• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Dharavi-The Game Of Mayanagari

RETRO STORIES

LOVE,LAUGHTER,WAR
11
26
14
CHARACTERS

Vishwas

Vishwas
Age: 45+
Relationship : Father
Pesha: Former Court Executioner (Jallad)
Location: Dharavi, Mumbai

Background:-Vishwas ka jeevan ek waqt kaafi izzatdaar aur dar ka tha. Wo ek waqt court ka jallad tha, jahan wo criminals ko fasi diya karta tha. Lekin samay ke sath, uska jeevan badal gaya. Doston aur parivaar se door, wo sharab mein dooba, apne ghar ke liye ek bhayankar aur khaufnaak shakhs ban gaya. Uski ye badlaav ki kahani, ek waqt ke shresth vyakti se ek bikhre hue insan banne tak ki hai.Ek waqt jahan log uski izzat karte the, Vishwas ka apna ek ghar aur khandaan tha wahi aaj uski aur koi dekhta bhi nahi.Apne kaam se aur aaj bhi apne andar ke dard se ladta hua ek shaksh.

Kamjoriyan:-Sharab ki aadat Uska dard aur gussa usko sharab ki taraf kheench leta hai, jo uske ghar ko tod raha hai.

Guilt aur Regret:-Apni purani zindagi aur apne karname ke liye woh hamesha pareshan rehta hai aur gum me duba rehta he pata nahi kyo?.

logo
 
Last edited:

RETRO STORIES

LOVE,LAUGHTER,WAR
11
26
14
CHARACTERS

Laxmi

Laxmi
Age: 40+
Relationship: Maa
Location: Dharavi, Mumbai

Background:-Laxmi ek asi aurat hai jo apne parivaar ke liye jeeti hai, chahe uske liye use apne sapne aur khushi dafan karni pade. usne apne pati ki badlaav ko dekha, par hamesha apne bachon aur ghar ko sambhalte hue khud ko sacrifice kiya. Wo ek strong aur resilient maa hai, jo apne parivaar ko mushkilon ke bawajood sambhalti hai.

Takat:-Motherly Love Laxmi apne bachon ke liye kuch bhi kar sakti hai. Uska pyaar aur dedication uski sabse badi taqat hai.

Endurance:-Usne kabhi bhi apni muskilein dikhayi nahi. Ghar ki har duty ko poori imandari aur sahansheelta ke saath nibhaayi hai.

Sacrifice:-Apne parivaar ke liye apne khud ke khushiyan piche chhod dena Laxmi ki pehchaan hai.

Kamjoriyan:-Silent Sufferer Laxmi ke dard ko samajhna mushkil hai, kyunki wo hamesha apne dard ko chupakar apne parivaar ke liye jhelti hai.

Emotional Burden:-Apne pati aur parivaar ke liye kabhi kabhi apne emotions ko daba kar rakhti hai, jo uske liye kabhi kabhi overwhelming ho jata hai.


Motto:-Jab mere baccho ka pyaar mere saath he, toh duniya ka koi bhi dard mujhe nahi tod sakta."

logo
 
Last edited:

RETRO STORIES

LOVE,LAUGHTER,WAR
11
26
14
UPDATE:-1

Smriti

(Mumbai me Aaj bohot barish ho rahi thi,sab bohot khush the ki garmi ke baad sabko kucch thandak milegi,lekin ek jagah aisi bhi thi jaha barish to thi par khushi kahi nahi thi...dharavi....ye garibo ki basti he...pata he is basti me se bade bade naam aaj bollywood me he...aur kai to social media star bane he....par dharavi sirf isi baat se nahi jana jata....wo sab me aapko baad me bataunga... Lekin abhi ke liye aap ko milata hu smriti se... Smriti ye college ke 1st year me he...apne ghar me kucch aamdani ho to baccho ko padhati he...aisi ghanghor barish me baccho ka padhne ka man bilkul nahi tha... sare bacche jhopdi ki khidki se barish ki aur dekh rahe the...

Smriti:-Hmm....Lagta he Aaj tum log padhne ke mood me nahi ho?...

???:-didi....please na..aaj hamko jaldi jane do na hame Ghar Jana he...

(smriti haste hue)


Smriti:-Are waah ganya...sach sach bata tujhe Ghar Jana he ya barish me bhigna he....par mera jawab naa he....

(sare baccho ke muh utar gaye...)

Ganya:-Kya didi aap bohot buri he....

(Smriti ganya ke gaal ko khinchte hue...)

Smriti:-Kya bola?...

Ganya:-kucch nahi didi....kuch nahi....

(Smriti haste hue ganya ke gaal ko chor diya aur phir baarish ki aur dekhne lagi....)

Smriti:-Pata nahi dada kaha honge.....barish bhi bohot he...

(smriti ne kuch sochte hue baccho ki aur dekha sab bacche apni apni kitabo me lag chuke the)

Smriti:-Accha thikh he...wese bhi aaj barish kucch jyada hi ho rahi he.... tum log apne begs pack karo aur Ghar jao....

(Sare bacche kush ho chuke the sab jaane se pehle smriti ke gaal pe kiss kar ke jaa rahe the...jald hi sare bacche chale gaye...smriti bhi sara Saman utha kar....apni maa ke kamre me jaane lagi...ji haa smriti ki maa aur koi nahi Laxmi he.... Jo ek lakde khaat pe so Rahi thi....uske gaal pe haath ke Nishan the....aur ye haath ke Nishan kiske the smriti bakhoobi jaanti thi... smriti dhire se apni maa ke pass bethi...Laxmi apne saree ke palu ko apne sir pe dhake hue soi hui thi... smriti ne apni maa ko dhire se pukara..)

Smriti:-Maa so gai kya?...

Laxmi:-......

Smriti:-Maa uthona dada ab tak nahi aaye...

Smriti:-Maa...utho bhi...

(Yeh kehke smriti ne Laxmi ke kandhe ko hilane lagi,aur Laxmi ki nind khul gai...)

Laxmi:-kya hua beta?...

Smriti:-Maa dada kaam se ab tak nahi aaye.

Laxmi:-Kaam kar Raha hoga baada..wo kaam pe he...

Smriti:-Par roj to jaldi aa jate he....aaj 9:30 ho gaye...barish bhi bohot hi Rahi he....bahar andhera bhi bohot he....

Laxmi:-ek kaam kar tu use phone kar.....

(Smriti ne khaat se khadi hui aur diwal pe tange aaine me se phone utha kar phone lagati he...aur Laxmi ko de deti he...)

Laxmi:-Are mujhe kyo de rahi he....? Tu baat kar?.

Smriti:-Aap kariye naa ma...

Laxmi:-Thik he..

(Phone ki ring jaa rahi thi...lekin koi phone utha nahi Raha tha...Simrit ne ek aur baat phone Kiya is baar kisine phone utha liya...)

???:-

Laxmi:-baada kidhar he tu?....pone das hone aaye he..ab to Ghar aaja....barish bhi bohot ho rahi he...

(Saamne se koi jawab nahi aata uske badle hathode ki aawaz aati he..)

???:-*Thaad*

Laxmi:- Ae smriti aur mujhe bohot chinta ho rahi he baada chal ab Ghar aaja na....aur tere baba bhi nahi aaye unhe leke aana...aur me tabrez Ko bhejti hu...

???:-*Thaad*

Laxmi:-ae baada kucch to bol...

???:-*Thaad* *Thaad* *Thaad*

(aur phone cut ho gaya)

Smriti:-Pata nahi dad kab thik honge...

Laxmi:-Kash mera baada firse hasne laga....pata nahi kya ho gaya he use...

(Ye khete hue Laxmi ki aankhon se aasu aane lage...)

Laxmi:-tu jaa aur tabrez Ko bol ki Shankar ko leke aaye...

Smriti:-thik he...

(Smriti khaat se apna palu uthati he aur use apne gale pe lapet leti he...aur ek choti se chatri le kar wo baju wale jhopdi ke paas jaa kar tabrez Ko aawaj lagati he...)

Smriti:-Tabrez...!!! Tabrez....!!

(Jhopdi se ek 22 saal ka ek Jawan ladka nikla)

Tabrez:-Kya baat he huzur...Aaj hamare ghar aana kaise hua?....Kaash aap aise hi hamare ghar aati rahe aur hamare dil ko sukoon deti rahe..

(Smriti ne tabrez Ko andekha karte hue kaha)

Smriti:-Mujhe tumse kucch baat karni he...

(Tabrez hasta hua smriti ka cehra dekhte hue bolta he)

Tabrez:-Are kyo nahi.....aaiye naa hamare garib khane me iqminan se baat karenge...

(Smriti chidhte hue kaha)

Smriti:-Nahi mujhe nahi aana andar tum bas meri baat suno...

(Tabrez ne jaan bujhkar kaha)

Tabrez:-Are aise kaise aaiye naa andar chai coffee kucch pi lo....

Smriti:-Nahi...Nahi mujhe nahi pini koi chai wai...

Tabrez:-Aise kaise hamare dilo ki dhadkan he aap...aap ki khatirdari naa kare to kis ki karenge...

(Smriti ne firse chidhte hue kaha)

Smriti:-Are bas yaar..bas karo!!! Mujhe chid ho rahi he tumse...meri baat to sun lo.....

Tabrez:-Thik he bolo...

(Tabrez ab majak ko chor ke uski baat sunta he)

Smriti:-Dada ab tak kaam se nahi aaye he...agar tum bike leke dada aur baba ko leke aao to?....

(Ye sunte he tabrez direct andar gaya aur bike ki chabi li aur smriti ko kaha)

Tabrez:-Are das bajne ko aa rahe he aur tu ab aake bata rahi he?..

Smriti:-Woh me..

Tabrez:-Sala pagal saandh kahika...kitni baar bola he itna kaam mat kar...abhi jaata hu sale ke gaal ke niche do lagata hu...

(Tabrez smriti ko ignore kar ke chala jata he jaise ki wo waha khadi hi naa ho)

Smriti:-ye pagal he kya?..Dada ki chinta ham dono se zyada to isko he...kathin he deva...




img-src-https-i-ibb-co-Fb6j-Yz-Hz-logo-png-data-url-https-i-ibb-co-Fb6j-Yz-Hz-logo-png-class-bb-Imag










 

RETRO STORIES

LOVE,LAUGHTER,WAR
11
26
14
-:ANNOUNCEMENT:-
BHAI LOG IS STORY ME HAR RULES TUTNE WALE HE... BRUTALITY KI HAD PAAR HOGI SO AGAR AAP LOG CHAHTE HE TO KISI MEMBER KI MADAD CAHIYE MERE KO JISKE PAAS THODA CONTROL HO,AUR KISIKO IS STORY ME AAGE HONE WALE SCENES ME PROBLEM NAA HO TO CHOR DENA WARNA MERE KO KISI KI PADI NAHI HE...YAHA THODI CAST KA SCENE HE,BRUTAL KILLING SCENES HONGE AUR KUCCH...LEKIN HAR SCENE KI WAJAH HOGI...AGAR STORY HIDE KI YA ACCOUNT DELETE HUA TO MUJHE KOI FARK NAHI PADTA...FARK PADEG TO AUDIENCE KO KYONKI UNKE HAATH SE EK ACCHI STORY CHALI JAYEGI.. KYONKI KOI MUJHE ISKE PAISE NAHI DETA...BAKI LOVE YOU ALL AGAR SUPPORT KARNA HE TO KARNA....



img-src-https-i-ibb-co-Fb6j-Yz-Hz-logo-png-data-url-https-i-ibb-co-Fb6j-Yz-Hz-logo-png-class-bb-Imag
 
  • Love
Reactions: rajeev13
Top