• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-23(A)



Aizem Madhya Rastr ke Worrier galti se black hole me ghus gaye. Uske pichhe Serin aisi space traveller bani jo jaan bujh'kar black hole me ghusi... Aur ab Nischal...


Viman apni puri gati me thi. Takriban 2 din ke safar ke baad Nischal ussi position se black hole me ghusta. Target lock kar'ke Nischal hall area me aaya, jahan Orja viman ko bade dhyan se dekh rahi thi… "Kya hua, aise kya dekh rahi ho"…


Orja muskurati hui "kuch nahi" kahi aur aakar ek chair par baith gayi. Nischal bhi uske karib baith'kar, bayen ore se uska side face dekhte.… "Tumhe kisi ne aaj tak kaha hai ki tumhari shoorat dil ki gahraeyon me utarti hai"…


Orja, Nischal ki baat par muskurati hui.… "Aizem ka Sahjada jiski abhi-abhi jodiyan bani hai"..


Nischal:- Jhooti jodi.. aur meri jodiyan aisi hai ki mujhe maarne se hichkichaye nahi..


Orja:- Thik hai mujhe baat bhi puri karne doge ya fir pure waqt tumhe hi bolna hai...


Nischal:- Haan ji boliye...


Orja:- Thik hai ye batao ki tum mujh'par chance kyon maar rahe. Tumhari sacchi chahat to kahin aur intzar kar rahi hai na...


Nischal:- Aur tumhari sacchi chahat...


Orja:- Sachi chahat ke liye saccha insan bhi hona chahiye...


Kafi kuch kahna aur sun'na tha dono ko. Dono ke liye ek dusre ka pura jivan hi paheli tha... Baat shuru to idhar udhar se hi hui thi, lekin pahunch wahi gayi jahan pahunchni chahiye thi...


Orja kaun thi, kyon bahagi?? Kya hua tha, Hella aur Astak usse kyon nahi maar sakte?? Science exhibition me aise hi pahunch kaise gaye aur uss science exhibition me bina soche sidha humla kaise kar sakte the??


Ek sath sawalon ki puri bauchhar sun'kar Orja ki khili si hansi ki awaj charo ore gunjne lagi. Nischal khud bhi samjh nahi paya ki wo kyon muskura raha hai, lekin Orja ki khili si hansi ki awaj sun'kar wo bhi muskurane laga….


Nischal:- Ab nahi batana to mat batao, lekin hans kis baat par rahi ho, pahle wahi batao…


Orja apni hansi daba'kar Nischal ko dekhti hui ussi se puchh lee, kuch der pahle wo itna chintit aur pareshan kyon tha? Orja ki baat sun'kar Nischal wapas se mayus hote...


"Serin meri duniya hai. Wo musibat me hai aisa soch'kar hi dil bechain ho jata hai. Itne khatarnak safar par uss bewakoof ko akele nahi jana chahiye the na"… Nischal thode gusse aur thodi chinta jahir karte apni baat rakhi…


"Shayad usne socha ho, koi to surakshit rahe. Kya tum aisi paristhiti me hote to Serin ko chalne kahte"…. Orja ne napa tula javab diya...


Nischal uski baat par kuch der khamoshi se sochne ke baad sidha kitchen me chala gaya... "Tum kuch pina pasand krogi. Ya fir kisi planet par utarun viman, kyonki yahan na to jinda insan hai aur na hi janwar"…


"Yakkkk, main apne janak (pita) ki beti hun, kisi nich haiwan ki nahi"…


"Oh, matlab Hella aur tumhari maa ek hai, baap alag-alag"…


"Haan sahi pahchana. Haiwan, nagin, haramjadi.. apne hi bacchon ko nigalne wali chudail"… Maa ka naam sun'kar hi Orja puri tarah se bhadak gayi...


Nischal, Orja ka hath pakad'kar usse medical section me le aaya. Hathon me kapde thamate huye... "Kone me room hai, ja'kar kapde badal kar aao"…


Orja, Nischal ko hairani se ghurne lagi. Nischal usse dhakka dekar changing room ke ore bhejte... "Itna hairan hone ki jaroorat nahi hai. Yahan aise hi kabhi baat space ki hogi to agle hi pal khane ki baat. Yahan sab kuch random hota hai, jiska pichhli baton se koi link nahi hota. Jao ab" …


Orja ko ye haq jatana, kuch jyada hi achha laga. Wo mud'kar Nischal ko dhyan se dekhti hui changing room me ja'kar apne kapde badal'kat lauti... Nischal usse ek bed par letne bol'kar pass me lage kayi sare device ko check karne laga…


Orja, Nischal ko pyar se dekhti hui uss bistar par leti. Jaise hi wo leti, uski aakhen puri tarah se fail gayi. Sharir ke pure hisse me needle ghus chuki thi. Yahan tak ki aankhon ke ander tak needle ghusi thi aur palkon ko chhoti chimti ke jariye pura khol'kar rakha gaya tha...


Jaise-jaise Nischal pura body scan kar raha tha, usse puri jankari milti ja rahi thi... Lagbhag 3 ghante tak wo Orja ke puri body ka analysis karne ke baad 2 needle me kuch drug ko dal'kar Orja ke body me inject kar diya. Jaise hi drug sharir ke ander asar karna shuru kiya, uski aankh dhire-dhire bojhil ho'kar band hoti chali gayi aur Orja nind ki gahraeyon me thi...


Orja ki jab aakhen khuli, kafi gusse me wo bed se utar rahi thi. Tamtamayi laal aakhon ke sath wo sidha Nischal se bhirne hi jane wali thi, lekin pass me pade apne kapde dekh'kar wo thahari.


"Pahle mai taro-taza ho leti hun Viggo.. Fir tujhe main bhingo-bhingo kar marungi"… Orja apne mann me vichar laati chal di kone me bane bathroom me...


Auto-System wala ye bada sa viman, Viggo viman ki chhoti si copy thi. Jaise hi wo bathroom me ghusi, kinare se ek chhota sa drawer bahar nikla aur instructions aane lage, apne kapde isme daliye.


3 baar wo sandesh bol'kar chup ho gaya kintu Orja ne kapdon ko kinare kahin surakshit jagah rakh'kar, hospital ke kapde nikali. Fir badan par bache sare antah vastr nikal'kar, jaise hi shower kholne ja rahi thi.. Achanak hi charo ore bhaap hi bhaap fail gaye..


Aisa lag raha tha steam baath le rahi ho. Orja ek pal hairan to hui, lekin fir usse bhi aanand aane laga. Pahle steam baath, fir complete mud bath. Pura sarir hi jaise chip-chipi kichar se dhak gaya ho.


Pure badan par 3 inch mitti ki parat chadh chuki thi aur agle hi pal jama dene wali thandak. Tapman kitna niche gaya wo to Orja ko bhi nahi pata. Nahane ka aisa thrill Orja ne aaj tak kabhi anubav nahi kiya tha.


Nahane ke dauran usse laga ki koi pin pichhe se chubhi hai, lekin wo itna chhanik kal ka mamla tha ki Orja kuch samjh nahi payi. Sabse aakhri me Orja ke badan par pani ki fuhar padi, aur wo dono bahen faila'kar nahane ka aanad lene lagi.


Naha'kar jab badan sukha lee tab yaad aaya kapde, jo wahan the hi nahi. Orja padeshan thi, tabhi ek diwar ke kinare se ek drwaer khula aur awaj aane lagi... "Apne kapde sametiye"…


Yahan bhi aaschrya tha kyonki antah vastr yani ki innerware tak usme rakhe huye the. Orja ka nahane se dhyan toota aur usse samajh me aa gaya ki uske puri body ki maap kaun le'kar gaya hai. Fir aayi ek ajib feeling... "Kya sote me ye Nischal mere sath kuch.…."


Gussa wapas apne toofan par tha aur wo sidha mukhya hall me pahunchi, jahan Nischal baith'kar screen ko dhyan se dekh raha tha.… Orja teji se aayi aur ghuma'kar uske muh par ek mukka jama di.… "Aawwwwww".. ki ek dabi si awaj aayi..


Na na ye dard ki dabi awaj Nischal ne nahi nikali thi, wo to lagatar screen ko hi dekh raha tha. Side face par punch lagna aisa tha ki chehre par dust gir gayi ho. Bina screen se najre hataye Nischal ne dust ko saaf kiya aur kaam karta raha.


Ye dard ki dabi awaj Orja ke muh se nikli thi. Gusse me usne jama'kar ek ghusa to maara lekin ussi ki kalai ki haddi chatak gayi.…. "Tumne mere sath kya kiya wahan medical section me… aur kya sab kuch kar liya"…


Nischal apni najar utha'kar ek baar Orja ko dekha aur wapas apne kaam par lag gaya. Orja kafi der tak chinkhti rahi aur chillati rahi lekin Nischal ke kaan me ju tak nahi renga... Ant me gussa'kar usne screen ko hi phod diya, jise Nischal bade dhyan se dekh raha tha...


Jaise hi screen toota, Nischal apni lalaat sikode... "Ye kya kiya tumne"…


Orja:- Dekho main nahi chahti ki mai wo sab najare tunhare aakhon ke samne dikhaun jise mai Dark Universe me hi chhod'kar aage badhi thi...


Nischal:- Mai tumhe dhyan se dekh bhi raha hun aur sun bhi raha hun...


Orja, pass me para hua ek cup hath me pakdi hi thi… "Ruko chijen mat todo. Wahan tunhare liye juice rakha hai..… aaram se pi'kar dimag thanda karo aur apne gussa hone ka karan batao"….


Orja juice ki ek sip leti.… "Tunhare saath rangraliyan manane ke liye to kayi ladkiyan taiyar ho jati, fir bhi tum apni hawas ke liye mujhe yahan le'kar aaye"…


Nischal, kab usse ek thappad maar'kar apni jagah par baitha, Orja ko bhi pata nahi chala. Bus chatakkkk ki ek jordar awaj aayi aur gaal par hath the... Orja gusse me aakhen laal kiye kuch kahti ya karti uss se pahle hi...


"Tumhare betuke sawal ka sahi jawab chipka diya hun. Next sawal jaldi puchho"…


Orja, ghurti najron se usse dekhti…. "Tumhare maa ki chu..."


"Ae gali nahi warna achha nahi hoga"…


"Kamine, mujhe itni jod se thappad maar'kar gaye ho to kya karun mai. Tumhe marti bhi hun to koi asar nahi hota.… Mai asahay bechari, gaali na dun to aur kya kar sakti hun? Agli baar maara na, to aur bhi galiyan decode hui hai.. wo sab ek sath bak dungi"…


Nischal:- Achha thik hai lo kaan pakde... Lekin tum itne gusse me thi ki bina shock treatment ke tum shant nahi hoti...


Orja:- Kamine, madar..


Nischal:- Areee fir se..


Orja:- Bhut tej lagi hai mere gaal par.. mera dil jal raha hai...


Nischal:- Thik hai to ab tum kya chahti ho...


"Ruko ek minute.…"…. Orja kuch bhanpti hui kuch der tak hairan rahi... Wo dhime se kabhi bayen to kabhi dayen ghum rahi thi. Orja ki hairan najren Nischal par tik gayi. Bhavnayen jo iss pal ki thi, uske aakhon me nami aur chehra pura khila hua tha.…






X-----------------X---------------x




Ek faila jaal ki tarah tha Astak Samrajya. Astak apne uday kaal me hi itna kurur aur ghinauna tha ki apne hi bhai bahan ko jinda chaba'kar singhasan par virajman hua tha...


Kayi tarah ke takaton ko khud me samete huye Astak ne pahle khud ko majboot banane ki thaan liya aur khud ko majboot banane ke liye jaroori tha apni mansa kewal gupt rakhi jaye.….


200 raniya thi uski sabha ki. Jisme 6 pramukh raniyan hoti thi, jo majboot gene wali stri ki parakh karke, unhe raniyon me samil karti thi... Unke sath sambhog to ek maza matr tha, kintu jo baccha paida karne ki prakriya thi usme kafi jyada prayog hota tha...


Garv dharan ke waqt 3-4 prakar ke bij ko purn process kar'ke garv dharan karwaya jata. Iske natije kafi rochak huye aur Astak ki agli pidhi na kewal sakashm yoddha ki thi, balki Astak ke anuvansik shaktiyon ke sath wo aur bhi majboot paida hui.….


Apne bacchon me dikhi har nayi skahti ko Astak khud me nihit karne ki kshmta shuru se thi. Kyonki uska sharir bhi kosiskaon me toot jata tha. Ye kosika kisi bhi dusri kosiskaon ki copy karke un jaisa gun ko apnane me sakshm hote the…


Apni shakti ki chahat me Astak ne apna pura planet ke hi jiv ko pahle nigal gaya. Fir sakdon salon tak.… Majboot gulaam, kayi tarah ke kaal jiv aur khud ke bij ko mishrit karke garv dharan karwata raha aur janm liye baccho ke kosiskaon ko copy karke usse nigalta chala jata...


Apni purn shakti avlokan ke pachat usne fir apne planet ki aabadi badhani shuru ki... Dhire-dhire karke usne 1 lakh 80 hajar apne bacche jod diye aur aaj bhi har saal 50 apne bacche aabadi me jod deta hai...


Cross breed process ke liye pahle majboot gene wake gulaam aur kaal jivon ko rakha gaya tha.… Aabadi badhne ke kram me Astak ke core planet par uska next generation bhi prajanan ke liye taiyar the. Unke prajanan ki prakriya jab shuri hui tab bhi yahi cross breed paddhati apnayi gayi...


Jin bacchon me Astak ki tarah apne sharir ko koshikaon me todne ki kshmta thi, unhe sabse shresth maana jata tha. Aur jin bacchon me kewal apne se 10 hazar guna jyada vajan uthane ki kshmta hoti, usse sabse kamjor vansaj maana jata tha... Usse niche astar ka koi baccha janm leta to uski maa ya uska baap apne bacche ko hi nigal leta tha..


Ek generation ki aabadi Astak ke core planet par thi. Core planet par Astak ke bacche ne jab prajanan shuru kiya, tab Astak ne second generation ko dusre planet par basaya.. aur iss tarah se ek planet par ek generation basane ki vayvastha pranali shuru hui...


Aaj ke waqt me Astak ke kul 16 generation ki pranali hai. Yadi aaj ke samay me Astak ke core planet se ek saal me 40 hazar ucch paimane ke bacche ko dusre planet bheja jaata hai, to sabse aakhri ke planet se 40 carore uchh paimane ke bacche ek sal me 17we planet par bheja ja raha hai..


8 generation ke baad vansajon ke next generation basane ke liye numbring me khand bhi lagana par gaya tha... Jaise ki 9th planet par jab bacche bheje ja rahe the to saal bhar me 2 craor ki aabadi ja rahi thi… aabadi itna jyada thi ki 9th generation ke kul 2 planet the...


10th generation ke liye 4 planet. Aur aise hi karke abhi 17th generation ko basane ke liye kul 528 planet ko khali karwaya ja chuka tha. Aane wale 400 sal me to pura dark Universe hi kewal Astak ke vansajon ka hoga.


Jo sabse shresth bacche the.. Yani ki jo khud ko koshikaon me tod sakte the, wo ab tak kewal 5 the, jinme Hella sabse upar thi... Aur vansaj sena ki pramukh… vansaj sena kabhi kisi planet ko khali nahi karwane jate, balki vansaj sena ki mamuli 1000 ki tukdi hi bhadi se bhadi fauj ko maut ke saye me gher leti...


Itni badi aabadi kuch bhi kha sakti thi. Fir inke khud ke bacche kyon na ho jo inke hisab se durbal paida hote the... Astak Dark Universe ke 22000 planet ko jit nahi raha tha, balki wahan base duste prani ko kha'kar apni nayi aabadi basa raha tha…


Ab inhe prajanan ke liye gulamon ki jaroorat bhi nahi padti, kyonki 7th generation ko round kiya jata tha... Seventh planet ke vyask core planet ke sath prajanan ki prakriya ko aage badha sakte the...


So ab aisa round circle ka nirman ho chuka tha ki kewal nayi tarah ke khas gun wale bacchon ke liye core planet par experiment chalta… wahan safal hua to ussi ko aage sabhi planet par badha diya jata...


Orja, ki maa Astak ki 6 pramukh raniyon me se ek pramukh rani thi. Sabse kurur. Har 2 sal me ek baccha janne wali aur ab tak apne hi saikdon durbal bacchon ko nigal chuki thi...


Astak ki tarah hi Orja ki maa Arhcemia (अरह+सेमिया) bhi kafi kurur aur utni hi ghinauni thi. Wo sabhi raniyon me pratham thi, jiske pass shuru se hi Astak se jyada shaktiyan thi, jisme se ek tha teleportation.


Arhcemia hi eklauti aisi thi jo ek hi waqt me pure vansaj sena aur gulaam sena ke dimag se judi hui thi... Kul 5000 carore dimag ko ek sath wo apne dimag se jod'kar kayi tarah ke sandesh ek waqt me bheja karti thi. Aur bhi bahut kuch the jo teleportation ke jariye wo kar sakti thi.. Kul mila'kar Arhcemia wo chabhi thi jiske dum par Astak apna samrajya failaye the..


To Be Continued….
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-23 (B)



Ek Prithvi jiski 600+ caror ke insani aabadi hai. Dark Universe me prithvi jaise tajribn 1048 planet par kewal Astak vansaj the… Yadhpi har planet ki abadi alag-alag thi lekin wo nirantar pure raftaar me badh rahi thi.


6000 planet se har tarah ka jivan samapt kar diya gaya tha... Aane wale 40 sal me Astak ki gulaam sena pure Dark Universe par kabja kar chuki hogi. Agle 400 varsh me Dark Universe ke lagbhag 15000 planet par base gulaam praniyon ko nigal liya jaana hai aur utne hi awdhi me Dark Universe ka pura hissa kewal Astak ke vansajon ka hoga... Aur Arhcemia hi eklauti aisi chabhi thi jiske dum par Astak apna samrajya failaye tha.. Bina Arhcemia ke, Astak ke iss vansaj samrajya ki koi kalpna hi nahi thi…


Ye to jag jahir si baat thi ki jab 2 logon ke pass shaktiyan hogi to shreth kaun hai uski chunauti to hogi hi... Anant Kaal ke jivan bhog rahe Astak aur uske vansaj itne varshon ka jivan kaise ji rahe the wo rahasya to shayad kisi ko nahi pata, lekin itne takatwar log aapas me kyon nahi lad'kar marte. Kyon yahan shanti chhayi rahti hai.. kaise Astak puri chain ko maintain kiye tha, iske pichhe ka karan kewal aur kewal Arhcemia thi.


Arhcemia hi wo chabhi thi jiske dum par Astak ne sabko saman roop se anant Kaal ka jivan pradan kiya tha kyonki usse pura yakin tha ki yahan koi bagi nahi hai...


Ek planet par kabhi 2 vansaj nahi takraye aur 2 vansaj planet kabhi aapas me nahi takraye. Arhcemia ek jagah baithi aanant duriyon tak ke dimag se sampark kar sakti thi….


Arhcemia apne kai prajanan ke dauran 3 alokik bacchon ko janm diya. Ek Messa, dusri Hella aur sabse aakhri baccha jo kuch samay purv hi purn vyask hui thi Orja...


Apne dono bhai bahan ke viprit Orja complete pure blood thi..… Astak ke pass jab'tak teleportation tha, tabhi tak uska samrajya. Ye baat Astak aur Arhcemia dono hi jante the...


Hajar varshon ke kosis ke baad bhi jab mishrit jin se ek bhi teleportation ke kabil baccha nahi hua, tab pure breed ki khoj shuru hui. Arhcemia ko uss pure breed ke bare me pata tha, jiska samuday ke 200 pariwar jinda bacha tha. Sambhawtah yah Arhcemia ka paitrik samuday tha.


Itne kaal tak iss samuday ko bacha'kar rakhna aur uski pidhiyon ko niyantrit karke badhane ka kaam ye log kewal aur kewal inke gene ki wajah se karte the. Iss samuday ke gene me aksar hi chaukane wale parinaam diye the, Jisme se Arhcemia ki shakti to sabse adbhut thi aur kayi hazar varshon se Arhcemia ko uske uttradhikari ki talaash thi...


Lekin Na to Arhcemia ke paitrik samuday se koi bhi aisa baccha paida hua aur na hi unke gene ko copy karke mishrit gene banakar garv dharan karwane se koi fayda hua... Ant me faisla liya gaya ki Arhcemia ke sath purn sambhog ke jariye kuch kosis karke dekhi jaye...


Orja, Arhcemia aur uske pita ke milan ki teesri santan thi, jisme teleportation ki shakti hasil hui... Orja adbhut kshmtaon ke sath ek suddh breed thi, jisme kewal uske mata pita ke anuvansik (heredity) gun the.…


Jab wo paida lee, Orja ke pure sharir ki chamak alokik thi. Andhere me bhi wo kisi bulb ki tarah chamak rahi thi.… Astak ussi waqt Orja ki sabhi kosiskaon ko khud me nihit karne ke irade se apni kurur prakriya ke liye aage badha, lekin uski asankhya kosiska itna bhramit the ki 100 meter ke dayre se aage badhne ke bajay charo ore fail jate...


Ek kosis sabne karke dekh liya, lekin koi bhi safal nahi ho paya. Anth me yahi faisla hua ki Arhcemia apna milan ussi insan ke sath jari rakhegi taki Orja ke saman aur bhi bacche paida ho sake...


Dusri ore uss navjaat ko jab Arhcemia apni chhati ka dudh pilane ki kosis karti, tab Orja rone lag jati.… Stan ko muh se lagana to dur, Arhcemia ke sparsh se bhi wo rone lag jati... Aisa lag raha tha bhukh se hi wo mar jayegi.…


Iss bacche ko jinda rakhna Astak ki majboori thi, isliye anth me Orja ko planet ke dusre hisse me uske pita ke pass chhod diya gaya, jahan uske pita ke samuday ke takriban 10 pariwar baste the... Aur kayi kilometer tak kuch bhi nahi...


Orja jab ann khane layak hui, yahi takriban 6 varsh ki rahi hogi, tab usse wapas Arhcemia ki nigrani me laya gaya. Lekin wo chhoti si masoom fir se bilakhne lagi... Lakh jatan kiye usse khilane aur chup karwane ke. Lekin jab baat nahi bani tab Orja ke pita ko bhi core planet ke sabse ghinaune jagah, yani ki uss bhavan me laya gaya, jahan kewal Astak aur uski raniyan thi...


Orja mahal ka ek niwala apne halakh ke niche nahi utar sakti thi. Usse kewal wahin ke fasal aur unhi gayon ke dudh ka sewan karna tha, jiska sewan karti aayi thi...


Orja apne pita ke hi dekh-rekh me badi ho rahi thi. Uska haav-bhaav dekh'kar Arhcemia aur Astak dono hi chinta me the. Kayi hazar varshon se apne teleportation ko istamal karne ke karan Arhcemia apni iss shakti ko dhire-dhire kamjor hote dekh rahi thi...


Pahle jahan uska dimag Universe ke 30% hisse me teleportation kar sakta tha wo ghatkar 28% par aa chuka tha.. aur ye giravat Arhcemia nirantar apne ander mehsus kar rahi thi...


Wahin dusri ore lagatar wo Orja ke pita ke sath sambandh banakar dedh 2 sal ke darmiyan ek baccha to paida kar rahi thi lekin sab nirbal. Na to teleportation wala naya baccha mil raha tha, na hi Orja apni maa Arhcemia ke ore koi rujhan dikha rahi thi.


In sab baton se chid'kar Arhcemia ab yatnayen dekar apna kaam karwana shuru ki... Uske pita ko ghayal karna, Orja ko ghayal karna. Uss ke samne insani maans khana, yahan tak ki Arhcemia to apne navjaat ko bhi Orja ke samne hi ngal leti thi...


Bahut hi bhayavah daur tha wo..… Orja purn vichlit rahne lagi thi. Wah itni vichlit ho chuki thi ki 8 varsh ki aayu ke baad wo kabhi soyi nahi... Unki darandgi thi jo waqt ke sath kam hone ke badle badhti rahi aur Orja ne jabse apne jivan ki yaden sametna shuru ki, kewal karwahat hi samet'ti rahi.


12 saal ki aayu thi, jab Orja, Dreda ke sath pahli baar Dark Universe se bahar nikli thi. 20 logon ki chhoti si vansaj tukdi thi. Derda ka kahna tha ki yadi Orja apni teleportation se planet ke radar system ko divert kar de to kewal uski shaktiyan parakh'kar wo log wahan se chale jayenge, warna sabki laash girakar niklenge.


Orja ke liye koi muskil kaam nahi tha. Arhcemia, Orja ke pita ke gale par chaku rakh'kar uss se pahle bhi teleportation ka kaam karwa chuki thi aur uss dauran wo hazaron salon baad nind le'kar khud me taro taza mehsus karti thi. Jitne din wo nind leti uski teleportation kshmta aansik roop se restore hoti.


Haan lekin ye bhi satya tha ki Orja jitne din teleportation karti, utne din wo ek bhi lash nahi girne deti thi... Baharhaal Orja ko to uss science exhibition me kyon laya gaya tha usse khud pata nahi... Darsal Jaal mahal ke ek famous scientist jo ki Nischal aur Serin ke guru ke guru the unhe uthana tha…


Karan sadharan sa tha ki Orja ki surgery karke brain me micro chip insert karna, jis'se uska dimag puri tarah Arhcemia ke kabu me rahe... Sath hi sath kritrim technology ke jariye uske sharir par bhi purntah niyantran rakh sake...


Arhcemia kayi dino tak teleportation ke jariye aise scientist ko Dark Universe ke ander aur bahar dhundh rahi thi. Apni khoj ke dauran Arhcemia ko ek mukhya scientists jaal mahal se mila tha aur 2 anay scientists kisi aur grah se the. Teeno hi ek sath science exhibition me pahunch rahe the...


Inke alawa 2 scientists ko in logon ne Dark Universe me hi pakad liya tha... Science Exhibition wali ghatna me jab Nischal ne Dreda ko uski aukaad dikhayi thi, tab Orja viman se wo pura najara dekh rahi thi.... Nischal ka kaarnama dekh'kar Orja apni jindgi me pahli baar muskurai thi...


Khair science exhibition ka raaj aaj tak kabhi Orja ko pata nahi chala, kyonki Sabhi scientists ko bade safai se utha liya gaya tha. Medical technology ka experiment 4 dino tak chala tha, aur fir sabke samne pesh thi nayi Orja…


Aisa nahi hua ki uska dimag gulaam ho gaya tha, lekin wo Arhcemia ki hukam man'ne ko vivas thi... Medical technology ke macro chip device, Orja ke Central Nervous System ka pura control, Arhcemia ke hathon me de chuki thi. Jiske jariye Arhcemia na sirf Orja ko uske marji ke khilaf koi bhi kaam karne par vivas kar sakti thi, balki uska chalna-firna bhi pura control kar sakti thi... Orja mano insan na ho'kar koi remote ki gudiya matr rah gayi ho...


Uske baad to 12 saal ki umr me Orja ke hath-paun ko bejan bana'kar, machino ke bich bitha diya gaya. Halanki wahan Orja bhi machine se jyada kuch nahi thi, Jise Arhcemia apne hisab se control kar'ke teleportation ka pura kaam karwaya karti thi...


Uski zindgi pahle se jyada bhayavaah ho gayi. Har pal kahin na kahin koi na koi Astak vansaj, apne jaise inson ko noch raha tha. Usse jinda chaba'kar kha raha tha... Wo apni jagah se uth'kar bhagna chahti thi, lekin aisa kar nahi pati thi...


Kuch din purv ki baat thi. Arhcemia ek lambe samaay ke baad Orja ko chhuti de rahi thi, karan prajanan aur teleportation wali ek bacche ki chahat..


Dreda, Orja ke roop par fida tha aur tay yah hua ki pahle mishrit gene experiment hoga wo bhi naye anubhavi doctor ki dekh rekh me. Prajanan ke liye Dreda hoga Orja ke pahle prajanan ka partner…


Astak aur Arhcemia ke khel se anbhigya Orja, apne kaid khane se nikal'kar, kayi sau mil duri ka fasla tay kar'ke apne pita se milne pahunchi thi. lekin nasib me abhi dukh aur baki tha. Pahunch'kar pata chala ki uske pita to 2 varsh purv hi mar gaye, jiska pata Arhcemia ne chalne nahi diya...


Astak aur Arhcemia ke baad Orja eklauti aisi thi jo yahan ke pure system ke bare me janti thi. Ek pita ka moh tha wo bhi ab nahi raha... Dard aur ghutan se wo rona chahti thi, lekin darwaje par khada tha ek bhukha bhediya Dreda, jo dimag par purn hawas chadhaye sambhog ke liye pahuncha tha...


Orja ne teleportation ke jariye uss ke dimag ko divert karne ki kosis to ki, lekin Arhcemia us'par khas najar banaye thi... Arhcemia ne Orja ke CNS me lage micro chip ko oprate kiya aur uska sharir bilkul sthul (freeze) pad gaya.


Orja ke aakhon se aanshu bahte rahe. Gardan naa me hilte rahe, kintu uske najron ke samne hi Dreda ek-ek karke uske kapdey utarta ja raha tha... Topless karne ke baad Dreda jab uske stno se khel raha tha, Orja ki aatma tak ro rahi thi...


Tabhi Orja ne Arhcemia se sampark kiya. Wo minnaten karti hui, uss se bus ek baar milne ki ikchha jahir ki. Sath me roti hui yah bhi kahne lagi ki abhi wo apne pita ke sok me hai, isliye abhi ye sab kaam rok de.


Murdon ke sine me bhi dil ho sakta hai lekin ye jinda aur murda khane wale logon me bhavna kahan se aayegi... Orja ka girgidana Arhcemia ke liye koi manoranjan ho jaise. Orja jitni minnaten kar rahi thi, utni hi khuffnak saitani hansi Orja ke dimag me gunjti.… Koi raham nahi...


Dekhte hi dekhte Dreda ka hath Orja ke uss aakhri vastr par tha, jo Orja ke kamar se lipti hui thi... Dreda ka hath uss ore badhne laga aur Orja ajib si ghutan apne ander mehsus karne lagi...


Ghutan ho, jillat ho, gussa ho ya fir pita ke mirtyu ka sok.… Jo bhayanak najara Orja ne pesh kiya, shayad hi Arhcemia ne kabhi sapne me bhi socha ho… Teleportation sidha Astak ke dimag me... Na kewal dimag me, balki uske asankhya-kosikayen (uncountable celles) jo swatantr roop se sochti thi, un sab kosiskaon me wo ek sath teleportation kar rahi thi...


Astak asahay ho'kar pura apne dimag se divert ho chuka tha aur Orja usse 40 hazar mega watt wale power greed ke ore bhej chuki thi... Arhcemia chip ke madad se Orja ke dimag ke ander teleportation kar sakti thi… Uske nurvous system ko brek down karke, apne jagah se hilne nahi de sakti thi. Apne hisab se aadesh bhi de sakti thi aur uska paalan bhi karwa sakti thi. Ek master ki tarah usse pura control kar sakti thi.…


Lekin Orja jo iss waqt kar rahi thi wo Arhcemia ke kalpna se bhi pare the, kyonki Orja ab teleportation ke jariye Arhcemia ko hi pura ka pura divert kar chuki thi. Arhcemia ke mastisk ke ander ki har snayu tantu ne jaise dhun bajana shuru kar diya ho...


Orja ke CNS ko control karne wala chip ab tecnically Orja ke hi control me tha. Lagatar itni awazen Arhcemia ke dimag me ho rahi thi ki wo vivash ho gayi uske CNS chip ko off karne ke liye... Sar ka dard iss had tak badhaya Arhcemia ka, ki wo bhi Astak ke piche jane par vivas ho gayi... Dono ke sar ki nashom me itna bhayanak pressure sa mehsus ho raha tha ki unka sar ki har nerve blast kar jayegi... Dreda to kabka piche hat chuka tha…


Orja, Dreda ka viman le'kar wahan se urr chali. Jab wo vayumandal ke upar kuch duri par thi tabhi usne ek bada sa spark ki chhoti si jhalak dekhi. Kaleje ko kuch to thandak mil hi gayi thi, aur issi ke sath Orja Dark Universe ke purvi dwar se bahar aakar dakshin ke ore badh gayi… jahan usne apne viman ko aisi jagah utara jahan kisi bhi prakar ke jiv ka namo nishan nahi tha, Desert planet par……


Nischal aur Dreda jab aamne-samne the tab Hella ne apni bhasha me chilla'kar Orja ko chetavni de dali thi, yadi wo teleportation ka istamal karti hai to uska paitrik samuday ke sabhi jivit log ko wo nigal legi… lekin Orja ko bhi shayad yakin ho Nischal par, isliye usne javab me bus najron se sahmati jata dee thi...


X-----------------X---------------x

 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Ye jis tarah se tum nischal ke Prithvi lautane me deri kar rahe ho Na, ye bahut hi jyada galat baat hai.😤😤😤
Keep dhairya.... Sab pahunch rahe hain ... Aap dhairya bana kar rakhen ... Ek galti hui jo main sequal likha tha ... But don't worry ... Ab se no sequal ... Kyonki na to log kahani ko situation ko samjhne ki kosis karte aur upar se unko puri kahani pichhle kahani ke emotion me chahiye ... Ho rahe badlav aur chal rahi kahani se koi matlab nahi...

Koi nahi ab mind set kar liya hai ... Jald hi khatm karunga ...
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
behatrin update bro........
love on air.............romance ka kota pura or uska result bhi aa gya................
ab bari h rescue mission ki ..........serin or warriors ka rescue black holl se .............shayad kuch action bhi dikh hi jaye............
Hehe... Action lover ... Nahi thoda dhiraj rakhiye ... Sab hoga... :yo: :yay: :yo: ... Filhaal to rescue karne dijiye aur culture kaisa laga wo to bayaeye...
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
एक जोड़ी शादी जैसे पवित्र बंधन में बंधे गए, जिसकी सीक्रिटी प्रकृति के पाँच तत्वों ने भी दि। दोनों अपने आगामी जीवन में कदम बढ़ाते की एक नीच, स्वार्थी सोच वाला सुपरमाचिस के सरयन्त के चलते अपनी याददाश्त खो बैठे।

अब यहाँ से कहानी ने कुछ अलग ही मोड़ लिया।। हैरान कर दे , ऐसी रूप ली है सच में। वो जोड़ी , यानी जीविशा और निस्चल अब अलग हो चुके है। एक तरफ जीविशा ने व्योम को अपनी जिंदगी आने में दिया। अब अकेलेपन पन से वो कब तक जूझती । ऊपर से अब तक निस्चल का भी कोई आता पता नहीं की वो लौटेगा भी की नहीं । और तो और उसे इस बात को भी भली भांति जान चुकी है की निस्चल अपने ग्रह में शायद कई लड़कियों के साथ जोड़ीया बना चूका होगा। अब शायद ही वो लौटे । या इस बात को हम इस तरह से समीक्षा कर सकते है की जब याददास्त जाने की बहाने से, निस्चल इतने लड़कियों के साथ सेक्स कर सकता है यह जानतें हुए भी उसकी जोड़ी जीविशा से पहले ही बन चुकी है।। शादी हो चुकी है। तो जीविशा क्यूँ नहीं । वो भला क्यूँ अकेले पन का शिकार बने । क्यूँ निराश सी जिन्दगी जिये। इसलिये उसने भी एक प्रेमी की चाह में व्योम को चुन ली है।
दुसरे तरफ जीविशा की सोच को सच करते हुए निस्चल कई लड़कियो ने जोड़ी बना भी चूका है....
लेकिन यहीं पे एक ट्विस्ट है।।। जहाँ निस्चल ने इतने लड़कियों संग शादी कर ली ,वहीं जीविशा की अब भी यही सोच है की अगर निस्चल वापस आया तो उसी से शादी कर लेगी फिर से । व्योम तब तक ही है उसकी जिंदगी में जब तक की निस्चल न आ जाए। बात शादी की नहीं , बात अकेले पन को दूर करने की एक वजह....
इन्साफ़ के तराजू पे अगर टोला जाए तो लॉयल्टी और अपने साथी के लिए अपनी आबरू बचाये रखने की मामले में जीविशा का पलड़ा भरी है।
अब एक रीडर की यानी मेरी नज़र में शायद यह वो प्रेम कहानी न रहीं। और अब अगर निस्चल और जीविशा मिल भी जाए फिर भी कहानी रोमांटिक नहीं बल्कि अडाल्टेरी प्रेफिक्स की ही लगेगी । प्यार के लिए न कोई प्रतीक्षा, न कोई त्याग, न कोई बलिदान..... बस अपने मतलब के लिए हवस का खेल रचते रहो... और बहाना बनाओ याददास्त जाने की...
सो लगे रहो...
चलिए देखते हैं कि
अब ब्लैक हॉल में घुसेंगे की सुपर नोवा में यह
तो आगे के अपडेट में ही पता चले......
Brilliant update with awesome writing skills nainu ji :applause: :applause:

Every point to be noted .... Jald hi ye erotic adultary samapt karta hun ... Maaf kijiyega kirdaron se khildad ke liye
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
dekh lijiye. Abhi is story pe us kulta imli jikar bhar huyi thi.. itne se hi kya se kya ho gaya sabhi kirdaaro ke sath... jab wo kadam rakhegi is story mein to pata nahi koun si manhusiyat cha jaye....
nafrat hai us imli se... Wo bhi be-intihaan :dwarf:
Ji nafrat jayaj hai... Behaya hai bachaln hai aur charecterless bhi... Shayad hi aisi ladki is prithvi par ho
 

Chinturocky

Well-Known Member
4,398
12,820
158
Keep dhairya.... Sab pahunch rahe hain ... Aap dhairya bana kar rakhen ... Ek galti hui jo main sequal likha tha ... But don't worry ... Ab se no sequal ... Kyonki na to log kahani ko situation ko samjhne ki kosis karte aur upar se unko puri kahani pichhle kahani ke emotion me chahiye ... Ho rahe badlav aur chal rahi kahani se koi matlab nahi...

Koi nahi ab mind set kar liya hai ... Jald hi khatm karunga ...
Bhai aise comments isliye Kiya hai ke aapse chhedkhaani me maza aata hai aur kahani bhi mazakiya hai.
Ab Naya plot hai, naye kirdar hai to bhumika banane me samay lagta hai. Pata hai.
Isliye serious nahi hone ka.
 
Top