• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy BLACK PLAIN

Kis fonts mein apko story chaheye

  • Total voters
    12
  • Poll closed .

Sweetkaran

Active Member
1,345
3,586
143

Chapter 33:- Leaving the City of Portland

Kahin Stone Island ki rajdhani mein, ek bada mahal tha jismein bahut saari rang-birange bagiche the. Is samay, ek yuva mahila jiska baal blonde the aur aankhein hari, ek bagiche ke ek kursi par baithi hui thi, aur chai pee rahi thi.

Mein peechle ek saal se Brown Kingdom nahi gayi, aur pata nhi Black Plain mein aur kitna sudhar a gya hoga, usne apne balon ki ek lat ko apni ungli se marodte huye socha.

Yeh Megha Sinha thi, woh vyapari jiski saath Arjun ne ek vishesh deal ki thi.

Isi samay, ek khoobsurat mahila megha ki taraf chalti huyi a rahi thi. Uske baal blonde the aur usne ek haree rang ki dress pehni hui thi, aur us dress mein uski body ki curves itni attractive lag rahi thi ki koi mahila v use dekhe toh woh v use dekhe bina na reh sake.

"Megha, humein ek buri khabar mili hai. Hamare jitne v workers the Kingdom of the Waves mein, hamara un sab se contact tut gya hai" Khoobsurat mahila phir megha ko sthiti ke baare mein report karne lagi, apne chehre par gambhir bhaav rakhte huye.

...

Usi samay, Brown Kingdom mein, Red Valley jo ki ek parmukh shehar hai, apne mahel mein Silva parivaar ka pradhan Sarabjeet Silva apne chaar Spiritual Kings subordinates ke sath meeting mein busy tha.

Agar hum kamte ki baat kare toh uske kone kone se uski luxury dikhayi de rahi thi. Deewaron par kuch bhut hi mehngi paintings lagi huyi thi, kamre ke baaye taraf ek bada bookshelf tha, kamre ke madhya mein ek sheesha se bana table rakha huya tha, do bade sofe ek doosre ke samne, aur kamre ke ant mein ek kursi thi aur kursi ke peeche kamre ki balcony thi.

Usi samay, ek anuyayi, jo kam umar ka lag raha tha aur do sofaon mein se ek par baitha tha, ne gambhir chehre ke saath bola. "Patriarch, haal hi mein Kingdom of Waves aur Black Plain ki seema ke kshetra mein bahut saari daakuon ki gatividhi dekhi gayi hain."

"Is vajah se, kuch hamare 4th-star ke kuch aadami gayeb ho gye, aur unke paas jo saamaan tha woh v. Mera yeh sujhav deta hai ki hum kingdom of waves tak pahunchne ke liye ek alag route ka upyog karein. Kam se kam tab tak, jab tak sthiti punah normal nahi ho jati."

Patriarch ne jab uski baat suni toh veh na khush hote huye bola. "Maine iske baare mein suna tha, lekin maine yeh nahi socha tha ki sthiti itni buri ho jayegi... Kya kingdom of waves is mamle ko suljhane ke liye kuch nahi karega? Agar yeh aise hi chalta raha, toh ham vyapar kaise karenge aur hume jo nuksan hoga uska kiya!"

Yeh kisi bhi vyapari ke liye mahatvapurn samasya thi jo v kingdom of waves mein vyapar karta hai unhe daksin se aana pardta hai. Iska karan yeh tha ki kingdom of waves aur Brown Kingdom ke beech ek parvat shreni thi jo ki Black Plain ki shuruaat tak ko cover karti thi. Is vajah se, is kshetra mein zameen ke raste se travel karna aasan nahi tha.

Aur kyunki adhikansh vyavasay mein transportation zameeni rasto dowara hi hoti thi, isliye Black Plain kshetra se guzarna dono rajyon ke beech ki doori ko kam kar deta tha. Isi karan, kai vyapari jo Brown Kingdom aur kuch Cromwell Kingdom se aate the, toh veh jahi rasta istemal karte the kingdom of waves mein jane ke leye.

Warna, transportation samundri raste dowara karni pardti, jo transport ko mahanga bana deta. Aur kisi samudri adhyatmik pashu ko palna bhut mushkil tha. Is tarah, samudri parivahan bhumi ki tulna mein kaafi dheema aur mahanga tha.

Black Plain ke seema ke saath, aur kingdom of waves ke paas, ek jagah thi jahan par apradhik samuhon ka bada prabhav tha.

Iska karan tha kshetra ki kam adhyatmik density, jo noble parivaaron ko usse dur rakhne ke liye kafi thi. Halaanki, yeh sthal Black Plain se thoda achha mana jata tha, isliye Arjun ke kshetra mein daakuon ki sankhya kam thi.

Isi beech silva parivar ke meeting room mein meeting jari thi aur veh parivar ke liye zaruri kuch mudon par charcha karne mein busy the ki tabhi ek bjurag vyakti room mein enter kiya.

Yeh Silva parivaar ka ek naukar tha.

"Patriarch, kuch bahut hi bura ho gaya hai," usne kaha aur uske chehre par chitna aur dar dono dekha ja sakta tha. Asal mein khabar itni buri thi ki woh is khabar ko sunane wala vyakti banna nahi chahta tha. Lekin afsos ki baat teh thi ki yeh tabh hi huya jab uski shift lagi huyi thi.

Nukar ki halat patli thi, Sarbjeet Silva ne usse apne chehre par ek bhayanak expression ke saath dekha aur poocha. "Tum aise kyun andar aaye? Kiya tumhe nhi pata hai ki mein ek important meeting mein hoon?"

"Maafi chahta hoon, patriarch, lekin yeh urgent hai. Young master Deepak ki aatma ke nishaan gayab ho gaye hain," bujurg aadmi ne dar ke maare apna sir jhuka kar bola. Usse darr tha ki aisi khabr sunne ke vaad kahin usko patriarch maar hi na de!

"Huh? Tumne kya kaha?" Patriarch Sarbjeet ko vishwash hi nhi huya apne kano par.

...

Isi beech, do din jaldi se guzar gaye, aur ab Arjun aur uska group Portland sheher mein vapas aa gaya tha. Unme se adhikansh logon ki injuries bhut had tak heal ho chuki thi aur ab veh apne kamron mein bethe training kar rahe the.

Arjun ne v apne sainiko ki recovery ke liye bahut c Spiritual Pills kharedi thi aur usne bahut se Alchemists ko offers v diye tha ta ki veh uske sath Dry City chale.

Halaanki, jab un sab ko yeh pata chalta tha ki Arjun Black plain mein jane ki baat kar raha hai toh unka intrest khatam ho jata tha Arjun ki offer mein, kyunki koi v ek aise rajya mein jane ka risk nhi lena chahta tha, jiski spiritual density kam hai.

Lekin Arjun isse dukhi nahi huya tha, kyunki use expected tha ki aisa hi hoga, lekin use yeh v pata tha ki jaab Stone Island mein yeh khabar fail jaye gi ki, Arjun jaha par vyapar kar raha hai aur uska black plain recover ho raha hai toh logon ka nazreya black plain ke prati badal jayega.

Iske saath,Arjun ko vishwas tha ki, agar yeh experts abhi uske prastaav ko nahi svikar karte, toh yeh matlab nahi tha ki veh bhavishya mein nahi svikar karege.

"Yahaan Portland mein abh mera koi kaam nahi bacha hai." Arjun ne apne aap se socha jab usne ek seb kahana shuru kiya aur kamre ki khidki se shehar ka drishya dekhne laga

Arjun ka yahan bahut adhik vyapar karne ka man nahi tha, kyunki jald hi woh Stone Island ki rajdhani, Old Stone, ki taraf badh raha tha. Jaahan use bahut hi achi quality ka aur achee dhaam mein saamaan v mil jaye ga jisse woh apni city ko aur v viksit kare ga.

"Main ek din aur jahan par ruku ga aur phir hum jahan se chalenge. Isse mere sainiko ko ek aur din mil jayega aur woh puri tarah se recover ho jayeinge" Arjun ne apne aap se socha, aur fir usne apne Spatial Kingdom mein pravesh kiya.

"Main soch raha hoon ki miss megha kaisi hongi..." Usne dheemi awaz mein kaha jab woh jheel ke kinare uske ghar ki taraf jane laga. Uske chehre par ek muskurahat a gyi miss megha ke vare mein sochte huye.

Megha jaisi jawan aur khubsurat lardki ke vaare mein kon ladka higa jo nahi soche ga, aur jahi haal Arjun ka tha, jaise jaise megha se milne ka samaye nazdeek a raha tha. Utna hi Arjun jayda soch raha rha megha ke vare mein. Woh megha se dowara milne ki soch se hi excited huya ja raha tha.

'Ahh, mujhe apne vicharo par kabu pana hoga aur apni training par dhyan dena hoga, Arjun ne apne chehre par ek excited se smile ke sath socha.
...

Iske baad, jaldi hi Arjun ne jheel ke kinare ke paas apni trainig shuru kar di aur lagatar same movement ke sath practice karne laga.

Spatial Sword!

Shwooish!

Shwooish!

Apni attack taknik ko baar baar lagatar Arjun ne jane kiti var activate kiya aur ant mein jab woh aaram karne ke liye ruka. Toh woh paasene se bigha huya tha aur usne apni almost sari energy training mein krach kar di thi.

Glub! Glub! Glub!

Ajun ne ek bartan liya aur apni sanson ko ikatrit karte huye usse pani pene laga. "Hu, hu, hu, ab mujhe meri talwar takneek ko advance karne mein aur bhi mushkil ho rahi hai. Hu, hu, hu, use hazaaron baar activate karna sach mein bhut mushkil hai..."

Thode samay ke baad, Arjun ne apni urja ko punarsthapit karne ke liye cultivation shuru kar di. Fir kuch ghanton ki cultivating ke baad, usne apni defense taknik ki training shuru ki.

Indestructible Body!

Apne bachav takneek ko baar baar activate karne ke baad, Arjun ek akhri parhar ke liye tiyar ho gya

Ek energy ka blade Arjun ke disha mein aane laga.

Yeh hamla ek grade-1, uchch star ke adhyatmik array se nikla tha, jo Arjun ne kuch dinon pehle Portland mein kharida tha. Aur is array ka hamla kisi 39 level ke user ke hamle jitna takatvaar tha! Arjun ne apna vaar kiya.

Swooish!

"Phew, hu, hu, hu, bss abh mujhe aaram ki jarurat hai," Arjun ne thaki aawaz mein kaha aur veh wahin zameen par beth gya.

...

Isi tarah, ek din aur jaldi se guzar gaya, aur Arjun ne faisla kiya apne Spatial Kingdom ko chhodne ka. Sabhi sainik ek dum heal ho chuke the aur puri tarah tiyar the aage ka safar karne ke liye.

Arjun apne kamre se nikla aur Sergeant partap ko bulaya. "Old Stone sheher ki yatra ke liye sab kuch taiyar hai?" Arjun ne partap se pucha.

"Haan, young master. Humne yahan Portland mein yatra ke liye teen carriages kiraye par li hain, aur ve Olson Hotel ke praveshdwaar par pahunch chuki hain," partap ne shantipoorvak tarike se kaha.

"Badhiya, toh chalo. Is sheher mein humein aur rukne ki zarurat nahi hai." Arjun ne kaha aur woh apne kamre mein majub ek lift ki taraf chal diya.

Jaldi hi, gyarah logon ka poora samuh Portland ko chhodkar Stone Island ke madhya bhag ki taraf badh gaya.

Milte hai agle update mein..
Nice update bro
 
Ak47203

Well-Known Member
3,109
4,783

Awesome update bro

Dekhte hai ki Megha hero ki 1st lover banegi ya nhi
 
Top