Aakash ready hokar party me ghusane hi wala tha ki ..
"Oye kidhar ja raha hai??"ek awaz aayi
Aakash ne mudkar dekha ki teen char ladke saath khade the,Alicia bhi saath thi
"Yahi hai wo"alicia boli
Aur teen chaar ladke saamne aaye aur aakash ko gher liya
"Kya chahiye tum logo ko??"aakash bola
"Tu "bol ek ladke ne hawa me haath lehraya ghoosa marne ke liye
Lekin aakash hat gaya,lekin hatne ke baad ek doosre ladke ne ek spinning kick maari aakash ko
Lekin aakash fir hat gaya
Fir to char ladke hawa me haath paanv chalane lage
Aakash ko ache se pata tha ki ye saare Ladke cobra school ke ladke the
Lekin abhi uske paas time nahi tha
Usne do teen haath paanv chalaye aur saare chitt pade the,
Ye sab dekh kar alicia darr jaati hai
Aakash alicia ke paas jaate hi alicia ke chehre par ek mukka kasne wala hi hota hai ki...
Uska ateet
"Saare khatam ho gaye,ab teri baari hai"ek Masoom si ladki ki aankhon ki aansu ki parwah na karte hue bola tha usne
Aur us ladki ka gala pakadte hue aise hi mukka kasa tha usne
Poora haath kaale dhuen se bhar gaya tha uska
Ladki ne apne gale ki giraft na chudate hue bina aankhen band kar bola tha
"Darinda"
Samay ka pendulum wapas aakash ko present par le aaya
THAAK
ek flying kick se door ja gira aakash
Fir aakash par haath pair barsane lage cobra school ke ladke
"Hah kuch kismat thi jo itna hawa me udd raha tha,lekin aaj sabak seekh liya usne,ab chalo"bol alicia sab ladko ko lekar chali gayi
Aakash baitha raha parking area ke basement par
Aankhon me aansu liye
"PASCHATAP se badi koi saza nahi hoti"ek awaz ne aakash ko upar dekhne par majboor kar diya
Wahi vriddh
"Utho"bol us vriddh ne aakash ko uthaya aur apne bag se pani ka bottle nikal kar diya
Aakash ne vriddh ki aur dekha,shant aur ek ajeeb sa tej mehsoos kar Raha tha us vriddh ke chehre se
"Aap koun hai please bataiye na"aakash ne poochha
"Pehle apne kapde thik kar lo,jisse milne ja rahe ho usne aise dekha to ??"vriddh ne muskurate hue bola
Aakash ko achanak yaad a gaya ki party hai aaj,bina kuch soche samjhe jhat se kapde thik karke bhaagne laga
Fir acahank ruk gaya,are wo vriddh koun hai???wapas dekhne par us vriddh ko nahi dekh paya wo
Khair aakash bhaga party ke liye
"Us bachhe ko agar apni manzil nahi mili to duniya ko suraj dekhna Naseeb nahi hoga"vriddh ne apne aankhen band ki
Soch samajhkar is ladke ko sambhalna hoga
-------------------------------------------------------------------------------
"L lekin ragini waha jaana sahi rahega??"shlok bola
"Are party hai,koi maiyyat nahi jo itna dar raha hai,chal jaldi chal"ragini bola
Ye kambakht party warty kya cheezo hai shlok ke maathe nahi pad raha tha
Upar se usko jo maksad diya gaya tha usse halka sa bhatak raha tha wo
"Ab chalega bhi"ragini ne kamar par haath rakhe
"H haan"bol shlok bhi chalne laga
Kuch hi mahine hue is shahar me aaye hue
Ajeeb log,ajeeb sa rehen sehen,jis devi ko dabate rahe hai pairon ke neeche usi devi ki Pooja karte hai saal me ek baar
Jis kutte ko raaste me maarte hai usi ki achi prajati ko ghar me pet ke roop me rakhte hai
Jis ganga ko POORE saal ganda karte hai usi ganga me dubki lagakar paap dhote hai.
Jin Mohammad ne bhaichare ka sandesh diya.usi bhaichare ki dhajjiyan udate hue katle aam karte hai log
Jin logo ke liye isa maseeh ne apni jaan di un logo ne hi unke naam se thagi,farebi aur jaalsazi shuru kar di
Buddha ji ne bodhisatv ke roop me apne bachav ke liye jin martial arts ko duniya ko sikhaya,logo ne usi martial arts se kamzoro ko dabaya
Hai re duniya
"Fir soch me doob gaye"ragini boli
Shlok apne khayalon se wapas aaya
Ragini,kitni bholi hai.na use us kamine haramkhor aakash ke baare me pata hai na hi shlok ke baare me
Jab pata chalega,tab kya shlok ko maaf kar payegi???
Shayad kar payegi,sab to ek jaise hi hai yahan.sochkar dil ko tasalli dene laga shlok
"Wo dekho ice cream??chalo na shlok please ek ek try karte hai"bol ragini
Shlok ne ice cream ke paise dene chahe to ragini ne rok diya
"Arey???kal pav bhaji khilayi thi na??aaj meri baari,dosti me 50-50"bol ragini ne paise chukaye
Shlok has pada,itna aasan nahi hoga ragini ko bhoolna apna maksad poora karne ke baad
-------------------------------------------------------------------------------
"Waise anju ji hum kahan ja rahe hai??"shyam ne poochha
"Bas halka ghoomna ke liye shyam by the way.....k kal ke liye dhanyavad"anju ne shyam ka haath thamte hue bola to shyam chaunk gaya
Anju ko eksaas hote hi usne jhat se apne haath hata liye
Do din pehle hi aaya hua shyam ne dhaba ki soorat badal di poori tarah se
Dhaba bada ho gaya,customers bhi aane lage,hafte lene wale gunde abhi nahi aate.lekin thoda ajeeb hai bas
Tabhi chalte hue shyam chaunk kar pathar sa ban gaya
Laga ki bhoot dekh liya
"Aise chaunk kyun rahe ho ??apne dost se introduce nahi karwaoge??choro mai khud hi kar leti hoon,mera naam pavitra hai"ek saamne se aati hui ladki ne muskurate hue bola
"Anju"muskurate hue bola tha anju ne .lekin shyam ko waha rukna pasand nahi tha
"Chaliye anju ji,hame der ho rahi hai"bol shyam ne anju ka haath thama aur chalta bana
Anju shyam ke apne haath thamane se itna chaunki ki kuch bolta nahi bana usse
Pavitra sirf gusse aur nam aankhon se shyam ko dekhti rahi ek ladki ka haath pakad kar jaate hue