Click anywhere to continue browsing...
Update 1
Vijayanagar: Ek Swarnim Samrajya
Bharat ki dharti par ek aisa samrajya jo apni samriddhi, shakti, aur sanskritik vaibhav ke liye prasiddh tha—Vijayanagar. Yeh ek aisa rajya tha jise devtaon ka ashirwad prapt tha, jahan dharm, kala, aur shastra ek saath phalte-phoolte the. Dakshin Bharat ke hriday me basaa hua yeh samrajya na keval apni rajneetik chaturai ke liye prasiddh tha, balki iski arthvyavastha bhi apaar thi.
Yahan ke bazaaron me sona aur ratna aise bikte jaise anyan rajyon me gehun aur chawal. Yahan ke mandir vishwakarmaon ki kala ka ek anokha udaharan the—unke sthambh, murtiyan, aur shikhar aise lagte jaise svarg se gire moti. Krishna, Tungabhadra, aur Kaveri jaise nadiyon ki godi me basa yeh rajya ek aisi shakti thi jo akramankari shatru rajyon ke liye dar ka prateek ban chuka tha.
Par jaisa ki itihaas gawah hai—jitni unchayi, utna bada sankat. Vijay nagar bhi is niyam se alag nahi tha. Jab dhan aur samriddhi adhik hoti hai, to aakramanon ka daur bhi kabhi thamta nahi. Is rajya par aksar Paschim aur Uttar Bharat se aaye shatruon ka hamla hota rehta tha. Par har yudh me Vijayanagar ki sena apne yodhaon ke shaurya se vijay prapt karti. Rajya ka ek ek yodha veerta ki misaal tha, aur is samrajya ke mukhya rakshak the—Maharaj Rudradev Raya.
Maharaj Rudradev Raya: Ek Mahaan Samrat
Maharaj Rudradev Raya ek shreshth yodha aur ek samarth shasak the. Unke samay me Vijayanagar apni shakti ke shikhar par tha. Rajneeti aur yudh kala me unka koi tode nahi tha. Unki patni, Maharani Shivangi Devi, ek atyant sundar aur buddhimaan mahila thi, jo sirf ek maharani hi nahi, balki rajya ki ek shakti poorn stambh bhi thi. Unka samarthan aur rajneetik drishti Maharaj ko ek adbhut sahyog deti thi.
Maharaj aur Maharani ka ek putra tha—Yuvraj Veer Singh Raya. Balkpan se hi unhone shastra aur shastra vidya me apaar pratibha dikhayi thi. Veer Singh ek aise yodha the jise yudh me harana namumkin tha. Unka bal, buddhi aur shaurya unke pita se bhi ek kadam aage tha. Par unke hriday me ek hi kamzori thi—unki maa, Maharani Shivangi Devi. Unke prati unka prem itna gahra tha ki ve unhe khone ka sapna bhi nahi dekh sakte the.
Vijayanagar ka rajya sundar tha, samriddh tha, par har samrajya ki tarah yeh bhi ek kathin pariksha ki or badh raha tha. Rajneeti ki chaal aur yudh ke bij bij rahe the. Kis mod par yeh kahani jayegi, yeh samay hi batayega...
But climax Ane k bad app likhna band kar dete ho