Spiderking69
Member
- 102
- 58
- 28
Click anywhere to continue browsing...
Awesome update bhaiUPDATE 85 ~
(History Unfolds) (2)
Varsha's Office
France ~ 1989 November 17
*Click*
Varsha darwaza kholte huwe uske kamre ke andar aa gayi, Avinash aur Ankush bhi andar he baithe huwe the, Avinash ke paas uska ek bara suitcase rakha huwa tha, Ye Laboratory ke andar he uska office tha.
Ankush: Ab Beatrice kaisi hai?
Varsha: Beatrice ki condition ab stable ho gayi hai! Usko abhi aaram karne de rahe hai, Uski caretaker uske paas he hai.
Varsha bhi Ankush ke saath aa ker baith gayi, Uske chehara per kuch sakoon aya tha, Beatrice ko daikh ker uski halat bohat zyada bigad gayi thi.
Varsha: Avinash, Thank you! Agar ap nahi ate to main soch bhi nahi sakti ke Beatrice ke saath kya hota.
Avinash(Nod): Shukriya kehne ki zaroorat nahi hai! Main agar kisi ke liye kuch ker sakta hu to zaroor karu ga, Lekin...... Main sirf abhi ke liye kuch ker saka hu, Beatrice abhi bhi khatre me hai.
Varsha(Sigh): Huh, Ye he to baat hai! Hum kuch bhi nahi soch sakte, Beatrice ki spirit energy lagatar badh rahi hai, Uska core literally crush hone wala tha, Lekin ap ne kiya kya? Uski energy bilkul bhi kam nahi huwi.
Avinash: Main ne uski energy ko direction de di hai! Ab tak uski puri energy unstable thi aur uske core per pressure ban raha tha, Lekin main ne usko stable karte huwe Core se dur ker diya hai, But......
Varsha: But?
Avinash: But uski energy ke aur badhane ke baad dobara se uske core per pressure bane ga! Uski spirit energy ke badhane ki speed daikh ker lag raha hai ke 7-8 saal maximum hai, Sadly uske baad main bhi kuch nahi ker sakta.
Avinash ki baat sun ker Varsha aur Ankush ka mann bhaari ho gaya, Lekin ye bhi sach tha ke ye 7-8 saal bhi Avinash ke bina unko nahi mil sakte the.
Ankush: Thank You! Lekin ap yahan per ker kya rahe the? I'm sorry agar main rude lag raha hu, Varsha se main ne ap ke baare me suna hai, Lekin i don't think ke ap dono itne kareeb hai ke ap Varsha se milne ke liye yahan ao gye?
Ankush Avinash ko daikh ker ab tak hairan tha, Uski aur Avinash ki ye pehli mulakat thi, Usne Varsha se uske baare me suna huwa tha ke dono ek he clan se hai aur Avinash ek genius tha.
*Knock-Knock*
Unki baato ke beech me he darwaze per knock huwa aur ek nurse ne darwaza khol diya.
Nurse: Doctor, Ye bhi ap ko dhoond rahe the.
Nurse ne raasta dete huwe kaha to uske peeche se ek aadami andar aa gaya, Uske haath me ek baby pakada huwa tha.
Varsha: Bharat Uncle! Ap bhi aye hai?
Bharat ko daikhte he Varsha uth ker uske paas chali gayi, Bharat ne uske sar per pyaar de diya, Bharat Avinash ka father tha aur saath Spirit clan ka Elder 1 bhi tha to Ankush ne uske baare me bhi suna huwa tha.
Varsha: Bharat Uncle agar ap aa rahe the to batate na! Hum ap ko airport recieve karne ke liye aa jate.
Bharat: Yahan kuch aur kaam bhi the to un kaamo ke baad yahan aye hai! Hamay tum se bhi kuch baat karni thi.....Kuch khaas baat hai.
Bharat ka ishara Ankush ki taraf tha, Uski baat ka matlab samajh ker Ankush bhi uth gaya aur baahir nikal gaya, Usko pata lag tha ke ye baate uske saamne nahi ho gi.
Varsha: Sure, Aye baith ker baat karte hai!
Varsha Bharat ko bhi andar le ayi, Avinash hospital se Varsha ko bhaagte daikh uske peeche aa gaya tha, Bharat usko samay de ker aya udhar aya tha.
Varsha: Uncle ye Avinash ki beti hai kya?
Varsha ne Bharat ke haath me pakadi huwi bachi ko daikhte huwe kaha.
Avinash: Nahi, Ye....Ye Bua ki beti hai!
Varsha: Clan Leader ki beti? Clan Leader bhi ayi hai kya?
Varsha ke savalon ko sun ker Avinash aur Bharat ek dusre ko daikhne lage, Varsha ko wo kuch batana chahate the, Lekin uski shuruaat kaise kare ye samajh nahi aa rahi thi.
Varsha: Uncle, Kuch huwa hai kya?
Bharat: Varsha.......We did it! We executed the operation.
Bharat ki baat sunte he Varsha ki aankhe hairat se fail gayi, Uske ek pal me raungte khade ho gye.
Varsha(Stunned) A-Ap ka matlab......Clan? Ap ne sab ko......You killed them?
Bharat(Nod): Haan, They had to be stopped! The cruelty…..We couldn’t watch them destroy more lives.
Varsha sirf hairani se unko daikhti he reh gayi, Uska pura clan maara gaya tha, Uske Papa ne usko operation ke baare me bataya tha, Lekin usko laga nahi tha ke wo sach me usko execute kare gye.
Varsha: Lekin Kyu? Yahan main koshish ker to rahi thi na? If I had figured out a way for Qi users to have kids with non-Qi users, everything would’ve been okay, Hum unhe rok sakte the......Why did you have to kill everyone?
Avinash(Sigh): Huh, Lekin usme aur kitna samay lagna tha? Varsha hum ne intezar kiya tha, Lekin ussi intezar ke kaaran he hazaron log mare the, Unki kya galti thi? Har din auraten unke bache khandan sab kuch tabah ho raha tha, Kya hum sab kuch baithe daikhte rehte?
Avinash ki awaaz me ek dukh mehsoos ho raha tha, Unhone kya daikha tha ye unhe he pata tha, Varsha uske khilaf to thi, Lekin usko bhi pata tha ke wo galat nahi tha.
Varsha ne vada kiya tha ke wo kuch kare gi, Lekin 4 saal ho gye the aur usne kuch bhi progress nahi ki thi, Usko aur 4-5 ya 10 saal bhi lag sakte the.
Varsha: D-Dad kanha hai?
Varsha ka saval sun ker dono he chup ker gye, Lekin unki ye chupi ab Varsha ko dara rahi thi, Uska shareer ab kanpana shuru ho gaya tha.
Varsha(Shivering): Uncle, Avinash! Dad, Dad kanha hai?
*Thud*
Avinash ne suitcase khol diya, Uske andar kuch kapade rakhe huwe the, Unko daikhte he Varsha ki rooh kaanp gayi, Kapade uske father ke the aur khoon se sane huwe the.
![]()
Varsha ki aankhon se aansu chhalak pade, Bina kuch bhi kahe wo sar neeche ker ke baithi aansu bahati rahi, Uski sisakne ki awaaz unhe sunayi de rahi thi.
Avinash: Elder 2 was really an incredible man! Unhone he sab ko operation ke liye taiyar kiya tha, His blade was the one most stained with blood that night, But when the sun touched that blood, he couldn’t handle the weight of all the lives he’d taken... He asked me to end his life... And i did, I’m the one who killed Elder 2.
Varsha Avinash ko daikhti reh gayi, Uske saamne baith ker Avinash khud ye baat kabul ker raha tha, Uske shabd to kathor the, Lekin uske kaanpte haath uski halat ko bayan ker rahe the.
*Swish*
Varsha(Stunned): Huh?
Avinash ne uski sword ko suitcase se nikal ker Varsha ke gale per rakh di, Ek pal me kya huwa usko bhi samajh nahi ayi, Bharat bhi khamoshi se usko daikh raha tha.
Avinash(intimidating): I’m the one who killed Elder 2! But before he died, he asked me for a promise, and I made a blood oath with him.......Now, you have two choices! Either marry me and live as the next clan leader's wife, but you won’t be allowed to use your core without my permission, or you can die by my hands.
![]()
****
Varsha's House
France ~ 1989 November 18
“Madarchod”
Ankush kursi se uthate huwe bola, Varsha ne usko kal huwi sab baate batane ke liye bulaya tha, Avinash ki kahi baat ke baare me sun ker usko gussa aa gaya.
Ankush: Unki himmat kaise huwi? Yahan aa ker tumhe dhamki de rahe the?
Varsha: Ankush, Tumhe gussa karne ki zaroorat nahi hai! Abhi meri baat puri nahi huwi.
Ankush: baat ho gayi hai! Abhi kanha ho gye dono?
Varsha(Sigh): Yahan Bharat Uncle ke ek dost rehte hai! Bharat Uncle clan leader ki beti ko unko dene gye hai, Unka koi bacha nahi hai.
Ankush: Uska adress bata! Abhi dono ko pakad ker yahan le ker ata hu, Unke khayal me bhi ye baate dobara nahi aye, Behanc-
Varsha: Ankush! Stop saying silly things! Please calm down and just listen to me.
Varsha ne thodi unchi awaaz me kaha to Ankush bhi chup ker gaya, Varsha ne uska haath pakad ker usko dobara baitha diya.
Varsha: Ankush! Avinash ne blood oath li hai, Uske paas aur koi raasta nahi tha, Aur Dad ne ye oath lene ke liye usko kyu kaha hai ye bhi main samajh sakti hu......Dad ke liye unki family se zyada important justice hai, Unhone agar sab ko saza di hai to beti ki baari wo kamzor kaise per sakte the?
Varsha ki aankhe dobara bheeg gayi, Lekin usne khud ko sambhal liya.
Varsha: Avinash se shadi ka matlab hai ke main uski responsibility ban jau gi! Lekin agar main shadi nahi karti to main bhi unke liye baakiyo ki tarha hu, Avinash ko unhone kaise convince kiya ho ga main soch bhi nahi sakti.
Ankush: Lekin tumhari kya galti hai? Aakhir tumhe kyu saza mile gi? Ab tak tum ne har din clan ke liye mehnat ki hai, Blood oath Avinash ne khud li hai, Usme tumhari kya galti hai? Aur kya pata ke Avinash shuru se ye he chahata ho?
Varsh(Sigh): Huh, Nahi! Avinash aisa nahi hai......Usne.....Usne mujhe bhaagne ke liye kaha hai, Kyu ke wo bina mere consent ke Shaadi nahi karna chahata aur na he kisi aur ko maarna chahata hai.
Avinash ne sword to uski taraf ki thi, Lekin uske kaanpte haath bata rahe the ke usko abhi bhi uss sword se kaate huwe logo ki cheekh aur pukar sunayi de rahi thi.
Ankush(Nod): Fine, Hum yahan se bhaag rahe hai! Let's go.
Ankush khada ho gaya aur Varsha ko bhi uthane laga, Lekin Varsha bina uthe baithi uski taraf daikhti rahi, Uske expressions ko daikh ker Ankush ka mann bhaari hone laga.
Ankush(Whisper): Varsha?
Varsha: I'm sorry, Lekin main ye nahi ker sakti! Ankush......Dad ke wo aakhiri shabd the *Sniff* Unhone kabhi mujhe kuch bhi nahi kaha, Main aise bhaag nahi sakti.
Ankush: Bhaag nahi sakti? Phir kya tum sach me shaadi?......Aur hamara kya?
Varsha(Crying): I'm sorry!
Ankush ne neeche baithate huwe Varsha ka haath pakad liya, Uski aankhe bheeg gayi thi.
Ankush: Sorry? Sorry kyu keh rahi ho? Aisa nahi ker sakti, Mere saath tum aisa nahi karo gi na? Varsha hum ek dusre se pyaar karte hai na?.....Varsha main Mom ke baad tumhe nahi kho sakta.....Varsha, Please!
Varsha ne haatho ko Ankush ke haatho se alag ker diya, Ankush usko daikhta he reh gaya.
Ankush: Ye kya ker rahi ho? Varsha? Ek baar Beatrice aur Suhani ke baare me he soch lo na, Unka kya ho ga? Unhe tumhari zaroorat hai.
Varsha(Nod): Avinash ne 7-8 saal kahe hai na? Avinash ab clan leader hai, Uske paas clan ke purane records aur bhi bohat kuch hai, Ab tak main unko daikh bhi nahi saki thi, Lekin Clan Leader ki wife ban ker main unko daikh sakti hu, Unke beech kuch na kuch to kaam ka ho ga he.
Varsha ke nirnay ka ek bada kaaran ye bhi tha, Uske liye clan ki purani details aur notes bohat kaam ke the, Unko padhne ka aur koi raasta nahi tha.
Varsha: Lekin tab tak tumhe Beatrice aur Suhani ka dhayan rakhna ho ga! Unke liye ek lab india me bhi banani ho gi, Usme bhi samay lage ga, Lekin tum ye ker lo gye na?
Varsha uski halat ka andaza to laga sakti thi, Lekin abhi ye sab karna bohat zaroori tha, Uska ye kaam Ankush ker sakta tha.
Ankush aur Varsha bohat samay se saath the, Usko bhi pata tha ke agar Varsha ne ye nirnay le liya hai to usko rokna mumkin nahi hai, Varsha ke liye uski research sab se zyada important thi.
Uske liye usko Avinash se shadi bhi karni ho to wo rukne nahi wali thi, Ankush ne bhi uski baat maan li, Uske andar kuch toot sa gaya tha, Lekin usne aansuon ko paunchh liya.
Ankush(Sigh): Huh, Theek hai! Lekin yaad rakhna ke tum ne give up kiya hai, Main ab bhi tum se pyaar karta hu aur karta rahu ga.....Agar kuch bhi pareshani ho to main madad ke liye hamesha taiyar rahu ga.
Usko daikh ker Varsha ke aansu chhalak pade, Lekin uske chehre per muskurahat bhi thi Ankush ka pyaar daikh ker.
Varsha(Nod): Thank You!
****
Avinash's House
Pune ~ 1990 January 6
Varsha ke haan kehte he Bharat ne uske sar per haath rakh diya tha, Varsha ne kisi bhi dhoom dhaam se rok diya tha, Lekin phir bhi Bharat ne unke liye kuch taiyari ker di thi.
Avinash aur Varsha ki ek mandir me shadi ker di gayi thi, Unke saath sirf Avinash ke parents he gye the, Unki bilkul sadharan shadi huwi thi, Lekin Bharat aur Lakshmi unke bete ke liye khush the, Varsha unko shuru se pasand thi.
Varsha ke father ek normal family se aye the, Uske andar Qi talent tha aur uski Maa bhi dusre clan se thi, Uske kaaran se clan me unhen log pasand nahi karte the,
Lekin Bharat unhe dost ki tarha daikhta tha, Uske liye apne dost ki bachi ko bahu banana ek khushi ki baat thi, Varsha ko bhi pata tha ke Bharat aur Lakshmi ko uski kitna parwah hai.
*Knock-Knock*
Avinash ke kamre me Varsha uske bed per baithi uska intezar ker rahi thi, Kamre ke darwaze per dastak huwi to Varsha hairan ho gayi ke Avinash knock kyu ker raha hai.
“Varsha! Main hu”
Varsha: Aunty? Andar aa jaye na.
Varsha ke kehne per Lakshmi bhi andar aa gayi, Usne haath peeche kiye huwe the aur muskura rahi thi, Lakshmi bed ke paas aa ker khadi ho gayi.
Lakshmi(Smile): Akeli bore ho rahi thi kya?
Varsha: Aisa kuch nahi hai! Yahan abhi utni comfortable nahi hu na, Ab kitne saal se to france reh rahi thi, Uske kaaran thodi si......Huh, Bore ho rahi thi.
Lakshmi(Giggle): Laga he tha! Abhi dono baap bete baahir baithe huwe hai.....Bharat usko class le rahe hai, Usko keh rahe hai ke usne agar tumhe thoda bhi tang kiya to uski kher nahi ho gi.
Varsha(Smile): Uski kya zaroorat thi? Agar usne tang kiya to main he kaafi thi, Uncle ko kuch karne ki zaroorat bhi nahi pare gi.
Lakshmi: Haye, Ab to bechare per tadas aa raha hai!......Ye haath to dikhana.
Varsha: Haath? Haatho ko kya huwa?
Varsha haatho ko daikhne lagi, Lakshmi ne uska haath pakad liya aur dono haatho me kangan pehna diya, Varsha ne unko ek pal me pehchan liya, Usne Lakshmi ko hamesha ye kangan pehne daikha tha.
Varsha: Aunty, Ye kyu?
Lakshmi: Ab dialogue nahi sunau gi! Lekin ye meri saas ne diye the, Ab agar tumhe na deti to upar unse baate sunanai per jaani thi.
Uski baat sun ker Varsha bhi muskurane lagi, Usko ye kangan sach me bohat zyada pasand the, Lakshmi uske haatho ko daikh rahi thi.
Lakshmi: Varsha, Ye sach hai ke tum dono ki shadi ache maud per nahi huwi! Lekin phir bhi main chahati hu ke tum ek achi zindgi ki shuruaat karo, Hum guzre kal ko to badal nahi sakte, Lekin ane wale kal ko suhana bana sakte hai.
Varsha ko samajh raha tha ke Lakshmi kya kehna chah rahi hai, Ye sach hai ke uske liye ye bhoolna aasan nahi tha ke Avinash ne he uske baap ko mara tha, Lekin usko bhi pata tha ke uske paas aur koi choice nahi thi.
“Maa?”
Avinash kamre ke andar aya aur Lakshmi ko saamne daikh ker hairan ho gaya.
Lakshmi: Arrey, Kya ho gaya? Ab biwi ayi to Maa ka ana bhi khatak raha hai? Haye, Ye buddhi kanha jaye gi.
Avinash: Baad ka to pata nahi! Lekin abhi ap baahir jaye gi.
Lakshmi: Haye, Maa ko baahir nikal raha hai? Nalayak iss din ke liye itna bada kiya tha kya tujhe?
Lakshmi ke natak daikh ker Varsha ko bhi hansi aa gayi, Lakshmi usko hansane ki he koshish ker rahi thi, Usko hanste daikh ker wo bhi chup chap baahir chali gayi, Avinash bhi Varsha ke paas baith gaya.
Avinash: Huh, Maa ki baato ko serious na lena! Unki mazak karne ki aadat hai.
Lakshmi: Ye mujhe batane ki zaroorat nahi hai! Unko tum se to zyada he jaanti hu.
Avinash: Sure, Sure, Tumhari to idol bhi hai na? Unko daikh ker he to tum doctor bani thi.
Varsha(Nod): Haan, Bilkul hai! Ek din unki tarha he main bhi nahi discoveries bhi karu gi.
Lakshmi bhi ek doctor thi, Uska dhayan Qi healing ki taraf zyada tha, Uske kaaran he tha ke Avinash ki ruchi Qi technique per bani thi aur usne nayi techniques bhi banayi thi, Lekin unka galat upyog ho ga ye usne kabhi nahi socha tha.
Avinash(Sigh): Varsha, Main tumhe kuch bhi bhulane ke liye nahi kahu ga! Lekin kya tum mujhe ek chance de sakti ho?
Varsha: Haan, Hamare beech pyaar nahi hai! Sach kahu to mujhe nahi lagta ke ye kabhi ho bhi sake ga, Lekin main ek patni ke sabhi kartavya ko nibhane ki koshish kar sakti hu.
Varsha ki baat ko sun ker Avinash usko daikhta reh gaya, Lekin usne ek gehri saans li aur hami bhar di.
Varsha: Umm, Avinash! Ek permission bhi chahiye thi......Kya main clan records ko access ker sakti hu?
Avinash(Nod): Sure, Lekin yaad rakhna ke ye records kisi ko nuksan pahunchane ke liye Use na ho! Aur tum cultivation nahi ker sakti, Agar tum ye ker sakti ho to tum sab kuch access ker sakti ho ek locker ke sivaye.
Varsha: Locker?
Avinash: Haan, Usko sirf Arya he access ker sakte hai! Usko Maa ya Papa ko bhi kholne ki permission nahi hai, Usme kuch purani aur khaas details hai.
Varsha: Leki-
Avinash: Ab bas kare kya? Raat bohat ho gayi hai.
Avinash ne usko beech me chup karwate huwe kaha, Raat ke 2 bajne ko the, Varsha ne bhi nod ker diya, aur Avinash ne kamre ki light ko band ker diya.
****
Avinash aur Varsha ke ek naye rishte ki shuruaat ho gayi thi, Unke beech pyaar utna nahi tha, Lekin unhone apne kartavya ko bakhubi nibhaya tha.
Avinash ek school me PT teacher ki job ker raha tha, Varsha har din clan ki purani kitabon ke samundar me doobi rehti thi.
Bharat ki uss raat ke baad se halat bigad rahi thi, Uska core buri tarha se damage ho gaya tha, Lakshmi bhi usko heal karne ka prayas kar rahi thi.
“Varsh-”
Avinash ki aankh khuli to raat ke 2 baj rahe the, Varsha abhi bhi kamre me nahi ayi thi, Avinash uth gaya aur study room ki taraf chala gaya, Uska andaza sahi tha.
Varsha udhar table per sar rakhe soo rahi thi, Uske aage kuch papers rakhe huwe the, Unke byah ko ek saal hone ko aa gaya tha, Lekin ab tak Varsha khud ko kitabon se baahir nahi nikal saki thi.
“Avinash?”
Kamre se baahir nikalti huwi Lakshmi ne Avinash ko study room ke darwaze per khade daikha to hairani se usko daikhte huwe uske paas aa gayi.
Lakshmi: Avinash! Itni raat ko yahan kya ker rahe ho?
Lakshmi ne poochha to Avinash ne Varsha ki taraf ishara ker diya, Lakshmi ne kamre ke andar daikha to usko kaaran pata lag gaya.
Lakshmi: Bachi ko aise daikh ker bura lag raha hai! Kitne dinon se aise he kitabon ke beech uljhi rehti hai, Lekin ab tak usko kuch umeed bhi nahi mili hai.
Avinash(Sigh): Main samajh raha hu! Lekin aise to ye khud ka kuch na kuch to nuksan ker le gi, Kayi kayi din tak soo bhi nahi rahi.
Avinash ko uski chinta ho rahi thi, Lekin wo kuch keh bhi nahi sakta tha, Varsha uski baat ko maan ker bilkul bhi cultivate nahi ker rahi thi, Lekin usne badle me unko uske kaam ke beech ane se roka huwa tha.
Lakshmi: Abhi usko kamre me le ja! Main ne kuch socha hai, Usko khuli hava chahiye ho gi, Uske liye main kuch karti hu.
Lakshmi ki baat ko sun ker Avinash ne sar hila ker nod ker diya aur kamre ke andar chala gaya, Varsha gehri neend me soo rahi thi, Avinash ne usko bahon me utha liya aur uske kamre me le gaya aur bed per laita diya.
Avinash(Breath): Fuuu ~ Khud ka khayal rakhna shuru ker do! Ab ye sab kab tak chale ga.
Avinash ne soti huwi Varsha se kaha aur light band ker ke uske saath lait gaya.
****
Little Star School
Pune ~ 1991 March 16
“Avinash”
Avinash school ke ground me khada uski PT class le raha tha ke usko ek taraf se Varsha ati dikhayi di, Uske haath me ek tiffin box pakada huwa tha.
![]()
Avinash: Keep stretching! Main abhi aa raha hu.
Avinash ne bacho se kaha aur Varsha ke paas chala gaya, Varsha udhar he bane ek bench per baith gayi, Avinash bhi uske saath baith gaya.
Avinash: Aj kaise ana huwa?
Varsha: Aunty Ji keh rahi thi ke subha tum breakfast kiye bina he aa gye! Unhone ye khana bheja hai.
Avinash ko samajhte samay nahi laga ke ye uski Maa ki karni hai, Varsha ne tiffin khol diya aur Avinash khaane laga.
Varsha(Exhale): Huhhhhh ~ Yahan kaam karte ho tum? Nice.
Varsha ne aas-paas daikhte huwe pucha.
Avinash(Nod): Haan, Yahan clan ke 138 ke kareeb bache bhi padhte hai! Unke core's ko to seal ker diya gaya hai, Lekin abhi bhi unke upar nazar banaye rakhne ki zaroorat hai.
Avinash ne clan ke kuch bacho ko bacha liya tha, Unke core abhi tak puri tarha se develope nahi huwe the, Avinash ne unke core's ko seal ker diya tha to wo Qi use nahi ker sakte the.
Ye school unke clan ke ek funder ka he tha to bacho ke liye hostel bhi banaya gaya tha, Avinash koi aur naukari bhi ker sakta tha, Lekin usne bacho ke liye ye he naukari chunni.
Varsha: Lekin itne bacho ka kharcha? Kya sab principal ker raha hai?
Avinash: Nahi, Uske liye hum clan money ka upyog ker rahe hai! Abhi ke liye bohat paisa hai.
Varsha: Clan ke paise? Lekin wo to clan ke leader liye hote hai na?
Avinash: Clan ke bina Leader kya hai? Aur ye bache he to clan banaye gye, Hamara kya hai? Hamare liye 3 time ka khana ban raha hai aur kya chahiye hai?
Avinash ek samay per sab se upar baitha hota tha, Uske paas logo ko kuchal dene ki kshamta thi, Lekin ab wo he Avinash ek sadharan teacher bana huwa tha.
Varsha: I can't believe it! Kya tum sach me ache ho ya sirf ek idiot ho? Koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai? Kaise tum stranger ke liye khud ko barbad ker sakte ho?
Avinash(Smile): Kyu nahi ker sakta? Aakhir tum bhi to ye he ker rahi ho na? Raton ki neend aur din ka chen barbad ker ke har din un bacchiyon ke liye cure dhoond rahi ho, Aakhir koi itna kisi ke baare me kaise soch sakta hai?
Avinash ne uski baat he usko waapis laga di thi, Varsha uski baat sun ker muskurane lagi, Lekin usko bhi khud ki halat ka ache se andaza tha.
Varsha: Beatrice ko hum ne 12 saal pehle Rescue kiya tha! Uske father ke andar Qi talent tha, Lekin unhe bilkul bhi pata nahi tha, Beatrice ki Maa to usko janam dete huwe he mar gayi aur uske baap ne uski doshi Beatrice ko he bana diya, Usko marna peetna aur sab kuch, Ankush aur main ne usko rescue kiya to uski puri body ghavon se bhari huwi thi, Beatrice ke liye mujhe bura lagta hai......Main chahati hu ke usko bhi ek nayi zindgi de saku aur wo sab ke saath hans khel sake.
Avinash ne bhi daikha huwa tha ke Varsha Beatrice ke saath emotionally kitni zyada attached thi, Usko Avinash ne bachaya tha tab Varsha ko kitna sakoon mila tha usne sab daikha tha.
Varsha: Aur Suhani Light clan se thi! Uske bhi Father Qi user the, Lekin usne baahir ki ladki se shadi ker li aur wo bhi delivery ke time per survive nahi ker saki, Clan ko aur uske baap ko kamzor bachi nahi chahiye thi, Ankush ne usko rescue kiya tha, Uski halat bhi Beatrice ki tarha he hai aur uski spirit energy bhi lagatar badh rahi hai per uski age abhi utni nahi huwi aur abhi ke liye wo stable hai, Lekin kuch aur samay ke baad uski halat bhi Beatrice ki tarha ki he hone wali hai.
Varsha ke chehre per ab udaasi chhalak rahi thi, Avinash ne uske haath per haath rakh diya, Varsha ko bhi uske saath hone se kuch sakoon mila.
Varsha: Hamare paas zyada samay nahi hai! Mujhe ab aur bhi jaldi kuch karna ho ga, Unko main kuch bhi hone nahi de sakti.
Avinash: Sab theek ho jaye ga! Lekin uske liye tumhe khud ka bhi dhayan rakhna ho ga.
Varsha(Smile): Thank You!
Avinash ne uska khaana khatam kiya aur tiffin Varsha ko de diya, Varsha ne usko bag ke andar rakh liya aur jaane ke liye uth gayi.
Varsha: Fu....ck?
Varsha khadi he huwi thi ke tabhi uska sar chakarane laga aur uska balance bigadne laga, Avinash ne uska balance yun bigadte daikh ker khada ho gaya aur usko pakad liya.
Avinash: Varsha, Kya huwa? Tum theek ho na?
Varsha: I don't know! Suddenly headache hone lagi aur blackout ho gaya tha, Maybe overwork ke kaaran huwa ho ga.
Avinash: Yahan baitho! Abhi kanhi jaane ki zaroorat nahi hai.
Avinash ne usko dobara bench per baitha diya aur usko daikhne laga, Usko hairani ho rahi thi ke overwork ke kaaran Varsha ko aisa kuch ho ga, Varsha ek Qi user thi to uske liye ye normal nahi tha.
Avinash ne Varsha ka haath pakad liya aur aankhen band karte huwe Qi ko uski body me bhejne laga, Varsha bhi samajh gayi ke Avinash kya ker raha hai.
Avinash(Stunned): Huh?
Avinash ne chaunkate huwe apni aankhe khol li, Varsha usko aise chaunkate daikh ker dar gayi, Avinash ka haath Varsha ke haath se uske pait per chala gaya.
Varsha(Flustered): Avinash? Ye kya ker rahe ho?
Avinash(Whisper): Pregnant!
Varsha: Kya keh rahe ho? Sunayi nahi diya.
Avinash: Pr...P-Pregnant ho! Main....I mean hum....nahi tum pregnant ho, Twins hai.
Varsha: Pregnant?.....Wait, What? Avinash?
Dono he hairani se ek dusre ko daikhte reh gye, Unke chehre laal aur dono ko samajh nahi aa rahi thi kya kare.
Avinash: Varsha!
Avinash ki aankhe bheeg gayi aur usne aage badhate huwe Varsha ko gale laga liya, Varsha ne bhi usko pakad liya, Dono he bhool gye the ke wo kanha hai.
Avinash: Thank You!
****
Lakshmi aur Bharat bhi khushkhabri sun ker khush ho gye the, Avinash ne khud ko Varsha se dur karna he band ker diya, Pura din wo Varsha ke paas reh ker uska khayal rakhta.
Varsha aur Lakshmi ko usko dhake de ker kaam ke liye bhejana per raha tha, Bharat aur Lakshmi bhi uski khatirdari me kuch kasar nahi chhod rahe the.
Avinash ne uske study room ko bhi upar se neeche move ker diya tha, Varsha pura din unki khushiyon ko daikhti rehti.
Unke ghar me hamesha he ek udaasi rehti thi, Uss raat ko wo bhule nahi the, Lekin ab ek nayi khushi ne unko dobara muskurane ka kaaran de diya tha.
Samay kaise guzar gaya kisi ko bhi ehsaas he nahi huwa, Varsha ki delivery ka time ho gaya tha, Varsha ne Lakshmi ko delivery karne ke liye kaha tha.
Lakshmi ye pehle bhi ker chuki thi to uske liye taiyari karni mushkil nahi thi, Unhone ghar me he ek kamre ko taiyar kiya tha.
Avinash aur Bharat dono kamre ke baahir baithe intezar ker rahe the, Avinash ki dil tez dhadak raha tha, Bharat usko aise daikh ker muskura raha tha.
Bharat(Smile): Ab kya ho gaya hai? Abhi tak to bohat khush tha.
Avinash: Kuch bhi nahi huwa! Lekin dar lag raha hai, Kya main ap ki tarha ek acha baap ban saku ga?......Kya main unke liye ek rakshak ban saku ga? Ab tak lag raha tha ke main bohat strong hu, Lekin ab dar lag raha hai ke kanhi main kamzor per gaya to?
Bhara: Haye, Ek baar jab tere bache tere haath me aye gye na! Sab pareshaniyan khud he khatam ho jaye gi, Unke chote chote haatho ko pakade ga to unke andar aisa khoye ga ke kuch sochne ka samay he nahi mile ga.
Avinash uske haatho ko daikhne laga, Unhi khaali haatho me abhi wo uske bacho ko uthane wala tha, Uske chehre per ayi sabhi lakeere khud he mitne lagi aur ek muskan uske chehre per saj gayi.
*Click*
Darwaza khula aur Lakshmi baahir nikal ayi, Avinash aur Bharat uth ker uske paas chale gye.
Avinash: Maa? Kya huwa?
Lakshmi ne Avinash ki taraf daikha aur uske haatho ko pakad liya.
Lakshmi: Avinash, Ek beti aur.....Ek beta huwa hai!
Lakshmi ki baat sun ker Avinash ki aankhe bheeg gayi, Usne Lakshmi ko gale laga liya, Khushi se uska haath aur paun kaanp rahe the, Lakshmi ne bhi usko pakad liya.
*Sob*
Lakshmi ke sisakne ki awaaz sun ker Avinash chaunk gaya, Avinash peeche hone laga, Lekin Lakshmi ne usko pakada huwa tha.
Avinash: Maa, Kuch huwa hai kya? Varsha theek hai na?....Maa?
Lakshmi(Sobbing): Avi......Ladka bach nahi saka!
.
.
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye update 5.5K words ka tha, Aur ye update kitni baar re-write kiya hai bata nahi sakta, Anyways, Like target hamara wohi hai 120 Likes ke liye, As you know ke agar target nahi huwa to update bhi delay ho ga, Umeed karta hu ap ko update pasand aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]
No ProblemHey everyone! Since update 85 moved from September 9th to September 10th, I couldn't write anything for update 86 that day.
I only had today and tomorrow to work on it, but I'm not feeling well today, so I'm not in the mood to write.
I’ll be rescheduling the schedule, Thanks for your love and support!
Ok, get well soon.Hey everyone! Since update 85 moved from September 9th to September 10th, I couldn't write anything for update 86 that day.
I only had today and tomorrow to work on it, but I'm not feeling well today, so I'm not in the mood to write.
I’ll be rescheduling the schedule, Thanks for your love and support!
okay broHey everyone! Since update 85 moved from September 9th to September 10th, I couldn't write anything for update 86 that day.
I only had today and tomorrow to work on it, but I'm not feeling well today, so I'm not in the mood to write.
I’ll be rescheduling the schedule, Thanks for your love and support!
Aur bura kyu lagna chahiye? You're saying I'm not keeping my word, right?bura lage to bhi koi bat nahi lagna bhi cahiye
Vacation ka matlab pata hai kya? Vacation me bhi kaam karu ga to usko vacation kyu kahu ga? Main mind refresh ker raha tha na ke usko aur pressure me daal raha tha, Lekin ap ko kya, Ap ko to sirf update ke din he dikhte hai4k ka update jo ap 2 din me likh dete ho itne din me nahi likh paye kuch ajeeb sa nahi he kya
Bilkul galat he bola haieske Age ki story jo ap humko kal ya parso dikhaoge wo apne last update se bahot pehle soch ki hogi kyu galat to nahi bola na
Seriously!? Yahan bigg boss chal raha hai kya?ap Jan bujhke late update dete ho kyuki attention jada milti he ese kyu na ho readers 5 sep ka wait kar rahe the unhone aake dekha update late he unhone Kai or reader's ko bhi recommend Kiya hoga Aaj nahi aaya to wo frustrated hain sath me new reader's jinhone just suru kiya sab wait kar rahe hain earnestly but agar update Diya to apko kiya milega bas thodi si attention or usse apko satisfaction nahi milta ab kyu sir sidha boldo na
Aur ye main kab bola!?please sir agar apki esi koi money problem he to btado
Aise baakiyo ke liye to free hai! Agar tumhe paise dene ho to yahan forum per he subscription le loye story subscription leke bhi read karunga
hum unemployed hain chutiya nahi
sir hum to chutiya hain ap moka mat do bas bolne ka kisi chutiya ko.
Amazing update and nice storyUPDATE 15 ~
(UNLEASHING THE INNER FIRE)
Secret Underground Medical Facility
Japan ~ 10:58 PM
Daisuke: Kento-Sensei!!!
Daisuke abhi Underground Facility ke andar aya he tha ke usse apne saamne he Kento dikh gaya, Kento ek doctor tha jo intelligence ke liye kaam karta tha, Yahan koi Normal patient nahi ata tha jo bhi ata ya to wo Secret officer hota ya phir koi bara Admi jo duniya se chup ker treatment karwa raha ho.
Kento(Smile): Daisuke! Wapis aa he gye tum, Mujhe to laga tha abhi samay lage ga tumhe wapis ane me.
Daisuke: Samay he to nahi hai Sensei! Sirf 20 reh gye hai wapis jaane ke liye, Hamare paas samay kam hai aur karna bohat kuch hai.
Kento (Sigh): Huh! Samajhta hu main lekin khud ki limit ko itna push mat karo ke wapis jaane se pehle he haar jao.
Kento ne Daisuke ko samjhate huwe kaha, Daisuke duniya me agar kuch logo ki he dil se respect karta tha to Kento un me se 1 tha, Kento ne hamesha apne Emotions ko side per rakh ker sahi salaah he di thi aj tak.
Daisuke(Nervous): Sensie.....! Isabelle ab kaisi hai?
Kento ke chehre se muskurahat gayab ho gayi, Jaise wo ye sawal he abhi nahi sun'nna chahta tha, Lekin usse bhi pata tha ke ye sawal aye ga he.
Kento: Abhi ke liye stable hai! Lekin....Kuch keh nahi sakte, Isabelle ke saath jo huwa hai waisa hum me se kisi ne bhi aj tak nahi daikha hai.
Daisuke: *Sigh*
Kento: Kal he Japan ki ek player Isabelle ko daikh ker gayi hai! Hum ne abhi ke liye Isabelle ki disease ko Mana Disease ka naam dia hai, Wahan dusri duniya me Isabelle ne kam waqt me bohat zada Mana transfer ker ke apni limit's ko push ker dia tha, Jis ki wajha se uss ke shareer me Mana ke liye ek bhook jagh uthi, Dusri duniya me to har taraf he Mana tha lekin yahan wo Mana bilkul Naa ke barabar he hai.
Kento ne situation Daisuke ko samjha di, Daisuke bebas tha wo kuch bhi nahi ker sakta tha, Usse he andaza hai ke wo kis tarha Isabelle ko iss halat me yahan le ker aya tha, Upar se iss ki puri Report bhi usse he tayar karni per gayi.
Kento: Stones laye ho kia?
Kento ka sawal sun Daisuke ne apne peeche latke Bag ko khol ker uss me se el bari theli nikal ker Kento ko pakra di, Kento ne theli ko khol ker daikha to andar 100 ke kareeb Mana Stones the.
Kento(Smile): Ye acha ho gya! Abhi ke liye hum in Stones se kaam chala sakte hai, Lekin ab hume har din Stone badalne parte hai, Lekin itne stone se hume time mil jaye ga koi Cure dhoondne ka, Lekin tum itne stone le kahan se aye.
Daisuke: Kuch stones alag alag Countries ke Player se laya hu! Jab bhi wo waapis ate to apne saath jitne ho sake stone le ker ate the, Lekin kisi ne bhu 5 ya 7 se zada stone nahi diye, Lekin hamare saath gye ek Player jis se main kuch din pehle he dobara mila hu ke paas Stone the, Main ne uss ko Reason to nahi bataya lekin mere kehte he uss ne apne sab Stone mujhe de diye.
Kento: Sun ker acha laga ke tumhari madad karne ke liye bhi koi hai! Waise abhi stone badalne ka time ho raha hai tum saath jana chaho gye kia?
Daisuke haan me sar hila dia, Kento ne apne ek Assistant ko ek chote bag me kuch stone rakh diye aur Daisuke ko uss ke saath bhej dia, Assistant Daisuke ko apne saath ek Room ke paas le gaya.
Assistant: Wo larki andar hai!
Assistant ne Daisuke ko agah kia aur apne Key card ko saath deewar per lage Key card scanner per Swipe ker dia, Saamne Room ka darwaza khulne laga aur Daisuke ko akhir nazar aa gayi Isabelle.
Assistant andar chala gya Daisuke bhi uss ke saath andar chala gaya, Saamne Isabelle Meditation ki Position me baithi thi, Lekin uss ka dard uss ke chehre se jhalak raha tha Isabelle ki Veins chamak rahi thi, Aur uss ke shareer me jagha jagha nochne ke nishaan the jo Uss ne khud ko diye the jab wo dard se tarap rahi thi.
Daisuke ne Assistant ki taraf daikha to wo Kamre ke deewaro per lage Stones ko utaar raha tha jin me se chamak bilkul khatam ho chuki thi aur un ko badal raha tha apne saath laye Stones ke saath, Aise he Chaaro deewaro per 1 Stone laga huwa tha.
Ye Stone Isabelle ko Dusri duniya ka environment wapis dene ke liye lagaye gye the, Lekin har din Stone ka pura Mana Isabelle khatam ker deti thi aur jab Mana khatam ho jaye to Isabelle ki halat bilkul ek Drug Addicted ki tarha ho jati thi.
Daisuke: Isabelle!!!
Daisuke ki awaz sun Isabelle me Meditation rok ker apni ankhe kholi, Uss ke saamne Daisuke usse daya ki nazro se daikh raha tha.
Isabelle(Grin): Ap aisa chehra kiu bana rahe ho! Ap ne to meri itni madad ki hai to udaas kiu ho rahe ho ap, Fikar mat kariye ap ne jaisa kaha tha waise he main ne meditate karna shuru kia hai ab pehle se kam Mana se he main apni Addiction ko control ker sakti hu.
Itne dard me hone ke baad bhi Daisuke ke saamne wo khud ko khush dikhana chah rahi thi, Lekin Daisuke ko sachayi ka pata tha andar he andar usse khud per bhi gussa tha ke uss ne Isabelle ko khud ko itna push karne kiu diya.
Daisuke: Aarav se mil ker aya hu!
Isabelle ki wo jhooti muskurahat ek pal me gayab ho gayi aur wo apne nazre jhuka ker baith gayi-
Isabelle: Ap ne usse kuch bataya to nahi mere baare me?
Daisuke: Nahi! Abhi uss per pehle he bohat zimedariya hai, Agar main usse batata to wo khud ko iss ka zimedar samajhta, Abhi ke liye main ne uss ke liye ek Trainer ko bhej dia hai wo agli baar ke liye tayar ho raha hai aur apni behan ke treatment karwane ki koshis ker raha hai, Tumharr baare me sirf ye bataya hai usse ke tum mere paas ho.
Isabelle(Relief): Thanks You! Main apni wajha se Aarav ko pareshaan nahi karna chahti, Main puri koshis karu gi agli baar Aarav se milne se pehle khud ko Cure ker saku, Aur iss baar hum kisi ko nahi khoye gye.
Daisuke: Hmm! Ab mujhe bhi chalna chahiye, Main sab responsibility Aarav ke upar nahi daal sakta, Mujhe bhi khud ko tayar karna ho ga agli baar ke liye, Agar sirf uss waqt mujh me itni power hoti ke main Aarav ke saath lar sakta to Shayan cheeze alag hoti, Tumhe itna Mana Use na karna parta aur Shayad.......Shayad Andrew hamare saath hota.
Daisuke ki awaz me Guilt tha uss waqt wo kuch nahi ker saka tha jis ki wajha se unho ne Andrew ko kho dia tha, Aur agar Yoo-Jung, Isabelle aur Aarav apni limit's ko na push karte to shayad wo wapis bhi nahi aa sakte the.
Isabelle: Ap ne apni puri koshis ki thi! Khud ko dosh mat do, Hum sab uss me saath the lekin agli baar hum kisi ko kuch nahi hone de gye.
Isabelle me vishwas ke saath kaha, Daisuke ko khud per hansi aa gayi ke wo tha jis ko ye sab kehna chahiye tha ulta Isabelle usse ye sab kuch keh rahi thi.
Daisuke: Hum sab waapis aye gye, Ye mera Vada hai!
****
Sayani Mansion
New York ~ 1:35 PM
“Urvi tujhe mere saath ane ki zaroorat nahi thi! Abhi bhi tujhe Araam karna chahiye”
Aarav ne chalte huwe Urvi se kaha, Urvi kuch din se apne bhai ko apne se door hota mehsoos ker rahi thi aur un sapno ne uss ko aur bhi dara dia tha, Jab Urvi ko pata laga ke Aarav Gym ja raha hai to wo bhi zid ker ke saath aa gayi.
Urvi: Itni bhi bimaar nahi hu! Mujhe bhi daikhna hai ke mera bhai Gym karte huwe kaise dikhte hai? Waise bhi jab main ne Exercise karne ko kaha tha tab to muh banate the, Ab to karni he per gayi na pehle he baat maan lete meri.
Urvi ko pata tha ke uss ka bhai kitni mehnat ker raha hai uss ke liye, Urvi pehle ke jaise he apne dard ko bardasht karte huwe Aarav ke saamne muskura rahi thi aur usse cher rahi thi.
Aarav: Tujhe pata hai mujhe Time Waste karna pasand nahi hai! Lekin ye meri Job ka he ek part hai, Adarsh sir ne mujhe training ke liye bola hai Actual Duty se pehle.
Aarav ko apni behan se jhoot bolna pasand nahi tha, Lekin wo Sachayi bata ker Urvi ko pareshaan nahi karna chahta tha.
Urvi: Ab baate mat banao! Mujhe pata hai ye ap ko Job ka part hai lekin iss ka ye matlab nahi ap in palo ko enjoy nahi ker sakte.
Aarav(Tease): Tu kab se itni samajdari ki baate karne lagi?
Urvi: Daikh le! Ap ko pata bhi nahi chala aur main bari ho gayi.
Urvi apni kamar per haath sar uncha ker ke boli jaise bohat fakhar ki baat boli ho, Aarav ne uss ke sar per laga Hair Catcher utaar dia.
Urvi; Bhayia!
Urvi muh banate huwe boli lekin Aarav pehle he bhaagte huwe Gym me ghus gaya, Urvi bhi uss ke peeche peeche andar aa gayi per jab un ki nazre saane ke nazare per gayi to dono ke saans ruk gye.
Saamne Tsubame Exercise ker rahi thi, Ek rod ke saath latki wo khud ko aur Rod ko upar uchalti aur agle stand per latak jati, Lekin peeche se uss ka kasa huwa badan paseene se latpat uss scene ko sexy bana raha tha.
![]()
“Late ho gye ho tum!!!”
Tsubame rod ko chorte huwe neeche khari ho gayi, Wo ghoomi to uss ka front un ke saamne aa gaya, Uss ke badan ka har part perfectly fit tha, Paseena Tsubame ki khubsoorti ko aur madhoosh ker dene wali bana raha tha.
Tsubame chalte huwe Aarav ke kareeb ayi to Urvi usse ghoor ker daikhne lagi, Tsubame Urvi ko apni taraf yun ghoorta daikh ruk gayi.
Tsubame: Aur ye kon hai?
Aarav(Tongue-tied): Y-ye Meri.....Behan hai, Urvi!
Aarav Tsubame me itna kho gaya tha ke usse andaza he nahi huwa ke wo kab uss ke kareeb aa gayi thi-
Urvi: Bhayia ap ko japanese bhi ati hai kia?
Urvi ne excited hote huwe pucha, Aarav ko khud nahi pata tha ke wo japanese me baat ker raha hai, Uss ki Skill ki wajha se wo sab kuch hindi me he sun aur bol raha tha lekin dusro ke liye Aarav alag Language me baat ker raha hota tha.
Tsubame: Abhi tumhe samay lage ga! Jaise jaise tumhari Intelligence barhe gi tum language ko sirf bol he nahi sako gye samajhna bhi shuru ho jao gye.
Aarav: hmm! Mujhe apni intelligence barhane ke liye bhi kaam karna ho ga.
Tsubame: Wo sab main daikh lu gi! Abhi tumhari behan ka kuch karna ho ga, Urvi ko tumhari Powers ka pata nahi hai to usse Gym me saath laana bohat galat faisla tha.
Aarav ne Urvi ki taraf daikha jo samajhne ki koshis ker rahi thi akhir kia baat ker rahe hai dono?
Tsubame: Abhi ke liye main sambhalti hu situation ko! Aj tum basic Exercise ker sakte ho lekin kal tumhari Training 10 Times harder ho jaye gi.
Aarav ne thook nigla aj subha he uss ki halat buri ho gayi thi, Ab uss ki training aur bhi mushkil hone wali thi ye soch ker he uss ke hosh urr rahe the.
Tsubame: Tum abhi apne panjo per jumping ker ke Warm-up ho jao! And you come with me.
Tsubame ne Aarav ko shuru hone ka bol Urvi ko english me bulate huwe apne saath le gayi, Aarav ne bhi Tsubame ki baat maante huwe Apne pairo ki panjo per jumping shuru ker di.
Wanhi Tsubame Urvi ko apne saath Side per le gayi, Urvi ko samajh he nahi ayi ke wo usse wahan kiu le ayi hai, Tsubame ne usse ek yoga mat per bitha dia.
Tsubame: You brother mentioned to me that you are feeling tired and stressed!
Subha Aarav se baato me Urvi ke baare me bhi Aarav ne kuch baate ki thi jis ko Tsubame ab Use ker rahi thi, Wanhi Urvi Nervous to thi lekin ye sun ker khush bhi thi ke uss ka bhai uss ke peeche bhi uss ki baate karta hai.
Urvi(Smile): Yeah! I'm feeling a bit Tired and stressed.
Tsubame: I Suggest trying some Meditation to help you relax and reduce your stress levels! Are you willing to give it a try?
Urvi: Sure!
Tsubame: Great! close your eyes, and take a deep breath in through your nose, filling your lungs completely. Then exhale slowly through your mouth, pushing all the air out. Repeat this a few times, focusing on the sensation of your breath moving in and out of your body.
Tsubame Urvi ko wahan busy rakhne lagi wanhi Aarav Tsubame ki batayi Exercise karta raha, Kuch samay Urvi ko samjhane ke baad usse Continue karne ka keh ker Tsubame wahan se Aarav ke paas aa gayi.
Tsubame: Agli baar apni behan ko saath mat lana! Aur ye pakro.
Tsubame thore sakht andaz se Aarav se boli aur ek marble Aarav ko pakra dia.
Aarav: Ye kia hai?
Tsubame: Ye ek Stat Measuring Artifact hai! Ek player ko reward me mila tha ye, Adarsh ne bohat mushkil se ye kuch dino ke liye udhaar lia hai, Aj subha ye he lene gayi thi main, iss ko haath me pakar ker apna status open karo.
Aarav ne dobara uss marble ko daikha jo dikhne me bilkul sadharan Marble lag raha tha, Lekin agar Tsubame ne kaha tha to wo koi Sadharan Marble nahi ho sakta tha.
Apne haath me uss marble ko pakar Aarav ne apne status ko khola, Ye daikh wo heran ho gya ke ab uss ke status me stats point ke saath aur bhi number likhe huwe the.
![]()
Aarav: Wait! Strength 18? Abhi tak main sirf 18 Strength Use ker raha tha kia?
Tsubame ne haan me sar hila dia, Aarav ko apne lari wo sab larayi yaad ane lagi agar wahan Will to live aur Isabelle na hoti to Aarav kabhi bhi zinda wapis nahi aa sakta tha.
Tsubame: Ab tumhe apne real Stats pata lag chuke hai to tum apni Exercise shuru ker sakte ho! Tumhe kuch khaas nahi karna Gym me, Sirf ek Body builder ki tarha Weight exercise aur muscle strength barhani hai.
Aarav ne haan me sar hila hami bhar di aur Tsubame ki batayi Exercise karne laga, Ane wali larayi kanhi se bhi Easy nahi hone wali thi aur shayad akela Aarav kafi bhi na ho, Wo sirf dua ker sakta tha ke agli baar jab sab mile to aur bhi zada mazboot ho sab ke sab
****
Virtual Training Room
South Korea~ 3:49 AM
*Whooosh*
Yoo-Jung ne apne saamne ate ek badhe danav ki taraf ek knife pheenki aur tez kadmo ke saath peeche ho gayi, Uss ke saamne 30 ke kareeb aise danav the jo size me kisi haathi ke jitne bare the.
*Clannggg*
Ek monster ne ek Pathar uthate huwe Yoo-Jung ki taraf phenka lekin Yoo-Jung ne apne haath me pakre dagger se uss pathar ko beech se kaat dia, Bacha huwa tukra neeche girta uss se pehle he Yoo-Jung tezi se bhaagte huwe uss pathar per kadam rakhte huwe hawa me uchal gayi.
*Swishhhh*
Yoo-Jung ne hawa me he apna Bow nikalte huwe apne neeche wale 3 Monster per Aim karte huwe Arrow shoot ker diye, teeno apne nishane per lage.
*Gasping*
Yoo-Jung baki Monsters se bache huwe ek taraf Zameen per khari ho gayi, Uss ki saanse bhaari ho rahi thi badan pura paseene se bheega huwa tha.
*Ding*
Ek alarm jaisi awaz wahan goonji aur Yoo-Jung ke saamne ke wo sab danav gayab hone lage, Wo sab holographic Monster the jin ke andar Machine thi jo Yoo-Jung per attack ker rahe the.
Ye intelligence ka players ke liye tayar kia gaya Virtual Training Center tha, Yoo Jung ne upar ek Window ki taraf daikha jahan kuch log khare huwe the.
“Yoo-Jung! Tum ne khud ko bohat zada Exhaust ker lia hai, Tum pichle 2 Ghante se lagatar training ker rahi ho, Abhi ke liye ek short break lete hai”
Wahan speakers me Kijoong ki awaz goonji jo upar Control Room mr baitha huwa tha, Yoo-Jung pichle 2 Ghante se lagatar training ker rahi thi lekin uss se pehle bhi uss ne sirf 1 ghante ka rest lia tha 4 Ghante ki training ke baad.
Yoo-Jung (Panting): Main abhi move ker sakti hu! Ek 30 Minute ka round aur uss ke baad break lete hai.
Yoo-Jung ki zid ke saamne Ki-joong bhi kuch nahi ker sakta tha, Jaisa Yoo-Jung ne kaha tha waise he uss ne ek aur Round ki tayari shuru ker di, Lekin wanhi dusri Window per Yoo-Jung ko koi aur bhi daikh raha tha.
“Jinhoo”
Jinhoo ki nazro me Yoo-Jung ke liye gussa tha, Haath me ek Wine glass pakre Jinhoo sirf Yoo-Jung ko train hote daikh raha tha lekin Yoo-Jung kibhar growth se uss per pressure barhta ja raha tha.
“Ye larki alag hai!!!”
Jinhoo ke saath khare ek Admi ne apni Wine ka sip lete huwe kaha, Jinhoo ne garajti nazro se usse daikha to saamne khare larke ke roongte khare ho gye.
Jinhoo(Meancing): Tumhe kis ne bola ke mujhe iss larki ki tareefe sunao? Meri naat ache se apne dimagh me bitha lo Chang! Agar aage se mere saamne aisa kuch kia to Duniya se apna akhri alvida kehne ke baad karna.
Chang: Yes Sir!
Chang ke haath kaanpne lage the, Jinhoo sab se pehle Player hone ke saath One of the strongest Player me se ek tha, Uss ki power ki wajha se he High position wale bhi uss se baat karne se pehle 2 baar sochte the.
Lekin Yoo-Jung ke ane se cheeze badal rahi thi, Yoo-Jung ki growth speed se pata lag sakta tha ke wo waqt zada door nahi hai jab Yoo-Jung ki power Jinhoo ko cross ker jaye gi, Aur jab aisa ho ga to high position walo ke paas Jinhoo ke liye ek strong weapon mil jaye ga.
Jinhoo: Jo kaam tum se kaha tha wo ker dia kia?
Chang: Yes Sir! Ye rahi Yoo-Jung ke saath gye sab Players ki information.
Chang ne ek file Jinhoo ko pakra di, Jinhoo ne Wine ka glass side per rakha aur Files ko parhne laga.
Chang: iss baar bhi 6 Log Tutorial Tower me gye the! 4 Larke aur 2 Larkiye, Lekin un me se sirf 4 Wapis aye hai, Ek Nigeria ka Army Officer Andrew aur India ka ek Athlete Shubham Tutorial Tower me mar gye the.
Jinhoo: Aur bakiyo me se koi kaam ka hai kia?
Chang: Un me se ek PSIA ka officer Daisuke hai! Hum agar koshis bhi kare to uss ko apni side nahi laa sakte wanhi ek aur larki Isabelle Daisuke ke Under hai, Hum un dono se koi kaam nahi le sakte.
Jinhoo: Phir hamara shikaar Hume mil chuka hai! Vansh Sayani.
*****
Sayani Mansion
New York ~ 7:16 PM
Urvi kuch der meditation karne ke baad he Tsubame ki baat maan ker rest karne chali gayi thi, Wanhi Aarav pichle 6 ghante se lagatar paseena baha raha tha, Shuru me to Weight exercise usse mushkil lagi lekin 2 Ghante ke andar andar Aarav ke liye wo exercise easy ho gayi.
Tsubame: Aj ke liye itna bohat hai! Abhi ke liye tum ja ker khana khaa sakte ho, 9 Baje mere kamre me aa jana.
Tsubame Aarav se kehte huwe baahir nikal gayi, Aarav bhi khud ko fresh ker ke wapis chala gaya, Urvi khaana lagaye uss ka he intezar ker rahi thi.
Aarav bhi ja ker saath baith gaya aur khaana khaane laga, Raat ka khana bhi ghar se Archana ne bana ker bheja tha lekin wo jaldbaazi nahi karna chahti thi iss liye wo khud nahi ayi, Abhi bhi Aarav ko Archana ki kahi baate yaad aa rahi thi.
“Ye sab khatam hone ke baad tum dono hamare saath raho gye! Adarsh se baat ker li hai main ne, Abhi ke liye sirf tumhari safety ke liye wo ye nahi ker sakte”
Urvi bhi pehle se fresh lag rahi thi, Lekin usse abhi bhi Araam ki zaroorat thi, Khana khane ke baad Aarav ne Urvi ko kamre me bhej dia aur Julia ko uss ka dhayan rakhne ka keh dia.
9 baj chuke the Aarav bhi Tsubame ke kamre me chala gaya-
*Knock* *Knock*
Darwaze per dastak di to Tsubame ne aa ker Darwaza khol dia, Aarav andar gaya to pure kamre me andhera tha sirf kuch candle he jal rahi thi aur saamne ek LCD per kuch khula huwa tha.
Tsubame: Apne kapre utaaro!
Aarav(Shocked): What???
Tsubame: Galat mat samjho! Hume tumhari body ko fighting ke liye adjust karna ho ga, Tumhare kapro ke saath ye mushkil ho jaye ga aur time bhi zada lage ga.
Aarav: Lekin....Kuch aur raasta nahi hai kia?
Tsubame ne Aarav ki taraf sard nazro se daikha, Uss ke chehre se bilkul bhi nahi lag raha tha ke wo mazak ke mode me hai.
Tsubame saamne rakhi LCD ke paas gayi aur uss me kuch open karne lagi.
Tsubame: Tumhe pata hai Aarav! Main kal se tumhe daikh rahi hu, Tum me mujhe talent to dikh raha hai lekin tumhari motivation bohat kamzoor hai.
Aarav: ???
Tsubame: Tum ne bachpan se bohat mushkil Zindagi guzari ho gi! Main samajhti hu pehli baar aisa ho raha hai ke tumhare saath sab kuch acha ho raha hai, 1 achi job mil gayi tumhari behan ke treatment ki pareshaani khatam ho gayi log tumhe attention de rahe hai, Main samajhti hu tumhare liye ye sab naya hai, Lekin-
Aarav(Gulp): Lekin????
Tsubame: Lekin tum ye bhool rahe ho ke ache din hamesha nahi rehte! Tum yahan ek kaam ke liye aye ho lekin tum apni zimedariya bhool rahe ho.
Tsubame ne screen per ek file kholi to saamne kuch Picture chalne lagi, Picture kuch alag alag families ki thi, Wanhi har picture me kisi per red circle bana huwa tha.
Tsubame: Ye picture daikh rahe ho! Sab khush hai in picture me, In picture me jin logo per red circle hai wo tumhari tarha he player the, Jo power ke nashe me itna andhe ho gye ke aage ane wali nayi Quest ke liye tayar he nahi huwe, Sab akhri lamho me sirf 1 baat soch rahe the ke sirf 1 aur chance mil jaye unhe tayar hone ke liye.
Aarav un families ke logo ke chehre ki muskurahat ko daikh un ki uss udaasi aur bebasi ko mehsoos ker paa raha tha, Aisa he kuch to uss ne mehsoos kia tha Alpha se larte waqt, Lekin wapis ane ke baad jaise wo dar kam ho gya tha uss ke andar.
Tsubame: Tumhari zindagi me abhi bohat kuch karna baki hai Aarav! Lekin tumhare paas sharmane darne ya khush hone ka waqt nahi hai abhi agar tumhe khush hona hai to uss Khushi ko kamana ho ga, To main aik baar phir keh rahi hu apne kapre utaari Aarav Arya.
Aarav ankhe band ker un lamho ko dobara yaad karne laga uss feeling ko jo uss ne dusri duniya me mehsoos ki thi, Aarav ne apne shirt utaari aur phir apna trouser aur underwear usse abhi bhi jhijhak mehsoos ho rahi thi lekin jaisa Tsubame ne kaha tha un ke paas waqt nahi tha.
Tsubame Aarav ke kareeb ayi aur neeche baith gayi, Tsubame ne apna haath Aarav ki jangho per rakha aur upar le jate huwe ek jagha ko pakar lia jaise jis jagha ko dhoond rahi ho wo mil gayi ho.
Tsubame: This is Going to hurt like Hell!
*Crack*
Tsubame ne ek jhatka dia aur Aarav ke badan me dard ki lehar uth gayi jaise uss ki hadiye toot gayi ho, Aarav ki endurance bhi barh chuki thi Tsubame se maar kha kha ker, Yahan ane se pehle Aarav ne apne stats dobara check kiye the jo sirf 1 din ki training se he barh chuke the.
![]()
Aarav dard ko bardasht karte huwe khara raha, Uss ko theek daikh Tsubame aage barhte huwe puri body ko adjust karne lagi, har baar dard ka koi hisaab nahi tha.
1 Ghante tak Tsubame ne dhayan se Aarav ki puri Body ko adjust kia, Aarav ki tez healing ki wajha se dard khatam hone laga aur uss ki body khud ko Adjust karne lagi.
Tsubame(Smile): Great! Ab tum tayar ho aone andar inner ki jagane ke liye.
Aarav: Inner ki! Inner ki sach me hoti hai kia?
Tsubame: Tumhare saath jo kuch huwa uss ke baad bhi tum ye puch rahe ho?
Aarav: Sahi keh rahi hai ap!
Tsubame: Inner ki aj ki duniya me sirf kuch Families ki bloodline me he hoti hai! Lekin ek sage level Inner ki master kisi me bhi inner ki awake karne me madad ker sakta hai, Obviously sirf Initiate level inner ki ko jagane ke liye he kam se kam 6 Maheene lagte hai lekin tum ek system dhaarik insaan ho iss liye mujhe umeed hai ke tum in 20 dino ke andar Inner ki achieve ker sakte ho.
Aarav ko abhi bhi itna vishvaas nahi ho raha tha, Lekin Tsubame keh rahi thi to wo uss ko jhutla bhi nahi sakta tha aur jaise Tsubame ne kaha tha shak karne ka waqt nahi hai un ke paas.
Tsubame: Neeche baith jao aur jo bhi ho jaye peeche mat daikhna.
Tsubame Aarav ke peeche chali gayi-
Tsubame: Apne haath ki Ungliyo aur angoothe se ek diamond shape banao, Aur ankhe band ker ke apna dhayan uss me lagao.
Aarav ne apne dono haatho se Diamond shape bana ker ankhe band ker lo aur dhayan lagane ki koshis karne laga, Bachpan me he Aarav aur Urvi ki Maa ne unhe Meditate karna sikhaya tha.
Aarav ko apni peet per 2 haath mehsoos huwe jo Tsubame ke the per un haatho me ek garmaish thi-
Tsubame: Tumhe tumhari body me kuch jaate huwe mehsoos ho raha ho ga! Usse ek direction dene ki koshis karo aur haatho ke beech wanha ikatha karo.
Aarav ko apni puri body me kuch ghoomta mehsoos ho raha tha, Lekin Aarav koshis karne ke baad bhi uss ko control nahi ker paa raha tha.
[Unique Ability (Will to live) Activated]
Aarav ke saamne Notification aya aur jaise wo apne hosh khone laga, Aarav ne apni ankhe kholi to wo kisi andheri jagha me tha wo kisi jagha per bhi khara nahi tha uss ki body hawa me Levitate ker rahi thi.
Achanak Aarav ko apne saamne kuch Orange roshni dikhi jo uss ke kareeb light ki speed se travel ker rahi thi.
Aarav: Ye sab kia hai?
Lekin Aarav ko koi jawab nahi mila, Wo roshni Aarav ke andar se bhi guzar rahi thi lekin usse nuksan nahi pohancha rahi thi.
[Analyzing Data]
Dobara Aarav ke saamne Notification aya, Aarav ka haath apne ap utha aur jaise uss ne ek roshni ko apne haath me pakar lia ho.
![]()
Aarav: Kia iss ko he direction dene ke liye kaha tha Tsubame Sensie ne?
Aarav apne haatho ko hawa me lehra uss Roshni ko control karne laga, Us Roshni ka ek tofan Aarav ke gir ban'nna shuru ho gya, Aarav usse apne haatho ke beech ikathi karne ki koshis karne laga.
![]()
Uss ka pura badan jalne laga wo tapish bardasht ke baahir ho rahi thi, Aarav ka shareer jaise phatne ko ho raha tha lekin Aarav uss roshni ko ab choor bhi nahi paa raha tha.
[Hidden Unique Ability (Limitless Growth) Activated]
Aarav ke saamne ek aur Notification aya aur wo roshni shaant ho ker Aarav ke shareer me jane lagi.
[Congratulations on unlocking your inner ki potential]
[Initiate Level Inner Ki Achieved]
Aarav ke saamne ek aag jalne kagi jo dheemi thi lekin sakoon de rahi thi, Aarav ki puri body pressure se azaad hone lagi, Aur uss ki ankho ke saamne waapis candle ki roshni aa gayi aur wo Tsubame ke kamre me waapis aa gaya.
Aarav apni body ko pehle se zada mazboot mehsoos ker sakta tha, Usse pata lag raha tha ke wo uss Inner ki ko sach me Achieve ker chuka hai.
Aarav (Smile): Main ne ker lia: Tsubame-
Aarav peeche ghoom Tsubame ko wo khabar dene laga, Lekin Tsubame ke chehre ke rang he badal chuke the, Wo muh khole Aarav ko daikh rahi thi, Lekin uss se zada Aarav ke chehre ke rang urr chuke the.
Uss ke saamne Tsubame bina kisi kapro ke nangi baithi huwi thi, Uss ke 2 bare bare tarbooz Aarav ki ankho ke saamne the.
Aarav: Dobara svarg sidhaarne ka waqt aa gaya lagta hai!
.
.
.
.
.
.
[Aj ke liye itna he, Ye Update sirf aarav ke upar nahi tha iss me bakiyo ke baare me bhi dikhaya gaya hai ke un ki zindgiyo me kia chal raha hai, Internet issue ki wajha se Update 2 ghante late ho gya lekin finally tayar ho gya, 5.5K words ka update hai umeed karta hu ap ko Update pasand aye ga, Agar is update per 30 likes huwe to next Update saturday night ko aye ga, Milte hai agle update per tab tak ke liye, Sayonara!!!]