• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Non-Erotic Laghu kathayein • Hasaratien- kuch likhane ki

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
46,081
39,174
304
CHINI KI ROTI !

"Ae maai, humka u dilayido, dekho nn, sabahi liye hai, aur upar se muh chidha rahe hai humka, naa dilaogi ve rangeen gubbare!?" Golu ne apne maa se guhaar lagayi, apne un unuchit khwahishon ko purn krne ke liye jo sirf chand lamho ka hi mohataz ho....Nanga badan lagbhag 5 saal ka jaan padta ho.. sawla sa, pr kanahaiya se kam na....
Ghar ke chukahat pe baitha Golu un rang birange gubbaro ko paane ki aas lagaye nn jaane kab se baitha tha,
Aas pados ke bachho ko dekh uska hriday tadap utha tha, aur pados ke bachhe rang birange gubbare le, idhar udhar hudang machaaye the, jaise unhe koi khajaana mil gya ho...akhir usme rakha hi kya tha un char aane ke gubbaron me!?...... pr Golu ke liye ve ehasas bhi keval sapne sa hi tha.
Nange badan pe kapde hone ke naam pe maatr maile kuchaile ek ujali half Pant pahni huyi thi, pr ab to ve bhi naa rahi..jangho ke bich silan ukhdi jo thi..vo bhi kai rango ke, pichle mahine ye pant use bhent mili thi Nirmala ko apne Malkin se, Purani pant !, jaha vo saaf-safayi krne jaya karti thi, aur kabhi kabhar vo Golu ko bhi sath liye chal deti thi, chota jo thehra aur ladala bhi, Daulat ke bina bhi!.....

Nirmala jab choukari kar ghar vapas aayi to apne bete ko aise rangin gubbaro ko taktaki lagaye baitha dekha to uske hridaya me chubhan si mehsoos huyi.....Gaadhi nili rang ki saadi pahni, kahi kahi se unme chhote chhote ched jhalak aahi jaati pr chehre pe kahi koi sharmindagi na tha...un tamaam jhoothi aur dhongi hone ke dikhawe se koso dur thi....pr thi ve charahari si, lambi bhi, itna kam vo akele jo karti thi, aise sarir ke liye use koi alag se bhugtan nhi krna pdata tha...daulat mando ki tarah ! ...Pati bhi uska mehanati tha,.......
Bete ki khwahish jaan, Nirmala devi kuch naa boli...bas chup rahi aur gusse se use ankhen dikha rahi thi, pr sirf bahari roop se hi, andar to kuch aur hi tha....sirf dukh..apne ladle ki khwahish ko pura nn kr paane me asamarth jo thahri thi...makaan ka kiraya bhi to chukana tha nn unhe, aur upar se rashan ka bhi...aur sath hi saas ke Damma ki dawaon ka bhojh.

" Lagata hai tu humse pyar naahi karti ho..agar karti to dila deti humka...u lalka wala...huh!" Bachpan ka hatthh !,uske aage to bhagwan ko bhi jhukna pad jata hai..par yaha majburi jo thehari...insaan ke dwara banaye bematlabi majburi...Dhan ki majburi...Uparwale ke paas aisi majburi thode hi hoti hai !

"Dilaungi nn...pr abhi raat hone wali hai, chal jaldi baba bhi aate hi honge kaam pr se...aur e gubbare to phoot jayenge nn lalla, to in rageen gubbare ke badle hum tumka rangeen kathpisim ( Pencil colour) dila deb aur saath hi aaj tumka hum chiniwala roti bhi khilaungi...khayega nn mera Lalla!" Badi chalaki se apne majaburi ko chhupa liya, pr kab tak chhupta...jab use duniya ke usoolo ko samajh aane lage!? Tab kya hoga!?.....
Par abhi to vo tha naadan...duniya ki samjh thode hi aayi hogi...

"haa khaunga...!!" Muh me to jaise bandh si tut padi ho, paani rukne ka naam hi naa le raha tha...sirf kalpana maatr se hi...
CHINI KI ROTI !....ADHURI reh gayi KHWAHISEIN pr ek achhe aur Ujjwal ,sunhare bhavishya ke liye..!!
:applause: kaa likhe ho bhai...
Shabd ki kammi hai pad jaayegi iss kahini ke baare mein likhne mein..

Gajab..

Likhte raho dost....
 

Luvyrus160

The Infinite Tsukuyomi !
43
181
49
No Adult content + no eroticism still touches the heart that called emotions ????
Wish you best of luck for your future ❤❤❤❤
:love3::love3::love3:
Dhanyawaad bhai...bas aise hi apne bahumulya tippadi dete rahiye..
:applause: kaa likhe ho bhai...
Shabd ki kammi hai pad jaayegi iss kahini ke baare mein likhne mein..

Gajab..

Likhte raho dost....
Dil se sukriya bhai...aapke tippadi padh dil gadd gadd ho utha...Dhanyawaad?
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Luvyrus160

The Infinite Tsukuyomi !
43
181
49
Sir apki likhne ki skills to kamal ki hai. kitni ghehri soch hai aapki sir.
Sab reality hai sir jo jo story mein aap ne likha hai.
Dil se dhaniyawaad karta hu sir aap ko..
Aisi kahani aap humare beech laye uske liye..
Ye to meri khuskismati hogi ki aapne ise dil se padha aur apni raay di...aur main bhi ye puri kosis karunga ki jo jindagi ki sacchai hoti hai use mai apne lekhani ke jariye aap tak pahucha saku...aur aap iska bharpur aanand le sake...
Aur dil se dhanywaad...aapki itni achhi pratikriya ke liye...mai aur to kuch nhi kahunga pr jald hi mai nayi aur sachhi ek chhoti si kahani jald hi pesh karunga " Apni Gaadi - Taad ki gaadi ".
Dhanyawaad?
 

Luvyrus160

The Infinite Tsukuyomi !
43
181
49
♡♡♡ GHOSADA - The announcement♡♡♡

Jald hi nayi kahani... kahani bachpan ki...
Bachpan ki mastiya, Bewajah hasna, ek dusre ko chidhana, bhaagte bhaagte gir jaana pr apne dard ko chhupa uth kr fir daud lagana, Hisse me milne wali chiz se jyada ka miljana jaise maano kohinoor ka mil jaana...
Ye sabhi honge.... " Apni Gaadi -Taad ki gaadi" me.
 
Last edited:

AK 25

Supreme
22,126
35,927
259
♡♡♡ DWITIYA LAGHU KATHA ♡♡♡

CHINI KI ROTI !

"Ae maai, humka u dilayido, dekho nn, sabahi liye hai, aur upar se muh chidha rahe hai humka, naa dilaogi ve rangeen gubbare!?" Golu ne apne maa se guhaar lagayi, apne un unuchit khwahishon ko purn krne ke liye jo sirf chand lamho ka hi mohataz ho....Nanga badan lagbhag 5 saal ka jaan padta ho.. sawla sa, pr kanahaiya se kam na....
Ghar ke chaukhat pe baitha Golu un rang birange gubbaro ko paane ki aas lagaye nn jaane kab se baitha tha,
Aas pados ke bachho ko dekh uska hriday tadap utha tha, aur pados ke bachhe rang birange gubbare le, idhar udhar hudang machaaye the, jaise unhe koi khajaana mil gya ho...akhir usme rakha hi kya tha un char aane ke gubbaron me!?...... Golu bhi unki tarh udna chata tha un rang birange gubbaron ki tarah aazad ! , pr Golu ke liye ve ehasas bhi keval sapne sa hi tha....Lekin usko ye bhaan jaara bhi nn tha ki aazad sa dikhane wale be Gubbare bhi aazad kaha the, ve bhi to Gulam hai uske malik ke zanjiro se, chahe ve dhaage hi kyu nn ho...

Nange badan pe kapde hone ke naam pe maatr maile kuchaile ek ujali half Pant pehne huye tha, pr ab to ve bhi naa rahi..jangho ke bich silan ukhdi jo thi..vo bhi kai rango ke, pichle mahine ye pant use bhent mili thi, Nirmala ko apne Malkin se, Purani pant !, jaha vo saaf-safayi krne jaya karti thi, aur kabhi kabhar vo Golu ko bhi sath liye chal deti thi, chota jo thehra aur ladala bhi, Daulat ke bina bhi!.....

Nirmala jab choukari kar ghar vapas aayi to apne bete ko aise rangin gubbaro ko taktaki lagaye baitha dekha to uske hridaya me chubhan si mehsoos huyi.....Gaadhi nili rang ki saadi pahni, kahi kahi se unme chhote chhote ched jhalak aahi jaati pr chehre pe kahi koi sharmindagi na tha...un tamaam jhoothi aur dhongi hone ke dikhawe se koso dur thi....pr thi ve charahari si, lambi bhi, itna kam vo akele jo karti thi, aise sarir ke liye use koi alag se bhugtan nhi krna padta tha...daulat mando ki tarah ! ...Pati bhi uska mehanati tha,.......
Bete ki khwahish jaan, Nirmala devi kuch naa boli...bas chup rahi aur gusse se use ankhen dikha rahi thi, pr sirf bahari roop se hi, andar to kuch aur hi tha....sirf dukh..apne ladle ki khwahish ko pura nn kr paane me asamarth jo thahri thi...makaan ka kiraya bhi to chukana tha nn unhe, aur upar se rashan ka bhi...aur sath hi saas ke Damma ki dawaon ka bhojh.

" Lagata hai tu humse pyar naahi karti ho..agar karti to dila deti humka...u lalka wala...huh!" Bachpan ka hatthh !,uske aage to bhagwan ko bhi jhukna pad jata hai..par yaha majburi jo thehari...insaan ke dwara banaye bematlabi majburi...Dhan ki majburi...Uparwale ke paas aisi majburi thode hi hoti hai !

"Dilaungi nn...pr abhi raat hone wali hai, chal jaldi chal andar, baba bhi aate hi honge kaam pr se...aur e gubbare to phoot jayenge nn lalla, to in rangeen gubbare ke badle hum tumka rangeen kathpisim ( Pencil colour) dila deb aur saath hi aaj tumka hum chiniwala roti bhi khilaungi...khayega nn mera Lalla!" Badi chalaki se apne majaburi ko chhupa liya, pr kab tak chhupta...jab use duniya ke usoolo ko samajh aane lage!? Tab kya hoga!?.....
Par abhi to vo tha naadan...duniya ki samjh thode hi aayi hogi...

"haa khaunga...!!" Muh me to jaise bandh si tut padi ho, paani rukne ka naam hi naa le raha tha...sirf kalpana maatr se hi...
CHINI KI ROTI !....ADHURI reh gayi KHWAHISEIN pr ek achhe aur Ujjwal ,sunhare bhavishya ke liye..!!
Again :yourock: with you skills, no words to describe the awesomeness of this story.

Kayi baar ye choti choti Stories bahut bada impact daal deti hai.

Brilliant update with awesome writting skills :applause: :applause:
 

AK 25

Supreme
22,126
35,927
259
♡♡♡ GHOSADA - The announcement♡♡♡

Jald hi nayi kahani... kahani bachpan ki...
Bachpan ki mastiya, Bewajah hasna, ek dusre ko chidhana, bhaagte bhaagte gir jaana pr apne dard ko chhupa uth kr fir daud lagana, Hisse me milne wali chiz se jyada ka miljana jaise maano kohinoor ka mil jaana...
Ye sabhi honge.... " Apni Gaadi -Taad ki gaadi" me.
:waiting:
 

Luvyrus160

The Infinite Tsukuyomi !
43
181
49
♡♡♡ TRITIYA LAGHU KATHA ♡♡♡

APANI GAADI - TAAD KI GAADI (Part-1)

Saal 1998

Shaam ke waqt Gaon ka maahol dekhte hi banta tha, suraj dhalne ko ho chala tha, aasmaan me laalima bikhari thi, panchiyo ke jhund apne ghosle ki or rukh kar rhe the, hawaywein bhi ab kuch raahat de rahi thi jo doparhari ke bela me aag ke gole barsa rahe the. Log apne kheto se kaam kr ghar ko laut rahe the hatho me taazi sabjiya liye. Gaaon ke bujurgon ki mandali rojana ki tarah aaj bhi lagi huyi thi chouk me, hamesha ki tarah bematalbi charchaayein, bematalbi isliye ki charchaon ka kendra me koi kharabi naa hoti albatta uspe amal nhi ho paati, gaaon ke bujurg jo thehre , sirf sujhao hi de sakte hai, akhir me to apne aapko nau jawan kahe jaanewale yuvaan vahi karte jo unhe karni hoti hai.....

Kahi koi apne Gaayo ko chaara to koi apne gharo ke samne bane 'Baade' (aangan) me paani ka chhidkaao kr rahe the jaha dopahar ke waqt looh ke chalne se dhool mitti ka jamao ho gya tha, aur jis dhool mitti se kuch samay pehle Dum sa ghut jaata ab vo hi kisi ittr se kam naa tha.... Bhhini bhhini si......mitti ki khushboo!

"Ae chacha aae babu, Aaayi re aayi gaadi aayi, taad ki aayi gaadi aayi, apni gaadi taad ki gaadi, Tez hai gaadi apni gaadi, bichhuk nn jaaye tau ki gaaye, udd nn jaaye sabki dhoti bhai, aayi gaadi taad ki gaadi, taad ki gaadi apni gaadi ! Bhrruummmm Bhrrruummmm!!"

Taad ke ped ke kate huye do falo (Fruits) se banne chakke....aur unko kendra se aapas me jodti unke bich me sidhi chhoti si Dandi...aur nabbe ke kond (Perpendicular ) pe lagi usse panch guni badi si dandi jiska chhor 'Gulel ' sa hone se vo choti lakadi pe pakad banaye huye thi,aur bachao ke liye safed rang ke dhhage ki rassi se baandhi gyi thi....aur dusri chhor jo Handle ka kaam krta tha..

Haatho me Dandi pakade huye vo Taad ki gaadi ko aise mod rha jaise koi peshewar chalak ho, safed rang ke aadhe baah ki kurta pehna jiske saare botton khule huye the, filmo ka bada shaukin jo thehra, filmo ke abhinetaon ko dekh, naayi ( Barbar shop) ki dukaan me jaa.. ghanto khud ko vaise dhaalne ka prayas krta...Aur baal bhi kisi hero se kaam naa the uske.
Aasmani rang ki half pant jo sarakari school se mila tha use teen mahine pehle jb vo dusri kaksha me dakhila liya tha..maaloom padta jaise school se aane ke baad school ki dress tab se nikali hi nn ho...Us aasamani rang ki half pant pe dhool mitti lagi padi thi jo laal dhaage se kamar se bandi huyi thi, taaki ve kamar se sarke na, ye Jugaad uski maa Seema ne kiya tha jab vo apne laadle ko baar baar ek haath se pant khich, unse pareshan sa ho jata.....uske naap ki belt bhi naa milti thi, Patla jo thehra lekin bilkul swasth, gora chiitha ,apni maa seema pe jo gya tha.
Seema ki umar lagbhag chhabis ya usse thoda hi upar hoga, pr nau youvan me uska kahi koi mukaabla nahi tha pure gaon ki aurto me, aur to aur nau jawaan ladkiya bhi uske aas pass tak na phatakti thi uske saundarya ke samip........khubsurati ke sath samjhdaar vyaktitva ki maalkin thi, Sehari hone ke bavjud Gaon ke sabhi Riti ritvaaj janti thi aur usme shamil bhi hoti thi.
..
Apne bade papa( Rajendra ) se jidd kr, Tittu ne ye gaadi banwai thi. Uske umar ke lagbhag saare bachho ke pass tha "Taad ki gaadi". Pr aisi baat bhi nahi hai ki Tittu ke pass pehle se naa thi uski apni ye gaadi, par uske bade papa mahir the inme, bachpan me unhone bhi kaafi hud dangai ki hui thi, pr ab ve purani baate ho chali thi, aur ab unka vyaktitva bada hi gehra tha.. unke sar pe jimmedariya jo aa chuki thi, baba ke gujarne ke baad dono behno ki shadi, maa aur bhai ka khayal jo rakhna pada.
Vo ye tab se krte aa rhe the, jab unki umar yahi koi pandrah - solah varsh ki hi rahi hogi, pr jimmedariyo se kabhi nn bhaage, aur isme unka bharpur saath diya unki ardhangani Meena ne. Meena saral aur samjhdar thi, panchvi tak padhi thi, pr gyaan kisi se kam naa tha. Rajendra ji bhale hi ashikshit rhe ho par apne chhote bhai ko seher bhejh snatak krwaye aur behno ko barahvi. Aur iske piche Meena ka hath tha.

Jab Tittu ke pitaji ne saher me hi bina kisi se bataye shaadi kr li to Tittu ke bade papa bahut naaraj huye the ispe, aur to aur gair biradari upar se...gaon me kya muuh dikhaayenge??.
Ve apne chhote bhai se bahut naraj huye aur baat itni badh gayi ki batware tak aa pahuchi. Par Tittu ke pitaji ne kuch bhi lene se inkaar kar diya. Ve apne pyaar ko saath liye, gaon se vaapis saher bas gaye. Saher me apne mehanat ke balbute achha khasa ghar aur pehchaan bana chuke the. Apne kamai ka lagbhag adha paisa ve apne bhai ke khaate me daal dete the. Kyuki aaj vo jo kuch bhi the sab apne bade bhai ke vajud se hi to the.
Par Tittu ke bade papa bhi the bade hi swabhimaani, unhone ek paise bhi naa liye apne chhote bhai ka. Aur aisa bhi nahi hai ki ve naaraj the balki gaon me jab ve kisi mandali ke charchao ka hissa bante to unke chhote bhai ki tarakki ka jikkar akshar ho jaya krta tha, pr ve bolte kuch naa, bas andar hi andar apne bhai pe fakr mehsoos hota, aur dua karte ki unka bhai jaha bhi rahe khush rahe.

Tittu ke pitaaji bhi hafte bhar me telephone jarur karte. Ghar ke sabhi logo kaa haal chaal puchte...Tittu ki maa bhi ghanto baatein karti apni Jethani se, aur kabhi kabhi to aankhein bhi chalak uthti thi dono ki...

Waqt aise hi gujarta gya, Tittu ke bade papa ki naarajgi bhi ab dhhumil huye chali thi... Bas ek jhhijhak ki partein hi rah gyi thi dono ke bich, jab Tittu ke pitaji apni bhabhi se baatein karte to , tab ve kisi bahane se ve kuch dhundhne ka natak krte aur apne bhai ki baatein sunne ki kosis karte. Jb unhe pata lagta vo sahi salamat hai aur khush hai, to jaake unke dil ko sukun aata. Meena bhi jaanbujh kr baatein jor jor se kiya karti thi aur apne devar ki baaton ko doharati thi.

Aur karib panch saal ke baad Tittu ki maa Seema ke pet se hone ki khabar aayi to, jaise ek baar fir khushiya laut aayi ho.
Ye khabar jab Meena ne Tittu ke bade papa Rajendra ji ko sunayi to ve phule nn samaye...Unki apni koi aulaad nn huyi thi...pr ab ghar ka chiraag aane wala tha.....

Tittu ki maa Seema ke ghar se telephone aaya ki ve apne bachhe ko ve maiyke me ho, kyuki vaha unki maa aur bhabhiya bhi thi jo unka khayal rakhti... Is baat pr Tittu ke pitaji ne mohar laga di.....
Aur idhar Gaaon me Meena ke bahut samjhane pe Tittu ke bade papa ne bhi apni jo bhi gile sikwe the use bhula kar, apne chhote bhai ko telephone kiya. Jab ve telephone kiye to ve ghar se nikal hi rahe the... Telephone ki ghanti Seema ne suni to unka mann nhi kiya uthaane ka, pet se hone ke karan unhe chala bhi nahi jaa rha tha, kaafi thakan si ho gayi thi unhe, pehle bachhe ke waqt sharir utna chhamtawadi nahi rehta....
Par dubara telephone ki ghanti bajne se ve ghar ke bahar jaate jaate ruk gyi jaha unke pati 'marshal' liye intezaar kr rhe the.
Unhone ne bedili se telephone ke handle ko uthaa kaan ko lagaya to unhe anazaan vyakti ki ' Hello' ki aawaz sunayi di.
Vo handle ko vapas rakhne hi wali thi ki...
" Hello... Bittu...hello...hello!"......Tittu ke Pitaji ke gharelu naam sunn unhe der nn lagi pahchanane me ki Telephone ke us or kaun hai? Aur kya lagta?....
Unhe kuch nn samjh aaya.... ve bus jor jor se ro padi...telphone ka handle kaan se lagaye , niche jamin pe baith gyi.... unke aanshu rukne ka naam hi nahi le raha tha...

Tittu ke pitaji ne jab apne dharma patni ko bahar nn aate dekha to...unke mann me bure bure khyalo ne gherna suru kr diya....Ve turant daude andar ghar ki or...
Apne dharmpatni ko aise rote bilakhte huye kise se baatein krte huye dekha to ve jhhat se telephone le, apne kaan se laga " Hello... kaun hai?"
"Bittu... Hum hai...tohaar bhaiya...."
Ab to jaise bandh si tut padi ho...ansu rukne ka naam hi nahi le rha tha, ve bhi jamin pe baith, apne patni ko gale se laga liye, barso ki judayi ka aisa ant to hona hi tha, ye aanshu bhi to jaruri hi the, aur ye tadap bhi....Aane wale khushiyo ke liye.

Fir kya, Tittu ke bade papa ke kehne par ve dono apne gaaon ke liye nikal pade. Aur vahi Tittu ka janam hua....barso baad khushiya lauti thi. Sabke chehre khile huye the...Pure gaon ko jassan me amantrit kiya gya...Dono bua bhi apne sasural se aayi...ve bhi apne chote bhai se mil, khushi se ro padi....Sabhi khush the.
Aur jab Tittu ke pitaji ne apne vapasi ki baat jahir ki to Tittu ke bade papa ne saaf saaf inkar kr diya...
"Tumka jana hai to jaao... Tittu ehve rhega!" ...
Bahut samjhane pr bhi Jb Tittu ke bade papa na maane to unhone bhi apne bade bhai ke hathh ke saamne ghutne tek diye.Tittu ke pitaji ko akele hi seher jana pada.
Par mahine me ve do ya teen din keliye jarur aate apni dharampatni aur apne ladle se milne.



Tittu apne aap me hi ek Toofaan sa tha, Na kabhi thakta aur na hi rukta jo tha , din bhar udham machaye rakhta tha, gaao ke saare bachon ka Agua ( The Leader) jo thehra. Hamesha uske saitaani mann me kuchh nn kuchh bulbule phhut te hi rehte the....Gaon ke log uske saitaniyo se pareshan bhi the. Aur kai baar to uski sikaayatein tak aa chuki thi, seema ko koi nn koi suna ke chala hi jata. Us din to uski khair nahi hoti pr hamesha ki tarh uski badi maa Meena bich bachao ke liye vaha maujood hoti, aur sath hi uski daadi bhi.....Ghar ka ek hi to Ladla tha.

Kitna bhi thaka hua ho, lekin Roj raat, apne Dadi se Raja rani aur pariyon ki kahaniya sun ke hi dum leta, agar bich me uski Dadi sunaate huye unki aankh lag jaati to ve unhe utha kr dubara sunane ki jidd krta , kahaniya sunn khush ho jata, dur kahi kalpanao ke gehre samundar me khota chala jaata, aur ve us samay vo Tittu naa hota jo vo aksar Taad ki gaadi chalate huye huwa krta tha., Shaant aur apne Vyktigat vyavhaar ke viparit.
..............

Kramashah......
 
Last edited:
Top