Update-701(The Apology)
701
Main Delhi se seedha Sam se Milne uppar aaya jo ki injured tha ,niche chal rahi MPs ki sorry ceremony ignore karke main Sam se milla orr ab Sam theek tha toh maine waapis aura farm karne par dhyaan diya or main niche aaya toh obviously niche meeting left side waale hall mein thi ,25-30 log baithey they wahaan log kya MPs or idhar right mein kitchen k andar se 5 mundi bahaar nikali hui thi jo Meeting ko sun rahe they chup chaap or woh 5 they Babhi ,Meenu ,Niki Mam ,Riya or Mouni... Issliye maine Aura farm karna pause kiya or pehle udhar he gaya kyunki meeting waalon ko idhar nahi dikhta toh unhe koi idea nahi tha main aaya hun issliye pehle kitche ki side gaya main...Mujhe dekh ab woh sab andar ghuss gaye waapis kitchen mein...
Main-Sharam karlo thodi bahot toh babhi...Gharmein aaye mehman par spy kar rahi ho..
Babhi- Arrey ye mehman thodi hain 4-5 toh dusman hain ye saree waali moti uske sath waali lady or woh saamne waale dono uncle ye toh tere bhaiya k khilaaf bhonk rahe they..
Main- 4-5 nahi babhi ye 25-30 jitane bhi hain ye sab dushman he hain ...
Babhi- Hain ??
Main- Ji ye sab wahi log hain jinhone bill k baad bhai ko bhalla bura kaha tha media mein ya social media par..
Babhi- Toh ye sale yahaan kya kar rahe hain...
Main- Maafi maanganey aaye hain..
Babhi- Ab kaise ??
Main- Akal aagayi hogi ..
Babhi- Sab logon ko ek sath ??
Main- Yeah I guess...
Babhi- Or let me guess woh akal tune he di hogi haina ?? Kyunki tere alawa koi aisa nahi hai jiske kehne par itane saare neta ek sath maafi maangne aa jaaein...
Main- Yeah..
Nicki- Good ..Inki class tu he le shakta hai..
Main- Laao khaana khilaa do ek baar bahot jyada bhook lagi hai .Kal raat se kuch nahi khaaya hai..
Babhi- Toh abhi dinner ho jaaega ready thodi derr mein..
Main- Dinner mein 2-4 ghante baaki hain babhi ...I'm hungry as hell..
Babhi- Dudh pee lee thodi derr baad khaana khaa lena warna tu fir dinner nahi karega ..
Babhi ne still bahaar jhaanktey hue kaha...
Main- Bus karo babhi bahaar he chale jaaoge kya..
Babhi- Arrey dekhun toh kaise maafi maang rahe hain....Aise he formal maafi, maafi thodi hoti hai..
Main- Babhi 3 ghante drive karke yahaan aaye hain ye sablog toh maafi formal toh nahi hogi ..
Babhi- Haan ye toh hai .
Main- Mujhe khaana dedo ab...
Babhi- Arrey pagal hai kya bola na dinner karna..
Main- Dinner nahi karunga main aaj .
Babhi- Kyun ??Firse kahin Jaa Raha hai kya?
Main- Naa yahin hun..
Babhi- Fir kyun nahi karega..
Main- Dekh lena aap . Future dikhta hai mujhe...
Riya- Chaaye ready hai babhi..
Babhi- Ramu aa jaao..Kaka aap bhi aajaao...
Main-Mera khaana ??
Babhi- chup chaap baith dinner karlena thodi derr mein abhi khaaega toh raatko bukha marrega..
Main- Dekhlena...
Kaka or Baaki log chaaye le gaye babhi sathmein gayi for formalities...
Main - Tum Bhi mill lo Meenu bade bade log hain..
Meenu - Bhaad mein jaaye aise log , mehamaan nahi hote toh chappal maarti inko..
Main- Lol...
Meenu-Chaai peeega ??
Main- Hell No...
Meenu- Riya ne banaai hai...
Riya- Koi naa Babhi nahi peeni toh ..
Meenu- Dekh bechaari ne special chaaye banaai aise karega ab..
Main- Chaaye nahi Peeta main ,orr iss time toh kabhi nahi ,tujhe pata hai shyaani naa ban ..Aag naa laga...
Meenu- Hehehe....Woh dekh toh babhi ko kaise naam naam kaa namaste kar rahe hain maano ehsaan kar rahe hain humaare uppar yahaan aake..
Main- Toh tujhe kya caahiye naakh ragdein yahaan ab..
Meenu- Arrey thode bahot regrets toh hain...
Main- Bus kya ..Main dikhata hun regrets..Wait and watch.. Main jaatey time sunaaney waala tha unko but abhi sunaa deta hun.
Ye bolke main bahaar gaya and hall cross karke seedhe wahaan entry maari..
Main- Good evening Everyone..
Ab mujhe dekhtey he sablog ne apne apne chaaye k cup rakhe niche or khaddey hoke koi namaste karne Laga kissi ne pair chuwe...
Main- Arrey Please Please sit...Chaaye lijiye... Baitho baitho please..
Deva- Main keh raha tha inko AP ki Maafi ki kya jarurat hai ye sab hota rehta hai politics mein..
Main- No no no..Nahi hota bhai... Bilkul nahi hota...Dekho Vote tumhara ,hakk tumhara jisse marji usse vote do I don't mind ...Uske baad jo bolna hai woh bolo ,lekin hadd mein rehke ,munh par lagaam lagaake ye aise ghatiya words use nahi karne hotey woh bhi aise bandey k liye jisne apni saari jindagi logon ki madad karne mein he nikaali hai ..Toh ye kabhi bardhasht nahi hoga haan politically bhaasan do humaari galatiyaan nikaalo humaari party ki galatiyaan nikaalo apne logon ko motivate Karo kyunki politics mein yahi toh hota hai lekin " ye gunda hai"," woh ghatiya hai " usase bada Gunda hai humaare pass "...
Deva- Arrey relax samjh gaye ye log ..
Main- Naa naa ..Let me speak bhai..
Babhi- It's ok AP...
Main- It is not babhi...Ye Ok nahi hai not at all kyunki tum sabko firse bata dun mujhse bada Gunda koi nahi hai tum caahe kissi state se ho kissi constituency se ho kissi seat se ho wahaan ka sabse bada Gunda main he rahunga .. Politics mein tumlog beshak meri thodi barabari kar loge lekin gundagiri mein mujhse uppar koi nahi ha.. Issliye please I beg you jubaan sambhaalke bhaasan do ..As simple as that..
Ye sunke sablog lage ab jameen ko ghurrne toh main samjh gaya ki mera kaam hogaya hai..
Main- Bus yahi kehna tha mujhe thanks a lot bura laga ho toh sorry but baat yaad jarur rakhna ..
Ye bolke main wahaan se waapis chala aaya kitchen ki taraf..
Meenu- wow they are really scared of you .
Main- Everyone is Meenu everyone is..
Meenu- Not everyone,main toh nahi darrti terese..
Riya- me neither,hum kyun darrein tumse .
Main - Tumhe daraana bhi nahi hai mujhe...
Meenu- Awwwww!
Main- Shut up yaar Meenu..
Continued...