• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Non-Erotic Smartphone - Written By Ishikaaaa (Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

KR$NA

NooB MembeR
Super-Moderator
6,463
5,029
259
Ye kahani Ishikaaa ke dwara Xossip mein likha gaya tha, aab Xforum mein post karne ka permission mil gaya hai toh is story ka saara credit Ishikaaa ko jaata hai


Roopa aur Hareesh ki shadi 1 saal pahle huyi thi aur aane waali 6 sept ko unki shaadi ki saalgirah thi…dono hi behad exited the apni shadi ki saalgirah ki plannings ko lekar…baawjood iske ki ve ek behad rudhiwadi family se talluk rakhte the…aur yahan par maan - samman aur maryaada ki itni dhamak thi ki har ek kadam 100 baar sochne ke baad bhi phoonk phoonk kar rakha jata tha…baat baat me til ka taad bana diya jata tha aur baatein saatve aasmaan par pahunch jaati thi…



Roopa behad sundar aur guni ladki thi…ekhara badan, doodh sa gora rang aur uspar teekhe nain naksh…baal kamar tak lahraate huye…kul milakar pari to nahi par haan pari se kam bhi nahi kahi jaa sakti thi…BA karte hi Hareesh se shadi ke bandhan me bandh gayi… Hareesh ke dil ke saath saath uske ghar par bhi raaj karti thi… saas to hameshaa gungaan hi karti rahti thi…




Hareesh paarshad ka beta hone ke sath pratishthit Bank me manager ke pad par aaseen ek honhaar aur very good looking banda tha…town ka ka har ek banda use pahchanta tha… Roopa ko dekhte hi uss par latto ho gaya tha aur aaj bhi tha…



unki shadi shuda jindgi bahut hi khoobsurat aur pyaar se bhari huyi thi… Hareesh apni bivi ko apni jaan se bhi jyada pyaar karta tha… unki sexual life ke to kya kahne …yun lagta tha ki aaj hi shadi huyi ho…jab Roopa aur uski saheliyan milti to Roopa ki saheliyan uske chehre ki chamak ko dekh kar daanton tale ungli daba leti thi aur kuchh to jalti bhi thi…



Ek din jabb Hareesh bank se aaya to maa aur papa paas ke mandir gaye huye the…Roopa aur hareesh shaam ki chai ke baad ek doosre ki baahon me simte tv dekhne lage… achank roopa shadi ki saalgirah manaali me manane ki jidd kar baithi… Hareesh ke bhi inkaar ka koi prashn nahi tha…vaise bhi Roopa ki jidd manna usko apna dharm lagta tha…Par samsya Sirf maa baap ko taiyaar karna tha…jo jyaada mushkil nahi thi…




Phir kya tha saalgirah ke 3 din pahle dono jaa pahunce delhi… planning ke anusaar mall me Dhuaandhaar shopping ke baad dono dinner par gaye … Delhi se hi aaj raat ko Ac bus se manaali jana tha…Roopa ki to khushi ka thikaana hi nahi tha… pair hawa me padd hi nahi rahe the…



Dinner ke dauraan dono ne ek doosre ko gift diya…Roopa ne apne pati ko apne ikattha kiye huye paison se ek letest smart phone diya to Hareesh ne ek Khoobsurat ring pahnayi roopa ki ungli me…Dono ka hi chehra apni apni gift dekh kar khil utha…


Bus ke thande aur Romantic watavarn me premi jode ne ishq ki bajiyan khelni shuru kar di… Hareesh Roopa ke roop lavanya ko mobile me kaid karta raha to Roopa bhi khud ko khul kar expose karne me lagi huyi thi…ek to saadi ka pallu sang marmari badan par tik hi nahi raha tha uspar choli ke hucks bhi khul gaye…par kisko parwaah thi… kaun saa koi yahan pahchanne wala tha…sabhi anjaane chehre the…


Hareesh bhi Roopa ke roop me doob gaya…Sahi samay par dono manali jaa pahunche… poore teen din ka stay tha…aur mauja hi mauja thi… naa koi daud bhag na jhik jhik…



Manaali ka saundarya to manohari tha hi upar se inn dono ke pyaar ne chaar chhand laga diye the…Pyaar jab parwaan chadha to apni hadein bhi langhne laga Bhartiya sanskriti me pashchim ke khulepann ka tadka lagne laga…saadi se mini skirt tak pahunch gayi Aadarsh bahu Roopa…


Bahon me bahein tak to honeymoon couples ka haq hota hai par abb to khuli wadiyon me labon ke jaam takraane lage…hateliyon ko khule me ubharon ki garmaahat ki talab hone tagi… matlab ishq ki pavitrata ko ayyashi kuchlne lagi…Roopa ne thoda virodh kiya bhi par Hareesh kahi rooth naa jaaye isliye chup hi rahi…


Hotel ke kamre me Roopa aur Hareesh ne kaafi kuchh seekha aur usko dono ne aajmaa kar bhi dekha…aisi hi kisi ghadi Hareesh ke chehre par achank Kutil chamak aa gayi… jise dekh Roopa confuse si ho gayi aur boli…


Roopa-- kya baat hai badi shararti chamak aa rahi hai aankhon me…

roopa ko vaakai kuchh samjh nahi aa raha tha…


Hareesh-- kuchh baat to hai…

Hareesh ki natkhat nigaahein shararat par aamada thi…


Roopa-- vahi to poochh rahi hoon ki kya baat hai…


Hareesh-- batane waali nahi hai sweet heart karke dikhane waali hai…

Hareesh ne haathon ko Roopa ke badan par pherte huye kaha…



Roopa-- Aaj aap paheliyan kyu bujha rahe ho ?


Hareesh ne roopa ko apni baahon me bhar liya aur pyaar ka ek aisa daur aaya jisne dono ko thaka kar choor kar diya…Roopa apne pati ka aaj Jo roop dekh rahi thi vo hairaan karne waala tha par kuchh aisa bhi tha jo aur bhi hairaan kar gaya…

Hareesh ne smart phone ki recoeding dikhayi jo Hareesh aur roopa ki XXX recording thi… jise dekh Roopa ekdam se bhadak gayi… aur muh fula kar sofe par let gayi… Hareesh ki to band hi baj gayi but apni chikni chupdi baaton se Hareesh ne use mana hi liya…phir kya tha abb khud par hi aajmaaishh chalu ho gayi… baaki ke do din room me tarah tarah ki recordings me hi beeta…kaise kat gaye din pata hi naa chala…


Vapas Town aake ve bahut khush the… XXX life me naya tadkaa lag chuka tha…abb to daily kuchh na kuchh experiments hote the … jindgi bahut pyaar se gujar rahi thi…Ek din shaam ko Roopa ne khushkhabri bhi suna di ki ve abb do se teen hone waale hain… ghar me khushiyon ki lahar daud gayi… rudhiwaadi saas sasur foole nahi sama rahe the…



par Vo kahte hain naa ki musibtein bata kar nahi aati hain…Ek din office se vapas aate samay Hareesh ka accident ho gaya… Ghar par jab tak soochna pahunchi vo hospitlized ho chuka tha…recover hote hote do din lag gaye… tab jaakar sabne raahat ki saans li… par jab hareesh ne apne samaan ke baare me poochha to sabhi ne yahi bataya ki sab chhori ho gaya… ghadi , chain , batuwaa aur smart phone bhi…


Hareesh ko Roopa ke dwaara diye gaye gift ke khone kaa bahut dukh hua par Roopa aur ghar waalon ne samjha liya…15 din ke baad hareesh vaapas office jaane yogya ho gaya… par use abb sab kuchh ajeeb aur badla badla lagta tha… yun lagta tha ki kayi chubhi huyi nigaahein aisi bhi hain jo uska majjak uda rahi hain… ye baat usne roopa se bhi kahi to Roopa ne kaha ki " aapka bharam hoga ".…aise hi chalta raha…


Ek din ek dost milne aaya …VO Bhi Hareesh ko badla badla lag raha tha… usne Roopa ko upar se neeche tak Baar baar dekh raha tha… Jaate samay usne Hareesh se kaha ki vaise bhai tu hai badda lucky… real model to bhabhi ji hi hain… pahle to hareesh bhadak gaya aur baat hatha paayi tak aa gayi par jab usne ye bola ki

" bhai jab itna bura lagta hai to XXX Videos bana kar kyu share karete ho…" ye baat kahne ke saath hi usne viral huyi pics aur videos bhi dikhayi…


Abb to Hareesh aur Roopa ke paron tale se jameen hi nikal gayi…Dost to chala gaya par chhod gaya kabhi na mit pane waala gunaahh jo Hareesh aur Roopa ne apne hi khilaaf kar daala tha… Smart phone chori hone ke gamm me Hareesh ko ye to yaad hi naa raha tha ki Roopa ki pics aur videos Bhi phone ke saath chori ho gaye hain…


Sare baazar izzat neelaam ho chuki thi… ab Hareesh ko samjh aa chuka tha unn chubhti nigaahon ka aashay…sharm se gada jaa raha tha vo aur Roopa to badhawaas ho chuki thi…ro ro kar usne kaise sab theek ho ye sochte huye saari raat gujarne lagi…Roopa ki aankhon ke samne sabhi ka chehra ghoomne laga… bhaai ,bahan papa sabhi ki chehra ghoom raha tha…kaise samna karegi vo apni sakhiyon ka…kya jawaab degi apni maa ko… ro ro kar mari jaa rahi thi vo…vahi haal Hareesh ka tha…



Aaj ki raat kuchh jyaada hi syaah ho chuki thi… aaj samjh aa raha tha ki Raat ko kyu naagin ki sangya di jaati hai…


Gunaah itna gahra tha phir bhir bhir bhi kahi sunwaayi nahi thi … koi upaay nahi tha…iss samsya ka koi ilaaj nahi tha…ye gunaah unn dono ne hi kiya tha to kahan fariyaad karte…maa baap , chhota bhai kisko kya jawaab dete…kaise face karte…koi raasta nahi soojh raha tha…



Har raat ki subah to hoti hi hai… iski bhi huyi…sab log apne kaam par lag gaye siva Hareesh aur Roopa ke … kyu ki cyber naag unhe dass chuka tha… Koi rasta nahi soojha to dono ne jahar khakar aatm hatya kar li thi aur chhod gaye the kabhi na suljhne wale sawaal aur " ek sabak ".…
 

Lucifer

Ban Count :- 3999
Staff member
Co-Admin
9,797
10,493
274
hahahah a short story posted on may 19 May 2019 you wish congrats to a new thread in February 2020 great going Sumo Sir :lol:
Please work on your sense of humour before taunting anyone:thanks:.. I didnt bumped the thread btw it was a taunt to whoever bumped the thread for a smiley..

Sorry for the inconvenience.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: bd sharkar

Aakash.

sᴡᴇᴇᴛ ᴀs ғᴜᴄᴋ
Staff member
Sr. Moderator
45,891
160,752
304

Hello Everyone :hello:
We are Happy to present to you The annual story contest of Xforum "The Ultimate Story Contest" (USC)..

Jaisa ki aap sabko maalum hai abhi pichle hafte he humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time Pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit chat thread toh pehle se he Hind section mein khulla hai.

Iske baare Mein thoda aapko btaadun ye ek short story contest hai jisme aap kissi bhi prefix ki short story post kar shaktey ho jo minimum 700 words and maximum 7000 words takk ho shakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap Iss contest Mein apne khayaalon ko shabdon kaa Rupp dekar isme apni stories daalein jisko pura Xforum dekhega ye ek bahot acha kadam hoga aapke or aapki stories k liye kyunki USC Ki stories ko pure Xforum k readers read kartey hain.. Or jo readers likhna nahi caahtey woh bhi Iss contest Mein participate kar shaktey hain "Best Readers Award" k liye aapko bus karna ye hoga ki contest Mein posted stories ko read karke unke Uppar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske aalwa aapko apna thread apne section mein sticky karne kaa mouka bhi milega Taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab k liye ye ek behtareen mouka hai Xforum k sabhi readers k Uppar apni chaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna suru kar shaktey hain or woh thread 21st February takk open rahega Iss dauraan aap apni story daal shaktey hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna suru kardein toh aapke liye better rahega.

Koi bhi issue ho toh aap kissi bhi staff member ko Message kar shaktey hain..

Rules Check karne k liye Iss thread kaa use karein :- Rules And Queries Thread.

Contest k regarding Chit chat karne k liye Iss thread kaa use karein :- Chit Chat Thread.

Regards :Xforum Staff.

 

Agasthya

𝕿𝖍𝖊 𝕯𝖊𝖛𝖎𝖑 𝖄𝖔𝖚 𝕯𝖔𝖓’𝖙 𝕶𝖓𝖔𝖜..
Staff member
Moderator
38,377
19,000
274
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).


"Chance to win cash prize up to Rs 8000"
Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 15th February ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 5th March 2024 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 4000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees + Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 

Aakash.

sᴡᴇᴇᴛ ᴀs ғᴜᴄᴋ
Staff member
Sr. Moderator
45,891
160,752
304
Annual Story Contest - XForum
Hello everyone!
We are thrilled to present the annual story contest of XForum!
"The Ultimate Story Contest" (USC).

"Win cash prizes up to Rs 8500!"


Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 8000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 25th March ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th April 2025 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.

Important Links:
- Chit Chat Thread (For discussions)
- Review Thread (For reviews)
- Rules & Queries Thread (For contest details)
- Entry Thread (To submit your story)

Prizes
Position Rewards
Winner 3500 ₹ + image Award + 7000 Likes + 30-day Sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 2000 ₹ + image1 Award + 5000 Likes + 15-day Sticky Thread (Stories)
2nd Runner-Up 1000 ₹ + 3000 Likes + 7-day Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-Up 500 ₹ + 3000 Likes
Best Supporting Reader (Top 3) 500 ₹ (Each) + image2 Award + 1000 Likes
Reporting Plagiarized Stories imag3 200 Likes per valid report


Regards, XForum Staff
 
Top