"batata Kyun nahi hai use??"golu bola
"Hun??kise??"aakash ne poochha
"Tujhe pata hai kiske baare me baat kar raha hoon"golu ne aakash ke kandhe par haath rakhte hue kaha
Aakash chup raha
Abhi tak disha ko bata nahi paaya hai,lekin abhi uska dimag disha ki taraf nahi tha
Abhi shlok aur baaki logo ki taraf tha
"Chor tere se nahi hoga,mai chalta hoon.bye"golu chala gaya
Aakash jaane ke liye jaise hi apna pair aage badhaya use ek vriddh dikhai diya saamne
Aakash ruk gaya aur vriddh uske paas aaya
"Pareshan se lag rahe ho??"vriddh Bola
Aakash ne vriddh ki aur dekha ,koi 80 saal ka hoga,chehre par ek muskaan aur bohut shaant sa chehra
Jaise sab kuch chor chaar ke is duniya ke mayajal se bahar a gaya ho
"Bohut chinta ho rahi hai.hai na??"vriddh ne poochha
Aakash chup raha
"Jab kuch samajh me na aaye dil ki suno"vriddh bola aur jaane laga
"R rukiye ,aap logon hai vriddvar??"aakash ne poochha
Vriddh muskuraye aur jaane lage
"Aakash ??"peecha se disha ki awaz aayi
Aakash chaunkar peeche muda wahan koi nahi tha,fir vriddh ki aur dekha.lekin waha koi nahi tha
"Dil ki awaz.hmmm"aakash apne ghar ki aur jaane laga
"Wah pata nahi tha ki yahan milega tu??"varun bola
Aakash ke kuch samajhne se pehle hi varun ke haath ne mitti ka roop le liya aur ek vishalkay hathouda ban gaya
Isse pehle ki aakash kuch samajh paata
Varun ka haath lehraya hawa me aur
DHADDDDD.
ek zordar maar padi aakash ko,aur uska sharir chitak kar door ja gira
Lekin girte hi aakash bijli ki tezi se khada hua
Aur muskuraya
"Ha mout ke saamne muskura raha hai mai tujhe ai...."bol bhi nahi paaya poori baat varun kyunki jakad gaya tha uska sharir
"Teri parchai mere kabze me hai varun"aakash muskuraya
Lekin muskurahat zyada der tak nahi tiki
Varun ka poora sharir mano ret ki tarah toot raha Ho
Aur isse pehle ki kuch samajh paata varun ka sharir zameen me Kho gaya
Aakash idhar udhar dekhne laga
Tabhi peeche se khada hua varun
Aakash ke mudte hi
DHAMMMM
ek aur zordar takkar aur aakash fir door ja gira
Aakash uthkar khada ho gaya aur dheere dheere kaale dhuen me badalne laga
Isse pehle ki varun kuch samajh paata
Kaala dhuan dheere dheere varun ko gherne laga aur uske beech se hara dhuan chabuk ki tarah maarne laga varun ko
"Aahhh kaafi powerful ban gaya hai tu.par yaad rakh zald wapas aunga"bol varun gayab ho gaya
Kaala aur hara dhuan wapas aakash me badalne laga
"Hmmf ...hmmf. Kaafi kamzori lag rahi hai"bol pasine se bheegte ladkhadate hue wapas ghar chala gaya
------------------------------------------------------------------------------
"Whoa,kya party thi"ek ladka night club se nikalte hue bola
Saath me 2 log aur the
"Abey dekh saamne ek paagal chand ko dekh raha hai"doosra ladka bola
Raat ke waqt ek aadmi sachmuch baithkar chand ko dekh raha tha
"Chandamama door ke,pue pakaye boor ke"chand ki aur dekh kar bol raha tha baar baar
"Abey paagal chand hai wo chanda mama nahi hai"teeno me ek ladka bola
"Shhhh chandamama ki bezzati mat karo"wo aadmi saamne mudkar apni ungli honto par rakhkar bola
"Duh ,Abey wo moon hai samjha"doosra ladka bola
"Aise nahi manega ye"bol teesra ladka us aadmi ke paas jaakar apne beer ki bottle uske sar par udel kar saara beer sar par daal diya
Ha ha ha,hasi ki awaazein aane lagi
Hasne me wo log ye nahi dekh rahe the ki ek SUV udkar unke sar ke upar hawa me ghoom rahi thi
"Hmm"
BHADAAAAAAAAAAAM
badi si suv car teeno ke upar gir gayi aur teeno ki kuchalkar wahi mout ho gayi
"Chandamama ki shakti, gurutvakarshan shakti"aadmi muskurate hue bola