• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update 12 (Time-Portals)

Shayad aajka din sam ke liye acha nahi tha..voh abhi bennet se baat kar hi raha tha ki achanak se uski watch me alarm bajne laga aur jese hi usne apni watch par lage buttons ko press kiya toh ek artificial awaaz sunayi di “sir, your home is under attack” aur fir turant hi uss badi transparent screen par Sam ki building dikhayi di..jo puri tarah se tabah ho chuki thi

Ab aage…


Samay..ek aam sa shabd..lekin uska arth utna hi gehra..kiska samay kab badal jaaye yeh koi nahi jaanta, kabhi kabhi haalat itne jyada bhayanak ho jaate hai ki insaan samay ko kosne lagta hai..insaan chahta hai ki voh ese samay ko kabhi apne najdik bhi naa aane de..parantu insaan yeh bhul gaya hai ki prakrati ke niyaam ke anusar samay naa toh kabhi kisika hua tha aur naa hi kabhi kisika hoga

Sam ki zindagi ke saath samay ajeeb tarah ke khel khel raha tha..kabhi voh Mumbai pahuch jaata toh kabhi use uss ladki ki maut apne samne dikhayi padti, par shayad samay ke liye itna kaafi nahi tha..yeh ek aisa pal tha jisne sam ko andar se hilakar rakh diya tha

Kuch der pehle sam apne majbut irado ke saath uss screen ke samne khada tha jispar Mumbai ke drishya dikhayi de rahi the, Par ab vohi screen me Sam ke ghar ke tute hue malbo ke drishya dikhayi de rahe the..Sam bina apni palke japkaye hue uss screen ki aur dekh raha tha..voh itna laachar ho gaya tha ki use kuch bhi samaj me nahi aa raha tha

Screen par lagatar sam ke ghar ka malba dikhayi de pad raha tha, kuch hi der voh transparent screen do hisso me bat gayi, ek tarah uss jagah ka malba dikhayi de raha tha..toh dusri hisse me Zorians ke dwara kiye gaya hamla dikhayi de raha tha..kuch hi pal me Zorians ne Sam ke pure ghar ko tabaah kar diya aur uske saath us camera ka connection tut gaya jis vajah se screen ka adha hissa blank ho gaya

Sam ki haalat kisi putle ki tarah ho chuki thi..voh naa toh apni najre uss screen se hata raha tha aur naa hi voh kuch react kar raha tha..voh bas ektak ussi drishya ko dekhe jaa raha tha

Sam ki yeh haalat dekhte hi Head ne bennet ko ishara kiya “bennet”

Bennet naa mein apna sir hilate hue kehta hai “nothing sir, we lost them”

Head ne jor se chillate hue kaha “dammit” aur fir voh sam ki aur dekhte hue kehta hai “sam…please”


Head aur Bennet ki baat toh sam ne naa suni thi, par achanak se voh vaha se bhaaga aur apni bike lekar bureau se apne ghar ki aur nikal pada

Sirf kuch hi minutes me voh apne ghar ke samne aa pahucha..voh janta tha ki apne ghar pahuchne par sachayi badal nahi jaayegi, par that oh voh ek insaan hi na..insaan ka dil tab tak koi baat nahi manta jab tak voh khud apni najro se naa dekh le


Samne dikh rahe malbo ko dekhkar bhi sam yeh manne ko taiyaar nahi tha ki uske mom dad ab nahi rahe, voh apni watch par kuch buttons press karta hai aur kehta hai “SCAN IT”


AI “SCANNING……SCANNING” aur kuch hi seconds me fir awaaz aayi “NEGATIVE”


Sam “Scan it again”


AI “NEGATIVE”


Sam ne aisa kamse kam 15 baar kiya par computerised awaaz har baar ek hi jawaab deti par sam nahi ruka aur voh fir ek baar command dene vala tha par use akshita ne rok diya


Akshita ke saath head aur bennet bhi vaha par pahuch chuke the, akshita ne sam ki halat dekhi thi..usne bhi khud ko badi muskil se sambhala tha, voh sam ke kandhe par hath rakhte hue kehti hai “sam, sambhal khud ko, please sam”


Thodi der ke baad ek image sam ke watch par flash hui..jise dekhkar sam khud ko rok nahi paaya aur voh uss buildings ke malbe ki aur jaane laga ki tabhi uski najar uske mom dad ki laash par padi, unn dono ke sharir ke do tukdo me bat chuke the, mummy ki chehre par se halka halka khuun beh raha tha, aur vahi uske papa ka chehra bhi do hisso me bat chuka tha, building ke malbe ka saliya chehre ke aarpar ho chuka tha


Yeh nazara dekh paana sam ke liye behad hi Jayda muskil tha..apne mom dad ki yeh haalat dekhkar sam ke pairo ne uska saath chod diya aur voh ladkhadate hue vahi gir gaya..uske aankho se aansu behne lage aur voh apni aankhe band karke rone laga

Akshita ki aankho se bhi aansu beh rahe the..par use iss waqt sam ko sambhalna tha, voh khud ko thoda mujbut karte hue sam ke pass jaane lagi toh Head ne use rok diya aur kaha “nahi aksh, iss waqt nahi..ro lene do use”


Kuch Der Baad


Back To Bureau



Sam ab kuch had tak theek ho gaya tha..aankho se aansu bhale hi nahi beh rahe the..lekin uska dil abhi bhi ro raha tha, usne aaj apni zindagi ka adha hissa khoya tha..usne apne mom dad ko khoya tha

Sam yeh bhi jaanta tha ki iss waqt Earth ke kya haalat the..aur as a Special Squad me hone ke naate use apni zimmedariyo ka bhi eshsaas tha..voh janta tha ki voh apni team ka leader hai aur uske bina uski team adhuri hai


Sam ne apni aansuo ko apne chehre se hataya aur voh Head ke pass gaya jo usi room me Bennet ke saath maujud the

Sam ko dekhte hi Bennet kehta hai “sam..voh mai, voh…”


Sam uski baat ko samajte hue kehta hai “kya baat hai bennet”



Bennet “sam voh..zorians ne khali building par hamla kiya tha, tere mom dad uss waqt building me nahi the..unhe buildings ke tabah hone ke baad maara gaya tha”


Sam gehri saans lete hue kehta hai “haa bennet, janta hu mai, zorians ne unhe behremi se maara hai, mai unhe zinda nahi chodunga”


Bennet “tu soch kya raha hai..??”



Akshita bhi vahi maujud thi..par voh kuch naa bolkar sam ki aur dekh rahi thi, vahi Sam kuch der shant rehta hai aur achanak se kehta hai “bennet, I want GODFREY”



Achanak se aisa bolne par sabhi Sam ki aur dekhne lagte hai, Bennet “mai kuch samja nahi”





Sam “muje GODFREY ka full access chahiye”





Bennet “par kyu..??”





Head “tu kya soch raha hai sam..??”





Sam “muje vaha jaana hai”



Sam ke aisa kehne par akshita sawaliya bhari najaro se dekhte hue puchti hai “time travel..??”


Sam naa mein apna sar hilate hue kehta hai “naahh, time portals”





Bennet “no way, tu aisa nahi kar sakta, maine uss time portals ko study kiya hai”




Head “what did you found..??”




Bennet “Sam is right, voh time portals hi hai, aur sirf ek nahi, pure earth par 11 time portals hai..aur sabse strong yaha hai..Coronal City me”





Akshita “yeh kese ho sakta hai..?? time portals ka iss tarah se achanak se hamare samne aana, it’s strange”





Sam “aksh, shayad isiliye toh time ko sabse taqatwaar kaha gaya hai..hamari duniya rahasyo se bhari hui hai, it’s STRANGE WORLD, yaha kab kya ho jaaye koi nahi jaanta”





Bennet “exactly, maine unn nishano ko bhi study kiya hai, they are totally strange for us, uss type ke nishaan hamare database me nahi hai..aur sabse ajeeb baat toh yeh hai ki unn time portals se sirf dinosaurs nahi aa rahe..unke saath ek unknown type ki energy aati hai..voh bhi sirf micro-seconds ke liye hamari duniya me rehti hai aur fir completely vanished”





Akshita “thik unn dinosaurs ki tarah”





Bennet “yes akshita, par voh energy kya hai..mai nahi janta, iss type ki energy ke baare me maine kabhi kuch nahi suna”




Akshita “kya pata voh koi zorians ki chaal hai”




Sam inn sab ki baate toh sun raha tha, par saath me voh khud bhi kuch check kar raha tha, voh kehta hai “nahi akshita, yeh zorians nahi hai..yeh kuch aisa hai jiske baare me hum insaan nahi jante”





Head “uss energy ki koi khaas baat, koi pattern ya koi signature”





Bennet “nothing sir, koi data available nahi hai”




Head “are you sure sam ki yeh zorians ka kaam nahi hai”





Sam “I am damn sure sir”




Akshita “par tu itna sure kese hai..??”




Sam “Coronal City ke halat dekhe the, Bennet sahi tha..Dinosaurs ne Zorians ko bhi khatam kiya hai, aur mera Mumbai jaana, yeh sirf ek coincidence nahi ho sakta..aur kya pata ki time portals ke samne aane ki vajah se voh energy samne aarahi hai”




Bennet “aur voh bhi thik uss waqt jab time portals se dinosaurs aate hai aur vapas jaate hai”




Akshita “thik hai..maan liya ki voh energy time portals ki vajah se hai, par sabse bada sawaal toh yahi hai ki yeh time portals achanak se kese khul gaye”





Bennet “yahi toh muje bhi samaj me nahi aa raha, hamare past logs me bhi kahi par time-travel karne ka koi data nahi hai”





Sam “on-record kisine time-travel nahi kiya, but we don’t know about the off-records”





Head “aisa nahi ho sakta, kyunki duniya me sirf ek hi time-machine hai”





Sam “yeh aap ya mai nahi jante sir..yeh sirf hamara record bol raha hai. Kya pata hamare record se pehle bhi koi time-machine bana chuka ho” voh saans lete hue kehta hai “kyunki time-portals ka iss tarah se samne aane ka muje koi aur vajah nahi dikhayi de rahi hai”


Sam ki baat ka kisi pass behas karne ka aur koi jawaab nahi tha, koi kuch nahi bol raha tha..uss room me ekdum se sannata cha gaya tha jise Bennet ne toda “sam, fir ek baar tere baat ko mai taal nahi sakta..par time-portals ko use karna bewkoofi hogi..kyunki hamare pass unke bare me koi details nahi hai, we don’t know ki yeh time-portals kaam kese karte hai”





Sam “vahi toh dekhna hai”





Bennet “pagal mat bann sam, you could die”





Sam “bennet, marna toh sabko ek din hai hi, par mai bina koshish kiye bina haar nahi manunga”





Bennet “mera matlab voh nahi hai, agar voh time-portals stable naa hue toh..??





Sam “agar time-portals stable naa hote toh shayad aaj mai tere samne nahi khada hota”



Akshita samaj gayi thi ki sam kya kehna chahta hai “sam..tu anjane me Mumbai jaakar aaya hai..yeh mai samaj gayi, par jaan bujkar vahi dohrana, muje kuch thik nahi lag raha, aur fir hamara time-travel karne aur zorians ka kya lena dena hai..?? unhe kese rokenge..??”




Sam “muje jaana hai ki yeh time portals kaam kese karte hai, aur kisi tarah se hum unn dinosarus ko vapas yaaha laa sake, then we might have a chance to win these war, kyunki zorians ko hum kabhi nahi hara payenge..sirf dinosaurs hi hai jo zorians ko khatam kar sakte hai”




Head “sam, yeh koi plan nahi hua..?? aur tu kabse ese bacho jesi baat karne laga”





Sam “sir, oculus protocol ko use karne se toh yeh behtar hi rahega”




Bennet “sir, I think sam ko yeh risk lena chahiye, kyunki we don’t know ki aakhir yeh sab ho kese raha hai, aur agar yeh time portals zorians ne open nahi kiye, toh iska matlab hai ki humari timeline bahut badi musibat me hai”





Akshita “yaa fir yeh bhi toh ho sakta hai ki agar yeh zorians ne hi open kiya hai, aur hum unhe unhi ke game plan me hara paaye”





Head “hmmm, thik hai..lekin sam tu vaha akela nahi jayega”





Sam “right sir, mai vaha akela jaane ka soch bhi nahi raha..mai apne saath akshita ko le jaunga, aur isiliye muje GODFREY full access ke saath chahiye”



GODFREY bureau ka AI Computer hai, jo bennet ne sam aur akshita dono ki watch me download kar deta hai, aur darasal usne godfrey ka pura software hi alag chip me copy kar liya aur usko ek chip ke jariye unn dono ki watch me install kiya tha


Head “good luck sam and akshita, be careful”





Dono ek saath “thanks sir”





Sam “I promise sir, mai aapko nirash nahi karunga, mai vapas khaali haath lautkar nahi aaunga”



Uske baad Sam aur Akshita dono vaha pahuche jaha se Sam ne pehli baar time-travel kiya tha, voh dono ek dusre ki aur dekhte hai aur sam akshita ka haath pakad leta hai, aur voh akshita se kehta hai “dar lag raha hai”





Akshita “muje bhi, par hume yeh karna hi hoga”




Sam haa mein apna sar hilata hai “right, let’s do it” aur fir voh dono hi apni aankhe band karke uss portal ki aur badhe aur vaha se gayab ho gaye


Time-portals se gujarte hi unn dono ko ek halka sa jatka mehsus hua, aur jese hi unhone apni aankhe kholi toh dono hi chaunk gaye, unke samne ka manjar..samne ka najara hi kuch aisa tha jise dekhkar sam bol padta hai “what the hell is this..??”


Akshita bhi kuch samaj nahi paayi toh voh kehti hai “sam, yeh..yeh past nahi ho sakta, I think we are in future”


To be continued..


END OF PHASE-I
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Awesome Fantastic Update
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Waiting For Next Update
 

luv4sale696969

Active Member
1,303
1,670
158
Wow!!!
What an amazing update...
So it is a future time travel... And that means what has disturbed the present time line is actually some time traveller from future.... Let's see what, when, where and how Sam and Akshita get....
A marvelous update to an equally marvelous story....
Waiting eagerly for next rocking update...
 
Top