Update 1
Story shuru ho ti hai 2 sal pehle
(1 din rat 4 baje mera papa muje utha ne aate hai)
Mai: kya hua papa kiu uta diya subha k 4 baje hai
Papa: ( serious ho kar )beta jaldi uth ja raju ka accident ho gya hai hospital mai serious hai use kise truck wale ne nashe mai thok diya
Mai: (mai shock mai ) kyaaa mai abi ja ta hu hospital rukiye
Jaise he mai ghar k bahar kadam rak ta hu to ramesh uncle ka call aata hai papa ko
Papa :hello
Ramesh : (rote hua) Prakash ma barbad ho gya raju ab nahi reha is duniya mai
Papa: kya aise kaise ho sak ta hai ruk mai aata hu
Ramesh : sab khatam ho gya mera bata nahi aa sak ta wapis
Papa :tu shanth rehe mai aata hu
Mai : kya hua ?
Papa : raju nahi reha is duniya mai
Mai : kya aise kaise ho sak ta hai ? Chaliya ham hospital chal te hai
Papa : ha jaldi chal
Mai or papa jaise he hospital pahuch te hai waha ambulance mai raju ki body rakhi ja rahi thi papa me muje bola
Papa : raj 1 kam kar tu ramesh ko ghar lay k aa mai ambulance mai aata hu
Maine waise he Kiya ramesh uncle ko gadi pe bithya or Ghar ki or nikal pada mene raste mai uncle ko bahut samjya ki shanth ho jay liken wo to te rehe akhir ro te kiu na un na jawan ladka tha 1 lota
Jaise he raju k ghar pahuncha
To waha sare rishte dar jama ho gya log ro rahe thay or raju ki maa or papa dono sadmae mai thay or baki log une samja rehahr thay
Or raju ki biwi kajal ko aise sadma laga ki wo kuch samaj nahi pa rahi thi wo sirf 22 sal ki thi or 1 bache ki maa bhe jo sirf 1.5 saal ka tha
(Rahul:Raju or kajal ka beta jo abi 3.5 saal ka hai playschool jata hai )
Kajal kuch samaj nahi pa rahi thi us ko bahut bada sadma laga tha wo apne pati ki lash par ro rahi thi bilak rahi thi liken kuch nahi ho paya
Kuch dar bad sab kriya karam kara gya or raju ka antim sanskaar kara gya
Aise he sabhi formalities se 13 din nikal gya
Or 14 din bad
( Papa ne ramesh uncle ki dukan par )
Papa : ramesh sun ab ya rona chod or ab bahu or Rahul ka soch wo tere bharose zinda hai tu himmat rak or kuch bhe para shani ho to muje bol
Ramesh : mai kya he bolu mere to zindagi he khatam ho gai muje ab jine ki icha nahi
Papa : (gusse se ) chup kar samja ya sab zindagi hai ho ta rahe gya ya sab ab tu age ka soch
Ramesh : hai bhai sahi bol Raha hai bahu or Rahul dono ab mari zimadari hai
Papa :Chal ab mai chal ta hu muje bhe kam hai kuch ho to raj ya muje call kar liya kar
Papa k Jane k bad ramesh uncle gaheri soch mai thay
Ramesh

ab mai kya karu kaise sab sambhalu ghar parivar or dukan baju pota sab)
Dusri or raju k ghar mai kajal apne bacche ko chod gumsum baithi thi
TAbi mari maa un k ghar ja ti hai
Maa : kajal bata sambhal apne aap ko nahi to Tera ya bata kaisa jiyaga
Kajal kuch nahi boli
Kalaj ki saas : baju shanth ho ja wo mera bhe to bata tha ab kya kar sak te hai wo bhagwan ko pyara ho gya
Kajal kuch nahi boli
( Wo man mai soch rahi thi ki us ki kya zindagi ho gi ab or us ka beta ka kya ho ga use pyar kar ne wala us ka pati nahi raha )
Baki next update mai ya sirf shuruwat thi to thoda slow hai