- 6,463
- 5,029
- 259
Ye kahani Ishikaaa ke dwara Xossip mein likha gaya tha, aab Xforum mein post karne ka permission mil gaya hai toh is story ka saara credit Ishikaaa ko jaata hai
" Pyaar , ishq aur muhobbat sirf aur sirf bhavishya ko barbaad karne ki Prakritik chaal hoti hai … ye wo agni pariksha hoti hai jise rachta to vidhaata hai par apni bewkoofiyon se usme rang ham ladke bharte hain … " yeh lines yaa yun kahein ki yeh naseehat maine Ravi ko di wo bhi tab jab usne mujhse valentine's day ke din apni pahli date par jaane ki baat mujhse bataayi …
" Gaurav bas bhi kar bhai tu … Jaane kaun se nakshtra me paida hua tha tu jab bolta hai ulta hi bolta hai … jab tujhe pyaar hoga uss din dekhunga ki tere yeh mahaan pravchan kitne kaam aate hain " … Ravi ne jhunjhla kar boli thi ye baat aur kyu nahi bolega use pahli baar pahla pahla pyaar hua tha aur mai uske hausle past karne me laga hua tha …
Doston pahli date ho ya pahla interview dono me haalat ek jaisi hoti hai … kaise khade hona hai , kaise baithna hai , kya bolna hai yahi nahi kitna bolna hai … iss sari baaton ka naa sirf kisaab kitaab rakha jata hai balki bakayda practice bhi ki jati hai … yani ki insaan ko ye pata rahta hai ki dono hi me " first impression is the last impression "…
" jis gaaw jana nahi uska pata kya poonchhna … tu nishchint rah ye pyaar ka rog ham jaise hath yogion ko nahi lagta hai …koi bhi aisi apsra abhi dhara par nahi utari hai jo iss Rishi ki tapasya ko bhang kar sake … " mai bhi kaise haar maanta … laga raha mai bhi apni baat ko apni thos daleelon se wajan dene me … par pyaar me insaan ki akal ghaas charne chali jati hai Ravi ki bhi chali gayi thi …
khair tay ho gaya ki wo shaam ko apni pahli date enjoy karega city mall me aur mai dosti nibhane uske saath jaunga … mujhe isi liye le jaa raha tha jisse mujhe dikha sake ki sirf mai pyaar ke khilaaf hoon jabki sara shahar pyaar me dooba hua hai …
February ki gulaabi thand barish aur baadlon ki awajaahi ki wajah se aur bhi khushnuma ho gayi thi … mai aur Ravi bike se city mall ki taraf chal pade … jab main road par pahunche to logo ki bheed dekh kar meri hasi chhoot gayi … aam taur par logon me itna utsaah kam hi dekhne ko milta hai …Heart shaped soft toys aur laal gulaabon sse bazaar pata pada tha aur hod lagi thi yuwaaon me ki kaun sabse pahle sabse taja gulaab khareedta hai … Ravi ne bhi kharida … mere hosh to daam sun kar hi udd gaye the … 501 /- me ek gulaab sala itne me to mera teen din ka khana aata tha par jaisa ki maine pahle hi bataya " Ravi ki akal ki ghaas ko pyaar roopi bhains ne char liya tha "…
Thoda aage badhte hi bheeshan traffic jam se samna hua … jaam lamba tha … gaadiya shayad kafi der se yahan fasi huyi thi … horn ka shor kaan faadne par amaada tha …
"sala ye traffic jaam mujhe bilkul nahi pasand hai … " Ravi jhunjhla gaya tha ,
" he he sahi baat hai kam se kam aaj to nahi lagna chahiye tha … Ravi the great ki official Date jo hai aaj … tu ek chopper kyu nahi udhar le leta Malya se … " maine gusse ka tadka mara ,
Ravi ko wahi chhod mai paidal hi aage badha jam ka kaaran dekhne ki garaj se … Thoda aage hi gaya tha ki jahan ka tahan jamm sa gaya mai … aankhein jis najaare ko dekh rahi thi uske aage swarg bhi feeka padd jayega … hawaa me gulaab ki khusbu bahut tez ho gayi thi …
Khoobsurat badi badi katthai aankhein jinme smmohit kar dene wala kajal laga hua tha … ghataaon se bhi kaale baal jo hawa ki wajah se udd kar uske doodh se safed chehre ko baar baar dhaank rahe the jaise usko mujh jaise logon ki najar se bacha rahe hon … jam me pareshaan wo baar baar idhar udhar taak rahi thi par mujh gareeb par ek baar bhi nazar e inaayat nahi ki usne … chatakh Laal jaipuri long skirt jisme jade kaanch ki chamak mere dil me basti chali gayi … uski har ek ada mujh par sau sau Vaar kar rahi thi …
Aisa naisargik saundarya aaj pahli baar saamne aaya tha mere … naa jaane kab tak mai waise ka waise khada uss nainpari ko apalak dekhta raha … Pata hi nahi chala mujhe ki kab traffic clear ho gaya aur wo dheere dheere door hoti huyi meri aankhon ke samne se ojhal ho gayi … wo to chali gayi par apne saath le gayi mera dil … pal bhar me hi mujhe samajh aa gaya tha ki aakhir ye pyaar hota kya hai … kyu sabhi iske liye marne maarne par utar jaate hain … ek behadd meetha sa dard seene me machal utha tha …
Khair "wo" to apni ek Jhalak dikhla kar kab ki chho mantar ho chuki thi jab ki mai abb bhi jahan ka tahan apne dil ko thame khada usi ore taake jaa raha tha Jis taraf wo gayi thi …
" bhai aaj ki hi date hai meri " … mere kandhe ko hilate huye Ravi ne kaha …
" ha haan to maine kab mana kiya chal … " meri awaaj me haklaahat aa chuki thi …
" tu theek to hai na Gaurav , aise baukhlaya hua kyu hai jaise koi ajooba dekh liya ho … " Ravi ne kaha.
" Ajooba hi to thi wo yaar …" ye baat maine khud se kahi thi to Ravi nahi sun paya …waise wo sunne ki haalat me tha bhi nahi kyu ki iss traffic jam ki wajah se wo bahut puzzled tha … mai beman se bike par baith gaya … Abb to meri haalat badi ajeeb see ho gayi thi … rah rah kar wo khoobsurat chehra meri aankhon ke samne ghoom jaa raha tha … kuchh hi palon me sara najaara hi badal gaya tha …
Abb tak jo pyaar mujhe total time loss lagta tha , kisi ki ek jhalak ne usi pyaar ke astitwa ko mere liye kautuhal ka vishay bana diya tha … ek ajeeb si bechani sawaar ho gayi thi mujh par … use baar baar sochne ke siva kuchh bhi achha nahi lag raha tha … uske deedar ki hasrat liye sare raaste mai sabhi ke chehron ko mustaidi se jhaank raha tha par wo nahi dikhi … kayi chehron ne meri iss taak - jaank ka aankh aur naak fula kar sakh virodh bhi kiya par meri khoj jari thi … aise hi sabhi ko ghoorte huye Kuchh der me mall ki parking me bhi phunch gaya …
" abb utrega bhi bike se ya isi par baitha rahega … tujhe hua kya hai Gaurav … " Ravi abb mujh par khisiyane laga tha ,
" Kuchh nahi yaar pagal ho gaya hoon shayad … tu jaa kar aa mai tujhe yahi miloonga … " maine bujhe man se kaha .
" teri tabiyat to theek hai naa ? Koi baat nahi mai phir kabhi mil loonga usse … chal tujhe ghar le chalta hoon … " Ravi ne pareshan awaaj me kaha…
marta kya naa karta abb uski date to spoil nahi kar sakta tha … chal diya uske sath mai … mall ke bheetar ki sajawat aur raunak to aisa bhram de rahi thi jaise kisi swapn lok me aa gaye ho … ek se ek khoobsurt jode apni adaaon se ek doosre ko rijhane me lage huye the aur mai kudhh raha tha … kyu ki mujhe har chehre me meri pari girl dikh rahi thi …
" Gaurav wo rahi Deepti … " sagar ratna ki table no 24 ki ore ishara kiya ravi ne …
Samne ka najara khaufnaak tha … dhatt tere ki ye kya meri dhadkane rukne lag gayi … wo laal long skirt wali hi to baithi thi wahan … mujhe bahut bura laga … aansu niklne hi wale the ki mere just samne gulaabi rang ke salwar kurti me ek khoobsurat si ladki apne hoontho par muskaan liye aa khadi huyi … hi hello hua aur mujhe pata chala ki deepti to ye hain aur wo madam to inki saheli hain jo meri tarah yahan apne dosti ka farz ada karne aayi hain …
" Are Nandini aa bhi yaar … " Deepti ne thoda tej swar me use bulaya …
" h… haan aati hoon … " uski meethi awaaj ne mere kaano me shahad ghol diya … Nandini kitna pyaara naam tha uff …
wo kamar ko balkhati hui aa gayi paas uff kya chhal thi uski aise lag raha tha jaise koi nadi balkhati huyi bah rahi ho … uska aana mujhe dekh kar muskurana ye sab kuchh itna maadak tha ki mai to gash khate - khate bacha … uski har ek ada quyamat thi aur mai lagataar pyaar ke shikanje me kasta jaa raha tha … meri ye haalat Ravi se nahi chhip paayi …
" pata le bhai achhi ladki hai … " saale ne mere kaano shagoofa chhod hi diya , par mujhe gussa nahi aayi balki gudgudi si huyi … pichhle ek ghante ne mujhe itna badal diya tha ki mai apni hi baaton ki kaat bankar khada tha … khair Ravi meri aur Nandini ki jodi banane me jutt gaya … waise bhi doston ka yeh pasandeeda kaam hota hai shadi ram gharjode banne ka … mere dost ne bhi apna prayaas shuru kar diya …
" Nandini aap aur Gaurav saath ghoom kar aaiye tab tak ham thodi jaruri baat kar lete hain … " Ravi ne haule se muskurate huye kaha .waise Deepti Ravi ki baat sun chaunk gayi thi par Ravi ne shayad dhyaan bhi nahi diya …
" hainn … Ohkey par jald kariye apni baat waat mai jyada der nahi rukne wali idhar par "… Nandini ne bura sa muhh banate huye kaha …
Mai aur Nandini chal diye big bazar ki ore … sach kahoon to mujhe yakeen hi nahi ho raha tha ki kaise kisi ki ek jhalak meri jindgi hi palat kar rakh de rahi hai … kahan mai Ravi ki date spoil karne me laga tha aur kahan mere hi sapno ki mallika mujhe mil gayi … mujhe to baar baar yeh galat fahmi hone lag rahi thi ki mai apni date par aaya hoon par Nandini ka mujhe dekh kar chidhna meri gaflat ko door kar de raha tha … Wo mere sath to thi par uska muhh buri tarah ban gaya tha … wajah mai hi tha shayad … wo baar baar apni kalai par bandhi khoobsurat ghadi ko dekhe jaa rahi thi …
" Waise Aap bhi kisi se milne jaa rahi hain kya … " maine Nandini ko bechain dekh kar uski ghadi ki ore ishara karte huye poonchha…
" Ji nahi Mujhe in pachdon se koi matlab nahi … mujhe to dar lag rahi hai ki kahi koi mujhe yahan aap ke saath yun ghoomte naa dekh le , by god kaise fas jati hoon mai inn sab tantaram me … " Nandini ne apni badi badi aankhon ko gol gol nachate huye typical girlish style me mujhse kaha … jise aam taur par ham sab nakhre ya adayein dikhana kahte hain …
" kyu dar lag raha hai mere sath ghoomte huye … " maine muskura kar uska mood light karne ki garaj se kaha …
" dare meri jutti … mai bas in faltu ke jhamelo se door rahna chahti hoon … Deepti ki wajah se aa gayi mai warna pyaar , muhobbat ki bewkoofiyon ko mai apne thenge par rakhti hoon … " jab Nandini ne apna thenga dikhate huye kaha to meri hasi chhot gayi kyu ki aisa hi kuchh mai bhi subah tak sochta tha par is wakt mai khud me ek majnu ki atma ko develop hota mahsoos kar raha tha …
" kyu "
" kya matlab hai kyu … meri marji … aisi hi hoon mai… "
" padhai karti hain aap ? " Abb mere paas karne ke liye koi baat bhi nahi thi …
" jee haan … mai fashion designing ka course kar rahi hoon …"
" Oho to aap darji madam banne jaa rahi hain … " naa chahte huye bhi meri kainchi si jabaan chal padi … usne badi buri tarah ghoora mujhe aur aisa muhh banaya jaise mai koi bahut hi tuchh prani houn uske liye …
khair usne mujhe kuchh bhi jawaab naa dekar ye to sabit hi kar diya ki use jyada bahas pasand nahi hai … Aam ladkiyon se Bilkul alag thi wo … behadd khas si jiske saath ke liye shayad mai kuchh bhi kar sakta tha … uski har ada jindgi se bharpoor thi … mera dil kar raha tha ki mai abhi , yahi cheekh cheekh kar kahoon " Nandini I love you " par dar tha ki uski juttiyan uske pair ki jagah mere sir par naa set ho jayein… khair uske saath sweet corn aur coffee amrit ka swaad de rahe the … par wo deen duniya se bekhbar baar baar apni kalayi ghadi ko taak rahi thi…
" yaar aisi bhi kya baat kar rahe hain , aur kitna time lenge ye dono … " Nandini ne sir pakdte huye kaha …
" Valentine's day roj roj thodi aata hai , unn logon ke dil se punchho kitni shiddat se aaj ki date ke liye dono ne wait kiya hai … " maine thodi shekhi bagari , par hamesha ki tarah jyada ho gayi,
" yaar abb tum pakao nahi … waise bhi dimaag kharaab ho raha hai mera , waise bhi mujhe naa love par faith hai naa love guru ki baaton par " Nandini ne tunkte huye kaha.
" waise mai love guru nahi hoon par kya aap batayengi aapko pyaar se chidh kyu hai ? " mai khud subah tak jis pyaar ki khilafat kar raha tha abhi usi ke wajood ke liye ladaai kar raha tha ,
" kyu ki pyaar jaisa kuchh bhi nahi hota hai … filmo ne barbaad kar diya hai sabhi ko … kabhi socha hai ki kyu jo pyaar filmo me khulle aam hota hai wo haqikat ki duniya me kyu chori chhipe hota hai … kyu ki pyaar to ek aisa girgit rishta hai jiska istemaal sabhi alag alag tareeke se apne sukh bhog aur swaarth purti ke liye karte hain … Aaj kal ka pyaar to jism ki khoobsurti ko hi pyaar ki kasauti manta hai , aakankshao ki laashon ka ambaar hai aaj kal ka pyaar … waise bhi aatma ka bandhan to kabhi chori chhipe nahi hota hai …" Nandini ne naak bhau yun sikoda jaise pyaar ki baaton se badbu aa rahi ho,
" mai jyada to nahi janta hoon pyaar ke baare me haan magar ye wakai koi pavitra anubhooti hoti hai jo aap ke dil se sari nafrat ko nikal fenkti hai … jaruri nahi hai ki sabhi ke vichar pyaar ke baare me mujh jaise ho par aaj jitna mai pyaar ko jaan paya hoon shayad ye rishton ki oxygen hota hai jo rishton ki jindgi ke liye bahut jaruri hota hai … " Mujhe nahi pata tha mai kya aur kaise bol raha hoon.
" yeh baatein kitaabon aur lekhon me achhi lagti hain … asal jindgi me insaan ki izzat aur kaanch me jyada antar nahi hota hai … Palat kar dekhiye sirf dhoke ki dastaane milengi .…"
" log aksar pyaar ko apne aur so called judai ki dukh me doobe aashikon ke past se jodd kar ke dekhte hain aur past to darata hi hai … kya ye sahi hota hai… kya ek galat to sare galat ho jayenge ? " meri baaton ne use maun kar diya tha … mai khud nahi samjh paa raha tha ki kyu mai itni pairvi kar raha hoon pyaar ki …
Thodi der khamoshi ke baad wapas maine apni bak bak shuru kar di … thodi der me use bhi achhi lagne lagi meri baatein… jab tak Ravi aur Deepti aaye tab tak mai aur Nandini kam se kam dost to ban hi gaye the … Dil to kar raha tha ki aaj ki mulakaat kabhi khatm naa ho par wo chali gayi … meri bebsi use door tak jaate huye dekhti rah gayi … kuchh bhi nahi kah paya mai usse ki kya mahsoos kar hoon uske liye … par haan shayad ham dono ne ek doosre ko badal diya tha …
Uske jaate hi mera to haal bura ho gaya … pal pal bhari lagne laga mujhe … pahli najar ka pahla pyaar mere sir par junuoon ban gaya … har chehre me uska chehra bas gaya tha … abhi use gaye do min nahi huye the aur doosre mulakat ki tamnna bhi jaag gayi… Ravi ka hath kheenchte huye mai use parking me laya aur bike utha kar seedhe main gate par pahunch gaya … Ravi kya bol raha tha mujhe kuchh sunai nahi de raha tha par mai paglon sa Nandini khojne laga … aur fir se mera wakt thahra gaya … meri deewangi ne kuchh hi ghanto me mera naam aashiqon me shamil kar diya tha … usne jaate jaate aise palat kar apni khoobsurat muskaan ke saath dekha jaise ki use yakeen ho ki mai uske peechhe peechhe yahaan aa jaaunga …
ye pyaar nahi tha uski taraf se kam se kam mere liye to nahi tha … haan par yeh jarur tha ki pyaar par yakeen shayad ho gaya tha use … isi liye Deepti ko bol diya ki mujhe bata de ki uski sagai ho chuki hai … meri baaton ne use uske pyaar ke rishton ko jeene ke liye jindgi de di par mai tanha rah gaya tha…bheegi palko se mai use jata dekhata rah gaya..wo bhi palat kar meri or dekh rahi thi…man kar raha tha kash wo laut aaye.kaisi ajeeb vidambana thi..use dekhkar mai pyaar me pad gaya tha aur mujhase milkar use pyaar ka ahsaas hua tha..par ham saath nahi the..wo jaa rahi thi aur mai use rok nahi paa raha tha... dekha jaaye to 2-3 ghante kya hote hain ... lekin meri to zindagi badal gayi thi..shayad yahi pyaar tha."