parkas
Well-Known Member
- 32,075
- 68,920
- 303
Bahut hi shaandar update diya hai komalkh ji....UPDATE 75
Priya wahaan se niche aati hai aur taxi karke apne ghar chali jaati hai……..ghar pahunch kar woh khana banaati hai aur khaane lagti hai……..tabhi uska phone bajne lagta hai…….woh dekhti hai ke Ankur ka phone hai……woh ignore kar deti hai………lekin baar baar phone bajne par woh call pick karti hai aur gusse se kehti hai……..
Priya – ab kya problem hai…...kyun pareshaan kar rahe ho…….
Ankur – tumhare papa ki tabiyat kharaab ho gayi hai woh tumhe bula rahe hain…….jaldi aao……..
Priya yeh sunkar pehle to ghabra jaati hai……..tabhi use kuch khyaal aata hai…..aur woh kehti hai…….
Priya – tum aisa karo unhe lekar hospital pahuncho…….main kuch der mein pahunchti hoon……….
Ankur – hospital…..hospital ki koi jarurat nahi hai…….tum ghar aao abhi…….
Priya – tum paagal to nahi ho na…….agar unki tabiyat kharaab hai to tumhe unhe lekar hospital jaana chaahiye……main bhi wahin pahunchti hoon kuch der mein…….mujhe aane mein time lagega……….
Kuch der Ankur chup rehta hai phir kehta hai………
Ankur – tumhare papa hain…….tum khud hi lekar jao…….main nahi lekar jaunga……jab tum mujhse rishta khatam kar chuki ho to mujhe kya padi hai ke main inhe hospital lekar jaon…….khud le jao aakar……..
Priya – theek hai……tum rehne do main khud dekh lungi kya karna hai…….
Priya jaldi se call cut karti hai aur Aarush ko call karke saari baat bata deti hai…….Aarush uski baat sunkar kehta hai……
Aarush – aap gharbraayiye nahi……main kuch karta hoon…..abhi aap ghar se mat nikaliyega……
Yeh kehkar Aarush call cut karta hai aur kuch sochkar Priya ko call karta hai aur use kuch samjhaakar phone rakh deta hai………Priya ko uski baat theek lagti hai aur woh jaldi se call cut karke ek no. milaati hai aur us shaksh se baat karke phone rakh deti hai…….kareeb 15 mins baad Ankur ke ghar ki bell bajti hai aur Ankur gate kholta hai aur puchhta hai…..
Ankur – aap kaun…….
Mera naam Shamsher Singh hai…….mujhe Priya ne bheja hai uske papa ko hospital le jaane ke liye…….aap hatiye mere saamne se……..
Yeh kehkar woh insaan Ankur ko dhakka dekar flat mein ghus jaata hai…….ander jaakar woh dekhta hai ke 3 – 4 aadmi baithe hain aur yahaan to party chal rahi hai……phir woh puchhta hai……….
Shamsher – Priya ke papa kaun hain……..mujhe Priya ka call aaya tha ke unki tabiyat achanak kharaab ho gayi hai……unhe hospital lekar jaana hai……use aane mein time lagega to main aaya hoon unhe le jaane…..kahaan hain who……….
Tabhi wahaan moujud Inspector Khan bolta hai……
Insp. Khan – yeh baithe hain uske papa……tu yeh bata ke woh kahaan hai abhi tak aayi kyun nahi….......
Shamsher dekhta hai ke Priya ke papa sharaab pee rahe hain aaraam se baithkar…….yeh dekhkar woh kehta hai…….
Shamsher – Ankur kaun hai……..
Tabhi Ankur kehta hai…….
Ankur – main hoon Ankur……kya hua…….
Yeh sunate hi Shamsher use ek jor ka thappad maarta hai……jisse Ankur niche gir jaata hai………
Shamsher – tumhe sharm nahi aati…..ek beti ko jhooth bolkar pareshaan kar rahe ho ke uske papa ki tabiyat kharaab hai…….pata hai woh kitni pareshaan hai………
Tabhi Prashant bolta hai……
Prashant – jab uske baap ko koi problem nahi hai to tujhe kya problem hai budhdhe…..aur Khan theek kar ise……bahut haath chal raha hai iska………
Prashant ki baat sunkar Inspector Khan uthata hai aur kehta hai…….
Insp. Khan – abhi dekhta hoon ise……
Yeh kehkar woh agay badkar Shamsher ko maarne ke liye apna haath uthaata hai…..lekin Shamsher uska haath beech mein hi pakad leta hai aur kehta hai………
Shamsher – aisi galti mat karna Khan…..nahi to tumhare liye problem ho jaayegi……main jaa raha hoon…….mujhe koi ladai nahi karni…….woh Priya ne kaha tha isliye aaya…..aur chhod bhi uske liye hi raha hoon tum logon ko…….
Yeh kehkar Shamsher wahaan se nikal aata hai aur Priya ko call karke sab bata deta hai……….Priya ko yeh jaankar thodi raahat milti hai ke kum se kum uske papa theek hain……lekin unke behavior se usko bahut taklif pahunchti hai……….Shamsher Sir ki baatein sunane ke baad woh unka dhanyabaad karti hai aur phone rakh deti hai……..phir woh Aarush ko bhi call karke sab bata deti hai……..
Agle din subah woh uthkar school chali jaati hai……school se aane ke baad woh khana khaati hai aur araam karne ke liye room mein chali jaati hai……..shaam ko jab woh chai pee rahi hoti hai tabhi uska phone bajne lagta hai woh dekhti hai ke uske papa ka call hai…..yeh dekhkar woh call pick karti hai aur kehti hai……….
Priya – kahiye papa……kya hua…..abhi aapne kyun phone kiya…….
PF – hua to kuch nahi……. kyun kya ek baap apni beti se baat bhi nahi kar sakta……
Priya – kahiye kya kehna hai……..aur raat mein jo aapne jhootha phone karwaakar mujhe pareshaan kiya uska kya…..kisi bhi beti ke papa aisa nahi karte yeh jaante hue ke unki beti unse kitna pyar karti hai……….
PF – agar tum mujhse pyar karti to apne papa ki baat maanti…….aur us ghar se waapis aise nahi chali jaati…….main to bas yehi chaahta tha na ke meri beti ka ghar bas jaaye……woh araam se jindagi jiye……ek baap hone ke naate kya mera apni beti ki khushiyon ke baare mein sochna galat hai……
Priya – ho sakta hai ke aap apni jagah sahi hon…..aapko lagta ho ke ankur ek achha pati hai lekin main us ghatiya insaan ya usse jude kisi bhi insaan ke saath ab rishta nahi rakh sakti…….mujhe aap maaf kar dijiye………
PF – beti aisa nahi kehte…………aakhir woh tumhara pati hai……aur aisa usne kya keh diya ya kar diya jo use nahi kehna chaahiye tha…….usne yehi to kaha na ke patni hone ne naate tumhe uski har baat maanani chaahiye…..isme galat kya hai……..
Priya – yeh aap kaisi baatein kar rahe hain papa ji……..
PF – main theek keh raha hoon……jyada pad likh jaane se tumhara to dimaag kharaab ho gaya hai……..yeh bhi nahi samjhti ke apne pati ki baat maanana har patni ka dharm hai……main aaj hi teri maa se bolta hoon ke hamein tujhse koi rishta nahi rakhna agar tu meri baat nahi maanegi to……..
Priya – please papa ismein maa ko pareshaan mat kijiye…….
PF – woh koi pareshaan nahi hogi…….woh meri biwi hai woh meri baat maanegi……. teri tarah nahi jo mere khilaaf jaayegi……aur agar aisa kuch karne ki usne sochi bhi na to uski chamdi udhed dunga main……..
Priya – lekin papa…..meri baat to suniye…….
PF – mujhe kuch nahi sunana……main abhi kuch der mein gaon ke liye nikal raha hoon…….tujhe kal tak ka samay deta hoon…….tu achhe se soch le…….kal raat tak agar tu Ankur ke ghar mein waapis nahi aayi woh bhi hamesha ke liye…….to samjh lena ke mere pariwar se tere saare rishte khatam……..…achhe se soch le……aur agar tune apni manmaani hi karni hai to bhool ja ke teri koi maa hai……kyunki woh mere khilaaf to jaayegi nahi…….aur ek baar maine mana kar diya to woh teri shakal bhi nahi dekhegi………samjhi tu……..isliye achhi tarah soch le…….
Priya – yeh aap kya keh rahe hain…...aap samjhne ki kosh……..
Isse pehle ke Priya apni baat poori kar paati uske papa call cut kar dete hain aur hanste hue kehte hain……
PF – Ankur beta……maine to apna kaam kar diya………kal tak woh ghar aa jaayegi……. main jaanta hoon woh apni maa ke bina nahi reh sakti……..woh jarur aayegi…….phir dhire dhire use kaise apne kaaboo mein karna hai yeh tum log jaano…….ab mere paise mujhe de do……main gaon ke liye nikalta hoon……..
Tabhi wahaan par Prashant bhi moujud hota hai woh kehta hai……
Prashant – jawab nahi aapka uncle ji…….aapne to dil khush kar diya…….yeh lijiye aapke paise………Priya ke maamle mein ab aap kuch nahi bolenge…… hum log uske saath ab agay jo chaahein karien……..kyun Khan sahi kaha na……
Insp. Khan – haan Prashant Sir……
PF – mujhe kya lena dena usse…….woh jiye ya mare meri bala se………jo marji karo uske saath……..mujhe to mere paise se matlab hai…….
Uski baat sunkar Prashant, Inspector Khan aur Ankur teeno ek dusre ko dekhkar muskuraane lagte hain……..phir Priya ke papa bolte hain……
PF – Ankur beta….agar bura na maano to kya tum mujhe gaon chhod aaoge…….itne saare paise lekar bus mein jaane mein khatra hai…….
Uski baat sunkar Ankur Prashant ki taraf dekhta hai…….Prashant use kuch ishara karta hai……Prashant ka ishara samjhte hue Ankur bolta hai……
Ankur – haan kyun hai……main aapko chhod aaunga lekin main ghar nahi jaaunga…….ghar se thodi dur chhod dunga…….theek hai……agar main ghar gaya to maa ji ko shaq ho jaayega……aap unhe yeh to bata kar nahi aaye ho ke shehar ja rahe ho…….
PF – haan yeh to sahi kaha tumne…….main to use bolkar aaya hoon ke kisi kaam ke silsile mein dusre shehar jaa raha hoon…….yeh nahi bataya ke tumhare paas aa raha hoon……tum mujhe ghar se thodi dur chhod dena…………
Prashant – theek hai……aap abhi enjoy karo……Ankur ko main abhi office le kar jaa raha hoon kuch kaam hai wahaan par……yeh aapko shaam ko chhod aayega……..
Yeh bolkar woh ek strong peg banaakar Priya ke papa ke haath mein de deta hai…….Priya ke papa ko wahin chhodkar teeno hanste hue wahaan se nikal jaate hain………. Baahar aakar gaadi mein baithte hue Inspector Khan kehta hai………
Insp. Khan - yeh budhdha to bada haraami nikla…….mujhe nahi laga tha ke yeh itna aasaan hoga………aur jis confidence se woh bol raha tha ke kal tak Priya ghar aa jaayegi……usse to lagta hai ke kal aa jaayegi…….kyun ankur tumhe kya lagta hai………
Ankur hanste hue……..
Ankur – haan yeh to sahi kaha budhdhe ne woh apni maa se bahut pyar karti hai…….aur budhdhe ne use samjha diya hai ke agar woh nahi aayi to use uski maa se rishta todna padega…….aur jahaan tak main jaanta hoon…….woh apni maa se rishta to nahi todne waali isliye woh jarur aayegi………
Insp. Khan – to phir Prashant sir……..aap to apni suhaagraat ki teyaariyaan shuru kar do…….jaldi hi woh aapke bistar par hogi………aur aaj hamein bhi party de do…….kuch intejaam karo…….
Uski baat sunkar Prashant muskurata hai aur kehta hai……
Prashant – theek hain hotel chalte hain……. Ankur tumhare liye bhi mangaon na ladki…….Priya ke saath kuch kiye hue to bahut din ho gaye honge tumhe……….ha…..ha……ha…….
Ankur – arre nahi sir……mujhe kuch kaam hai…….main aap logon ke saath nahi aa paunga…….sorry…….kahin meeting hai meri jaruri……..aap mujhe ****** office ke baahar chhod dijiye………
Prashant – theek hai…….tumhari marji……….
Phir kuch hi der mein Prashant use jahaan usne kaha tha wahaan utaarkar hotel ke liye nikal jaate hain enjoy karne…….
Nice and lovely update....