• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Aryan: Kaalivan Ka Uday

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,653
4,112
144
Bahot badhiya shaandar update
Tow Aryan or Roshni me business deal 🤝 ho gayi badhiya h
Aryan ke kaam ki charcha ab kalivan ki galyion me hone lagi Jo bahot achchi BAAT h
Naik yes bro kaam zoro paer hai
 
  • Like
Reactions: Smith_15

Dhakad boy

Active Member
1,275
2,053
143
9: Stone Island ki Vyapari

Do din guzar gaye, aur Aryan Rathore ab level 9 par pahunch gaya tha. Aaj woh agle stage—level 10, Transition stage—par jaane ki taiyaari kar raha tha. Par usse pehle, aaj uski ek ajeeb si meeting thi.

Bhale hi Aryan Sukha Nagar ka raja tha, par abhi tak usne kisi local vyapari se baat nahi ki thi, kyunki yahan ke governor ka kaam bas kuch activities ko regulate karna hota tha, business deal karna nahi.

Par aaj ek Stone Island ki vyapari usse milne aayi thi. Aryan is baat se kaafi excited tha, kyunki iska matlab ek hi cheez ho sakta tha—usse pata tha ki Aryan ne Kaalivan ka problem solve kar diya hai.

Aryan apne daftar mein Devraj ke saath intezaar kar raha tha, jab kisi ne darwaza knock kiya aur andar aayi. Yeh thi Meera.

“Chhote sahab, Roshni ji aap se milne aayi hain,” Meera ne kaha, uski tight maroon lehenga-choli uske curves ko highlight kar rahi thi, aur usne ek flirty smile di.

“Hmm, unhe andar bulao. Main unka intezaar hi kar raha tha,” Aryan ne satisfaction ke saath kaha.

Thodi der baad, ek jawaan ladki andar aayi. Woh thi Roshni—ekdum sundar, uska patla chehra aur perfect curves ke saath ek aisa jism jo na zyada bada tha na chhota, bas ekdum ‘catchy’. Usne ek shandaar neele rang ki dress pehni thi, jo ek vyapari ke status ko dikhati thi, aur yeh saaf tha ki woh Sukha Nagar ki nahi thi. Uske golden baal khule the, aur uski hari aankhein ek alag hi chamak de rahi thi.

Uske peeche ek aadmi tha—lamba, muscular, aur ek relaxed look ke saath. Yeh tha Eduard, uska bodyguard.

Tabhi Devraj ne Aryan ke kaan mein dheere se kaha, “Chhote sahab, yeh dono 5th stage—Spiritual General—par hain. Ladki level 42 par hai, aur aadmi shayad level 47 par.”

Yeh sunke Aryan ne socha, “Jaisa maine anumaan lagya tha…”

Uske baad unhone introduction di. “Milkar achha laga. Mera naam Roshni hai, aur yeh mera bodyguard Eduard,” Roshni ne muskurate hue kaha, uski awaaz mein ek seductive tone thi.

“Hmm, milkar achha laga. Main hoon Aryan Rathore, aur yeh hain Devraj, mera wafadar,” Aryan ne jawab diya.

“Toh, Roshni ji, main jaanna chahta hoon ki ek Stone Island ki vyapari Kaalivan se kya ummeed rakhti hai,” Aryan ne expressionless chehre ke saath poocha.

Roshni ne bina kuch chhupaye apni baat shuru ki. “Dekhiye, ek vyapari hone ke naate, main hamesha opportunities dhoondhti hoon. Kaalivan mujhe ek zabardast mauka lagta hai. Pichhle kuch hafton se main Rajputana Rajya mein business kar rahi thi. Jab main wapas Stone Island ja rahi thi, toh Sukha Nagar mein thodi der ruk gayi.”

“Waise toh main hamesha yahan se guzarti hoon jab Rajputana aati hoon, par is baar maine kuch interesting afwaahein suni ek naye raja ke baare mein. Vyapari hone ke naate, afwaahein toh common hain, par apne ilaake ki khabar rakhna humare business ke liye zaroori hai,” usne kaha, uski aankhon mein chalaaki aur chamak thi.

“Isliye maine yahan kuch din aur rukne ka faisla kiya,” Roshni ne calm tone mein kaha.

“Aur ab jab mujhe pata chal gaya ki afwaah sach hai, toh main aapke ilaake ke saath business karna chahti hoon,” usne apni baat khatam ki, ek flirty smile ke saath.

“Hmm, samajh gaya. Par abhi hum koi badi deal nahi kar sakte hai. Mera andaaza hai ki doosre ilaakon ke saath bada business karne mein hame kuch saal lagenge,” Aryan ne thoda vague jawab diya.

Thodi der sochne ke baad, Roshni ne kaha, “Main samajhti hoon ki aap abhi shuruaat kar rahe hain, toh abhi jo bhi business hoga, woh chhota hi hoga. Par main chhote deals mein bhi aapki madad karne ko taiyaar hoon, bhale hi mujhe bada profit na ho, lekin mai is ummeed ke saath invest kar rahi hoon ke future mein hum ek badi partnership mai kaam kar sakein.”

“Aur apni dilchaspi dikhane ke liye, main 4 spiritual arrays invest kar sakti hoon, jo spiritual energy gather karte hain aur grade-1, high-level ke hain,” Roshni ne ek bade offer ke saath kaha.

Yeh sunke Devraj aur Aryan dono impress ho gaye ki yeh ladki kitna invest karne ko taiyaar hai.

Idea dene ke liye—spiritual arrays 4 degrees mein hote hain, aur har degree low, medium, aur high levels mein divide hoti hai. In classifications ka farak power mein hota hai. Ek array kuch bhi ho sakta hai—spiritual gathering, battle formations, defensive shields—par uski taakat classification se decide hoti hai.

Matlab, ek grade-1, high-level array, ek grade-1, low-level array se 50 guna zyada powerful hota hai.

Toh ek grade-1, high-level spiritual gathering array 50 guna bada area create kar sakta hai ek grade-1, low-level array ke muqable. Aur is area mein spiritual density kitni hogi, yeh us ilaake ki spiritual concentration ya spiritual crystals ki quality/quantity aur array ki classification par depend karta hai.

Ek grade-4, high-level array 100% efficient hota hai—ya toh poore ilaake ki spiritual energy concentrate karta hai, ya supplied crystals ki saari energy ko free energy mein badal deta hai. Par ek grade-1, high-level array ki efficiency sirf 20% hoti hai. Lekin inki keemat ka farak bada hai—20% efficiency wale array ki keemat 15,000 low-grade spiritual crystals hoti hai, jabki highest quality ka array 100,000 high-grade crystals ka hota hai.

Isliye, ek aise ilaake mein jo abhi develop hona shuru hua hai, usme 4 grade-1, high-level arrays invest karna Central Continent ke north ke standards ke hisab se bahut badi baat hai.

Aryan ne thodi der shant rehkar jawab diya, “Oh! Lagta hai Roshni ji ko poora yakeen hai ki Kaalivan aage jakar bahut successful hoga.”

“Par main jaanna chahta hoon ki aap exactly kya chahti hain. Main koi blank check sign nahi karna chahta,” Aryan ne serious look ke saath kaha.

Roshni ne turant jawab diya, “Jaise maine kaha, main bas table par ek jagah chahti hoon jab Kaalivan develop ho jaye. Mujhe khushi hogi agar main Stone Island main aapki ek dealer ban saku.”

“Aap Kaalivan ki baat kar rahi hain, par aapki taraf se kya? Kya aap Stone Island ke saath mere poore ilaake ka turnover handle kar paayengi? Meri baat galat mat lena, main aapko underestimate nahi kar raha, bas main aapko jaanta nahi hoon,” Aryan ne shak ke saath kaha.

Woh jaanna chahta tha ki woh kiske saath deal kar raha hai. Abhi chhoti madad lekar future mein bade problems nahi chahta tha.

Roshni gussa nahi hui. Usse pata tha ki yeh ladka uske background ke baare mein nahi jaanta, toh usne seedha kaha, “Main aapki baat samajhti hoon. Aapka mujhe na jaanna natural hai, aapke past ko dekhte hue. Par main aapko yeh guarantee deti hoon ki jab Kaalivan ek bada influence ban jayega, tab main Stone Island ke saath aapke rishton mein rukawat nahi banungi.”

“Sach mein, agar aap Stone Island mein Shah khandaan ke baare mein dhoondhenge, toh pata chalega ki mera khandaan humare ilaake ka sabse bada vyapari khandaan hai,” usne confidence ke saath kaha.

“Hmm, theek hai. Aapki imaandari ke liye shukriya, Roshni ji. Main aapke offer ke baare mein sochunga aur ek hafte mein feedback doonga. Yeh zyada toh nahi hai na?” Aryan ne table ke us paar Roshni ki aankhon mein dekhte hue kaha.

“Ek hafta zyada nahi hai. Main Four Seasons Hotel mein ruk rahi hoon. Jab aap taiyaar ho, toh kisi ko bhej dena mujhe batane ke liye,” Roshni ne jawab diya, aur phir woh aur Eduard nikal gaye, Aryan aur Devraj ko daftar mein akela chhod kar.

Thodi der baad, Devraj bola, “Agar mai galat nahi hoon, toh Shah khandaan sach mein Stone Island ka ek bada khandaan hai. Maine ek baar afwaah suni thi ki unka ek empire ke saath bhi rishta hai.”

“Oh! Toh lagta hai hame koi problem nahi honi chahiye. Par Devraj chacha, iske baare mein thodi research karo. Humein pata hona chahiye ki Roshni apne khandaan mein koi problem wali member toh nahi hai,” Aryan ne kaha.

Aakhir, Roshni jaisa exclusive business rishta ek shaadi se kam nahi tha. Agar dono mein se kisi ek ko problem hoti, toh doosre par bhi asar padta hai—kyunki jab shaadi hoti hai, toh ek doosre ki problems bhi apni ho jati hain.

Isliye Aryan jaanna chahta tha ki woh kiske saath rishta bana raha hai, taaki future mein koi problem na ho.

Do din aur guzar gaye, aur Aryan ka group abhi bhi Roshni Shah ke past ke baare mein research kar raha tha. Par aaj Aryan ke liye ek bahut important din tha. Woh level 10—Transition stage—par jaane wala tha.

Aryan is baat se kaafi excited tha, aur usne ek attack technique bhi chun li thi jo woh is stage par seekhega.

Yeh thi ek Golden-grade technique, 10 phases wali, jiska naam tha Antriksh Talwar. Iske liye user ko ek talwar jaisi spiritual tool use karni hoti thi. Jab technique activate hoti, toh user ke aaspaas ka space 1 second ke liye ruk jata tha, aur saare objects aur jeev ‘trapped’ ho jate the, jab tak koi user ke cultivation level se zyada na ho. Agar aisa hota hai, toh us individual par technique ka asar kam ho jata hai.

User ke aaspaas ka space jo rukta tha, woh technique ke phase par depend karta tha. Pehle phase mein, user se 10 meter ke radius tak ka space affect hota tha. Agle phases mein yeh space har stage par double hota jayega, aur maximum performance par—10th phase mein—yeh 5 kilometer tak ke radius ko affect kar sakta tha.

Is technique ke saath, Aryan ko apne level ke logon ke khilaaf bada advantage milega, aur agar woh kisi zyada strong se ladta hai, toh bhi uspar slowdown effect hoga, jab tak strength ka farak zyada na ho.

Kuch ghante guzar chuke the, Aryan Rathore ke level up shuru karne ke baad se. Ki tabhi uske jism se ek halki si cracking awaaz aayi. Yeh itni subtle thi ki agar aaspaas shant mahol na hota, toh koi sun bhi nahi sakta tha.

Crack!

Thodi der baad, Aryan ko ek ajeeb si feeling hui, jaise passene ke saath jism se ek baar mein saari gandagi nikal rahi ho. Par is baar yeh koi paseena nahi tha—ek chikna, kaala padarth tha, jaise kachra, na sirf dikhne mein balki badboo mein bhi. Itni ghinauni smell thi ki Aryan ko ulti aane ka mann karne laga, bhenchod!

Usne turant Antriksh Rajya ke bade ghar ki taraf daud laga di taaki jaldi se naha sake. Woh apni pehli attack technique Antriksh Talwar shuru karne ka soch bhi nahi sakta tha—isse pehle uski body ki yeh gadhi badboo khatam honi zaroori thi, warna woh focus tak nahi kar pata!

Kuch minute baad, Aryan saaf tha aur naye kapdon mein.

‘Arre yaar, mujhe nahi pata tha ki jism ki impurities itni ganda smell karengi!’ Aryan ne socha, uske chehre par abhi bhi thodi si ghin thi.

Yeh jo hua, yeh spiritual cleansing tha jo har baar hota hai jab koi cultivator apne stage ko badhata hai. Yeh process toxic substances ko jism ke cells se nikalne ke liye tha, jo khaane, spiritual pills, medicines, aur jism ke normal metabolism se aate the.

Normal taur par, zyaadatar khaana aur pills mein impurities hoti hain, jo waqt ke saath jism mein jama ho jati hain—yeh bioaccumulation hota hai. Medicines aur body metabolism bhi toxins bana sakte hain—pehla zyada istemaal se body reaction se, aur doosra aging jaise natural processes se.

Is transformation ka sabse bada faayda cultivator ki vitality badhna tha, jo kai logon ka maqsad hota hai. Aakhir, kaun nahi chahta is duniya mein thodi aur zindagi paana.

Aakhir mein, Aryan ne ek golden parchment uthaya aur bade ghar ke paas, lake ke saamne ruk gaya. Usne Antriksh Talwar technique seekhna shuru kar di.

“Is technique ke on hote hi radius mai chahe jitne loh ho,Koi farak nahi padta. Sab freeze honge, aur 1 second mein kaat daale jayenge…”

Aryan ne technique ke meaning pe sochna shuru kiya…

Kuch ghante baad, usne movement 100th baar perform ki. Tab usne dekha ki ek patta jo gir raha tha, ek pal ke liye ruk gaya aur phir girna chalu ho gaya.

Usne technique ke basics seekh liye the aur ab uska pehla phase complete tha. Level 20 tak pahunchne ke saath, usko hazaron moves karne honge taaki doosre stage tak pahunch sake.

Yeh isliye tha kyunki cultivation technique ko bas activate karna padta tha aur woh khud strong hoti jati thi, dominance badhta jata tha. Par doosri techniques ke liye, cultivator ko har stage ke liye ek fixed number of executions complete karne padte the.

Sirf body mein energy badhana kaafi nahi tha—technique ka samajhna bhi zaroori tha. Yeh bhi ek wajah thi ki higher stages mein cultivation ki speed dheemi hoti jati thi. Spiritual energy cultivate karne ke saath-saath, har technique ko uske level ke barabar train karna padta tha.

Aryan ne yeh training session khatam kiya aur haveli wapas aaya uske baad usne ek mast neend li.

Panch din aur guzar gaye. Aryan ab level 11 par tha, aur aaj woh Roshni Shah ko apne partnership ke faisle ke baare mein jawab dene wala tha.

Devraj ke team ke hisab se, Roshni ke Shah khandaan mein koi badi problem nahi thi. Sirf itna pata chala ki uska Black talent hai, 22 saal ki umar, aur level 42, jaise Devraj ne bataya tha. Isliye Aryan ne Roshni ke saath partnership ka faisla kiya.

Kisi ko bhejkar Roshni ko inform karne ke baad, ek ghante se zyada waqt guzarne par ek jawaan ladki haveli mein aayi, uske peeche uska personal guard.

“Mujhe follow karo, Roshni ji. Chhote sahab aapka intezaar kar rahe hain,” Meera ne muskurate hue kaha.

“Theek hai.”

Meeting shuru hui, unhone kuch zaroori details discuss kiye aur phir deal final kar di. Is deal mein Roshni Shah ko 4 grade-1, high-level spiritual arrays supply karne the, saath hi Stone Island mein Kaalivan ke products ko promote karna aur island ke professionals ko Aryan ke ilaake se connect karna.

Aryan ki taraf se, woh apne products ko Stone Island mein sirf Roshni ke zariye market karega. Woh uski exclusive reseller banegi uss region mein.

“Toh yeh faisla ho gaya. Kya Roshni ji thodi der aur mere shahar mein rukengi? Shayed is deal ka jashn manane ke liye dinner kar lein?” Aryan ne muskurate hue kaha, uski aankhon mein ek naughty chamak thi.

“Shukriya, par agli baar hi sahi hoga. Main yahan kaafi waqt se hoon, mujhe apne khandaan ko jawab dena hai,” Roshni ne serious look ke saath kaha, uski neeli dress uske elegance ko dikha rahi thi.

“Oh, theek hai! Agle baar zaroor,” Aryan ne kaha.

Uske baad dono ne alvida kaha. Jane se pehle Roshni ne kaha ki woh spiritual gathering arrays Koalivan bhej degi jaise hi Stone Island pahunch jayegi. Uske hisab se yeh 2-3 hafte mein ho jayega.

Aryan ke liye yeh waqt bahut achha tha—usne socha bhi nahi tha ki itne arrays ek saal se kam mein mil jayenge aur woh v jab zameen ki cultivate ho rahi hai.

Aur yeh arrays abhi itne powerful nahi the, Kaalivan ki current spiritual density ko dekhte hue, par jab uske paas kaafi spiritual stones honge, toh yeh problem solve ho sakti thi. Phir bhi, ek array-less aur low spiritual density wale shahar ke liye 4 arrays ka aana bada farak daalega.

Idhar Sukha Nagar ke alag-alag hisson mein Arjun ke hi charhe the. Asal mein, Kaalivan ke ‘theek hone’ ki afwaah ko do hafte ho chuke the. Un dino, zyaadatar logon ko yakeen nahi tha.

Par ab situation bilkul alag thi. 200 kisaan jo kheti ke liye hire kiye gaye the, unhone apne apne logon ko yeh bataya ki ab Kaalivan ki zameen par kheti ho sakti hai. Aur do hafte mein hi crop itne bade ho gaye ki koi bhi plantation field ke paas se guzarte hue dekh sakta tha.

Isse topic aur bhi zor pakad gaya. Kai log isko ek karishma kehne lage aur yeh sochne lage ki unke upar baghwan ki kirpa ho gayi hai…

“Usne sach mein kar dikhaya!! Hahaha, mujhe intezaar hai ki kisaanon ki tadaad kab badhe gi. Main pehli hi line mein kharda rahunga,” ek Sukha Nagar wale ne khushi se kaha.

“Hmph, hatt!! Main tumse pehle hi line mein hoon!!” Logon ne ispe hasi mazak kiya, aur kisine kaha, “Aap buddhe log tension mat lo. Kaalivan 200,000 km² ka hai, aur population sirf 50,000 hai, toh labour ki demand bahut hogi.”

Ispe kai logon ne haan mein haan milayi 200,000 km² mein 50,000 logon ke saath, abhi ke citizens ke liye koi unemployment nahi hogi.

“Sirf yeh nahi. Mere bhai shahar ki senna mein kaam karta hai, aur usne bataya ki Rathore sahab apni forces ki taakat badhana chahte hain. Agle 6 mahine mein vacancies aur remuneration announce hongi. Hamare bacchon ke liye bhi jagah hogi,” kisine aur ne kaha.

Yeh Blue talent wale logon ke liye bahut zaroori tha, jo aksar ordinary cultivators hote the aur koi specialization nahi rakhte the. Guard ka kaam unke liye achha option tha, par Sukha Nagar ke paas resources nahi the itni badi troop maintain karne ke liye. Isliye har vacancy ke liye badi competition thi, aur zyaadatar ko random kaam karne padte the.

“Lagta hai yeh Aryan Rathore itna bura nahi hai,” yeh soch kai logon ke dil mein thi. Woh shahar mein dheere-dheere badlav se excited the.

Jab shahar isi batton mai jhoom raha tha, tab do zabardast sundar aurtein Kaalivan ki taraf aa rahi thi, south se—Cromwell Rajya se. Par yeh bas guzar rahi thi, kyunki woh ek empire se aayi thi!

“Guru ji, kya aap apne bete ko Kaalivan se sect wapas le jayenge?” Shishya ne apne teacher se poocha.

“Mujhe nahi pata, Ritu. Woh apne baap jaisa hai, toh mai nahi jaanti ki woh mere saath aayega ya nahi,” doosri aurat ne kaha. Woh badi thi, par phir bhi 20s ke shuruaat mein lagti thi. Usne ek laal dress pehni thi, jisme uske curves ekdum dikh rahe the, aur uski aankhon mein ek mysterious chamak thi.

To be continued……
Bhut hi shandar update
To roshni aur aaryan ke bich me deal ho chuki hai
Vahi shuka nagar me aaryan ke naam ke charche hi rahe hai
 
F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,653
4,112
144
Bhut hi shandar update
To roshni aur aaryan ke bich me deal ho chuki hai
Vahi shuka nagar me aaryan ke naam ke charche hi rahe hai
Dhakad boy ❤️ haan hero hai toh uske charche toh honge hi
 
F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,653
4,112
144
  • Like
Reactions: Smith_15

F@ckYouBitch

Take the risk or lose the chance
1,653
4,112
144
Chapter 10: Anchahi Mulaqat Aur Spiritual Gathering Array

Roshni Shah ke Kaalivan chhodne ke baad ek hafte guzar gaya, par is dauraan kuch khaas nahi hua. Yeh ilaaka bahut se changes ki zarurat rakhta tha, par budget ki kami ki wajah se sab freeze ho gaya tha.

Paise ki limitation ki wajah se Aryan Rathore ke plans ruk gaye the. Misal ke taur par, woh chahta tha ki woh apni spiritual academy banaye Sukha Nagar ke bacchon ke liye. Woh Kaalivan Sena ke liye students recruit shuru karna chahta tha, jaise Gill khandaan ne kiya tha.

Yeh sach hai ki abhi is ilaake ka average talent kam tha, par do-chaar dasak baad yeh badal jayega. Is tarah, woh abhi ek bade future ki buniyaad rakh raha tha.

Is hafte, Aryan level 13 tak pahunch gaya, aur usne Devraj ko ek nayi Silver-grade technique di—Prakash Chikitsa, ek specialized healing technique, 6 phases wali, jo roshni ke beams se zakhmon ko theek karti thi. Pehle stage mein non-lethal zakhm theek ho sakte the, aur agle stages mein jaan bachayi ja sakti thi, jab tak patient ki saans chal rahi ho, chahe uske haalat kaise bhi ho.

Par Devraj ke Blue talent ki wajah se woh is technique ko poori tarah seekh nahi sakta tha. Phir bhi, jitna seekh sake, utna mai hi woh patients ke katte hue haath-pair wapas jod sakta tha.

Aryan ne pehle yeh technique Devraj ko nahi di thi, kyunki woh abhi techniques ko samajh raha tha, aur Devraj ko bhi kuch hafte pehle mili nayi technique se adapt hone mein waqt lagna tha. Technique change karne wale logon ko adapt hone ka waqt chahiye hota hai.

Aryan ne Devraj se kaha ki woh 30 Sukha Nagar guards ko Black-grade techniques pass karein. Asal mein, woh future mein Kaalivan Sena ke har member ke liye library mein yeh techniques rakhna chahta tha. Abhi ke liye sirf guards tak hi limited tha. Aryan ke 10 personal guards toh pehle se hi in techniques ko train kar rahe the.

Sukha Nagar ki entrance par do jawaan aurtein ek bade spiritual beast par dheere-dheere chal rahi thi, jo ek sher jaisa lag raha tha. Ek ke kaale baal the, cute chehra, aur sensual curves wala jism. Doosri, thodi badi thi, uske bhure baal the aur ek mature aurat jaisa khoobsurat badan, jo uske upar se nazar hatane nahi deta tha. Dono ne ek jaise pattern wali robes pehni thi—lagta tha dono ek khandaan ya sect se hain.

Jab woh shahar ke central hisse ki taraf ja rahi thi toh dono saath saath baat bhu kar rahi thi, tab kaali baalon wali boli, “Kabhi socha nahi tha ki itni kam spiritual energy wali jagah bhi ho sakti hai. Guru ji, maafi chahti hoon, par kya yeh Aryan pagal ho gaya hai? Shayad recover hone ke baad uska dimaag theek nahi huya hai.”

“Ritu. Woh yahan isliye aaya hoga kyunki yeh akeli jagah thi jahan woh ja sakta tha,” bhure baalon wali ne kaha, uski laal dress uske curves ko ekdum highlight kar rahi thi, aur uski aankhon mein ek powerful vibe thi.

Thodi der baad, dono shahar ki akeli haveli ke saamne ruk gayi. Yeh haveli apne size ke bawajood is shahar ke kisi bhi decent jagah se achhi lagti thi.

“Andar chalte hai aur dekhte hai ki kya usse baat kar sakte hain ja nahi,” bhure baalon wali ne kaha aur haveli mein chali gayi.

“Namaste, main Meera hoon. Aapki kya madad kar sakti hoon?” Meera ne turant unhe dekhte hi poocha.

“Hmm, Aryan ko bol do ki uski maa usse milne aayi hai,” bhure baalon wali ne kaha.

“Uski maa…” Meera shock mein boli.

Yeh itna ajeeb nahi tha ki koi maa aaye, par Meera kabhi nahi soch sakti thi ki yeh ladki, jo usse chhoti lagti thi, Aryan ki maa ho sakti hai!

“Oh! Theek hai, main batati hoon,” Meera ne shock se bahar aate hue kaha aur Aryan ke daftar ki taraf chali gayi.

Tab Aryan, Devraj, aur Pratap daftar mein Sukha Nagar ki safety ke baare mein baat kar rahe the, jab Meera jaldi se darwaze khol ke andar aayi.

“Chhote sahab, ek jawaan ladki aap se milne aayi hai. Woh kehti hai ki woh aapki mo…” par usse pehle hi dono aurtein kamre mein aa gayi.

Aryan aur Devraj ne turant bhure baalon wali ko pehchaan liya. Yeh thi Aryan ki maa, Meenakshi Devi, level 65, Spiritual Emperor! Usne ek laal dress pehni thi, jo uske mature aur powerful look ko aur bhi bada rahi thi.

Doosri ladki—kaali baalon wali—jise koi nahi janta tha, par Devraj ne uska level notice kiya—level 43.

Devraj ne khamoshi todte hue kaha, “Meenakshi ji, aapko phir se dekhkar achha laga.”

“Oh! Tumhe bhi, Devraj,” Meenakshi ne jawab diya.

“Tum yahan kya kar rahi ho?” Aryan ne thande swar mein poocha.

Asal mein, woh apni maa se milne se khush nahi tha. Jab usko zaroort thi, toh usne kabhi uske upar maa jaisa dhyan nahi diya, toh ab usse respect kyun de?

Yeh sunte hi kaali baalon wali gusse mein boli, “Aise apni maa se kaise baat kar sakte ho? Janate ho kitni door se woh aayi hai sirf tumhare liye?”

“Mujhe nahi pata, kyunki mujhe uske baare mein kuch nahi pata. Par woh wahan hi achhi thi,” Aryan ne sarcastic tone mein kaha.

Meenakshi beech mein boli, “Ritu, kuch mat kaho. Uske pass aisa kehne ki wajah hain, usko dosh mat do.”

“Aryan, mere bete, aaj main tujhe lene aayi hoon. Main chahti hoon ki tu Grey Cloud Sect ke shamil ho jaaye.

Chahe tumhara talent black hi hai lekin is bekar aur banzar ilake mai rehne se ach hai hai tu wahan mere sect mai rahe,” usne serious look ke saath kaha.

Meenakshi ki baat sunte hi kamre mein sab—Ritu ke alawa—us idea ke khilaaf ho gaye. Pratap aur Meera, jo Kaalivan ke current development se khush the, ek aisi baat sunke thithur gaye.

Chahe Kaalivan ka ‘theek hona’ abhi ek sapne jaisa hi lagta hai, par unho ne nahi socha tha ki Aryan unke rajya ki itna v theek kar paye ga. Woh is region ko develop karna chahta tha, woh apni sari problem ko accept karke, smart faisle leta tha. Isliye woh aise leader ko khona nahi chahte the.

Devraj bhi iske khilaaf tha. Usne Kaalivan ko dheere-dheere develop karne ka iraada adopt kar liya tha, aur uska yakeen tha ki Aryan yeh kar lega. Upar se, Antriksh Rajya ke saath, Aryan ko Grey Cloud Sect ki zarurat nahi thi, jahan usko bahut si rukawatein milengi. Yeh karna bewakoofi hogi!!

Aryan ko bhi uski maa ki baat pasand nahi ayi, kyunki woh use apne goals chhodne ko keh rahi thi. Aur vaise v Grey Cloud Sect mein koi khaash power nahi mile gi. Usko uper ke log daba ke rakhenge. Par Kaalivan, chahe uska asli ghar na ho, par abh yeh woh jagah thi jo woh apne haathon se bana raha tha—uski apni duniya. Isliye uska dil is zameen ke liye dhadak raha tha.

Thodi der ki khamoshi ke baad, Aryan hasne laga. “Hahahaha, mujhe teri achhi advice ki zarurat nahi. Main yahin theek hoon. Aur ho sakta hai shayad tumhe hi bhavishya mein meri madad maangne aana pade.”

Yeh kehkar Aryan daftar se nikal gaya bina jawab ka intezaar kiye, aur jaldi hi unki nazron ke saamne se gayab ho gaya. Woh Antriksh Rajya mein apna dimaag thanda karne chala gaya.

Idhar, Ritu soch rahi thi, ‘ ki yeh kitna gusse wala ladka hai. Par uski baaton se lagta hai yeh pagal hi hai jo sochta hai humein uski zarurat padegi.’

“Sigh… Maafi chahta hoon, Meenakshi ji, par chhote sahab theek kar rahe hain. Yeh sach hai, mujhe pata hai aap uske future ke liye pareshan hain, par woh jehi theek rahenge,” Devraj ne maafi aur ke smile ke saath kaha.

“Theek hai, Devraj, mujhe ummeed thi ki woh inkaar karega. Par maine try karna chaha, kam se kam sect mein main uski raksha kar sakti thi,” Meenakshi ne kaha.

“Main samajh gaya, par shayad chhote sahab ko kisi raksha ki zarurat nahi hai…” Devraj ne haathon ko peeche rakhte hue kaha.

“Lekin kyun?” Meenakshi ne utsaah se poocha.

“Kya aapne chhote sahab ke level ko nahi mehsoos kiya?” Devraj ne kaha.

Meenakshi bina soche boli, “Woh level 13 par hai…” Phir usko yaad aaya. “Haan, par woh ek mahine pehle hi behoshi se utha tha na…”

Yeh sunte hi Ritu ke upar jaise pahad ghir gya aur woh sochne lagi, “Ye kaise ho sakta hai? Mere Silver talent ke saath mujhe 3 mahine lage the is level tak pahunchne mein…”

Meenakshi ne daftar se nikalte hue kaha, “Main do din Sukha Nagar mein rahungi, mere bete ko yeh bata dena.”

Wahan se nikalne ke baad, Meenakshi aur Ritu Four Seasons Hotel ke leye chali gayi, jahan unka do din rukhne ka plan tha.

Ritu ne hotel ki taraf jaate hue poocha, “Guru ji, kyun na hum wapas chale jayein? Mujhe lagta hai woh apna faisla nahi badlega.”

“Main jaanti hoon, par main uske haalaton ko aache se dekhna chahti hoon. Jahan se jaaane se pehle,” Meenakshi ne kaha.

“Chahe woh apna faisla na badle, main chahti hoon ki tu 18 mahine baad yahan wapas aaye. Us waqt uski taakat check karna, aur agar uski cultivation speed achhi rahi, toh usko Kumbhalgarh Rajya mein hone wali competition mein le jana.”

“Us competition mai use pata chala ga ke, dharti aur aaan mai kitna fark hai. Chahe uski cultivation speed bhut tez hai, lekin iska matlab yeh nahi ke woh utna hi strong hoga. Jab woh baki logon se ladhe ga toh use pata chalega ki usne meri baat na maan kar kitni badi galti ki hai,” Meenakshi ne confidence ke saath kaha.

“Hmm, par agar woh phir bhi inqaar kare toh?” Ritu ne utsaah se poocha.

“Mujhe nahi lagta woh inkaar karega, woh apne baap jaisa hai, uski tarah mehnati aur sab kuch apne dum par hasil karne wala. Toh tumhe uski chinta karne ki jarurat nahi,” uske baad dono hotel mein settle ho gayi do din guzaarne ke liye.

Das din guzar gaye the, jab se Aryan Rathore ki maa, Meenakshi Devi, usse milne aayi thi. Ab tak woh wapas Flaming Empire ja chuki thi, jahan unki Grey Cloud Sect thi.

In dino mein, Aryan level 16 tak pahunch gaya aur usne apni technique Antriksh Talwar ko hazaron baar train kiya tha. Ek hafte ya thoda zyada waqt mein woh is technique ke pehle phase ko poora kar lega.

Usne ek specialized defense technique bhi chun li thi jab woh Spiritual Beginner stage par jayega, jo agle do hafte mein hone wala tha. Yeh technique thi Amar Jism, Golden-grade, 9 phases wali. Jab activate hoti, toh user ka jism 10 seconds ke liye indestructible ho jata tha, chahe enemy usse 100% tak strong ho.

Matlab agar user level 20 par hai, toh 10 seconds tak uska jism aisa hoga ki level 26 ka koi bhi usse nuksan nahi pahuncha sake ga. Par isse upar ke levels ke khilaaf, defense kam hota tha—jaise-jaise energy ka farak badhta jaye gaa, iski taakat ghat ti jayegi.

Technique ki khasiyat phases ke saath badhti thi—pehla phase sirf 10-second defense deta tha, par 9th phase tak yeh ek impenetrable defense ke saath user ko apne jism ko ek hathiyar ki tarah use karne deta tha.

Aur Devraj bhi in dino mein level 46 tak pahunch gaya tha. Uske paas Black talent tha, aur stages ke beech koi bottlenecks nahi the. Chahe yeh low-density ilaaka ho, woh kam se kam level 49 tak pahunch sakta tha. Time lagega lekin woh pahunch sakta tha.

Sukha Nagar se kuch kilometer door, ek vyapari gaadi bade volume ke samaan ke saath aa rahi thi. Us gaadi par ek silver jahaz ka symbol tha.

Yeh tha Shah khandaan ka symbol Stone Island se!

“Arre bade bhaiya, hum Sukha Nagar kyun ja rahe hain? Hum toh aksar Rajputana Rajya mein resources deliver karte waqt yahan nahi rukte,” ek muscular aadmi ne poocha.

“Haan, Roshni ji ne Kaalivan ke naye raja ke saath ek agreement kiya hai. Hum yahan 4 spiritual gathering arrays chhodenge, phir Rajputana Rajya mein apna kaam jaari rakhenge,” ek adhed umar ke aadmi ne jawab diya, uske left aankh par ek daag tha, aur usne bhi ek sadharan leather ka kawach pehna tha.

Thodi der baad gaadi Sukha Nagar pahunch gayi.

“Chhote sahab, Roshni ji ke waade ke anusaar spiritual arrays abhi aa gaye hain,” Meera ne daftar mein aate hue kaha.

“Oh! Usne toh bahut jaldi arrays bhej diye. Chalo Devraj chacha, unhe lene chalte hain,” Aryan ne excited ho kar kaha.

Thodi der baad, Aryan aur Devraj arrays lene ke liye nikal gaye. Delivery group mein teen log the—ek jawaan ladki jo Aryan se thodi badi lagti thi, ek muscular aadmi, aur ek adhed umar ka aadmi.

“Namaste Sukha Nagar ke doston, main hoon Sarak, aur yeh hain Phirral aur Rekha Shah,” adhed umar ke aadmi ne kaha, jiski aankh par daag tha.

Phir jawaan ladki ne aage badhkar bola, “Milkar achha laga, mujhe Rekha bula sakte ho. Main yahan in arrays ke functions ke baare mein kuch details batane aayi hoon…”

Uske baad, Aryan ne 4 local guards chune taaki woh is jawaan array master se arrays ke basic operation seekh sakein.

Yeh duniya mein common tha. Chahe arrays zyadatar waqt khud kaam karte the, par unko manipulate karne ke liye kuch processes follow karne padte the. Yeh kaam aksar array masters karte the, jaise yeh jawaan Rekha, jo ek beginner thi. Par Sukha Nagar mein aisa koi nahi tha.

Isliye yeh jawaan ladki group ke saath aayi thi basics sikhane ke liye. Yeh mushkil nahi tha—bas zyadatar log seekhte nahi the, kyunki ya toh unke paas crystals nahi hote arrays khareedne ke liye, ya unke pass koi hota tha yeh kaam karne ke liye.

Thodi der baad, arrays shahar ke 4 points par install ho gaye. Arrays shahar ke ek-tihai area ko cover karenge, poora central area, jahan population density sabse zyada thi.

Rekha ke hisab se, yeh arrays Kaalivan ke free spiritual energy se 15% tak spiritual density badha sakte the, jo abhi kaafi kam thi. Par agar har mahine 10,000 low-grade spiritual crystals supply kiye jayein, toh yeh improvement 50% tak ho sakta tha. Isse zyada ke liye ek higher level array khareedna padega, kyunki yeh grade-1, high-level arrays ki efficiency sirf 20% thi, jo aur jayda nahi ki jaa sakti thi.

Aur phir group ne alvida kaha, Kaalivan ke east ki taraf jaate hue, Rajputana Rajya ke doosre ilaakon ki taraf.

“Abhi ke liye hum in 4 spiritual arrays ko crystals supply nahi kar sakte, kyunki 40,000 crystals har mahine lagenge, par 15% improvement ke saath bhi hum kuch haad tak toh grow kar hi sakte hai,” Devraj ne haath peeche rakhte hue kaha.

“Hmm, kam se kam 6 mahine lagenge hume ek array ko monthly supply kar pane mai, aur ek saal lage ga charon ke liye,” Aryan ne sochne wale chehre ke saath kaha.

Pratap, jo group mein tha, badi smile ke saath bola, “Haha, koi baat nahi. Chahe 2 saal ya zyada lagen, humein farak nahi padta. Spiritual concentration mein thodi bhi improvement humare leye kisi sapne se kam nahi hai,”

Uske baad doosre guards ne bhi haan mein sar hila diya. 15% spiritual concentration ke saath, woh pehle se zyada tezi se cultivate kar sakte the. Yeh unke liye kaafi achha tha, jo kisi strong jagah par jake risk nahi lena chahte the.

Raat jaldi ho gayi, aur charon arrays poore kaam mein lag gaye. Us raat, kaafi logon ne shahar ke kuch hisson mein spiritual concentration mein ekdam se badhotri dekhi.

Idhar Sukha Nagar ke kai jagahon par, log jo cultivate shuru kar rahe the, unhone mehsoos kiya ki aaspaas ki spiritual energy jama karne mein kam waqt lag raha tha!!

“Huh? Aaspaas ki spiritual energy jama karna itna asaan kyun lag raha hai?” Ek adhed umar ke aadmi ne socha jab woh cultivate kar raha tha.

Shahar ke central hisse mein, ek chhota sa group baat kar raha tha.

“Main bol raha hoon, spiritual density badh gayi hai. Aaj jab maine cultivate kiya, toh aaspaas ki energy jama karne mein 20 minute kam lage,” ek jawaan ladke ne khushi ke saath kaha.

“Par yeh samajh nahi aata. Spiritual concentration ekdam se kyun badh gayi?” Ek adhed umar ke aadmi ne yakeen nahi karte hue poocha.

Is duniya mein aaspaas ki energy ko mehsoos karna sab ke liye possible tha, par kamzor logon ko yeh cultivate karte waqt hi pata chalta tha. Par jab koi level 40 tak pahunchta tha, toh cultivators aasman aur zameen ki free energy ko mehsoos kar sakte the, bina cultivate kiye bhi. Par Sukha Nagar mein itne level ke zyada log nahi the.

Isliye, ek nayi afwaah dheere-dheere shahar mein failne lagi ki spiritual energy normal se zyada concentrated ho gayi hai. Aur thodi der mein kaafi logon ne yeh change notice kiya—yeh poore shahar mein nahi, sirf central hisse ke kareeb ke ilaakon mein tha, jo shahar ke ek-tihai se thoda zyada area tha.

Kuch din Kaalivan mein guzar gaye, jab log pehle se zyada tezi se cultivate kar rahe the, central area aur bhi busy ho gaya. Kai log ab us hisse mein rehne ke liye jagah ke liye struggle kar rahe the.

Aryan ne bhi in dino mein apni cultivation badha li, woh level 18 tak pahunch gaya tha. Woh ab Spiritual Beginner stage ke kareeb tha.

Na sirf woh behtar ho raha tha, balki jawaan secretary Meera bhi Aryan ke Sukha Nagar aane ke do mahine mein level 25 tak pahunch gayi thi. Woh bhi, Aryan ke doosre subordinates ki tarah, Black-grade techniques train kar rahi thi, jisse uski cultivation speed kaafi badh gayi thi.

In dino mein, woh bacche jo Aryan ne apni sena ke liye chune the—Laksh aur Anjali—10 saal ke ho gaye the aur haveli mein apni cultivation techniques lene aaye the.

Dono ko wahi Black-grade cultivation technique di gayi jo Aryan ke subordinates mein pass ki ja rahi thi, aur unhone cultivate shuru kiya. Black talent ke saath, unki cultivation speed achhi thi, aur woh level 2 tak pahunch gaye the.

Aur ab wheat, corn, aur rice ki crop harvest ke liye tayar thi, jisse Aryan ke shahar ke liye aur plans shuru ho sakte the.

To be continued……
 
Last edited:

“Chahe woh apna faisla na badle, main chahti hoon ki tu 18 mahine baad yahan wapas aaye. Us waqt uski taakat check karna, aur agar uski cultivation speed achhi rahi, toh usko Cromwell Rajya mein hone wali competition mein le jana.”

Bhut hi shandar update bhai
 
Top