Rocky2602
Well-Known Member
- 8,232
- 15,701
- 189
Awesome updateaayan range rover me baith kar bahut khush tha. kisi chote bache ki wo khilkhilate hue car se bahar dekh raha tha. aayan jab chota tha tab wo paidal hi ghar se school jaya karta tha aur jab bhi wo kisi car wale ko dekhta tha tab uska bhi man karta tha car pe baite ka lekin use apni hasiyat ka pata tha aur wo apne sapne ko maar kar apne roj ke kaam me lag jata tha. aayan abhi gradduation ke 1st year me tha aur usne aaj tak jitni bhi padhayi ki hai badi siddat se ki thi. aayan ka bahut man tha 12th me science lene ka fir engineering karne ka lekin uski maa ne use apni kasam dekar 12th me arts karwaya aur fir 12th pass hone ke baad ab wo pass ke college se B.A. kar raha tha. aayan ko lagta tha ki uski maa us se alag nahi rah sakti aur na hi us se door rah sakti hai is liye aayan ne ye tay kiya tha ki gardaution ke baad wo state services ka exam dega aur apne gaav me hi noukari pakdega taki wo puri jindagi apne maa ke pass rah sake. khud ko aur maa ko is garibi ke daldal se bahar nikal sake. bechare aayan ko kya hi pata tha ki uski jindagi aur uska future uske haath me hai hi nahi. aaj aayan apne bade bhai ke liye bhi bahut khush tha. apne bhai ki tarakki pe use naaj ho raha tha. aayan bas khushi mana raha tha aur wahi aayan ki maa chaya bilkul shant si baithi hui thi. aayan ki maa is kadar shant thi jaise bhukamp aane se pahle dharti shaant pad jati hai. car chalti rahi samay gujarta raha. samay ke saath barish bhi dheere hoti chali gayi. shaam ho chuki thi aur car bhi apne gaav ke dahlij pe pahuch gayi thi. gaav me ghuste hi sadak pe sabse pahle ek bada sa haveli aata tha. aayan ko pata tha ye haveli is gaav ke ek bahut bade aadmi ki hai jo jadatar sahar me hi rahta hai. haveli ke saamne ek bahut bada gate tha jo aksar band raha karta tha jab bhi aayan thandi me aur garmiyon ki chutti me gaav aata tha lekin aaj wo haveli ka gate khula hua tha.
gate khula dekhte hi aayan haveli ki andar ki khubsurati ko dekhne laga aur khushi se apni maa se bola-maa maa dekho na haveli ka gate khul gaya hai. lagta hai haveli ke malik aa gaye hai.
aayan ki maa aayan ko dekhte hue bolti hai-haan beta aaj sachme haveli ke malik aa gaye hai. unke liye hi to ye darwaja khula hai.
karan bhi sadak par sidha na jaa kar car haveli ki taraf mod deta hai.
aayan turant bolta hai-karan bhaiya hum galat raste pe jaa rahe hai. humara ghar to aage hai.
karan muskura kar bolta hai-aayan ye haveli humlogon ki hai.
aayan itna sunte hi ajib si najron se karan ko dekhta hai fir bolta hai-karan bhaiya aap sahar me koi galat kaam to nahi karne lage hai na. itni badi gaadi. itni bada haveli. duniya me aisi koun si company hai jo aapko itna sara paisa de rahi hai. ghar ke kisi ne bhi aap se pucha nahi ki aapke pass itne paise kahan se aaye.
karan muskura kar bola-andar chalo jo bhi sawal hai sabke jawab khud hi mil jayenge.
car chalte hue haveli ke andar ghus gaya.
aayan shishe se dekha aayan ki dadi aur naani dono doudte hue aayi aur bahar se aayan ke taraf ka car ka gate kholi.
aayan utarne hi wala tha ki aayan ki daadi boli-ruko ruko aayu abhi nahi. ruko.
aayan car me hi ruk gaya. aayan dekha udhar se badi chachi doudte hue aayi unke haath me bada sa lohe ka gamla tha. jise wo car ke gate ke pass rakh di. use wo paani se bhar di aur full ke kuch patti usme daal di.
aayan ki dadi boli-aayu beta apne chappal khol kar apna pair sidhe is bartan me rakho.
aayan ko thoda ajib laga lekin uski daadi aur naani dono ye bol rahi thi to aayan apna purana chappal kholkar apna nanga paav us bartan me rakha.
aayan ki dadi aur naani uska pair paani me dhone ke liye jaise jhuki aayan turant apni dadi aur naani ka haath pakad liya.
aayan bola-aaplog ye kya kar rahe hai.
aayan ki dadi boli-beta ye to riti hai. tum bade ho gaye ho aur aaj pahli baar tumhare paav is ghar me pad rahe hai.
ye sunte hi aayan bola-dadi aaplogon ko koi lottery laga hai kya. aayan ki baat sunkar wahan moujud sablog hasne lage. yahan tak ki karan bhai aur aayan ki maa bhi hasne lagi. aayan ko sharm sa aa gaya.
aayan ki dadi aayan ka pair us paani se dho kar uska pair ek patle kapde se poch di.
uske baad aayan sabke saath ghar me aaya.
ghar me ghuste hi use samne ghar ke sabhi mard dikh gaye. aayan pahle jakar apne dada ji ke paav chua.
dada ji bole-khush raho beta.
fir aayan apne dono chacha ji ke paav chua. aur ant me wo apne bade bhai arun ke gale lag gaya.
aayan aaj bahut khush tha. aisa nahi tha ki wo aaj pahli baar gaav aaya tha. wo chuttiyon me aksar gaav aata tha lekin wo apni chuttiyan isi gaav ke ek chote se ghar me bitata tha. use aaj tak ye pata tha ki ye ghar kisi bade sahri babu ki hai. use to abhi bhi yakin nahi ho raha tha aur wo ye baat jan ne ko bahut utsuk tha ki akhir ye ghar inke parivaar walon ko mila kaise. ek baar to wo pucha lekin uski dadi uspe has di to wo fir se dada ji se puchne se sarma raha tha.
sham ho chuki thi. andhera akash me chane laga tha.
aayan ke dadaji aayan se bole-beta aaj safar me aaye ho thak gaye hoge. aaj aaram kar lo baaki baate kal karenge.
fir aayan ke dada sham babu arun ki taraf dekhe aur muskura kar bole-arun aayan ki jimmedari tumhari hai. aayan ko uske kamre me le jao.
arun mujhe bola-bhai chalo mai tumhe tumhara kamra dikhata hoon. aur wo mera hath pakad kar haveli ke andar sidhiyon se hote hue pahle floor pe le gaya aur ek kamre me le aaya.
kamra kaafi bada tha bilkul rajgharane jaisa.
arun bola-bhai aaj se ye kamra tera.
aayan ke man me to bahut se sawal the.
aayan bola-bhai sach sach batao na itna paisa kahan se aaya gharwalon ke pass.
aayan ki baat sun arun muskuraya aur bola-badi lambi kahani hai bhai. aaj tu aram kar le kal bataunga.
aayan bola-pakka.
arun bola-haan bhai pakka wada. kal bataunga. aaj aaram kar le. khana bhi tumhara aaj tumhare kamre me hi aa jayega. bas khana khana hai aur sona hai.
tabhi mai dekha dadi ek bartan me khana lekar kamre me aayi.
arun bola-lo dekho khana aa bhi gaya.
dadi khana ko aayan ke bistar ke bagal me pade bade se table pe rakh di aur aayan pass aakar baith gayi.
dadi boli-mujhe pata hai bachhe tumhare man me hazaro sawal hai lekin tujhe pata nahi hai un hazaro sawal ke hazaron jawab hai. bas tu sabra rakh ek ek karke sare jawab tumhe milte jayenge. abhi khana kha kar so jana thik hai.
mai bola-thik hai dadi.
fir mai table pe rakha khana wahi pass ke chair pe baith kar khane laga. khana khatm karte karte mera sar bhari hone laga. mujhe bahut nind sa aane laga aur mai badi muskil se haath dho kar bistar pe pad gaya.
aayan ke behosh hote hi kamre me sabse pahle dadi aayi wo mujhe hila kar dekhi to mai behosh tha. wo turant kamre se nikli niche gayi aur boli-bahu aayu behosh ho gaya hai. tu jakar jaldi se use check kar le.
dadi ki baat sunte hi badi chachi jaldi jaldi upar aayan ke kamre me aayi. uske saath hi aaye karan aur arun.
badi chachi karan aur arun ke taraf ishara ki aur dono pal bhar me hi aayan ke sare kapde khol diye. aayan ab bistar pe bas bilkul nanga sa behosh pada hua tha.
arun aur karan bina kuch bole kamre se nikal gaye.
badi chachi sabse pahle apne stethescope se aayan ka dhadkan check kari jo normal chal raha tha fir aayan ke haath pair ankh naak kaam mooh sabko achhe se check ki. sab chije normal thi jab aayan ki badi chachi achhe se aayan ke body ko check kar li tab wo kamre se nikli. karan aur arun kamre ke bahar hi khade the. badi chachi ke kamre se nikalte hi dono jaldi se kamre me ghuse aayan ko uska pura kapda pahna diye aur use kamre me sidha letakar kamre se nikal gaye.
badi chachi sidha niche aayi jahan dadi aur aayan ko do chachi ke saath aayan ki maa chaya bhi thi.
badi chachi boli-aayan bilkul healthy hai. uske sarir me koi bhi dikkat nahi hai.
fir badi chachi chaya ko gale laga ke bolti hai-tumne bahut achhe se aayan ka khayal rakha hai. hum sabko tum pe garv hai.
badi chachi ke mooh se ye baate sun chaya thodi bhavuk ho gayi. use bhi apne upar aaj fakra ho raha tha. pichle 18 saal ki kadi mehnat ka use aaj sarahna mila tha jo ek bade garv ki baat thi.
sablog fir apne apne kamre me sone chale gaye.
Awesome updatekahani sharmila dadi ki jubani continue....
Aayan ab pahle ke mukable thoda khush tha. use pata chal chuka tha ki uski maa ne use science kyun nahi lene diya. aayan bachpan se padhayi ke prati sincere tha. use lag raha tha ki uski maa chahti hai wo apne mama ke betiyon se padhayi me jada achha kare. aayan ne than liya ki wo apni maa ki ye khwahish jarur pura karega.
mai to aayan ke saamne hi baithi hui thi. aayan ke chehre pe thodi khushi dekh mujhe bhi achha laga.
mai aayan ko samjha lar pyaar se boli-aayu beta tum naha lo aaj se tumhe bahut se niyam follow karne hai.
aayan meri taraf dekh kar bola-thik hai dai. fir aayan meri baat mante hue kamre ke attach bathroom me chala gaya.
Is alishan mahal ka bathroom bhi alishan tha. bathroom me bathtub, jacuzzi ,shower sab chije lagi hui thi.
aayan to bathroom me ghuste hi impress ho gaya. humare yahan bathroom ki light bhi automatic thi. aayan jahan jata uske pass wali light apne aap hi jal jati baaki light band ho jati.
aayan ye dekh kar impress ho gaya. aayan khushi se bathroom me ghoom ghoom kar dekhne laga kahan jane se kidhar ki light jalti hai.
aayan ko ye nahi pata tha ki bathroom ke sare darwaje aur deeware shishe ki hai. ye aise sheeshe hai jisme bathroom ke andar se bahar kuch nahi dikhta sivay apne parchayi ke lekin bahar se sabkuch dikhta hai. bathroom me sirf jo latrine hai wahan pe parda laga hua hai wo bhi adha matlab sirf chati itna hight ka taki koi bhi latrine pe baithe to bhi uska sar dikh jaye. aayan andar aise bachhon jaise ghoom ghoom kar sab chije dekh raha tha aur mujhe is baat pe hasi aa rahi thi ki bechare aayu ko pata hi nahi hai mai sab dekh rahi hoon.
mai dekhi aayan sabse pahle apna pet khali kiya fir achhe se hath mooh dhoya fir nahane ke liye khushi khushi bathtub me jakar baith gaya. use bathtub me bahut maja aa raha tha wo pani me khelte hue naha raha tha.
jab aayan ka nahana ho gaya tab wo bahar nikla aur uske nikalte hi bathroom ka light band ho gaya aur andar pura andhera ho gaya jiske chalte aayu abhi bhi nahi jaan paya ki andar ka sab dikhta hai.
aayan ek towel me bathroom se nikla. aayan ka badan kam umra me bhi kafi achha tha. sach me chaya ne iska bahut khyal rakha hai.
aayan bahar aakar apna jo purana fata hua bag laya tha usme se kapda nikalne laga.
aayan ko sayad niyam pata nahi tha isliye mai aayan se boli-aayu tum aaj se ghar ke riti rivaj me ho aur tumhe wahi kapda pahan na padega jo niyam me hai.
aayan ye sunkar thoda chouk gaya.aayan bola-kya dadi kapda bhi niyam se pahan na padega.
mai boli-haan.
aayan bola-kya pahan na padega.
mai use ek drawer se loose patla half paint di wo bhi sada rang ka aur boli-aaj se kam se kam 18 din tumhe sirf ye half paint pahan na hai. tumhare liye aise hi 10 half paint laye gaye hai. tumhe sirf ye hi pahan na hai. aur kuch bhi nahi. upar tumhara badan pura khula hona chahiye uspar koi bhi kapda nahi hoga. niche bhi sirf ye paint hoga. iske andar bhi kuch nahi pahan na hai.
aayan ko ye ajib to laga lekin wo kuch bola nahi. aayan jab se yahan aaya tha sab chije hi ajib ho rahi thi isliye wo chup rahna hi behtar samjha. wo chup chap ek paint lekar gaya aur bathroom me jakar pahan liya. ab aayan sirf ek loose half paint me tha aur wo half paint dheela to kaafi tha saath me thoda chota bhi tha. muskil se wo aayan ke jangh tak ka tha.
aayan bola-dadi ab kya karna hai.
mai boli-ab wo kitab padhna hai jo bhaiya ne bola hai.
mai use boli-tum ye kitab padho tab tak mai aati hoon aur mai kamre se nikal gayi.
aayan ki jubani...
bua dadi to chali gayi lekin mujhe dada ji ne bola tha mujhe ye kitab ke 18 page padhne hai.
mai kitab nikala uspe bade bade letter me likha hua tha riti rivaj....
mai kitab khola to pahle page pe tittle likha hua tha "kispe kiska hak"
mai aage padhne laga usme likha tha " humara parivaar ek mahila pradhan parivaar hai. humare ghar ki jitni bhi chije hai jo dhan se judi hui hai unpe is ghar ke mahilao ka adhikar hai. agar kisi bhi mahila ko lagta hai ki ghar ka koi bhi purush is ghar ke niyam kanoon ko nahi manta to use jamin jaydaad se bedakhal karne ka hak sirf ghar ki mahilaye rakhti hai. agar is ghar ke kisi bhi insaan ka rista dusre parivaar me hota hai to us parivaar ki mahilao ka bhi is ghar ke dhan pe barabar ka hissa hoga"
ye padh kar mai bahut khush ho gaya. mai padhne laga to usme achhe se likha tha ki ghar ka dhan kaise batwara hota hai sab mahilaon me koun head hota hai. kiske pass sabse jada power hota hai is se mujhe ye to pata chal gaya ki agar yahi niyam humare ghar me bhi lagu hota hai to badi dadi is ghar ki sabse powerfull mahila hai. mai to bekar ka dada ji ko sabse powerfull samajhta tha in sabme 5 page nikal gaya.
chathe page se suru hua purushon ka adhikar. mai padhne laga usme likha tha "Is ghar ke niyam ke anushar koi bhi purush apne se choti umra ke stri ke jivan me dakhal nahi de sakta. koi bhi purush bina stri ke marji ke uske jivan pe prabhav nahi daal sakta chahe wo sri badi ho ya choti. ghar ke har stri ke pass ye hak hai ki wo apne umra se chote purush se kisi bhi prakar ki jayaj maang kar sakti hai aur purush ka ye kartavya hai ki wo unke ummidon pe khara utre."
ye padhte hi mai ghabra gaya kyunki ghar ka sabse chota mai hi hoon matlab ghar me dadi chachi koi bhi mujhse ghar ka koi bhi kaam karwa sakti hai aur mai mana nahi kar sakta. mujhe ab samajh aaya ye arun bhai ab itna shanti se kaise rahte hai. jab wo thode chote the to din raat badmashi karte the lekin sayad 18 ka hone ke baad wo isliye shant ho gaye kyunki wo darte hai koi unse bahut sara kaam na karwa le.
mai aage padha to usme likha hua tha "koi bhi stri apne parivar ke purushon ke saath bhedbhav nahi kar sakti lekin baat jab chun ne ki aaye tab jo ghar ka sabse chota hai wo ladla hai aur faisla uske hak me jana chahiye."
ye padhake mai khush ho gaya kyunki agar kaam mujhe aur arun dono ko milega tab wo kaam arun ko karna padega. mai chota hoon to mujhe fayda milega. ye sab sochte hue mai aaage padhne laga. aage 5 page me yahi baate detail me thi fir baaki ke 8 page me wahi kahani thi jo dadaji ne sunayi thi. ye kahani mujhe ajib lagta tha lekin mai kuch kar nahi sakta tha. is tarah aaj ke 18-page khatm hue.
