Infrastructure aur training facilities bahut jaruri hai. China aur USA aise hi 100-100 medals nhi jeeteSirf ek yahi reason nhi hai, bahut sare reasons hai, sabse pahli baat ke govt budget nhi deti, deti hai to sab upar se nipta dete hai, uske alawa ek baat notice karna ke India se Olympics ke liye jo athlete jate hai unme se jyadatar kisi chote ganv yaa shahar se hote hai... Kyuke unhe pata hai ke unke pass aur koi opation nhi hai, naa unke pass paisa hota hai naa infra, bas hoti hai to unki Will...
Usko bhi to tab janne Lage jab usne gold jeeta... Talent se jyada yaha Paisa bolta hai aur upar se quota systemAtheletes thode hai models haiatheletes kaise lagte hai dekh ke hi jab chalte hai toh alag standout karte hai...sadly Neeraj Chopra jaise log Kam hi honge
![]()
Hamara country morroco se toh thik hi hai woh fifa wc ke semi final tak jaa skte hai pehle baar toh hum kya itne logon mein se 11 players nhi laa paa rheFootball isliye nhi badh rha kyuke players me wo skills hi nhi hai yrr jo log premier league yaa kisi bhi dusri league me dekhte hai....
Hamare to wo bhi allowed nhi hai... Me Peeta tha but ghar ke bahar, fir to chor hi di... Nasha to bekar hi hai yrr
Thoda sa toh chalta hoga![]()
I know about my Job... Mujhse jyada kon janta hoga ke govt institutions kese kam karte hai... Yaha bata nhi sakta but ju log soch nhi sakte ke kyaa kyaa hota hai...Infrastructure aur training facilities bahut jaruri hai. China aur USA aise hi 100-100 medals nhi jeete![]()
Exactly, China news Mein dikhata hai ki India China se compete nahi kar sakta Kyunki hamara genetics kharab hai unse literally man unhone yah news dikhaya tha, but they don't know how genetically blessed we are, just stereotype dekha hoga Bollywood mein unhone aur vahi se yah conspiracy chalti Hai. Gvt to support nahi karti Plus khelne bhi nahi deta thik se, thank God mein government school se nahi padha but i know ki government schoolon mein khelne ka time hi nahi hota tiffin time kitna rahata hai bus aadha ghanta ek ghanta, itne mein kya hi khelkud hoga overall 6 ghanta schooling time mein.Sirf ek yahi reason nhi hai, bahut sare reasons hai, sabse pahli baat ke govt budget nhi deti, deti hai to sab upar se nipta dete hai, uske alawa ek baat notice karna ke India se Olympics ke liye jo athlete jate hai unme se jyadatar kisi chote ganv yaa shahar se hote hai... Kyuke unhe pata hai ke unke pass aur koi opation nhi hai, naa unke pass paisa hota hai naa infra, bas hoti hai to unki Will...
Yup naya wala kahin purana mat dekhne baith janaSherlock Holmes ?
Sunna hai dekha nhi yrr ab tak
Achaa ek kaam kare... Abhi sare post ke reply kardo, fir ek discussion karte hai tumhari isi baat pe...Hamara country morroco se toh thik hi hai woh fifa wc ke semi final tak jaa skte hai pehle baar toh hum kya itne logon mein se 11 players nhi laa paa rheutla ranking aur girte Jaa rhe hai....pata bhi hai iss baar kitne teams qualify karnege agle saal ke wc ke liye 48!!! Lagbhag aadhe century aur hum top 100 mein bhi nhi hai
![]()
Yaaayyy...Apne wale ka koi match hi nhi hai yrr...
Best food
Bro bro.. mene apni puri schooling govt school se ki hai, aur tumhari baat bahut hadd tak sahi hai.. but tumhe abhi ye nhi pata ke system kaam kese karta hai... Govt paper ko manti hai.. paper pe kaam ho gaya mtlb baat khatam....Exactly, China news Mein dikhata hai ki India China se compete nahi kar sakta Kyunki hamara genetics kharab hai unse literally man unhone yah news dikhaya tha, but they don't know how genetically blessed we are, just stereotype dekha hoga Bollywood mein unhone aur vahi se yah conspiracy chalti Hai. Gvt to support nahi karti Plus khelne bhi nahi deta thik se, thank God mein government school se nahi padha but i know ki government schoolon mein khelne ka time hi nahi hota tiffin time kitna rahata hai bus aadha ghanta ek ghanta, itne mein kya hi khelkud hoga overall 6 ghanta schooling time mein.
Aur jo ine sari pareshaniyon ka mukabala Karke aage nikal Gaye the sayad Olympics bhi Jeet sakte the but vah bhi gvt job mei jush gaye yaar woh bhi kiya kare, China to har sal khiladiyon ko funding Karte Hain hamare yaha Aisa system hi nahi hai, gvt se funding aaya bhi to schools kha jaate Hain sab