki aankhon me aansu the aur Vishnu ke liye gussa tha, Veer ko udhar daikhte he Ladki rone lagi, Ladki ne hamesha Veer ko nafrat ki thi, Lekin Veer ki galti kya thi, Kya ye nafrat thi ya sirf jalan thi.
Veer ke liye to Ladki abhi bhi uski badi behan he thi, Usne to hamesha usko pyaar he kiya tha, Ye Ladki ki he nafrat thi ke wo kabhi Veer ko ek behan ki nazar se daikh nahi saki thi.
Veer ne Ladki ko uthaya aur usko le ker baahir aa gaya, Veer ko kaafi samay ho gaya tha Vishnu per nazar rakhte huwe, Lekin ab tak wo chup tha kyu ke uski behan khush dikh rahi thi.
Lekin ab ye uski bardasht se baahir ho gaya tha, Uske baad se na kabhi Vishnu aur na he kabhi un mardon me se koi mard dikhai diya.”
Aarav aur Ishika ke beech khamoshi chha gayi, Aarav sirf Ishika ko pakde huwe baitha tha.
Ishika(Sniff): Uske baad Papa ki death ho gayi! Dada Ji aur sabhi ab mere saath ho gye, Unke paas hone se ehsaas huwa ke aisa nahi tha ke unhone kabhi mujh per dhayan nahi diya....Main ne he kabhi unke saath connect karne ki koshish nahi ki thi.
*Sigh*
Ishika: Lekin ye bhi kaafi nahi tha! Abhi to kuch he samay huwa tha ke main ne Veer ko ek bhai ke roop me daikha tha ke ek din Veer bhi chhod ker chala gaya.
Aarav: Aur tumhari ye halat?
Ishika(Sigh): Vishnu to chala gaya! Lekin uska diya Trauma hamesha ke liye mere andar reh gaya.....11 saal se main kabhi sakoon ki neend nahi soyi thi, Kisi doctor ke paas bhi uska kuch treatment nahi tha, Kitne he doctors badal liye, Lekin kabhi bhi sakoon nahi aya......Lekin ye ek din badal gaya, Uss din beach me tumhare kiye ek kaam ne sab kuch badal diya, Barson baad main sakoon bharu neend soyi thi, Uska kaaran tum the.
Ishika ne upar daikha to Aarav ka chehra uske saamne aa gaya, Aarav bhi uski aankhon me daikh raha tha, Ishika upar ho gayi aur usne hont Aarav ke honton per rakh diya.
Aarav bhi usko response dene laga, Raat ka samay tha to Lawn per roshni nahi thi, Ek lambi kiss ke baad Ishika peeche ho gayi, Uske aur Aarav ke beech thook ki ek lehar ban gayi thi.
Ishika(Whisper): Ab bhi main samajh nahi saki hu ke ye kaise ho raha hai! Lekin ye zaroor pata hai ke tumhare paas hone se main safe feel karti hu.
“Bhayia? Di?”
Tanu aur Rahul bhi clinic se baahir nikal aye, Unko ate daikh ker Aarav aur Ishika dono khare ho gye, Andhere me to Ishika sahi thi, Lekin ab roshni me Ishika ke gaal sharam se laal ho gye the.
Tanu: Kanha gayab the? Ap ki khawahish puri nahi huwi hai, Food Poisoning nahi thi.
Aarav: Ab tum se itna bhi food handle nahi hota to main kya ker sakta hu? Next time challenge karte huwe dhayan rakhna.
Tanu(Frustrated): Bure Insaan! Ab main baat nahi karu gi.
Tanu gusse se car me baith gayi, Ishika bhi tezi se car me baith gayi, Unki aisi harkate daikh ker Aarav hansne laga.
*Ring-Ring*
Aarav ke phone per call ane lagi, Aarav ne phone check kiya to call Sonia ki thi, Aarav me calm attend ker li.
Sonia: Aarav, Bohat bada issue ho gaya hai!
****
Wind Clan
Japan ~ 10:27 PM
*Faint*
Yoo-Jung ne Derek se haath hataye aur uske haath hatate he Yoo-Jung side per girne lagi.
\(°o°)/
Yoo-Jung ko aise girte daikh ker Lime uske peeche ek cushion ban gaya, Yoo-Jung uske upar gir gayi, Isabelle bhi uth ker uske paas aa gayi.
Isabelle: Yoo-Jung! Kya huwa?
Yoo-Jung: Ugh! Mera Qi core bilkul exhaust ho gaya hai, Derek ne Journeyman Level Qi bhi achieve ker li hai, Usko kuch time rest karne do, Main kuch hafton ke liye yanhi Qi cultivate karu gi, Tsubame Derek ke core ki training handle ker le gi.
Isabelle ne Yoo-Jung ko kuch heal ker diya aur usko baitha diya, Derek bhi exhausted tha, Isabelle usko le ker baahir aa gayi.
*Click*
Isabelle baahir ayi he thi ke Daisuke uske paas aa gaya, Usne Derek ko daikha to usko uske sharir se nikal rahi Qi se ehsaas ho gaya ke usne Journeyman Level Qi ko Achieve ker liya hai.
Isabelle: Kuch huwa hai kya?
Daisuke(Nod): Haan! Association kuch din se Sandworms ke scales ko New-York city transport karne ki taiyari ker rahi thi, Lekin subha he ek group ne association workers per attack ker ke sabhi scales ko chura liya hai.
Daisuke ki baat ko sun ker Isabelle bhi chaunk gayi, Kyu ke Association ke worker bhi player he the, Unke paas se scales ko churana easy nahi tha.
Isabelle: Shocking! Lekin hamara kaam sirf scales ko baahir le ker ana tha, Yoo-Jung abhi sahi condition me nahi hai, Agar koi bhi request aye to hum help nahi ker sakte.
Daisuke: Nee-San aur main ne bhi bilkul ye he socha hai! Abhi ke liye hamare hand full hai.
****
Mumbai Outskirts
11 Years Ago.......,
*Swing*
*Swing*
Vishnu 2 pedon ke beech chain se bandha huwa ulta latak raha tha, Uske saamne he Veer aur Kunal khare huwe the, Baarish ho rahi thi to uski awaaz Vishnu ko sunayi de rahi thi.
Vishnu: Please, S-Sir! Galti ho gayi hai, E-Ek baar maaf ker sakte hai na, M-Main kabhi Eshu ko dobara dikhu ga bhi nahi *Crying* Sir, Please na, Maaf ker do na.
Veer: Kunal, Hum yanha kisi ko punish ker rahe hai kya?
Kunal: Nope!
Veer: Exactly! So, Mr.Vishnu Ap ki bohat zyada fetish hai, Aise he hamari bhi kuch wild fantasies hai, Hum ap ki sabhi fantasies ki respect karte hai, Ap ko bhi to hamari fantasies ki respect karni chahiye hai na?
Vishnu(Shivering): Kya keh rahe hai?
Veer ne signal diya to Kunal ek petrol ki can ko utha laya, Ye daikhte he Vishnu ki phat gayi, Kunal Petrol Vishnu per daalne laga.
Vishnu: Y-Y-Ye kya ker rahe hai? P-Police ka dar nahi hai kya?
Veer: Darna kyu hai? Police bhi hamari sab fantasies ki respect karti hai, Unko sirf fantasy puri karne ki fee deni padti hai.
Vishnu ki halat bigad gayi thi, Maut se bhi kayi zyada usko Veer se khauf aa raha tha, Usko petrol se bhigone ke baad Kunal bhi peeche ho gaya.
Veer ne ek lighter nikal ker usko khol liya, Ye daikh ker Vishnu bilkul umeed haar gaya.
Veer: Happy Death anniversary Mr.Vishnu!
*Throw*
Veer ne lighter ko Vishnu ki taraf phenk diya aur Vishnu aag se lipat gaya, Uski cheekh vatavaran me gunjane lagi, Veer baitha uska maza lene laga.
Veer(Smile): Besura Singer!
.
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye update special tha, Ye to ap ko bhi pata lag gaya ho gaUpdate 7K Words ka tha, Target hamara wohi hai 90 Likes ke liye, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]