Update 61
Raat ke kareen 7:30 baje hote hain...
Mausam , main thandak pida ho rahi thi...
Jiss karan din bhi chhote hone lage the ...
Isliye jaldi hi andhera ghirne laga tha , pichhle kuchh dinon se...
Aaj aasman bhi bilkul sawachh tha , jisme taare timtima rahe the... Aur use khoobsurat bana rahe the...
Harry ke ghar ki saari lights iss waqt off ckuki thin...
Aur wahan ghupp adhera chha chuka tha...
Ab sirf bahar wale main door , ki diwaron par 2 stylish lights jal rahi thin....
Jo ki watchman ne apni suvidha ke liye lala rakhi thin...
Tabhi , main road ko Harry ke ghar se jodne wali sadak par , ek car uske ghar ki taraf mudti hai...
Car ke ghar ke saamne pahunchte hi watchman , uss gaadi ko pehchan jata hai...
Aur furti se uth kar... Salaam saahab kehta huwa...
Jaldi se door open kar deta hai...
Jiske baad gaadi ghar main entry marti hai...
Makan ke gate ke thik samne , gaadi main ek break lagti hai ...
Aur Ayushman ki wife car se niche utarti hai...
Aur wahin khadi ho kar , ayushman maan ke liye rukti hai...
Tabhi watchman aage badh kar , parking lodge ki lights on karta hai aur Ayushman wahan car park kar ke wapis aane lagta hai...
Idhar ghar ke andar maujud teeno log ghar ke bahar car ki awsz sun kar samajh jate hain ki ...
Unke parants ghar pahunch chuke hain...
Isliye wo teeno , jaldi se jakar ghar ka , entry door open ksrte hain...
Aur parents ke ghar main aane se pehle hi ,
Unse hii hello karne lagte hain...
Maa to bachchiyo , aur Harry ko gale laga kar unki chicks ko kiss kar leti hai...
Jo ki ye show karta hai ki ,,, beshaq wo 2no vampires hon...
Lekin bachcho ke liye unka yaar insaan maa-basp jesa hi hai...
Aur ho bhi kyon na... Akhir dono ne apni kafi taaqat use karke... apne teeno bachchon ko , ye wali zindagii di thi...
Jiske liye wo teeno bhi dil se unke Ehsaan mand the...
* * * * *
Khair ghar aane ke 25 minutes ke baad jab...
Dono apni business se releted files ,
Ko sambhaal kar rakh chuke hote hain...
Tab wo 3no bachchon ke saath...
Drwing room main bethe hote hai...
Aur apni favourite drink (animals blood) , ki xhuskiyan ke rahe hote hain...
Aur baaten kar rahe hote hain...
Tabhi Ayushmaan , Harry ko kuchh yaad dilwata hai...
Ayushmaan-harry my sin... Tum kuchh serious matter discuss karna chahte the na...?
I think aki , ab uske liye right time hai...
Harry-yes dad,,, main bhi yahi soch raha raha tha... Aur baat bas suru karne hi wala tha... Ki aap khud hi bol pade...
Idhar jab Aisha ko laga ki ab uske baare main hi discuss hone wali hai...
To wo wahan se khisak jaati hai...
Aur apne room main aa jati hai...
Vampire hone ke bawjood bhi wo aaj kafi nervous si nazar aa rahi thi...
Khair Harry aur hi Aisha ke wahan se jaane ka reason jaante the...
Baki parents ko to is e koi khas baat nzar nahin ayi thi...
Kyonki aksar Aisha aisi meetings main participate nhin karti thi...
Zab tak use kaam se bulay na jata tha...
* * * * *
Khair Harry apni baat shuru karta hai...
Harry-wo dad dar asal baat ye thi ki ,,,
Aap ke jaane ke , pichhe main bhi apnai insani sisters aur Mehak
ke sath thoda ghumne ke liye bahar gaya tha...
Aur udhar hum par Man-eater s ne hamlaa kiya tha...
Ayushman-ohh to ye baat thi...!!!
Harry- han dad , aur humlaa bhi koi aisa wesa nahin... Balki unhone apna roop badal kar...
Humare bich shamil ho kar kiya tha...
Mehak ke roop main aa kar...
Wo to main Mehak ko bohot hi karib se jaanta hun...
So main unke plaan ko samjh gaya tha...
Ayushmaan-ohh... Oh tum unhen pehchan gate...
Fir to tumne obviously unhe khatm kar diya hoga...
Harry-han dad,,, unka khatma kar diya gaya...
Lekin mere jariye nahin...
Ayushman-what... Tumne nahin... Mara...
Kya wahan Alisha bhi maujud thi...
Harry-nahin dad , di ne bhi unhen nahin maara tha...
Balki unhen to kisi man eater ne hi mara tha...
Jo ki ek ladki thi....!!!
ayushm-nooo.... Ek Man-eater esa kabhi nahin kar sakta... Wo aone hi clan ke logon ko nahi khatm kar sakte...
Harry-ho kyon nahin sakta dad... Aisa hi huwa hai...
Aur aage bhi wo aisa hi karegi...
Agar wo Man-eater apni "Aisha" ho to aisa hi hoga...
"Nahin... Meri beti ek Man-eater to kabhi nahin ho sakti....
Tumhen zaroor koi galat fehami huwi hai harry...
Bhala wo masoom si ladki ek man eater akhir kaise ho sakti hai..."
Harry ki mom ke muh se ye baten ek sath nikalti hain...
Unhe sach main Harry ki baton par yakeen nahin ho raha tha...
Jabki ayushmaan to kisi gehri soch main kho sa gaya tha....
Us ke saamne sab kuch flashback main chal raha tha... Aur wo yahi soch raha tha ki , akhir uss se galti kahan ho gayi...
Jiss se Aisha aisi ban gayi...
Aur ab usse kya karna chahiye , wo ye nirnay nahin le paa raha tha...
Issi loyr wo abhi tak khamosh tha...
Lekin fir wo bolna start karta hai...
Ayushmaan-...........