• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running

Kya story m threesome hona chahiye


  • Total voters
    212
  • Poll closed .

Harry rocks

Well-Known Member
6,912
18,348
189
  • Like
Reactions: Jitu kumar

Siraj Patel

The name is enough
Staff member
Sr. Moderator
134,052
110,650
354
giphy.gif

:heart: Excellent update bhai bahut hi Shandar aur lajawab mind blowing,
Aise hi badiya update date raho bhai Aage Ka Intezar rahega.:happy:

Keep going
We will wait for next update

:yourock:
 

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,766
274
nice
Update no 48
Shiv katha.

Sati agle din subah braham muhurat m hi seniko ko chakma deker apne mahal se bahar nikal aayi , or nikal padi van ki or .

Man me sochte hue .

Sati :- ab jinhone mujhe mahadev se avgat karwaya tha , wahi rishi dadhichi hi meri sahayata ker sakte h meri ,


Sati ne ashv ki sawari kese ki jati h wo sikha tha, isliye unhone mahal k astabal se ek ashv le ker nikal padi rishi dadhichi k aashram ki or .

Or jese hi sati aashram pahunchi to wo dekhti h ki rishi dadhichi aashram k dwar p hi khade h.

Sati :- pranam rishiwer.

Dadhichi :- aao putri mujhe tumhari hi pratiksha thi.

Sati chonk jati h or bolti h

Sati :- kya aap jante the ki m yaha aane wali hu

Dadhichi :- isme janane kya baat h putri , jo niyati m likha h wo to hona hi h, or tumhara yaha shiv k bare m janne k liye ana bhi purv nirdharit tha.

Sati shiv nam sunte hi bhavuk ho jati h or hath jodti hui bolti h.

Sati :- aapne bilkul satya kaha rishiver , m isiliye aayu , kon h shiv , kya sambandh h unse mera , ki matra unke naam ko sun hi m unse prem ker bethi or itna lagav bhi ho gaya h ki ab ek shan bhi unke bina kayi yugo k samman hota h.

Or ye bol unki ankho se ansu aajate h.

Maharishi kese n kese sati ko shant karate h or bolte h,

Dadhichi:- shant ho jao putri , aao mere sath,

Fir rishi dadhichi unhe apne sath le jaker ek singhasan per bitha the h or bolte h.

Dadhichi :- ab pucho putri kya puchna chahati ho.

Sati :- mahadev kon h

Dadhichi :- mahadev , mahadev vo h jo ni h, or jo ni h wo hi mahadev h.

Sati :- m kuch samjhi ni

Dadhichi :- mahadev ko samjhne k liye , tridevo ko samjhna hoga.

Brahama vishnu or mahesh , mahesh yani mahadev, brahama sharsti k rachna kerta , vishnu sansar k palan har , or mahadev sharasti k sangharkarta, jo vinash kerke is sansaar ka santulan banate h.

Sati :- mahadev ka janm kab hua .

Dadhichi :- wo ajanme. H sati , unka n adi na ant h,avinashi h , vishwanath h, kalopari h , panch maha bhuto k nath , "bhutnath" h.

Sati :- ka rahate h.

Dadhichi :- kailash pati h , kintu sara sansar unka nivas sthan h, sarvavyapi h wo, or sabhi kaarno k pramukh kaaran h ,mahayogi h , vairagi h vo.

Sati :- arthath unka koi parivar ni h.

Dadhichi :- kisne kaha ,ye sara sansar unka parivar hi to h, or hum sab unki santan.

Sati :- wo dikhte kese h.

Dadhichi :- nirakar h wo , nirgun h vo , chandrmoli bhi vahi , trilochan h voor natraj bhi vahi.karpur k saman gor varn h unka , karuna k avtaar h vo. Sarp unka kanth haar , rudraksh unke aabhushan ,hath p trishul , tan p bhasm , netro m parmanand h or mukh per bholapan.

Sundarta ki paribhasha h vo or akarshan ki prakashta. Jiv h wo , brham h vo, sampurn jagat niranjan h wo. Vikaral kaal h vo , vo hi ek lagu pal h , vahi amar h or pratyek mrityu m vo hi marte bhi h.

Maha parvat h vo or ek sukshm tarn bhi vahi h, prathvi vo h or akash bhi vo h , bandhan vo h or mukti bhi vo hi h, vish or amrit bhi vahi , gyan bhi vo h or andhkar bhi, prakash , andhkar bhi vo hi h , duvidha h vo or nirnay bhi vo hi , shanti vo h or ashanti bhi vahi h.

Vahi brahama h or vo hi narayan .

Or vahi h devo k dev "mahadev".

Sati mahadev ka itna sundar vivran sun mantra mugdh ho jati h . Ab to unka mahadev ko pane ka nishchay or bhi drid ho gaya tha.

Sati :- parantu mere unse mahadev se kya sambhandh h.

Dadhichi kuch ni bolte or usi bade se shivling ki or ishara ker dete h , sati bhi samjh jati h or ek baar fir us shivling , ko chu mahadev ko yaad kerti h.

Tabhi unhe bhut kaal ka sab kuch band ankho m dekhne lagata h , adishakti ko mahadev ka vachan dena , daksh ko adi shakti ka vardaan , fir apna janm.

Ab sati ko sab kuch smaran ho gaya tha. Or unki ankho se pani bahane laga.

Sati :- mujhe sab kuch smaran ho gaya h rishiwer.

Itna sunte hi rishiwer bahut kush ho jate h or sati k charno m gir jate h .


Sati :- are rishiwer ye aap kya ker rahe h.

Dadhichi :- he maa , m to jagat janni maa, yani apko dandvat pranam ker raha hu, aaj m bahut prasan hu bhagwan vishnu ne jo mujhe karya diya tha . Wo aaj pura hua maa.

Sati :- rishiwer is janm me aap mere guru h ,aapne hi mujhe meri vastvikta ka gyaat karwaya h, isliye kripya khade ho jaiye mujhe paap ka bhagi na banaye or mera aage ka maarg prashast kijiye.kyunki mane manav roop m janm liya h to mujhe karm k vidhan k anusar mahadev ko pane k liye tap kerna hoga.

Rishi dadhichi unhe mahadev ki tap or puja ki vidhi batate h . Or sati lag jati h tap me . Unko tap kerte kayi varsh bit gaye.

Ek baar somvaar k din vo mahadev ki puja ker rahi thi , tabhi waha ek vridh brahaman aate h.

Brahman :- pranam devi.

Sati :- pranam brahaman dev.

Brahaman :- devi mane rishi dadhichi se suna h ki aap shiv ko pati roop m pane k liye tap ker rahi h , kya ye satya h

Sati :- ha brahman dev.

Brahman haste hue:- kyu aap apna samay nasht ker rahi h devi , us shiv ko pane k liye , vo jise na rahane ka dhang h , na kapdo ko pahane ki budhi , tan per bhagh ki khal pahane wala wo shamsan vasi h , bhut pret uske sathi, bhang k nashe m rahane wala wo bhand aapke yogya kaha , jaiye devi lot jaiye or koi or acha var dhundhiye.


Sati mahadev k bare m itna bura bhala sun krodhit ho jati h.

Sati :- bas brahaman dev bahut bol liya apne , jin mahadev k naam lene matra se hi sabhi paap nasht ho jate h , aapko lajja na aayi unke bare m esa bol

Lekin brahaman dev ni mane or mahadev ki burayi kerte rahe .

Sati :- bas brahaman dev , bahut ho gaya dussahas aapka , ab lagta h aapko shraap dena hi hoga mujhe.

Or jese hi vo kamandal utha ker shraap dene braham ki or mudti h or chonk jati h , unke hatho se kamandal chut jata h or unki khushi ki koi sima ni rahati .

Kyunki un brahaman dev k sthan per sakshat devadhidev mahadev khade the.

Sati nam ankho se :- aap aagaye swami , jante h aapki ye sati aapke liye kitna tarasi h.

Mahadev :- m bhi tumhare bina kaha sukhi tha priye , jitni pida tumne mujhse dur ho sahi h usse jyada pida mane sahi h.

Kyunki tum to is janm me sab kuch bhul chuki thi , parantu mujhe to sab smaran tha.

Or itna bol mahadev apne trishul ko apne hatho se gayab ker apni bahe fela dete h.or sati unki baho m ja samati h.

Sati :- swami ab m aapke bina ek shan bhi ni raha sakti, kripaya apni sati ko apne sath je jaiye .

Fir mahadev or sati kalash pahunch jate h or vaha brahma ji or vishnu ji k sanidhya m vivah ker lete h. Jisme bhagwan vishnu or lakshmi sati k bhaiya bhabhi ban unka kanyadan kerte h .

Or fir mahadev or sati sukh purvak rahane lagte h. Jab ye baat daksh ko pata chalti h to wo usi vakt sati se sabhi sambhandh tod lete h .

Wese tod to wo pahale hi chuka tha.lekin ab usne iski saf saf ghoshna ker di.

Ek din ki baat h sati shivji k sath bethi thi . Tabhi sati puchti h

Sati :- swami aap to swayam mahadev h , aap kiska din raat smaran kerte rahate h fir.

Mahadev :- priye m mere prabhu mere aradhya " shri ram " ka smaran kerta hu.

Sati :- ram vo kon h.

Mahadev :- priye ram , aapke bhai narayan ka bhavishya m hone wale manav avtar ka naam h jo is sansar ko dusht rakshaso k atyacharo se mukt kerwayenge , or wo sati ko pahle hi puri ramayan bata dete h.

Sati ko mahadev ki is baat per yakin ni hota or vo swayam ram ki pariksha lene ka sochti h.


Or vo apni shaktiyo se treta yug m pahunch jati h, jaha prabhu shri ram mata sita ko dhundte hue van van bhatak.rahe the.

Tabhi sati sita ka roop leker ram k sammukh jati h.

Lekin shri ram unhe turant pahachan jate h or bas itna hi bolte h. Hath jod.

Ram:- pranam.mata , aap yaha is van me akeli kya ker rahi h, or bhagwan bhuthnath kaha h.

Sati ye jab sunti h to wo pani pani ho jati h , or unhe apni galti ka ahasas hota h ki unhonne mahadev per avishvas kiya . Or wo wapas apne samay m.lot jati h. Or mahadev ko kuch ni batati , lekin mahadev to thahare antaryami unhe sab gyat ho gaya tha,or unhe sati k is karya se thes bhi pahunchi.



Daksh ne mahadev ko apmanit kerne k liye ek vishal yagya ka aayojan kiya ,jisme unhone sati or mahadev ko chod sabhi ko aamantrit kiya . Jab ye baat sati ko pata chalti h to wo bhi mahadev se waha jane ki anumati mangti h .


Mahadev :- ni sati tumhara jana waha uchit ni hoga or vese bhi bina nimantran kahi jana apman ka kaaran banta h.

Parantu sati ni mani or unhone ye tark dete hue , apni bat per jor dala ki pita k ghar jane k liye , putri ko nimantran ki avashyakata ni hoti .Mahadev ne bahut samjhaya parantu sati ni mani , akhir m shivji ne unhe nandi or gano k sath bhej diya .Or wo jaker samadhi m beth gaye, lekin unke ankhon m ashru the , kyuki wahi jante the ki aage kya hone wala h.

Sati jese hi daksh k ghar pahunchti h to daksh ko bahut krodh aajata h, prasuti to apni putri ko dekh bahut khush hoti h. Or sati ko gale lagaker sati ka swagat kerti h.

Daksh :- bina nimantran k yaha aane ka sahas kese kiya tumne .

Sati ko ye sun ker bahut dukh pahunchta h pahale to k jo pita unke bina kisi samay ek shan bhi ni rah sakte the wo aaj itni kathor vani bol rahe h.lekin fir sati ka dukh krodh m badal

Kyunki Sati dekhti h ki waha sabhi devo k liye sthan h keval mahadev ko chod ke.

Sati :- ye kya pita shri aapne apni niji dvesh k chalte mahadev ka apman kiya .Jo swayam yagya purush h jinke marji k bina ek pata bhi ni hilta , jo vishvanath h unhe hi aapne yagya m sthan ni diya.

Daksh :- us bhand , us asbhya k liye mere is yagya m koi sthan ni h , are kesa bhagwan vo shamsan vasi , sharir p bhasm malne wala, nashe m dhut rahane wala vo bhand kese pujniya ho sakta h.

Sati :- bas pitaji bas , aap ager mujhe kuch kahate to m sah bhi leti kyunki aap mere pita ho per aapne mere pati k liye apshabd bol jo mere dil m aapke liye samman tha vo bhi kho diya h.

Or fir waha mojud narayan k pass ja ker bolti

Sati :- ye kya bhaiya aap kese mon bethe rah sakte h yaha , balki aap vaha aabhi kese sakte h jaha prajapati daksh ne mahadev ko apamanit kerne k liye janbujh ker ye yagya ka aadamber ker rahe h. Aap to wo narayan h na bhaiya jinhone bina mere swami k mandir m pravesh kerna bhi swikar ni kiya tha.

Narayan asahay bhav se bole

Narayan :- apne is bhai ko shama ker do bahan , tumhara bhai vivash h bahan , daksh mera bhakt h or usne kathor vrat rakh or bhakti se mujhe yaha aane k liye bhadhya ker diya h.

Daksh :- wah sati wah , us bhand k sath rahakar acha natak kerna sikh gayi ho tum , chali jao yaha se tumhare or us aghor k liye mere is yagya m koi sthan ni h.

Sati ka krodh ab sima par ker chuka tha or usi shan wo apne asli roop yani mata aadishakti k roop m aagaye. Sabhi unhe dekh khade ho pranam kerte h.

Adishakti :- bas daksh bas , bahut ho gaya tumhara dussahas , tum apne ahankar or ghrina ki agni k chalte ye bhi bhul gaye ki tumne meri tapasya kis liye ki thi. Or ye bhi bhul gaye mane kya chetavani di thi.

M chahu to tumhare isi shan ant ker du per ni , tum is deh k pita ho or m tum jesi dusht ni hu.parantu ab tumhare in apavitra vachno se ye deh bhi apavitra ho chuki h or m unki itni burayi sun ne k baad unke samaksh ni jaa sakti , na hi ab is sansar ko tadkasur k atyacharo se mukti dilane wala is sansaar m aayega. M isi vakt ye deh tyag rahi hu. Parantu ab tum bhi ni bachaoge mere mahadev apni sati k is apman ka pratishodh avashya lenge.

Or itna bol sati apni ankhe band ker sharir tyag deti h or sati ki deh jalne lagti h.
Nandi ye dekh gan preto k sath waha mojud daksh samet sabhi per aakraman ker dete h . Parantu brighu apni shaktiyo se unsab ko rok dete h. Or nandi or gan ko apni shaktiyon se kailash pahuncha dete h.

Or waha kalash pe mahadev dhyan m bethe sab dekh rahe the or jese hi sati sharir tyagti h



Mahadev jor se rote hue chillate h.

Mahadev :- satiiiiiiiiIiiiiiiiiii.

Unke krodh ki ab koi sima ni rahi thi pura kailash jalne laga tha. Nandi ja ker mahadev k pero m gir k rone lagte h or bole.

Nandi :- mujhe shama ker dijiye prabhu m mata ko na bacha paya , hamne pratishodh lene ki bhi koshis ki lekin us daksh k jamata rishi brighu ne hamari ye dasha ker yaha pahuncha diya


Mahadev ki ankhe puri lal ho chuki thi, unhone jor se ek jata apni ukhad di or ek parvat pe de mara .Jisse unki sare lambe baal khul gaye , jo jata roop m saje hue the.

Or jese hi wo jata us parwat se takrayi to ek maha bhayanak visfot hua jisse 3no lok hil gaye . Or us bhayanak visphot k sath prakat hue vo jo.swayam mahakal ki pachai h, jinke hajaro hath h , jinme har prakar k shastra or astra shusobit the.

Or vo koi or ni mahadev ka sabse rudra roop "veer bhadra" the.

Unko.dekhte hi sare shivgan unke samne jhuk.gaye or stuti kerne lage
Ek swar me.

वीरभद्र भद्रविर वीरभद्र वीर
वीरभद्र भद्रविर वीरभद्र वीर
वीरभद्र भद्रविर वीरभद्र वीर
वीरभद्र भद्रविर वीरभद्र वीर

भद्रकाल लोचनः
पिशाच भूत नायकं
जटा कटा हसम्भरम
कपाल काल शोभतः
डम डम डम डमरुनाद
जम जम जम जम्भनाथ
महाकाल भद्रकाल

images


Virabhadr :- maharudra aagaya dijiye mujhe , aap kahe to sagar ko ek shan me sukha du, ye akash ko jala du, mujhme jo shaktiya h vo mujhe aapse hi praapt hui h prabhu.

Mahadev (garajte hue) :- jaao veer bhadra us abhadra daksh or uske yagya ka nash ker do or jo badha bane use bhi nisankoch yamraaj k pass pahuncha dena.

Aajane do.aaj pralay ko , jis sansaar ne mujhse meri sati ko china h , us sansar ko jine ka koi adhikaar ni h.


Veer bhadra itna sunte hi turant nikal jate h daksh k yagya ki or.

Vahi daksh k mahal me

Braham dev :- murkh dekh liya apne dushkarmo ka parinam ,lajja aati h mujhe tumhe apna putra kahate hue,kitni baar samjhaya ki tumhe lekin tum na mane.

Ab apne ant k liye saj ho jao , kyunki mahakal ne tumhare vadh k liye swayam veerbhadra ko bheja h.jo mahakal ki hi pratikriti h.

Daksh ye sun dar jata h or bhagwan vishnu se apne bhakt hone ki baat bol sahayata mangta h .

Krodhit to narayan bhi bahut the daksh se , sati ko unhonne sache hriday se apni bahan mana tha, wo to khud daksh ka vadh ker dete , per vo unka bhakt tha, isliye majburi m unhe daksh ki sahayata k liye raji hona pada.

Yaha veer bhadra jese hi daksh k mahal pahuncha to daksh ki puri sena unse yudh kerne aagayi , parantu vo sadharan manushya kaha veer bhadra k aage tik pate . Veer bhadra ne kuch shano m hi puri sena ka nash ker diya.

Fir aage bhade hi the ki unke samne bhagwan vishnu aagaye.or unhonne veer bhadra ko bandh diya.

Veer bhadra :- hey prabhu , kripya mujhe is dharm sankat m na dale , jese mere liye mahadev h vese hi mere liye aap h dayanidhan .m bhala aapse yudh kese ker sakta hu.
Aap to jante hi h ki m mahadev ki aagaya se bandha hua . Isliye he madhav kripya mujhe dharm sankat m na dale

Narayan vivashata purvak bole :- veer bhadra jis dasha m tum ho vahi meri dasha h. Niyati ka khel to dekho m is sansar ka palan haar aaj apni hi bahan k hatyare ki raksha kerne k liye , apne hi aaradhya k virudh khada hu.

Mahadev ne jab ye dekha to apni ek or jata ukhad ker feki or us jata se devi bhadrakali prakat hui.
images


Mahadev :- jao bhadra kali , narayan apne bhakt ki raksha k liye vivash h or veer bhadra unper prahar karega ni , tum jaker veer bhadra ki sahayata kero .

Bhadrakali bhi vaha se gayab ho sidha veer bhadra k paas pahunchti h or veer bhadra ko mukt ker deti h.

Narayan bhi ye moka sahi samjh ye ghoshna ker dete h ki vo haar gaye or waha se anter dhyan ho jate h.

Or veer bhadra yagya m pahunch ker sabko katna shuru ker deta h , kisi k kisi k per . Or aakhir m daksh ka sir kaat ker havan kund m fek dere h jisse yagya nasht ho jata h or vo vaha se gayab ho jate h.

Parantu mahadev ka krodh shant hone ka naam hi ni le raha tha ,wo vinash tandav kerne lage the.

Tabhi narayan waha pahunch ker hath jod bole .

Narayan :- shant ho jaiye prabhu verna sharsati ka nash ho jayega .Daksh ko uska dand mil chuka h .

Or ese hi narayan samjhaye jaa rahe the parantu mahadev shant hi ni ho rahe the. Fir aakhir m narayan bole .

Narayan :- prabhu kam se kam bahan sati k liye to shant ho jaiye , unki deh abhi bhi vahi jal rahi h , or aapki pratiksha ker rahi h.

Ye bolte hue unki ankho m bhi aansu the . Mahadev ye sun shant ho jate h or narayan k sath waha yagya m pahunchte h , jaha prasuti mahadev ko dekh apne pati ki taraf se shama mangti h. Sach me mahadev daya k saagar h vo daksh ko punah jivit ker dete h bakre ka sir laga ker.

Or fir sati k deh k pass ja ker fut fut ker rone lage h

{Wo drishy itna bhavuk tha ki , ye drishya likhte hue mere(writer) ki ankho m pani aagye h or man se ye git nikal raha h.}

Shakti thi shiv ka pran thi
Man thi samman thi.
Shrishti ka aadhar thi.
Mahadev ka vistar thi.

Kailash ki thi vo swamini
Shiv ki thi vo ardhangini
Niyati ne esa kyu kiya.
Shankar se bichdi shiv priya.

Shiv k hi gorav k liye
Sati ho gayi ab dur h.

Fir mahadev sati ki deh ko apne hatho utha kee 3no loko m ghumne lagte h . Sab chintit the ager mahadev yu hi rahe is dasha m to shrishti ka ant nishchit h.mahadev ko sati k khone k gam se nikalna bahut jaruri ho gaya tha.
images


Bhagwan vishnu abhi soch hi rahe the is baare m to unke kaano m ek awaz padti h.

Bhaiya..

Vishnu bhagwan ye awaz sun chonk jate h kyuki ye aawaz sati ki thi.

Vishnu rote hue bole :- bahan kaha ho tum.
Tabhi aadishakti unke samne sati roop m.hi prakat hoti h.

Sati :- bhaiya , aap hi keval ab swami ko is pida se mukt ker sakte ho.

Narayan :- parantu kese bahan .

Sati unhe upaay batati h jise sun vishnu bhagwan bole.

Narayan :- ni bahan m esa ni ker sakta , kya koi dusra upay ni h.

Sati :- ni bhaiya ab keval yahi upaay h , or aap jab ye upay karenge tab hi mera dusra janm hoga.

Dusra janm ki baat sun vishnu khush ho jate h.

Sati :- acha bhaiya ab mujhe jana hoga.

Narayan :- ruko bahan ,

Wo bas itna hi bol ruk jate h or unhe samjh ni aaraha tha ki aage kese bole parantu aadishakti samjh jati h or wo prem se narayan k gale lag ker boli.

Sati :- aap nishchit rahiye bhaiye , mere dusre janm me bhi m aapki hi bahan rahungi ,
Or unke aansu punch ker bolti h

Sati :- bhaiya ab aap kripya mat roye aapki bahan shighra lotegi.

Or ye bol sati waha se gayab ho jati h.
Or ab waqt tha narayan ka wo thos kadam uthane ka. Unhonne apni ungli uper ki .
Or tabhi waha sudarshan chakra prakat hua. Or bhagwan vishnu ne vi chakra mahadev ki or chod diya jo sidha ja ker sati ki deh se takraya or ek visfot k sath sati k sharir k 52 bhag ho ker , prathvi per gire .

Or fir kese na kese narayan waha aaker mahadev ko samjhate h or aadishakti ki batayi sabhi baate bhi batate h.

Jise sun mahadev shant ho jate h or jaha jaha wo 52 bhag gire vo sabhi pind roop m parivartit ho gaye jinki sthapna mahadev ne shaktipith k roop m ki .

Or jaha jaha sati k bhag gire waha waha mahadev bhi apne bhairav roop . Virajman hue un shaktipith ki raksha k liye

Lekin ab mahadev wapas vairagi ho gaye or wo is sansar ko tyag ker himalay ki ek gufa me ja ker samadhi m beth gaye .

Kayi varsh bit gaye or ek din parvat raaj himalaya k ghar ek bahut hi sunder kanya ne janm liya .

Himalaya ne unke naam karan k liye narad ji.ko bulaya or unhone jese hi us kanya ko dekha unke per chuhe or bole

Narad ji :- aapka koti - 2 dhanyawad ma ki aapne ye shubh avsar fir se mujhe pradan kiya.

Ji ha dosto ye kanya or koi ni sati ka hi dusra janm.thi. narad ji ne ye sari baate himalay ko batayi or samjhaya ki daksh wali bhul wo naa doharahe.

Or us kanya ka. Nam parvati rakha jata h. Unke mata pita dono hi param shiv bhakt the to parwati m bhi shiv bhakti k gun aagaye or wo bachpan se shiv bakti m lin rahati.

Ek din wo van me gayi thi or ghumte ghumte vo usi gufa k paas pahunch gayi jaha mahadev samadhi m lin the.

Us gufa k ander pahunch jese hi unhone mahadev ko dekha , pahale to ek shiv bhat hone k kaaran unki khushi ki.sima na rahi . Fir dhire dhire parvati ko apne sati janm ki or aadishakti hone ki sabhi bate yaad aane lagi .

Or jese hi unhe sab yaad aaya wo rote hue mahadev se boli .

Parvati :- netra kholiye swami , dekhiye aapki sati aapki patni lot aayi h.

Parantu mahadev apni samadhi m lin the . Tabhi indra ne ek murkhta ker di or mahadev ki tapasya bhang kerne k liye kaam dev ko bhej diya or jese hi kaam dev ne apna tir chalaya . Mahadev ka 3sra netra khul gaya , jisse maha bhayanak jwala nikali or kam dev bhasm ho gaya, or mahadev bina kisi or dekhe waha se gayab ho pahunch gaye shamsan.

Nandi waha aaker bole

Nandi :- prabhu aao kaha chale gaye the apne is das ko chod ,

Mahadev :- putra mat royo ab , balki ab to khushi ka samay aagaya h , kyunki tumhari mata ka janm wapas ho chuka h or vo mil bhi gayi h mujse m

Nandi khush hote hue:- kya , ager ye satya h to aap Mata ko leker kyu ni aaye .

Mahadev :- kyunki tumhari mata ko abhi ek pariksha deni hogi nandi.

Wahi mahadev ko yu gayab hote dekh mata parwati rone lagi , tabhi piche se unke kandho per kisi ne hath rakha , or jese hi parwati ne piche mud k dekha to , turant us shaksh k gale lag rone lagi.

Parwati :- bhaiya aap aagaye bhaiya , ye kya or kyu hua bhaiya swami ne meri or dekha bhi ni.

Ji ha dosto wo shaks or koi ni bhagwan vishnu hi the.

Narayan :- shant ho jao bhahn, shant ho jao , mahadev bas tumhari pariksha le rahe h .

Parvati :- ager esa h to m unki pariksha m avashy uttirn houngi bhaiya . Mujhe kya kerna hoga.

Narayan unhe upay batate h or mata parvati shivling banane lagti h lekin shivling ban hi ni raha tha, to narayan unki sahayata kerte h , darasal wo shivling mahadev hi ni banne de rahe the, parantu narayan k hatho se banaya shivling vo kese bigad sakte the.

Fir shuru hua mata parwati ka kathor tap jisme unhone ann jal sab tyag diya , unka sharir kala padne laga , unke tap ko kayi varsh bit gaye . Or aakhir kar mahadev prakat hur or unhe apne sath le jane lage , lekin mata parvati boli.

Parvati :- ni swami , pichle janm ki baat alag thi , daksh aapse nafrat kerte the , lekin is baar mere pita himalay ek ache vyakti h or apke bhakt bhi h. Isliye meri ye icha h ki aap is baar mere pita k ghar barat leker aaye or mere pita ko kanyadan jese mahan karya ka sobhagya pradan kare.

Mahadev bhi maan jate h . Or parvati apne pita k ghar lot unhe sari baat batate h . Jise sun parvat raj bahut khush hote h. Or vivah ki teyariyo m lag jate h.

Wahi mahadev bhi itne varsho baad kailash aaker bahut khush hote h. Jo kailash unke krodh se jal gaya tha use wapas se thik kiya or yaha bhi vivah ka utsav aarambh hue. Mahadev k mata pita ki bhumika vivah m rishi kashyap or dev mata aditi ne nibhayi , kyunki vidhi vidhan se vivah k liye var paksh k mata pita hona bhi jaruri h.

Fir teyaar hu mahadev ki barat .

Vishnu ji sab se majak kerte hue bole.

Vishnu :- are bhai sabhi shighrata dikhao , kahi baad m ye na pata chale ki hum to teyar h barat k liye or yaha bhole baba to beth gaye apni samadhi me.

Sabhi haste hue sajj ho gaye.

Fir nikal padi bhole baba ki barat , lekin ye kya barat m aage aage dev the bich me nandi p virajman mahadev , or unke piche bhayanak bhut pret . Bhut bhi ese , kisi ki ek bhi ankh ni thi , to kisi ki hajaro ankhe thi . Kisi k hath ni the to kisi k hajaro hath the.koi itna chota k dikhai na de , koi itna bada ki uska chahata hi ni dikh raha tha
images


Or jese hi barat waha pahunchi to pahale to parvati ki mata bahut khush hui , unhe ghamand ho gaya tha ki unka jamata 3no loko ka swami h or uper se narad ji ne bhi jo mahadev ka varnan liya tha usse to unka ghamand ki koi sima hi ni thi.

Parantu jab unki najar mahadev p padhi to vo buri tarah dar gayi kyunki unka roop hi kuch esa tha.

Unke gale m mundmala, sare sharir per sarp, or bhasm or wo hajar sal k bhudhe dikh rahe the.
images


Kaha jata h ki shivji ka esa kerne k 2 kaaran the .

1 apni saas ko ahankar mukt kerna

2 kanyadan k baad himalaya ko mukti mil jati , jisse bina himalya k sare sansar ka santulan bigad jata , or unke esa kerne se himalay k man m sandeh rah jata ki kya , unhonne parvati k liye yogya var dhundA ya ni.

Parvati ki maa ne vivah k liye saf saf inkar ker diya , or boli m apni putri k vivah ese vyakti se ni hone dungi , tab bhagwan vishnu shivji ko samjha ker apne sath leker jate j or unhe dulhe k roop m bahut sunder roop m sajate h . Mahadev ka wo roop itna sunder tha ki karodo kamadev bhi , unke aage kuch bhi ni ho sakte the .Mahadev k us roop ko narayan ne chandra shekhar naam diya.

Or yu sampan hua mahadev ka vivah.

Shiv katha samapt.

Present .

Wahi sham ko mandir m karan or jyoti bhi mahadev or mata parvati ki shadi ki teyari kerte h . Lekin karan ne idher bhi apni jinda dil ka parichay diya , or yaha shadi k mandap m ek unke hi area k ek ladki jo anath thi or kese na kese apne ghar ka nokri kerke apni jindagi chala rahi thi , bhagwan shiv k is pavan tyohar pe karan ne us ladki k vivah ka sara kharch khud uthaya tha.

Us ladki ka nam swati tha.swatiko bilkul mata parvati jese hi dulhan k roop m sajaya gaya. Or jis ladke ki shadi swati k sath karwayi ja rahi thi vo bhi ek anath tha or swati se bahut pyar kerta tha , use bilkul shivji k chandra shekhar roop ki tarah sajaya gaya , or fir un dono ka vivah karwaya .

Fero k baad swati jhuk ker chune hi wali thi to karan unhe rok k bolta h

Karan :- are are di ye kya aap ker rahe ho , kyu mujhe paap ka bhagi bana rahi ho.

Swati rote hue :- mujhe chu lene do bhai apne per , tum mujh anath ki jindagi me bhagwan ban k aaye ho, aaj k jamane m jaha apne sage bhi sath chod dete h ,waha tumne is anath ki itni madad ki.

Karan swati ko gale lagaker bola

Karan :- kesi baat kerti ho di , bhai bhi bol rahi or shukriya bhi , ek bhai ka to kartavya hi hota h apni bahan ki sahayata kerna , or

Or ahasan to aapke h di apke ham bhai bahan pe aapka.

Karan or jyoti shuru shuru me hoshiyar ni the. Unhe padahai m pahale bahut dikkat aati thi or unke pass tution k jitne pese ni the .

Ek din dono bhai bahan park m bethe isi baat ko leker tension m the . Tabhi swati ki najar unpe padhi jo udher se hi gujar rahi thi.wo karan or jyoti ko or unki condition ko janti

Or wo unke pass jaker puchti h kya hua. To karan or jyoti apni sari problem use batate h.

Jise sun ker swati boli ki koi baat ni tum kal se mere paas aajaya kerna m apne chote bhai bahan ko padhaungi , tumhe tution kerne ki jarurat ni h.

Ye sun dono bhai bahan bahut khush hote or swati unhe 12 tak padhati h. Or karan or jyoti swati ki vajah se hi topper bane.

Isi tarah fir swati ki bidai bhi hone hi wali hoti h ki swati ka husband hi aaj mahashivratri k antim pahar ki puja tak k liye ruk jane ko bolta h.

Aaj k liye bas iitna hi.
Kya hoga shivratri k antim pahar ki puja m karan or jyoti k sath , janne k liye sath bane rahiye.

Note :- friends jesa ki yaha sabne mujhe kaha ki m ab or lambi na kichu shiv katha is liye mane ye mega update di h . Please please comment kerke jarur bataiyega aapko kesa laga , ye puri katha mane apni khud ki bhasha m likhi h.
Or aajkal comments bhi pahale se bahut kam ho gaye h ana , kya baat h friends story pasand ni aarahi to please bataiye

Stay tuned
 

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,766
274
Update no :- 49
Swati ki shadi k baad sabhi k baad sabhi ek baar k liye apne apne ghar lot gaye , kyunki shivratri k antim pahar ki pujaa der raat ko honi thi.

Karan or jyoti bhi ghar aaker fresh ho bed pe let jate h thakan k kaaran , akhir itni mahanat jo ki thi.

Jyoti :- bhai sach me is baar ki shivratri yaadgaar rahegi , mahadev k aashirwad se aaj hamare hatho kitne punya hue h bhai.

Kitne hi jaruratmando ko aaj khana mila, aaj do premiyon ko milane ka mahan karya bhi hamare hatho se hua.

Karan :- ha gudiya , bilkul sahi kaha tumne , ye to mere bhole baba ki hi kripa se sambhav hua h , kerne wale to wo h , hum to sirf madhyam h.

Kitna mahan charitra h dono bhai bahan ka , aaj k din itne ache or nek kaam dono ne kiye , lekin dono m baat ka lesh matr bhi aham ki bhavna na aayi

Karan koi soch me duba hua tha , tabhi jyoti pyaar se karan k gaal kat leti h.

Karan :- aah kya ker rahi h gudiya.

Jyoti haste hue :- kya baat h , jara hume bhi to pata chale , ki mere bhaiyu kis soch me khoye hue h.


Karan masti k mood me tha or wo bola.

Karan :- nahi to , m kaha khoya hua tha.

Jyoti :- kyu jhut bol rahe ho bhai , batao na

Karan jijhakne ki acting kerte hue bolta h.

Karan :- gudiya, sach ye h ki m teri hone wali bhabhi k baare m soch raha tha.

Jyoti ko ye sun bahut bada jhataka lagta h ,

Jyoti lagabhag chillate hue :- kya.

Karan :- ha jyoti mane kafi time se ye baat tujhse chupayi h ki meri ek gf h, or hum ek dusre se bahut pyaar kerte h.

Jyoti to ye sab sun ker buri tarah tut si gayi , uski anko m pani or gussa dono the.

Jyoti (gusse me apna aapa khone lagi or boli) :- kon h vo , kamini , vo chudel , jo mujhse meri jaan , mere bhai ko chinne m lagi hui h.naam batao uska bhai mujhe , aaj m usko jinda ni chodungi.

Or ye bol ker apna hath hava me ker deti h or ek roshni k sath uske hath me ek bahut hi sunder lekin khatarnak talvaar aajati h.

Jyoti (jor se chillate hue) :- suna ni mane kya bola bhai , naam bataiye us kamini ka.




Karan ye sab dekh ker buri tarah chonk gaya tha, wo jyoti jo ek jhil ki tarah shant thi, ab us vikaral nadi kaa roop le chuki thi , jo baad rupi jal se sab kuch nasht ker dena chahati thi.

Uske sharir se agni nikal rahi thi , jo pure room ko jalana shru ker di thi.
Wo to shukar h shivani radha k sath chali gayi thi, or unke maa baap ghar p ni the

Tabhi karan k man m baba ki aawaz aati h.

Baba :- putra shighr se shighra jyoti ko shant kero werna anarth ho jayega.kahi esa na ho jyoti khud ko hi hani pahucha le.

Karan ye sun ghabra jata h or bhag ker jyoti k pass jata h or uske hath se talvaar ko chin k fek deta h or apne gale laga leta h.

Or uske sir p pyar se hat ferte hue shant karwane lagta h . Wo to karan koi sadharan manushy ni tha.

Verna koi or jyoti k pass pahuchne se pahale hi bhasam ho jata, kyunki jyoti ka tez hi bahut jyda tha us time.

Jyoti dhire - 2 shant hote hote behosh ho jati h.

Karan :- baba ye sab kya tha , kya hua meri gudiya ko , achanak se itna krodh, esa kyu ho raha h baba , kyu aajkal jyoti ko itna krodh aane laga h.

Baba:- putra jesa ki tum jante ho ki tum koi sadharan manav ni ho or tumhara janm ek mahan uddeshy ko purn kerne k liye hua h.jis kaaran tumms bahut si deviy shaktiya h.

Usi prakaar jyoti bhi tumhari sirf bahan hone k sath sath , tumhari wo shakti bhi h jo bhavishy m dushto k vinash kerne k liye tumhare kaam aayegi , or shakti to ugra hogi hi na putra.tumhari jyoti tumhari shakti usi prakaar h , jese mahakal ki shakti mahakali h .Parantu abhi uchit samay ni aaya h jyoti ki shaktiyo ka jagrit hone ka. Isliye tumhe is baat ka vishesh dhyan rakhna hoga ki jyoti ko jitna ho sake uSe shant rakha jaye.

Karan abhi kuch or puchne hi wala tha ki baba bich me bol pade .

Baba :-putra m janta hu tum kya puchna chahate ho per abhi k liye bas itna jaan lo ki tumhe in prashno k utter swayam hi khojne honge , yahi to tum dono ki pariksha h .

Or itna bolne k baad baba ka sampark karan se tut jata h.

Fir karan jaldi se jyoti k chahare p pani dal k hosh m lata h.

Jyoti ko jese hi hosh aata h use karan ki sabhi baate yaad aajati h or wo karan ki or se apna muh mod ker apna gussa dikhati h or uski ankho m pani tha .

Karan :- kya hua gudiya.esa kyu ker rahi ho.

Jyoti :- kyu ab kyu meri chinta ker rahe ho , jaiye na usi chudel k pas ab jisse pyaar kerte ho.

Karan ko jyoti ki masumiyat p bahut pyaar aata h or bolta h.

Karan:- are meri gudiya meri jaan , kam se kam itna gussa kerne se pahale jaan to le m kiski baat ker raha hu, ruk m tujhe uski pic dikhata hu.

Jyoti :- mujhe koi pic Vic ni dekhni

Karan apna phone jyoti k chahare k pas late hue bola .

Karan :- are dekh to le ek baar .

Jyoti jese hi beman se phone ki or dekhti h to or vo buri tarah chonk jati h , kyunki mobile ki screen p koi pic ni thi, balki phone ka front camera on tha.

Wo chonkte hue karan ki or dekhti h.

Karan :- haa meri jaan ek tu hi to h jisse is duniya me m sabse jyda pyar kerta hu pagli , m to bas majak ker raha tha tujhse .


Jyoti jese hi ye sunti h uski khushi ka thikana ni rahata , per fir jhuta gusa dikhate hue karan p tut padti. H or uski dhulayi shru ker deti h per pyaar se.

Karan :- are maar kyu rahi h gudiya.

Jyoti :- bhai aap bahut gande ho , esa majak bhala koi kerta h , pata h meri to jaan hi nikal gayi thi ye soch ker ki ab aap mere se dur ho jaoge.

Karan jyoti ko apne sine se lagaker bola.

Karan :- hat pagal tune soch bhi kese liya ki tera bhai tere se dur hojayega , tujhse dur to mujhe swayam mahadev bhi ni ker sakte . Tu to meri , meri har shwas h gudiya , or koi bhala apni jaan se dur ho sakta h.

Jyoti bacho ki tarah kaan pakad k bolti h

Jyoti :- sorry bhaiya.

Karan(majak kerte hue) :- it's ok didi.

Jyoti or karan firse hasne lagte h or thodi der aaram kerke wo wapis naha ker teyaar hote h shivratri k antim pahar ki puja k liye.

Or fir wo dono wapas mandir pahunch jate h. Ab mahadev ki antim pahar ki puja m unka maharudrabhikek hone wala tha or sath sath bhajan bhi hone wale the

Karan or jyoti mandir k liye nikal jate h or mandir pahunchte hi garbh graha ki safai kerne lagte h.

Thodi hi der m baki sab bhi aajate h

Karan priya ko dekh ker bolta

Karan :- are beta , aap soye ni , aapko so jana chahiye tha na , aap subah se jagi hui ho aaj.

Radha :- ha bhaiya , mane bahut koshish ki ise sulane ki per ye mani hi ni.

Karan :- kyu

Priya :- kyunki mujhe bhi shivji ki puri puja dekhni h or kerni h bhaiya.

Priya k bolne k andaaz se hi pata chal raha tha ki karan or jyoti k sanidhya ka kitna acha prabhav pada h priya p , ki uske man me bhi shiv bhakti jagrit ho chuki h.

Radha :- bhai ab aage kya hone wala h.

Jyoti :- ab mahadev ka rudrabhishek hoga or sath m bhajan bhi

Abhi sabhi ye baat ker hi rahe the ki tabhi vaha pandit ji aake bole. Vo bahut tension m the

Pandit ji :- beta ek samsaya aan padi h.

Jyoti :- kya hua pandit ji.

Pandit:- beta jo sangitkaar hamare har saal puja k liye aate h , achaanak se unki tabiyat bahut kharab h to vo ni aapayenge ,

Jyoti :- ye ap kya bol pandit ji bina sangit k bhajan or rudrabhishek kese hoga, bina sangit k to sab niras ho jayega.

Sabhi ko is baat ki tension hone lagi tabhi karan ko ek idea aata h or wo rohan ko apne sath leker uske ghr ki or nikal jata h.

Or karib aadhe ghante baad wo dono wapas aate h .Or karan k hath m ek keyboard tha.

Darasal rohan keyboard bajana sikh raha tha

Jyoti :- bhai aap kaha chale gaye the.or ye keyboard kyu laye ho sath m

Karan :- gudiya mane is probalem ka solution dhund liya h , m ye keyboard play kerke puja sampoorn karunga.

(Or fir wo sabki najro se bach ker jyoti ko ankh mar ke bola)

Karan :- tu bhul gayi gudiya mane keyboard ki classes li thi.

Karan ne classes start ki jarur thi but usne peso ki problem k chalye 1 mahine m hi chodni padi.

Jyoti bhi karan k us ishare ko samjh gayi .

Jyoti :- are ha bhai m to bhul hi gayi thi.ab chaliye jaldi se rudrabhishek shuru kerte h.

Karan(jor se ) :- to sab bolo "shiv shankar mahadev ki"

Sab :- jai

Jyoti :- har har mahadev.

Fir sabhi lag jate h rudrabhikesh ki teyari m. Or teyariyo k baad ye decide hua ki jyoti mahadev ka abhishek karegi or karan bhajan gate hue sangit dega.

Karan (keyboard ko start kerte hue maa saraswati ka dhyan kerte hue man hi man bola) :- he saraswati ma apne is putra ki is galti k liye shama kerna ki m sangit sikhne k liye apni shaktiyo kA upyog ker raha hu maa , parantu he maa ye baat to aap bhi janti h maa, ki mera ye sab kerne k piche koi galat uddeshy ni h maa, m to bas bhagwan shulpani ka ye abhishek achi tarah sampann ho isliye hi ye sab ker raha hu, isliye he sangit ki devi , hey maa apne is putra ko apna aashirwad de.

Kailash m baithi maa saraswati karan k is saral swabhav se prasan ho bol uthi.

Maa saraswati :- tathastu putra , vidyavan bhavah.

Wahi karan keyboard p hath rakh k shaktiyo ka istemal kerta h, jisse usko keyboard k baare m har jankari or usko kese play kiya jata h , sab uske mind m apne ap set ho gayi.

Fir shuru hota h bhagwan vishnu ka rudrabhishek.

jyoti bhi mahadev ka dugdh abhishek start ker deti h.


Karan keyboard bajate hue gane lagta h.

Karan:-Om namah Shivay, Om namah Shivay
Om namah Shivay, namah Shivay, namah Shivay....

Damaru paani, shool paani, he Natraajan,

Namo namo, namo namo (chorus) namo namo, namo namo (chorus), namo namo, namo namo (chorus)

Shish ang, bhasm ang, karate dhaaran,
Namo namo, namo namo (chorus) namo namo, namo namo (chorus), namo namo, namo namo (chorus)

Damaru paani, shool paani, he Natraajan, namo namo (Chorus)

(1)
Tum aadidev anaadi ho, tum anthin anant ho;

Om namah Shivay

Shrimant ho, bhagawant ho, he naath Girijakant ho;

Om namah Shivay, namah Shivay , namah Shivay, namah Shivay

Shashi lalaat, tan viraat, he Trilochan,
Namo namo, namo namo , namo namo, namo namo , namo namo, namo namo

Damru paani, shool paani, he Natraajan, namo namo.

(2)
Nissaar is sansaar me, Shiv naam keval saar hai;

Om namah Shivay

Shiv Shakti hai, Shiv Bhakti hai, Shiv Mukti ka aadhaar hai;

Om namah Shivay, namah Shivay , namah Shivay, namah Shivay

Rom rom, Aum Aum, he agh-naashan,
Namo namo, namo namo , namo namo, namo namo , namo namo, namo namo

Damru paani, shool paani, he Natraajan,
Namo namo, namo namo , namo namo, namo namo , namo namo, namo namo

Karan ki itni madhur awaaz sun sabhi mantra mugdh ho chuke the or uske keyboard se nikali dhuno k kya kahane .

Yaha tak ki kailash m bethe bhagwan bholenath or mata parvati samet sare dev bhi.

Mahadev :- karan kitna sundar tarike se us vadhya yantra ko baja raha h, kitna madhur sangit uttpan ho raha h na priye , mera to aanand tandav kerne ka ho raha h.

Parvati ji :- to kijiye na swami bhakt , kisne roka h aapko , hamara bhi bahut man h aapko anand tandav kerte hue dekhne ka. Aapke Bhakt aapke liye vadya yantra bajaye , aap nritya kare or hum sab aanad le


Sabhi dev bhi yahi baat doharate h.

Mahadev bhi ye sun muskurate hue apne sthan se gayab ho jate h or ek jagah jaa ker apna anand tandav start ker dete h.

Karan abhi pure sharadha bhav se hi hue shivling ko dekhte hue keyboard baja raha tha ki , tabhi use ek.esa drishya dikhna shru ho jata h jise dekh pahale to vo bahut shok hota h , per fir uske aanand ki koi sima ni rahati.

Kyunki wo samne dekhta h k shivling k ander use saakshaat mahadev k darshan ho rahe or wo bhi aanand tandav kerte hue .




uske ankho m khushi k aansu aajate h, aaj uske aanand ki koi sima ni thi. Or ho bhi kyu na jin mahadev darshan , bade bade rishiyon ko bhi , kayi varsho ki tapasya k baad ni hote , un bhagwan vishwanath k darshan use aaj praapt ho chuke the.

Or o bhi kyu na jab bhakt apne sab dukh dard ko bula sache bhav or nishta se gaa ker ya kese bhi kuch ker apne bhagwan ko rijhata h . To mahadev vi khud ko aanand tandav kerne se rok ni paate.



Or jab vo ye dekhta h ki uske bholenath uski bajayi hui dhun per hi aanand tandav ker rahe h, to vo apni puri shakti or dugne josh k sath bajane laga wo keyboard ko.

Or wahi jab jyoti bhi dugdh abhishek k baad jese hi shivling per chandan or kumkum se tripund (mahadev k mastak per jo 3 rekhaye hoti h use tripund kahate h) banati h, to use esa feel hota h ki jese uska hath shivling ko ni kisi k mastak ko touch hua ho or hua bhi esa hi tha .

Screenshot_2019-03-08_222144.jpg



jyoti k dwara banaya gaya tripund mahadev k mastak per hi laga tha.or karan ko bhi ye sab dikha ki uski bahan ka hath mahadev k mastak ko chua h.

Tabhi karan ki ankho m ansu dekh jyoti uski taraf aaker ishara kerti h jese puch rahi ho ki kya hua. Karan kuch na bol jyoti ko ankho se shivling ki or dobara dekhne ka ishara kerta h.

Or jese hi jyoti shivling ki or dekhti h to usko bhi mahadev dikhte h or jyoti ki situation bhi bilkul vesi ho jati h, uske aankho se bhi khushi k aansu bah rahi thi.



Or wo kuch der yu dekhte rahane k baad , shiv stuti purn kerti h.

Jyoti :- Om Namah Shambhavaay ch, Mayobhavaay ch,

Namah Shankaraay ch, Mayaskaraay ch,

Namah Shivaay ch, Shivtaraay ch.

Or fir karan bhi bas apne sangit ko vishram deta h.or isi k sath mahadev bhi apna aanand tandav purn ker karan or jyoti ko aashirwad de waha se antardhyan ho jate h.
Screenshot_2019-03-08_222305.jpg



Lekin apne baki bhakto ko bhi shivratri ka ek uphaar de jate h.

Jo ye tha ki shivling k pass rakhe diye se jo shivling ki parchai divaar p ban rahi thi , us parchai ne achanak se mahadev ki aakriti ka roop le liya , esa pratit ho raha tha jese samne sakshat mahadev hi khade ho.


Jab waha mojud karan k dost or pandit ji vo drishya dekhte h to usi samay sab jor se har har mahadev ka nara lagate hue dandvat pranam kerte h. Un logo ki bhi khushi ka koi thikana na tha.

Mahadev wapas aapne sthan per lot aate h.

Mata parvati :- sach me swami itne yugo baad aapko aanand tandav kerte dekh man prafullit ho gaya.

Or de aaye aap apne param bhakt ko darshan.

Mahadev :- ha priye , ye to unke nek karmo ka fal tha, unhone meri bina kisi swarth k , purn nishtha se bakti ki thi , or sabse badi baat unhonne meri bhakti k sabse mahan marg ko sirf jana hi ni, balki use jivan m hi utara.

Meri bhakti ka arth sirf ye abhishek ya sangit hi ni h, meri bhakti ka sabse mahan or uchit marg , jo mujhe sabse jyada priya h vo h "paropakar" .

Jo karan or jyoti hamesha se kerte aarahe h. Pahale ek vidhva orat or us bachi ko unhonne apni maa saman mosi ka or bahan ka darza diya, mere sabse priya din per na jane kitne bhuko ko bhojan karwaya , yaha tak ki sabse bada punya ka kaam jo ki do premiyo ko milana h , wo bhi kiya , do anath or garib premi premika ka vivah kerwa ker. To kese m prasan na hota or kese unhe darshan na deta .

Mata parvati :- uchit kaha aapne swami.

Aaj k liye bas itna hi.

Stay tuned.
very nice

superb update
 
Top