• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,044
173
Final update :- 1






Lagbhag 2 ghantey baad viman madhya Antartica ke hisse me tha. Viman jaise hi wahan land hone wali thi, ek chhota sa sandesh unke pass pahuncha… "Mujhe dhundhne me itna samay kyon nasht karna, aa jao yahan"… sandesh ke sath location bhi share kiya hua tha…


Nischal uss location par viman ko utara. Charo ore bhumi barf ki chadar odhe thi. Nischal aur Jivisha ke liye to yah anukul mahol tha, kintu Serin aur HuYu ke liye ye bilkul bhi anukul mahol nahi tha. Halanki HuYu ab tak apne khanjar banane me hi laga hua tha, isliye uss tak garam kapdey pahuncha'kar teeno viman se niche utre....


Viman ke bahar unka swagat karne ke liye ek divya purush khada tha, jo apne badan par halke vastr dharan kiye huye aur uska pura sharir bilkul chamak raha tha.. apni dono baahen khol'kar unka swagat karte huye kahne laga… "Aao mitr"


Ek darinda jiski kahani bilkul gupt thi. Aaynek aur Masoori grah kewal iske vajah se barbaad ho gaye. Ek shatir apradhi jo khud ko prakriti ke barabar samjhta tha. Nischal ko to laga tha ki isse dhundhne me na jane kitne varsh lag jayenge. Lekin pahle Mahamahim ke dimag me ye raaj khol diya ki wo kahan milega. Uss ke baad jab wo log Antartica pahunche to khud hi apna location sajha bhi kar raha tha. Aur ye hairani ki hi baat thi ki wo khud samne khada hokar unka swagat bhi kar raha tha.



Surpmarich ko samne dekh'kar teeno hairan bhi the aur thode padesan bhi.…. "Kya hua, teeno kuch jyada hi hairan dikh rahe ho.".. Surpmarich ne puchha…


Nischal:- Dushman ke dwar khade hain aur dushman khud samne se itna meharban ho, wahi hume hairan kar raha hai..


Surpmarich:- Wo kya hai na dost main bhi Jivisha ki tarah filmon ka deewana hun. Haan lekin usme villan ka attitude mujhe pasand nahi aata. Yaar kyon itna bhag daur karta hai villan. Baith kar hero se baat karo, sare sawal jawab aapas me hi kar lo, aur fir final ladai lar lo… kam se kam jo jinda bachega uska samay to bach jayega..


Jivisha:- Kamal ka concept hai… isliye tumne Mittoso ke dimag me apna pata chhod aaye the…


Surpmarich:- Haan bilkul.. mujhe laga tum sab mere pichhe aa rahe ho aur mujhe bhi tum logon me dilchaspi thi, to socha kyon samay vyarth karna. Baith'kar ek baar aaram se baat kar lete hain, nahi to anth me ladai to hai hi.. Ab chalo bhi ladai se pahle ek chhota si mehman nawaji ho jaye..


Serin:- Bade hi shauk se..


Surpmarich:- Tumhara ek dost jo iss waqt viman me hai, wo bahar nahi aayega kya ?…


Serin:- Wo humare ladai ka hissa nahi hai…


Surpmarich ne teeno ko uske piche khade rahne kaha aur hathon ke ishare se command dete huye kahne laga…. "Computer ji ye puri jagah mere dushmano ke liye khol dijiye"…


Jaise hi Surpmarich ke muh se yah command nikla teeno ek dusre ka chehra dekh rahe the. Teeno ki najar aapas me ek dusre se mano kah rahi ho…. "Ye mamla kya hai.. ye Surpmarich aisa kyon kar raha hai".. Serin aur Jivisha to gusse me aage badhne lagi, lekin Nischal ne ishare me dono ko shant rahne ke liye kaha…


Teeno sidhiyon se niche utar kar, bade se mand me pahunch chuke tha jo Surpmarich ka gadh tha. Charo ore bahut sari pustak aur tarah-tarah ke nayab patthar jare huye the. Niche kayi tarah ke kund aur bahut kuch tha uss jagah me. Yahan kuch bhi aisa nahi tha jo banawti ho… har chij prakritik aur bilkul nayab tarike se khada kiya gaya tha ..


Surpmarich niche bhumi par ek sher ke chhal ke upar baith gaya aur teeno ko bhi baithne ke liye aagrah karne laga…. "Mitr main prakriti ke sath jina pasand karta hun aur apne ander pura prakriti samahit rakhta hun. Tum teeno ke man me kayi sawal hain, kuch sawal mere man me bhi hai. Aaj ya to main jinda bachunga ya tum teeno, fir jo jinda bache wo raaj se parda uthane ke liye mehnat kyon kare… chalo shuru karte hain, pahle apne-apne confusion ko dur kiya jaye"..


Nischal:- Tum lakhon varsh se aise hi dikhte ho kya?


Surpmarich:- Chhi Chhi.. nahi bhai sharir ki apni hi self life hoti hai. Jyada lambe samay tak ek hi sharir me rahunga to ye sharir hi galna shuru ho jayega, isliye jaroorat ke hisab se main apna sharir badlate rahta hun…


Jivisha:- Kaise, khud ki aatma kisi aur ke ander dal dete ho kya?


Surpmarich:- Nahi Jivisha aisa sirf filmon me hota hai. Naya sharir badlne ki puri prakriya hoti hai. Yun samjho Jivisha ki jaise tumhe Rani Vish Nilayani ki puri shakti mili hai, thik waise hi ye bhi hota hai. Bus fark itna hai ki tumhara dimag purn roop se tumhara hai, jisme pichhli jindgi ki koi yaad nahi. Lekin mere naye sharir me dimag bhi mera hota hai aur meri lambi zindgi jari rahti hai…


Jivisha:- Bore nahi huye ab tak iss sansar se..


Surpmarich:- Haan jab koi kaam nahi hota to bore ho jata hun, lekin kya karen ye achhe log mujhe bore nahi hone dete na. Koi na koi mere bilkul karib pahunch jata hai aur lagbhag maar hi chuka hota hai. Kintu main to prakriti hun aur bhala mujhe koi maar sakta hai kya?


Serin:- Tumhari ladai to tumhare dushmano ke sath thi fir tumne 2 grah ko aapas me kyon ladwaya tha…


Surpmarich:- "Acha sawal hai.. iske jawab ki taiyari main to kayi 100 sal pahle kar rakha tha. Socha tha itna bada kand kiya hun, koi to jimmedar mujh tak pahunchega aur mujh se ye sawal karega, lekin sale sabhi nikamme…"

"Viggo sochta raha ki uske tirtiya Viggo Sigma ne sab kiya hai aur Dakshat jo dimag me kafi kusal the, wo Viggo ko hi dushman maan'kar unhe khatm karne me lag gaye. Mere baap ka kya jata hai, maine bhi apna 1,2 anuyayi pakad liya aur bahar se baith'kar unki ladai ka maza lene laga…"


Serin:- Tumne itna bada faisla kewal isliye kiya tha na kyonki tumhe Viggo prajati Zoren grah par chahiye tha. Chunki Viggo ek shresth samuday tha aur tum apni anaitik baat manwane aur unhe Zoren grah tak nahi le ja sake, isliye pura grah hi tabah kar diya aur unhe Zoren aane par majboor kar diye the.


Surpmarich:- Tum dono (Serin aur Nischal) ka dimag ek kushal Dakshat samuday ka hai. Khair pahla hissa sahi hai, mujhe Viggo Zoren par chahiye the, lekin ye galat hai ki Viggo sabhi achhe hote hai.. ya fir sabhi Dakshat achhe the. Dekho har jagah achhe aur bure log hote hain.. maine kayi Viggo aur Dakshat ko corrupt kiya tha.. haan lekin mujhe jo Viggo Zoren par chahiye the wo corrupt nahi hua, isliye usse Zoren tak lane ke liye itni masakkat karni pari..


Nischal:- Aur fir Zoren par tumne Mittoso ko chuna, jisne ek marmik kahani bana kar uss Viggo ko apne jhase me le liya..


Surpmarich:- "Mahan Viggo kaho usko… kash uska dimag mujhe mil jata… Uska naam Jirth tha. Shurwati kahani kuch aisi thi ki, main aur Rani Vish Kritima dono me bahut kuch samanya tha. Rachna aur utapatti ke surwati kaal me, hume banaya gaya tha. Aisa nahi tha ki hume tatha astu bol'kar sabhi shaktiyan dee gayi thi.."


"Ye sharir Brahma hai aur iss sharir me pura universe nihit rahta hai… bus uss gyan tak pahunchne ka marg humare guru Ursh ne hume Himalya me bataya tha. Purn gyan prapti ke baad unhone hume iss Brahmand ke any hisson me jindgi ko sucharu roop se basane ka karya saunpa tha…"


"Maine aur Vish Kritima ne, sath me hi rishi Ursh se siksha-diksha lee thi. Hum uss samay kul 4 shishya the. Humare jo 2 anay sathi the, wo purn siksha me vifal ho gaye aur guruji ne unhe prithvi par jan kalyan ke liye rakh liya tha…"


"Fir humari kahani aage badhti rahi. Hum universe ke lagbhag sabhi grahon par pahunche. Jahan-jahan jivan bas sakta tha wahan-wahan jivan basaye. Hume yatra ke dauran hi bahut si baton ka gyan hua, jaise ki har grah par jivan chakr alag-alag varshon ka hota hai. Har grah par paye jane wale insano ki alag-alag quality hoti hai…


"Finally apna kaam khatm karke main wapas prithvi aa gaya aur Vish Kritima Zoren par rah gayi. Yahan aane ka mujhe sabse bada fayda yah ho gaya ki main apne guru ka uttradhikari ban gaya aur dekho aaj tak unki legacy kayam hai."


Jivisha, apne aakhon me dahakte angare liye…. "Vish Kritima ke vansaj to bade hi shanti se rahte the, fir unhe chhala kyon"


Surpmarich:- Arre aaram se Jivisha, itna aawesh kyon. Dekho duniya me log apne nikat'tam pratidwandi se kyon chidhe rahta hai aur unpar kyon najar banaye rakhte hain, iska jawab to sabko pata hai. Bus wo bhi meri sabse nikatam pratidwandi thi. Khaskar Vish Kritima ki vansaj Vish Nilayani. Yah kahna galat nahi hoga ki usne apne tapo bal aur kamal ki sadhna se, apne sharir ke ander samast brahmand ka srijan ki thi.


Wo pahli aisi ladki thi jisko mere irade ka pata laga tha aur usne mujhe bandh diya. Matlab yun samjh lo ki jaise Nischal ke liye Mittoso ke sena ka koi ek sipahi tha, Nilayani ke liye main tha...


Yaar dil me dard to hoga na. Main kewal sharir badalta tha lekin uske ander ka purn gyan aur purn shaktiyan to lagatar jari rahti … lekin ek ladki jise virasat me kewal shaktiyan mili ho, haridity sahktiyan kah lo. Usse wo ek hi jivan kaal ke kuch salon me itna aage le gayi ki main to uske samne kuch bhi nahi tha…


Nilayani ke pass main shadi ka prastaw bhi lekar gaya tha lekin mujhe pahle se pata tha wo nahi manegi, aur wahi hua. Maine uss se kaha bhi tha "dekho Nilayani main apne manoranjan ke liye logon ko aapas me ladwa deta hun, apne kuch anuyayi chun leta hun, tum mujhe galat na samjhna aur mere pichhe mat aana"…


Lekin ye achhe log kahan mante hain. Mujh se bidh gayi kahi ya to Jan kalyan karo ya fir mirtu ke liye taiyar raho. Ab main samne ki ladai se to Nilayani se jit nahi sakta tha, isliye mujhe ek lamba khel rachna para. Mujhe bus Nilayani ki shaktiyon par kabu pana tha, uske liye mere pass ek patthar ka pura jakhira bhi tha, lekin wo patthar Nilayani ke sharir me kaise process karega, uska idea na tha… isliye mujhe Aaynek grah ka wo mahan scientist chahiye tha, jiska naam Jirth tha. Tumlog uss Jirth ki khani sun'na pasand karoge, jo apni sathi Dakshat ke prem me para hua tha… Bada hi pyara love story hai.


Jivisha:- Mujhe ab koi kahani nahi sun'ni hai… tum mujhe ye batao Rani Vish Nilayani jab tumse itni jyada shaktishali thi fir wo tumhare irade ko kyon nahi bhanp payi…


Surpmarich:- Thik hai jaisi tumhari marji. Baad me ye mat kahna ki maine itihas pura nahi bataya… kyonki koi bhi likhit praman nahi milega ..


Nischal:- Mujhe janna hai. Shurwat ki kahani to mujhe samjh me aa gayi. Tum Jirth ki love story se hi Rani Vish Nilayani ki kahani ko pura jod kar bata do…


Surpmarich:- Thnks bhai… tum kitne achhe ho… yaar anth me to hume ladna aur marna hai hi, fir kyon na itihas pura jaan lo… waise Serin ke koi sawal nahi hai kya?


Serin:- Main puri kahani sangrathit kar rahi hun… tum batate chalo…


Surpmarich:- Haan to baat aisi thi ki logon me ye bhrm paida kiya gaya ki 2 sabse shaktisali grah aapas me lad rahe hain… Aaiynek aur Massori grah. Halaki ye ladai meri hi karwayi hui thi, kyonki dono grah ke kamine log, jinke jivan ko maine basaya tha, wo prithvi par sodh ke liye aa rahe the… Khair unki ladai jab shuri hui to main sukoon se baith paya.. Ye pahla awsar tha jab main Zoren ki tatkalik rani Vish Mani ke najar me aaya tha…



Lekin Vish mani ko jhanse me lena aasan tha. Usse aasani se samjha'kar nikal liya, ki in dono grah ke log corrupt hain main to bus unhe bachana chahta hun… mera kaam chal raha tha. Unki ladai karwa'kar main apna pura dhyan prithvi par laga chuka tha, kyonki prithwi par alag hi sajis chal rahi thi aur kuch yogi mujh se loha le rahe the…


Khair jab Nilayani satta me aayi, tab unhi yogi me se kisi ek ne Nilayani se sampark kiya tha. Unhi yogi ke samuday me se ek Nischal se bhi mil chuka hai.. kamina marne se pahle usse bahut se gyan de gaya tha Nischal ko, lekin ye bechara utna gyan smet hi nahi paya…


Khair uss Yogi ne to mere L laga diye. Nilayani bahut hi kushal thi, aur uske ander sikhne ki kala adbhut thi. Waise kafi khubsurat bhi thi. Aaj bhi jab wo yaad aati hai to badan me aag lag jati hai.


Jivisha apne hath upar ki aur wo Surpmarich hawa me…. "Kaminey tujhe main abhi batati hun"..


Surpmarich, apna hath niche karte wapas jamin par aaya…. "Arre sorry doston, main to bus apni feeling bata raha tha kyon itne bhadak rahi ho. Aaram se baith jao"..


Nischal:- Shant ho jao Jivisha, aakhri ladai to waise bhi honi hai… kafi rochak baten chal rahi hai.. sun lete hain …
Manmohak update hai dost itihas ke panno ko khangalti hui.
 
  • Like
Reactions: Black water

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,044
173
Final Update:- 2








Surpmarich:- Thanks yaar, bacha liye iss junior Nilayani se warna ye mere sawal ke jawab milne se pahle hi ye mujhe maar dalti… Dekho to baat aisi thi ki ek yogi jo apne dimag ko purn viksit kar chuka tha, wo ek jagah baith'kar apne dimag ko kahin bhi le ja sakta tha.. kamal ki siddhi thi uski.. kash wo siddhi mujhe mil jati… main to bus kewal target audience se hi baat kar sakta hun aur unhi ke ander ja sakta hun…


Main bahut si shaktiyon se ab bhi vanchit hun. Khair to uss Yogi purush ne rach di mere khilaf sajis aur Nilayani ko uss sidh yogi ka margdarshan mila.. Nilayani ne wo sab hasil kar lee, jis se mujhe harana bilkul halwa ho gaya tha…


Mere pass kewal chhal bacha tha aur Nilayani ko uljhane ki niti shuru ho gayi. Main apne issi thikane par aa kar chhip gaya. Uss waqt main dhundh raha tha ki koi to tod ho mere pass. Tab mujhe gyan hua 2 premi ke bare me, ek ka naam tha Jirth, Viggo samuday se aur dusre ka naam tha Mallsi, Dakshat samuday se.


Mallsi jo hai wo Siren ki purwaj hai… to hua ye ki science project ke medical section me dono kaam kar rahe the, jahan Jirth iss baat ki khoj me laga tha ki ek dead cell jo dobara generate nahi ho sakta, usse kaise repair karen. Wahin Mallsi kaam kar rahi thi ki chhote se energy source ke bada kaam kaise liya jaye… are wahi jise abhi nano technology bolte hain...


Science exhibition me dono ki mulakat hui thi aur wahin dono me pyar ho gaya tha… cute couple, dono ne chupke se apni jodi bhi banayi, aur kamal ki baat dekho, dono ki jodi maine hi banayi thi. Gift me maine Mallsi ko ek chhota khubsurat patthar diya tha… chhota source of energy, aur Jirth ko bhi ek patthar diya. Kafi rochak patthar tha wo, Nischal janta hai unki khubiyan.. jo shayad uss waqt Jirth nahi samjh paya tha. Uske sodh ke anusar ye ek aisa patthar tha, jo ek insan ke achhe cell ko dusre insan ke barbaad cell se replace kar sakta hai… critical condition me 2 body ko balance karke jaan bachayi ja sakti hai..


Khair mera gift pakar dono hi khush the aur paglon ki tarah din bhar dono lab me baith'kar, uss patthar par sodh kiya karte the. Universe me Massori grah aur Aaynek grah ki badhti jung ko dekhte huye, Dakshat kul ne socha ki kyon na Aizem par ek colony basayi jaye, taki Aizem aur Massori grah se jab ek sath Aaynek par humla hoga, tab puri tarah se Aaynek grah ko chaunkaya ja sakta tha aur haraya ja sakta tha.


Mallsi issi rajniti ke karan Aizem aa gayi, lekin wah issi shart par Aizem aayi thi ki usse jodi banane ke liye force nahi kiya jaye… Ab shayad tum samjh sakti ho ki kyon Serin se tumhara lagaw itna gahra hai Nischal, kyonki tum dono ek hi cross breed ke result ho aur shayad isliye unclassified bhi. Tumhe to bahut kuch apne bare me pata bhi hai, lekin Serin ko apne kul ki biti itihas pata hi nahi ki Mallsi aur Jirth ke milan se jo bacha paida hua tha ussi kul ke ek ladki se Behavan ne apni jodi banayi. Haan lekin Mallsi ke baad wali pidhi ka Viggo paksh lagbhag gayab ho gaya, kyonki Mallsi ki agli pidhi aur uske baad jitni bhi pidhiyan hui, unme se kisi ne Viggo ko jodi nahi banaya…


Khair come to the point … Aizem aur Massori ke bich to fut ki niti chal hi rahi thi. Fir jab Aaynek toota tab maine khud Jirth ko Aizem se nikalne me madad kiya aur natija tum sab ke samne tha… Mahamahim ka satta me aana fir Jirth dwara taiyar kiye device se Nilayani ki shaktiyan nikalna…


Bus ek baat jo shuru se mujhe khatak rahi thi ki maine kiya sab kuch sahi… Nilayani ko fasa bhi diya tha, kintu fir bhi uss Mittoso ke pass Nilayani ki aanshik shaktiyan hi kyon aayi, jabki mujhe uske jariye Nilayani ki purn shakti milni chahiye thi… ab shayad tum teeno samjh chuke hoge ki mujhe kaun sa jawab tum teeno se chahiye… Aakhir Nilayani ne uss waqt kiya kya tha?


Jivisha:- Tunhare maut ka intzam…


Surpmarich:- Areee ruko yaar maar lena mujhe, lekin suspence me nahi marna… jawab de do fir ladai shuru karte hain.. ..


Nischal:- Jivisha marne wale ki aakhri ikchha purn kar do…


Jivisha:- Isse jo jawab chahiye tha, wo mil gaya hai Nischal… bahut shatir hai ye… hume yahan tak lane ka matlab hi tha isse wo raaj jaan'na, jis se Nilayani ne apni shaktiyon ko shurakshit kiya tha.


Surpmarich:- Aahhhh ! Ye purvanuman… cool haan.. dekho wade ke mutabik mujhe mere sawalon ka jawab bus Jivisha ke man me chal rahe soch se mil chuka hai, ki Nilayani ne apni shaktiyon ko apni har bahan me aanshik roop se bant'kar unhe alag-alag grah par bhej diya tha… Khair mere sawal ka jawab mil chuka hai... Chalo upar chalkar ab iss khel ko bhi khatm kiya jaye.. tum log yudh ka bigul bajao..


Charo upar aa gaye.. ek ore Surpmarich to dusri ore ye teeno… Jivisha ne yudh ka aagaj kiya aur apne dono hath failayi… Jivisha ne jaise hi apne dono hath failaye.. Surpmarich badi teji ke sath Jivisha ke karib pahuncha aur uske pure sar ko apne panje me kaid kiya hi tha, ki uske sharir se Serin ke dhardar electronic blade takraye..


Blade takrane ke sath hi chur ho chuka tha. Nischal apne pure veg se daurta hua aaya aur pure force se Surpmarich ko dhakka laga diya… Nischal ko aisa laga jaise wo lohe ki moti chadar se ja takraya. Surpmarich ko to koi fark nahi para lekin Nischal uss jordar takkar ke karan pura ander tak hil chuka tha. Surpmarich ke humle se Jivisha ko bachane ki kosis purntah nakam ho chuki thi, aur jab Surpmarich ne Jivisha ke sar se hath hataya wo behosh hokar niche gir gayi.


Jivisha ko jaise hi uss Surpmarich ne chhoda Nischal ne Serin ko apne pichhe kiya aur khud aage aa gaya… "Kosis bekar hai Nischal, aur mujhe itne kamjor pratidwandi se ladne me koi dilchaspi nahi… Jivisha ko support do .. warna 10 minute me wo mar jayegi… Usse khada karo, jabtak main intzar kar raha hun..."


Nischal:- Serin, Jivisha ko Drink pilao.. aur usse medical support do.. sath me 400 volt ka chhota sa jhatka bhi… Surpmarich yudh ka bigul to baj gaya hai, tumhe intzar to nahi karwa sakta…


Nischal apni baat khatm karte huye Surpmarich par lapka… biljli ki raftaar se bhi 10 guna jyada raftaar me Nischal apne khanjar chalane laga… Dono hath uske teji me aise chal rahe the mano wo pure gayab hi ho gaye ho…


Uss se bhi kamal to Surpmarich tha jo Nischal ki gati se bhi tej apna bachaw kar raha tha.. dayen aur bayen ore se uth rahe Nischal ke tej raftaar hath ko, wo matr apne bayen hath se rok raha tha. Raftaar ka adbhut namuna… Nischal ki gati se lagbhag 4 guni jyada speed. Aur fir apni dusre hath se Nichal ke sine par jor ka pura panja chala diya…


Nischal par pranghati humla, lekin tabhi Jivisha ne apni dono hatheli ko samne karke push ki aur Surpmarich jatka kha'kar pichhe hata… Nischal ne ankhen mundi, dhyan lagaya aur muskurate huye apni aakhen khol liya…


Jabtak idhar Jivisha ki nili chamak rahi aakhen apne pure uffan par thi… "Ahhhh ! Nilayani ka roop dikh raha hai tum me Jivisha… Aao iss khel ko khatm karen. Yudh ka maidan hoga ab Nilayani ka dimag"..


"Aji aise kaise aap Jivisha ke dimag me ghus sakte hain"… Nischal khud to uske samne aaya hi, aur sath me chala aaya Nischal ki chetna (Nischal ki chetna se arth hai uska wo roop jab Nischal apna hath paun gawa kar kursi par baitha rahta aur uski chetna charo ore bhraman karti)… Nischal, Jivisha aur Surpmarich ke bich khade hokar iss bar apne hath chalana shuru kiya..


Surpmarich lekin iss baar bachaw nahi kar raha tha, balki wo bhi humla kar raha tha… kintu Nischal thehra unclassified, Surpmarich shayad aankne me galti kar gaya… aisa laga raha tha Nischal ke ek sarir na hokar do sarir the aur ek hath ke niche, sath-sath dusra hath bhi chal raha ho..



Right-left, right-left… hathon ki raftar lagatar tej aur tej aur bhi jyada tej hone lagi… Surpmarich bhi apne purn gati aur bal ke sath humla kar raha tha. Nischal, Surpmarich ke na jane kitne war apne sarir par jhel gaya aur Surpmarich fati aakhon se bus ye karishma hote dekh raha tha… tabhi Nischal ne apne dono panje uske sine se tika kar ek tej dhakka mara..


Aisa laga jaise uske sina aur fefra uske pith se takra gaya ho.. wo khud takriban 1-2 kilometer dur jakar gira aur jab wo khada hua tab uske sine par … dayen hath ke 5 ungliyon se chipke 5 aur ungliyon ke nishan the aur thik aisa hi bayen hath ki ungliyon ke sath bhi tha…


Surpmarich apne dono hath itni teji se bhumi par mara ki wahan ke barf ki chadar fat gayi, Jivisha palatwar karti bus gol ghum gayi aur lagbhag ek bada ilaka jahan Jivisha aur uska 200 kilometer ke kshetr me faila viman khada tha, wo puri jagah, apni jagah kabij thi aur baki charo ore se kayi hazar fit ki gahri khayi ban chuki thi..


Surpmarich teeno ke ore daur laga diya… Nischal thik uske samne khada tha, iss baar Surpmarich ne Nischal par humla nahi kiya, balki wo Nischal ke humle ko jhelta raha aur apne dono hath ke ishare se, ek hath se Jivisha, to dusri hath se Serin ko hawa me utha liya..


Jivisha uske iss action par muskurai. Wo apni dono hatheli ko samne rakh'kar jnattedar tali bajayi aur apni dono hatheli ko jode rakhi… idhar Jivisha ki hatheli se dhuan uthne laga aur udhar Surpmarich ke kan se lekar side ke sar ke dono hisse puri tarah laal hokar jalne laga…


Udhar Serin ka lagbhag dum ghutne hi wala tha tabhi Nischal ne sar ghuma kar ek baar Serin ko dekha.…. "Nayyyyyyyyy".. Nischal ki gahri chinkh, Nischal ne Surpmarich ka gala pakda. Usse hawa me utha'kar ulta ghumaya aur niche jamin me ghusa diya….


Nischal ne usse itna tej ander ghusaya ki ki wo niche gaddha karke na jane kitne fit ander tak chala gaya tha.. jaise hi wo bhumigat hua, waise hi uski shaktiyan hati aur Nischal Serin ke niche girne se pahle hi lapak liya. Nischal uska chehre ko dekhte huye puchhne laga… "Tum thik to ho na Serin"..


Serin:- Haan thik hun… lekin ek pal ke liye laga ki abhi to jina shuru hi kiya tha...


Nischal, paglaye sa charo ore dekhte huye... "Aise kaise usne tumhe marne ki himmat kar di" ..


Nischal baukhlaya charo ore dekhne laga, tbhi usne dekha ki samne se Surpmarich fir se Jivisha ke sar par hath dale tha… "Serin chalo iska khel khatm kiya jaye.. apni aakhen mundo aur Jivisha ka hath thamo"..


Serin ne Jivisha ka hath thama aur Nichal ne Serin ka… agle hi pal Nischal Serin ke diamg me ghuste huye, fir wahan se Serin ke achet abterman ke sath sidha Surpmarich ke dimag me pahunch gaya…


Bade-bade kale rakh tile ab bhi the wahan, jaisa Mahamahim ke dimag me tha... Lambi-lambi rakh ke tile aur uspar halki law jalti hui… "Jivisha samjo ki tum Jaal mahal me ho aur wo jagah ab aisi ho gayi hai… ab Jaal mahal ko punah banana shuru karo. Yahan dimag ki gati kaam karegi, isliye tum agar soch lo to mujh se bhi jyada tej ho sakti ho. Waqt nahi hai humare pass jaldi karo"..


Serin Nischal ki baat sunkar utni hi teji dikhati hui kaam karti hui kahne lagi… "Pal bhar me isse main abhi Jaal mahal bana deti hun"…


Serin aur Nischal wahan jo bhi vastu soch rahe the wo vastu ban jati. Second ke 100th hisse me, Serin ne ek cleaner tayar kiya aur dekhte hi dekhte utni hi teji me, wahan ke wo raakh ke tile ko saaf karti, uss pure jagah ko saaf-suthra khali maidan bana di. Idhar Nischal bhi utni hi teji se robotics technology developed karte huye, kayi sare robots taiyar kar liye jo wahan ke surface se khudai karke dhatu nikal rahe the aur ek bada sa reactor taiyar jar chuke the… Jaise hi Nischal ne wo reactor chalaya…..
Khubsurat alfajo se ek benajir update aai hai akhiri ladai ke madhye se. Avaranniye.
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:-90











Jivisha ka kahna tha aur Sabaiyya ka connection cut ho gaya…. "Jisa, mujhe abhi aur baat karni thi"


Jivisha:- Huhhh ! Aaj humari jodi bani hai.. 5 din baad yudh hai, mujhe 3 din ka honeymoon chahiye, wo bhi aaj ka chhod'kar..


Nandni:- Haan ye to sahi hai… Jivisha sahi kahi..


Jivisha:- Ye aghori sala ye Mittoso, iski shakl mujhe kyon dikha rahe.. Shwetna iss khajoor ko 5 din ke baad yudh ki chunauti do aur baten jaldi khatam karna bahna.. Computer ji iss dusre screen ke mute prani ko unmute kijiye…


Jaise hi Mahamahim unmute hua, Nischal….. "Shwetna, jis Parijivi Mittoso ki tum baat kar rahi thi wo tumhare samne hai.. iss kide ko 5 din baad ke yudh ki chunauti do…"


Arson bit gaye, Mahamahim to shayad apna naam bhi bhul chuka tha, lekin Nischal ke muh se apna naam sun'kar pure taish me aa gaya…. "Ahankari Viggo, jis dus'sahas se tumne mera naam liya hai aur in jamin ke kide alpaayu ke sath yudh karna chah rahe ho, jab main tumhare paun pe paun chadha'kar chir dunga, tab ye jamini kide fir kabhi jamin par aane ki himmat nahi kerenge"..


Shwetna ki attahas bhari hansi gunjna shuru ho gayi…. "Parijivi Mittoso, tu dhiraj rakh aur 5 din baad ke yudh ki chunauti ko swikar kar le. Apni urja bacha kar rakh, faisla to 5 din baad hoga"..


Mahamahim Shwetna ke baton ka jawab dene ke liye jaise hi muh kholne laga… Jivisha ka computer ji active ho gaya aur uske aage ki bakswas band ho gayi…
:lol: :lol1: :roflol:
Oh my my my
is mintoos ko toh bina chuye baja diya inlogo ne :roflol:
yaar iska sakal dekhne layak hoga jab iske kuch bolne se pehle iske muh pe hi connection cut kar diya :lol:


Hall ka kaam khatm hote hi, Shwetna kahne lagi…. "Aap dono aaj raat kahin mat nikalna, yahan ke elfas grih me aap dono ko sath raat gujarni hogi…


Ansh:- You mean dono ki suhaagrat..


Shwetna:- Suhaagrat ka to mujhe pata nahi, lekin aapke chehre ki shararat dekh'kar pahle bata dun, wahan Alfas grih me kuch nahi hoga in dono ke bich..


Nischal:- Aisa kyon..


Jivisha usse aakhen dikhati…. "Hum ja rahe hai na aaj raat, sawalon ke jawab wahan se le lena… hum 3 din chutti par honge isliye Nischal yudh ki niti abhi se baith'kar hum tay karenge…


________________________


Aizem grah… 8 din purv…..


Idhar 8 din purv Jab Nischal ne Mahamahim ke kaid se Jivisha ko uddaya, tabhi yah khabar pure Aizem me fail gayi thi ki jis Viggo ko shasak ne mara hua bataya tha wah ab bhi jivit hai…


Digital sandesh aag ki tarah puri praja me fail gayi thi.. wahan ki baukhlayi janta purv shasahk (Nischal ke pita) ki hui hatya ka badla lene ke liye tatkal shasak Sabaiyya par dawab banane lage..


Sabaiyya ko bhi Nischal ka wapas lautna thodi hairan kar gaya tha. Usne turant hi apne salahkar aur sena nayak ki ek chhoti si baithak bulayi, jisme aanewale samasya par hal dhundhne ki charcha hone lagi..


Sabse pahla sawal to Ruki aur Suko se hi kiya jane laga, jisne Nischal ki maut sunischit ki thi… Ruki ek sambhawit anuman lagate huye kahne laga…


"Sabaiyya, jis Serin se hum apna sara kaam karwa rahe hain, wo ab bhi pure-relation me hai.. kadiyon ko agar jor kar dekha jaye to natija bhi aap ke samne hoga"..


"Serin apne janak ke maut se hatash ho gayi thi aur issi chuk me galti se Nischal bhag gaya… aisa Serin ka kahna tha, lekin yeh bhi to ho sakta hai, usse bhagane me Serin ne hi pura sath diya ho."


"Jab hum Nischal ke logon ko marne gaye aur uske mahal ko apne kabje me lena chaha tha, tab Serin ne wo pura mahal aur wahan ke logon ko apne adhin lekar kisi ko kuch nahi hone diya."..


"Hum Jaal mahal me purn kabje ke hisab se wahan vigyaan me nipun logon ko apne ore milana shuru kiya aur Serin ne har sambhaw un vaigyanik ko Jaal mahal se bahar nikal dee."


"Jis pure-realtion ko hum toota hua samjh rahe the, wo darasal kabhi toota hi nahi tha, balki hume dikhane ke liye aur Jaal mahal se Nischal ko purn sahyog dene ke liye Serin dwara sajis ki gayi thi"..


Suko:- "Sabaiyya Ruki ka aaklan tathya'purn hai, aur Nischal ka jinda wapas lautna iss baat ka saboot.. Serin aur Nischal .. uske sath unka Jaal mahal… yadi Aizem ki purn seema ke sainikon ko mila'kar bhi hum humla kare to bhi unhe prajit nahi kar sakte."


"Serin aur Nischal jaal mahal ki taknik ko bhali bhanti jante hain isliye Nischal wapasi karte hi apni bahan ke sath Jaal mahal jayega aur wahin aapke hatya ki bhi sajis rach di jayegi…. Ek baar aap mar gaye fir kisme himmat jo unka samna kar sake."


Mukhya sena nayak aur Dakshat samuday ka atyant kurur saksiyat Bivan… "Serin par uss badjaat khun Nischal ko bhagane aur purv shasak ki hatya ka sajis rachne ke liye khinch'kar Jaal mahal se bahar laya jaye aur uske badan ke 5 tukde karke maut ki saja di jaye"..


Ruki:- Chunki purv shasahk apna waris chun kar nahi gaye the isliye Serin bhi shashika ki purn dawedar thi. Serin bhadi sabha me sirf itna hi kahi thi ki yadi Sabaiyya shasan ke liye purn sakshm hai to wo apni davedari chhodti hai, lekin sanchalk sikka uske pass hi rahega.. yadi bhawishya me kabhi aisa hua ki shasahk asamrth dikha, tab wo apni davedari pesh karegi..


Bivan:- Haan to ek baar humne usse saja de di, fir wo apni davedari kahan se pesh kar payegi..


Sabaiyya:- Iss sabha me Bivan thodi akal lekar aao.. aadhi sena abhi uska hukm manegi. Purv shashak ke hatya ki sajis me uska bhi bhagidari hai, hume yah sidhh karna hoga, tab kahin ja'kar yah sambhaw hoga.. aur jabtak wo Jaal mahal me hai hum sidh nahi kar payenge..


Bivan:- Kashma kijiyega shasak, main itni gahrai se soch nahi paya tha…


Saibaiyya:- "Samay vyarth na karte huye ek sandesh pure rajya me do ki purv shashak ki hatya aur badjaat sahjade ko bhagane me Serin ka sath hone ki aasanka hai… iske sath hi un 400 kramchari ke alag se sandesh jari karo, jisme wo kahenge ki Jaal mahal me Serin apne pad ka durupyog kar rahi hai aur khud ko bachane ke liye shasak ke sabhi kramchari ko kewal isliye nikala gaya, taki uske khilaf koi saboot na mil sake..


"Serin par lage ilzam ki jabtak purn janch nahi ho jati, wo aur uske sabhi log jaal mahal ko tatkal prabhaw se chhod denge. Jaal mahal se nikalne ke kram me kisi ko bhi wahan ki ek bhi vastu ko bahar ke jane ki anumati nahi hogi, isliye nirvastr hokar purn janch kara'kar sabhi bahar niklenge..."


Ruki:- Yukte, tum khamosh kyon hai..


Yukte:- Aap Serin ko uske pad se hataeye, aur 2 din me uske khilaf saboot main le'kar aaunga…


Suko:- Kash uske sath kam se kam ek baar Jodi to bani hoti..


Ruki:- Ab tak to wo Adhmya ke sath ek raat bitane ko kah rahi hai, dil ke armaan kabu karo warna Serin tumhe sikka dekar kah degi jakar uss Viggo ko challenge karo..


Sabaiyya:- Haan aur jyada waqt bhi nahi hai uss badjaat ghatiya khoon Viggo ke Aizem aane me, kyonki idhar Serin kao apradhi ghoshit karnege aur udhar uski saja bhugatne Nischal pahunch jayega…

Bivan:- Lekin usse pata kaise chalega ki Serin ko apradhi ghoshit kiya hai…


Ruki:- Tu chinta mat kar, Serin ko hum apradhi bhi ghosit karenge, aur samne se Nischal humse baat bhi kar lega… tu bus Viggo ko marne ke sare yantr taiyar rakhna, itna to ho jayega na...


Bivan:- Aane to do uss badjaat ko, usse bhi uske purwajon ke pass bhej dunga…


Takriban 8 din purv Serin ne Sabaiyya se wada kiya tha ki wo Mahamahim dwara saunpi gayi pustak ke anusar wo yantr purn taiyar karke mahal me demo ke liye le aayegi…


Serin Mahal ke darwaje par thi, aur iss waqt ander Sabaiyya ki sabha lagi hui thi. Serin jaise hi aage badi, wahan ke guard apna sar jhukaye uske samne aaye aur…. "Master ander aamntrit sabha chal rahi hain.. aap apne aane ka karan bata de, ya aap mahal ke dusre hisse me chali jaye, unki sabha jab samapt ho jayegi to main aap ko bulwa lunga"..



Chirag:- Oye meri bua ko rokta hai.. chalo bua hum log jungle chalte hain.. yahan bejjati ho gayi..


Aarsi:- Haan bua saasu, Chirag ne sahi kaha..


Serin unki baton par hasti hui… "Haan thik hai masti khoron yahan ka kaam khatm kar'ke tum logon ko jungle le jaungi. Lekin ek shart par..


Chirag aur Aarsi dono ek sath… "Khadoos bua.. baat-baat par shart.. itni si to umr hai humari, uspar kitne sare sharton ka bojh dalogi"..


Serin jor-jor se hansti hui…. "Itna lamba line dono ne sath me bola wo bhi bina aage pichhe huye.. ab jara iss bhed se parda uthaoge tum dono"..


Chirag:- Bua humare riste ki banawat hi aisi hai… koi ek bole to dusra catch kar leta hai.


Serin:- Haan so to hai… achha baba lo main kaan pakadti hun… tum dono se request to kar sakti hun na..


Aarsi:- Haan thik hai maan lungi..


Serin:- Tum dono bus kuch der bahar hi khelo, yahan ghumo, jabtak main yahan ka kaam khatm kar lun…


Chirag:- Woohooooo, matlab hum yahan akele ghume..


Serin:- Haan lekin no kiss, warna main tumh bilkul nahi bataungi tumhari didi aur fufa ji ke bare mein…


Aarsi, Serin ko aankh marti… "Wo aa rahe hain issi baat se hum khush hain.. aap ke batane ya na batne se humare intzar me koi kami thode na aayegi. Wo to apne shedule se hi aayenge na… kyon baby..


Chirag:- Bilkul right baby..


Itna kah'kar donk uchhalte kud'te huye wahan se nikle aur unhe dekh kar Serin mayus ho'kar sochne lagi… "Ye log jab apni jindgi ji rahe hain, hum dono ko experiment karne me laga diya tha… Nischal na hota to main kitni akeli hoti iss jahan me"..


Serin apne kathin waqt aur Nischal ke sath ko yaad karke thodi mayus hui, fir apne mahal ke sare guard ko un dono par dur se najar rakhne ke liye bol'kar, sabha wale hall ke guard se kahne lagi… "Ander ja'kar unko batao ki unka yantr main le aayi hun, yadi kuch der aur main yahan intzar ki to chali jaungi".
siyashati ranjjise aur sazishe chaalu ho gaye hai... yeh log toh aise dikha rahe ki aaj serin aur nischal ka kaam tamam kar sab kuch hathiya le... itna utawala achha nahi hai.. pehle dekh toh le ki jisse bhirne ki soch rahe hai, akhir woh dono hai koun.. kahin inki ye soch yeh planning inhe hi na le dube..
are yaar ye chutku chutki savaalon ko sun ke toh kahani ki villain hi bhag jaaye sach mein..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:- 91






Guard turant hi ye suchna ander bhijwaya aur wapas sandesh aaya ki Serin ko jald hi sabha me bheja jaye.. Serin sabha me jaise hi pahunchi…. "Aaj yahan ki hawa kuch badli si lagi ho.. kaise ho complete"..


Sabaiyya:- Jaldi se demo dikhao..


Serin:- Thik hai dikhati hun demo.. yahan kiski shakti apne ander chahiye Sabaiyya..


Sabaiyya:- Iss Yukte ki hi shaktiyan dal do.. kam se kam takniki gyan to hoga mujhe..


Yukte:- Sabaiyya lekin..


Yukte ki haalat dekh'kar sabhi ek sath hasne lage… Sabaiyya sabko shant rahne ka ishara kiya… "Serin, tum bus ye batao ki yah kaam kaise karta hai"..


Serin hu-bahu Mahamahim ke reflector device jaisa device rakhti hui kahne lagi… "Ye hai wo complete reflector, jo kisi ek ke ander ki shakti ko khinch'kar, dusre me dal sakta hai. Haan ek baat aur, isme jaisa reflector device explain kiya gaya hai uske hisab se ye device ussi waqt kaam karegi jab sabhi grah ghum'kar ek nischit postion par pahunchenge.."..


Suko:- lekin tumne itna lamba waqt liya hai to iska tod bhi nikal lee hogi..


Serin:- Haan sahi kaha lekin ab bhi kuch kami hai..


Sabaiyya:- Kya?


Serin:- Yah sahi hai ki isse kabhi bhi istamal kar sakte hain lekin ye kewal ek bar istamal hoga. Dusri baat ki yeh rachna adhuri hai, kyonki iss pustak ke anusar ek divya patthar hai jiske bina ye reflector kisi kaam ka nahi…


Sabaiyya:- Nahi tum jhut kah rahi ho… tumne jaan bujh'kar hume itne dino se ghumaya hai… tum kewal waqt gujar rahi thi aur uss badjaat maa ke badjaat bete ke liye apne complete blood ko dhoka deti rahi....


Serin, hansti hui… "Pahle tum apne uss dost Mahamahim se sampark karke pucho puri baat.. uske baad main baat karti hun"..


Serin apni baat kah'kar badi hi shaan se uss Bivan ko uski jagah se utha'ti hui kahne lagi… "Tumhari aukaat nahi meri jagah par baithne ki, bhale hi sabha me main aamntrit hun ya nahi hun… aaj warning dekar chhod rahi hun.. agli baar gala kat'kar ye baat samjhungi"..


Bivan, kuch kahne hi wala tha uss se pahle hi Suko kahne laga… "Suna nahi Jaal mahal ki Master kya kahi. Chupchap uth ja.. Serin isse samjh diya hai, tum baitho.. waise mere prastaw ke bare me kya sochi"..


Serin:- Prastaw achha hai Suko lekin itni bari sabha me jab mera aur Nischal ka bhagya tay ho hi gaya hoga, fir ab iss prastaw ka koi matlab hai kya?


Yukte:- Tum ek gaddar ho Serin jo apne logon ko chhod'kar kisi badjaat khun Viggo samuday ke liye lar rahi ho....


Serin:- Ruki yaar isse kaise training di hai tumne, maine ek pasa feka to isne puri sabha ke baat-chit ka raaj ugal diya..


Bivan:- Raaj abhi ugle ya kuch der baad.. sab kuch tumhe samjh me aa jayega Serin..


Serin:- Tumhari har manokamna purn ho, tunhare marne ke purv..


Sabaiyya bhi thodi der Mahamahim se baat karne ke baad laut aaya aur aate hi… "Tum kamal ki vaigyanik ho. Mahamahim iss rachna se itna prabhawit hua ki wo hume ek baar apne reflector ka patthar istamal karne dega, badle me yadi tum 3-4 aise reflector bana'kar usse de deti ho to..


Serin:- Sambhaw nahi hai shashak, tumhari mehfil mein mujhe gaddar kaha jata hai aur main Nischal ke sath hum yah davva kiya gaya… puri sabha hi jab tum mere khilaf sajison ke liye bulaye ho, fir mujh se kaisi madad ki ummid..


Sabaiyya, Ruki aur Suko ko ghurte… "Aisa kisne kaha"..


Ruki:- Ek baar fir aapke chahete ne baat shuru ki aur uski baton ka pur-jor samarthan Sena nayak Bivan ne kiya..


Sabaiyya, dono ko ghurte huye… "Serin tum jaisa soch rahi ho waisi koi baat nahi hai.. bus tum mera kaam nahi kar pa rahi thi to chidhe man se maine hi kaha tha, lagta hai uske liye Nischal hi pyara hai aur Serin ab bhi usse sabse jyada chahti hai..


Serin:- Aur tum Sabaiyya, kya tumne kabhi chaha hai apni complete blood ko..


Sabaiyya:- Haan bilkul .. tumhe shak hai kya..


Serin:- hahahahaha… tumhare pass aakar abhi kahdi hui to mujhe ek baar dekhe tak nahi, main kaisi hun wo puchna to dur ki baat hai … tum mere liye sirf wo insan ho jise meri maa ne janm diya hai… aur haan ek baat aur, wo Mahamahim tumhe kabhi patthar nahi de sakta, kyonki uska reflector Nischal ne gayab kar diya hai.. Itni sachai batane ke baad ab jara tumhari chahat bhi dekh lun…


Sabaiyya:- "Jab wo Viggo nahi tha tab to mujhe uss se itni nafrat thi ki kab uska main gala daba dun.. lekin pita ne mere hath bandh diye. Acha hi hua jo tum dono ne milkar usse maar dala aur mere hath khol diye…"

"Ab to mujhe yah bhi pata hai ki wo ek Viggo hai… To kya hua jo meri apni khun ek Viggo ke moh me hai.. mere liye tum bhi ek Viggo se kam nahi… aur jab tumhe main Viggo maan hi chuka hun to meri nafrat bhi tum samjh hi sakti ho.... Aaj to tumhe Jaal mahal se nikal'kar jhatke dunga aur intzar karo mere kahar girne ka..


Serin:- Tabiyat to thik hai na complete, thode kamjor se dikh rahe, thik se chillaya nahi… Khair tumhe wo Jaal mahal chahiye na.. aaj le lo.. diya tumhe… aage jo karna hai wo karte rahna, main chali..


Yukte:- Aise kaise jaogi pahle saboot dena hoga ki tumne Jaal mahal ka ek bhi saman apne pass nahi rakha..


Serin:- Aur wo saboot kaise du main, jarra samnhaoge..


Ruki:- Tumse koi saboot nahi maang raha.. tum jao Serin..


Bivan:- Sena nayak hone ke taur par maine circular jari kar diya hai… Serin par sajiskarta hone ka shaq hai.. janch tak isse kanoon vayvstha me sahyog dena hoga… Serin ab saboot de, ki usne Jaal mahal se kuch nahi liya..


Serin:- Haan to main bhi puchh rahi hun kaise dun saboot..


Ruki:- Tumhe koi saboot dene ki jaroorat nahi hai.. jao yahan se..


Sabaiyya:- Ruki kanoon vyawastha ko apna kaam karne do..


Bivan:- Tumhare sare kapde nikal'kar…


Sena nayak Bivam apni kursi par baitha tha.. aur Serin ko nirvastr karne ki mansa jahir hi kiya tha, isse aage kuch kahta uss se pahle hi Serin ne lagbhag 300 kilo wajan ka wo reflector, jo cube aakar ka tha, usse Serin ne itne tej ghuma kar Bivan ke gardan par de mari, ki kursi me uska dhar fasa rah gaya aur gardan reflector ke sath sidha deewar me jakar chipak gaya...


Sabaiyya, turant apni pratikriya dena chahta tha lekin tabhi Ruki aur Suko ne unhe rok'kar shant rahne ka ishara kiya… idhar Serin apne chehre par aaye baal ko piche karti hui kahne lagi…


"Sabaiyya, mujhe lagta hai tumhe apne liye ek naye sena nayak ki jaroorat hogi, baki Ruki tunhe samjha dega ki kyon uski baat maan leni chahiye thi. Ruki mere 800 log Jaal mahal me hai, ginti me yadi ek bhi kam hua, ya unke sath koi ulti harkat hui to fir jo parinaam hoga uske liye baad me pachtane ka bhi mauka nahi milega"..


Serin apni baat kah'kar wahan se jaise hi nikli, Sabaiyya Ruki ko aakhen dikhate puchne laga… "Mujhe roke kyon"


Suko:- Kyonki kisi ko check karne ke liye uska body scan kiya jata hai, na ki uske kapde utarne ki baat hoti hai… mujhe lagta hai aap ko kanoon padhne ki jaroorat hai. Jaal mahal me bhi iss waqt scanning chal rahi hai aur afsos ki iss ghatna ke baad Serin ka scan nahi ho payega, kyonki Jaal mahal ko chhodne ka plan wo pahle se kar chuki thi aur yahan ke logon ka barbolapan usko fayda pahuncha gaya…


Sabaiyya:- Le jane do usse koi bhi taknik, pura Jaal mahal to nahi le gayi na… Yukte badbole pan ka natija dekh liya na, isliye aaj ke baad tumhe kisi ko kuch bolna ho to pahle Ruki ya Suko se kahoge aur ye dono tay karenge ki kya bolna hai aur kya nahi.... Tum ja'kar Jaal mahal ka kaam sambhalo aur apne kahe anusar saboot la'kar do…


Zoren grah par mohron ki bisad bichh chuki thi. Nischal ko halke me nahi liya ja sakta tha, isliye ek Viggo ko marne ki yojna ke liye Ruki ko Sabaiyya ne apne pados ke Uttari Rajya me bheja, taki aakhri Viggo ke jinda hone ki suchna diya ja sake aur aage ki strategy unke sath mil'kar tay ki ja sake.. .
Kuch log aise hote hai ki like dhit type ke.. bilkul waise hi hai yeh sabbiya aur iske changu mangu party... kya inlogo ko is baar ehsaas nahi ki serin koun hai aur kya hai.. aise hi toh rajkumari nahi bani na woh.. kuch toh Khasiyat hogi usme jiske chalte inlogo ki Khatiya tak kadi kar sakti hai chutkiyo mein... phir bhi panga lene se baaz nahi aate ye aliens.. lo ji mil gaya kimat bivan ko.. chad gaya bali bure shabd bolne par..
Lekin itna kuch hone baad bhi yeh sabbiya aur iske nikkme team piche hattne ka naam hi nahi le rahe hai..
lagta hai maut ko karib se dekhne ki kuch zyada hi tammana hi inlogo ki
Wahin Serin apne bhai se milkar nikli aur Chirag aur Aarsi ko lekar Dusre sahar me isthit Nischal ke mahal ke ore nikal gayi. Kuch he der me Serin mahal ke pass thi. Ek baar fir wahi bada sa darwaja tha aur ek baar fir Chirag aur Aarsi wo bada sa darwaja khol'kar ander ghuse.. kintu iss baar dar nahi tha balki Adhmya ke sath dono khelne ja rahe the…


Dono ko dekh'kar Serin hansne lagi aur Mahal ke dwar par baith'kar wo Chirag aur Aarsi ko Adhmya ke sath khelte huye dekh rahi thi.. tabhi Serin ke kandhe par pichhe se hath para, Serin mudti… "Lobhu, aao ander"


Lobhu:- Tumne jaisa kaha tha waisa maine sab ko samjha diya hai…


Serin:- Mujhe yahan 3 din chahiye uske baad tumhe pata hai kya karna hai. Apne sabhi log aur Jaal Mahal ka dhyan rakhna… ab niklo…


Lobhu se apne kaam ki baat karne ke baad, Serin ne turant hi usse wapas bhej di aur khud mahal ke darwaje par aayi. Mahal ke mukhya dwar par khade ho'kar Serin idhar udhar dekhne lagi…. "Jaisa ki pahle se ummid tha, bhag gaye ye nikamme log"..


Serin khud me samiksha karne ke baad, Chirag aur Aarsi ko wapas bula li aur mahal ke security pass ko open karke ander dakhil hui… jaise hi teeno ander gaye, Chirag aur Aarsi khanste huye kahne lagi… "Ye kaun se kabad'khane me hume le aayi bua"..


Serin:- Kahan le aayi hun wo matter nahi karta hai, kahan lekar jane wali hun wo to sun lo..


Aarsi:- Hum kahin tour par nikal rahe hain kya?


Serin:- Haan tour par nikal rahe hain.. tumhe main antriksh aur kayi sare grah ke bare me batayi thi na..


Chirag:- Haan wo kitabi baten, sun'ne me to achha lagta hai aur didi ke sath baith'kar maine kayi alian movie bhi dekhi hai..


Aarsi:- Aur maine bhi… I love alians.. wo kitne khatrnak aur takatwar hote hain..


Chirag:- Aur mujh se love nahi karti…


Aarsi:- Buddhu, wo jaise hum ice cream se love karte hain, ghumne se love karte hain, thik waise hi wala love hai..


Serin:- Ye prithwi wale kya kha'kar apna bacha paida karti hai… tough situation ko bhi comedy bana dete hai… mere laal.. aapas ki discussion baad me kar lena meri baat suno..


Dono:- Ji bua..


Serin:- Tumne jo abhi kitabi baaten batayi hai, wo sach hone wala hai.. hum log antriksh ki sair par niklenge aur tumhari didi ke pass chalenge.. lekin yadi koi sawal mujh se kiye to main nahi le jaungi… apne sare sawal apni didi aur fufa ke liye bacha lo.. main to kahti hum kahin paper par note kar lo aur milte hi hath me sawal thama dena…


Dono:- Ohk master hum samjh gaye… to kya humara bhi ek viman hoga jisme aap pilot aur hum co-pilot honge..


Serin:- Dekhte hain.. ab wo to tumhare gyan ke upar nirbhar hai ki tumhe jo maine 2 sal me sikhayi, uska kitna hissa tum dono sikh paye..


Serin dono ki bakbak ke bich thoda hansti, thoda apna sar nochti, mahal ke nichle hisse se me pahunchi… Ek khufiya banawat, jise Nischal ne jungle ke madhya tak jane ke liye banaya tha… ussi raste ka sahara lekar Serin bilkul jungle ke madhya tak pahunch gayi…
yehh :vhappy: finally chirag apni bua se milne jaa raha hai apni premika sang... 2saal ki intezaar khatam huyi..
Kya baat dono hi bahot kuch sikh gaye hai in do saalon mein.. waise dono hi hai genius..
Oh toh kuch vishvas patr serin ke bhi hai wahan pe...
ek aur khufiya jagah..
Khair.. let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:- 92




Jungle me madhya me Nischal dwara nirmit bhumigat station tha, jahan ek madhyam aakar ka viman aur kuch chijen pari hui thi… Iss jagah ka operating system bilkul indipendent banaya gaya tha, jahan par kisi bhi prakar ki sampark pranali nahi thi…


Nischal ye jagah yahan ke Jungli janwar ke sanraksan ke liye istamal karta tha aur kisi janwar ko upchar ki jaroorat hoti thi to, yahan rakhi madhyam vargiya viman se, Jaal mahal tak lekar aata tha…


Serin uss chhote se station me kaam karna shuru kar chuki thi. Pahli baar Serin insani buddi se parichit ho rahi thi… Chirag aur Aarsi dono itna kuch sikh chuke the in 2 sal ke dauran, wo bhi apni masti ke bich, ki Serin ko apne aakhon par yakin nahi ho raha tha..


Dono ke buddhi ka loha manti hui Serin ko anth me kahna par gaya…. "Prithwi se sabhi grah vashi yun hi nahi darte. Jo kaam ye apni masti me sikh gaye, usse sikhne me kayi log yahan umr gujar dete hai.. jabki unke dimag me to hum puri baten download tak kar chuke hote hain"..


Khair jis kaam ko Serin 7 din me niptane ka soch kar aayi thi wo lagbhag 2 guna se bhi jyada speed me khatm hokar 3 din me pura ho chuka tha…


3 din me Serin ka kaam khatm ho gaya tha aur wo bina apne bhai Sabaiyya ki najar me aaye nikalna ki yojna bana chuki thi. Jungle ke jis hisse me viman thi, wahan se 20 kilometre Dakshin disha me, Ratwhat rajya ki seema thi. Iss Jungle ka aadha hissa Madhya Rajya yani ki Sabaiyya ke rajya ki seema me tha aur aadha hissa Ratwhat rajya ki seema me.


Apni seema se viman lekar nikalna muskil tha, isliye Serin apne tay yojna ke mutabik viman ko dakhin disha me le jane ke liye Jungle ke hathi ka prayog karne lagi, jo Adhmya ki madad se sambhaw ho paya tha…


Idhar Lobhu, Serin se milne ke baad turant hi rajdhani wapas chala aaya. Aate hi usne apne sabhi logon tak Serin ka yah sandesh pahuncha diya ki agle aadesh tak hum "no relation" me rahenge.. yani ki ek dusre ke bich kisi bhi tarah ka sampark nahi..


Yah suchna milte hi sabhi log apne suwidha anusar madhya rajya ke any hisse me chale gaye. Wahin Lobhu aur uski patni Naiyla, apne pure pariwar ke sath rajdhani me hi thehre the aur apni chhuti ka bharpur aanad utha rahe the..


Serin ko Jaal mahal chhode 3 din ho chuke the lekin Yukte jis hisab se badh chadh kar Sabaiyya ko apne kaam ke liye sunischit kiya tha, uski pol khulne lagi thi..


Uss 600 kilometer me basse Jaal Mahal se Serin ke khilaf na to wo sahi saboot juta paya tha, aur na hi galat saboot dhang se banane me kamyab ho raha tha.. har bit'te din ke sath Sabaiyya ka gussa bhi badhta ja raha tha..


Wahin Ruki jo ek mission par nikla tha, shasak Mahavinashi ke rajya jakar, usse aakhri Viggo ke bare me batana aur aage ki niti par charcha karna. Mahavinashi maan gaya tha aur in sabhi muddon ko dekhne ke liye Mahavinashi ne apne uttradhikari putr "Avinashwi" ko sath bhej diya..


Aizem ke 2 sabse majboot rajya, Sabaiyya ka Madhya rajya aur purv me bantware se janme Mahavinashi ka Uttari rajya, 2 kattar dushman ek baar fir Viggo se nipatne ke liye hath mila chuke the… Wahin Suko ko sena ka nirakshan karke ek sena nayak chunne ki jimmedari mili thi, jisme bal ke sath sath akal bhi ho.



Suko bhi 3 dino me aisa hi ek santulit yodha dhundh chuka tha jo bilkul santulit aur akalmand tha… Naya sena nayak Ajur, 3 tukdi sena ka pratinidhitwa karta tha aur usse paschimi seema par, paschimi rajya ke ore lagaya gaya tha.. Ajur apne kurur aur sena ke sahi istamal se, Paschimi rajya ke dwar apne rajya ke liye khulwa chuka tha, aur inki tukdi Paschimi seema ke ander jakar Uttari rajya ke khilaf sajis rachte the.


Ruki aur Suko ke laut'te hi ek sabha ka aayojan hua, jisme Ruki aur Suko ne kamyabi to hasil kar li thi, kintu Yukte jo 2 din me saboot lane wala tha, aanan fanan me jab wo teesre din kuch banawti saboot la'kar sabko dikhaya, naya-naya sena-nayak bana Ajur, thoda gambhir hote huye kahne laga… "Shashak mujhe takniki gyan adhik nahi, lekin ye saboot logon ke man me yah sanka paida karwa jayega, ki kya aap apne hi complete blood ke sath sajis karwa rahe hain"…


Sabaiyya ko samjh me aa chuka tha ki ek ayogya ko usne bahut bade sanstha ka mukhiya bana diya hai, jahan ka wo chaprasi banne ke kabil nahi tha. Anth me wahi hua jiske bare me Serin, Lobhu ko bata chuki thi… Sabaiyya ne Lobhu ko apne vichar sabha me bulaya aur usse Jaal mahal ka mukhiya banane ka prastaw dene laga…


Lobhu kab se iss ki pratiksha me tha. Bade hi shalinta se usne Sabaiyya ka prastaw swikar karte huye puchhne laga ki unki iss dariyadili ke badle usse kya karna hoga....


Ruki aur Suko ne sara mamala samne rakha ki kyon Serin ek doshi hai aur usse Jaal mahal se hataya gaya. Lobhu Ruki aur Suko ki baat samjha aur uske kaam ko anjaam dene ke liye kuch dino ka waqt manga tha…


Jaise hi Lobhu wapas se Jaal mahal pahuncha, usne gupt suchna Serin se sajha kar diya… Serin uske Jaal mahal pahunchne ke baad 2-3 din ka waqt mangi thi… Lobhu ka sandesh milte hi Serin ne chhota sa jawab bheja… "Sab tay samay par karna hai"…


Tabhi ek aur chhota sa sandesh Serin ke pass aaya aur Serin kafi chinta me aa gayi…Hathiyon ki madad se wo viman ko Ratwhat ki seema me la chuki thi aur Serin apne sath dono ko uss Viman me chadha kar… Yun to pahle Nischal ke pass jane ka vichar ban raha tha lekin ab viman ki disha Horyent Planet ke ore kar di..


Horyent yun to bahut hi chhota sa planet tha, lekin isse universe ka super market bhi kaha jata tha.. yahan jaroorat ke har saman muhaiyya karwaya ja sakta tha, bus kimat sahi milni chahiye… Serin bhi apni kuch kharidari ke liye wahin pahunch rahi thi, bus badle me dene ke naam par uske pass kuch bhi nahi tha.


Lagbhag 12 ghante ke safar ke baad Serin, Horyent ki hawai seema me thi aur security check ke baad uska Viman Horyent me land kar raha tha…


Serin jis jagah Viman ko land ki, wahin se kuch duri par HuYu ka ek aalishan shopping complex tha. Serin, Chirag aur Aarsi ko lekar uss shopping complex me pahunchi..


Chirag aur Aarsi charo ore dekh'kar hairan ho gaye… unki najren jahan tak ja rahi thi shopping complex najar aa raha tha aur log chhote-chhote vahan me baith'kar, dukan ke ek hisse se dusre hisse me jakar saman kharid rahe the…


Chirag aur Aarsi dono chahakte huye puchhne lage… "Bua kuch shopping hum dono bhi yahan kar len.. aaj tak kabhi bhi humne sath me shopping nahi ki hai"..


Serin dono ki baat sun'kar muskurati hui haan kah di aur dono ke gale me ek-ek pendent dalti hui kahne lagi…. "Yahan se kahin bahar jana ho to tumhare pendent me ek button hai usse press karke mujhe bus inform kar dena."….. Fir Serin dono ko kuch dhatu ke sikke deti hui kahne lagi…. "Iss jagah se jo kuch bhi kharidna uski kimat mat dena, naam bol'kar pack karwa lena"..


Dono the to Serin se umr me kafi hi jyada chhote, lekin Serin ko yakin tha ki khud se ye kuch na kuch achha hi kharidari karenge. Serin un dono ko vyast karne ke baad sidha ghus gayi HuYu ke chamber me…


Mast bhog aashan me HuYu ek ke upar chadha hua mast sambhog ke aanand me the.. tabhi pichhe se uske pichhwade par ek laat pari aur wo galiyan dete jaise muda… "Serin tum"… ek thappad uske gaal par fir para..


HuYu uss ladki ko bahar bheja aur khud ke kapde teji ke sath thik karte…. "Bata kar to aana chahiye the, main khud aata tumhe lene"..


Serin:- Bakwas band karo, mujhe kuch saman chahiye.. wo bhi abhi..


HuYu:- Itne din baad mile hain, kuch waqt bitao, thoda ghumte hai.. fir apna kaam karke chali jana..


Serin:- Waqt kaise bitna hai, jaise aakhri baar bitaye the?


HuYu:- Tum jaisi khatarnak ke sath main dobara waisi baat soch bhi sakta hun kya.. Bus purani dosti ki khatir kah raha tha… waise bhi tum in sab ladkiyon se bahut alag ho..


Serin:- Shiiiiiii … bakwas jyada ho rahi hai… aisi baton ke liye waqt na hai… tum saman nikalwao..


HuYu:- Haan thik hai do list..


Jaise hi Serin ne usse list dee, apni aakhen badi karte…. "Ye sab to rare item hai… Serin iski kismat bahut jyada hogi."


Serin:- Tumne mujh se ek pendent churaya tha, usme laga wo patthar jante ho kitna kimti tha?


HuYu:- 6 mahine se mere pass tha, tab mujhe pata nahi chala.. fir ek din jab main apne grah Decca par tha, tab wahan ke scientist ne jo bataya uske baad to mere dimag ki batti hi jal gayi...


Serin:- Haan to lao wo mera pendent wapas karo, uss ke badle iss list se 100 guna jyada saman kharid sakti hun main..


HuYu:- Janeman chor hun main, koi bewakoof nahi… main nahi janta kya ki tumne hi apne bhai ko pendent wapas lene bheja tha.. sala wo insan ki shakl me saitan hai.. Kah raha tha tumne usse roka na hota to mujhe maar deta..


Serin:- Lambe-lambe bhashan mat do mujhe… Saman do aur kimat batao.. main sara kimat bhijwa dungi..


HuYu:- Mujhe wahi dhatu ke 100 sikke chahiye jo tumhara bhai mere grah Decca par bant aaya tha…


Serin:- Uss se bhi kimati dhatu dilwa dungi.. agar tum meri dono list ke saman dilwa do..


HuYu:- Last time jab hum dono mile the yahan, tab mujhe laga ki maine tumhe thug liya.. lekin kuch din pahle jab tumhara bhai wo pendent le gaya tab mujhe samjh aaya ki main kitna bada wala chutiya hun.. Aur abhi jaroor tum muh-dikhai wali list dikha'kar meri kamjori samjh gayi.. ek baar aur main chutiya ban gaya…


Serin, apna pass se usse ek sikka deti… "Ye debt sikka hai.. tumhe aaj tak ka sabse achha business dungi main. Jo dhatu Nischal ke pass tha uske 200 sikke aur sath me uss se bhi kimati dhatu hoga uske pass.. wo bhi 200 sikke ke barabar wajan ka dungi.. deal tay samjhun kya"?
Idhar serin shayad kisi khas message milne ki wajah se zoren na jaake Horyent grah ke liye nikli aarshi aur chirag ke sath aur wohi dusri taraf sabbiya aur uske chhangu pangu logis puri tarike se serin aur nischal ko doshi karar karke unko saja dene Ki taiyari mein hai... jaal mahal par bhi apne kabze kar liya in nikammo ne... par hamesha ke liye nahi... jald hi inke kiye ki saza inko milegi... nischal chhodega nahi in kamino ko..
Ab toh subho bhi information deta rahega serin ko..
are yaar yeh chor huyu toh chor ke saath saath tharki hawasi kamina bhi hai... serin ishe maar kyun dalti :mad: kahe deal kar rahi hai uske saath..joh bhi saman chaahiye, maar maar ke chin kyun nahi leta usse..
aakhir usse baat hi kyun kar raha hai :mad2:
naam bhi gatar jaisa iska toh :puke:
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:- 93








HuYu, uska sikka wapas karte…. "Chor hun lekin logon ki parakh hai mujhme… tumse main koi profit nahi lunga, lekin badle me mujhe bhi le chalo wahan jahan tum action karne wali ho"..


Serin uska gala jor se dabati…. "Nautnaki'baaj abhi ke abhi puri kahani bata… mujhe hi bhramit karne chala hai"..


HuYu:- Abe pagal chhod mujhe.. ye tujh par mere sammohan ka asar kyon nahi hota.. aur na hi chhalawe ka koi asar..


Serin:- Bakna shuru kar..


HuYu:- Sabhi jagah khabar hai ki Zoren me yudh chhidne wala hai.. ab utne amir grah par tum log yudh karne wale ho.. Dono ke pass umada tecnology hai aur umda dhatu ki koi kami nahi hai.. bus sath le chalo… jo harega uska dhatu aur vimano ka malwa bator kar wapas aa jaunga..


Serin, kuch sochti hui… "Hmmm thik hai mujhe deal manjoor hai, lekin main list ke saman ke alawa bhi, dusre shopping complex se apni marji ka saman lungi.. jiska payment tunhare jimme.. bolo manjoor..


HuYu:- Haan manjoor chalo main sath chalta hun..


Serin:- Thik hai chalo fir…


Idhar Serin aur HuYu kharidari par nikle the aur udhar Chirag aur Aarsi bhi kharidari par nikle the. HuYu ke shopping complex se dono ne kuch gazette kharid liye.. aur fir jaise hi wahan se bahar jane lage, dono ne Serin se har detail sajha kar diya..



Kafi bhatkne ke baad ek shop me Chirag aur Aarsi ko ek kamal ki chij mil chuki thi, jo dono ko chahiye tha, aur thik ussi waqt Serin bhi HuYu ke sath pahunch chuki thi. HuYu ko kuch der me hi pata chal chuka tha ki ye dono kaun hai.. uski baat sun'kar HuYu apne sar ke baal nochna shuru kar chuka tha…


Baad me jab unse yahan aane ki wajah jaana to HuYu ek baar aur pagal ho chuka tha. Ek najar utha kar dono ka chehra dekhta to dusri najar unke pasand saman par jati…. Khule muh se itna hi nikla… "tum dono iss reactor aur baki ke ye saman ka kya karoge"…. Chirag aur Aarsi ne kewal Serin ke ore dekha aur Serin HuYu ko dekh rahi thi.


Sara saman ki shopping hone ke baad, sab saman scrape yaan me load ho gaya, sath me Serin ka viman bhi… Sab load karne ke baad HuYu ke scrape viman ke sath sab urr chale Zoren ki ore…


Scrape viman ki gati kafi dhimi thi lekin Serin ke sath-sath Chirag aur Aarsi ko bhi pahunchne ki koi jaldi nahi thi. Serin apne saman ke sath kaam kar rahi thi aur idhar Chirag aur Aarsi apne saman ke sath kuch naya banane ki kosis me jute the…


Serin ko pata tha ki Nischal ka viman jahan utra hoga, wahan Zoren grah ke rajya se permission ki jaroorat nahi hogi, isliye HuYu se location sajha karti hui Serin kahne lagi…. "Bina kisi ke permission ke viman issi location par land karo"…


Kuch dino ke safar ke baad Serin Zoren pahunch chuki thi, uska kaam ek din purv hi khatam ho chuka tha, lekin Chirag aur Aarsi ki jigyasa ko dekhti hui, wo un dono ki matr ek sahayak ke roop me, uske nirman me madad karne lagi, aur jaise-jaise dono bolte gaye, Serin uss hisab se kaam karti chali gayi. Jahan kahin bhi usse galat lagta to wo indirectly hint kar diya karti..


Finally Zoren ki seema me pahunchne se pahle unka kaam bhi khatm ho chuka tha.. scrape viman thik Nischal ke viman ke pass land ke liye taiyar tha…



Aizem grah.. tatkal samay..



Jivisha apne 3 din ka honeymoon announce karne ke baad Nischal ko yudh niti discuss karne ke liye kah rahi thi. Thik issi waqt Serin ka viman bhi land ho raha tha. Control room se alert jari hua aur suchna aana shuru ho gaya ki ek viman issi ilake me land ho raha hai…


Nischal, turant radio frequency milate… "Aap ka viman NilBhut Rajya ki hawai seema me hai, apni pahchan bataeye"..


Udhar se… "Ji main Bharat desh se Junior Master Chirag bol raha hun"…. "Aur main Aarsi"… "Buddhu junior master Aarsi kahti na, bhullakad"…. "Chhodo na baby, didi ke pass jane se pahle ek kissi to de do, aage to hume tadpna hi hai"… "Haan ye bhi sahi hai Aarsi.. command waise bhi wo chor uncle ke hath me hai"…


Jaise hi Chirag ki awaz Nischal ne suna usne hall ka speaker on kar diya.. wahan har koi Chirag aur Aarsi ki baat sun'kar hans rahe the. Nischal ne scrap viman ko utarne ka location bataya wo log land kar chuke the.


Sabhi log viman ke bahar aa kar unke swagat ke liye khade ho gaye. Scrap viman land hui aur sabse aage Chirag aur Aarsi hi thi. Jivisha ko dekhte hi dono ne daud laga diya, Jivisha apne ghutne par baith gayi aur bahen faila lee.


Dono aa kar itni teji se gale mile ki Jivisha niche gir gayi aur uske upar dono… Chirag apne hath se Jivisha ke aashu pochhte… "Kya Bua ye aise ro kar kaun milta hai re baba"… "Haan bua sasu mera bhi wahi sawal hai"..


Jivisha dono ki baat sun'kar hasne lagi aur apne bahon me bhinch'kar dono ko chumne lagi. Dono ko thodi der dular karne ke baad uth gayi, wahin Chirag apni bua ke pichhe aa kar, uske upar lage ret ko saaf karne laga…


Shwetna:- Ye ladka kitna samjhdar hai…


Nandni:- Kewal ladka kya, ladki bhi samjhdar hai.. infact kuch jyada hi samjhdar hai. Kabhi kabhi hume shaq sa hone lagta hain, Chirag aur Aarsi normal samjhdar hain ya hume bhagwan ne bewakoof banaya hai..


Shwetna:- Hahaha… In nanhe masters ki shikayat… Dono bahut pyare hain aur jab se radio par inki baten suni hun, inke sath ghumna chahti hun.


Nandni:- Haan kyon nahi, thodi der baad le kar jao inhe..


Shwetna:- Dhanywad… Lagta hai pichhe Viggo ki bahan hai, khatarnak ladaka ki poshak me..


Nandni:- Jisa dekh to udhar jarra… kewal iske shakal ki banawat, lagbhag mil rahi hai. Warna dur-dur tak ye Kasak nahi lag rahi...


Jivisha, Nischal ko hilati..... "Ye tunhari bahan dur khadi hokar tumhe aise kyon ghur rahi hai?"


Nischal:- Wo mujh se akele milna chah rahi hai..


Jivisha:- Ye uske sath uska boyfriend hai kya?


Nischal:- Nah wo chor hai.. tum apne computer ji ko alert mod par dal do, ye kuch chura kar yahan se na le jaye.. ek kaam aur karo, Serin ko tum apne sath le aao.. jab tak main aur Nandu jarra in nanhe ustadon se mil len..


Nischal sab logon ke sath niche viman me chala gaya aur Jivisha apne kadam badhati hui Serin ke pass pahunchi. Uske pass pahunchte hi, Jivisha gale lagati hui puchhne lagi… "Kaisi ho Serin"..


Serin:- Thik hun, wo Nischal kya kah raha tha.


Jivisha:- Sab kuch bataungi, pahle mujhe se thik se gale milo.. dil se..


Serin:- Mujhe gale milna nahi aata..


HuYu:- Mujhe gale laga'kar tum Serin ko demo kyon nahi deti..


Jivisha:- Computer ji iss chor ka muh band karke jarra aage viman ke darwaje tak chhod'kar aaeye..


Idhar Jivisha ka kahna tha aur udhar HuYu ret par sarakte huye Viman ke mukhya dwar par… "Ji miss akdu, arre baba gussa apne bhai se ho aur muh mujh se fulaye baithi ho. Kya yah jayaj hai. Aur dekho aaj ke din to kam se kam hans do, aaj hi subah humari shadi hui hai."..


Serin mayus to hui thi. Apni sari hui zindgi ko kayi dafa kosi bhi thi, lekin kabhi uske aakhon me aashu nahi aaye the. Serin bahen faila kar teji se gale milti hui, Jivisha ke kandhe par sar rakh'kar rone lagi.


Jivisha usse khud se alag karti hui, uska chehra hathon me tham'kar uske aashu pochhne ke baad… "Matlab mujh se baat nahi karogi, kewal angry to kabhi emotion look deti rahogi"..


Serin achanak hi hans di… "Aap ke yahan Prithvi par, hum dono ke riste me, main aap ko kya kah'kar pukarungi. Jaise wo Chirag mujhe Bua kahta hai aur Uski lover mujhe bua saasu.. sun'ne me achha lagta hai."


Jivisha:- Pahle mujhe batao tum apne bhai ki patni ko kya kah'kar pukarti ho wahan..


Serin:- Kabhi pukarne ka mauka hi nahi mila, aur pukara bhi hota to Nova hi kahti..


Jivisha:- Mujhe lekin bhabhi kahna.. aur haan ab to hans do..


Serin:- Pahle jarra Nischal se mil lun.. kayi saal ho gaye usse dekhe.. upar se wo mere pass nahi aa sakta tha, aap ko bhej diya.. kitna akhar gaya, pata hai aap ko.


Jivisha:- Hmmm ! Baat to tumhara kahna bhi galat nahi hai… to chalo achhe se khabar lete hain uski…


Serin:- Haan chalo…


Dono teji se kadam badhayi.. tabhi darwaje par HuYu ko dekh'kar Serin puchhne lagi… "Bhabhi isse kaisa command diya hai. Koi nano particles access kar rahi hain kya, kya wo voice acess hai."


Jivisha, Serin ke sar par ek hath marti… "Jhalli, jitna tough aur angry look ke sath entry mari thi. Wo sab mitti me"..


Serin:- Aisa kya kar diya maine..


Jivisha:- Buddhu, humari technology ke bare me hum akele me charcha karenge na.. ise bahar wale ke samne itni technical discussion.


Serin:- Ooopssss !! Wo kya hai na..


Jivisha:- Haan janti hun.. Shandar aavishkar aur Shandar vigyaan tumhe aakarshit karta hai… ab hairan mat ho, Nischal tumhare bare me bahut baten karta hai.


Serin:- Ab zindgi se koi sikayat nahi.. kuch din aur aap sabke bich ji lun, fir meri jindgi mukammal ho jayegi. Uske baad maut bhi aa jaye to koi gam nahi..


Jivisha:- Bus bus ye ulte dialogue band.. aur yaad hain na achhe se Nischal ki khabar leni hai..


Serin:- yesssss..


Dono control room ke hall ke pass pahunche. Serin, Chirag aur Aarsi se kahne lagi… "Juniors, kya tumne apne notes diye"..


Dono ek sath… "Haan master"


Serin:- Thik hai tum dono yahan ke control room check kar aao..


Chirag:- No no no.. hum dono Shwetna didi ke sath ja rahe hai. Inko humari kahani janne me bahut intrest hai..


Serin:- Thik hai juniors apna khyal rakhna, ab jao...


Shwetna jaise hi uss hall se bahar nikli, Serin Nischal ke karib aayi aur usse teji se pakar kar upar roof ki taraf kisi ball ki tarah badi hi teji se uchhal di. Nischal ka pith chhat se takraya aur wo niche jamin me aa kar gira..


Wo jaise hi jamin me aa kar gira Serin usse paun se pakad kar dayen ore se uthayi aur bayen ore dharam se patak di. Har koi ye najara dekh'kar shocked se apna muh khol liya.. Itne me achanak Nischal khada hua aur teji se Serin ke hath paun bandhte huye usse khinch kar ek thappad marte..…

"Itne sal me tumse dur rah'kar jitna tumhe maine miss kiya hai, uss se kahin jyada tum par gussa bhi hai"…


Serin:- Mera hath kholo, abhi mera gussa shant nahi hua hai…


Nischal:- Aur mujhme abhi gussa bhadka hua hai Serin..


Serin:- Tum dobara jaan dene par kyon tul gaye the, jab main tumhe kah chuki thi ki engine me apni energy support mat dena… uss patthar ka istamal karna..
is huyu ko sath kyun le aaya... isko nahi nahi lana chahiye tha kahi koi gadbari na kar de... so finally chirag aur aarsi aa hi gaye aapne bua aur fufa ke paas..
lagta ab shwetna ki bhi ban bajegi jo in dono questions ki dukano ko sath le jaa rahi hai ghumane...
Kya baat hai jivu toh us computer ki aad mein apni hi shaktion ka prayog kar rahi hai waise aachha hua us huyu chipka diya udhar.. warna pata nahi kya chura ke le jaata wahan se..
aainn :hmm2: yeh barso ke bisre bhai bahan mil rahe hai ki do ek dusre ke khoon ke pyase dusman...
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:
 
Top