Ant bhala to sab bhala. Harsh ko kya power mili wo to danav hi ban gaya, sharir se hi nahi, balki mann se bhi. Yeh koi excuse nahi hai ki mere baap ne meri bibi ke saath jo kiya weh main bhi unki sab betiyon ke saath karunga.
Ladayi bahut rochak thi. Sabse maza tab aaya jab Samar ne apni betiyon ke saath ghoda khel kar Charan das ko murkh bana kar use apne dimag se nikal diya aur phir Mona ne uske dimag me ghus kar jo uska sirr deewar se pitwaya, weh climax tha. Dono Kyara madam chillate rahe, par Kyara ne koi hastakshep nahi kiya, yeh baat samajh me nahi aayi. Pehle to mujhe laga tha ki Kyara Salil me apne bhai Arya ko mehsus kar ke Salil ko kuch nahi kar rahi hai, lekin baad ke scenes padh kar aisa nahi laga. Weh bhi ab Surya ke vash me aa gayi hai.
Harsh ko maarna, phir Maharaj aur Charan Das ka ant, aur aakhir me nana ji ke haathon hi Bhairav ka katal, ant me nana ji ko bhi paar laga dena, sab bade hi rochak tareeke se likha tha.
Kuch vyang ka chidkaav bhi dekhne ko mila, Goongi jis tarah se Jhamela ke peeche padi hai, padh kar hansi aa gayi.
Sani ke peeche sab pade hain, lekin weh to Captain ki deewani hai. Jhamela ne abhi tak dil se Anu ko maaf nahi kiya hai. Sab theek ho gaya tha, lekin weh bhikari, mujhe lagta hai Sam hai. Pehle to aisa laga ki kahin yeh purana wala Sam to nahi hai jo Akshi ke peeche pada tha. lekin aage padh kar aisa nahi lagta hai. Yeh koi naya character hai.
Kyara bilkul badal gayi hai, ab weh majburi me ya phir ab uska nature hi aisa ho gaya hai. Ek naya villain aur aa tapka, Dinesh. Lekin Samar ko bahut jaldi marwa diya.
Dusre part ke scenes bahut bhayanak the. Mere favourite character Salil, Sahir, Saumya, Aashana is story me the aur dusri ke Arya, Akansha, Akshi aur Shree (the best of all) hain. Akhir Arya aur Shree to dikh gaye, shayad hospital me Akansha bhi mil jaaye. Ab sabse pehle is Surya ko thikane lagana hai aur phir Dinesh ko.
Narsimha kuch keh raha tha, ki uske peeche bahut badi shaktiyan hain, usko maar kar kuch nahi hoga. Dekhte hain ki agla part kaise chalta hai. Haan, Salil ka Mask bhi Sam ke pass chala gaya, ab usko heal hone me samay lagega. Wo jo dusre grah ke jaanwar ne use kaata tha, uska asar heal hone me kyon nahi ho raha.
Arjun ko Saumya aur shayad Sona mil gayi hain. Ab yeh kaise hua, suspense hi rahega. Iska bhi ilaaz jaldi karwana padega. Aur Jhamela kahan hai...
Abse impotant baat, apni sehat ka dhyan rakhein aur gayab hone ke bajaye har hafte ek baar apne kushal-mangal ki baat bata diya karein.