UPDATE-160
Raaj- eda ruk jao
Tum yaha se nahi ja sakti
Jab eda maa se baat karke nikali to kiso tarah raaj ko khabar ho gaye ki vo heaven chhod ke jane wali hai esliye vo akela eda ke samne khada tha aur ab sayad bahut badi galti karne wala tha
Eda- maine decision le liya hai raaj
Mere raste se hat jao main tumhe hurt nahi karna chahti
Raaj- mujhe pata hai tum pehle se hi hurt ho aur ye tumhe bhi pata hai lucifer ko mere se jada kisi ne support bhi nahi kiya esliye meri baat mano aur ek baar thande dimag se socho
Eda- sochne samjhne ka waqt chala gaya ab
Raaj- tumne heaven chhoda to tum vapas nahi aa paogi
Maine last time bahut mahnat karke roka tha aisa hone se
Eda- ab main vapas aana bhi nahi chahti
Mere raste se hat jao raaj main last time bol rahi hu
Raaj- fir to tumhe meri laas ke upar se jana padega
Eda- to vohi sahi aur eda ke wings nikal aaye aur sath me uski talwaar bhi samne raaj ke bhi wings nikal aaye aur uska spear bhi
Eda- tum mujhse nahi jee sakte raaj
Raaj- tumse haar to sakta hu na
Eda ne ye suna aur full speed me udti hue raaj ki taraf gaye aur vahi raaj bhi apna spear utha kar eda ki taraf bhaga
Jab un dono ke hathiyaro ki takkar hue to etni tej aawaz hue ki pure heaven ko pata chal gaya hoga ki aaj koe do shaktiya aapas me lad rahi hai
Havaye bahut tej ho gaye aur mosam us se bhi kharaab
Dono ke hathiyaar apas me takrate hue jamin par aagaye aur agli hi second eda ki talwar vapas chali aur raaj last moment me side hat kar bach gaya
Aur uska bhala eda ki peeth par laga lekin eda ko jaise kuch feel hi nahi hua
Uski aankhen golden hokar bahut tej chamkne lagi aur eda apne full form me aa chuki thi
Aise form jisme us se sirf kuch chhundiya log hi lad sakte the aur unme raaj to bilkul nahi tha
Jab raaj vapas eda par hamla karne wala tha to eda ne ek kick maari raaj par aur vo udta hua ek km door jake gira
Eda ne usse sambhalne ka ek mokka bhi nahi diya aur udte hue uske pass pahuch gaye aur uske uthne se pehle hi ek aur kick maari uske pade pade hi aur raaj fir bahut door jake gira
Lekin es baar eda ke pahuchne se pehle hi vo khada ho chuka tha aur eda ke attack se pehle hi usne eda ke pairo par hamla kiya jis se uska balance bigadne laga to raaj ne vapas us par hamla kiya aur vo almost girne lagi aur jiski vajah se eda ka gussa ab out of control ho gaya tha aur usne etne tej apni talwar ghumae ki raaj ke spear ke do tukde ho gaye
Lekin raaj ye sayad janta tha esliye usne dono tukdo ko ek ek hath me le liya aur ab uske pass do hathiyaar ho gaye eda se ladne ke liye
Kya ye sufficient the?
Lagta to nahi hai kyuki eda ne jab agla hamla kiya to eda ki talwar uske spear ko vapas katate hue uske hath me ghus gaye
Ek royal blood ki dhaar heaven me fail gaye lekin raaj piche nahi hata
Usne talwar ke apne hath me ghuse hone ka fayda uthaya aur apna spear ka pana wala hissa eda ke pairo me ghusa diya
Lekin fir bhi eda ne ahh tak nahi ki sayad abhi usme lucifer ki aatma aa gaye thi jiski vajah se usse dard nahi ho raha tha ya fir usne etna sah liya tha ki ab aur feel hone ke liye kuch bacha hi nahi tha
Eda ne vapas raaj ko ek kick maari aur uska bhala eda ke pair me hi rah gaya aur eda kj talwar uske hatho par bahut bada chhira marte hue us se alag ho gaye aur vo door jake gira
Uske muh se khoon bahana suru ho gaya tha lekin kaise bhi karke vo uth raha tha
Ye baat vo bahut ache se janta tha ki agar eda chahti to usse abhi tak bahut aasani se maar sakti thi lekin vo aisa nahi kar rahi thi sayad ye soch rahi thi ki raaj khud hi raste se hat jaye aur raaj ye soch raha tha ki sayad apno ka khoon dekh kar eda ka khoon thanda ho jaye
Eda ne apne pair se raaj ka bhala nikala aur dusre hath me apni talwar jis par abhi bhi raaj ka khoon laga hua tha vo aim ki aur raaj ki taraf pahuch gaye
Es waqt tak raaj ke pass na koe hathiyaar bache the aur na aur ladne ki himmat lekin vo khada vapas ho gaya tha
Eda ne uske hi bhale se raaj par ek ke baad ek ek ke baad ek bahut sare attack kiye aur vo jamin par girne laga
Sareer ke har part se khoon nikalna suru ho gaya tha lekin eda ruk nahi rahi thi
Vo ruki jab usse kisi ki aawaz sunae di
Guruji- bahut ho gaya
Ab tumhre hathiyar dalne ka waqt ho gaya
Eda- hathiyaar dalna to aapne kabhi sikhaya hi nahi aur usne raaj ko apne se door fek diya aur guruji ki taraf mood gaye
Guruji- eda tumhe shant ho jana chahiye ab
Heaven ko ek aur musibat me mat daalo
Eda- main shant ho gaye guruji
Aur uske hatho me jo talwaar thi vo aur jada badi ho gaye aur dusre hath me ek kataar aa gaya jiska size pehli talwaar ke jitna hi tha
Ye sidha sidha matlab tha ki eda guruji ko khuli chhunoti de rahi hai
Guruji- mat karo aisa
Main thak gaya hu ladte ladte
Eda- agar aap thak gaye ho to mere raste se hat jao
Aur etna bolte hi eda bahut tej speed se guruji ki taraf badhi
Guruji jinhone enko sari sikhsha di thi vo etna to jaan hi gaye the ki ab eda rukegi nahi aur unhe hathiyaar uthana hi padega
Esliye jaise hi eda unke pass aaye unhe hath me bhi unka sabse priay talwaar unke hatho me aagaye
Aur ek talwaar se unhone eda ke dono weapons ko rok liya
Guruji- eda lucifer ko bahut dukh hoga jab usse ye pata chalega
Eda- usse ye pata chalega tab na
Aur eda speed se back flip maari aur vapas guruji par attack karne lagi
Dono bahut tej the aur jis prime par eda abhi thi us waqt usse sirf teen aadmi hi lad sakte the aur unme ek guruji thi
Dono ki fight etni intense ho gaye thi ki heaven me logo ne apne aapko apne gharo me kaid kar liya tha vo bhi sirf hathiyaro ki aawaz se
Vahi eda apni full force use kar rahi thi aur guruji sirf uske attack se bachne ki kosis vo nahi chahte the ki eda unse hurt ho lekin vo ye bhi jante the ki bina eda ko hurt kiya vo usse shant bhi nahi kar sakte
Pata nahi aur kitna unhone sahna tha kyuki eda unki sabse favorite student thi aur aaj vohi student unke samne hathiyaar leke khadi thi
Guruji ne ek mantra padha aur eda ke charo taraf ek ghera bana diya jisse vo bahar na aa sake aur eda ke charo taraf ek ghera bhi ban gaya
Jaise hi ghera bana eda ne bina koe waqt gavaye uspar attack karna suru kar diya
Dono hathiyaar se vo etni tej tej attack kar rahi thi ki ussi normal insaan dekh bhi na paye aur kuch hi seconds me pura ka pura mantra kharab kar diya usne
Aur vapas gusse me guruji ki taraf badhi
Es se pehle guruji kuch kar paate eda ka kaatar light ki raftaar se guruji ki taraf aaya
Vo to en time par guruji side ho gaye aur unki baju par halka sa cut hi laga nahi to aaj abhi esi waqt unhe mukti mil jati
Eda ke dusre prahaar hone se pehle hi guruji sambhal gaye aur firse ek mantra padha aur eda par aandhi se war kiya jiski vajah se eda apni jagah khadi nahi rah paye aur vo piche ki side me move hoti chali gaye
Jis se vo pehle se bhi jada krodhit ho gaye aur usne etna jor lagaya ki vo us aandhi ko bich me se chhirte hue guruji ke pass pahuch gaye etne speed me ki uske guru usse dekh bhi nahi paye aur eda ne ice attack kiya jo etna powerful tha ki guruji bahut door jake gire
Aisa bahut sadiyo ke baad hua tha ki guruji jameen par gire ho kisi se ladte hue aakhiri baar eda ka pyaar hi aisa kar paya tha bas
Guruji jo abhi tak defensive khel rahe the ab unhe gussa chadne laga tha aur gussa aaye bhi kyu na unki ek student unko har disha me nacha rahi thi
Vo dhool jhaadte hue khade hue aur pehli baar gusse me apni talwaar eda ki taraf aim karke feki
Jisse rokne ke liye eda ne apni talwar aur kaataar dono laga liye lekin uski force se bhi vo ruk nahi paaya aur eda ke kaatar ko bich se cheer diya
Lekin eda ke sareer ko nuksaan pahuchane se pehle eda dusri side me jump kar gaye aur usse bach gaye
Guruji ne apna hath aage badhaya aur unki talwaar vapas unke hatho me aagaye
Aur ab vapas dono aamne samne khade ho gaye
Ab dono ki aankhon me kroddh saaf saaf najar aa raha tha
Vahi eda ek angel thi to uski aankhen golden chamak rahi thi aur guruji ke chehre par unka tej vapas aa chuka tha
Matlab saaf tha ab asli ladae suru hone wali thi aur ye sab to bas ek trailer tha
Guruji eda ki taraf bhage lekin eda apni jagah khadi rahi aur jaise hi guruji uske pass pahuche unke piche se unpar prahaar hua jo eda ne hi apne aas pass ke vatavaran ko control karke liya tha
Guruji ka balance bigda aur vo eda ne essi chhij ka fayda uthaya aur apne wings khol liye jis se ye hua ki guruji ki talwaar shant pad gaye aur vo nihathe ho gaye
Eda- eske baad koe mokka nahi milega aapko guruji
Abhi bhi waqt hai piche hat jaeye main dobara nahi bolungi
Guruji ne aankhen band karke kuch mantra padhe aur unki talwar vapas aa gaye aur ab vo kisi krodhit rishi munni ke jaise eda par toot pade
Es baar vo actual me guruji ke bhesh me aaye the aur unke prahaar etne khatarnaak the ke eda ke pass unka koe jawab nahi tha
Vo jamin me ghusti ja rahi thi aur upar se guruji ek ke baad ek ek ke baad ek uske upar hamla kiye ja rahe the
Uska kataar ke tukde ho chuke the aur talwar bhi shant hone lagi thi
Aur vo jamin par gir gaye aise giri jaise behosh hi ho gaye hai
Guruji ne vapas apni talwar hava me uthaye aur jaise hi vo apna final attack karne wala tha yaha earth par lucifer ek second ke liye hava me uda aur vapas jamin par gir gaya
Uske sareer me se kuch kheech ke nikal gaya
Aur heaven me jaise hi guruji eda ko shant karne wale the ki talwaar hava me hi ruk gaye aur ek bahut bada laal bavandar utha jo had se jada garm tha aur eda me samane laga
Guruji ne jaise hi ye dekha unke pair apne aap piche hone lage aur eda ki aankhen jo band thi vo khulne lagi
Bas fark etna tha ki abhi tak uski aankhen golden thi aur ab bilkul laal thi
Vo khadi hue aur uske charo taraf aag failne lagi aur uske hatho ne moment karne suru kar di aur vaha se aag nikalna suru hogaye jo guruji ki taraf badhne lagi
Guruji ne apni protection ke liye apne sareer ke aage apni talwaar kar di jo us aag ko kaatne lagi lekin uske sath hi unka sareer bhi jaise jalne laga
Vo jada der usse rok nahi paye aur door jamin par gire sath me talwar bhi unke hatho se chhut gaye
Unhe kuch seconds ke liye aisa laga jaise unki mukti bahut najdeek hai kyuki aag ka bavandar unki aankhon ke samne tha aur vo unhe rok nahi sakte the
Unhone apni aankhen band ki aur apne aakhiri dino ka bhagwan se dhanyavaad karne lage
Lekin etni jaldi kaise unhe mukti mil jati kyuki unka sareer vapas normal hone laga aur jaise hi unhone aankhen kholi unke piche supreme khade the
Vo bilkul shant khade the facial expression na ke barabar the aur jaise hi eda aur unki aankhen mili unhone apna hath bahut joro se ghumaya aur eda vaha se udti hue pata nahi kaha jakar giri.....
प्रणाम मित्र
यह होता है जब दो महा शक्ति एक दूसरे से लड़ती

अद्भुत युद्ध था इडा और गुरुजी का
जब इडा हारने वाली थी तभी Lucifer की एक शक्ति ने इडा को बचा लिए इस से पता चलता है कि Lucifer की शक्तियाँ किन ऊंचाईयों पर होंगी और तो और इस लड़ाई मैं सुप्रीम का अना यह बताता है कि लड़ाई कितनी खतरनाक थी
अगले अनुच्छेद का इंतजार रहेगा मित्र