• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Strange World (completed)

Opinion About The Story


  • Total voters
    32

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Strange-world.jpg
 
Last edited:

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Disclaimer:
This story is entire work of fiction by me.
INDEX
Prologue


Update No.
Update Name
1
2
3
4
5
6
7
8



End of Phase-I



Update No.
Update Name
9
10
11
12
13
14
15
16
17


End of Phase-II


Update No.
Update Name
18
19
20
21
22
23
24
25
26
27
28



End of Phase-III
Update No.
Update Name
29
30
31
32
33
34
35
36

THE END
 
Last edited:

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
PROLOGUE
Kehte hai ki hum jis duniya me jee rahe hai, uss jahan me aisi bahut
si anokhi, kuch achhi aur kuch buri shaktiyan chuppi hui hain, lekin
insaan shayad bhul gaya hai ki voh kudrat ke samne kitna lachar..kitna
bebas hai, kyunki jaha par insaan ki soch khatam hoti hai, vahi se ek
nayi soch ka janam hota jise..jise hum sab KUDRAT ke naam se
jaante hai

Insaano ko yahi lagta hai ki voh kaafi samajdar ho gaya hai, har roj
nayi technology ke janam lene ki vajah se voh kaafi aage badh gaya
hai, aur usi technology ki madad se usne iss duniya, iss jahan ke kahi
sare raaz ko sulja diye hai

aaj har roj ek nayi khoj ho rahi hai, naye devices ban rahe hai, jisse
insaan ka kaam asan ho raha hai, lekin fir bhi insaan jitna chahe aage
badhna chahe, voh hamesa kudrat se piche rehta hai
Jese jese hum insaan nayi chizo ka awishkar kar rahe hai, thik usi
taraf kudrat bhi haroj hume kuch naya dikha deti hai, jo kisi bhi
insaani dimag ke samaj ke baahar hai

Kudrat ki anginat guthiyo ko suljate suljate kayi saal nikal gaye, Lekin
waqt ke badhne ke saath saath insaan yeh bhul gaya hai ki voh iss
duniya me akela nahi hai, voh iss kudrat me basa hua ek mamuli sa
jeev hai, jo kisi bhi waqt kudrat ke jariye masla jaa sakta hai
Iss duniya me achayi hai, burai hai, bhoot-pret, aur bhi bahut kuch
hai, jiske bare me har koi janta hai, Jisne dekha aur mehsus kiya, use
inn sab baat ka ehsas hai aur inn baato ko mante bhi hai, lekin jinhone
nahi dekha, na kabhi mehsus kiya..unke liye yeh sab bas ek
andhvishvas hai

hamari soch ne hume uss baat se anjaan kar diya hai, ki jis
technology ke dam par voh itna uchal raha hai, voh kudrat ki
technology ke samne kuch nahi
Haa..kudrat ki technology, kyunki aaj ki generation technology ko hi
sab kuch manti hai, fir voh koi bhi ho, chahe bacha ya budha, har koi
iss technology par nirbhar hai

Yeh kahani bhi kuch aesi hi hai, ek aise shaks ki jisne kabhi bhi iss
kudrat ko nahi samja, aur nahi jaane ki koshish ki, voh bhi baakiyo ki
tarah aaj ki technology ke saath behta gaya, lekin uske saath hue
aise kahi hadso ne apni soch ko badalne par majbur kar diya
Kudrat ko humne majak banakar rakh diya hai, thik usi tarah iss
shaks ne bh kudrat ko majak me liya, voh sab kuch iss ek hades ne
badal diya

Yeh duniya, yeh kudrat, kehne ko toh bahut hi chote shabd hai, lekin
inke piche ke rahasya itne gehre aur itne bade hai, jise mai ya aap
kabhi nahi samaj sakte, ya kahe ki iss pure sansar me koi nahi samaj
sakta

 
Last edited:
Top