• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy THE USELESS

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

RATING FOR STORY?

  • Votes: 1 2.8%
  • ⭐⭐

    Votes: 0 0.0%
  • ⭐⭐⭐

    Votes: 0 0.0%
  • ⭐⭐⭐⭐

    Votes: 1 2.8%
  • ⭐⭐⭐⭐⭐

    Votes: 34 94.4%

  • Total voters
    36

Dev the lover

Well-Known Member
3,622
15,236
159
UPDATE 24

( Raat Ki Jung End )


Raat ka andhera aur bhi gehra ho chuka tha. Viper ka hideout ek battlefield ban gaya tha. Khoon ki boo hawa me ghul chuki thi, aur zameen par sirf laashon ka dher tha. Dev ke haathon se maut ka tamasha abhi bhi jaari tha. Cobra gang ka ek bhi aadmi zinda nahi bacha tha… sirf ek ko chhod kar—Ravyaan.

👤 Ravyaan – (Haste hue, bechaini chhupane ki koshish me) "Dev! Tum bhi? Tumhe toh Cobra ke logon ka samna karna chahiye tha…"

🦾 Dev – (Pistol ghumate hue, ek thandi awaaz me) "Kiya tha. Sab khatam ho chuke hain."

Ravyaan ke chehre ka rang udd gaya. Halki si thartharahat uske haathon me dikh rahi thi. Usne ek nazar aaspaas daali—har taraf sirf maut ka nazara tha.

👤 Ravyaan – (Aankhon me darr) "Tu… tune sabko maar diya?"

🦾 Dev – "Aur tu jo next hai… bas uska intezaar kar raha hoon."

Tabhi, peeche se ek awaz aayi. Ek confident, nishchit awaz.

👩‍🦰 Ananya – "Bhai, isse aapke upar chhodna chahiye ya main khud nipta loon?"

Dev ne dheere se muskurakar Ananya ki taraf dekha. Uske chehre pe ab na dar tha, na confusion—sirf ek alag si chamak thi. Dev ne phir apni nazar Ravyaan ki taraf ghumai.

🦾 Dev – (Ek thandi awaaz me) "Iska faisla sirf main karunga."

Ravyaan ne bhaagne ki koshish ki, lekin Ananya ne turant ek kadam aage badhakar uska rasta rok diya.

👩‍🦰 Ananya – (Gusse se) "Tu bhaag nahi sakta, Ravyaan."

Ravyaan ne ek pal bhi waste nahi kiya—usne apni pistol uthai aur seedha Ananya par target kiya!

💥 BANG!

Lekin jaise hi usne trigger dabaaya, Ananya ka body ekdum natural reflex ke saath neeche jhuk gaya. Jaise koi anjaan shakti uske movements guide kar rahi ho. Goli uske baal ke ek strand ko bhi nahi chhoo saki.

👩‍🦰 Ananya – (Ek ajeeb sa confidence) "Tu slow hai, Ravyaan."

Usne Ravyaan ke haath par ek zor ka punch maara, jisse pistol uske haath se gir gayi. Ek aur baar Ravyaan ne punch maarne ki koshish ki, magar Ananya neeche jhuk gayi aur ek low kick se uske ghutne pe attack kar diya. Ravyaan ka balance hil gaya. Uski aankhon me dar tha—Ananya waise nahi lad rahi thi jaise pehle.

👤 Ravyaan – (Ghabrakar) "Teri…"

Aur uske kehne se pehle Ananya ka ek aur punch uske face pe pada— jo itna zor ka tha ki Ravyaan peeche gir gaya.

Ravyaan ne dekha ki base me rukna maut bulane jaisa hai. Wo turant ek side flip maar kar peeche hata, aur ek hidden sidearm nikal li!

💥 BANG! BANG!

Goli seedha Dev ke taraf ja rahi thi, magar Dev ne bina kisi hesitation ke ek side roll kiya aur ek stone pillar ke piche cover le liya.

🦾 Dev – (Andar hi andar) "Jungle tak bhaag ke bhi tu zinda nahi bachega…"

Ravyaan bina peeche dekhe jungle ki taraf daud gaya! Uske jooton ke neeche sukhaye hue patton ki awaaz raat ki sannate me gunj rahi thi. Saans phuli hui thi, magar dar usse aur tez bhaga raha tha.

👤 Ravyaan – (Andar hi andar) "Bas ek baar jungle pahunch jaun, phir tu mujhe kabhi nahi dhoond paayega, Dev!"

Par Dev waisa shikaar nahi tha jo apni shikaar ko bhaagne de.

🦾 Dev – (Ek chhoti si smile) "Tujhe laga tu bhaag sakega? Galti kar di."

Dev aur Ananya dono jungle ke andher me ek shadow ki tarah ghus gaye. Dev ka har kadam, har movement planned tha—jaise uske dimaag me ek maansik map ho.

Jungle ka andhera ghana ho chuka tha. Hawa me mitti aur sard raat ki boo thi. Peeche se patton ki halki awaaz aayi—jaise koi jungle me slowly move kar raha ho.

Aur ussi moment…

💥 PISHH!

Ek single suppressed shot!

Goli seedha Ravyaan ke pair me lagi. Uska shareer ek jhatke se neeche gira.

👤 Ravyaan – (Cheekh kar) "AAHHH!!"

Uske haathon me mitti chipak gayi thi, aur pair se khoon beh raha tha. Usne bhaagne ki koshish ki, magar ab wo sirf apni maut ka intezaar kar raha tha.

Ek kadam uske saamne pada.

Phir ek aur.

Dev dheere se jungle ke andher se ek shadow ki tarah aage badha. Uska chehra ekdum emotionless tha. Koi shabd nahi, koi emotion nahi—sirf maut ki sannata.

👩‍🦰 Ananya – "Bhai, iska kaam ab khatam."

Dev ne apni pistol Ravyaan ke forehead par laga di.

🦾 Dev – (Cold voice) "Kya socha tha, ki meri Anu ko apni baato me fasa lega?"

👤 Ravyaan – (Darte hue) "Dev, please… yaar ek mauka de…!"

Dev ne uski aankhon me dekha, aur ek second ka break liya.

🦾 Dev – "Mauka chahiye?"

👤 Ravyaan – "Haan… please…"

🦾 Dev – (Ek chhoti si hansi ke saath) "Chal, ek diya."

💥 PISHH!

Ek aur suppressed shot.

Ek second me silence.

Ravyaan ka laash neeche gir gayi. Jungle ki mitti uske khoon se bhig chuki thi.

Dev ne dheere se apni gun holster me rakhi, aur Ananya ki taraf dekha.

👩‍🦰 Ananya – (Dheere se) "Khatam?"

🦾 Dev – (Ek chhoti si smile) "Abhi sirf shuruwaat hai."

Jungle ki thandi hawa ab bhi behti ja rahi thi. Pedon ki halki sarasarahat aur mitti ki basi khushbu ne raat ko aur gehra bana diya tha. Dev aur Ananya ab ek bhayanak ladaayi jeet chuke the. Unke saamne Ravyaan ki laash padi thi, khoon abhi bhi zameen par tapak raha tha.

Ananya ki aankhon me ek ajeeb si chamak thi—jeet ki khushi, ek naya ehsaas. Uska saans tez chal raha tha, lekin uske chehre pe sukoon tha.

👩‍🦰 Ananya – (Halki hasi ke saath) "Bhai, hum jeet gaye!"

Dev uske chehre ko ghoorta raha, jaise usme kuch dhoondh raha ho. Uski aankhon me emotions ki ek gehri lehar thi—pyaar, fikr, aur ek ajeeb sa rishta jo dono ko samajh nahi aata tha.

🦾 Dev – (Gehri awaaz me) "Haan Anu, magar asli jung abhi baaki hai."

Ananya ne Dev ki aankhon me dekha, ek pal ke liye sab kuch ruk gaya. Uska dil tez dhadak raha tha, jaise uss raat ki syaahi me sirf dono ek dusre ke liye bane ho.

Aur phir, bina soche, bina kisi sharam ke, Ananya ne apne haath Dev ke gale me daal diye aur uske lips ko apne lips se lock kar liya.

💋 CHUMMA 💋

Ek gehra, intense, aur pyaar bhara kiss.

Dev ek pal ke liye ekdum still ho gaya. Ananya ki saansein uske chehre pe lag rahi thi. Uske lips naram the, pyaar bhare, jaise ek ajeeb si lagan thi us kiss me.

Lekin uske samajhne se pehle hi, ek tez hawa ka jhoka aaya!

🌪️ SHHHHHH...!

Hawa ekdum tez ho gayi. Mitti, patte, aur dhool charo taraf udne lage. Dev ne turant apna haath Ananya ki aankhon pe rakh diya.

🦾 Dev – (Dheere se) "Anu, aankhein band rakho, dhool chali jaaye toh bataana."

Hawa aur tez ho gayi, jaise kisi ne jaan ke isko aur badhaya ho. Dev ki grip aur tight ho gayi, Ananya uske bilkul paas thi.

Phir jaise hi hawa ruki…

👀 Ananya ne dheere se apni aankhein kholi…

Aur dono ne jo dekha, usne unke hosh uda diye!

🩸 Ravyaan ki body gayab thi!

👩‍🦰 Ananya – (Chauk ke) "Bhai... bhai... body kahan gayi??"

🦾 Dev – (Shock me) "Yeh kaise ho sakta hai…?"

Ravyaan ka laash wahi thi sirf ek minute pehle. Lekin ab, sirf khoon zameen par tha woh bhi naam matra… laash ka koi naam-o-nishaan nahi tha!

Kya sach me Ravyaan mar chuka tha? Ya koi aur taqat is jungle me thi jo Dev aur Ananya ko abhi samajh nahi aayi thi…?
 
Last edited:
Top