Naughtyrishabh
Well-Known Member
- 9,837
- 29,242
- 218
Thanks ninja bhai, story se judne ke liye bahut bahut dhanyawad. Lekin jaisa aap soch rahe hai. Waisi koi baat nahi hai. Bas is samay update taiyar karne ka mood nahi ban pa raha hai. Jis vajah se chahte huye bhi is story ka update nahi de pa raha hu. Rahi reader ke comments ki baat to, reader ke comments chahe positive ho ya negative ho. Mai unhe positive hi leta hu aur baki writer ko bhi aisa hi karne ki salah deta hu. Rahi vaani ki baat to, mai vaani se jude pahle update 185 me hi ye baat saaf kar chuka tha ki, vaani kis tarah ki hai aur aage uska bartav sabke sath kaisa rahne wala hai, iski jhalak bhi mai usi update me dikha chuka tha. Sath hi is baat ko bhi usi update me saaf kar diya tha ki, wo puri hitler hai aur maine vaani ki sirf hitlergiri hi dikhayi hai. Maine apni taraf se vaani ke is hitler wale kirdar ko nikharne ki puri koshish ki hai. Usi ka natija hai ki, koi bhi vaani ko acha nahi maan raha hai. Is kahani me 200 se jyada kirdar hai. Aise me ye jaruri nahi hai ki, har kirdar ko reader dwara pasand kiya jaye. Kahani me kuch kirdar reader ke man me jalan paida karne wale bhi hona jaruri hote hai. Lekin mai is baat ki bhi puri koshish karta hu ki, ye jalan itni jyada bhi na ho ki, reader ka story se hi moh bhang ho jaye. Story ke is bhag me bahut saare naye kirdaron ka aagman hona hai. Isliye story ka yah bhag apne aap me jatilta samete huye hai. Jis vajah se iske update taiyar karne me mujhe thoda pareshani ka samna karna pad raha hai. Lekin iska matlab ye nahi hai ki, mai story ko adhura chhodna chahta hu. Meri puri koshish hai ki jaldi se jaldi ye story puri ho aur mai apni is koshish me puri imandari se laga hua hu. Aap ko si story se judte dekh kar mujhe khushi huyi. Aap jahan se hai, wahan se mere ek dost javed bhai bhi hai aur wo meri is story ke bahut bade prasansak hai. Lekin ab wo is site par mere sath nahi hai. Yadi wo hote to, mujhse pahle wo hi aapko aapki is baat ka jabab de chuke hote. Khair ye sab baten to story ke chalte rahne ke sath hi chalti rahegi. Mujhe ummid hai ki, ab aapne yaha par aakar reply kar hi diya hai to, aage bhi aapke aise reply dekhne ko milte rahege.Hello bhai
Me ny sirf apki story ky liye account bnaya hy... Kyn ky mujhy lgta hy ap readers sy naraz hn...
Bhai apko ek story sunata ho ek artist tha us ny ek bohat achi tasver bnayi... Usny wo tasveer ek busy place me lga di or neechy likha ky agr apko koi kami ya ghalti mehsos hoto us par nishan(mark) lgaen...
Agly din us artist ny jab wo tasveer dekhi tu wo nishano ay bhari pari thi... Wo artist kafi mayos(nirash) ho gya... Ek Friend ky idea sy us ny wesi hi pic dubara bnai or nechy likh diya agr koi ghalti lgy tu usy thek kr de... Agly din us wo tasver dekhi tu us pr koi nishan nhi tha...
So is sy sabit hota hy ek jab b ap koi chez audience ky samny rakhty hn tu apko criticism lazmi mily gi... Ab ye ap pr hy ky ap logo ki appreciation dekhty ho ya criticism...
Ab ap ki story par aty hn... Readers ki criticism sirf ek waja sy hy... Sab chahty hn ky hero hamesha on the top ho, dominant ho or wo ksi ky samny na jhuky... Yahan pr Vaani didi ki dominance dikhany ki waja sy readers naraz hn... But hme b ye samjhna chahye ky artist apni art ko hm sy behtar janta hy..
Baqi bhai agr apny ye story esy e chor di tu me apko wahin a kr dho kr jao ga
Wesy me Pakistan sy india kesy ao
Chalo koi na pm sy hi 2 4 galiyan dy do ga
Bhai umeed krta ho ap reply kro gy luv![]()

Kisi samajhdar aadmi ne kaha hai ki, wo afsana jise anjam tak pahuchana mumkin na ho. Use koi khubsurat mod dekar chhod dena chahiye. Lekin filhal abhi maine aisa kuch karne ke baare me nahi socha hai. Kyoki mai is afsane ko iske sahi anjam tak pahuchana chahta hu. Fir bhi mai us samajhdar aadmi ki is baat se puri tarah sahmat hu.dada is kahani ko kab tak latkaoge............................... ab agar apko samay nahin mil raha to sari kahani ko flashback se khol do.................
punnu ka baap apne karnamon ka kachcha chittha khud kholkar maafi mang le aur happy ending....................
purnima se sunita tak ki kahani.........................aur sabko sab raj bata do
aise intzar karne ka hamein koi fayda nahin dikh raha aur ap bhi tension lete rahoge
kam se kam dusri kahaniyan to padh payeinge apki..................aur ap bhi likh paoge.............................. tension free hokar......................
Pritam.bs

Aapko priya ki bahut yaad aa rahi hai. Koi baat nahi, mai aapki ye ichha jaldi hi puri karne ki koshish karta hu. Bahut jaldi aapko pirya ki baten sunne ko mil jayegi aur shayad koi shayari bhi sunne ko mil jaye.Dada, Priya ne kai dino se Shayari nahi boli hai, wo bura maan jayegi.......
Update naa sahi kam se kam Priya ki health ka khyaal kar lo......
Medical Bulletin aur Shayari se hi awgat karwa do dada, ab kaisi tabiyat hai Priya ki....![]()


Thanks ninja bhai, story se judne ke liye bahut bahut dhanyawad. Lekin jaisa aap soch rahe hai. Waisi koi baat nahi hai. Bas is samay update taiyar karne ka mood nahi ban pa raha hai. Jis vajah se chahte huye bhi is story ka update nahi de pa raha hu. Rahi reader ke comments ki baat to, reader ke comments chahe positive ho ya negative ho. Mai unhe positive hi leta hu aur baki writer ko bhi aisa hi karne ki salah deta hu. Rahi vaani ki baat to, mai vaani se jude pahle update 185 me hi ye baat saaf kar chuka tha ki, vaani kis tarah ki hai aur aage uska bartav sabke sath kaisa rahne wala hai, iski jhalak bhi mai usi update me dikha chuka tha. Sath hi is baat ko bhi usi update me saaf kar diya tha ki, wo puri hitler hai aur maine vaani ki sirf hitlergiri hi dikhayi hai. Maine apni taraf se vaani ke is hitler wale kirdar ko nikharne ki puri koshish ki hai. Usi ka natija hai ki, koi bhi vaani ko acha nahi maan raha hai. Is kahani me 200 se jyada kirdar hai. Aise me ye jaruri nahi hai ki, har kirdar ko reader dwara pasand kiya jaye. Kahani me kuch kirdar reader ke man me jalan paida karne wale bhi hona jaruri hote hai. Lekin mai is baat ki bhi puri koshish karta hu ki, ye jalan itni jyada bhi na ho ki, reader ka story se hi moh bhang ho jaye. Story ke is bhag me bahut saare naye kirdaron ka aagman hona hai. Isliye story ka yah bhag apne aap me jatilta samete huye hai. Jis vajah se iske update taiyar karne me mujhe thoda pareshani ka samna karna pad raha hai. Lekin iska matlab ye nahi hai ki, mai story ko adhura chhodna chahta hu. Meri puri koshish hai ki jaldi se jaldi ye story puri ho aur mai apni is koshish me puri imandari se laga hua hu. Aap ko si story se judte dekh kar mujhe khushi huyi. Aap jahan se hai, wahan se mere ek dost javed bhai bhi hai aur wo meri is story ke bahut bade prasansak hai. Lekin ab wo is site par mere sath nahi hai. Yadi wo hote to, mujhse pahle wo hi aapko aapki is baat ka jabab de chuke hote. Khair ye sab baten to story ke chalte rahne ke sath hi chalti rahegi. Mujhe ummid hai ki, ab aapne yaha par aakar reply kar hi diya hai to, aage bhi aapke aise reply dekhne ko milte rahege.![]()