• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Koi To Rok Lo

fan

New Member
24
122
28
Doston update de diya hai. Is update me ek baar fir ami aur vaani didi ke bich rochak baat chit dekhne ko milgei. Iske alawa aapko isme neha aur keerti ke bich bhi kuch rochak baten hoti huyi dikhayi degi. Sath hi is update me aapko nimi ki jhalak bhi dekhne ko milegi. Iske alawa is update me ek naye kirdar ka naam bhi najar aayega. Abhi mujhe koi achha sa naam saamjh me nahi aaya aur mere pas samay ki kami thi to, maine wo naam de diya hai. Lekin ho sakta hai ki, aage chal kar ye naam badal jaye. Ummid hai ki ye update aapko pasand aayega. Story se jude rahne aur apna sath banaye rakhne ke liye aap sabka bahut bahut dhanyawad. :blush1:
Ek baat hai Pritam bhai technically ye update aap 3 din pahle kar chuke ho is hisab se hum update 250 ka bhi wait kar rahe hai.
 
Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,952
116,087
304
Ko To Rok Lo {Update - 249}
____________________________

Vaani didi ki is baat par ami ke chehre par muskurahat aa gayi aur usne vaani didi ka majak udate huye kaha.

Ami boli “mujhe pata chal gaya hai ki, aapko kab aur kisne patak patak kar bahut maara tha.”

Ye kah kar ami khilkhila kar hasne lagi. Lekin ami ke muh se ye baat sunte hi vaani didi ne fauran aage bad kar ami ke muh par apna hath rakh kar uska muh band kar diya.

Lekin wo khud ko hasne se nahi rok payi. Un ne ami ko khud se chiptate huye badi jor se hanste huye kaha.

Vaani didi boli “oye oye Koi To Rok Lo ise, meri chhoti bahan to mujhse bhi badi jasus ho gayi hai.”

Ye kah kar vaani didi bahut jor se khilkhila kar hasne lagi. Keerti aur chhoti maa ko bhi shayad unki is hansi ka matlab samajh me aa gaya tha. Isliye wo bhi vaani didi ke sath hasne lagi.

Ye meri jindagi me pahla mauka tha. Jab mai vaani didi ko kisi ke sath itna jyada masti karte huye dekh raha tha ya kisi baat par unko dil khol kar thahake lagate huye dekh raha tha.

Hum sabko unki is hansi ka karan to nahi pata tha. Lekin unko ami ke sath is tarah se khul kar masti karte dekh kar, hum sabke chehre par bhi khud-ba-khud hansi thirakne lagi thi.

Kuch der tak vaani didi ami ko khud se chiptaye, aise hi hansti rahi. Fir jab unki hansi thami to, ami ne unse kaha.

Ami boli “didi, aapne aniruddha uncle ko unki galti ke liye maaf kar diya na.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi ne ami ko samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “betu, abhi tu is baat ki aehmiyat samajhne ke liye bahut chhoti hai. Lekin tu itna to janti hi hogi ki, police ke khabri har jagah par rahte hai.”

Ami boli “haan, mujhe is baare me malum hai. Maine bahut si movie me bhi unhe dekha hai.”

Vaani didi boli “tab to tune movie me ye bhi dekha hoga ki, bahut se police wale bhi gunde aur mujriom ke sath mile rahte hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami ne apni bhohen sikodte huye kaha.

Ami boli “haan, maine ye bhi dekha hai. Lekin mujhe wo police wale bilkul bhi ache nahi lagte.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi ne use samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “lekin betu, asal jindgi me bhi aisa hi kuch hota hai. Jaise gunde badmashon ke bich me police ke khabri hote hai. Aise hi police ke bich me bhi gunde badmashon ke khabri hote hai.”

“Jo jara se paise aur power ke lalach me un gunde badmashon ko humari khabar pahuchate rahte hai. Jisse wo gunde badmash humse sawdhan ho jate hai aur hum unhe pakadne me nakam ho jate hai.”

“Aniruddha us samay phone jo baten kar raha tha. Wo bahut hi jyada gupt baten thi. Un baton ki gopniyata bhang hone se na sirf mujrim mere hath se bach kar nikal sakte hai, balki bahut saare logon ki jaan bhi musibat me pad sakti hai.”

Ye kah kar vaani didi ami ka chehra dekhne lagi. Shayad wo ami ke agla sawal puchhne ka intejar kar rahi thi. Us samay mai keerti aur neha teeno aas pas hi khade huye the. Neha ne vaani didi ki ye baat suni to, dhire se budbudaya.

Neha boli “khud karen to, chamatkar aur dusra kare to balatkar.”

Neha ki ye baat sunkar, keerti gusse me use ghoor kar dekhne lagi. Neha shayad nisha bhabhi ko khalid ki khabar dene ki vajah se vaani didi ko ye taana de rahi thi. Waise neha ki ye baat bilkul bhi galat nahi thi.

Keerti bhale hi vaani didi ko hitler manne se inkar karti ho. Lekin mai aur mehul is baat ko manne se kabhi inkar nahi kar sakte the. Ye alag baat thi ki, mai is baat ko kabhi kahta nahi tha aur mehul kahne se kabhi chukta nahi tha.

Vaani didi sach me puri hitler thi. Wo jo niyam dusro ke liye lagu karti thi. Wo niyam unke khud ke upar kabhi lagu hi nahi hote the. Unke niyam dusro ke liye alag the aur khud ke liye alag the.

Kisi baat me kisi ki safayi sunna unki aadat me hi nahi tha. Na hi wo khud kabhi kisi baat ke liye kisi ke samne koi safayi pesh karti thi. Wo apni kisi baat ki kisi ko vajah batane ki bhi koi jarurat nahi samajhti thi.

Neha ki ye baat sunne ke bad keerti to use kha jaane wali narjron se dekh rahi thi. Lekin mai is baat ko sunkar, muskura kar rah gaya. Wahi ami ne vaani didi ki baat sunkar, kuch der sochne ke bad kaha.

Ami boli “lekin didi, ye to galat hai. Police walon ko aisa nahi karna chahiye. Sabhi police walon ko aapki tarah hi imandar hona chahiye.”

Ami ki baat sunkar, neha gaur se vaani didi ko dekhne lagi. Shayad wo ami ki imandari wali baat par vaani didi ka jabab sunna chahti thi. Wahi keerti neha ki is harkat ko gaur se dekh rahi thi.

Use shayad neha ki vaani didi ki imandari par shaq karne wali ye harkat pasand nahi aa rahi thi. Mai bas khamoshi se neha aur keerti ki in harkton ko dekhne me laga hua tha. Wahi vaani didi ne ami ki ye baat sunne ke bad us se kaha.

Vaani didi boli “tu thik kahti hai. Lekin sirf police ko hi nahi, balki har kisi ko apna kaam imandari se karna chahiye. Magar aaj kal aisa hota nahi hai. Log jara se paison ke lalach me apna iman bech dete hai.”

“Rahi meri baat to, maine kabhi apne farz ke sath beimani nahi ki hai. Lekin ek do baar maine bhi jaan bujh kar kuch mujrimo ko apne hath se bach nikalne ka mauka jarur diya hai.”

Hum sab vaani didi aur ami ki baten gaur se sun rahe the. Unki is baat ko sunte hi, ami ne puchha.

Ami boli “lekin kyo didi. Jab aapko pata tha ki, wo mujrim hai to, fir aapne unhe bach kar kyo jaane diya.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “aisa isliye, kyoki bhale hi wo kanun ke mujrim the. Lekin un ne kabhi insaniyat ko sharmsar nahi kiya tha. Isliye mujhe unhe apne hath se bach nikalne ka mauka dena pada tha.”

“Ab mere aisa karne ki vajah chahe jo bhi rahi ho. Lekin mere in faislon ko kabhi koi sahi nahi kah sakta. Fir bhi mujhe apne kisi bhi faisle ke liye koi pachhtawa nahi hai aur na hi mai unhe galat manti hu.”

“Kyoki jindagi me kuch faisle hume apne dil dimag se nahi, balki apne zamir se lena padte hai. Apne zamir se liye gaye faisle kabhi galat nahi hote hai aur unke liye hume kabhi pachhtana nahi padta hai.”

Vaani didi ne ami ko samjhate samjhate anjane me hi neha ko uske taane dene wali baat ka jabab de diya tha. Vaani didi ka ye jabab sunte hi, keerti ne neha ke taane ka jabab use taane me dete huye kaha.

Keerti boli “tumhe samajh me aaya ki, kya hai chamatkar aur kya hai balatkar, ya fir vaani didi se bol kar, tumhe dikha du hahakar.”

Keerti ki ye baat sunkar, itne sanjida mahol me bhi mere chehre par hansi aa gayi Wahi dusri taraf ami ne jab vaani didi ki ye baat suni to, unko unki baat ke bich me hi tokte huye puchha.

Ami boli “didi, ye zamir kya hota hai.”

Ami ki is baat ko sunkar, keerti ne us par haste huye kaha.

Keerti boli “buddhu, dil ki aawaj ko hi zamir kahte hai.”

Lekin vaani didi ne keerti ki is baat ko kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “nahi, tum galat kah rahi ho. Dil ki aawaj ko zamir nahi kahte hai. Dil to hume bahkata hai. Jo baat hume achi lagti hai. Hume usi ki taraf kheech kar le jata hai.”

“Zamir humari aatma ki aawaj ko kahte hai aur humari aatma ki aawaj kabhi galat nahi hoti hai. Jo hume batati hai ki, humare liye kya sahi hai aur kya galat hai. Isliye hame hamesha apne zamir ki sunna chahiye.”

“Khair is baare me mai kabhi tumhe fursat se samjhaugi. Abhi meri flight ka samay ho raha hai. Ab mujhe yaha se nikalna chahiye. Warna meri ye flight bhi chhut jayegi.”

Ami boli “lekin didi, abhi tak aapne meri dono baton ka koi faisla nahi kiya hai. Na to aap bhaiya ko apne sath le jaane ko taiyar huyi hai aur na hi aapne abhi tak aniruddha uncle ko maaf kiya hai.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi kuch sochne lagi aur fir un ne ami ke samne apne hathiyar daal kar, uske sath saudebaji karte huye kaha.

Vaani didi boli “acha meri maa, ek baat mai teri maan leti hu aur ek baat tu meri maan le. Mai teri baat maan kar aniruddha ko maaf kar deti hu aur tub hi meri baat maan kar punnu ko mere sath bhejne ki jid chhod de.”

Vaani didi ne to ami ki baat maan kar aniruddha ko maaf kar diya tha. Lekin ami ne unki baat manne ke liye unke samne shart rakhte huye kaha.

Ami boli “thik hai didi, mai aapki baat maan kar bhaiya ko aapke sath bhejne ki jid chhod deti hu. Lekin iske liye aapko meri do sharten manna hogi.”

Ami ki ye baat sunkar vaani didi ne thoda chaukte huye kaha.

Vaani didi boli “ye kya majak hai. Maine teri ek baat maani to hai. Ab tu meri ek baat manne ke liye mere samne do shart aur rakh rahi hai. Ye sarasar galat baat hai.”

Magar ami ne apni ye jid nahi chhodi aur apni baat ko dohrate huye kaha.

Ami boli “nahi, yadi aap chahti hai ki, mai bhaiya ko aapko sath bhejne ki apni jid chhod du to, iske liye aapko meri dono sharten manna hi padegi.”

Vaani didi ko ab jaane me deri ho rahi thi. Isliye un ne ami se apna pichha chhudate huye kaha.

Vaani didi boli “chal thik hai. Mai teri sharten manne ko taiyar hu. Ab tu jaldi se apni dono sharte bol de. Mujhe sach me ab der ho rahi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, ami ne fauran unke samne apni shart rakhte huye kaha.

Ami boli “meri pahli shart hai ki, aap apni bullet proof jacket pahan kar hi apne kaam par jayegi aur meri is baat ko bilkul bhi halke se nahi legi.”

Ami ki ye baat sunkar vaani didi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne aage bad kar, pyar se ami ko apne gale se laga liya aur fir uski is baat ki haami bharte huye kaha.

Vaani didi boli “chal thik hai. Mujhe teri ye shart manjur hai. Ab jaldi se apni dusri shart bhi bol de.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami apne gale me hath laga kar kuch talash karne lagi. Lekin jab use wo nahi mila to, usne nimi ki taraf dekh kar use apne pas aane ka ishara kiya.

Nimi ami se thodi hi duri par chhoti maa ke pas khadi thi. Aaj vaani didi ko gusse me dekh kar, wo kuch sahmi huyi aur shant si thi. Warna abhi tak to, usne na jaane kitni baar vaani didi aur ami ki baat ke bich me unhe tok diya hota.

Ami ka ishara pate hi, nimi fauran ami ke pas aa gayi. Ami ne dhire se uske kaan me kuch kaha. Jise sunkar nimi jet viman ki tarah teji se bhagti huyi upar chali gayi. Kuch der bad wo waise hi bhagti huyi niche aa gayi.

Lekin ab uske chehre par uski jani pahchani muskurahat bhi thi. Usne ami ke pas aakar apna hath uske samne kar diya. Uske hath me is samay ami ka golden locket tha.

Ye ek sarp aakar ka locket tha aur ye locket ami ko richa aunty ne bade hi pyar se diya tha. Asal me ami ki kundali me kaal-sarp yog tha. Jiske nidan ke liye richa aunty baar baar chhoti maa se kahti rahti thi.

Lekin chhoti maa chahte huye bhi iske nidan ke liye kuch kar nahi pa rahi thi. Fir ek baar richa aunty ka rimbakeshwar jana ho gaya aur un ne khud hi waha par ami ke kaal-sarp ke nidan ke liye pujan karwaya tha.

Usi samay un ne ami ke liye ye locket bhi liya tha. Ye locket dekhne me bahut sundar tha. Iske alawa is locket me richa aunty ki sharddha aur unka ami ke liye pyar chhupa hua tha.

Isliye ami ise hamesha apne gale me pahne rahti thi. Abhi ye ami ke gale me kyo nahi tha. Ye baat to sirf ami nimi hi janti thi. Lekin is samay iske ami ke gale me na hone se bada sawal ye tha ki, abhi ami ne ise kyo mangaya hai.

Shayad is samay meri tarah baki sabke man me bhi yahi sawal tha. Wahi ami ke hath me uska locket aate hi, usne wo locket vaani didi ki taraf badate huye kaha.

Ami boli “didi, meri dusri shart ye hai ki, aap is locket ko hamesha apne gale me daali rahegi.”

Ami ki ye baat sunkar vaani didi ne chaukte huye kaha.

Vaani didi boli “lekin betu, ye to tera locket hai. Richa aunty ne bade pyar se ise teri hifajat aur tarakki ke liye tujhe pahnaya tha. Ise aise kisi ko dena, bilkul bhi sahi nahi hai. Mai ise tujhse nahi le sakti hu.”

Lekin ami ne ek baar fir apni jid par adte huye kaha.

Ami boli “didi, aapne mujhse kaha tha ki, aap meri dono shart manegi. Ab aap apni baat se mukar rahi hai.”

Ami ki baat sunkar, vaani didi ne use samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “betu, mai kisi baat se nahi mukar rahi hu. Lekin is baat ko tu bhi achi tarah se janti hai ki, richa aunty ne ye locket tujhe kyo diya tha. Fir tu mujhse aisi jid kyo rahi hai.”

Ami boli “didi, richa aunty ne ye mujhe meri hifajat aur tarakki ke liye diya tha. Lekin aaj mujhse jyada aapko iski jarurat hai aur mai kaun sa aapko hamehsa ke liye de rahi hu. Aap jab mumbai se wapas aana to, ye mujhe wapas lauta dena.”

Aakhir me ami ki is jid ke aage bhi vaani didi ko jhukna hi pad gaya. Ami khud apne hathon se vaani didi ko wo locket pahnane lagi. Ye dekh kar keerti ne use chhedte huye kaha.

Keerti boli “haye ri kismat. Mai aur nimi jis locket ko hathiyane ke liye na jaane kitne papad bel chuke hai. Aaj wo locket khud hi chal kar vaani didi ke gale me ja raha hai.”

Keerti ki baat sunkar, hum sab hasne lage. Lekin vaani didi ne ghoor kar keerti ko dekha aur use ami ko na chhedne ka ishara kiya. Vaani didi ko ishara karte dekh kar keerti muskurate huye apne muh par ungli rakh kar khadi ho gayi.

Keerti ki ye harkat dekh kar, vaani didi ke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Ami ke hathon se locket pahan lete ke bad, vaani didi ne ami nimi ko apne gale se laga liya.

Lekin keerti ki shararat ki vajah se unke chehre par abhi bhi muskan bani huyi thi. Ami nimi ko thoda dular karne ke bad, wo muskurati huyi keerti ke pas aa gayi. Is samay keerti ke agal bagal mai aur neha khade huye the.

Vaani didi muskurati huyi keerti ke pas aayi aur mere sar par pyar se chapat lagakar, aage bad kar keerti ko apne gale se laga liya. Vaani didi ki ye chapat khakar, mai apne sar ko sahlate huye, unhe keerti se milte huye dekhne laga.

Lekin meri samajh me ye baat nahi aa rahi thi ki, pyar to unko keerti ke upar aaya tha. Fir un ne bevajah mere sar par chapat kyo laga di hai. Yadi ye chapat vaani didi ki jagah kisi aur ne lagayi hoti to, shayad mujhe khushi bhi huyi hoti.

Lekin vaani didi ki to pyar ki chapat khakar bhi chaithi laal ho jati thi aur mai apne sar ko sahlate rahne ke siwa kuch nahi kar pata tha. Lekin ye to mere hisse ki chapat bhi nahi thi.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, aaj ye vaani didi kya rahi hai. Pahle jab keerti ke upar gussa aaya to, mujhe peet kar rakh diya tha aur ab keerti ke upar pyar aaya to, uske hisse ki chapat mujhe laga di thi.

Vaani didi ka ye pyar bilkul sher ki sawari karne ke barabar tha. Jaise sher ki sawari karne wale ko kisi se koi khatra nahi rahta hai. Shiway us sher ke, jiski wo sawari kar raha hai.

Bilkul wahi haal vaani didi ke pyar ka bhi tha. Vaani didi ke sath rahne wale ko unke siwa kisi ka koi khatra nahi rahta tha. Lekin is baat ka khatra use hamesha hi bana rahta tha ki, pata nahi wo kab kis baat par naraj ho jaye.

Magar fir haal to unka gussa ami ki vajah se hum sab par shant hi samajh me aa raha tha. Lekin ye sochna shayad meri bhool thi. Un ne keerti se gale milne ke bad bade hi pyar se us se kaha.

Vaani didi boli “punnu ki tarah maine tere liye bhi kuch socha hai. Mai chahti hu ki, tu bhi meri tarah majbut bane. Isliye tu kal hi kisi ache se karate school me jakar apna naam likhwa le.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, keerti hairani se unhe dekhne lagi. Ek tarah se vaani didi ne bade hi pyar se keerti ko uske kiye ki saza suna di thi. Lekin neha is baat ko samajh nahi payi aur jor jor se hasne lagi.

Lekin vaani didi ne neha ki is harkat par koi gussa nahi kiya aur muskurate huye uski taraf bad gayi. Un ne neha ko bhi pyar se gale laga liya aur us par bhi apna pyar lutate huye kaha.

Vaani didi boli “tum fikar mat karo. Mai mumbai jakar riya ya barkha se kah kar tumhara naam bhi akki sir ki karate class me likhwa dugi.”

Vaani didi ki ye baat sunkar neha fati fati aankhon se vaani didi ko dekhne lagi. Fir usne haklate huye vaani didi se kaha.

Neha boli “lekin didi, aapko takleef karne ki kya jarurat hai. Mai khud hi mumbai jaane ke bad kisi achi si karate class me apna naam likhwa lugi.”

Lekin vaani didi ne neha ki baat katte huye kaha.

Vaani didi boli “isme takleef kaisi, keerti ki tarah tum bhi meri bahan hi ho aur tumhare liye bhi mera koi farz banta hai. Tumko kisi bhi aise waise karate class me jaane ki koi jarurat nahi hai. Tum akki sir ki class me hi jana.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, neha kuch jyada hi pareshan ho gayi thi. Usne vaani didi ko samjhane ki koshish karte huye kaha.

Neha boli “lekin didi, maine suna hai ki, aaj kal akki sir ke pas bilkul samay nahi rahta hai. Wo aaj kal kisi ko kuch sikhate hi nahi hai. Isliye unke pas jaane ka koi matlab hi nahi hai.”

Lekin vaani didi ne neha ki is baat ko bhi kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “tum iski fikar karne ki jarurat nahi hai. Mai akki sir se bolugi to, wo tumhe sikhane ke liye kabhi mana nahi karege aur mere khayal se sirf mumbai hi nahi, pure india me akki sir se behtar koi nahi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, neha ke to pasine chhut gaye. Lekin ab us se kuch bhi kahte nahi bana. Neha se milne ke bad, vaani didi chhoti maa ke pas aa gayi aur unse gale milne lagi.

Iske bad un ne mujhe bhi apne gale se lagate huye kuch baten samjhayi. Fir wo aniruddha se chalne ke liye kahne lagi. Jiske bad hum sab vaani didi ke sath unko chhodne bahar aa gaye.

Vaani didi ek baar fir sabse mili aur iske bad, wo gaadi me baith kar, aniruddha ke sath airport ke liye nikal gayi. Vaani didi ke jaane ke bad hum sab ghar ke andar aa gaye. Ab raat ke 11:30 baj chuke the.

Isliye chhoti maa hum sabse sone jaane ko kahne lagi. Kal neha chanda mausi ke kamre me ruki huyi thi. Lekin aaj chanda mausi ghar aa gayi thi aur apne kamre me hi aaram kar rahi thi. Ye dekh kar chhoti maa ne neha se kaha.

Chhoti maa boli “neha beta, tum kal chanda mausi ke kamre me ruki thi. Lekin aaj mausi aa gayi hai aur apne kamre me hi aaram kar rahi hai. Aise me tumhara unke sath rukna sahi nahi hoga.”

“Unke bagal me ek kamra hai. Wo punnu ke bachpan ka kamra hai. Tum chaho to, us kamre me so sakti ho ya fir upar ami nimi ya keerti ke sath bhi so sakti ho. Tumhe jaha sahi lage, tum waha so jana.”

Itna kah kar chhoti maa keerti ko neha ke baare me jata kar apne kamre me chali gayi. Asal me chhoti maa aur chanda mausi dono ki hi aadat subah jaldi uthne ki thi. Isliye wo raat ko jara jaldi hi so jaya karti thi.

Chhoti maa ke neha ke upar keerti ke pas so jaane ki baat sunkar mai thoda soch me pad gaya. Kyoki yadi neha keerti ke pas soti to, fir keerti ke raat ko mere pas aane ki ummid kam hi thi.

Jabki aaj keerti ki tabiyat sahi thi aur vaani didi bhi ghar me nahi thi. Aise me yadi keerti chahti to, wo mere pas bhi so sakti thi. Lekin chhoti maa ne neha ke keerti ke sath sone ki baat kah kar mere saare armano par pani fer diya tha.

Lekin abhi neha ka koi jabab na milne ki vajah se abhi bhi ummid ki ek kiran baki thi. Kyoki uske pas sone ke liye teen vikalp maujud the. Jinme se do mere hit me hi the.

Pahla to, wo niche mere bachpan wale kamre me hi so sakti thi aur dusra wo ami nimi ke sath unke kamre me bhi so sakti thi. Uske in dono jagah me se kisi bhi jagah sone par mujhe koi pareshani nahi thi.

Lekin yadi wo keerti ke sath sone ki baat par haami bharti hai to, ye jarur mere liye pareshani wali baat thi. Isliye mai badi becheni se neha ke is baat ka jabab dene ka intejar kar raha tha.

Keerti bhi chhoti maa ki is baat ko sunne ke bad kuch pareshan si lag rahi thi. Kyoki wo chahte huye bhi neha ko apne pas sone ke liye mana nahi kar sakti thi. Lekin fir na jaane kya soch kar usne ami nimi se kaha.

Keerti boli “tum dono abhi tak yahi par kyo khadi ho. Jao aur jakar so jao.”

Keerti ki is baat ko sunkar ami ne kaha.

Ami boli “didi, hum log to neha didi ke jabab ka intejar kar rahe hai. Taki wo yadi humare sath sone ko taiyar ho to, hum unhe apne kamre me le jaye.”

Ami ki baat sunkar, neha muskura kar rah gayi. Lekin jab maine ami ke bolne ke bad nimi ko kuch bhi bolte nahi dekha to, mujhe is baat ki bahut jyada kami akharne lagi.

Aamtaur par aisa hota nahi tha. Ami ke kuch bhi bolte hi, nimi khud ko ami se aage dikhane ke liye, us se bhi jyada bad chad kar bol diya karti thi. Jise sunkar sab hasne lagte the.

Nimi ki ye baten bhale hi fijul aur besir pair ki baten hoti thi. Lekin fir bhi uski ye baten sabka dil chura liya karti thi. Isliye is samay mujhe ami se jyada nimi ke chhakke lagane ka intejar tha.

Taki uski baat sunkar, neha khushi khushi unke kamre me sone ke liye taiyar ho jaye. Nimi se wahi chhakka padwane ke liye maine usko uksate huye kaha.

Mai bola “nimmo, neha yadi tere kamre me soyegi to, tu use pareshan to nahi karegi na.”

Mera itna kahna tha ki, nimi ki baton ki frontier mail chal nikli. Usne meri baat sunkar fauran apni safayi dete huye kaha.

Nimi boli “nahi bhaiya, mai neha didi ko bilkul bhi pareshan nahi karugi. Maine to neha didi ke sone ke liye bahut saari jagah bacha kar rakhi hai. Taki wo humare kamre me aaram se so sake.”

Nimi ka itna kahna tha ki, neha ne khilkhila kar hanste huye kaha.

Neha boli “nimi, abhi tu apne kamre me gayi hi kaha hai. Fir tune mere sone ke liye jagah kaise bacha kar rakh li.”

Neha ki is baat par nimi ne apni safayi dete huye kaha.

Nimi boli “didi, wo maine soch liya tha ki, mai aapke aur ami didi ke bich me sougi to, meri wali jagah aapke liye bach gayi na.”

Nimi ki baat sunkar, keerti ne bhi hanste huye kaha.

Keerti boli “lo neha, nimi ne apne kamre me tumhare sone ka pura intejam kar ke rakha hai. Ab use bata bhi do ki, tum kaha sone wali ho.”

Keerti ki is baat ko sunkar, neha ne bhi muskurate huye kaha.

Neha boli “ab jab nimi ne mere sone ke liye jagah bacha kar rakhi hai to, fir mai bhala kahi aur kaise so sakti hu. Mai ami nimi ke sath hi sougi.”

Neha ka ye jabab sunkar, maine shukun ki saans li. Wahi keerti ne neha ki baat sunne ke bad ami nimi se kaha.

Keerti boli “ab tum dono ne sun liya na ki, neha tumhare kamre me sone wali hai. Ab tum log apne kamre me jao. Hum abhi aate hai.”

Keerti ki baat sunkar ami nimi dono humare pas se chali gayi. Unke jaane ke bad keerti ne mujhse kaha.

Keerti boli “ab tum yaha kya kar rahe ho. Tum bhi jakar apne kal juhi didi ki shadi me jaane ki taiyari kar lo.”

Mera kaam to nimi bana kar ja chuki thi. Ab waise bhi mera waha rukna bekar hi tha. Isliye mai keerti ki baat sunkar apne kamre me aa gaya. Lekin keerti ne mujhe juhi didi ki shadi ki baat yaad dila kar gahri soch me daal diya tha.

Kamre me aakar maine night suit pahna aur fir let kar, aankh band karke juhi didi ke baare me sochne laga. Juhi didi ki shadi ke baare me sunkar, mujhe bahut bada jhatka laga tha.

Ye jhatka kisi bhi tarah se us jhatke se kam nahi tha. Jo mujhe keerti ki shadi pakki hone wali baat ko sunkar laga tha. Lekin tab keerti ki shadi wali baat jhuth nikal gayi thi.

Magar yaha juhi didi ki shadi wali baat ke jhuth nikalne ki koi ummid nahi thi. Kyoki kal isme shamil hone ke liye hum sab bhi jaane wale the. Mujhe to juhi didi ki shadi ki baat sunkar khush hona chahiye tha.

Lekin mai chahte huye bhi is baat se khush nahi ho pa raha tha. Juhi didi mere liye kya thi. Ye to mai khud bhi nahi janta tha. Magar itna jarur janta tha ki, un ne mujhe beshumar pyar diya tha.

Keerti se to meri mulakat kabhi kabhi hi hoti thi. Lekin juhi didi se to meri lambe samay tak roj hi mulakat hoti rahi thi. Kyoki pichhle saal tak wo mere hi school me thi.

Wo bhale hi mujhse do class aage thi. Lekin jis din se chhoti maa ne unhe mujhse milaya tha. Us din se wo roj school me mujhse mila karti thi. School me unki bahut si saheliyan thi.

Fir bhi wo lunch mere aur mehul ke sath hi kiya karti thi. Mehul ki tarah wo bhi aksar mere liye kuch na kuch lekar aaya karti thi. Jis vajah se humari dosti aur bhi jyada majbut ho gayi thi.

Keerti ki baji ki tarah juhi didi se bhi bilkul nahi banti thi. Fir bhi juhi didi keerti ke liye apne man me bilkul bhi mail nahi rakhti thi. Wo keerti se hamesha hans kar hi mila karti thi.

Juhi didi to bachpan se hi sabke samne bas ek hi baat ratti huyi aayi thi ki, wo badi hokar mujhse hi shadi karegi. Unki is baat ko lekar sabhi unka bahut majak udaya karte the.

Lekin mai is baat me hamesha unka hi sath deta tha aur kahta tha ki, mai bhi bada hokar juhi didi se hi shadi karuga. Yadi wo sach me bhi kabhi mere samne shadi ki baat rakhti to, mujhe bina soche samjhe iske liye haan hi kahna tha.

Magar aaj jab sach me hi wo kisi ke sath shadi karne ke liye ja rahi thi to, un ne mujhe hi is baat ki khabar dene ke layak nahi samjha tha. Mujhe to ab bhi yakin nahi aa raha tha ki, juhi didi mere sath aisa kar sakti hai.

Juhi didi ne mujhe itna jyada pyar diya tha ki, aaj unka ye parayapan mujhse sahan nahi ho raha tha aur mujhe bahut dard ho raha tha. Unki is baat ko soch soch kar mera dil rone ke liye kar raha tha.

Abhi mai juhi didi ki in baton me khoya hua tha ki, tabhi kamre ka darwaja khulne ki aawaj sunkar mai chaukte huye, apni aankh khol kar dekhne laga. Mere samne keerti aur neha khadi thi.

Mujhe is tarah se chaukte dekh kar, neha khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti ne mujhe kisi gahri soch me gum sa dekha to, usne na jaane kya soch kar ek shayari bolte huye kaha.

Keerti boli “Wo Raat Bhi Bade Dard Sitam Ki Raat Hogi.​
Jis Din Rukhsat Teri Barat Hogi.​
Ye Soch Kar Nind Se Jaag Jate Hai Hum.​
Kisi Gair Ki Bahon Me Meri Saari Kaynat Hogi.”​

______________________________
:reading:
 
aman rathore

Enigma ke pankhe
4,857
20,215
158
Ko To Rok Lo {Update - 220}
____________________________

Mai bola “haan meri maa, tune kuch nahi bola tha. Maine hi baji ko bola tha ki, keerti ko bracelet ka bahut sauk hai aur uske pas ek sone ka bracelet bhi hai. Isi vajah se un ne tera wo bracelet nahi jane diya.”

“Is sab me jo bhi galti hai, sirf meri aur bajii ki hi hai. Teri kahin koi galti nahi hai. Ab yadi tere dil ko sukun pad gaya ho to, ab hum log upar chale.”

Meri baat sunkar, keerti ke chehre par muskurahat aa gayi aur fir hum dono uth kar upar priya ke pas aa gaye. Nikki abhi bhi baithi huyi thi aur baki sab so rahe the. Keerti jakar nikki ke pas baith gayi.

Maine nikki se ek do batne ki aur priya ki taraf dekhte huye nikki se kaha.

Mai bola “mai dusre kamre me ja raha hu. Yadi priya ki nind khul jaye to mujhe bula lena.”

Meri is baat ke jabab me nikki ne haan me sar hilaya aur fir mai bahar jaane ke liye mud gaya. Lekin abhi maine ek do kadam hi aage badaye the ki tabhi mujhe priya ki aawaj sunayi di.

Priya ki aawaj “Aana meri kabar par, rahna pare pare.​
Aahat se jaag jaate hai, dilbar mare mare.”​

Maine palat kar pichhe dekha to, priya mujhe dekh kar muskura rahi thi. Aaj na jaane kitne din bad mai uska muskurata hua chehra dekh raha tha. Use muskurate dekh kar, mere dil ko bahut sukun mila aur mere chehre par bhi raunak aa gayi.

Mai muskurate huye uske pas aa gaya aur uske hath ko apne hath me tham kar uske pas hi baith gaya. Usne mere hath ko majbuti se pakadte huye kaha.

Priya boli “tum hamesha mere pas se bhagne ka bahana hi dudte rahte ho.”

Uski is baat ke jabab me maine uska hath apne hath se dabate huye kaha.

Mai bola “mai kaha tumhare pas se bhag raha tha. Tum so rahi thi to, mai dusre kamre me ja raha tha. Mujhe kya pata tha ki, tum bas sone ka natak kar rahi ho.”

Meri baat sunkar, priya khilkhilane lagi. Use khilkhilte dekh kar, keerti ne uska sath dete huye kaha.

Keerti boli “tumne bilkul sahi pakda, ye tumhare pas se bhag hi raha tha.”

Keerti ki baat sunkar, pahli baar priya ka dhyan keerti ki taraf gaya. Usne keerti ko gaur se dekhte huye kaha.

Priya boli “tum punit ki cousin keerti ho na.”

Priya ki is baat par keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “tumne bilkul thik pahchana. Mai keerti hi hu. Lekin tumne mujhe pahchan ne me bahut der laga di.”

Keerti ki baat par priya ne apni safayi dete huye kaha.

Priya boli “nahi, nahi, mai to tumko pahle hi pehchan gayi thi. Lekin us samay sabhi mujhe gher kar khade the. Isliye mai kuch bol nahi payi thi. Tumhare sath ami nimi bhi thi, mai unse bhi koi baat nahi kar payi.”

Ye kahte huye priya ne apna chehra utar liya. Uska utra hua chehra dekhte hi, keerti ne fauran baat ko sambhalte huye kaha.

Keerti boli “are mai to majak kar rahi hu. Tum kisi ke baare me kuch mat socho, ami nimi kal fir tumse milne aayegi. Tumne shayad dekha nahi, tumhare hosh me aane par sabse jyada shor nimi ne hi machaya tha.”

Keerti ki ye baat sunte hi, priya ke chehre par fir se muskurahat aa gayi aur usne keerti se kaha.

Priya boli “haan, haan, maine nimi ko shor machate dekha tha. Kal tum unko jarur lana, mujhe unse baat karna hai.”

Keerti boli “haan, mai kal unko jarur laugi, fir tum unse jee bhar ke baat kar lena.”

Iske bad keerti ki priya se thodi bahut ami nimi ke baare me baten huyi. Fir priya ko thakan mehsus hone lagi to, keerti ne use aaram karne ka bola. Magar wo aaram karne ki baat ko talne lagi.

Lekin fir mere aur nikki ke samajhne par wo aankh band karke let gayi. Magar usne mera hath apne hathon me pakde rakha. Kuch der bad jab uski nind lag gayi to, uski pakad mere hath par dhili pad gayi.

Magar is samay wo bilkul nimi ki tarah mujhe pakad kar so rahi thi. Jis vajah se maine us se apna hath chhudane ki koi kosis nahi ki aur uske masoom se chehre ko baithe dekhta raha.

Ab subah ka 5 baj raha tha. Maine keerti aur nikki se aaram karne ko bola to, dono uth kar dusre kamre me chali gayi. Iske bad mai akela hi priya ke pas baitha raha aur wo gahri nind me soti rahi.

Subah 7 baje aakash uncle aa gaye. Meri unse thodi bahut baten huyi. Aakash uncle ki aawaj sunkar, priya ki nind khul gayi. Fir wo aakash uncle se baten karti rahi. Isi bich nikki aur keerti bhi aa gayi.

Aakash uncle ne nikki se raj logon ko jaga dene ko kaha. Unki baat sunkar, nikki sabko jagane lagi. Raj logon ke jagne ke bad, aakash uncle ne hum logon se ghar jaane ko kaha. Jiske bad hum log apne apne ghar ke liye nikal pade.

Mai aur keerti 8 baje ghar pahuch gaye. Hum jab ghar pahuche to chhoti maa hospital jaane ki taiyari kar rahi thi. Un ne hum se priya ki tabiyat ka puchha aur fir kuch der bad wo hospital ke liye nikal gayi.

Chhoti maa ke jaane ke bad mai apne kamre me aa gaya. Mere aane ke thodi hi der bad, keerti bhi mere kamre me aa gayi. Maine us se baki sab ka puchha to, usne bataya ki, abhi sab soye huye hai.

Fir meri keerti se priya aur ami nimi ke baare me baten hoti rahi. Baton baton me maine keerti se neha ke baare me puchha to, usne kaha.

Keerti boli “neha humare sath kolkata gayi thi aur waha se wapas nahi lauti hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine hairani se kaha.

Mai bola “kya wo waha par durjan mama ke sath hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “haan, wo unhi ke sath hai. Lekin unka asli naam durjan nahi, dushyant hai. Mummy ne tumko unhi ko dudne ka kaam saupa tha. Lekin un ne mumbai aane ke bad apna naam badal liya tha. Jis vajah se yaha unka asli naam koi nahi janta tha.”

Keerti ki ye baat sunkar, mujhe koi hairani nahi huyi. Kyoki neha ke padmini aunty ki beti hone se hi mujhe samajh me aa chuka tha ki, mausi ne mujhe jis aadmi ko dudne ka kaam diya tha, wo durjan hai.

Lekin keerti ke muh se durjan ko dudne wali baat sunkar, mujhe itna jarur samajh me aa raha tha ki, keerti is baare me aur bhi bahut kuch janti hai. Isliye maine is baat ko aage badate huye kaha.

Mai bola “ye baat to mai pahle hi samajh gaya tha. Lekin meri samajh me abhi tak ye baat nahi aa rahi hai ki, durjan mama ko humse kya dushmani thi aur un ne ye sab kyo kiya.”

Keerti abhi meri is baat jabab dene hi wali thi ki, tabhi vaani didi aa gayi. Un ne hum dono ko dekhte hi sabse pahle priya ki tabiyat puchhi aur uske bad, hum logon se aaram karne ko kah kar chali gayi.

Mai keerti se durjan ke baare me janna chahta tha. Lekin keerti bad me baat karne ki baat bol kar apne kamre me chali gayi. Uske jaane ke bad maine muh hath dhoya aur aakar let gaya.

Mere man me is samay hajaron sawal the. Lekin un sawalon se jyada mujhe priya ke hosh me aane ki khushi thi. Isi khushi me khoya hua mai pata hi nahi chala ki, kab gahri nind ki aagosh me chala gaya.

Fir meri nind kisi ke meri peeth par baithe hone ke aehsas se khuli. Mai pet ke bal bahut gahri nind me soya hua tha. Tabhi mujhe nind me aehsas hua ki koi meri peeth par baitha hua hai.

Maine nind ki haalat me apni aankh khol kar pichhe dekha to, nimi meri peeth par baithi thi aur mera kandha pakad kar mujhe utha rahi thi. Maine unindi si haalat me us se kaha.

Mai bola “chhoti mujhe pareshan mat kar aur mujhe sone de.”

Lekin usne meri baat ko ansuna kar, mujhe hilate huye kaha.

Nimi boli “bhaiya 3:30 baj gaye hai. Jaldi se uth kar khana kha lo.”

Magar us samay mai nind ke nashe me tha. Isliye maine use talte huye kaha.

Mai bola “mujhe nahi khana khana. Tu ja aur mujhe sone de.”

Magar usne fir mujhe hilate huye kaha.

Nimi boli “bhaiya, uth jao. Aapko ghar jane ki taiyari bhi karna hai. Mummy ghar jane ki taiyari kar rahi hai.”

Nimi ki ye baat sunte hi, ek pal me meri saari nind gayab ho gayi. Maine ek baar fir pichhe palat kar dekha to, nimi ke pichhe keerti bhi khadi thi. Maine nimi ko apne upar se utara aur uth kar baithte huye keerti se kaha.

Mai bola “ye nimmo kya bol rahi hai. Chhoti maa achanak ghar kyo ja rahi hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne mujhe samjhate huye kaha.

Keerti boli “priya ko hosh aa gaya hai aur doctor ne use puri tarah khatre se bahar bataya hai. Priya ki vajah se mausi ek din bhi chanda mausi ke pas nahi rah payi thi. Isliye ab mausi waha jakar chanda mausi ke pas rahna chahti hai.”

Keerti ki baat sunkar, maine thoda pareshan hote huye kaha.

Mai bola “lekin mujhe kyo le ja rahi hai.”

Meri baat sunkar keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “mausi ne tumko le jane ki baat nahi kahi thi. Ye baat to tumhari pyari ammo ne kahi hai ki, bhaiya humare sath aaye the aur humare sath hi ghar jayege.”

Keerti ki baat sunkar, mujhe saara majra samajh me aa gaya aur mai uth kar bahar aa gaya. Bahar chhoti maa apne jaane ki taiyari me lagi thi. Maine unke pas aate hi, un se kaha.

Mai bola “chhoti maa, aap ja rahi hai, thik hai. Lekin ami nimi ko kyo le ja rahi hai. In ne to abhi mumbai dekha bhi nahi hai. Inko yaha mere sath hi rahne dijiye na.”

Meri is baat ke jabab me chhoti maa ne kaha.

Chhoti maa boli “nahi, ye dono yaha tumko pareshan karegi. Inka mere sath jana hi sahi hai.”

Mai bola “nahi chhoti maa, ye mujhe jara bhi pareshan nahi karegi. Aap inhe do char din aur yaha rah lene dijiye na.”

Aakhirkar maine kisi tarah chhoti maa ko ami nimi ko yahi rahne dene ke liye taiyar kar liya. Unke haan kahte hi, mai apne kamre me aa gaya aur fresh hone chala gaya.

Fresh hone ke bad, mai taiyar hua aur jab kamre se bahar aaya to, chhoti maa ke jaane ki taiyari ho chuki thi. Vaani didi bhi unke sath ja rahi thi. Yaha par mai, ami nimi aur keerti ruk rahe the.

Chhoti maa ki flight 7:30 baje ki thi aur abhi sirf 4:30 baja tha. Mere kamre se bahar aate hi, keerti ne mujhe khana laga diya aur mai khana khane laga. Khana khate khate meri chhoti maa se baten hoti rahi.

Mera khana hone ke bad, hum sab hospital ke liye nikal pade. Hospital me chhoti maa sab se mili aur fir 6 baje hum airport ke liye nikal gaye. Ratse bhar chhoti maa mujhe dher saari baten samjhati rahi.

Un ne mujhe samjhaya ki wo ek do din bad wapas aa jayegi. Tab tak ami nimi aur baki sab logon ka khayal mujhe hi rakhna hai. Bas inhi sab baton ke chalte hum log airport pahuch gaye.

Chhoti maa sirf ek do din ke liye mujhse door ho rahi thi. Iske bad bhi unke jaane se mera dil chhota sa hua ja raha tha aur mujhe sunapan gherne laga tha. Mera dil nahi chah raha tha ki, wo ghar wapas jaye.

______________________________
:superb: :good: amazing update hai pritam bhai
 
Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,952
116,087
304
Ko To Rok Lo {Update - 249}
____________________________

Vaani didi ki is baat par ami ke chehre par muskurahat aa gayi aur usne vaani didi ka majak udate huye kaha.

Ami boli “mujhe pata chal gaya hai ki, aapko kab aur kisne patak patak kar bahut maara tha.”

Ye kah kar ami khilkhila kar hasne lagi. Lekin ami ke muh se ye baat sunte hi vaani didi ne fauran aage bad kar ami ke muh par apna hath rakh kar uska muh band kar diya.

Lekin wo khud ko hasne se nahi rok payi. Un ne ami ko khud se chiptate huye badi jor se hanste huye kaha.

Vaani didi boli “oye oye Koi To Rok Lo ise, meri chhoti bahan to mujhse bhi badi jasus ho gayi hai.”

Ye kah kar vaani didi bahut jor se khilkhila kar hasne lagi. Keerti aur chhoti maa ko bhi shayad unki is hansi ka matlab samajh me aa gaya tha. Isliye wo bhi vaani didi ke sath hasne lagi.

Ye meri jindagi me pahla mauka tha. Jab mai vaani didi ko kisi ke sath itna jyada masti karte huye dekh raha tha ya kisi baat par unko dil khol kar thahake lagate huye dekh raha tha.

Hum sabko unki is hansi ka karan to nahi pata tha. Lekin unko ami ke sath is tarah se khul kar masti karte dekh kar, hum sabke chehre par bhi khud-ba-khud hansi thirakne lagi thi.

Kuch der tak vaani didi ami ko khud se chiptaye, aise hi hansti rahi. Fir jab unki hansi thami to, ami ne unse kaha.

Ami boli “didi, aapne aniruddha uncle ko unki galti ke liye maaf kar diya na.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi ne ami ko samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “betu, abhi tu is baat ki aehmiyat samajhne ke liye bahut chhoti hai. Lekin tu itna to janti hi hogi ki, police ke khabri har jagah par rahte hai.”

Ami boli “haan, mujhe is baare me malum hai. Maine bahut si movie me bhi unhe dekha hai.”

Vaani didi boli “tab to tune movie me ye bhi dekha hoga ki, bahut se police wale bhi gunde aur mujriom ke sath mile rahte hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami ne apni bhohen sikodte huye kaha.

Ami boli “haan, maine ye bhi dekha hai. Lekin mujhe wo police wale bilkul bhi ache nahi lagte.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi ne use samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “lekin betu, asal jindgi me bhi aisa hi kuch hota hai. Jaise gunde badmashon ke bich me police ke khabri hote hai. Aise hi police ke bich me bhi gunde badmashon ke khabri hote hai.”

“Jo jara se paise aur power ke lalach me un gunde badmashon ko humari khabar pahuchate rahte hai. Jisse wo gunde badmash humse sawdhan ho jate hai aur hum unhe pakadne me nakam ho jate hai.”

“Aniruddha us samay phone jo baten kar raha tha. Wo bahut hi jyada gupt baten thi. Un baton ki gopniyata bhang hone se na sirf mujrim mere hath se bach kar nikal sakte hai, balki bahut saare logon ki jaan bhi musibat me pad sakti hai.”

Ye kah kar vaani didi ami ka chehra dekhne lagi. Shayad wo ami ke agla sawal puchhne ka intejar kar rahi thi. Us samay mai keerti aur neha teeno aas pas hi khade huye the. Neha ne vaani didi ki ye baat suni to, dhire se budbudaya.

Neha boli “khud karen to, chamatkar aur dusra kare to balatkar.”

Neha ki ye baat sunkar, keerti gusse me use ghoor kar dekhne lagi. Neha shayad nisha bhabhi ko khalid ki khabar dene ki vajah se vaani didi ko ye taana de rahi thi. Waise neha ki ye baat bilkul bhi galat nahi thi.

Keerti bhale hi vaani didi ko hitler manne se inkar karti ho. Lekin mai aur mehul is baat ko manne se kabhi inkar nahi kar sakte the. Ye alag baat thi ki, mai is baat ko kabhi kahta nahi tha aur mehul kahne se kabhi chukta nahi tha.

Vaani didi sach me puri hitler thi. Wo jo niyam dusro ke liye lagu karti thi. Wo niyam unke khud ke upar kabhi lagu hi nahi hote the. Unke niyam dusro ke liye alag the aur khud ke liye alag the.

Kisi baat me kisi ki safayi sunna unki aadat me hi nahi tha. Na hi wo khud kabhi kisi baat ke liye kisi ke samne koi safayi pesh karti thi. Wo apni kisi baat ki kisi ko vajah batane ki bhi koi jarurat nahi samajhti thi.

Neha ki ye baat sunne ke bad keerti to use kha jaane wali narjron se dekh rahi thi. Lekin mai is baat ko sunkar, muskura kar rah gaya. Wahi ami ne vaani didi ki baat sunkar, kuch der sochne ke bad kaha.

Ami boli “lekin didi, ye to galat hai. Police walon ko aisa nahi karna chahiye. Sabhi police walon ko aapki tarah hi imandar hona chahiye.”

Ami ki baat sunkar, neha gaur se vaani didi ko dekhne lagi. Shayad wo ami ki imandari wali baat par vaani didi ka jabab sunna chahti thi. Wahi keerti neha ki is harkat ko gaur se dekh rahi thi.

Use shayad neha ki vaani didi ki imandari par shaq karne wali ye harkat pasand nahi aa rahi thi. Mai bas khamoshi se neha aur keerti ki in harkton ko dekhne me laga hua tha. Wahi vaani didi ne ami ki ye baat sunne ke bad us se kaha.

Vaani didi boli “tu thik kahti hai. Lekin sirf police ko hi nahi, balki har kisi ko apna kaam imandari se karna chahiye. Magar aaj kal aisa hota nahi hai. Log jara se paison ke lalach me apna iman bech dete hai.”

“Rahi meri baat to, maine kabhi apne farz ke sath beimani nahi ki hai. Lekin ek do baar maine bhi jaan bujh kar kuch mujrimo ko apne hath se bach nikalne ka mauka jarur diya hai.”

Hum sab vaani didi aur ami ki baten gaur se sun rahe the. Unki is baat ko sunte hi, ami ne puchha.

Ami boli “lekin kyo didi. Jab aapko pata tha ki, wo mujrim hai to, fir aapne unhe bach kar kyo jaane diya.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “aisa isliye, kyoki bhale hi wo kanun ke mujrim the. Lekin un ne kabhi insaniyat ko sharmsar nahi kiya tha. Isliye mujhe unhe apne hath se bach nikalne ka mauka dena pada tha.”

“Ab mere aisa karne ki vajah chahe jo bhi rahi ho. Lekin mere in faislon ko kabhi koi sahi nahi kah sakta. Fir bhi mujhe apne kisi bhi faisle ke liye koi pachhtawa nahi hai aur na hi mai unhe galat manti hu.”

“Kyoki jindagi me kuch faisle hume apne dil dimag se nahi, balki apne zamir se lena padte hai. Apne zamir se liye gaye faisle kabhi galat nahi hote hai aur unke liye hume kabhi pachhtana nahi padta hai.”

Vaani didi ne ami ko samjhate samjhate anjane me hi neha ko uske taane dene wali baat ka jabab de diya tha. Vaani didi ka ye jabab sunte hi, keerti ne neha ke taane ka jabab use taane me dete huye kaha.

Keerti boli “tumhe samajh me aaya ki, kya hai chamatkar aur kya hai balatkar, ya fir vaani didi se bol kar, tumhe dikha du hahakar.”

Keerti ki ye baat sunkar, itne sanjida mahol me bhi mere chehre par hansi aa gayi Wahi dusri taraf ami ne jab vaani didi ki ye baat suni to, unko unki baat ke bich me hi tokte huye puchha.

Ami boli “didi, ye zamir kya hota hai.”

Ami ki is baat ko sunkar, keerti ne us par haste huye kaha.

Keerti boli “buddhu, dil ki aawaj ko hi zamir kahte hai.”

Lekin vaani didi ne keerti ki is baat ko kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “nahi, tum galat kah rahi ho. Dil ki aawaj ko zamir nahi kahte hai. Dil to hume bahkata hai. Jo baat hume achi lagti hai. Hume usi ki taraf kheech kar le jata hai.”

“Zamir humari aatma ki aawaj ko kahte hai aur humari aatma ki aawaj kabhi galat nahi hoti hai. Jo hume batati hai ki, humare liye kya sahi hai aur kya galat hai. Isliye hame hamesha apne zamir ki sunna chahiye.”

“Khair is baare me mai kabhi tumhe fursat se samjhaugi. Abhi meri flight ka samay ho raha hai. Ab mujhe yaha se nikalna chahiye. Warna meri ye flight bhi chhut jayegi.”

Ami boli “lekin didi, abhi tak aapne meri dono baton ka koi faisla nahi kiya hai. Na to aap bhaiya ko apne sath le jaane ko taiyar huyi hai aur na hi aapne abhi tak aniruddha uncle ko maaf kiya hai.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi kuch sochne lagi aur fir un ne ami ke samne apne hathiyar daal kar, uske sath saudebaji karte huye kaha.

Vaani didi boli “acha meri maa, ek baat mai teri maan leti hu aur ek baat tu meri maan le. Mai teri baat maan kar aniruddha ko maaf kar deti hu aur tub hi meri baat maan kar punnu ko mere sath bhejne ki jid chhod de.”

Vaani didi ne to ami ki baat maan kar aniruddha ko maaf kar diya tha. Lekin ami ne unki baat manne ke liye unke samne shart rakhte huye kaha.

Ami boli “thik hai didi, mai aapki baat maan kar bhaiya ko aapke sath bhejne ki jid chhod deti hu. Lekin iske liye aapko meri do sharten manna hogi.”

Ami ki ye baat sunkar vaani didi ne thoda chaukte huye kaha.

Vaani didi boli “ye kya majak hai. Maine teri ek baat maani to hai. Ab tu meri ek baat manne ke liye mere samne do shart aur rakh rahi hai. Ye sarasar galat baat hai.”

Magar ami ne apni ye jid nahi chhodi aur apni baat ko dohrate huye kaha.

Ami boli “nahi, yadi aap chahti hai ki, mai bhaiya ko aapko sath bhejne ki apni jid chhod du to, iske liye aapko meri dono sharten manna hi padegi.”

Vaani didi ko ab jaane me deri ho rahi thi. Isliye un ne ami se apna pichha chhudate huye kaha.

Vaani didi boli “chal thik hai. Mai teri sharten manne ko taiyar hu. Ab tu jaldi se apni dono sharte bol de. Mujhe sach me ab der ho rahi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, ami ne fauran unke samne apni shart rakhte huye kaha.

Ami boli “meri pahli shart hai ki, aap apni bullet proof jacket pahan kar hi apne kaam par jayegi aur meri is baat ko bilkul bhi halke se nahi legi.”

Ami ki ye baat sunkar vaani didi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne aage bad kar, pyar se ami ko apne gale se laga liya aur fir uski is baat ki haami bharte huye kaha.

Vaani didi boli “chal thik hai. Mujhe teri ye shart manjur hai. Ab jaldi se apni dusri shart bhi bol de.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami apne gale me hath laga kar kuch talash karne lagi. Lekin jab use wo nahi mila to, usne nimi ki taraf dekh kar use apne pas aane ka ishara kiya.

Nimi ami se thodi hi duri par chhoti maa ke pas khadi thi. Aaj vaani didi ko gusse me dekh kar, wo kuch sahmi huyi aur shant si thi. Warna abhi tak to, usne na jaane kitni baar vaani didi aur ami ki baat ke bich me unhe tok diya hota.

Ami ka ishara pate hi, nimi fauran ami ke pas aa gayi. Ami ne dhire se uske kaan me kuch kaha. Jise sunkar nimi jet viman ki tarah teji se bhagti huyi upar chali gayi. Kuch der bad wo waise hi bhagti huyi niche aa gayi.

Lekin ab uske chehre par uski jani pahchani muskurahat bhi thi. Usne ami ke pas aakar apna hath uske samne kar diya. Uske hath me is samay ami ka golden locket tha.

Ye ek sarp aakar ka locket tha aur ye locket ami ko richa aunty ne bade hi pyar se diya tha. Asal me ami ki kundali me kaal-sarp yog tha. Jiske nidan ke liye richa aunty baar baar chhoti maa se kahti rahti thi.

Lekin chhoti maa chahte huye bhi iske nidan ke liye kuch kar nahi pa rahi thi. Fir ek baar richa aunty ka rimbakeshwar jana ho gaya aur un ne khud hi waha par ami ke kaal-sarp ke nidan ke liye pujan karwaya tha.

Usi samay un ne ami ke liye ye locket bhi liya tha. Ye locket dekhne me bahut sundar tha. Iske alawa is locket me richa aunty ki sharddha aur unka ami ke liye pyar chhupa hua tha.

Isliye ami ise hamesha apne gale me pahne rahti thi. Abhi ye ami ke gale me kyo nahi tha. Ye baat to sirf ami nimi hi janti thi. Lekin is samay iske ami ke gale me na hone se bada sawal ye tha ki, abhi ami ne ise kyo mangaya hai.

Shayad is samay meri tarah baki sabke man me bhi yahi sawal tha. Wahi ami ke hath me uska locket aate hi, usne wo locket vaani didi ki taraf badate huye kaha.

Ami boli “didi, meri dusri shart ye hai ki, aap is locket ko hamesha apne gale me daali rahegi.”

Ami ki ye baat sunkar vaani didi ne chaukte huye kaha.

Vaani didi boli “lekin betu, ye to tera locket hai. Richa aunty ne bade pyar se ise teri hifajat aur tarakki ke liye tujhe pahnaya tha. Ise aise kisi ko dena, bilkul bhi sahi nahi hai. Mai ise tujhse nahi le sakti hu.”

Lekin ami ne ek baar fir apni jid par adte huye kaha.

Ami boli “didi, aapne mujhse kaha tha ki, aap meri dono shart manegi. Ab aap apni baat se mukar rahi hai.”

Ami ki baat sunkar, vaani didi ne use samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “betu, mai kisi baat se nahi mukar rahi hu. Lekin is baat ko tu bhi achi tarah se janti hai ki, richa aunty ne ye locket tujhe kyo diya tha. Fir tu mujhse aisi jid kyo rahi hai.”

Ami boli “didi, richa aunty ne ye mujhe meri hifajat aur tarakki ke liye diya tha. Lekin aaj mujhse jyada aapko iski jarurat hai aur mai kaun sa aapko hamehsa ke liye de rahi hu. Aap jab mumbai se wapas aana to, ye mujhe wapas lauta dena.”

Aakhir me ami ki is jid ke aage bhi vaani didi ko jhukna hi pad gaya. Ami khud apne hathon se vaani didi ko wo locket pahnane lagi. Ye dekh kar keerti ne use chhedte huye kaha.

Keerti boli “haye ri kismat. Mai aur nimi jis locket ko hathiyane ke liye na jaane kitne papad bel chuke hai. Aaj wo locket khud hi chal kar vaani didi ke gale me ja raha hai.”

Keerti ki baat sunkar, hum sab hasne lage. Lekin vaani didi ne ghoor kar keerti ko dekha aur use ami ko na chhedne ka ishara kiya. Vaani didi ko ishara karte dekh kar keerti muskurate huye apne muh par ungli rakh kar khadi ho gayi.

Keerti ki ye harkat dekh kar, vaani didi ke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Ami ke hathon se locket pahan lete ke bad, vaani didi ne ami nimi ko apne gale se laga liya.

Lekin keerti ki shararat ki vajah se unke chehre par abhi bhi muskan bani huyi thi. Ami nimi ko thoda dular karne ke bad, wo muskurati huyi keerti ke pas aa gayi. Is samay keerti ke agal bagal mai aur neha khade huye the.

Vaani didi muskurati huyi keerti ke pas aayi aur mere sar par pyar se chapat lagakar, aage bad kar keerti ko apne gale se laga liya. Vaani didi ki ye chapat khakar, mai apne sar ko sahlate huye, unhe keerti se milte huye dekhne laga.

Lekin meri samajh me ye baat nahi aa rahi thi ki, pyar to unko keerti ke upar aaya tha. Fir un ne bevajah mere sar par chapat kyo laga di hai. Yadi ye chapat vaani didi ki jagah kisi aur ne lagayi hoti to, shayad mujhe khushi bhi huyi hoti.

Lekin vaani didi ki to pyar ki chapat khakar bhi chaithi laal ho jati thi aur mai apne sar ko sahlate rahne ke siwa kuch nahi kar pata tha. Lekin ye to mere hisse ki chapat bhi nahi thi.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, aaj ye vaani didi kya rahi hai. Pahle jab keerti ke upar gussa aaya to, mujhe peet kar rakh diya tha aur ab keerti ke upar pyar aaya to, uske hisse ki chapat mujhe laga di thi.

Vaani didi ka ye pyar bilkul sher ki sawari karne ke barabar tha. Jaise sher ki sawari karne wale ko kisi se koi khatra nahi rahta hai. Shiway us sher ke, jiski wo sawari kar raha hai.

Bilkul wahi haal vaani didi ke pyar ka bhi tha. Vaani didi ke sath rahne wale ko unke siwa kisi ka koi khatra nahi rahta tha. Lekin is baat ka khatra use hamesha hi bana rahta tha ki, pata nahi wo kab kis baat par naraj ho jaye.

Magar fir haal to unka gussa ami ki vajah se hum sab par shant hi samajh me aa raha tha. Lekin ye sochna shayad meri bhool thi. Un ne keerti se gale milne ke bad bade hi pyar se us se kaha.

Vaani didi boli “punnu ki tarah maine tere liye bhi kuch socha hai. Mai chahti hu ki, tu bhi meri tarah majbut bane. Isliye tu kal hi kisi ache se karate school me jakar apna naam likhwa le.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, keerti hairani se unhe dekhne lagi. Ek tarah se vaani didi ne bade hi pyar se keerti ko uske kiye ki saza suna di thi. Lekin neha is baat ko samajh nahi payi aur jor jor se hasne lagi.

Lekin vaani didi ne neha ki is harkat par koi gussa nahi kiya aur muskurate huye uski taraf bad gayi. Un ne neha ko bhi pyar se gale laga liya aur us par bhi apna pyar lutate huye kaha.

Vaani didi boli “tum fikar mat karo. Mai mumbai jakar riya ya barkha se kah kar tumhara naam bhi akki sir ki karate class me likhwa dugi.”

Vaani didi ki ye baat sunkar neha fati fati aankhon se vaani didi ko dekhne lagi. Fir usne haklate huye vaani didi se kaha.

Neha boli “lekin didi, aapko takleef karne ki kya jarurat hai. Mai khud hi mumbai jaane ke bad kisi achi si karate class me apna naam likhwa lugi.”

Lekin vaani didi ne neha ki baat katte huye kaha.

Vaani didi boli “isme takleef kaisi, keerti ki tarah tum bhi meri bahan hi ho aur tumhare liye bhi mera koi farz banta hai. Tumko kisi bhi aise waise karate class me jaane ki koi jarurat nahi hai. Tum akki sir ki class me hi jana.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, neha kuch jyada hi pareshan ho gayi thi. Usne vaani didi ko samjhane ki koshish karte huye kaha.

Neha boli “lekin didi, maine suna hai ki, aaj kal akki sir ke pas bilkul samay nahi rahta hai. Wo aaj kal kisi ko kuch sikhate hi nahi hai. Isliye unke pas jaane ka koi matlab hi nahi hai.”

Lekin vaani didi ne neha ki is baat ko bhi kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “tum iski fikar karne ki jarurat nahi hai. Mai akki sir se bolugi to, wo tumhe sikhane ke liye kabhi mana nahi karege aur mere khayal se sirf mumbai hi nahi, pure india me akki sir se behtar koi nahi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, neha ke to pasine chhut gaye. Lekin ab us se kuch bhi kahte nahi bana. Neha se milne ke bad, vaani didi chhoti maa ke pas aa gayi aur unse gale milne lagi.

Iske bad un ne mujhe bhi apne gale se lagate huye kuch baten samjhayi. Fir wo aniruddha se chalne ke liye kahne lagi. Jiske bad hum sab vaani didi ke sath unko chhodne bahar aa gaye.

Vaani didi ek baar fir sabse mili aur iske bad, wo gaadi me baith kar, aniruddha ke sath airport ke liye nikal gayi. Vaani didi ke jaane ke bad hum sab ghar ke andar aa gaye. Ab raat ke 11:30 baj chuke the.

Isliye chhoti maa hum sabse sone jaane ko kahne lagi. Kal neha chanda mausi ke kamre me ruki huyi thi. Lekin aaj chanda mausi ghar aa gayi thi aur apne kamre me hi aaram kar rahi thi. Ye dekh kar chhoti maa ne neha se kaha.

Chhoti maa boli “neha beta, tum kal chanda mausi ke kamre me ruki thi. Lekin aaj mausi aa gayi hai aur apne kamre me hi aaram kar rahi hai. Aise me tumhara unke sath rukna sahi nahi hoga.”

“Unke bagal me ek kamra hai. Wo punnu ke bachpan ka kamra hai. Tum chaho to, us kamre me so sakti ho ya fir upar ami nimi ya keerti ke sath bhi so sakti ho. Tumhe jaha sahi lage, tum waha so jana.”

Itna kah kar chhoti maa keerti ko neha ke baare me jata kar apne kamre me chali gayi. Asal me chhoti maa aur chanda mausi dono ki hi aadat subah jaldi uthne ki thi. Isliye wo raat ko jara jaldi hi so jaya karti thi.

Chhoti maa ke neha ke upar keerti ke pas so jaane ki baat sunkar mai thoda soch me pad gaya. Kyoki yadi neha keerti ke pas soti to, fir keerti ke raat ko mere pas aane ki ummid kam hi thi.

Jabki aaj keerti ki tabiyat sahi thi aur vaani didi bhi ghar me nahi thi. Aise me yadi keerti chahti to, wo mere pas bhi so sakti thi. Lekin chhoti maa ne neha ke keerti ke sath sone ki baat kah kar mere saare armano par pani fer diya tha.

Lekin abhi neha ka koi jabab na milne ki vajah se abhi bhi ummid ki ek kiran baki thi. Kyoki uske pas sone ke liye teen vikalp maujud the. Jinme se do mere hit me hi the.

Pahla to, wo niche mere bachpan wale kamre me hi so sakti thi aur dusra wo ami nimi ke sath unke kamre me bhi so sakti thi. Uske in dono jagah me se kisi bhi jagah sone par mujhe koi pareshani nahi thi.

Lekin yadi wo keerti ke sath sone ki baat par haami bharti hai to, ye jarur mere liye pareshani wali baat thi. Isliye mai badi becheni se neha ke is baat ka jabab dene ka intejar kar raha tha.

Keerti bhi chhoti maa ki is baat ko sunne ke bad kuch pareshan si lag rahi thi. Kyoki wo chahte huye bhi neha ko apne pas sone ke liye mana nahi kar sakti thi. Lekin fir na jaane kya soch kar usne ami nimi se kaha.

Keerti boli “tum dono abhi tak yahi par kyo khadi ho. Jao aur jakar so jao.”

Keerti ki is baat ko sunkar ami ne kaha.

Ami boli “didi, hum log to neha didi ke jabab ka intejar kar rahe hai. Taki wo yadi humare sath sone ko taiyar ho to, hum unhe apne kamre me le jaye.”

Ami ki baat sunkar, neha muskura kar rah gayi. Lekin jab maine ami ke bolne ke bad nimi ko kuch bhi bolte nahi dekha to, mujhe is baat ki bahut jyada kami akharne lagi.

Aamtaur par aisa hota nahi tha. Ami ke kuch bhi bolte hi, nimi khud ko ami se aage dikhane ke liye, us se bhi jyada bad chad kar bol diya karti thi. Jise sunkar sab hasne lagte the.

Nimi ki ye baten bhale hi fijul aur besir pair ki baten hoti thi. Lekin fir bhi uski ye baten sabka dil chura liya karti thi. Isliye is samay mujhe ami se jyada nimi ke chhakke lagane ka intejar tha.

Taki uski baat sunkar, neha khushi khushi unke kamre me sone ke liye taiyar ho jaye. Nimi se wahi chhakka padwane ke liye maine usko uksate huye kaha.

Mai bola “nimmo, neha yadi tere kamre me soyegi to, tu use pareshan to nahi karegi na.”

Mera itna kahna tha ki, nimi ki baton ki frontier mail chal nikli. Usne meri baat sunkar fauran apni safayi dete huye kaha.

Nimi boli “nahi bhaiya, mai neha didi ko bilkul bhi pareshan nahi karugi. Maine to neha didi ke sone ke liye bahut saari jagah bacha kar rakhi hai. Taki wo humare kamre me aaram se so sake.”

Nimi ka itna kahna tha ki, neha ne khilkhila kar hanste huye kaha.

Neha boli “nimi, abhi tu apne kamre me gayi hi kaha hai. Fir tune mere sone ke liye jagah kaise bacha kar rakh li.”

Neha ki is baat par nimi ne apni safayi dete huye kaha.

Nimi boli “didi, wo maine soch liya tha ki, mai aapke aur ami didi ke bich me sougi to, meri wali jagah aapke liye bach gayi na.”

Nimi ki baat sunkar, keerti ne bhi hanste huye kaha.

Keerti boli “lo neha, nimi ne apne kamre me tumhare sone ka pura intejam kar ke rakha hai. Ab use bata bhi do ki, tum kaha sone wali ho.”

Keerti ki is baat ko sunkar, neha ne bhi muskurate huye kaha.

Neha boli “ab jab nimi ne mere sone ke liye jagah bacha kar rakhi hai to, fir mai bhala kahi aur kaise so sakti hu. Mai ami nimi ke sath hi sougi.”

Neha ka ye jabab sunkar, maine shukun ki saans li. Wahi keerti ne neha ki baat sunne ke bad ami nimi se kaha.

Keerti boli “ab tum dono ne sun liya na ki, neha tumhare kamre me sone wali hai. Ab tum log apne kamre me jao. Hum abhi aate hai.”

Keerti ki baat sunkar ami nimi dono humare pas se chali gayi. Unke jaane ke bad keerti ne mujhse kaha.

Keerti boli “ab tum yaha kya kar rahe ho. Tum bhi jakar apne kal juhi didi ki shadi me jaane ki taiyari kar lo.”

Mera kaam to nimi bana kar ja chuki thi. Ab waise bhi mera waha rukna bekar hi tha. Isliye mai keerti ki baat sunkar apne kamre me aa gaya. Lekin keerti ne mujhe juhi didi ki shadi ki baat yaad dila kar gahri soch me daal diya tha.

Kamre me aakar maine night suit pahna aur fir let kar, aankh band karke juhi didi ke baare me sochne laga. Juhi didi ki shadi ke baare me sunkar, mujhe bahut bada jhatka laga tha.

Ye jhatka kisi bhi tarah se us jhatke se kam nahi tha. Jo mujhe keerti ki shadi pakki hone wali baat ko sunkar laga tha. Lekin tab keerti ki shadi wali baat jhuth nikal gayi thi.

Magar yaha juhi didi ki shadi wali baat ke jhuth nikalne ki koi ummid nahi thi. Kyoki kal isme shamil hone ke liye hum sab bhi jaane wale the. Mujhe to juhi didi ki shadi ki baat sunkar khush hona chahiye tha.

Lekin mai chahte huye bhi is baat se khush nahi ho pa raha tha. Juhi didi mere liye kya thi. Ye to mai khud bhi nahi janta tha. Magar itna jarur janta tha ki, un ne mujhe beshumar pyar diya tha.

Keerti se to meri mulakat kabhi kabhi hi hoti thi. Lekin juhi didi se to meri lambe samay tak roj hi mulakat hoti rahi thi. Kyoki pichhle saal tak wo mere hi school me thi.

Wo bhale hi mujhse do class aage thi. Lekin jis din se chhoti maa ne unhe mujhse milaya tha. Us din se wo roj school me mujhse mila karti thi. School me unki bahut si saheliyan thi.

Fir bhi wo lunch mere aur mehul ke sath hi kiya karti thi. Mehul ki tarah wo bhi aksar mere liye kuch na kuch lekar aaya karti thi. Jis vajah se humari dosti aur bhi jyada majbut ho gayi thi.

Keerti ki baji ki tarah juhi didi se bhi bilkul nahi banti thi. Fir bhi juhi didi keerti ke liye apne man me bilkul bhi mail nahi rakhti thi. Wo keerti se hamesha hans kar hi mila karti thi.

Juhi didi to bachpan se hi sabke samne bas ek hi baat ratti huyi aayi thi ki, wo badi hokar mujhse hi shadi karegi. Unki is baat ko lekar sabhi unka bahut majak udaya karte the.

Lekin mai is baat me hamesha unka hi sath deta tha aur kahta tha ki, mai bhi bada hokar juhi didi se hi shadi karuga. Yadi wo sach me bhi kabhi mere samne shadi ki baat rakhti to, mujhe bina soche samjhe iske liye haan hi kahna tha.

Magar aaj jab sach me hi wo kisi ke sath shadi karne ke liye ja rahi thi to, un ne mujhe hi is baat ki khabar dene ke layak nahi samjha tha. Mujhe to ab bhi yakin nahi aa raha tha ki, juhi didi mere sath aisa kar sakti hai.

Juhi didi ne mujhe itna jyada pyar diya tha ki, aaj unka ye parayapan mujhse sahan nahi ho raha tha aur mujhe bahut dard ho raha tha. Unki is baat ko soch soch kar mera dil rone ke liye kar raha tha.

Abhi mai juhi didi ki in baton me khoya hua tha ki, tabhi kamre ka darwaja khulne ki aawaj sunkar mai chaukte huye, apni aankh khol kar dekhne laga. Mere samne keerti aur neha khadi thi.

Mujhe is tarah se chaukte dekh kar, neha khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti ne mujhe kisi gahri soch me gum sa dekha to, usne na jaane kya soch kar ek shayari bolte huye kaha.

Keerti boli “Wo Raat Bhi Bade Dard Sitam Ki Raat Hogi.​
Jis Din Rukhsat Teri Barat Hogi.​
Ye Soch Kar Nind Se Jaag Jate Hai Hum.​
Kisi Gair Ki Bahon Me Meri Saari Kaynat Hogi.”​

______________________________
Awesome update
 
aman rathore

Enigma ke pankhe
4,857
20,215
158
Ko To Rok Lo {Update - 221}
____________________________

Fresh hone ke bad, mai taiyar hua aur jab kamre se bahar aaya to, chhoti maa ke jaane ki taiyari ho chuki thi. Vaani didi bhi unke sath ja rahi thi. Yaha par mai, ami nimi aur keerti ruk rahe the.

Chhoti maa ki flight 7:30 baje ki thi aur abhi sirf 4:30 baja tha. Mere kamre se bahar aate hi, keerti ne mujhe khana laga diya aur mai khana khane laga. Khana khate khate meri chhoti maa se baten hoti rahi.

Mera khana hone ke bad, hum sab hospital ke liye nikal pade. Hospital me chhoti maa sab se mili aur fir 6 baje hum airport ke liye nikal gaye. Ratse bhar chhoti maa mujhe dher saari baten samjhati rahi.

Un ne mujhe samjhaya ki wo ek do din bad wapas aa jayegi. Tab tak ami nimi aur baki sab logon ka khayal mujhe hi rakhna hai. Bas inhi sab baton ke chalte hum log airport pahuch gaye.

Chhoti maa sirf ek do din ke liye mujhse door ho rahi thi. Iske bad bhi unke jaane se mera dil chhota sa hua ja raha tha aur mujhe sunapan gherne laga tha. Mera dil nahi chah raha tha ki, wo ghar wapas jaye.

Lekin is samay chhoti maa ko airport tak chhodne ke liye riya, raj, nitika, nikki, barkha didi bhi aayi thi. Un sabke samne mai chahte huye bhi chhoti maa se kuch kah nahi pa raha tha.

Magar ek maa ka dil apne bacchon ke man ki baat samajhta hai. Yahi chhoti maa ke sath bhi hua. Un ne mera chehra dekh kar hi, meri haalat ka andaz laga liya aur mere sar par hath ferte huye kaha.

Chhoti maa boli “are mai ek do din ke liye hi to tujhse door ho rahi hu. Isme itna udas hone wali kya baat hai.”

Chhoti maa ka itna kahna tha ki, meri aankhon me nami aa gayi aur maine unhe jaane se rokte huye kaha.

Mai bola “aap abhi mat jaiye na chhoti maa. Do teen din bad hum sab sath hi ghar chalege.”

Mujhe bacchon ki tarah jid karte dekh kar, chhoti maa ne mujhse laad karte huye kaha.

Chhoti maa boli “mera pagal beta, tu to ami nimi se bhi chhota ban raha hai. Ab jid mat kar aur khushi khushi mujhe jaane de. Warna tera ye udas chehra dekh kar, mai jaa nahi paugi.”

Chhoti maa ki baat sunkar, barkha didi ne aage aate huye kaha.

Barkha didi boli “mere bhai, aunty sahi kah rahi hai. Unka abhi chanda mausi ke pas rahna jaruri hai. Wo ek do din me wapas aane ki bol to rahi hai. Tum unhe khushi khushi jaane do.”

Barkha didi ki baat sunkar, mai chup karke rah gaya. Tabhi flight ki ghoshna ho gayi. Magar mere chehre par abhi bhi 12 baje huye the. Jis vajah se flight ki ghoshna sunne ke bad bhi, chhoti maa mere pas hi khadi rahi.

Vaani didi khamoshi se sab kuch dekh rahi thi. Lekin flight ki ghoshna sunne ke bad bhi jab un ne chhoti maa ko waha se hilte nahi dekha to, un ne mere kandhe par hath rakh kar mujhe samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “tum bekar me pareshan ho rahe ho. Mausi ke sath mai hu aur mai unka waha pura khayal rakhugi. Tumhari vajah se ab mausi ka man bhi jaane se dol raha hai. Isliye tum pareshan hona band karo aur hum logon ko jaane do.”

Vaani didi ki baat sunkar, maine apne aapko sambhala aur muskurane ki nakam kosis karte huye kaha.

Mai bola “nahi didi, mai pareshan nahi hu. Maine to wo baat aise hi kah di thi. Aap log khushi khushi jaiye. Mai yaha ami nimi ka khayal rakhuga.”

Meri baat sunte hi, vaani didi ne meri peeth thapthapate huye kaha.

Vaani didi boli “good, ab thik hai. Hum waha pauchte hi tumhe call karege. Ab hum log chalte hai.”

Itna kah kar, vaani didi ne chhoti maa ki taraf dekha. Chhoti maa ne mera matha chuma aur fir wo flight ki taraf bad gayi. Mai un logon ko tab tak dekhta raha. Jab tak wo meri aankhon se ojhal nahi ho gayi.

Unki flight ke udan bharte hi, hum log wapas hospital aa gaye. Chhoti maa aur vaani didi ke chale jaane ki vajah se ab keerti aur barkha didi, ajay wale bungalow me akeli pad gayi thi.

Jis vajah se shikha didi, keerti logon se apne sath aman ke ghar chalne ki baat kahne lagi. Lekin maine keerti logon ke sath rahne ki baat kah kar, waha jaane se mana kar diya.

Maine priya ko bhi bata diya ki, aaj ami nimi akeli hai. Isliye mai raat ko hospital me nahi rah pauga. Priya ne bhi is baat me koi pareshani nahi jatayi. Priya ke 9 baje tak rukne ke bad, hum log ghar aa gaye.

Ghar aakar hum logon ne khana khaya aur fir10:30 baje sab apne apne kamre me sone chale gaye. Keerti ki tabiyat sahi na hone ki vajah se ami nimi ke pas barkha didi soya karti thi.

Mujhe ummid thi ki, raat ko keerti jarur mere pas aayegi. Lekin jab 12 baje tak wo mere pas nahi aayi to, mai khud uth kar uske pas chala gaya. Mai uske kamre me pahucha to, wo gahri nind me soyi huyi thi.

Use gahri nind me dekh kar, mera man use uthane ka nahi kiya aur mai wapas apne kamre me aa gaya. Apne kamre me aakar mai subah keerti se huyi baton ke baare me sochne laga.

Subah ki keerti ki baton se mujhe aisa lag raha tha. Jaise ki wo durjan ke baare me sab kuch janti hai. Lekin subah se mujhe us se baat karne ka mauka hi nahi mil saka aur ab jab meri us se baat ho sakti thi to, wo khud so chuki thi.

Mai abhi isi baare me soch raha tha ki, tabhi mere kamre ka darwaja khula aur keerti andar aa gayi. Use dekh kar mai thoda sa hairan jarur hua. Magar sath hi is baat ki khushi bhi huyi ki, ab meri us se baat ho sakegi.

Keerti ne kamre ke andar aakar darwaja band kiya aur mere pas aakar baith gayi. Lekin uske mere pas baithte hi, maine use apne gale se laga liya. Keerti ne bhi mujhe apni bahon me jor se jakad liya.

Kuch der tak hum ek dusre ko apni bahon me jakde baithe rahe. Na to keerti ne mujhse kuch kaha aur na hi maine keerti se kuch kaha. Fir kuch der bad maine hi baat suru karte huye kaha.

Mai bola “tu to bahut gahri nind me thi. Fir itni jaldi teri nind kaise khul gayi.”

Keerti boli “mai nind me nahi thi. Mai yahi aane wali thi. Lekin tabhi mujhe kisi ke aane ki aahat huyi to, mujhe laga barkha didi mujhe dekhne aayi hai. Isliye mai gahri nind me hone ka natak kar rahi thi.”

“Lekin fir maine uth kar dekha to, tumhare kamre ki light jal rahi thi aur barkha didi ke kamre me andhera tha. Tab mujhe samajh me aaya ki, wo barkha didi nahi, tum aaye the.”

Mai bola “acha hua ki, tu aa gayi. Warna mujhe raat bhar nind hi nahi aati.”

Meri baat sunkar, keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “nind to tumhe abhi bhi nahi aayegi. Kyoki mai aaj tumhe raat bhar sone nahi dungi.”

Ye kahte huye usne mere kandhe par apne daant gada diye. Lekin mai jara bhi nahi hila. Mai samajh gaya ki, ab iska shararat karna suru ho gaya hai. Isliye maine us se dhire se kaha.

Mai bola “tune bahut jor se mujhe kaata hai. Ye baat baat par kaatna tujhe kisne sikha diya hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne khilkhilate huye kaha.

Keerti boli “ye kaatna maine nimi se sikha hai. Tumne dekha nahi, usne vaani didi ko kaise kaata tha. Ek din usne mujhe bhi aise hi kaata tha. Usi din maine soch liya tha ki, uski is harkat ka badla mai tumse lugi.”

Keerti ki is baat ko sunkar, hairan hote huye maine kaha.

Mai bola “nimi ne tujhe kab aur kyo kaata tha.”

Meri is baat par keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “tumhe yaad hoga ki, jis din tum shikha didi ki sasural khana khane ke liye gaye the. Us din ami tumko call kar rahi thi. Lekin tumne call nahi uthaya tha. Tab maine uski baat nitika se karwayi thi.”

“Us samay nimi bhi nitika se baat karne ki baat bol raho thi. Magar nitika ko taiyar hona tha isliye usne call rakh diya tha. Isi baat se gussa hokar, nimi ne mujhe kaat liya tha.”

Keerti ki baat sunkar, mere dimag me us din ka najara ghumne laga aur isi ke sath mujhe durjan wali baat bhi yaad aa gayi. Is baat ke yaad aate hi, maine keerti ko apne se alag karte huye kaha.

Mai bola “subah tu durjan mama ke baare me mujhe kya bata rahi thi. Kya tu janti hai ki, unki humare parivar ke sath kya dushmani hai.”

Meri ye baat sunkar, keerti bed se tek laga kar baith gayi aur fir usne thandi si saans bharte huye kaha.

Keerti boli “haan, mai janti hu. Mujhe iske baare me sab kuch pata chal gaya.”

Keerti ki baat sunte hi, maine bechain hote huye kaha.

Mai bola “tu kya janti hai aur tujhe ye sab kaise pata chala.”

Keerti boli “mai sab kuch janti hu aur ye sab baten mujhe vaani didi se pata chali hai.”

Keerti ki is baat par maine hairan hote huye kaha.

Mai bola “kya vaani didi ne tujhe ye sab baten batayi hai.”

Keerti boli “nahi, un ne mujhe kuch nahi bataya. Lekin mai jab mausi aur vaani didi ke sath ghar wapas gayi thi. Tab maine ye sab baten vaani didi ke muh se suni thi. Mai tumhe apne yaha aane se lekar, waha jaane tak ki saari baten batati hu.”

Itna kah kar keerti apne mumbai aane se lekar, kolkata wapas jaane tak ki baten batane lagi.

Aage ki kahani keerti ki jubani….

Nisha bhabhi ke kahne par mausi mujhe apne sath mumbai le jaane ke liye taiyar ho gayi thi. Hum jab flight me the, tab mohini aunty ne bataya ki, jo aadmi priya ko lekar bhaga tha. Use un ne shikha didi ki shadi me dekha tha.

Wo use pakadne ke liye uske pichhe bhagi thi. Lekin wo unke sar par chot karke bhag nikla tha. Mohini aunty ki ye baat sunte hi, vaani didi ne unhe wo tasveer dikhayi, jo un ne gauranga ke bayan par banayi thi.

Mohini aunty us tasveer ko dekhte hi fauran pehchan gayi aur un ne is baat ko saaf kar diya ki vaani didi sahi aadmi ke pichhe hai. Mohini aunty ke bad, nisha bhabhi ne wo tasveer dekhne ko mangi.

Vaani didi ne jaise hi wo tasveer nisha bhabhi ko dikhayi, unhe ek jor ka jhatka sa laga aur un ne wo tasveer barkha didi ko dikhayi. Barkha didi ne tasveer dekhte hi, vaani didi se kaha.

Barkha didi boli “didi ye tasveer to durjan mama ki hai aur wo humare hi pados me rahte hai.”

Barkha didi ke ye baat bolte hi, vaani didi ko samajh me gaya ki, tumhare sath achanak ye sab hadse kyo huye. Un ne flight se utarte hi, hum logon ko hospital bhej diya aur khud barkha didi aur C.I.D. ke kuch officer ke sath durjan ke ghar ke liye nikal gayi.

Lekin durjan ke ghar me taala laga hua tha aur mohalle pados me puchhne par pata chala ki durjan apni ladki ko lekar kahi gaya hai. Vaani didi ne is baat ke pata chalte hi, apne kuch officer ko bus stand aur railway station ki taraf dauda diya aur khud hospital me humare pas aa gayi.

Kyoki durjan ko ghar se nikle jyada der nahi huyi thi. Isliye C.I.D. ne unhe railway station par girftar karke apni hirasat me le liya. Unke sath neha bhi thi. Jise humare pas hospital me pahucha diya gaya.

Hospital me neha ko uske maa bap se bichhadne ki saari baten bata di gayi. Lekin wo in sab baton ko manne ko taiyar nahi thi aur durjan ke liye roti rahi. Tab vaani didi ne durjan se hi is baat ka khulasa neha ke samne karwaya.

Tab jakar neha ko is baat par yakin aaya. Jabki raj ke ghar me raj aur riya ke alawa baki sab pahle se jante the ki, priya padmini aunty ki beti nahi hai. Fir bhi is baat ke khulne se sabko bahut gahra jhatka laga tha.

Raj ke parivaar ko neha ke milne ki khushi to thi, lekin wo priya ke unke ghar se jaane ki baat ko lekar bahut dukhi aur chintit the. Iske bad jo kuch bhi hua sab tumahre samne hua.

Fir jis din hum log durjan aur neha ko lekar kolkata gaye. Us din mujhe ye pata chala ki, durjan asal me chanda mausi ka pati hai aur usne ye sab tumhare parivaar se apni dushmani nikalne ke liye kiya hai.

______________________________
Amazing update hai pritam bhai
 
aman rathore

Enigma ke pankhe
4,857
20,215
158
Ko To Rok Lo {Update - 222}
____________________________

Hum logon ke kolkata pahuchne ki khabar mummy aur richa aunty ko pahle hi de di gayi thi. Mummy ne ye baat chanda mausi ko bhi bata di thi. Hum jab kolkata pahuche to, sabse pahle chanda mausi ko dekhne hospital gaye.

Lekin chanda mausi ne durjan ko dekhte hi unki taraf se apna muh fer liya. Tab vaani didi ne unko samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, dushyant mausa ji ki galti maaf karne layak nahi hai. Fir bhi hum sab ne inhe maaf kar diya hai. Ab aap bhi apnaa gussa khatam kijiye aur inko maaf kar dijiye.”

Vaani didi ki ye baten sunkar, bhi chanda mausi ki narajgi door nahi huyi aur un ne dushyant mausa ji ko khari khoti sunate huye, vaani didi se kaha.

Chanda mausi boli “vaani beta, maine in ke hote huye bhi apni jindgi ke 15 saal kisi vidhwa ki tarah hi bitaye hai. Mai is baat ke liye to, inhe maaf kar sakti hu. Lekin in ne jo punnu baba ki jaan lene ki kosis ki hai. Uske liye mai inhe kabhi maaf nahi kar sakti.”

Chanda mausi us samay sach me bahut gusse me lag rahi thi. Itne saalon me pahli baar mai unhe kisi par gussa hote dekh rahi thi. Mummy, vaani didi, richa aunty, mausi sab unhe samjha ke haar gaye.

Lekin chanda mausi ne apni jid nahi chhodi. Aakhir me mummy ne unhe tumhari kasam dekar dushyan mausa ji ko maaf karne ko kaha. Tab jakar chanda mausi ne dushyant mausa ji ko is shart par maaf kiya ki, wo unke samne tumse maafi mangege.

Iske bad, vaani didi ne mujhe ami nimi ke sath ghar bhej diya. Ghar me bua ji (vaani ki maa) akeli thi. Hum ghar pahuche to, wo hospital ka haal chal puchne lagi. Maine unhe hospital ki saari kahani suna di.

Iske bad mai wahi haal me aaram karne lagi aur lete lete meri nind lag gayi. Fir meri nind doorbell ki aawaj sunkar khuli. Lekin mai aankh band karke leti rahi. Bua ji ne jakar darwaja khola to, mujhe vaani didi ki aawaj sunayi di.

Bua ji unse bhi hospital ka haal chal lene lagi. Vaani didi ne bhi unhe wahi sab bataya, jo maine bua ji ko bataya tha. Vaani didi ne mujhe sote dekha to, wo bua ji se meri tabiyat ka puchhne lagi.

Tab bua ji ne unko bataya ki, mujhe thakan ho rahi thi. Isliye yaha lete lete meri nind lag gayi. Mujhe soya hua jaankar, bua ji ne vaani didi se kaha.

Bua ji boli “vaani beta, punnu ke sath itna sab kuch ho raha hai. Us ladke ke man me is sabko lekar hajaron sawal honge. Kya tum logon ko nahi lagta ki, use ab saari sachai bata deni chahiye.”

Bua ji ki baat sunkar, thodi der ke liye khamoshi chha gayi. Shayad vaani didi ye pakka kar rahi thi ki, mai kahin jaag to nahi rahi hu. Fir shayad unko laga ki, mai so rahi hu to, un ne bua ji ki is baat ka jabab dete huye kaha.

Vaani didi boli “mom, punnu ko sachai batana itna aasan nahi hai. Wo bahut bhola aur bhavuk hai. Wo kisi bhi baat me apne dimag se nahi, dil se kaam leta hai. Yahi vajah hai ki, use kisi bhi galat baat par bahut jaldi gussa aa jata hai.”

“Uske man me kisi ke liye chhal kapat nahi hai aur wo kisi ki bhi galti ko maaf kar sakta hai. Lekin uski sabse badi kamjori ye hai ki, wo apni maa aur bahno ke khilaf koi bhi galat baat nahi sun sakta.”

“Aise me yadi use pata chale ki, mausi (chhoti maa) aur chanda mausi ki jindagi barbad karne me uske bap ka hath hai to, wo apne bap ke khilaf hi khada ho jayega. Bas isi vajah se sab use sachai batane se hichkicha rahe hai.”

“Anu mami (keerti ki maa) ne use uski maa ke baare me thoda bahut bataya hai. Lekin puri sachai batane ki unki himmat bhi nahi huyi. Hum use ye kaise bataye ki, uski jindgi me jo bhi tufan uth rahe hai, uski vajah uska bap hai.”

Itna bol kar vaani didi chup ho gayi. Shayad wo isi baare me kuch soch rahi thi. Tabhi unka mobile baja aur mobile par baat karne ke bad, wo bua ji ko jata kar fir se wapas chali gayi.

Iske bad is sab ke baare me koi khas baat nahi huyi. Humne dushyant mausa ji aur neha ko wahi chanda mausi ke pas chhoda aur sham ki flight se hum log wapas mumbai aa gaye.

Ab aage ki kahani punnu ki jubani….

Apni itni baat bol kar keerti chup ho gayi. Keerti ki baton se mujhe itna to samajh me aa chuka tha ki, mere bap ne koi aisa galat kaam kiya hai. Jiski vajah se durjan humare parivaar ka dushman ban gaya.

Lekin meri samajh me ye nahi aa rahi thi ki, vaani didi ne ye kyo kaha ki, chhoti maa aur chanda mausi ki jindagi barbad karne me mere bap ka hath hai. Mai abhi isi soch me gum tha ki, tabhi keerti ne mujhe tokte huye kaha.

Keerti boli “kya hua, ab kya soch rahe ho.”

Mai bola “ye to tune adhuri baat batayi hai. Is baat se na to ye samajh me kaha aa raha hai ki, mere bap ki kis harkat ki vajah se durjan humare parivar ka dushman bana hai aur na hi ye samajh me aa raha hai ki, vaani didi ne ye kyo kaha ki, chhoti maa aur chanda mausi ki jindagi barbad karne me mere bap ka hath hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne is baat se apna palla jhadte huye kaha.

Keerti boli “mere samne jitni baten huyi thi, utni baten maine tumhe bata di. Baki ki baten to mai khud bhi nahi janti. Ye saari sachai to mummy, mausi, richa aunty ya vaani didi hi tumko bata sakti hai.”

“Mai to sirf itna kah sakti hu ki, jab bhi tumhe un sab baton ke baare me pata chale, tum apne dil se nahi dimag se kaam lena. Vaani didi aur baki sab ke dar ko sahi sabit mat hone dena.”

Mai bola “tu thik kahti hai, mujhe apne aapko badalna hoga. Mujhe apni bhavnaon par kabu karna sikhna hi hoga.”

Meri ye baat sunkar, keerti ne mera majak udane lagi. Mai use aisa karne se rokne ko kosis karta raha. Lekin uski shararat suru ho chuki thi. Uski inhi shararaton ke chalte raat ke 3 baj gaye.

Iske bad wo subah der se nind khulne ki baat kah kar, apne kamre me sone chali gayi. Uske jaane ke bad, mai uski kahi baton ko sochta raha aur unhi sab baton ko sochte sochte mujhe pata hi nahi chala kab meri nind lag gayi.

Fir meri nind subah 9 baje ami ke jagane par khuli. Wo pink color ki frock pahne mere samne khadi. Subah subah uska khila hua chehra dekh kar, mera dil khush ho gaya aur maine muskurate huye kaha.

Mai bola “tu subah subah taiyar hokar kaha ja rahi hai.”

Meri baat sunkar, ami ne tunakte huye kaha.

Ami boli “bhaiya aap fir bhool gaye. Aaj hume ghumne jana hai.”

Uski is baat ke jabab me maine apne kaan pakadte huye kaha.

Mai bola “sorry, mujhe to yaad hi nahi tha. Lekin kya tu akeli hi ghumne jayegi. Ye nimi kaha hai.”

Meri is baat ke jabab me ami ne kaha.

Ami boli “nimi taiyar ho rahi hai. Mai aapko uthane aayi hu. Aap jaldi se taiyar ho jaiye.”

Uski is baat ke jabab me mai uth kar baith gaya aur wo mujhse ek do baten karne ke bad kamre se bahar chali gayi. Uske jaate hi, mai fresh hone chala gaya. Fresh hone ke bad mai taiyar hua aur kamre se bahar aa gaya.

Bahar keerti, ami nimi aur barkha didi sab taiyar baithe the. Mujhe dekhte hi, keerti chay lene chali gayi. Usne mujhe chay nashta lakar diya aur chay nashta karne ke bad, 10:30 baje hum sab ghumne ke liye nikal gaye.

Barkha didi humare sath thi isliye hume mumbai ghumne me koi pareshani nahi hona thi. Iske bad bhi mai priya ke pas na jaa pane ki vajah se kuch pareshan sa tha. Lekin maine apni ye pareshani kisi par jahir nahi hone di.

Hum mumbai ghoom rahe the, tabhi 12 baje shikha didi ka khane ke liye phone aaya. Lekin humne unse bahar hi khana kha lene ki baat kahi aur hum ek restaurant me khana khane ke liye chale gaye.

Restaurant me khana khane ke bad, hum fir se mumbai ghumne me lag gaye. Hum 3 baje tak mumbai ghumte rahe aur fir uske bad hum sab priya ke pas hospital jaane ke liye nikal pade.

Hum hospital pahuche to priya ke pas riya, nikki, nitika aur mohini aunty thi. Priya ki tabiyat ab sahi najar aa rahi thi. Lekin usne mujhe dekhte hi, apna muh fula liya aur aankh band karke let gayi.

Ami nimi mere sath thi, isliye maine priya ko is baat me apni safayi dena thik nahi samjha aur nikki se baat karne laga. Lekin jo haal priya ka tha, wo hi haal nikki ka bhi tha. Wo bhi mujhse sahi se baat nahi kar rahi thi.

Priya aur ami nimi ke chakkar me, mai ye baat bilkul hi bhool gaya tha ki, abhi nikki bhi mujhse naraj chal rahi hai aur mujhse sirf kaam ki baten hi kar rahi hai. Mere liye usko manana bhi bahut jaruri tha.

Magar nikki ko manane se kahin jyada jaruri kaam, priya aur ami nimi ke bich mel karana tha. Lekin meri samajh me ye nahi aa raha tha ki, priya aur ami nimi ke bich mel kis tarah se karaya jaye.

Mai isi uljhan me uljha kabhi priya, kabhi nikki to, kabhi ami nimi ko dekh raha tha. Jabki keerti maje se mohini aunty se baat karne me lagi thi. Raat ko meri keerti se ami nimi se baat ho chuki thi.

Magar abhi keerti ka dhyan is baat par nahi tha. Thodi der bad jab keerti ka mohini aunty se baat karna band hua to, uska dhyan meri taraf gaya. Mujhe dekhte hi, use samajh me aa gaya ki, mai kis baat se pareshan hu.

______________________________
superb update hai pritam bhai
 
aman rathore

Enigma ke pankhe
4,857
20,215
158
Ko To Rok Lo {Update - 223}
____________________________

Usne priya ki taraf dekha to, priya aankh band karke leti huyi thi. Wahi dusri taraf ami mera hath pakad kar khadi huyi thi. Un dono ki harkat ko dekh kar, keerti muskuraye bina na rah saki.

Usne mujhe shant rahne ka ishara kiya aur khud nikki ko ami nimi ko ghumane le jane ki baat batane lagi. Jise sunkar priya ne apni aankhen khol li aur man laga kar keerti ki baten sunne lagi.

Keerti ne priya ko baten sunte dekha to, usne apni baton ka rukh nikki se hata kar priya ki taraf kar diya. Keerti ki baten sunkar, priya ki mujhse narajgi door ho gayi aur usne muskurate huye mujhse kaha.

Priya boli “sorry, meri tabiyat ki vajah se tum ami nimi ko thik se mumbai nahi ghuma paye.”

Priya ki ye baat sunkar, mere kuch bolne ke pahle hi nimi bol padi.

Nimi boli “didi, aapki tabiyat kharab hone ki vajah se hi hum logon ko mumbai ghumne mila hai. Ab aap jab tak bimar hai, hum log roj mumbai ghumne jayege.”

Nimi ki ye baat sunte hi, waha khade sabhi log hasne lage. Wahi ami use ghoor kar dekhne lagi. Shayad ami ko nimi ka priya se baat karna pasand nahi aaya tha. Wahi priya ne nimi ki baat ka samarthan karte huye kaha.

Priya boli “ye thik hai, ab jab tak tum logon ka mumbai ghumna pura nahi ho jata, tab tak mai bimar hi padi rahugi.”

Ye kah kar priya khud bhi hasne lagi. Thodi der sab me isi baat ko lekar baten hoti rahi. Fir padmini aunty aa gayi to, mai ami nimi ke sath priya ke kamre se dusre kamre me aa gaya.

Mai ami nimi ko priya ke baare me samjhane ki soch hi raha tha ki, tabhi keerti aur nikki bhi wahi aa gayi. Unko dekh kar, mai apni baat kahte kahte ruk gaya aur unse yaha waha ki baten karne laga.

Meri unse baat chal hi rahi thi ki, tabhi meri najar samne pade akhbar par padi. Aaj budhvar (Wednesday) tha, isliye mai akhbar utha kar usme tripti ki rachna dekhne laga. Tabhi nikki ne mujhe tokte huye kaha.

Nikki boli “jo tum usme dud rahe ho, wo nahi hai.”

Nikki ki baat sunkar, mai chauk gaya aur maine apni baat par parda dalte huye kaha.

Mai bola “mai kuch nahi dud raha. Mai to bas aise hi panne palat raha tha.”

Meri baat ke jabab me nikki ne kaha.

Nikki boli “mujhe laga ki, tum usme Tripti ki rachna dud rahe ho. Tripti ki rachna ab somvar (Monday) ko hi aayegi.”

Nikki ki baat sunkar, maine akhbar ek kinare rakhte huye kaha.

Mai bola “mujhe uski rachna padne ki lat lag gayi hai. Lekin use mat batana ki mai uski sachai ko jaan gaya hu.”

Nikki boli “mai use nahi bataugi. Kyoki wo bhi yahi chahti hai ki, tumko uski sachai ka pata na chale.”

Nikki se aise hi meri tripti ke baare me baten hoti rahi. Ami nimi gaur se meri baat sun rahi thi. Lekin unhe meri baten samajh me nahi aa rahi thi. Isliye ami ne mujhe tokte huye kaha.

Ami boli “bhaiya ye aap kya baten kar rahe hai. Meri to kuch samajh me nahi aa rahi hai.”

Ami ki baat sunkar maine muskurate huye kaha.

Mai bola “tu meri baton me kyo apna dimag laga rahi hai. Tu meri baton me dimag mat laga aur jakar hetal didi se mil le.”

Meri baat sunkar, ami nimi ko lekar hetal didi ke pas chali gayi. Ami nimi ke na hone se mujhe nikki ko apni safayi dene ka mauka mil gaya aur maine apni baat ko aage badate huye nikki se kaha.

Mai bola “sorry, us din mai tumhare kahne par bhi yaha nahi aa paya tha. Lekin us din mai majbur tha. Warna nisha bhabhi ke sath hi yaha aa gaya hota.”

Meri baat sunkar, nikki ne muskurate huye kaha.

Nikki boli “tumko is baat me apni safayi dene ki koi jarurat nahi hai. Keerti pahle hi mujhe tumhari pareshani bata chuki hai. Sorry to mujhe bolna chahiye ki, maine tumhe bekar me hi galat samjha.”

Nikki ki baat sunkar, mujhe is baat ka sukun hua ki, uski mere se narajgi door ho gayi hai. Lekin abhi bhi mere samne ami ek pareshani ka sabab bani huyi thi. Maine apni ye hi baat nikki ke samne rakh di.

Meri ye baat sunkar, nikki ne mujhe yakin dilaya ki, wo ami nimi ke man me priya ke liye pyar jagane ki puri kosis karegi. Iske bad, meri keeri aur nikki se isi baare me baten hoti rahi.

Iske bad ka mera saara samay aise hi beet gaya aur raat ke 8:30 baje mai, ami nimi, keerti aur barkha didi ghar wapas aa gaye. Ghar aakar hum logon ne khana khaya aur fir aapas me baten karne lage.

Isi bich chhoti maa ka call aa gaya. Unse hum sabne baten ki aur fir uske bad 10 baje sab apne apne kamro me aa gaye. Maine apne kamre me aakar kapde badle aur fir let kar aaj din bhar ki baten yaad karne laga.

Mai inhi sab baton me uljha hua tha ki, tabhi 10:45 baje keerti mere kamre me aa gayi. Maine us se ami nimi ke baare me baat ki to, usne kaha ki sabar rakho, priya ami nimi ko bahut pasand karti hai. Uski yahi baat dhire dhire ami nimi ko uske pas le aayegi.

Mere pas bhi abhi iske siwa koi rasta nahi tha. Isliye maine abhi is baat par chup rahna hi thi samjha. Iske bad meri keerti se der raat tak baten hoti rahi. Fir 1baje raat ko keerti sone chali gayi. Uske jaane ke bad, mai fir apni soch me gum ho gaya aur na jane kab mujhe nind aa gayi.

Agle din subah fir hum log mumbai ghumne chale gaye aur dopahar ke khane ke bad hospital pahuche. Hospital pahuchne par hume pata chala ki, kal priya ki hospital se chhutti ho jayegi.

Maine ye baat call karke chhoti maa ko batayi to, un ne kaha ki, wo kal subah waha pahuch jayegi. Iske bad waha koi khas baat nahi huyi. Raat ko hum sabne ghar aakar khana khaya aur fir sab apne apne kamre me sone chale gaye.

Meri der raat tak keerti se baten hoti rahi. Ab uski tabiyat me bahut jyada sudhar ho chuka tha. Lekin uski dawa abhi bhi chal rahi thi. Jis vajah se wo mere pas sone se parhej kar rahi thi.

Der raat tak mujhse baat karne ke bad, keerti apne kamre me sone chali gayi. Uske jaane ke bad mai bhi sone ki kosis karne laga. Lekin aaj raat ko meri aankhon se nind na jaane kaha gayab ho gayi thi.

Meri nind gayab hone ki vajah ye thi ki, priya ki hospital se chhutti hone ke bad, ek do din ke andar meri bhi apne ghar ko wapsi hona tay thi. Jabki mai abhi priya ko chhod kar wapas jaana nahi chahta tha.

Mai chhoti maa ko to iske liye aaram se mana sakta tha. Lekin ami ne pichhle kuch dino me priya ko lekar apna jo roop mujhe dikhaya tha, usne mujhe andar tak dara kar rakh diya tha.

Mai pahli baar kisi baat ko lekar apni ladli ami se itna dara hua tha ki, us se khul kar baat karne tak ki himmat nahi kar pa raha tha. Mujhe dar sata raha tha ki, kahin meri kisi baat ka uske nanhe man par bura asar na pade.

Mai chah kar bhi in baton ko apne dimag se nikal nahi pa raha tha aur meri isi soch ne meri nind udha kar rakh di thi. Mai der raat tak isi uljhan me uljha raha aur isi uljhan me uljhe uljhe mujhe nind aa gayi.

Subah meri 9 baje meri nind meri natkhat nimi ke jagane par khuli. Wo meri peeth par baith kar, mujhe hila hila kar jagane ki kosis kar rahi thi. Meri nind khuli to, maine us se kaha.

Mai bola “nimmo ab bas kar, mai jaag gaya hu.”

Meri baat sunkar, usne mujh par gussa karte huye kaha.

Nimi boli “bhaiya, jaldi utho, mummy aane wali hai.”

Mai bola “mai tab uthuga na, jab tu mere upar se uthegi. Chal ab mere upar se alag ho aur mujhe uthne de.”

Meri baat sunkar, nimi mere upar se uth gayi aur maine uth kar baithte huye kaha.

Mai bola “baki sab kaha hai.”

Nimi boli “barkha didi, keerti didi aur ami didi nashta kar rahi hai. Un ne mujhe aapko uthane bheja hai.”

Mai bola “chal thi hai, ab mai uth gaya hu. Tu bhi jakar nashta kar le.”

Itna kah kar, mai fresh hone chala gaya. Fresh hone ke bad mai taiyar hua aur kamre se bahar nikla to, chhoti maa aur vaani didi aa chuki thi. Chhoti maa ne bataya ki, aaj chanda mausi ki bhi hospital se chhutti hona hai aur wo abhi mausi ke sath unke ghar me rahegi.

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mujhe neha aur durjan ki yaad aa gayi. Maine fauran hi chhoti maa se kaha.

Mai bola “chhoti maa, abhi to durjan mama aur neha bhi wahi par hai. Wo dono abhi kiske pas rah rahe hai.”

Meri baat ke jabab me chhoti maa ne kaha.

Chhoti maa boli “wo dono abhi didi (anu mausi) ke sath hi hai. Isliye chanda mausi ko bhi abhi didi ke pas hi rakha gaya hai.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai unse aur bhi baten puchhna chahta tha. Lekin wo uth kar muh hath dhone chali gayi. Unke jane ke bad, vaani didi bhi muh hath dhone chali gayi aur mai nashta karne laga.

Jab tak mera nashta karna hua, tab tak chhoti maa aur vaani didi bhi wapas aa gayi. Iske bad hum sab hospital ke liye nikal gaye. Hospital me sabhi log the. Kuch hi der me priya ki hospital se chhutti ho gayi aur hum sab priya ke sath uske ghar aa gaye.

______________________________
Amazing update hai pritam bhai
 
aman rathore

Enigma ke pankhe
4,857
20,215
158
Ko To Rok Lo {Update - 224}

Priya ke ghar wapas aane se saare ghar me hansi khushi ka mahol ban gaya tha. Sabhi bahut khush najar aa rahe the. Dopahar ka khana hum logon ne priya ke ghar me hi khaya. Iske bad hum log yaha waha ki baten karte rahe.

Is sab ke dauran priya bahut khush najar aa rahi thi. Usne pahle ki tarah abhi bhi chhoti maa ka sath ek pal ke liye nahi chhoda tha. Wo pure samay chhoti maa ke pas hi unki ladli bankar baithi rahi.

Chhoti maa use bahut dular kar rahi thi aur baat baat me uske sar par hath fer rahi thi. Jis se priya ki khushi aur bhi jyada bad gayi thi. Magar ye laad dular ka daur ami ko pasand nahi aa raha tha. Wo mera hath pakad kar mere pas baithi thi aur priya ko gusse me ghoor kar dekh rahi thi.

Ami ki is baat par mere alawa keerti aur nikki ne bhi gaur kiya tha. Magar iske baare me kisi ne kuch kaha nahi. Ye laad dular ka silsila sham tak yu hi chalta raha aur pure samay ami ka muh bana raha.

Fir sham hote hi chhoti maa ne sab se jaane ki ijajat mangi to, priya chhoti maa se aaj uske ghar me hi rukne ki jid karne lagi. Lekin chhoti maa ne aaj raat ki flight se wapas jaane ki baat kah kar, uski saari ummidon par paani fer diya.

Chhoti maa ki ye baat sunkar priya ki muskurahat gayab ho gayi aur uska chehra chhota sa ho gaya. Priya ka utra hua chehra dekh kar chhoti maa ne use samjhate huye kaha ki unka aaj hi wapas jana jaruri hai.

Lekin priya ki khushi ke liye wo mujhe keerti aur ami nimi ko 2 din ke liye uske pas hi chhod kar ja rahi hai. Chhoti maa ki is baat ko sunkar, priya ke chehre ki muskurahat wapas aa gayi aur kahin na kahin mujhe bhi chhoti maa ki is baat ko sunkar sukun mila tha.

Chhoti maa ne sab se ijajat li aur fir hum log wapas ajay ke bungalow me aa gaye. Waha aakar chhoti maa aur vaani didi ne apna bag liya aur fir hum sabko kuch baten samjha kar 7 baje airport ke liye jaane lagi.

Maine chhoti maa se airport tak unke sath chalne ki baat kahi. Magar chhoti maa ne iske liye mana kar diya aur wo vaani didi ke sath chali gayi. Ghar par ab mai, keerti, ami nimi aur barkha didi thi.

Hum sab baithe hetal didi aur priya ke baare me baat kar rahe the. Isi bich 8:30 baje hum logon ka khana aa gaya. Hum sabne ek sath baith kar khana khaya aur fir se sab baten karne lage.

Iske bad raat ko 10:30 baje sab apne apne kamro me chale gaye aur mai bhi apne kamre me aa gaya. Apne kamre me aakar maine kapde badle aur fir keerti ke aane ka intejar karne laga.

Raat ko 11 baje keerti mere kamre me aayi. Keerti se meri yaha waha ki baten chalti rahi. Keerti ki tabiyat ab pahle se bahut jyada sudhar gayi thi. Iske bad bhi wo abhi mere pas sona nahi chahti thi.

Keerti ne 1 baje tak mujhse baat ki aur fir apne kamre me sone chali gayi. Uske jaane ke bad mai priya ke baare me sochne laga aur yahi sab baten sochte sochte pata hi nahi chala ki, kab mai gahri nind me chala gaya.

Subah 8 baje meri nind keerti ke jagane par khuli. Wo meri peeth par baith kar mujhe jaga rahi thi. Uski is harkat par mujhe hansi aa gayi. Maine muskurate huye us se kaha.

Mai bola “ye kya ho raha hai. Kya koi aise bhi kisi ko jagata hai.”

Meri baat par keerti ne apna pura vajan mere upar rakhte huye kaha.

Keerti boli “kyo, kya nimi tumhe aise hi nahi jagati hai. Aaj wo nahi hai to, uski jagah mai tumhe jaga rahi hu.”

Mai bola “chal bahut ho gaya tera jagana. Ab mere upar se uth aur mujhe bhi uthne de.”

Lekin keerti mere upar se nahi uthi aur mere upar apna vajan or jyada badane ki kosis karne lagi. Jab mujhe sach me uska vajan mehsus hone laga to, mai use apne upar se alag karne ki kosis karne laga.

Magar keerti aaj mere sath masti karne ke mood me thi. Usne jaise hi dekha ki mai uthne ki kosis kar raha hu to, usne apne dono hathon se mere dono kandho ko pakad kar mujhe bistar par dabana suru kar diya.

Mujhe uski ye harkat achi lag rahi thi. Isliye mai ab mai bas chhutne ki kosis karne ka natak kar raha tha. Maine jab uthne ke liye jyada takat lagayi to, keerti apna pura vajan daal kar, mere upar hi let gayi.

Uski is harkat se uske stan ki golaiyan (boobs) ka aehsas mujhe apni peeth par hone laga. Jiske ahsas se hi mera jor lagana khatam ho gaya aur mai aise hi bina virodh kiye nidhal sa let gaya.

Keerti ne jab mujhe koi jor lagate nahi dekha to, wo apne daant se mere kaan katarne lagi. Uski is harkat se mai thoda tilmilaya aur us se kaha.

Mai bola “ye kya kar rahi hai. Mujhe dard nahi hota kya.”

Keerti boli “tum kuch bhi kar lo, lekin aaj mai tumko nahi chhodugi. Aaj bahut din bad tum mujhe akele me pakad me aaye ho.”

Ye kahte huye usne fir se mere kaan ko katar liya. Maine uski pakad se chhutne ke liye uthne ki kosis ki to, usne mere dono hathon ko pakad liya. Uske kaatne se bachne ke liye mai apna chehra dayen bayen ghumane laga.

Lekin wo mujhe pareshan karti rahi. Uske yun pareshan karne ka silsila tab tak chalta raha, jab tak ki wo thak nahi gayi. Jab wo thak gayi to, khud hi mere upar se hat kar ek kinare baith gayi.

Uske mere upar se hatte hi, mai bhi apne dono kaan sahlate huye uth kar uske pas baith gaya aur us se puchha.

Mai bola “ye sab kya tha.”

Keerti boli “ye sab itne din mujhse door rahne ka badla tha.”

Mai bola “aaj tune mujhe bahut pareshan kiya hai. Yadi teri tabiyat sahi hoti to, mai bhi tujhe maja chakhata.”

Keerti boli “tumse kuch nahi hoga. Tum bas mujhe maja chakhane ke sapne hi dekhte raho.”

Uski ye baat sunte hi, maine uska chehra apne dono hathon me thama aur usko chumne ke liye apna chehra aage kiya to, wo kiss na karne ki minnat karne lagi. Uski is harkat par mujhe hansi aa gayi aur maine use chhodte huye kaha.

Mai bola “ye ami nimi aur barkha didi kaha gayi hai.”

Keerti boli “wo log barkha didi ka ghar dekhne gayi hai aur udhar se hi wo aman ke ghar chali jayegi. Hum logon ko bhi un ne wahi aane ka kaha hai.”

Iske bad meri keerti se thodi bahut baat huyi aur fir mai fresh hone chala gaya. Fresh hone ke bad mai taiyar hua. Tab tak keerti chay lekar aa gayi. Maine chay pi aur fir iske bad hum log bike se aman ke ghar aa gaye.

Ami nimi waha pahle hi pahuch chuki thi. Humne waha sab ke sath nashta kiya aur fir kuch der rukne ke bad, hum hetal didi se milne hospital chale gaye. Kuch der hum log hospital me ruke.

Fir ami nimi ghumne chalne ki baat kahne lagi to, mai barkha didi, keerti aur ami nimi ghumne ke liye nikal gaye. Din ka khana hum logon ne reataurant me khaya aur uske bad ami nimi ko thoda bahut ghumane ke bad sham ko 5:30 baje hum log wapas ghar aane ke liye nikle. Tabhi priya ka msg aa gaya.

Priya ka msg “Dinse Raat Hone Ko Aai Hai.​
Pata Nahin Ye Kaisi Judai Hai.​
Parwah Nahin Karte Wo Apne Dost Ki,​
Na Jane Ye Kaisi Dosti Nibhai Hai.”​

Priya ka msg dekhte hi, maine apna mobile keerti ko thama diya. Keerti ne msg dekha to, baton baton me priya ko dekhne chalne ki baat kahne lagi. Jiske bad hum sab log priya ke ghar aa gaye.

Hum log jab priya ke ghar pahuche to, mohini aunty, nitika, riya aur nikki baithi huyi thi. Priya us samay apne kamre me thi. Hum log mohini aunty ke pas hi baith gaye. Barkha didi unhe aaj ghumne ki baat batati rahi.

Baton baton me nikki ne priya ke pas chalne ki baat kahi aur fir hum log uth kar, nikki ke sath priya ko dekhne uske kamre ki taraf chal pade. Sidiyon ke upar pahuchte hi raj ka kamra aaya.

Raj ka kamra aate hi nikki hume raj ka kamra dikhne andar bulane lagi. Mujhe kuch samajh nahi aaya ki nikki achanak hume raj ka kamra kyo dikhane lagi. Magar maine kuch nahi kaha aur chup chap sabke sath raj ke kamre me aa gaya.

Raj ke kamre me pahuchte hi, hum sab ki najar uske kamre me saje medal aur trophy par padi. Itne saare medal aur trophy dekhte hi, ami ne chaukte huye nikki se puchha.

Ami boli “didi ye itni saari trophy aur medal kya raj bhaiya ne jeete hai.”

Ami ki baat par nikki ne muskurate huye kaha.

Nikki boli “nahi, ye sab medal aur trophy priya ne jeete hai. Priya swimming champion hai. Lekin apni bimari ki vajah se ab wo kisi tournament me hissa nahi leti hai.”

Nikki ki baat sunkar, ami bade gaur se priya ke jeete huye medal aur trophy ko dekhne lagi. Ab mujhe samajh me aa raha tha ki, nikki hum sab logon ko raj ke kamre me kyo lekar aayi thi.

Asal me ami nimi dono ko swimming bahut pasand thi. Shayad isi vajah se nikki ne unhe priya ke jeete huye medal aur trophy dikhaye the. Jis se ami nimi ko priya ke karib laya ja sake. Thodi der sab raj ke kamre me priya ke medal aur trophy dekhte rahe. Fir priya ko dekhne uske kamre ki taraf chal pade.

______________________________
amazing update hai pritam bhai,
bechara Punit ami nimi ke chakkar mein priya se theek se mil bhi nahi pa raha hai
 
aman rathore

Enigma ke pankhe
4,857
20,215
158
Ko To Rok Lo {Update - 225}
____________________________

Raj ka kamra aate hi nikki hume raj ka kamra dikhne andar bulane lagi. Mujhe kuch samajh nahi aaya ki nikki achanak hume raj ka kamra kyo dikhane lagi. Magar maine kuch nahi kaha aur chup chap sabke sath raj ke kamre me aa gaya.

Raj ke kamre me pahuchte hi, hum sab ki najar uske kamre me saje medal aur trophy par padi. Itne saare medal aur trophy dekhte hi, ami ne chaukte huye nikki se puchha.

Ami boli “didi ye itni saari trophy aur medal kya raj bhaiya ne jeete hai.”

Ami ki baat par nikki ne muskurate huye kaha.

Nikki boli “nahi, ye sab medal aur trophy priya ne jeete hai. Priya swimming champion hai. Lekin apni bimari ki vajah se ab wo kisi tournament me hissa nahi leti hai.”

Nikki ki baat sunkar, ami bade gaur se priya ke jeete huye medal aur trophy ko dekhne lagi. Ab mujhe samajh me aa raha tha ki, nikki hum sab logon ko raj ke kamre me kyo lekar aayi thi.

Asal me ami nimi dono ko swimming bahut pasand thi. Shayad isi vajah se nikki ne unhe priya ke jeete huye medal aur trophy dikhaye the. Jis se ami nimi ko priya ke karib laya ja sake. Thodi der sab raj ke kamre me priya ke medal aur trophy dekhte rahe. Fir priya ko dekhne uske kamre ki taraf chal pade.

Jab hum priya ke kamre me pahuche to, priya bed par leti Tv dekh rahi thi. Usne hume aate dekha to, fauran Tv band kar di aur uth kar baith gayi. Hum sabko ek sath aaya dekh kar, uske chehre par muskurahat aa gayi.

Priya ki tabiyat ab pahle se behtar thi. Bas wo thodi kamjor najar aa rahi thi. Us samay mujhe us par bahut pyar aa raha tha. Isliye maine uske pas jakar baithte huye kaha.

Mai bola “tum yaha aaram se baith kar Tv dekh rahi ho aur hum log kab se niche baithe tumhare niche aane ka intejar kar the.”

Meri is baat par priya ne apne tevar badalte huye kaha.

Priya boli “oye jyada jhuth mat bolo. Mai abhi thodi der pahle hi niche se upar aayi hu. Sidhe se kyu nahi kahte ki, tum logon ko mumbai ghumne se ab fursat mili hai.”

Priya ki is baat me sachchai thi. Lekin wo ye baat majak me kah rahi thi. Isliye maine bhi usi ke lahje me us se kaha.

Mai bola “mai jhuth nahi bol raha hu. Tum chaho nikki se puchh lo. Hum log kitni der se niche baithe hai.”

Priya boli “mujhe kisi se kuch nahi puchhna hai. Tum ami nimi ko mumbai ghuma rahe the. Isliye mai tumse koi jhagda nahi karugi.”

Priya ki is baat par maine hanste huye kaha.

Mai bola “chalo kisi bhi bahane sahi, tumhari sikayat to door huyi. Ab ye batao ki nidhi didi ne tumhe kitne din ghar par aaram karne ko kaha hai.”

Meri baat sunkar priya ne thoda udas hote huye kaha.

Priya boli “nidhi didi ne to mujhe pure ek hafte aaram karne ko kaha hai. Lekin tum log to yaha sirf 2 din ke liye ho. Tum logon ko kab wapas jana hai.”

Mai priya ki haalat ko samajh raha tha. Wo mere jaane ki baat ko lekar udas thi. Isliye mahol ko kuch halka karne ki niyat se maine muskurate huye kaha.

Mai bola “hum logon ko kal wapas jana hai. Lekin humhare jane ki baat se tum udas mat ho. Tum jab chahogi, mai tumse milne chala aauga.”

Meri is baat se priya ke chehre par thodi si muskan aa gayi. Usne abhi tak mere alawa kisi se baat nahi ki thi. Lekin jaise hi uski najar ami nimi par padi to, usne muskurate huye ami nimi se kaha.

Priya boli “tum logon ne mumbai ache se ghooma ya nahi.”

Priya ki is baat par ami to kuch nahi boli. Lekin nimi ne uski baat ka jabab dete huye kaha.

Nimi boli “didi humne puri mumbai ghoom li hai aur mumbai ghoom kar hume bahut maja aaya.”

Nimi ki is baat ke jabab me priya ne kaha.

Priya boli “meri tabiyat kharab nahi hoti to, mai khud hi tum logon ko mumbai ghumane lekar chalti. Lekin chinta mat karo, agli baar jab tum log aaogi, tab mai khud tumhe mumbai ghumaugi. Tab dekhna tumhe aur bhi jyada maja aayega.”

Priya ki ye baat sunkar nimi use, humne kaha kaha ghooma batane lagi. Kuch der tak priya aur nimi ki ye hi baten chalti rahi. Fir bad me keerti aur barkha didi ki us se thodi bahut baten huyi.

Humne samay dekha to, ab 7:30 baj raha tha. Hum subah ke nikle huye the aur ghumne firne ki vajah se ab hume thakan bhi mehsus hone lagi thi. Isliye humne priya se jaane ki ijajat li aur hum priya ke sath niche aa gaye.

Niche aakar humne padmini aunty aur dada ji se jaane ki ijajat maangi. Magar padmini aunty khana kha kar jaane ki jid karne lagi. Hum subah ke nikle the aur humne dopahar ka khana bhi bahar khaya tha.

Dopahar ka khana bahar khane ka to humne shikha didi ko bata diya tha. Lekin sham ka khana un ne sath khane ka jataya tha. Isliye hum waha khana khana nahi chahte the.

Magar padmini aunty ne bhi khana kha kar hi jaane ki jid bandh li thi. Jis vajah se humne shikha didi ko call karke priya ke ghar khana khane ki baat batayi. Shikha didi ne is baat ka koi virodh nahi kiya aur subah ka khana sath khane ki baat kah kar hume waha khana khane ki ijajat de di.

Humare khane ki baat tay hote hi, padmini aunty kitchen me chali gayi. Unke jaane ke bad, humari dada ji aur mohini aunty se baat hone lagi. Mohini aunty pahle se bahut jyada badal chuki thi.

Fir bhi unki pahle ki priya ko kahi kuch baten mujhe abhi bhi chubh rahi thi. Jis vajah se meri unse jyada baten nahi ho saki. Kuch der bad raj aur uncle bhi aa gaye. Unse bhi humari thodi bahut baten huyi.

Fir padmini aunty ne khana laga diya to hum sab sath me khana khane lage. Khana khane ke bad fir se hum logon ki baton ka silsila chalta raha. Fir 10 baje hum log dada ji aur baki logon se ijajat lekar ajay ke bungalow jaane ke liye nikal pade.

Sab thake huye the, isliye ghar aate hi sab sone ke liye apne apne kamre me chale gaye. Maine apne kamre me aakar kapde badle aur keerti ke aane ka intejar karne laga.

Raat ko 11 baje keerti aayi. Us se meri roj ki tarah hi baten huyi aur fir 1 baje wo apne kamre me chali gayi. Keerti ke jaane ke bad, mai kal ghar wapas jaane ke baare me sochne laga.

Mai kuch din priya ke sath rahna chahta tha. Lekin ami nimi ke sath hone ki vajah se abhi mera yaha rukna sahi nahi tha. Yahi sab baten sochte sochte pata nahi kab meri nind lag gayi.

Subah meri nind 8:30 baje nimi ke jagane par khuli. Maine us se baki sab ka puchha to, usne bataya ki sab uth kar taoyar ho chuke hai. Bas mai hi uthne ke liye baki tha aur usne mujhe bhi jaga diya hai.

Iske bad mai uth kar fresh hone chala gaya. Nahane ke bad mai taiyar hone laga, tabhi keerti chay lekar aa gayi. Maine chay peete huye keerti se kaha.

Mai bola “humari flight sham ko 5 baje ki hai. Tum apna aur ami nimi ka saman pack kar lo. Kyoki din bhar sabse milne julne me hume packing ka samay nahi mil payega.”

Keerti boli “tum iski fikar mat karo, dopahar ko shikha didi ke pas khane par jaane se pahle mai apni aur ami nimi ki saari packing kar lugi.”

Abhi meri keerti se baat chal hi rahi thi ki, tabhi barkha didi aur ami nimi bhi mere kamre me aa gayi. Barkha didi ne mujhse ghumne chalne ke baare me puchha to maine kahi bhi jaane se mana kar diya.

Lekin ami nimi ka mumbai ghumne se man nahi bhara tha. Wo dono kahi chalne ki jid karne lagi. Maine unhe samjhaya ki, aaj hume ghar wapas jana hai aur ghumne ke chakkar me hum yaha kisi se mil nahi sakege.

Meri is baat ke jabab me barkha didi ne ami nimi se kaha ki, wo unke sath ghumne chale aur mujhe yaha sabse milne ke liye chhod dete hai. Ami nimi ko unki ye baat sahi lagi.

Lekin wo keerti se bhi sath chalne ki jid karne lagi. Keerti ka man ghumne jaane ka nahi tha. Lekin ami nimi ki jid ke aage use jhukna hi pada. Kuch hi der me ami nimi, keerti aur barkha didi ghumne chali gayi aur mai hetal didi se milne hospital chala gaya.

Maine hetal didi ko aaj apne jaane ki baat batayi to, wo mujhe kuch din rukne ki baat kahne lagi. Lekin maine unhe kisi tarah se samjha diya. Mai dopahar ko 12 baje tak hetal didi ke pas raha. Fir shikha didi ka khane ke liye call aaya to, mai wahi se aman ke ghar ke liye nikal gaya.

Mere waha pahuchne se pahle hi ami nimi, keerti aur barkha didi waha pahuch chuki thi. Hum sabne ek sath khana khaya aur iske bad humari yaha waha ki baten hoti rahi. Fir 2 baje mai waha se priya ke ghar aa gaya.

Priya mujhe niche hi mil gayi. Shayad use kisi se pata chal gaya tha ki, mai waha aa raha hu. Mai jab waha pahucha to, waha padmini aunty, mohini aunty, nitika, riya, nikki aur priya baithi Tv dekh rahi thi.

Maine un logon se dada ji aur raj ka puchha to, un ne bataya ki wo dono apne kamre me hai. Isliye pahle mai dada ji se jakar mila. Un ne mujhe aate rahne ko kaha aur priya ki taraf se befikar rahne ko kaha. Unse milne ke bad, mai raj ke kamre me gaya. Raj ne bhi mujhse wahi baat boli, jo dada ji ne boli thi.

Iske bad meri raj se yaha wahan ki baten hoti rahi. Baton baton me maine raj se hitu (hitesh) ke baare me puchha to, usne bataya ki hitu abhi apne mama ke ghar gaya hua hai. Use priya ki tabiyat ke baare me kuch pata nahi hai.

Raj se thodi bahut baat karne ke bad, mai uske sath niche aa gaya. Mai niche aaya to, priya bhi mere sath chalne ki jid karne lagi. Maine use sath chalne se mana kiya to, wo muh fula kar baith gayi.

Uska foola hua muh dekh kar padmini aunty ne use sath le jane ko kaha. Iske bad mai thodi der wha ruka aur fir 3:30 baje waha se ajay ke bungalow ke liye nikal liya. Mere sath raj, riya, nitika, nikki aur priya bhi the.

Kuch hi der me hum log ghar pahuch gaye. Waha keerti aur ami nimi pahle hi aa chuke the. Humne apna saman liya aur fir airport ke liye nikal pade. Kuch hi der me hum airport pahuch gaye.

Waha par ajay aur shikha didi pahle se hi the. Abhi 4:15 baja tha aur humari flight chhutne me abhi 45 min ka samay baki tha. Mai ek ek karke sabse mil raha tha. Shikha didi ne ami nimi ko dher saare gift diye the aur mujhe apna khayal rakhne ke liye samjha rahi thi.

Ajay aur shikha didi se milne ke bad, mai raj logon se mila. Raj ne mujhe aate rahne ka jataya aur fir gale lag kar vidayi di. Raj ke bad, riya nikki ne bhi hath mila kar mujhe vidayi di.

Nisha bhabhi aur seeru didi logon se mai ghar par hi mil chuka tha aur maine hi unhe airport aane se mana kiya tha. Isliye wo log nahi aayi thi. Barkha didi ne mujhe gale laga kar, vidayi di.

Fir sabse aakhiri me mai priya se mila. Us se maine apni tabiyat ka khayal rakhne ko kaha aur tabiyat thik hote hi humare ghar aane ka jataya. Priya ne mujhe pichhli baat yaad dilate huye kaha.

Priya boli “tumhe yaad hai. Pichhli baar jab tum ja rahe the to, tumko lag raha tha ki, tum kuch bhool gaye ho. Lekin maine jab ghar jakar dekha to, mujhe waha kuch nahi mila tha. Kya tumhe yaad aaya ki, pichhli baar tum kya bhool gaye the.”

Priya ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “haan, mujhe yaad aa gaya tha ki, mai kya bhool gaya tha.”

Priya boli “kya.”

Mai bola “mai tum jaisi pyari dost ko yahi chhod kar ja raha tha. Isliye mujhe lag raha tha ki, mai kuch bhool gaya hu.”

Meri baat sunkar priya ke chehre par bhi muskurahat aa gayi aur usne pichhli baar ki tarah is baar bhi mujhe muskurate huye vidayi di. Kuch hi der me humari flight ki ghoshna ho gayi.

Mai ajay se gale mila aur ek baar sabki taraf dekh kar haath hilaya. Fir mai keerti aur ami nimi ke sath me flight ki taraf bad gaya. Is baar mumbai se jaate samay meri aankhon me nami nahi thi.

Lekin fir bhi mujhe aisa lag raha tha ki, mai bahut kuch apna yaha chhod kar ja raha hu. Yahi sab sochte huye mai apni flight par pahuch gaya. Ami nimi ghar wapsi se khush nazar aa rahi thi.

Magar mai kuch udas sa tha aur ye udasi priya ko yaha chhod kar jaane ki thi. Mai apni isi udasi ke sath flight par chadh gaya aur kuch hi der bad humari flight ne udan bharna suru kar diya.

______________________________
Amazing update hai pritam bhai
 
Top