Update 01
Apne viran se office se nikal kar mai samay kaatne ke liye samne ke park mai chala gaya. Zindgi jine or katne mai bada anter hota hai. Park ke 2 chakar lagan eke baad mai dur ekant mai padi bench pe beth gaya. Ye meri lagbhag roj ka karykarm hota hai or andhera hone tak yahi pada rahta ho.
Bagh ke pass kuch naya ban raha tha. Waha ke pahli sidhi abhi taza thi isliye us ko langh kar sidhe dusri sidhi par pahuchne mai logo ko bhut pareshani ho rahi thi. Mai logo ke asuvidha ko dekhte hue hath badha kar unhe upper khichta raha. Badebudhe ka paw kapkapta dekh mai puri takat se unhe upar khich raha tha par behad ahista se.
“Hath Dijiye” kah kar mai lagatar us aurat ko aage aane ko kahta or wo har bar hichkicha kar sidhiyo ke bagal mai khadi ho jati. Halke Bure rang ke suit ke upper safed chunni se usne apna sir dhap rakha tha. Maine fir se Aagrah kiya “Hath Dijiye”, ab to andhera bhi suru hone wala hai.
Usne dhire se apna hath pakrwaya. Maine jaise he us hath ko asparsh kiya us ke komal sparsh ne mujhe bihtar tak hill diya. Ise parkriya mai use sahara dete samay us ke chunni sir se dhalak kar kandhe par aa gayi. Usne mujhe dekhte he kaha “ Tab Tum Kaha The Jab Mai In Hatho Ka Sahara Manga Tha??”