• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:-21



Digital Dolby sound in background. Lusty aur masti se bhara dhun pure Aizem me sunai de raha tha. Har gali, nukkad aur chaurahe ke badi-badi screen par Nischal aur uski charon jodiyon ki tasveer lagatar flash ho rahi thi.


Baki ladkiyan ka to fir bhi thik tha, wo sab apni aur Nischal ki jodi ki rating karne ki appeal kar rahi thi. Lekin charon me sabse aakarshit aur hushn pari Dhuri ne to apne aur Nischal ke romance ko rate karne ki appeal ki, jo kal raat sabke samne pardarshit hota...


Nischal, Dhuri ke pagal'pan ko dekh'kar sidha Serin ka hi gala pakad liya... "Areee maine kya kar diya. Ab uski tamanna hogi ki ek Viggo ke sath uska romance kaise raha, ispar log apni rai de... Isme tu aur mai kya kar sakte hain. Haan mai nahi dekhungi aur kya???"


Nischal:- Kuch dhang ki ladki nahi mili jo paglon ko pichhe laga dee...


Nischal aur Serin ki bhabhi Nova.… "Kyon ab jyada nakhre dikha rahe ho. Jao taiyari karo aaj raat ki... Man me umange jaag rahi hogi...


Nischal thoda sharmaya.... "Kya Nova"…


Khair Jodi tay hone ke agle din hi, andhere ke pahle prahar ki subh ghari me jodiyan banane ki rashmen nibhayi jati. Wahi takriban 6.30 baje shaam ke aas pass, aur ratri 11 baje se 3 din ka Divya nakshtr bhi lag raha tha. Aizem vashiyon ke hisab se naye jivan ke bij ankurit karne ka upyukt samay...


Pura Aizem hi jashn ke mahol me duba hua tha. Nischal ke sath, "khas sathi" ke role me Serin ne Orja ko dal diya. Orja ke liye yah mahol aur samaroh, sab naya tha. Wo yahan kisi ko janti bhi nahi thi. Jin bacchon ko janti thi wo apne masti me the. Jin worrior se thodi pahchan thi, wo rescue me gaye the. Bach gaye Nischal aur Serin.


Serin, Lobhu ke sath milkar pura management dekh rahi thi. Puri rajdhani 5 carore extra logon se bhada hua tha. Jis bade se raj-sahi maidan me inki jodi banti, wo apni kshmta se 2 guni bhadi hui thi. Takriban 30 lakh vibhinn grah ke aamntrit mehman uss maidan me the.


Maidan ke bich me 1000 meter uncha ek minar bana hua tha, jahan jodi banane ki puri rashm nibhayi jati... Minar ke upar bana golakaar kshetr, jahan puri rashmen hoti, wo lagbhag 800 meter ke redius ka tha. Yahan kewal ati khas log aur aas-pass ke grah ke shaskon ki hi maujoodgi rahti.


Rashm ki samapti ke baad, Nischal aur uski jodiyan, apne open raj-sahi vahan me, maidan se nikalte. Jodiyan mukhya raj marg se logon ka abhinandan swikar karte huye Aizem mukhya mahal me pahunchte, jahan Nova aur uska pati Sabaiyya, naye Jodon ko aashirwad dete...Uske baad Nischal ko agle 7 din ke karyakram ke liye Manoranjan bhavan me bhej diya jata aur idhar logon ki davat shuru...


Ab itna tight schedule tha ki Serin aur Lobhu puri vayvastha dekhne me lage huye the. Issi bich Serin ki najar Orja par gayi. Chup-chap akeli ek kinare baith'kar wo mahal ki taiyariyon ko dekh rahi thi… Koi yuvak Orja se baat karne bhi aata to Orja vinamrta-purvak samjha deti, "kisi aur se baat kar lo". Kul mila'kar Orja kisi anjaan see milna pasand nahi kar rahi thi...


Serin, Orja ka akela'pan dekh'kar uske karib pahunch gayi. Orja ko utha'kar ek sipahi ke pichhe jane bol dee aur Serin uss sipahi ko dekhti... "Nischal se kahna, Serin ne bola hai, 'jab'tak wo jodi ki rashm ke liye darpan ke pass nahi aa jata, tab tak Orja khud ko akeli mehsus na kare'. Aur kewal ek baar mat kahna. Meri baat Nischal se 2 baar dohrana aur dohrane ke baad kahna aaj ke samaroh me Orja uski "sabse khas sathi" hai, isliye Nischal ki "sabse khas" me kewal wahi jayegi… jao jaldi"

Serin ki baat sun'kar Orja pyari si muskaan ke sath usse samjhane ki kosis karne lagi, "Ye unka samaroh hai aur main kaise sabse khas ho sakti hun"… lekin Serin uski baton ko ansuni karti lagbhag aadesh sa de dee... "Kuch sun'na nahi mujhe tum jao"…


Serin ke iss jid par Orja bus muskura'kar apne aakhon se Serin ka abhivadan ki, aur usse gale lagane apna hath upar kar hi rahi thi, fir kuch soch'kar niche kar lee.. Serin uski jhijhak ko dekhti hui apni bahen faila'kar Orja ko gale lagati.…


"Tumhe sun'na kafi pyara lagta hai. Aisa lagta hai jaise kisi ki jhalak hai tumhare ander. Main jab sabhi kamo se fursat hoti hun to tumhare sath baith'kar aaram se baat karungi"…


Orja, gale lage hi.… "Maine aaj tak kabhi itna sukoon mehsus nahi kiya. Tumhara dhanywaad"…


Serin:- Ab mai jaun. Aaj subah se pahli baar mai ruki hun... Lekin ab jyada der ruk gayi to log chilla-chot kar denge. Aur haan, jise apna mano uske gale lagne se jhijhakte nahi...


Orja dhime se Serin ke kaan me shukriya kahi aur khila sa chehra le'kar us sainik ke pichhe-pichhe chal dee.


Nischal, doctor Sule se baat kar raha tha jab Orja uske khas kamre me pahunchi. Nischal apni najren Docter Sule se hata'kar Orja ke ore diya. Dono ek dusre ko dekh'kar chhoti si muskaan diye. Nischal doctor Sule ko ishare me rukne bol'kar…. "Shukr hai koi to aaya, Orja bus 2 minute baitho, abhi doctor ki baat samapt ho jayegi"…


Orja:- Mera to thik hai lekin ye jo sipahi sath me aaya hai...


Nischal:- Kya sandesh hai...


Sipahi:- Sahjade Serin ne inhe tumhare "sabse khas sathi" ke liye…


Nischal:- Haan thik hai... Lekin ye tum sena dress code me kyon ho... Yahan aur prabandhan bhavan ke sabhi sipahi ko to maine khas nimatran bheja tha...


Sipahi:- Sahjade wo..


Nischal:- Haan boliye, isme ghabrane jaisa kya hai...


Sipahi:- Sahjada wo worrier team me mera bhi 2 blood (bhai), Master Serin ke sath gaye the. Unki koi khabar nahi aayi..


Nischal chehre se maafi ke bhav late usse viman ke durghatnagrast hone aur worriers ke rescue mission ke bare me bata diya... Sath me Nischal ne yah bhi bol diya ki portal par information update kar dene aur unse sampark kar'ke mujhe bhi batate rahne, dhyan se.


Uss sipahi ke jate hi... "Orja baitho mere pass, Sule tum shuru ho jao"…


Sule:- Dekho Nischal ye mauka hath se na jane paye... Sex jab charam par hoga to dimag ki nashen khinchengi... Aur tumhe tumhare dimag ki nash khinchne ka pura mauka hai... Manoranjan bhavan me lagatar baar baar…


Orja:- Mai ja rahi hun…


Nischal, kuch pal me janme kamuk khyal se bahar aate.… "Kya hua, tum to aaj sabse khas ho mere liye"…


Orja:- Maaf karna, lekin tum dono ki baten mere liye thoda ajib hai... Upar se tumhari bhavna ko dekh'kar mera yahan rukna uchit nahi..


"Ek minute tum jara baitho"…. Orja ko baithne bol'kar Sule ke gaal par ek tamacha jadte…. "Mujhe uksana band kar, apni dawa de aur bhag yahan se. Baki dimag ki nashon ko jitna khinchne ki kshmta hogi, utna mai khinch lunga"…


Sule kayi tarah ke paudhon se mishrit ek tonic uske pass chhod'kar wahan se nikla. Nischal, Orja se maafi mangte.… "Pahle iss tarah ki baten mere liye bhi thodi ajib thi. Lekin jab se lauta hun, pata nahi kyon mai khud ko kitna bhi rokne ki kosis karun ek aakarshan sa bana rahta hai"


"Kya hum kisi aur vishay par baat kar sakte hain"… Orja wapas se asahajta dikhati hui kahne lagi...


Nischal:- Hmmmm !!! Maaf karna.. waise kuch aur kyon bus apna culture hi bata do. Jodi banana aur baki sare kaam..


Orja:- "Humare yahan sex sambandhit vishyon par baat karna purn pratibandhit hai… Wahan mishrit jodi ka culture hai. Ek purn jivan kaal me sambandh kewal prajanan hetu hi bana sakte hain. Aur wo apni marji se kisi se bhi bana sakte hain. Lekin sab char diwari ke ander hoga aur purv suchna maata ya pita me se kisi ko honi chaiye ki prajanan ke liye kiske sath sambandh bana rahe hain"..

"Halanki mujhe yahan sex sambandhit baton se koi parhej nahi. Par tumhare haav-bhav kuch alag the. Tum kuch jyada hi uttejit ho rahe the jo mujhe uncomfortable bana raha tha"…


Nischal:- Mai apni galti ke liye sharminda hun…. Ajib hai ye... Aisa lag raha hai jaise apne hi charecter se main khud khilwad kar raha...


Orja, muskura'kar uska hath thamti... "Chhodo ye, aur mujhe batao ki tumhari "sabse khas" bankar ja rahi hun, iska kya matlab hota hai"…


Nischal:- Iska matlab ye hai ki ek jhooti ban rahi jodiyon ka tum hissa hai.


Orja:- Lekin yahan to sambandh banane par koi rok nahi, fir ye jhooti jodi kyon banana...


Nischal:- Ab iska pura javab to Serin hi degi. Mujhe usne raaji kiya aur mai raaji jo gaya...


Orja:- Haan lekin iska fayda...


Nischal muskurate huye talne ki kosis karta raha, lekin Orja bacchon ki tarah jid ki hui thi. Nischal ko uski jid ke aage haar'kar puri baat batani hi padi. Serin ka wo aitihasik kadam jisme wo Viggo samuday ko sanrakshit karna chahti hai.


Orja ki hairani aur aaschrya ki tab koi seema nahi rahi, jab usse pata chala ki Serin Dakshat samuday ki ek ladki hai jo apne kattar dushman samuday ko sanrakshit karna chahti hai.....


Orja pahli baar iss sansar ko khud ki najron se anubhav kar rahi thi. Kafi khoobsurat tha. Orja jaise khud ko Serin aur Nischal ke bich juda hua mehsus kar rahi thi. Ek aisi dor jo dikh to nahi rahi thi, lekin Orja ko Nischal aur Serin se bandhe huye jaroor thi.…


Khair, Jodi banane ka mahotsav bhi shuru ho chuka tha. Nischal shahi-sawari par shahi-maidan me jane ke liye taiyar baitha tha, pratiksha to bus Orja ki ho rahi thi. Darasal dikhawe ke samaroh me Nischal nahi chahta tha ki uski "sabse khas sathi" samanya dikhe. Iss baar Nischal ne jid pakad liya aur kuch sewikaon ko bula'kar Orja ko pura taiyar kar'ke lane ke aadesh de dale...


Lagbhag 3 ghante ka antraal le'kar sewikaon ne usse taiyar kiya. Aur jab Orja taiyar ho'kar dhire-dhire kadam badhati Nischal ke ore pahunch rahi thi... "dhak-dhak, dhak-dhak, dhak-dhak"…


Nischal ki badi-badi aakhen Orja ke roop saundrya me ulajh gayi. Shayad ye najron ki mamuli uljhan nahi thi, kyonki Orja ko dekhne ke sath hi nichal ka haath apne aap hriday tak pahunch gaya. Badhi dharkano ki awaaj jo uske kaano tak pahunch rahi thi, usse apne hath se thap-thapa'kar thoda dhime shore karne ki gujarish kar raha ho jaise.…


Orja ke chehre ki banawat to shuru se hi itna pyara tha jo dil me utar jaye. Pahle aur iss waqt dekhne me aisa lag raha tha jaise roop chhipane wale mask ko Orja apne upar se utar'kar aayi ho...


Uska gore rang halka sunehra aur chamkta hua najar aa raha tha. Najren kisi bhi disha me rahe, khinch'kar Orja ke pass aap-rupi pahunch jaye. Halke laali me dube uske honth mano aakarshan ka kendr ho jo dil me gudguda sa ehsas paida kar de.


Kali gahri aankhen jaise tir ki bhanti ho. Orja apni najar utha'kar jo najre mila de fir duniya tham si gayi aisa pratit hota hai. Najren, Orja ki najron se mil'kar jam si gayi hai, aisa mehsus hota hai...


Balkhati chaal par jab aabhushon ki madhur awaj chalne ke sath aayi, uss alokik mahol me madhur sangit paida kar rahi thi. Fir dhire-dhire mehsus hota hai ki, jitni pyari chehre ki banawat hai..… Utni hi aakarshak uske badan ki banawat.


Aaj se pahle ye aakarshak banawat shayad Orja ke un jhulte kapdon ke niche chhipi rahti ho, jise wo istamal karti thi..… kintu badan se lipte kapdon me uske sharir ke banawat ki aakarshan aisi thi mano bade se bade Vishvamitra jaise tawasiyon ki tap bhang kar de...


Ek bhram jaal sa tha Orja ka roop-yovan aur Nischal ulajhta hi ja raha tha... "Sahjada, chalne ka samay ho raha hai"… Nischal ka dhyan kuch pal ke liye bhang hua, aur wo hathon sabko bahar jane ka ishara kar ke fir se Orja me khone laga...


"Uffff kya khili si hansi thi, dil ghayal ho gaya." Achanak hi Orja ke chehre par aayi khili si hansi ko dekh'kar, Nischal khud ko hi pratikriya dene laga... Lekin Orja ki hansi lagatar badhti hi ja rahi thi.… Orja apni hansi rokti... "Mai ja rahi hun wapas se apne wahi bhesh me aane"… itna kah'kar Orja teji se palti..


Tabhi 10 hath ek sath hawa me aur ek sath "nahi" ki awaj uss kamre me gunji. Nischal ka pura dhyan toota aur jab Nischal apne bayen ore dekha tab pata chala ki usse bulane aaye 10 log, sabhi Orja me khoye se the...


Nischal ghurte huye sabko bahar jane ka ishara karne lage. Kintu sabhi karmchari vidroh karte... "Sahjade jao jodiyan banao, mai isse rijha kar apni jodi banane ke liye manata hun"…


"Abhi nikle yahan se, ya mai daurna shuru karun"…. Jaan ka bhay roop jaal ke moh ko tod hi gaya aur sabhi karmchari bhage wahan se. Unke jate hi... "Galti unki nahi hai, ye sara maya jaal tumhare aakarshan ka hai. Behad khoobsurat kahna tumhare roop-yovan ko kam aakna hoga. Tum apni Half Hella se kahin jyada aakarshak aur khubsoorat ho."…


Orja:- Main isliye sajti sanwarti nahi. Aakarshan ka kendr ban jati hun…


Nischal:- Tum wakai khas ho. Kisi bhi ladki ko dekh'kar mera dil itni jod se nahi dharka, siway ek ko chhod'kar. Uske liye to jaroor dharka hoga... Aur dharakta rahega..


Orja:- Oh matlab koi khas hai tumhare jivan me...


Nischal:- Haan hai, lekin na to jehan me uski tasveer hai aur na hi uski yaden hain...


Orja:- Mujhe laga tum bhi mere roop me fisle. Haalanki fisle to kafi gahre lekin baten kisi aur ki kar rahe. Jaroor wo bahut khas hogi... Kintu sochne wali baat ye hai ki maine to suna tha.… Jab Sahjada Nischal purn sajkar nikalta hai to ladkiyan dil raah me bichha deti hai… lekin aaj ke utsav ke liye tum to aam dino se bhi niche star ke dikh rahe.. mamla kya hai...


Nischal:- Serin ka sab kiya hai, to wahi behtar javab degi... Filhaal chalte hai, waqt ho chala hai...


Nischal ek baar aur Orja ke roop ko apne jahan me utara aur apna hath aage badha kar usse sath chalne ka nimantran diya... Dono hathon me hath dale, chal diye..


Mukhya marg se jab khule vahan me Nischal, Orja ke sath ja raha tha, tab pahli jhalak ko ikkchuk yuvtiyon ne wahan par khaufnaak mahol bana diya...


"Booooooo, yakkkkkkk, nahi ye Sahjada nahi beharupiya hai.… Hume sahjade ko dikhao"…. Aur beharupiya samjh'kar utni hi galiyan bhi par rahi thi. Iss prakar ki pratikriya charo ore se aane lagi... Ab kya hi kar sakte the un bechari yuvtiyon ka, jo Nischal ko purn saje huye roop me dekhne ki kamna se, subah se itnzar kar rahi thi... .


Kya pilaya tha Serin ne pata nahi, lekin Nischal ka chehra iss prakar malin (rukha aur madhyam) para tha ki sabhi ladkiyon ke dil toot gaye. Jo aakarshan aam dino me hota tha, aaj khas din me to wo aam dino jaisa aakarshan bhi dur-dur tak nahi tha.… Sabko yahi lag raha tha ki Nischal ka koi behrupiya hai...


Wahin iske viprit ladke jo kewal rajdhani me muft ki madira aur ladkiyon ko tadne aaye the, unko jackpot lag gaya tha... Orja ko dekh'kar itne utsahit huye ja rahe the ki vahan ko rok-roka'kar Orja ko apna prem prastav de rahe the...


Sainik laakh rokte rahe, lekin launde to vidroh par utaru ho gaye the... 2 baje din ka nikla karwan minar tak sham ko sadhe 5 baje pahuncha... Pahli jhalak ko utsahit logon ne jab minar par Nischal ko dekha to yahan bhi ladkiyon ki wahi pratikriya hui...


Yahan tak ki Tiya, Miya, Apurvi aur Dhuri, apni aankhen badi kiye Nischal ko dekhti hui sidha bol dee.… "Ye sajis hai.. Nischal ki jagah kisi behrupiya ko jodi banane bheja gaya hai... Humara apman hua hai.."


Mamla bekabu hote dekh Serin aur Lobhu ne hast-chhep kiya. Sare proof diye tab ja'kar wo sab mane ki yahi Nischal hai. Fir baat uthi ki itne bhavya samaroh me ye kaise saj'kar nikla hai. Serin mamla sambhalti hui, vyang bhare shabdon me kah dee.…

"Saccha jodi banate waqt ek Viggo apne asli roop me rahta hai, baki dikhane ko to khud ko ye kuch bhi dikha sakte hain"…


Aise shabd sun'kar Nischal ke dushmano ke sine me jaise thandak ka ehsaas daal gayi ho Serin. Sab hanste huye bus Nischal ko dekh'kar itna hi kahte.… "Roopvan aakarshk Viggo Sigma ki pol khul gayi"…


Baharhaal jodi banane ki rashm ka purn samapan hote hi, Nischal ko apbe jodiyon ke sath Mahal bhejne ka prabandh kiya gaya aur Nischal ki "khas sathi" iss waqt Serin ke sath vapsi karti.


Aisa laga jaise rajmarg se puri bhid kahin gayab thi. Ladkiyan pahle wapas ja chuki thi aur ladke ab Serin ke pichhe the kyonki uske sath Orja thi.…


Bechari wo charo ladkiyan, jode banane ke rashm ke waqt niche se mil rahe ladko ke comment ko khud ke liye samjh'kar kuch jyada hi khush thi. Lekin jab puri bhid Orja ke pichhe gayi to unhe jaise jhatka laga ho... Man me yahi khyal aaya ki aaj main khas thi ya humari Jodi Nischal, ya fir wo ladki jo Nischal ki "sabse khas" thi...
Bahot hi shandaar, mazedaar, amazing, awesome aur dilchasp update hai nainu ji :10:
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,865
32,730
259
nice update ..serin ne orja ko nischal ka sabse khas saathi bana diya .
sule ko thappad maarkar sahi kiya 🤣..

orja ban sawarke bahut khubsurat dikh rahi thi isliye nischal usko dekhte hi raha aur 10 log bhi uski khubsurti me kho gaye🤩🤩..
hell se bhi khubsurat hai orja 😍😍..

aur ye nischal ne serin ne kya pilaya aur kyu jisse uska chehra murjhaya type ho gaya tha aur saari ladkiyo ke dil toot gaye 😁..
sabse khas sathi orja hi chhayi rahi sab ladko ke dimaag par 🤩🤩..
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
हेल्ला ~ हमें आपसे शिकायत न हुई न है न होगी।।
किसी और से मोहब्बत न हुई न है न होगी ; किसी और से ये चाहत न हुई न है न होगी।।किसी और की जरुरत न हुई न है न होगी। :kiss1:

निस्चल ~ बारह महिने में बारह तरीके से तुझ को प्यार जताऊँगा में,

बारह मिनट भी लगता अब ना तेरे बिन रह रह पाउँगा रे..... :balle: :balle:
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
हेल्ला ~ हमें आपसे शिकायत न हुई न है न होगी।।
किसी और से मोहब्बत न हुई न है न होगी ; किसी और से ये चाहत न हुई न है न होगी।।किसी और की जरुरत न हुई न है न होगी। :kiss1:

निस्चल ~ बारह महिने में बारह तरीके से तुझ को प्यार जताऊँगा में,

बारह मिनट भी लगता अब ना तेरे बिन रह रह पाउँगा रे..... :balle: :balle:
😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂😂

Je chhodi to lagta hai Hella ke sath taanka bhida ke rahegi
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting for next update :tantrum:
 
Top