Update:- 91
Guard turant hi ye suchna ander bhijwaya aur wapas sandesh aaya ki Serin ko jald hi sabha me bheja jaye.. Serin sabha me jaise hi pahunchi…. "Aaj yahan ki hawa kuch badli si lagi ho.. kaise ho complete"..
Sabaiyya:- Jaldi se demo dikhao..
Serin:- Thik hai dikhati hun demo.. yahan kiski shakti apne ander chahiye Sabaiyya..
Sabaiyya:- Iss Yukte ki hi shaktiyan dal do.. kam se kam takniki gyan to hoga mujhe..
Yukte:- Sabaiyya lekin..
Yukte ki haalat dekh'kar sabhi ek sath hasne lage… Sabaiyya sabko shant rahne ka ishara kiya… "Serin, tum bus ye batao ki yah kaam kaise karta hai"..
Serin hu-bahu Mahamahim ke reflector device jaisa device rakhti hui kahne lagi… "Ye hai wo complete reflector, jo kisi ek ke ander ki shakti ko khinch'kar, dusre me dal sakta hai. Haan ek baat aur, isme jaisa reflector device explain kiya gaya hai uske hisab se ye device ussi waqt kaam karegi jab sabhi grah ghum'kar ek nischit postion par pahunchenge.."..
Suko:- lekin tumne itna lamba waqt liya hai to iska tod bhi nikal lee hogi..
Serin:- Haan sahi kaha lekin ab bhi kuch kami hai..
Sabaiyya:- Kya?
Serin:- Yah sahi hai ki isse kabhi bhi istamal kar sakte hain lekin ye kewal ek bar istamal hoga. Dusri baat ki yeh rachna adhuri hai, kyonki iss pustak ke anusar ek divya patthar hai jiske bina ye reflector kisi kaam ka nahi…
Sabaiyya:- Nahi tum jhut kah rahi ho… tumne jaan bujh'kar hume itne dino se ghumaya hai… tum kewal waqt gujar rahi thi aur uss badjaat maa ke badjaat bete ke liye apne complete blood ko dhoka deti rahi....
Serin, hansti hui… "Pahle tum apne uss dost Mahamahim se sampark karke pucho puri baat.. uske baad main baat karti hun"..
Serin apni baat kah'kar badi hi shaan se uss Bivan ko uski jagah se utha'ti hui kahne lagi… "Tumhari aukaat nahi meri jagah par baithne ki, bhale hi sabha me main aamntrit hun ya nahi hun… aaj warning dekar chhod rahi hun.. agli baar gala kat'kar ye baat samjhungi"..
Bivan, kuch kahne hi wala tha uss se pahle hi Suko kahne laga… "Suna nahi Jaal mahal ki Master kya kahi. Chupchap uth ja.. Serin isse samjh diya hai, tum baitho.. waise mere prastaw ke bare me kya sochi"..
Serin:- Prastaw achha hai Suko lekin itni bari sabha me jab mera aur Nischal ka bhagya tay ho hi gaya hoga, fir ab iss prastaw ka koi matlab hai kya?
Yukte:- Tum ek gaddar ho Serin jo apne logon ko chhod'kar kisi badjaat khun Viggo samuday ke liye lar rahi ho....
Serin:- Ruki yaar isse kaise training di hai tumne, maine ek pasa feka to isne puri sabha ke baat-chit ka raaj ugal diya..
Bivan:- Raaj abhi ugle ya kuch der baad.. sab kuch tumhe samjh me aa jayega Serin..
Serin:- Tumhari har manokamna purn ho, tunhare marne ke purv..
Sabaiyya bhi thodi der Mahamahim se baat karne ke baad laut aaya aur aate hi… "Tum kamal ki vaigyanik ho. Mahamahim iss rachna se itna prabhawit hua ki wo hume ek baar apne reflector ka patthar istamal karne dega, badle me yadi tum 3-4 aise reflector bana'kar usse de deti ho to..
Serin:- Sambhaw nahi hai shashak, tumhari mehfil mein mujhe gaddar kaha jata hai aur main Nischal ke sath hum yah davva kiya gaya… puri sabha hi jab tum mere khilaf sajison ke liye bulaye ho, fir mujh se kaisi madad ki ummid..
Sabaiyya, Ruki aur Suko ko ghurte… "Aisa kisne kaha"..
Ruki:- Ek baar fir aapke chahete ne baat shuru ki aur uski baton ka pur-jor samarthan Sena nayak Bivan ne kiya..
Sabaiyya, dono ko ghurte huye… "Serin tum jaisa soch rahi ho waisi koi baat nahi hai.. bus tum mera kaam nahi kar pa rahi thi to chidhe man se maine hi kaha tha, lagta hai uske liye Nischal hi pyara hai aur Serin ab bhi usse sabse jyada chahti hai..
Serin:- Aur tum Sabaiyya, kya tumne kabhi chaha hai apni complete blood ko..
Sabaiyya:- Haan bilkul .. tumhe shak hai kya..
Serin:- hahahahaha… tumhare pass aakar abhi kahdi hui to mujhe ek baar dekhe tak nahi, main kaisi hun wo puchna to dur ki baat hai … tum mere liye sirf wo insan ho jise meri maa ne janm diya hai… aur haan ek baat aur, wo Mahamahim tumhe kabhi patthar nahi de sakta, kyonki uska reflector Nischal ne gayab kar diya hai.. Itni sachai batane ke baad ab jara tumhari chahat bhi dekh lun…
Sabaiyya:- "Jab wo Viggo nahi tha tab to mujhe uss se itni nafrat thi ki kab uska main gala daba dun.. lekin pita ne mere hath bandh diye. Acha hi hua jo tum dono ne milkar usse maar dala aur mere hath khol diye…"
"Ab to mujhe yah bhi pata hai ki wo ek Viggo hai… To kya hua jo meri apni khun ek Viggo ke moh me hai.. mere liye tum bhi ek Viggo se kam nahi… aur jab tumhe main Viggo maan hi chuka hun to meri nafrat bhi tum samjh hi sakti ho.... Aaj to tumhe Jaal mahal se nikal'kar jhatke dunga aur intzar karo mere kahar girne ka..
Serin:- Tabiyat to thik hai na complete, thode kamjor se dikh rahe, thik se chillaya nahi… Khair tumhe wo Jaal mahal chahiye na.. aaj le lo.. diya tumhe… aage jo karna hai wo karte rahna, main chali..
Yukte:- Aise kaise jaogi pahle saboot dena hoga ki tumne Jaal mahal ka ek bhi saman apne pass nahi rakha..
Serin:- Aur wo saboot kaise du main, jarra samnhaoge..
Ruki:- Tumse koi saboot nahi maang raha.. tum jao Serin..
Bivan:- Sena nayak hone ke taur par maine circular jari kar diya hai… Serin par sajiskarta hone ka shaq hai.. janch tak isse kanoon vayvstha me sahyog dena hoga… Serin ab saboot de, ki usne Jaal mahal se kuch nahi liya..
Serin:- Haan to main bhi puchh rahi hun kaise dun saboot..
Ruki:- Tumhe koi saboot dene ki jaroorat nahi hai.. jao yahan se..
Sabaiyya:- Ruki kanoon vyawastha ko apna kaam karne do..
Bivan:- Tumhare sare kapde nikal'kar…
Sena nayak Bivam apni kursi par baitha tha.. aur Serin ko nirvastr karne ki mansa jahir hi kiya tha, isse aage kuch kahta uss se pahle hi Serin ne lagbhag 300 kilo wajan ka wo reflector, jo cube aakar ka tha, usse Serin ne itne tej ghuma kar Bivan ke gardan par de mari, ki kursi me uska dhar fasa rah gaya aur gardan reflector ke sath sidha deewar me jakar chipak gaya...
Sabaiyya, turant apni pratikriya dena chahta tha lekin tabhi Ruki aur Suko ne unhe rok'kar shant rahne ka ishara kiya… idhar Serin apne chehre par aaye baal ko piche karti hui kahne lagi…
"Sabaiyya, mujhe lagta hai tumhe apne liye ek naye sena nayak ki jaroorat hogi, baki Ruki tunhe samjha dega ki kyon uski baat maan leni chahiye thi. Ruki mere 800 log Jaal mahal me hai, ginti me yadi ek bhi kam hua, ya unke sath koi ulti harkat hui to fir jo parinaam hoga uske liye baad me pachtane ka bhi mauka nahi milega"..
Serin apni baat kah'kar wahan se jaise hi nikli, Sabaiyya Ruki ko aakhen dikhate puchne laga… "Mujhe roke kyon"
Suko:- Kyonki kisi ko check karne ke liye uska body scan kiya jata hai, na ki uske kapde utarne ki baat hoti hai… mujhe lagta hai aap ko kanoon padhne ki jaroorat hai. Jaal mahal me bhi iss waqt scanning chal rahi hai aur afsos ki iss ghatna ke baad Serin ka scan nahi ho payega, kyonki Jaal mahal ko chhodne ka plan wo pahle se kar chuki thi aur yahan ke logon ka barbolapan usko fayda pahuncha gaya…
Sabaiyya:- Le jane do usse koi bhi taknik, pura Jaal mahal to nahi le gayi na… Yukte badbole pan ka natija dekh liya na, isliye aaj ke baad tumhe kisi ko kuch bolna ho to pahle Ruki ya Suko se kahoge aur ye dono tay karenge ki kya bolna hai aur kya nahi.... Tum ja'kar Jaal mahal ka kaam sambhalo aur apne kahe anusar saboot la'kar do…
Zoren grah par mohron ki bisad bichh chuki thi. Nischal ko halke me nahi liya ja sakta tha, isliye ek Viggo ko marne ki yojna ke liye Ruki ko Sabaiyya ne apne pados ke Uttari Rajya me bheja, taki aakhri Viggo ke jinda hone ki suchna diya ja sake aur aage ki strategy unke sath mil'kar tay ki ja sake.. .
Wahin Serin apne bhai se milkar nikli aur Chirag aur Aarsi ko lekar Dusre sahar me isthit Nischal ke mahal ke ore nikal gayi. Kuch he der me Serin mahal ke pass thi. Ek baar fir wahi bada sa darwaja tha aur ek baar fir Chirag aur Aarsi wo bada sa darwaja khol'kar ander ghuse.. kintu iss baar dar nahi tha balki Adhmya ke sath dono khelne ja rahe the…
Dono ko dekh'kar Serin hansne lagi aur Mahal ke dwar par baith'kar wo Chirag aur Aarsi ko Adhmya ke sath khelte huye dekh rahi thi.. tabhi Serin ke kandhe par pichhe se hath para, Serin mudti… "Lobhu, aao ander"
Lobhu:- Tumne jaisa kaha tha waisa maine sab ko samjha diya hai…
Serin:- Mujhe yahan 3 din chahiye uske baad tumhe pata hai kya karna hai. Apne sabhi log aur Jaal Mahal ka dhyan rakhna… ab niklo…
Lobhu se apne kaam ki baat karne ke baad, Serin ne turant hi usse wapas bhej di aur khud mahal ke darwaje par aayi. Mahal ke mukhya dwar par khade ho'kar Serin idhar udhar dekhne lagi…. "Jaisa ki pahle se ummid tha, bhag gaye ye nikamme log"..
Serin khud me samiksha karne ke baad, Chirag aur Aarsi ko wapas bula li aur mahal ke security pass ko open karke ander dakhil hui… jaise hi teeno ander gaye, Chirag aur Aarsi khanste huye kahne lagi… "Ye kaun se kabad'khane me hume le aayi bua"..
Serin:- Kahan le aayi hun wo matter nahi karta hai, kahan lekar jane wali hun wo to sun lo..
Aarsi:- Hum kahin tour par nikal rahe hain kya?
Serin:- Haan tour par nikal rahe hain.. tumhe main antriksh aur kayi sare grah ke bare me batayi thi na..
Chirag:- Haan wo kitabi baten, sun'ne me to achha lagta hai aur didi ke sath baith'kar maine kayi alian movie bhi dekhi hai..
Aarsi:- Aur maine bhi… I love alians.. wo kitne khatrnak aur takatwar hote hain..
Chirag:- Aur mujh se love nahi karti…
Aarsi:- Buddhu, wo jaise hum ice cream se love karte hain, ghumne se love karte hain, thik waise hi wala love hai..
Serin:- Ye prithwi wale kya kha'kar apna bacha paida karti hai… tough situation ko bhi comedy bana dete hai… mere laal.. aapas ki discussion baad me kar lena meri baat suno..
Dono:- Ji bua..
Serin:- Tumne jo abhi kitabi baaten batayi hai, wo sach hone wala hai.. hum log antriksh ki sair par niklenge aur tumhari didi ke pass chalenge.. lekin yadi koi sawal mujh se kiye to main nahi le jaungi… apne sare sawal apni didi aur fufa ke liye bacha lo.. main to kahti hum kahin paper par note kar lo aur milte hi hath me sawal thama dena…
Dono:- Ohk master hum samjh gaye… to kya humara bhi ek viman hoga jisme aap pilot aur hum co-pilot honge..
Serin:- Dekhte hain.. ab wo to tumhare gyan ke upar nirbhar hai ki tumhe jo maine 2 sal me sikhayi, uska kitna hissa tum dono sikh paye..
Serin dono ki bakbak ke bich thoda hansti, thoda apna sar nochti, mahal ke nichle hisse se me pahunchi… Ek khufiya banawat, jise Nischal ne jungle ke madhya tak jane ke liye banaya tha… ussi raste ka sahara lekar Serin bilkul jungle ke madhya tak pahunch gayi…