• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Pyare Rishte - Bhai Bahan Ki Pavitra Prem Ka Ek Safar (part 1 and 2 completed) part 3 in running

Kya story m threesome hona chahiye


  • Total voters
    212
  • Poll closed .

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Update no :- 44.
Karan jyoti or radha 3no khushi khushi hm or hina se vida lete h.

Fir karan or jyoti ko radha unke ghar pe chod deti h or apne ghar p nikal jati h.

Jese hi ghar m wo enter kerte h to , shivani unhe hall me hi mil jati h.wo waha per tv pe horror picture dekh rahi thi.or thoda thoda dar bhi rahi thi ,usko abhi ahasas ni hua tha ki karan or jyoti aachuke,tabhi karan ko ek shararat sujhti h.

Sham ka time ho chuka tha to kafi had tak andhera bhi ho gaya tha , to jyoti ko chupke se ishara ker ke chup rahane k liye kahata h , or chupke se uke sofe k piche jata h or dhire se chutki bajata h, jisse ghar ki sari lights band chalu hone lag jati h.

Shivani k to tote ud jate h ye sab dekh ker , or isse pahale shivani uthkar kuch kerne ki soche. Tabhi karan jhat se uske piche se aaker kaan k pass bolta h.

Karan :- booo

Shivani mummy bolte hue sare ghar m idher udher donde lagti h.

Shivani :- bhoot bhoot , koi to bachao.

Karan or jyoti shivani ka ye reaction dekh k jor jor se hasne lagte h, or jab shivani ki najar unpe padti h to pahale to chok jati h, fir sara mamla samjh ke gusse se unke piche dodti h.

Shivani :- bhaiya , didi ruko aaaj m aap dono ko ni chodungi , esa bhi koi majak koi kerta h kya.

Jyoti :- are mane kuch ni kiya , ye to bhai ne kiya

Shivani :- lekin aapne bhaiya ka sath to diya na aap dono aaj ni bachoge.

Jyoti bhi aaj full masti k mood m thi wo jaldi se apne kamre m jaker door band ker leti h.

Karan bichara bahar hi rah jata h or majak me darwaza pitte hue bolta h.

Karan :- gate kholo gudiya , mujhe bacha.

Jyoti :- (maje lete hue) ni bhai mane gate khola to shivani bhi ander aajayegi or mujhe pitna ni h.

Karan abhi aage kuch bolta itne m shivani vaha pahuch gayi or apni kalayi ko marodte hue boli.

Shivani :- wo to bach gayi , lekin ab tera kya hoga kaliya .

Karan (jhut mut ka darte hue) :- maaf ker do sardaar , humne aapko har roj chocolate khilaya h.

Shivani :- to ab mukke khao.

Or ye bol k tut padi karan pe or ker di mukko ki barsat , karan majak majak m bachao bachao chilane laga.Or thodi der ki dhulayi k baad shivani ne use choda .Itne m shivani bhi bahar aake ye sab dekh k maze le leke has rahi thi.

Karan jhut mut ka muh fula ke bolta h.

Karan(jyoti se) :-
acha sila dia tune mere pyaar ka , bahan ne hi bhurta banwa diya apne bhai ka.

Jyoti jor jor se hasne lagi or boli .

Jyoti :- bas bahut ho gayi notanki , aap betho m dinner banati hu.

Shivani :- ni di uski jarurat ni h.

Karan :- kyu.

Shivani :- wo mummy banake ja chuki h pahale hi bahut sara khana unhonne bola to kuch ni , per mujhe lagta h ye unhone aapki liye bhi banaya h.

Karan ispe kuch ni bolta usko dar tha kahi jyoti ka krodh firse jagrit na ho jaye.

Fir sab sath beth ker dinner kerne lagte h , itne saalo baad apni choti ma k hatho ka bana khana khaker unki ankho m pani aajata h.

Fir dinner ker sab dinner kerke jaldi sone chale jate h , kyunki kal se sab shivratri ki teyariyo k liye mandir jo jana tha.

Agle din 3no bhai bahan jaldi uthkar teyar ho jate h or mandir ki or nikal jate h or puja shuru kerte h itne m radha , riya , rohan or priya bhi waha pahunch jate h.

Fir karan jaker pandit ji se milta h.

Pandit ji :- beta koi intezam hua kya.

Karan :- ha pandit ji , mane kaha tha na bholenath hamari sahayta jarur karenge .

Or karan unhe sari baate batata h or pese unhe dene lagta h pandit ji kuch soch k bolte h.

Pandit ji :- beta ye tum filhal apne pass hi rakho , kyunki har sal ki tarah sari teyariya to tumhe or jyoti ko hi kerni h na.

Karan ko bhi ye baat sahi lagti h or wo lag jate h teyariyo m . Parso hi mahashivratri thi. To sab lag gaye apne apne kaam m. Sab lag gaye apne apne kam me, jese mandir ki saaf safayi sajawat or us special kam ki teyari m bhi .

Karib 3 ghante ki mahanat k baad sab thoda rest k liye mandir k angan m bethathe h.

Tabhi priya bolti h .

Priya :- bhaiya , ye sab teyariya kyu ker rahe.

Karan :- beta , kyunki parso mahashivratri h na , shivji ka sabse bada festival to uske celebration k liye.

Priya :- bhai , hum ye festival kis liye manate h.

Jyoti :- iske do kaaran h

1:- kyunki isi din mahadev sakar rup m prakat hue the.

2 :- isi din bhagwan shiv or mata parvati ki shadi hui thi.

Shivani :- bhai mane suna tha ki shiv ji to veragi the , to unki shadi kese hui.

Karan :- iske piche ek lambhi kahani h.

Priya (pyaar se ) :- to sunaiye na bhaiya please.

Karan priya k gal chum k bolta h

Karan :- ok betu.

Note :- shiv vivah ki ye story av start hone ja rahi h, use suna to karan raha h , lekin m third person k tor p likhunga.


Ye baat tabki h jab bhagwan sa
shiv ne srishti rachna k baad sabko sabke kaam baat diye . Tab mata aadishakti unke pas jaker bolti h.

Adishakti :- swami aapne sabhi ko unke karya pradan ker diye h or swayam bhi nirakar se sakar ho gaye h parantu ab hamara milan kab or kese hoga , kyunki m to prakrti hu, aapke dwara sope gaye kartavya ko purn kerne k liye aapse vimukh hona hoga.

Mahadev :- aap tanik bhi udaas na ho priye , humara milan bhavishya m shighra hi hoga lekin uske liye aapko bhi sakar rup lena hoga, m bhi kaha sukhi hu aapse dur ho ker priye , aakhir shakti k bina shiv bhi to shav hi h. Isliye he devi aap shighra hi prasthan kijiye, taki hamara milan shighra ho sake , m. Vachan deta hu , ki aapki aane ki pratiksha mujhe sadaiv rahegi.

Mata aadishakti mahadev se aashirwad le vaha se anter dhyan ho jati . Or mahadev apni samadhi m chale jate h.

Or mata aadishakti braham dev ki sahayata kerne m lag jati h. Fir janm hota h devo or danvo ka .

Ek samay ki baat h tarkasur namka rakshas ek per p khada ho ker mahadev ki tapasya m laga hua tha. Uski tapasya ko kayi hajar varsh ho gaye the lekin vo tapasya se tas se mas na hua , chintiyo (ants) ne uspe apna ghar bana liya tha.

Uski itni kathin or ghor tapasya dekh bhagwan bholenath prasan ho gaye .Or uske samne prakat ho ker pahale to uske halat ko sahi kiya or bole.


Mahadev:- ankhe kholo tarkasur , hum tumhari tapasya se prasan h putra.

Tarkasur jese hi ankhe kholke apne samne mahadev ko dekh ke khushi k mare unke pero m gir k unke pero ko chute hue bola.


Tarkasur:- akhir kar aap prasan ho hi gaye prabhu , m to dhanya ho gaya aapke darshan pake .

Mahadev :- utho tarkasur, mango kis abhisht var ki kamna h tumhari .

Tarakasur(har asur ki tarah natak kerte hue):- prabhu apke darshan ki hi meri to kamna thi , jo aaj puri ho gayi , parantu ager aap mujhe kuch dena hi chahate h to prabhu mujhe amaratv pradan kijiye prabhu, yamraj ka kaal phas mujhe chu bhi na paye esa vardan dijie prabhu.

Mahadev (muskurate hue) :- putra ye asambhav h , jisne janm liya uski mrityu bhi nishchit h, isliye amaratv k alawa kuch bhi mang lo putra.

Tarkasur kuch sochte hue bola .

Tarkasur :- thik h prabhu ager aap mujhe kuch dena hi chahate h to mujhe ye var dijiye , ki ager mera ant ho to keval aapke sage putra k hatho.

Mahadev:- ek baar punar vichar ker lo tarkasur , kya tumhe yahi var chahiye.

Tarkasur :- ha prabhu meri yahi icha h , denge na prabhu ye vardan prabhu aap.

Mahadev :- tathastu putra ! Parantu apne is vardan ka kabhi durupyog mat kerna.

Ye bol mahadev vaha se antardhyan ho jate h.unke jate hi tarkasur jor jor se haste hue bolta h.

Tarkasur:- satya hi kahate h sabhi , mahadev sach m hi bahut bholeh , bholenath h vo . Apne putra k hatho k vardan deker , unhonne mujhe vese hi amar bana diya.

kyunki mahadev to thahre veragi, or veragi kabhi vivah ni kerte . Or jab unka vivah hi ni hoga to putra kaha se aayega.

Ye sab bol wo waha se nikal jata h patal lok or apni vishal sena le 3no loko m hahakar macha deta h.

Mahadev k vardan ki vajah se koi bhi dev ,manushya , uske aage ni tik pate.

Sabhi dev ek sath braham dev k pass pahunchte h

Devraj :- raksha kijiye pitamah, raksha kijiye , dusht tarkasur mahadev se vardan paker ajay ho chuka h bhagwan, koi bhi uske samna ni ker paraha prabhu, 3no loko m hahakar macha hua h prabhu , kuch kijiye.

Brahama ji kuch soch ker bole.

Brahma ji :- he devo ! Aap sab nishchit ho ke apne apne lok ko prasthan kijiye , hum shighra hi kuch karenge.

Ye sun sab dev khush or santusht ho apne apne lok ko nikal jate h.

Or brahama ji apne karya m lag jate h.


Aaj k liye bas itna hi.

Stay tuned
Awesome Update
 

Harry rocks

Well-Known Member
6,912
18,332
189
Update no :- 45.
Devo ko wapis lotane k baad braham dev soch m pad jaate h ki wo kya kare .

Tabhi unhe bhagwan vishnu ka dhyan aata h or vo braham lok se antardhyan ho pahunch jate h.

Braham dev :- pranam narayan .

Narayan :- aaiye braham dev , baikunth m apka hardik swagat h.kajiye kese aana hua

Braham dev:- he narayan ! Aap to antaryami h , aapse bhala kya chupa h, aap to jante hi h ki m tadkasur ki samasya k nivaran k liye aaya hu, mera marg prashast kijiye kamal nayan

Narayan (muskurate hue) :-he braham dev , is sansar ka pratyek vyakti apna patan ya udhar swayam apne karmo se hi nirdharit kerta h.

Esa hi tadkasur ne bhi kiya .Uska ant avashya hoga.

Braham dev :- parantu kese narayan ! Mahadev vivah k liye kabhi sajj na honge.

Narayan :- aap bhul gaye braham dev , srishti rachna k samya , unhone devi aadishakti ko jo vachan diya tha.

Ab us vachan k purn hone ka samay aagaya h us vachan k purn hone ka.

Brahm dev :- vo kese narayan .

Narayan :- uska upaay m aapko batata hu .

Fir narayan unhe wo upaay batate h, brahma ji upaay sun ati prasann hote h or apne lok ki or nikal jate h.

Or apne lok m pahunch apne manas putra prajapati daksh ka samaran kerte h.

Prajapati daksh brahama ji k manas putra h , jinhone is sansar ko niyam or sanskriti pradan ki,or praja k paalan kerne k kaaran inhe prajapati ki upadhi praapt hui .

Daksh :- pranam pita shri.

Brahama :- kalyan ho vats.

Daksh :- apne is putra k liye kya aagya h pita shri.

Braham ji :- putra tumhe jan kalyan or k liye ek mahan udeshya ko purn kerne k liye , mera ek karya kerna h.

Daksh :- aagya dijiye pitaji

Braham ji :- putra tumhe kathor tap ker maa adishakti ko prasan kerna hoga . Or ek var mangna h.

Daksh:- kesa var pitaji

Braham dev sari baat samjha dete h .

Daksh (ati prasan hote hue) :- jo aagya pita shri , ye to mera sobhagya h ki aapne is mahan karya k liye mujhe chuna.

Or itna bol vo brahama ji se aagya le ker nikal padta h , tap k liye.

Or ek shant jagah p jaker dhyan me beth ker daksh tap me beth gaye.or man hi man maa k is manta ka uchcharan kerne lage.

या देवी सर्वभूतेषु मातृ-रूपेण संस्थिता। नमस्तस्यै नमस्तस्यै नमस्तस्यै नमो नमः॥

Unhonne kayi hajaro varsho tak bina ann jal grahan kiye maa adishakti ki aradhna ki.

Or ek din maa aadishakti prasan ho daksh k samne prakat hui.

images


Adishakti:- ankhe kholiye prajapati.hum aapki tapasya or bhakti se prasan h.

Daksh ankhe khol jese hi samne mata ko dekhta h, unke pero m gir ker apni nak ragadne lagta h.unki ankhon m khushi k ansu the , jo ye saf saf darsha rahe the ki unhonne tap purn shradha or niswarth bhav se kiya h.

Daksh:- m dhanya ho gaya mate , m dhya ho gaya , jo sakshat aapne , maa jagat janni ne mujhe darshan diye.

Aadishakti :- utho putra , hum aapke bhakti se ati prasan h, mangiye kya var chahiye aapko.

Daksh :- he maa , mujhe apne liye kuch ni chahiye , meri to bas itni kamna h maa ki aap manushy roop m ,meri pootri k roop m janm le , taki aapka or mahadev ka vivah ho sake or is sansar ka kalyan ho.

Adishakti :- aap dhanya h prajapati , itni kathor tap ke badle aapne swayam k liye kuch na mang , sansar ka kalyan chuna.

Esa hi hoga putra , m shighr hi aapke ghar putri k roop m janm lungi , parantu smaran rahe bhavishya m kabhi bhi apne mera apman kiya tumhe diya hua mera ye vardan nasht ho jayega. Or tumhara ant bhi nishchit ho jayega.

Or itna bol maa adishakti waha se anterdhyan ho jati h . Or daksh bhi prasan man se apne bhavan ki or nikal gaye.

Or maa adishakti apne vardaan k anusar hi daksh k ghar ek putra k ghar janm liya unki sabse choti putri k roop m.

Narad ji unke naam karan k liye waha aaye or jese hi unhone bachi ko dekha , wo ati prasan hue or bole

Narad ji :- bhratha daksh ! Aapka tap ka fal aaj falibhut hua , swayam mata aadishakti ne aapke yaha putri roop m janm liya h. Or inka hi vivah bhavishya mahadev se hoga.

Daksh ye sun bahut khush hota h or apne rajya m ghoshna karwata h ki pure ek varsh tak apne rajya k har pariwar k 3no samay k bhojan ka prabandh uski or se hi hoga.

Daksh :- narad ji , yadi aap hi meri putri ka namakaran aap karenge to m apne aap ko dhanya samjhunga devrishi

Narad ji us balika ka naam "sati" rakhte h .

Narad ji daksh ko kuch nirdesh de ker waha se prasthan ker lete h.

Samay apni gati se chalta raha tha, praja daksh se bahut khush thi , or din pratidin unki khayati bhadti ja rahi thi, jisse unke man ahankar nam k durgun ka janm ho gaya.

Wahi tadkasur ko ye baat pata chala to usne ek chal chali, or usne daksh prajapati tak ye baat pahuncha di ki mahadev ne hi unke pita braham dev ko shrap diya tha ki unki kahi bhi puja na hogi. Jisse sun daksh ko mahadev se nafrat ho jati h.or us nafrat ki aag me ye bhi bhul jata h ki sati ka janm kisliye hua h ya yu kaho vo ab chahata hi ni tha ki sati ki shadi mahadev se na ho. Isliye usne mahadev se sambhandhit sabhi vastuo or riti riwajo ko apne rajya m nishedh kerwa diya.taki wo sati ko shiv se dur rakh sake . Lekin niyati ko kuch or hi swikar tha.

Ek baar daksh ne bhagwan vishnu ka vishal mandir banwaya or ek yagya ka aayojan kiya jiske baad mandir m murti ki sthapna honi thi.or us murti ko yagya k purn hone tak ek kapde se daka hua tha.

Yagya m sabhi mahan rishi muni aaye hue the, sath me sapt rishi bhi the.

Fir yagya ka aarambh hua or karib 6 ghanto tak chala . Or jese hi yagya sampan hua to daksh ne murti se kapda hata diya . Jise dekh waha sabhi log prasan or heran bhi hote h. Kyunki wo murti hi adbhoot thi. Kyunki wo bhagwan vishnu k padmanabh roop ko samarpit thi .Or bahut vishal bhi thi.

images


Kuch esi lekin jese hi sapta rishi m se ek rishi kashyap us murti ko dhyan se dekhte h . To unko bahut dukh hota h or daksh ki soch p krodh bhi aata h.

(Kyu wo aage pata chalega)

Rishi kashyap baki sabhi ko bhi us or ishara kerte h jise dekh sabki manodasha esi hi hoti h.

Rishi kashyap abhi kuch bolte usse pahale hi daksh unhe shant rahane ka ishara kerte h.or apne sevako ko us murti ko mandir ki or lejane ko or kahate h.

Murti vishal hone k karan use ek rath per madir ki or lejaya jata h .

Rishi kashyap bakiyon se bolte h .

Rishi kashyap :- ager gyaat hota ki prajapati esi dosh purn murti ki sthapna ker rahe h to hum kabhi bhi yaha na padharte. Nahi m ye anarth hote hue ni dekh sakTa. M yaha se ja raha hu.

Rishi atri (saptrishiyo me se ek ) :- ni rishiwer ese kisi subh karya ko bich m chodke jana uchit na hoga. Mujhe anubhuti ho rahi h ki yaha jo bhi ho raha bhavishya k kisi mahan karya k purn hone k liye hi ho raha h.

Fir sabhi mandir m pahunchte h lekin jese hi madir k garbhagrih k dwar tak pahuchti h , achanak se jis rath pe wo thi , wo apne aap ruk jata h, sevako ne bahut prayas kiya lekin rath tas se mas na hua.

Rishi kashyap :- baat ko samjhne ka prayas kijiye prajapati aap jo kar rahe h wo uchit ni h . Or isiliye bhagwan vishnu bhi mandir m pravesh ni kerna chahate .

Daksh (krodh se ) :- jo aap kahana chahate h m samjh raha hu rishi kashyap, lekin aap bhi ek baat jaan le ki jo aap chahate h wo asambhav h.m vesa bilkul ni karunga.

Or rahi baat murti ka mandir m na jane ki to ho sakta h humse yagya m koi truti hui ho , jis kaaran ye apashakun ho raha h. Iska bhi upaay h mere paas m abhi isi vakt narayani yagya ka aayojan karunga , jisse ye apashakun shighr hi dur ho.

Tabhi rishi bhrigu jo sapt rishiyon me se hi ek h wo bole

Bhrigu :- parantu us yagya ki safalta k liya aapko parijat k pushpon ki avashyakata hogi prajapati, or wo pushp bhi ap kisi sevak se ni mangwa sakte ya to aapko swayam jana hoga ya aapke sabse nikat or priya h use.

Daksh :- parantu rishiwer m yaha yagya or sthapna k karya ko chod kese jau.

Tabhi ek aawaz gunjati h

Ye karya m karungi pita shri.

Ye awaaz daksh putri sati ki thi jo itne samay se ye sab ghatnaye mon ho to dekh rahi thi.

Daksh :- parantu putri tum akele van me kese.

Sati :- pita shri aap swayam yaha se ja ni sakte to niyamanusar mujhe hi jana hoga na .

Daksh sati ko bahut samjhata h parantu wo ni manti , kyunki daksh ki putri hone k kaaran unme hat (zid) ka ye avgun bachpan se hi tha .
Aakhir me daksh ko manna hi pada or sati nikal gayi van ki or.

Aaj k liye bas itna hi.



Kya kaaran h ki bhagwan vishnu ki vo murti mandir m pravesh ni ker rahi ,kya hoga sati k sath van me , or sabse bada prashn kese hoga mahadev or sati ka vivah janne k liye sath bane rahiye.

Stay tuned

Note :- friends kal ho sakta h ek k bajaye 2 bhi update aaye
 

Harry rocks

Well-Known Member
6,912
18,332
189
Awesome update bhai,
karan ne to shivani ko bahot hi jor se dara diya tha, aur shivani bhi use thodi der me hi chhod deti hai,
vahi aaj chhoti maa karan aur jyoti ke liye bhi khana bana kar gayi hai,
vahi mandir pahuchane ke baad karan sab logo ko mahashivratri aur uss se judi katha suna raha hai, ki kaise tamam muskilo ka samna karte hue mahadev aur adishakti ka iss din punah milan hua tha,
Waiting for next update bhai
Thanks for your support bhai
Stay tuned and keep reading
New update on page no :- 206
 
  • Like
Reactions: Jitu kumar

Harry rocks

Well-Known Member
6,912
18,332
189
Sabse pahle to dher sari badhaiyan 200 pages pure hone pr bhai.

Behad hi shandaar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Bade hi behtareen dhang se dikhaya h aapne sari baton ko.
Mzaaaa aa gya bhai waah.

Or ab ,
Aage ka intjar
Thanks for your support bhai
Stay tuned and keep reading
New update on page no :- 206
 
Top