• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)

  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 5 (The Mystery Continues)

“sir, aapko yeh baate ajib nahi lagti, agar dinosaurs sach me yaha hai, toh humse chupe hue kyu hai..?? kyu unki heat signatures bhi hume nahi mil paa rahi..?? kyunki reason bahut hi simple hai..yeh bas Zorians ki ek chal hai, nothing else”

Bennet kuch sochte hue “okay sam, teri baat me dum hai, you are 100% right, but ek cheez bahut hi ajeeb hui hai”

Ab aage..

Sam use sawaliya bhari najro se dekhte hue kehta hai “ajeeb..?? ab kya ajeeb hona baaki hai, saaf saaf bata ki tu kehna kya chah raha hai”

Bennet kuch sochte hue kehta hai “ek baat hai jo muje samaj me nahi aa rahi, charlie team pichle 10 dino se coronal city me thi, aur mai continuously satellite images ke jariye Coronal City par najar rakhe hue tha, par thik 2 din pehle..raat ke karib 1 baje mai kuch movements dekhi thi..bahut hi ajeeb, achanak se hi thermal images ne muje kuch aisa dikhaya jo mere samaj ke bahar tha, aur fir jab maine unn thermal images ko run kiya toh uske results bahut hi jyada shocking the”

Sam “kya tha unn images me”

Bennet “vahi jo mai tujse keh raha hu, haa..sam, muje unn thermal images me dinosours ke hi heat signatures mile the”

Head “yeh tu muje ab bata raha hai..??”

Bennet “sir, vahi toh mai pichle 2 din se keh raha hu”

Akshita “matlab ki tu yeh 2 din se janta tha ki vaha par dinosaurs hai” par rukkar voh kehta hai “matlab ki voh job hi hai”

Bennet “ha akshita, pehle toh muje khud yakeen nahi ho raha tha..kyunki dinosaurs ka hamari duniya me aana impossible hai, isliye maine satellites ke through dekhne ki koshish ki..par tab tak bahut hi jyada der ho chuki thi”

Akshita “par tu itna sure kese keh sakta hai ki voh dinosaurs hi the”

Bennet “Bravo aur Delta team se contact tutne ke baad maine dubara link banane ki bahut koshish ki, par I failed, connection baar baar tut raha tha, aur jab tak mai use sahi karta..tab tak Bravo and Delta Teams were down..aur fir muje ek soldier ke comms ke through yeh footage mili”

Bennet ki baat khatam hote hi Head aur Akshita uss footage ko dubara se dekhene lage, par vahi Sam ke dimaag me kuch aur hi chal raha tha, ek taraf samne chal rahi footage aur Bennet ki baat ko voh jodne ki koshish kar raha tha..aur ek waqt ke liye use bhi yahi laga ki shayad Bennet sahi keh raha hai

Sam apne mann me kehta hai “maybe Bennet sahi hai, dinosaurs hamari duniye me aaye hai..par kyu..?? aur voh achanak se..” voh sochte hue ruk gaya, achanak se use ek baat yaad aayi jo use khatak rahi thi

Sam turant Bennet se ek sawal karta hai jise sunkar head aur akshita Sam ki aur dekhne lage “bennet, kya tu muje voh thermal images dikha sakta hai..??”

Bennet haa mein apna sir hilate hue unn images ko badi screen par open kar deta hai, jise dekhne ke baad Sam multi-window open karke voh footage chalane laga jisme dinosaurs sabko maar rahe the
Video ko pura dekhne ke baad sam firse vahi video ko dubara se play karta hai aur fir kuch der ke baad voh video ko ek jagah par pause kar deta hai
Ab screen par do images ek saath dikhayi de rahi thi..left side Coronal City ki thermal image thi, aur right side vali photo Dinosaurs ki thi

Sam unn dono hi tasweero ko bade hi dhyaan se dekh raha tha..aur fir kuch sochte hue voh bennet se kehta hai “ab ek kaam kar, yeh vali photo ko thermal image me convert kar..muje dono hi photo ke heat signatures dekhne hai”

Sam ka command milte hi bennet ne apna kaam shuru kar diya, par asal me bennet ko samaj me nahi aa raha tha ki akhir sam iske jariye kya janna chahta hai..kyunki screen par saaf dikh raha hai ki coronal city ki thermal image me dinosaurs ki heat signature hai..aur dusri tasweer me khud ek dinosaur hai

Yahi baat naa toh head ko kuch samaj me aa rahi thi aur naahi Akshita ko, toh voh sam se ek sawaal karti hai “isse kya pata chalega..?? dono hi photo tere samne hai..coronal city ki heat signatures dekhne par saaf lag raha hai ki voh insaan ki nahi balki kisi bade janwaar ki hai..aur yeh saaf hai ki voh dinosaurs hi hai”

Lekin sam ne akshita ka koi jawab nahi diya aur voh bas ektak unn dono hi tasweero ko bina palke japkaye dekhe jaa raha tha, thodi hi der baad bennet ne apna kaam kar diya aur ab dono hi side alag alag thermal images dikhayi de rahi thi

Yeh dekhte hi sam kehta hai “I knew it, par yeh kese ho sakta hai..??”

Bennet bhi yeh samaj chuka tha ki sam aakhir kya kehna chahta hai..aur voh bhi unn dono hi pics ko ghurne laga..aur inn dono ko ese dekh akshita puchti hai “kya hua..?? muje koi kuch samjayega..??”

Bennet “yeh dono hi heat signatures alag alag hai”

Sam “commander, yeh dekh rahe hai, Charlie team par jisne hamla kiya aur Bravo team par jisne hamla kiya..unn dono hi hamalwaro ki heat signatures alag alag hai”

Commander “iska kya matlab..??”

Akshita “meri toh kuch bhi samaj me nahi aa raha hai, iska toh yeh matlab hua ki yaha par Jurassic Park open ho gaya hai, matlab ki ek se jyada dinosaurs yaanha par aaye hai”

Sam “vahi toh mai keh raha hu akshita, yeh muje dinosaurs nahi lag rahe..yeh kuch aur hai”

Bennet “sam tu abhi bhi yahi keh raha hai ki yeh kaam zorians ka hai..??”

Sam “acha bennet, ek baat bata..tune do din pehle raat ko Coronal City me kuch movements dekhi thi, right..??”

Bennet haa mein apna sar hilata hai, sam “aur movements ko tune thermal images se dekha..jisme tuje yeh dinosaurs vale heat signatures mile”

Bennet “haa sam, pehle toh muje laga tha ki shayad hamara thermal camera kaam nahi kar raha, lekin jab maine Bravo Team par hue attack vali footage dekhi, toh bas meri samaj me aagaya ki yeh dinosaurs hi the jinhone Charlie team ko bhi khatam kiya tha”

Sam “aur tere hisab se, yeh dinosaurs kab aaye aur kitni der ke liye ruke..??”

Bennet “well time ka muje idea nahi hai..lekin yeh heat signatures achanak se hi muje screen par pop-up hone lage..and exactly 15 mins ke baad, they are vanished”

Sam “you mean to say invisible, achanak se voh Charlie Team ke pass aaye..aur sabko khatam karne ke baad voh gayab ho gaye”
thoda rukkar voh kehta hai “aur voh broadcast kitne baje hue tha..??”

Bennet kuch sochte hue “hmm..karib 10 baje”

Sam “muje exact time janna hai”

Bennet apne modules check karke kehta hai “10:07 PM”

Sam “10 baje mai apne ghar par tha, aur muje ghar se yaha aane me 2 hours lage, aur abhi 12:35 AM baje hai
usne time dekhte hue kaha

Akshita “tu kar kya raha hai..??”

Sam “wait, just a min”
apne haath se rukne ka ishara karte hue kehta hai aur fir voh uss transparent screen ke pass gaya aur alag alag modules check karne laga, aur kuch der baad kehta hai “bennet, Delta aur Bravo team ki location kya thi..?? Charlie team unse kitna dur hogi..??”

Bennet “yahi koi 200-250 km”

Sam “right, aur yeh dono jagah par attacks ek hi din hue the”

Bennet “haa, agar precisely kahu toh Bravo aur Delta team par sham ke karib 6 baje, aur Charlie Team par karib raat ke 1 baje”

Sam apne haatho ko apne sar par rakhta hai, aur do ungliyo ko jor se dabate hue kuch sochne laga aur apni aankhe band kiye hue hi kehta hai “bennet..jo broadcast tumhe mila, voh kis team ka tha..??”

Bennet “sir, voh bravo team se aaya tha”

Sam “agar mai yeh maan leta hu ki hamari team bravo aur delta team par najar rakhe hui hai..aur voh message bravo team se kisine kiya hai toh uski heat signature kaha hai..??”
voh transparent screen par ek log status dikhate hue kehta hai “mai yaha clearly dekh sakta hu ki last 55 hours me ek bhi heat signature vaha par detect nahi hua, toh fir vaha se koi hume contact kese kar sakta hai..??”

Sam ki baat khatam hote hi Commander, Bennet aur Akshita chaunk jaate hai, aur sam ne ek aur dhamaka karte hue kaha aur tuje yeh broadcast message mila karib 10 baje, aur thik uss message ke 2 hours ke baad hume coronal city se ek heat signature milta hai..jo abhi bhi vaha par pop-up ho raha hai..but it’s not moving”

Yeh baat unn tino par ek bomb ki tarah futi..kyunki sam ne abhi abhi jo kuch bhi bataya voh bahut hi ajeeb tha..sam ne sabhi ka dimaag hilakar rakh diya tha..kyunki kuch sawaalo ke jawab toh unhe mile the…par 1 jawab ne naye 10 sawaal ko rakh diya tha

Bennet, Akshita aur commander sam ko aankhe fade hue dekh rahe the aur sam vapas uss transparent screen par alag alag modules ko check kar raha tha, kuch der ke baad voh kehta hai “bennet, muje tere kaam par koi shaq nahi hai..but I think ki hamari satellites thik se kaam nahi kar rahi hai, and we don’t know ki aakhir vaha par really me kya ho raha hai..ya fir kya hua tha”

Commander “tu itna sure kese hai ki satellites thik se kaam nahi kar rahi..??”

Sam “sir, aap abhi bhi nahi samaj rahe, jese ki maine pehle bhi kaha..kisi bhi dead body ki heat signatures achanak se gayab nahi ho jaati, aur yeh jo heat signature dikh rahi hai..voh last 55 hours se kaha thi..?? and hume toh yeh bhi sureity se nahi pata ki voh broadcast tha..yaa fir bravo team humse contact kar rahi thi”

Bennet “sam, yeh baat mere samaj se bilkul bahar hai, voh broadcast aaj ka tha yaa fir uss din ka jab Bravo Team par attack hua tha..i don’t know, par hum yeh footage aur coronal city ki thermal images ko iss tarah se ignore nahi kar sakte, kyunki similar types ke heat signatures hume bravo team ke pass se bhi mile hai..aur uska proof iss clip me hai”

Sam “bilkul, maine yeh kab kaha ki yeh footage juthi hai, par tune khud dekha ki hamare satellites thik se kaam nahi kar rahe..toh I don’t think ki voh heat signatures Dinosaurs ke hi hai, maybe voh Zorians ke ho..yaa fir koi aur chiz, jiske baare me shayad abtak hum nahi jante the”

Akshita, bennet aur Commander yeh maan chuke the ki yeh kaam dinosaurs ka hi hai, aur sab yahi sochne me lage the ki aakhir dinosaurs hamari duniya me achanak se kese aagaye, lekin ab sam ne puri situation hi badal daali thi, ab situation yeh thi ki aakhir sachayi kya hai

Akshita “sam..hum yeh maan le ki hamare satellite thik se kaam nahi kar rahe, aur isi vajah themal image proper nahi hai..par yeh jo footage hai..usse toh saaf pata chal raha hai ki Dinosaurs hamari duniye me aaye hai”

Sam “nahi akshita, muje nahi lagta ki dinosaurs jesi koi bhi chiz hamare world me voh bhi iss time period me exist karti ho..mai toh bas itna keh raha hu ki yeh dinosaurs nahi hai”

Akshita “par sam..inn baato se hum yeh proof nahi kar sakte ki yeh jo chiz hai voh dinosaurs nahi hai..balki kuch aur hai”

Commander “sam..i am sorry par footage dekhne ke baad muje bhi lag raha hai ki dinosaurs sach me hai”

Sam thoda narmi se ek sawaal karta hai aur usi ke saath jawab bhi de diya “sir, dinosaurs hamari duniya me kese aa sakte hai..?? agar sach me yeh dinosaurs hi hai toh unka hamari duniya me aane ka sirf ek hi rasta hai..and it’s impossible”

Akshita sochte hue “konsi rasta..??”

Sam “TIME-TRAVEL”

Commander “mai kuch samja nahi”

Commander ki aur dekhte hue sam kehta hai “sir, bennet ne abhi kaha, dhyan se sunna..ki achanak se raat ke 1 baje..matlab instantly vaha par bade heat signatures mile..aur thik 15 minutes ke baad voh heat signatures gayab ho jaate hai, pichle 2 din me hume pure earth par unhe dekhe jaane ki koi khabar nahi mili..aur naa hi unke jese heat signatures kahi par bhi dikhayi diye, bas hum sirf iss ek footage ko dekhkar keh rahe hai ki yeh dinosaurs hai..yeh bhi toh ho sakta hai ki yeh dinosaurs nahi balki unke jese dikhne vale khud ZORIANS ho”

Bennet “agar yeh zorians hai toh voh apne hi logo ko kyu marega..??”

Sam “hamare pass iska proof kya hai ki marne vale log Zorians hi the..?? kyunki hume toh dono hi jagah par koi bhi heat signatures nahi dikh rahe”

Iss baar bennet kuch nahi bol paaya, Sam “ab jis tarah se tune bataya” bennet ki aur ishara karte hue kaha “instantly kisi place par jaana aur vaha se instantly gayab hona..voh sirf do chizo se possible ho sakta hai”

Akshita “high speed aur time travel”

Sam “exactly, aur itna toh hum sab jaante hai ki dinosaurs ke pass high speed nahi hai”

Commander “but zorians can, unke pass high speed space ships hai, they can travel almost with the speed of light”

Sam “aur agar sahi me yeh dinosaurs hai..toh mai yeh maan leta hu ki dinosaurs ne time machine banayi aur voh hamare world me aakar vapas chale gaye..and I don’t think ki dinosaurs aisa kuch kar sakte hai”

Akshita “matlab ki yeh dinosaurs nahi..balki ZORIANS hai”

Bennet “yeh maine pehle kyu nahi socha” voh khud par hi gussa kar raha tha “thanks mere bhai, sach me, isliye sab kehte hai..YOU ARE THE BEST”

Sam “lekin muje ek baat samaj me nahi aa rahi, aakhir yeh zorians karna kya chahte hai..??”

Akshita kuch sochte hue kehti hai “sam, kya yeh possible nahi hai ki zorians ne kisi type ka time portal banaya ho aur voh dinosaurs ko yaha lekar aaye ho..??”

Sam kuch sochkar “naah, zorians hum se kaafi jyada intelligent hai, and time travel ke risk ke baare me voh humse jyada jante hai, aur isiliye unhone apne space ships ki speed ko hamesa se light ki speed se kam rakha hai, so muje nahi lagta ki aisa kuch hua hoga”

Akshita “sam, hume kuch toh karna hoga, varna”

Sam kuch sochkar “bennet, iss hadse ke pehle ki footage muje dekhne hai”

Bennet “right sir”
fir bennet ne kuch commands diye aur uss hall ke bich me hi ek transparent projection aagaya jisme ek clip chal rahi thi

Sabhi uss projection ko dhyan se dekh rahe the, uss clip me saaf dikh raha tha ki Human Army unn aliens ke aage apne ghutne tek rahi thi, aliens ki taadaat itni jyada thi ki insaan ka unse muqabla karna naamumkin sa tha, aur Zorians ki army sirf numbers me hi nahi..balki intelligence aur advance weapons me bhi kaafi aage the

Sam yeh dekhkar bahut hi jyada gusse me aagaya tha “dammit, aakhir yeh log chahte kya hai..?? muje unke high-command se baat karni hi hogi, unhone kaha tha ki voh hamare logo ko nuksaan nahi pahuchaenge”

Bennet “sam, muje nahi lagta ki usse kuch fayda hoga”

Akshita “haa sam, we have tried many times, but voh hamari baate sunna hi nahi chahte, sam..hume kuch toh karna hi hoga..varna iss tarah hum sab bahut jald maare jayenge”

Sam “then I guess, there is only one way to stop them”

Bennet “and how will you do that..??”

Sam “it’s time to use Oculus Protocol”

Commander “no way, mai uski persmission nahi de sakta”

Sam haste hue “permission kaun mang raha hai, I want to use Oculus PROTOCOL”

To be continued
 
Last edited:

PARADOX

ଗପ ହେଲେ ବି ସତ
6,068
3,428
189

dimag heat sig. Ko samajhte hue khud heat ho gaya. Kya update tha yar l loved the process that you used sci. Theory in story. :applause:Kabile tarif hai:superb::adore:

lekin ek baat samajh me nahin aaya.:hmm: E=MC*C (mc squire) ke anusar koi bhi vastu ya chiz agar light ke speed se ya ush se bhi jyada speed se gati or move kare to woh energy me convert ho jaayega.
lekin zoriens ke space ship kese light speed se ud sakte hain ya phir apni gati ko light speed tak laa sakte hain?

khair jo bhi ho sam ka yun case ka handle karte hue situation ka jayaz le kar problem ka bishleshan karte hue salf karna bohot hi shandar tha. :applause::bow::adore:
 
Last edited:

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Awesome Update
 
:thanks: pradip bhai :dost:
sir, sabse pehle toh update ko dhyaan se padhiye..maine ek jagah par likha hai ki zorions ne apne spce ship ki raftaar ko light ki speed se kam rakha hai

aur dusri baat, e-mc^2 vali equation ka mtlb muje pata hai..par yeh ek fiction story hai
and yes, aap light ki speed achieve kar sakte hai..agar aapke pass tachyons hai :hint: jo mai sw1 me bata chuka hu
tachyons hypothetical particles hai, jiske andar negative mass hota hai
agar koi bhi chiz anti-matter fuel se chalti hai toh ukse raftar light ki speed se jyada hogi

anyways, aapko aapke sawalo ke jawab aane vale updates me mil jayenge
 
Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 6 (Pyaar Asan Nahi Hota)

Sam “it’s time to use Oculus Protocol”

Commander “no way, mai uski persmission nahi de sakta”

Sam haste hue “permission kaun mang raha hai, I want to use Oculus PROTOCOL”

Ab aage..

OCULUS PROTOCOL..vaise toh iska jikra itihaas me kahi baar hua tha, lekin aajtak kisine bhi ise istemaal nahi kiya, kyunki isse hone vale nuksaan ki insaan sirf kalpana kar sakta tha..par asal me kya hoga uske baare me koi nahi jaanta

jab Sam ne OCULUS ko istemaal karne ke liye kaha toh vaha maujud sabhi log chaunk jaate hai..isiliye nahi ki OCULUS PROTOCOL ka use karne ke liye sam keh raha hai..balki isliye yeh Sam keh raha hai..kyunki Sam khud iske hone vale side-effects ke baare me jaanta hai

sam yeh baat bahut hi ache se janta tha ki Oculus Protocol ka istemaal karna kitna jyada khatarnak ho sakta hai, yaha tak ki puri earth tabah ho sakti hai, lekin earth ki jo halat iss waqt thi..use dekhte hue Sam ko Oculus Protocol se better option aur koi nahi laga

Bennet, commander aur Akshita tino hi sam ko ghure jaa rahe the, aur yeh dekhkar Sam ne apni baat firse dohrayi “maine kuch galat nahi kaha, we have to use Oculus Protocol, agar hume Zorians se bachna hai toh hamare pass Oculus ke alawa aur koi option nahi hai”

Sam ki baat ka jawab dete hue Akshita kehti hai “sam, tu janta bhi hai ki tu kya keh raha hai..??”

Sam “haa, aksh, yeh mai achi tarah se janta hu ki mai kya keh raha hu, but try to understand..hamare pass iske alawa aur koi option nahi hai”

Bennet “nahi sir, you know it..Oculus can destroy everything”

Sam “haa..mai janta hu..janta hu mai ki Oculus sab kuch tabah kar sakta hai..par iske alawa hamare pass dusra koi alternate option nahi hai, tu khud dekh raha hai ki Zorians kya kar rahe hai..aur unke yeh naye hathiyaar..yaa job hi yeh hai
voh dinosaurs vali footage ki aur ishara karta hai “tu khud dekh raha hai ki unhone hamari army ke saath kya kiya hai”

Bennet “but sir…”

Bennet ki baat ko bich me hi kaatkar sam bolta hai “agar tere pass aur koi better option hai, so please tell me now..??”

Sam ke iss sawal ka jawab kisi ke pass nahi tha, kuch der ke liye vaha par ek dum se khamoshi chaa gayi, aur uss khamoshi ko todte hue sam kehta hai “sir, I know ki aaj tak OCULUS PROTOCOL ka istemal kabhi nahi hua, lekin voh protocol isiliye banaya tha taaki jab hamare pass aur koi option naa bacha ho tab hum use istemal kar sake..and I think..now it’s time too finally use the OCULUS PROTOCOL”

Commander “mai yeh ache se janta hu Sam, but I can’t give you permission”

Sam firse samjate hue kehta hai “agar aap uss hone vali tabahi ke dar ki vajah se mana kar rahe hai toh mai aapko yaad dila du ki hamari earth already destroy ho chuki hi, hamari puri army almost khatam ho chuki hai, sirf gine chune log hai jo bache hue hai, and we cannot defend ourselves..khud ko bachana toh bahut dur ki baat hai..hum aam logo ki madad tak thik se nahi kar paa rahe” voh firse screen ki aur ishara karte hue kehta hai “and now yeh Zorians ke naye hathiyar (Dinosaurs)..aapne khud dekha ki hamare weapons unnpar kuch asar nahi kar rahe, agar Oculus PROTOCOL use karne se hamare bachane ka 1% bhi chance hai..toh mai yeh risk jarur lunga..par bina fight kiye..bina koshish kiye muje marna manjur nahi hai”

Akshita kuch der sochne ke baad kehti hai “par sam..oculus protocol se tu karna kya chahta hai..??”

Akshita ki aankho me dekhte hue sam kehta hai “tuje pata hai mai kya karne vala hu”

Akshita ko shayad yeh andaza pehle se hi tha “sam..yeh khud-khusi hai, aur mai tuje yeh karne nahi de sakti”

Sam “ek na ek din hum sab ko marna hi hai aksh, par mai koshish kiye bina marna nahi chahta..aur iss waqt toh bilkul bhi nahi jab hamare pass yeh ek chance hai..we can save ourselves” fir voh bennet ki aur dekhte hue kehta hai “kitna waqt lagega..??”

Bennet “yeh pagalpan hai sam, tu nahi janta ki isse kya ho sakta hai, kuch logo ki zindagi bachane ke badle me hum sab kuch tabah kar lenge”

Sam “bennet..abhi jo ho raha hai usse toh jyada bura nahi ho sakta, jyada se jyada kya hoga, agar hamara plan fail hota hai toh hum sab log maare jayenge, aur vaise bhi aaj nahi toh kal..Zorians hume maar hi dalenge, dono taraf se maut toh pakki hi hai, but Oculus Protocol se agar humare bachane ka 1% bhi chance hai toh hume use gavana nahi chahiye, sir aap hi bataiye..agar aapke pass aur koi plan hai toh”

Commander ko bhi sam ki baat sahi lag rahi thi “may be you are right, Bennet start the sequence”

Bennet “but sir”
voh bolte hue ruk gaya

Sam “bennet..yeh waqt behas karne ka nahi hai..aur naa hi hamare pass utna waqt hai..now it’s time to take action, agar hum iss waqt sochne samajne baithe toh humare haath se yeh chance bhi nikal jayega”

Bennet ko bhi sam ki baat dheere dheere samaj me aa rahi thi, lekin voh janta tha ki Oculus Protocol kya hai..voh bina kuch bole sawaliya bhari najro se sam ki aur dekhne laga

Sam samaj gaya ki bennet kya kehna chahta hai “mai jaunga”

Akshita gusse se Sam ki aur dekhne lagi “no way sam, bilkul bhi nahi”

Sam chalte hue akshita ke pass gaya aur uske gaal par haath rakhte hue use samjata hai “common aksh, I have to do this, for all of us” aur uski aankho me dekhna laga

Akshita bhi uski aankho me dekhte hue kehti hai “agar yahi baat hai..toh thik hai, mai bhi tere saath chalungi”

Sam na mein apna sar hilate hue kehta hai “nahi aksh..yeh kaam muje akele hi karna hoga, agar mai fail hua toh tuje hi yaha ke haalat sambhalne honge”

Commander “Oculus PROTOCOL kisi ek ka kaam nahi hai, you need a team SAM”

Sam ne commander ki aur dekhte hue “sir..i know that, par hamare pass already bahut hi kam log bache hai..aur jabki mai yeh task khud pura kar sakta hu toh muje kisi team ki jarurat nahi hai”

Akshita janti thi ki sam bahut hi jiddi hai, voh itni asani se nahi manega isliye voh kehti hai “sam..kya mai tujse akele me baat kar sakti hu..??”

Sam akshita ki aur sawaliya bhari najro se dekhta hai, aur fir voh dono thode dur aagaye, aur Akshita sam ko ghusse marte hue kehti hai “tu pagal toh nahi ho gaya..?? tu karna kya chahta hai muje kuch bhi samaj me nahi aa raha, kabhi team se resign karta hai toh kabhi aise behude se ideas deta hai, aur ab yeh..?? tuje ho kya gaya SAM..?? tu toh aisa nahi tha”

Sam apne haath se uss transparent screen ki aur ishara karte hue kehta hai “tune bhi dekha hai ki hamari kya halat ho rahi hai, we are losing Aksh, we lost the earth..dammit, we lost our home”

Akshita “toh kya tu bhi apna vahi haal karna chahta hai..?? sam, yaad hai tune kaha tha ki hum yeh ladayi gusse se nahi jeet sakte, we need to make some plan..we need to make some strategy, aur Zorians bhi yahi chahte hai ki hum koi galti kare aur unhe mauka mile”

Sam gusse se side me deewar par marta hai “dammit, akshita tu kyu nahi samaj rahi, hamare pass time hi toh nahi hai”

Akshita “sam, hamare earth ke halat isse bhi jyada kharab the, 22nd Century me Victor Gabrel ke atank ke chapet me puri Earth aa chuki thi..ek bhi jagah aisi nahi bachi thi jaha Victor Gabrel ki hukumat naa rahi ho..logo ko usne apna ghulaam bana kar rakha tha, tune bhi unn tasweero ko dekha hai..Victor ki fauj kis had tak gir chuki thi..kitne hi mausom logo ko behrehmi se mara tha, yanha tak ki usne janme hue nanhe bacho tak ko nai chhoda tha, usne kisi par bhi reham nahi kiya..pure ke pure seher usne dhamake se uda diye the, uss waqt ke compare me hamare halat itne bhi jyada kharab nahi hai”

Sam “tab ladayi ek aam insaan se thi, but now..iss baar hamari ladayi aliens se hai, aese logo se hum ladayi kar rahe hai jinke baare me hamare pass koi jankari nahi hai”

Akshita “haa..mai janti hu, lekin shayad tu yeh bhul gaya hai ki OKHI ki vajah se hi Victor ka atank khatam hua tha..aur agar uss waqt meteors ki barish nahi hoti toh shayad halat aur bhi battar ho sakte the, mana ki OKHI ne earth ko Victor ke aatank se toh bacha liya tha..par saath me hi meteors ne hamari puri earth ko tehes nehes kar diya tha, kuch bhi nahi bacha tha uss duniya me..lekin tab bhi insaano ne haar nahi maani, agar insaan chahte toh uss tabahi ko time machine ke jariye asani se rok sakte the, voh log bhi Oculus Protocol istemaal kar sakte the..par unhone aisa nahi kiya..kyunki time travel se hone vali tabahi ko voh achi tarah se jante the, aur shayad yahi vajah thi ki 22nd century ke end me yeh kaha gaya tha EARTH IS REBORN”

Aisa nahi tha ki sam ko inn baato ke baare me pata nahi tha..use Oculus se hone vali tabahi ka andaaza tha..par use iss waqt kuch bhi samaj me nahi aa raha tha..yaa toh voh samajna hi naahi chahta tha

Sam ke dimaag me bahut si baate ek saath chal rahi thi..voh akshita ke ese samjane par bhadak gaya aur voh guuse se Akshita par chillata hai “yeh sab mai already janta hu..par akshita, tu yeh kyu nahi samaj rahi ki iss baar halat bahut hi jyada kharab hai..uss ladki ki maut se mai already pareshan hu, aur ab yeh nayi musibat..agar mera yeh plan kamiyab hota hai toh Earth ke saath saath mai uss ladki ko bhi bacha sakta hu”

Jab sabhi ne maan liya ki yeh dinosaurs hai, tabhi sam ke dimaag me ek plan aaya, usne socha ki dinosaurs sirf time-travel karke hi 31st century me aa sakte hai..aur time-travel se use Oculus Protocol ki yaad aagayi..aur turant usne apne dimaag me time-travel karne ka plan bana diya

Akshita ko sam ke iss plan ka koi andaaza nahi tha..sam ki yeh baat sunkar voh puri tarah se chaunk jaati hai..voh asamaj vali najro se Sam ko hi dekhe jaa rahi thi..use kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki voh sam ki iss baat par kese react kare..par Sam ka oculus protocol ka istemaal karne ke piche ki vajah ab samaj me aa rahi thi aur sam akele hi kyu time-travel karna chahta hai..uska karan ab voh samaj gayi thi, voh sawaliya bhari najro se sam ki aur dekhte hue puchti hai “tu uss ladki ko bachane ke liye Oculus PROTOCOL use karna chahta hai..?? aur tu akele time travel karne ki jidd isliye kar raha tha taaki tu uss ladki ko bacha sake aur iss baare me hume kuch bho pata naa lage, aur muje laga ki shayad tere pass koi plan hai” voh apne chehre par haath ghumate hue kehti hai “please sam, try to understand..ek ladki ki life croro logo ki zindagiyo ke samne kuch nahi hai”

Sam yeh baat sabse chupana chahta tha ki use Oculus Protocol kyu use karna hai..par gusse me aakar usne anjaane me hi Akshita ko sab kuch bata diya, kyunki voh janta tha ki agar usne time-travel karne ka asli reason akshita ko bataya toh voh bilkul bhi nahi maanegi..jis baat ka dar sam ko tha vahi hua

Akshita ki baat ka sam ne koi jawaab nahi diya..voh bas apni najre jukaye hue khada raha..aur yeh dekh akshita ki aankho me halke se aansu aajate hai, pata nahi kyu par aaj use bahu thi ajeeb lag raha tha, voh apne aansuo ko chupate hue kehti hai “muje nahi lagta ki tu meri baat manega” voh thoda rukkar kehti hai “par ek baat kehna chahungi..pata hai muje aaj kesa feel ho raha hai..?? aisa lag raha hai maano mera sabkuch kho gaya hai..aaj mera dil keh raha hai ki mai tuje jaanti hi nahi hu, tu mera sam nahi ho sakta..naaa, bilkul bhi nahi, kyunki mai mere sam ko ache se janti hu..chahe kuch bhi ho jaaye, voh itni choti si baat ke liye pure world ko kabhi tabah nahi karna chahega, aur tuje pata hai sabse badi baat kya hai..mai nahi janti ki tu kaun hai, I don’t know you anymore, tuje jo thik lage voh kar..ab mai tuje kabhi nahi rokungi” yeh kehte hue akshita bina sam ki aur dekhe hue vaha se chali gayi aur sam usko jaate hue dekhe raha

Akshita ne apne aansuo ko lakh chupane ki koshish ki..par unn aansuo ko sam ne dekh liya tha..kehne ko toh inn dono ne apne pyaar ka izhaar aaj pehli baar kiya tha..lekin asal me voh dono ek dusre ko khud se bhi jyada ache se jante hai..aur yahi vajah thi ki voh dono hi ek dusre ki baat ko bina kahe samaj jaate the

Lekin aaj akshita ki aankho me aansu sam ki vajah se aaye the..voh akshita ki aankho me aansu kabhi nahi dekh sakta tha..akshita ke jaane ke baad voh bas vaha par deewar par tek lagaye khada ho gaya, akshita ko hurt karke use bilkul bhi acha nahi lag raha tha..voh yeh bilkul bhi seh nahi paa raha tha..uski aankhe bhi nam ho gayi thi..aur voh apni aankhe band karke vahi par baith gaya

To be continued…
 
Top